Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Muta (276 Questions)


Showing 200- 250 questions from 276 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
112844
Mujtahid:
Ayat Ullah Ali Khaminai Date: 2021-02-03

Question: A woman have done Muta with a guy and before completing the duration that mutah has been suspended without any physical relationship. I want to know whether the Haq Mehar would be returned to the husband or not?

Answer: Agar Mutah k baad hambistari hoe na hoe ho to aadha mehar wapas dena hoga. aur koi iddat bhi nahin rakhne hogi. (Ref: Ayatullah seestani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2395) and (Ref: Minhajus saliheen, part #3, maslah #259)
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112895
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-05

Question: How I can perform temporary Nikah with Sunni Widow woman?

Answer: Jab tak Sunni larki Nikah e Mutta k Sharaei hone ka aqeeda na rakhe tab tak kisi sunni larki se Nikah e mutta sahi nahin hoga. (Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11)
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
112942
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-09

Question: Main aik kuwari larki se mutta karna chahta hon aur with bhi agree hai. Us ka father ki death ho chuki hai. Bhai hai but us se chota hai... Woh apni sister aur ammo ka sath rehti hai.. Woh job karti hai aur apna aur ghar ka kuch expense khud utha ti hai. Kiya him mutta Kar saktay hain.. agar haan tu Kiya condition hogi.. pls advise JazakAllah

Answer: Agar baap moujood na ho to dada se Ijazat lena hogi aur agar baap ya dada dono moujood nahin hain tou phir kisi se Ijazat lena zaroori nahin hai. aur larki ko ikhtiyaar hai wo apni marzi sai nikah e daimi ya ghair daimi(muta) kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition #42, maslah #2342).
[Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-05

Question: Mainay aik knwari larki sy muttah ki tha jo job krti thi. Lakin usnay apnay baap sy ijazat nahi li thi. Kya yeh muttah jaeiz tha?

Answer: Jee nahi ye mutaa durust nahi hoga Q keh gair mustaqil kunwari larki k liay wali (baap ya dada) ki ijaazat lena laazmi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341).
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-09

Question: Kia video cal par mutta jaiz hy ?

Answer: Phone par nikah (mutta) ho sakta hai Q k nikah mai sigah parhna zarori hai chahae phone par parhain ya saamnay parhain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335).
[Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113357
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Mai baat karne ka mutha karna chahta hun.. Is bare mai batye.

Answer: Jee, Is sorat main bhi muta jaiz hay. Lekin Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar na ho wo us waqt tak nikah (daimi/mutah) nahin kar sakti jab tak larki ka Baap ya Dada larki ko nikah (daimi/mutah) ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho us ke liye bhi Ehtiyat e wajib ki bina par yahi hukum hai ke wo apny walid ya dada say ijazat lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2385,2341)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Kia mudat khatam hony ka waqt guzer jany k baad mutta jaiz hai aur kia bar bar ek e aurat se mutta kerna jaiz hai

Answer: Nikah e muta ki muddat khatam hone per ya phir bakhsh dainay k baad osi aurat se daimi nikah kia jasakta hai ya phir dobara muta kia jasakta hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2385,2396,2473)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assalam o alaikum, mera sawal ye hy k muta me aurat ko wirasat me hissa milta hy?

Answer: Jee nahin, Jis aurat se muta kiya gaya ho wo shohar se meeras nahin paati aur shohar bhi us se meeras nahin paata. isi tarah wo aurat hamkhuwabi(rat gazarne) ka haq bhi nahin rakhti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2389).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114056
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-08

Question: Question: Salam mera sawal ye hai k faqat Sexual Desire k liye Mutah kia jasakta hai??? Answer: Jee haan.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). kia is surat main wali ki ijazat lazmi nah ho gi ??????

Answer: Mutah ki soorat mai bhi kunwari larki k liye wali (baap ya dada) ki ijaazat laazmi hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341).
[Updated on 09-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114090
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: AoA sir mera aik larki say rishta fix ho gya h aor ye confrm h k usi s shafi hogi imam zamin bandh chuky hain mgar shadi abi late h to jab maa baap permanebt shadi p raazi hain ijaxat h to kia unko btae bgair tab tak mutta kia ja sakta h aor jab permanent shadi krni hogi to nikkah permanent wala dobara hoga mudat bakshny per halala to nh hoga kindly detail m jawab dijye ga jazakAllah

Answer: Larkay ko nikah ke liye kisi say ijazat lena zaroori nahin hai lekin Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os ko nikah ke liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zarori hay. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,2335 ).
(Note: Agar larki ko larki ka wali(baap, dada) nikah ki ijazat dede to muta kar sakte hain Q ke Mutah ki soorat mai bhi kunwari larki k liye wali(baap ya dada) ki ijaazat laazmi hai ).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Assalam alaikum Mera sawal hai kya Kisi Isaai khatoon ke sath mutah Kar skte Hain Jo ki umr me 15 saal badi ho sirf baat karne ki niyat se...kya badi umr ki aurat se mutah krna makrooh hai? Aur kya isse Zindagi Kam Hoti hai?

Answer: Musalman mard Ehl e kitab(Esae or yahodi) aurat se muta kar sakta hay. Agar musalman mard ki biwi ho to musalman mard ehle kitab aurat se muta nahin kar sakta Hatta k agar musalman biwi ijazat bhi dede tab bhi ehtiyat e wajib ki bina per ehl e kitab aurat se muta nahin kar sakta.
(Ref: Ayatullah Sistani(de.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2362). 2) Muta ki mazeed malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114810
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-05-04

Question: Kya kisi bazaari aurat sai muta Kiya ja sakta hai... Agarcha yai bhi ehtimal ho k wo khtm hony k bad uski iddat pori karegi bhi ya nahi??

Answer: Jo aurat zina kaar mashoor ho to ehteyat e wajib ki bina per os aurat k toba karne se phele is k saath nikah e daaimi ya muta karna jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2364).
[Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114911
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-28

Question: Kia ap nikkah mutta k seegha yahan bata sakhty han plzzz

Answer: 1: larka or larki khud apne nikah-e-mutta k seghay parh sakte hen, Ehtiyaat e wajib ye he k nikah ka seegha (alfaz) sahi arabi me parha jae, or agar seegha arabi main na perh saktay hon tu arabi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakil banana lazimi nahin hay, dono ka baligh hona bhi zurari hai, dono seegha parhte waqt qasd-e-insha (yani nikah ka irada) rakhte hoon.
2: Iska tareeka ye hai k nikah se pehle nikah ki muddat aur meher tay karney k baad pehlay aurat kahe k (زَوَّجْتُكَ نَفْسِى فِى الْمُدَّةِ الْمَعْلُوْمَةِ عَلَى الْمَهْرِ الْمَعْلَوْم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad foran mard kahay (قَبِلْتُ)(qabiltu) to nikah e mutta ho jaey ga.
3: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2334,2335).
[Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-12

Question: Salam Kia aik mangaytar se mutah kiya ja skta hai jb k waldain nikkah k liye razi hon pr mutah k liye nahi aur nikkah aglay saal hona ho COVID ki wajah se Lrka bahar mulk mein rehta hai tou kia baat krne k liye aur gunah se bachnay k liye larki aur lrka mutah kar sktay hain?

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi/mutah) nahin ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada say ijazat lay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2341).
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115635
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-28

Question: Kia aise larki sa muta hosaqta ha jo talaq shuda to ha lakin uska bahi ka sat nabalegeh ka waqt zena kia ho 8 saal ke umar ma

Answer: Talaq yafta aurat ke sath muta karna sahi hai Agarche un donon ne zina kar ke aik haram kam aur gunah e kabeera ka irtekab kiya hai. Aur wo aurat jo talaq yaafta ho or us ke shohar ne us se hambistari bhi ki ho, to us ke sath nikah-e- daimi ya muta karne k liye kisi se ijazart lena zaroori nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2342)+(Ref: Minhaj us Saleheen, Part #1, Masalah #30).
[Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-30

Question: muttah ka time period hatam honay sy pehly agar murd os aurat sy 1 saal rabta na karain aur bd me osy azad kr dhy lekin muttah ka time period na hatam hua ho tu kiya os aurat py idad wajib ha ?

Answer: Agar nikah e muttah ki muddat poori ho jaye ya bakhsh di jaye or shart ye hai je muttah k doran hambistari bhi huei ho to 2 mukammal haiz iddat rakhna zarori hogi, or agar hambistari nahin hoi thi to phir iddat rakhna zarori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396,2473,2479).
[Updated on 30-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116174
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-30

Question: Mutta krne k liye urdu mei dua k sath pura process aur mutta ki mudat puri honey k kitne time bd larki permenant nikah krskti hai

Answer: 1: Nikah e muta men bhi wo tamam sharait hoti hain jo Nikah e daimi men mojod hoti hain, jese ke nikah k seegahy sahi arabic mai parhay jaayen, Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi/mutah) nahin ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina par yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay. is k ilawa or bhi buhat si sharait hain in sharait ko poora kiye baghair aik larka or larki aik doosre par halal nahin hote.
2: Muddat poori ho jaye ya bakhsh di jaye or muta k doran hambistari bhi ki ho to 2 mukammal haiz iddat rakhna zarori hogi, us k baad kisi or mard se nikah kare gi. or agar hambistari nahin hoi thi to phir iddat ki zarorat nahin or fauran baad dosere mard se nikah kar sakti hai.
3:mard ye karsakta hay ke jis aurat ke sath is ne phele muta kia ho or abhi is ki iddat khatam na hoe ho ( or muta ki muddat khatam hoghe ho) is se daaemi nikah kar le ya dobara muta kar le laikin agar muta ki muddat mukammal nahe hoe ho or wohe shaks is aurat ke sath daaime nikah perhe tu ye nikah batil (galat) hay laikin ye karsakta hay ke baaqe maaanda nuddat ise bakhshe or is ke baad is se nikah daaaieme kar le .
Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon ( or book se daikh kar bhi sahe nahe perh sakte ho) tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (arabi seegho ka urdu terjuma mehar or muddat muta moiyan karne ke baad phele aurat , mard se mukhatab ho kar khe : me apne aap ko tumhaare zojiyat me dete ho (yani nikah muta me dete ho ) is mudddad maloom me is mehar moiyan per is ke furan baad mard khe : me is nikah muta ko apne lie qabool karta ho.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335,2341,2396,2473,2479,2334, 2396)[Updated on 31-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-15

Question: salaam mere 3 sawal Hain 1) nikkah e mutta k baad kya shohar pr BV k or BV pr shohar k wohi haqooq hoty Hain Jo asli nikkah mein hoty Hain ? 2) agr waqt sy phly nikkah e mutta Khtm krna ho tw kya bv khud separation Ka faisla ni krskhti jsy daimi nikkah ma khula hota hai wsy ismy kya sharait Hain nikkah waqt sy phly Khtm krny ki

Answer: 1: Aurat ke sath mutta karna agarche lazzat haasil karne ke liye na ho tab bhi sahi hai. Albatta aurat shart nahin kar sakti ke mard us se koi lazzat hasil nah kare.
Ehtayaat-e-waajib yeh hai keh shohar ne jis aurat se mutta kiya ho agar woh jawan ho to us ke sath chaar(4) mahine se ziyada jima tark na kare.
Jis aurat ke sath mutta kiya ja raha ho agar woh nikaah mein yeh shart a’yed kare keh shohar us se jima na kare to nikah aur us ki a’yed karda shart sahi hai aur shohar us se faqat doosri lazzatein haasil kar sakta hai. Laikin agar woh baad mein jima ke liye raazi ho jaaye to shohar us se jima kar sakta hai. Daimi aqd mein bhi yahi hukum hai.
Jis aurat ke sath mutta kiya gaya ho khawah woh haamla ho jaaye tab bhi kharch ka haq nahin rakhti.
Jis aurat ke sath mutta kiya gaya ho wo hamkhawabi (raat guzaarne) ka haq nahin rakti aur shohar se meeraas bhi nahin paati aur shohar bhi us se meeraas nahin paata. Laikin agar un mein se kisi ek fareeq ne ya dono ne meeraas pane ki shart rakhi ho to is shart ka sahi hona mahal ishkaal hai laikin ehtayaat ka khayaal rakhna tark na ho.
Jis aurat ke se mutta kiya gaya ho agarche use yeh maaloom na ho keh woh kharch aur hambistari ka haq nahin rakhti us ka nikah sahi hai aur is wajah se keh woh umoor se naawaqif thi us ka shohar par koi haq nahin banta.
Jis aurat ke se mutta kiya gaya ho wo shohar ki ijaazat ke baghair ghar se baahir ja sakti hai laikin us ke baahir jaane ki wajah shohar ki haq talfi ho to us ka baahir jana haraam hai aur is soorat mein jabkeh us ke baahar jaane se shohar ki haq talfi na hoti ho tab bhi ehtayaate- mustahab ki bina par shohar ki ijaazat ke baghair ghar se baahir na jaaye.
2: Jis aurat se mutta kiya gaya ho (maslan aik saal ya aik mahine ke liye us se nikaah kiya gaya ho) use (kisi bhi qisim ke) talaq dene ka koi sawaal nahin. us ka aazaad hona is baat par munhasir hai keh mutta ki muddat khatam ho jaaye ya mard use muddat bakhsh de maslan kahe: “Main ne muddat tujhe bakhsh di” aur kisi ko is par gawaah qarrar dena aur us aurat ka haiz se paak hona laazim nahin. Aur mutta men talaq nahin hoti agar mutta khatam karna ho shohar biwi ko mutta ki muddat bakhsh de to mutta khatam ho jaye ga. aur daaimi nikah men bhi talaq dene ka haq shohar ko hota hai biwi ko nahin.
Jis aurat ke sath mutta kiya gaya ho agar mard us ki nikaah mein muayyin ki huyee muddat bakhsh de to agar us ne is ke sath hambistari ki ho to mard ko chahiye keh muqarrar kiya hua tamaam meher use de de aur agar hambistari na ki ho to aadhaa mehar dena wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2385,2386,2387,2388,2389,2390,2391,2395,2473,2396).
[Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116231
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Me talak yafta hun .. mere aik frnd mjh se muta karna chahty hy but hide karke.. iske lie kia ahkaam hY?? Ye niKha hosakta hY?? Or muta ko ziayada se ziyadaa kitni mudat raKh sakty?? Or agar kisi muqam par akar hm daimi niKha karna chahy tOh kar sakty hY???

Answer: 1: Ye nikah e muta us soorat men ho sakta hai ke jab koi aurat jo talaq yaafta ho or us ke shohar ne us se hambistari bhi ki ho, to is soorat men ho sakta hai. aur is soorat men Talaq yafta aurat ko nikah-e- daimi ya muta karne k liye kisi se ijazart lene ki zaroorat nahin hai, wo nikah e muta kar sakti hai.

2: Muta ki muddat ziyada se ziyada jitni chahen rakh sakte hain Albatta muta ki muddat aurat aur mard ki ya dono me se aik ki aam umr se ziyada nahin honi chahiye Q ke is soorat men nikah batil ho jaye ga.

3: Daaimi nikah karna chahen to kar sakte hain lekin is ke liye shart ye hai ke ya to muta ki muddat khatam ho chuki ho ya mard ne baqi manda muddat bakhsh di ho tab nikah e daaimi kar sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #44, Maslah #2341, and befor #2327,2395).
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116245
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Ma na suna ha bahi behn mota kar sakta ha kia ye drust ha

Answer: Mutta nikah hi ki aik qism hai bas jis tarah behn, man, beti, wagera.... se nikah karna haram hai isi tarah behn, man, beti wagera.... se mutta karna bhi haram hai balkeh tamaam mehram, Aurton se nikah karna haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2349).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: agr koi larka sunni larki ko mutah samjhaye or samj kar vo razi ho jaye mutah ke liye or larki bhi tallaq shuda ho to mutah karna jaiz hey?

Answer: agar sharait mukammal hon tou sunni larki sai mutta karne mai koi harj nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2362).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-11

Question: Agr mutaa ki mokrara mudat sy pehly mrd cohr dy to kya aisey mutaa tot jta hai

Answer: Muttah men aise hi chor dene se mutta khatam nahin hota balkeh jo muddat te ki gayei hai us muddat ke poore honay say mutta khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf kar deta hay to mutta khatam ho jata hay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Edition# 1439, part #03, Maslah #575).
(Note: Muttah ki muddat mukammal hone se pehle agar larka larki ko chorna chahe to larkay ko chahiye k wo larki sai kahay k mai ne tumhay baqaaya muddat baksh di to is se muttah khatam ho jaye ga. Ab agar mutta k doran hambistari hoei thi to mutta ke khatam hone k baad larki ko 2 mukammal haiz iddat rakhna zaroori hogi, is k baad kisi or mard se nikah kar sakti hai. or agar hambistari nahin hoei thi to phir iddat ki zarorat nahin hai yani bager iddat rakhe kisi doosre mard se nikah kar sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396).
[Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116430
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-06

Question: muttah ka time period khtm hone k bd ki iddat me sirf dusri shadi ni ho skti ya orat ka ghr se bahar nikalna b mana hai ?

Answer: Sirf doosra nikah karna haram hai lekin Iddat ke doran ghar se bahir nikalna haram nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2396,2475).
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116445
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-17

Question: Kia shohar apni biwi ki ijazat ke bgair mutah karsaka ha jo isi har lihaz se khush rakhti aur pregnant ho

Answer: Jee haan aik shadi shuda musalman mard aik musalman aurat se muta ker sakta hay, aur aik musalman aurat se mutah kerne k liay biwi ki ijazat ki zarorat nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2362. + Minhaaj us Saliheen Part #3 , Mafhoom e Maslah #202,205).
[Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116539
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-24

Question: jab ladki or ladkai ki jismani zaruryath zyada ho jayae or is par kai yo gunh sai mehfuz rahae muttah karna jaiz hai.?

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341).
[Updated on 24-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116562
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-27

Question: Kia larka larki ko mutta ki mudd'at bakhsh dene k baad usi larki se dubara mutta ker sakta hy?

Answer: 1: Jis aurat ke sath muta kiya gaya ho agar mard us nikah men muayan ki hoi muddat baksh de to agar us mard ne us aurat ke sath hambistari ki ho to mard ko chahiye ke muqaraarr kiya houa tamam meher use de de aur zaroori hai aurat iddat rakhe, aur agar hambistari nah ki ho to aadha mehar dena wajib hai. agar pehle se hi mard ne tamam meher de diya tha tu aurat ko chahiye ke aadha meher mard ko wapas kar de aur koi iddat bhi nahin rakhne hogi.
2: Muta men agar us muddat (jo muayan ki gayei thi) sai pehle shohar apni biwi ko keh de k mai ne baqaya muddat tum ko baksh di tou ye mutta khatama ho jaaye ga or dono aapas mai na mehram ho jaain gay lihaza dobara aapas men muta kar sakte hen.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2395,2396).
[Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116578
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: agr baap dada zindga na ho or ladki ki sar prsth uski ma ho or ladki nai maa sai puchay baghair sigha kr lia ho toh kiya yae sigha qabil e qabul hai sahe hai ya batil hai.

Answer: Baap ya dada agar moujood na hon tou phr maa sai ijaazat lena laazim nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2342).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120382
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-06

Question: Ager larki kanwari ho aur uss ka baap dada b faut ho chukay hun tw.. uss sy mutta kernay k liye kiss ki ijazat laini hogi?

Answer: Agar kunwari larki ka baap or dada zinda na ho tu phir nikah (daaimi/mutah) k liay kisi se bhi ijazat lena zarori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2341).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120534
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-18

Question: Mera masala ye hai Kay hamnay muttah kia or jab main pregnant hui to mere husband now end bol kar bilkul gayab hogae .. na koi contact Ghar bhi tabdeel karlya. Mjhy bataen Kay aisy mai mairy liya kia hukam hai

Answer: (Note: Aap ko nikah e mutah ke hawale se chand masaail ki taraf mutawajjah kiya jata hai jin ki taraf aap ko agaah karna zaroori hai)
1: Jis aurat ke sath muttah kiya gaya ho khawah woh haamla ho jaaye tab bhi kharch ka haq nahin rakhti.
2: Jis aurat ke sath muttah kiya gaya ho wo hamkhawabi (raat guzaarne) ka haq nahin rakti.
3: Jis aurat ke se muttah kiya gaya ho agarche use yeh maaloom na ho keh woh kharch aur hambistari ka haq nahin rakhti us ka nikah sahi hai aur is wajah se keh woh umoor se naawaqif thi us ka shohar par koi haq nahin banta.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2388,2389,2390).
[Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-11

Question: Mera nikka hogaya hai laikin rukhsati Mai 6to7 months hai to kea Mai majbori k tehat mutah Kisi AUR larki se kar sakta Hoon qk Jis se main ne nikka kea hai wo milti tak nahe hai

Answer: Jee han kisi musalmaan larki se mutah kar sakte hain, or agar majboori na ho tab bhi kar sakte hain, lekin jis larki se mutah karen ge agar wo kunwari ho (yani pehle is ki shadi na hoe ho or is ke shohar ne is se humbistri na ki ho) or khud mukhtiyar nah ho to zaroori hai ke us ke baap ya dada se ijazat len, ya agar kunwari ho or khud mukhtar ho to is surat me ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke us ke baap ya dada se ijazat len. Aur agar kunwari na ho (yani pehle is ki shadi hoe ho or is ke shohar ne is se humbistri bhe ki ho) to kisi se bhi ijazat liye bager us se mutah kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,2407,sistani,org,urdu,topic: shadi sawalno:3,).
[Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120764
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-01

Question: Salam, Aga sahab mujhe ye sawal phuchna hai ke aik larki or larkay ne pahle tauzeeh wagahra mein dekha ke muta’ah ki kya sharait hai tou unko ye baat na milli ke kunwari larki agar khud mukhtar bhi hou tou wali ki ijazat zaruri hai tou unhon ne Nikkah e mutah kerliya or phir baad mein jab ye baat pata chali ke agar kunwari larki khud mukhtar bhi hou tou phir bhi wali ki ijazat zaruri hai muta’ah ke liye tou phir kya kiya jaye? Lekin baat yahan khattam nahi hui wo larki pahle se mangni shuda thi lekin maa baap ko ye muta’ah ki baat ka ilm nahi tha or unhon ne larki ka nikkah rakh diya or phir 15 dino ke baad larki ka nikkah ho gaiya. Kya muta’ah wo jaiz tha or agar nahi tou uska kaf-fara kya hai? Or kya wo nikkah jaiz hai jo uske maa baap ki raza mandi ke sath huwa hai ?

Answer: 1: 2: Jis se mangni ki hui thi us mangni ka shareat me koi atebaar nahin (yani mangni karne se larka or larki, shohar or biwi nahin ban jate) agar baqi sharait ke sath wali ki ijazat bhi hoti to us larkay or larki ka mutah karna sahi hota lekin chunke is mutah me wali ki ijazat shamil nahin hai lehaaza is larkay or larki ka kiya hua mutah baatil hoga, Ab agar is mutah ki muddat ke dauran larkay or larki ke darmiyan Humbistri nahin hui thi to us larki ko koi iddat nahin rakhni or us larki ka dosre larkay se nikah karna sahi hai. Lekin agar mutah ki muddat ke dauran larkay or larki ke darmiyan Humbistri bhi hui thi to is surat me larki ko watee ba shuba ki iddat rakhi thi or is iddat ke dauran nikah nahin kar sakti thi Q ke iddat ke dauran nikah karna Haram hai lekin chunke is ne nikah kar liya hai ab is larki ko jis se nikah kiya hai us se juda hona pare ga or watee ba shuba ki iddat mukammal kar ke dobara us se nikah kar sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2335,2341. + Minhaj us Saleheen, Part #3, masalah #565).
[Updated on 02-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120765
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-01

Question: Salam, Aga sahab mujhe ye sawal phuchna hai ke aik larki or larkay ne pahle tauzeeh wagahra mein dekha ke muta’ah ki kya sharait hai tou unko ye baat na milli ke kunwari larki agar khud mukhtar bhi hou tou wali ki ijazat zaruri hai tou unhon ne Nikkah e mutah kerliya or phir baad mein jab ye baat pata chali ke agar kunwari larki khud mukhtar bhi hou tou phir bhi wali ki ijazat zaruri hai muta’ah ke liye tou phir kya kiya jaye? Lekin baat yahan khattam nahi hui wo larki pahle se mangni shuda thi lekin maa baap ko ye muta’ah ki baat ka ilm nahi tha or unhon ne larki ka nikkah rakh diya or phir 15 dino ke baad larki ka nikkah ho gaiya. Kya muta’ah wo jaiz tha or agar nahi tou uska kaf-fara kya hai? Or kya wo nikkah jaiz hai jo uske maa baap ki raza mandi ke sath huwa hai ?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 02-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120919
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-24

Question: Salam Aga Sahab Aik ladki jo christan hu aur khud mukhtar aur balig bhi hu leekin us ka wali zinda na houn jaisa ka bap aur dada. Kia us sa muttha kia ja sakta hai.

Answer: (agar kise ki musalman biwe na hi tu is surat me ) Esaei(christian) aurat se nikah e gair e daaimi(muta) (temporary marriage) karne me koi haraj nahin aur ehtiyaat e lazim ki bina par in se nikah e daaimi (permanent marriage) nah kiya jaey.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2362).
[Updated on 24-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120999
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-07

Question: Muta k baray ma kui farman btya, kia imam jaffar sadiq as ka kui asa farman hai k zandagi ma aik bar muta lazmi karna chia?

Answer: Hazrat Imam Jafar sadiq(a.s) se Aik do riwayat ko aap ke samne paish kiya jata hai:
1: Imam Jafar sadiq(a.s) se riwayat hai ke farmaya: main momin ke liye pasand karta hon ke wo us waqt tak duniya se na jaye jab tak mutah na kare agarche aik baar hi kare.
2: Muhammad bin muslim ka bayan hai ke aik baar Imam Jafar sadiq(a.s) ne mujh se farmaya: kya tum ne mutah kiya hai? mene arz kiya: nahin, farmaya: us waqt tak duniya se na jaana jab tak is (murda) sunnat ko zinda na karna.
3: Abu baseer bayan karte hain ke jab me Imam Jafar sadiq(a.s) ki khidmat me haazir hua to Imam(a.s) ne mujh se daryaft farmaye: aey abu baseer jab se ghar se nikle ho tum ne mutah kiya hai? mene arz kiya: nahin, Imam(a.s) ne poocha kiyon? mene arz kiya zaad e safar kam hai, is par Imam(a.s) ne mujhe aik deenar marhamt farmaya ke main tumhen qasam deta hon ke ghar wapis jaane se pehle zaroor mutah karna.
(Ref: Masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #14, baab #2, pg #352,353).
(Note: Is tarah ki riwayaat Imam Jafar sadiq(a.s) or deegar aima(a.s) se waarid hui hain lekin ulama ne in riwayat or deegar riwayaat ko mila kar mutah ke musatahab e takeedi hone ka fatwa diya hai, lihaza mutah karna wajib nahin, Han musatahab e takeedi hai ).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121233
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-14

Question: Salam mera sawal ye hai k agr baap zinda na ho or dada sy ijazat lena mumkin na ho mtlb k khandan mein agr na batana chahty hon or dada sy koi aesa taluq bhi na ho k unki ijazat lena zaruri ho q k baap ki death k baad maa ny he paala hai or dada sy koi aesy taluq nh k unki ijazat lena zaruri ho tou kya is surat mein baghair ijazat k muttah krskty hain?

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par nikah e mutah karne ke liye phir bhi dada se ijazat leni hogi.
Note .Apne dada se khaandaan walo ko bataebagaire poshida tour per ijazat lesakte hay
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #179).
[Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121366
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-14

Question: Ismayeli widow sa muta jayiz ha kia? Agr wo mard ki khatir pdy mgr uska aqeeda nae ha muta ky bary ma?

Answer: (agar musalmaa Aurat ki sharhe nikah hoa ho or us ke shohar ne us se jima kia ho or us ke baad us ki mout hoghe ho or Aurat ki iddat ghuzar ghe ho tu ) us se muta karna jaiz hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2362).
[Updated on 14-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121367
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-15

Question: Ismayeli widow sa muta jayiz ha kia? Agr wo mard ki khatir pdy mgr uska aqeeda nae ha muta ky bary ma? Jawab aga seestaani aur rehbar dono ka chaheya

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121428
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-22

Question: ek video mai Imam A.S ka hawala dety hwy farmaya k k agr ek jawan nikah e dayemi na kr skta ho tw oc surat mai nikah e muttah krna jaiz hai tw mera sawal ye hai k agr nikah e dayemi ka ehal ho ek jawan lkn phr b nikah e dayemi ki bajaye nikah e muttah krna chah ra ho tw kia aisa krna jaiz ni hga ?? Dusra sawal ye h k ma ne ye suna ha k shadi shuda mard k liyea behtr hai k wo muttah krnay k liyea yhan wahan na bhatkay .. shadi shuda mard agr jinsi lehaz se biwi se satisfied ho lkn wo phr b chahta ho k dusri aurton se b jinsi lazzat uthaya jaye nikah e muttah k zariyea tw kia ic surat mai b nikah e muttah jaiz hga shadi shuda mard k liyea ?? Taqleed = Ayatollah sistani Agha dono ka jawab dijiyea ga plz

Answer: 1: Jee han, agar koi shakhs nikah e daaimi karne ka ahl ho tab bhi mutah karta hai.
2: Nikah e muta karna jaaiz hai, chahe kisi ke pass chaar daaimi biwiyan hi q na hon.
3: Nikah ke zariye aurat, mard par aur mard, aurat par Halaal ho jaate hain aur nikah ki do aqsaam hain. pehli daaimi (perminent )aur dusri ghair e daaimi (muqarrarah waqt ke liye nikah)
Nikah e daaimi use kehte hain jis mein izdwaaj ki muddat mauyyin na ho aur woh hameshaa ke liye ho aur jis aurat se is qism ka nikah kiya jaaye use dayema kehte hain.
Ghair e daaimi nikah woh hai keh jis mein izdiwaaj ki muddat muayyin ho. Maslan aurat ke sath aik ghante ya aik din ya aik mahine ya aik saal ya is se zayada muddat ke liye nikah kiya jaaye. Laikin is nikah ki muddat, aurat aur mard ki ya dono mein se aik ki aam umr se ziyada nahin honi chahiye Q ke is surat mein nikah batil ho jaaye ga.
Jab aurat se is qism ka nikah kiya jaaye to use mutah ya seagha kehte hain.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #202. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, page #357,358).
[Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121433
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-23

Question: Salam alaikum Agha Kya agha seestani k nazdeek is surat e haal mein mutah kiya jaskta hai? Agr larki k walid ki death ho chuki ho or usky dada sy wo ijazat na ly skti ho khandan ki wajah sy or dada ko muta k hawaly sy ilm bhi na ho or naa hee unka koi hum sy aesa taluq ho k uski ijazat hr muamly m lena zaruri ho q k baap k baad maa ny he pala hai or baki khandan mein sy kisi sy kabhi kisi cheez ki ijazat nh leni pari or maa ki taraf sy hamain azadi hai tou kya is surat e haal mein dada ki ijazat k baghair muta kiya jaskta hai? Please mujhy is sawal ka jawab dy dijiye.

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par nikah e mutah karne ke liye phir bhi dada se ijazat leni hogi. (Note: Agar wo mutah karna chahati hai to apne dada se khaandaan walo ko bataye bager posheeda taur par ijazat le sakti hai).

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #179).
[Updated on 24-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121544
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-15

Question: Muta ke time se pehlay khatam karnay ka tariqa ya duwa agar koi ho to kindly inform krain

Answer: 1: Jis aurat se mutah kiya gaya ho (maslan aik saal ya aik mahine ke liye us se nikaah e mutah kiya gaya ho) use (kisi bhi qisim ki) talaq dene ka koi sawaal nahin. us ka aazaad hona is baat par munhasir hai keh mutah ki muddat khatam ho jaaye ya mard use muddat bakhsh de maslan kahe: “Main ne baqiya muddat tujhe bakhsh di” aur kisi ko is par gawaah qarrar dena aur us aurat ka haiz se paak hona laazim nahin. Aur mutah men talaq nahin hoti agar mutta khatam karna ho shohar, apni biwi ko mutah ki muddat bakhsh de to mutah khatam ho jaye ga.
2: Jis aurat ke sath mutah kiya gaya ho agar mard us ki nikaah mein muayyin ki huei muddat bakhsh de to agar us ne is ke sath hambistari ki ho to mard ko chahiye keh muqarrar kiya hua tamaam meher use de de aur agar hambistari na ki ho to aadhaa mehar dena wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473).
[Updated on 16-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121558
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-18

Question: Salam kia muta ki iddat k doran jiski iddat mai ho wo fone pr text pr bat kr sktay apas mai ya nahi?

Answer: 1: Mutah ki muddat khatam hone ya bashne ke bad, miyan or biwi dono apas me na mehram ho jate hain
2: Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ya mard ke saath kiya jana munasib nahin hota.
3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se na suni jaye aur Haram me mubtila honay ka bhi khauf na ho.
Isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho, baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #576. + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58, sawal #79. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66).
[Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121559
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-19

Question: Salam kia muta ki iddat k doran jiski iddat mai ho wo fone pr text pr bat kr sktay apas mai ya nahi?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 20-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121573
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-23

Question: اسلام وعلیکم میرا سوال یہ ھے کہ میرے شوہر آیک بچے کے بعد کوئی اور بچہ پیدا نہیں کرسکے ان کے ھارمونز نہیں بن سکتے ھر علاج کروا لیا ھے دس سال سے کوشش کر رہے ہیں میرے شوہر نے اولاد کے لیے مجھے متہ کی اجازت دے دی ھے تو کیا میں کسی دوسرے مرد سے متہ کر سکتی ہوں

Answer: Jee nahin, nahin kar saktein Q ke aik shadi shuda aurat ka kisi dosre mard se nikah karna (chahe daimi ho ya mutah) Haram ( gunah ) hai, Han agar aap ko aap ka shohar talaq de de to iddat guzarne ke baad kisi aur mard se nikah (chahe daimi ho ya mutah) kar sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366).
[Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121593
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Salam Agha sahb Mera ya sawal h agr koi larki Kisi larky sey nikah mutta krey or mutta mn rehty hue Kisi dosrey larky sey hambistri karey or phir bad mn ya pta chaly ky Jo phly mutta kia gia tha wo baatil tha Yani sahi nahi hua tha tu kia wo larki ab Kisi dosrey shaks sey nikah daimi krna chahe tu kr skti hai Jo in dono mn sey na ho or koi shaks ho ?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121653
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-09

Question: Salam Mera sawal ye hai Aik mard apni biwi ko mukamal talq dety huwe aik Saal ho jati hai Phir usi orat se Kiya mutah kr sakta hai??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq talaq ke sahi hone ki chand sharait hain ke Talaq dete waqt jin ki pabandi karna zaroori hoti hai warna talaq sahi shumaar nahin hoti.
Talaq ki sharaait:
1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho.
2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi.
3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye.
4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye.
5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai.
6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi.
(Note: Agar bayan ki gayei sharaait ko madde nazar rakhte hue talaq waaqe hui thi to talaq sahi shumar ho gi, ab agar aik saal guzar gaya hai to lihaza wo dono nikah e mutah kar sakte hain Q ke talaq ki iddat aik saal se kam hoti hai.
lekin agar in sharaait me se koi aik shart bhi maujood na ho to talaq sahi shumar nahin hogi aur jab talaq sahi nahin hogi, tab tak wo dono miyan, biwi hi rahen ge).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472).
[Updated on 09-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121712
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-19

Question: Kia muttah ki muqqat khatam honay pay larki Kuch waqt bad usi larky se shadi kar sakti hai jis se us nay muttah kiya tha

Answer: Jee han, wo shakhs jis ne kisi aurat ke saath pehle mutah kiya ho wo ye kar sakta hay ke jis aurat ke sath is ne pehle mutah kiya hai aur abhi is ki iddat khatam nahin huei (jabke mutah ki muddat khatam ho gayei ho) is se daaimi nikah kar lay ya dobara mutah kar lay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396,2473,2479).
[Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121741
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: Kia hum European esawi larki se muta kar sakte hain without asking parents jo balgh hain tnx

Answer: 1: Musalman mard ahl e kitab kafir (christian) aurt se mutah kar sakta hay or Ehtiyaat e lazim ki bina par us se daaimi nikah nah kiya jaye.
2: Ayatullah Sistani(d.b) ke nazdeek wo kunwari (virgin) larki jo khud mukhtar (independent) nah ho to wo us waqt tak nikah (daimi ya mutah) nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day aur jo larki khud mukhtar (independent) ho us ke liye bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hay ke apne baap ya dada se ijazat lay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,2362).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121744
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-15

Question: Kia hum European esawi larki se muta kar sakte hain without asking parents jo balgh hain tnx

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121760
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-01

Question: Kya Muttah ke iddat bakhshi/maaf ke jaskte hai?

Answer: 1: Mutah ki muddat use kehte hain jo mutah me tay ki jati hai ke maslan aik mehine ke liye ya aik saal ke liye mutah kiya jaa raha hai, Jabke iddat use kehte hain jo aurat mutah ki muddat khatam hone ya baqiya muddat bakhshne par guzarti hai.
Lihaaza mutah ki muddat to bakhshi jaa sakti hai lekin iddat nahin bakhshi jaa sakti.
2: Jis aurat ke sath mutah kiya gaya ho agar mard us ki nikaah mein muayyin ki huei muddat bakhsh de to agar us ne us ke sath hambistari ki ho to mard ko chahiye ke muqarrar kiya hua tamaam meher use de de aur agar hambistari na ki ho to aadhaa meher dena wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473)
[Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121781
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-02

Question: Nikah muta ki agr mudat nhi moqarar ki ho tu nikah nhi hota??

Answer: Nikah e mutah ki muddat waazih taur par muqarrar karna zaroori hai, aur agar waazih taur par muddat ko muqarrar kiye bager nikah e mutah ka seegha parha jaye to nikah e mutah baatil (Galat) hoga or koi sa bhe nikah nahe Hoga .yane na muta Hoga ,na daime Hoga .
Zarori hay ke Muta ki muddat zamane ke ahtebaar se is trah se muaiyan ki jaay ye muddat na zamane ke ziyada ka ahtemal(chance) de or na Kam ka ahtemal (chance) de. Yeni ye muddat is trah se Muaiyan kare k ye muddat zamane ke ahtebaar se se na ziyada hosakte ya Kam hosakte .( Is Bina per muta karne ki shoro ( starting) ki muddat or end kab Hoga is ko Saal ke ahtebaar se mahene ke ahtebaar se din ke ahtebaar se time ke ahtebaar se accurate moaiyan kia jaay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #243,245).
[Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print