Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Muta (273 Questions)


Showing 150- 200 questions from 273 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
101278
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-26

Question: Kya biwi ki bewa behan sa mutah karsaktey hain?

Answer: jab tak aap ki bivi aap k nikah men mojood hen tab tak aap apni saali se muta nahi ker sakte.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2355).
[Updated on 26-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101774
Mujtahid:
Ayatullah sestani Date:

Question: Assalam o alekum. Kya ese halat main muta jaiz hai k agar bv se kuch din ki narazgi ho magar miya bv ek hi sheher main rehty hain or shohor ki bv tak rasai mumkin hai magar shohor lazat ki khatir kisi larki se social media pe bat kre or phir lazzat hi ki khatir yani koi mohabbat ka chakkar nhi hai bus lazzat hasil krne k lye us larki se muta kre? Kya bv k hoty huey kisi dosri orat se muta karna jaiz hai?

Answer: Jee, is sorat mai bhi muta jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2385). Update on dated 13-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
102417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA Sir larki ka walid Zehni toor pay tk nahi tha walida nahi hain bhai b sarparsti say inkar krty thy Dada abu zinda nahi larki khud mukhtar khud kamati khud gher chalati tamam umoor khud dekhti or humy Har lehaz say humay yaqeen tha k hum Daimi nikah kr lyin gye hum ny socha k Gunah ki bajye ager seegah prh liya jaye to behter hai or hum ny mutah kr liya taqreeban kafi martba lekin ab wo khud larki gher walo ki majbori prr chup hai or iddat mai kisi or say nikah kr liya kia sahe hai hum kaai bar mutah mai humbistri kr chuky hain or last time say aik month baad nikah o gya hai kisi or k sath kia Nikah sahii hai

Answer: Jab muta ki muddat hambistari k baad khatam ho jaey ya baksh di jaey jab keh wo aurat 9 saal se kam ki bachi nah ho or nah hi yaeesa(jis ko umar ki ziydati ki wajah se haiz aana band ho gaya ho ), tu is per 2 mukammal haiz ki iddat hogoi. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#259)
Lahaza baghair iddat mukammal kiay kisi doosre mard se nikah karna jaiz nahi hay.

Print

Id:
102418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA Sir larki ka walid Zehni toor pay tk nahi tha walida nahi hain bhai b sarparsti say inkar krty thy Dada abu zinda nahi larki khud mukhtar khud kamati khud gher chalati tamam umoor khud dekhti or humy Har lehaz say humay yaqeen tha k hum Daimi nikah kr lyin gye hum ny socha k Gunah ki bajye ager seegah prh liya jaye to behter hai or hum ny mutah kr liya taqreeban kafi martba lekin ab wo khud larki gher walo ki majbori prr chup hai or iddat mai kisi or say nikah kr liya kia sahe hai hum kaai bar mutah mai humbistri kr chuky hain or last time say aik month baad nikah o gya hai kisi or k sath kia Nikah sahii hai

Answer: Jab muta ki muddat hambistari k baad khatam ho jaey ya baksh di jaey jab keh wo aurat 9 saal se kam ki bachi nah ho or nah hi yaeesa(jis ko umar ki ziydati ki wajah se haiz aana band ho gaya ho ), tu is per 2 mukammal haiz ki iddat hogoi. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#259)
Lahaza baghair iddat mukammal kiay kisi doosre mard se nikah karna jaiz nahi hay.

Print

Id:
102426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya aurat mutta nikah ko khatam kr sakti hai? Agar admi usay mutaah ka baqi waqat na bakhshna chahay aur aurat us nikah ko khatam karna chahay to usay kya karna chahiye?

Answer: Aurat muta ki muddat nahi baksh sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2473). Update on dated 13-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102472
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-03

Question: Salam! Sir Mera Yea Sawal Hai Kay Agar Larka Aur Larki Dono Khud-Mukhtar Hon Aur Shadi Ka Irada Rakhty Hon, Lakin Wo Dono Abi Ak Dusry Ko Mazeed Samjna Chahtay Hon (Kay Wo Dono Ak Dusry Kay Liye Perfect Hain Ya Nhi) Is Liye Larka Larki Ak Dusry Ko Achi Tarhan Janany Kay Liye Openly Ak Dusry Say Baat Karna Chahty Hon Lakin Bina Gunnah Mei Pary... To Kya Is Surat Mei Wo Dono Nikkah-e-Muta Kar Sackty Hain Ta-Kay Larka Larki Shadi Say Pehly Ak Dusry Ko Achi Tarhan Ak Dusry Say Openly Baat Kar Sacky Aur Wo Be Bina Gunah Mei Pary Jis Ki Waja Say Marriage Life Achi Ghuzry... Aap Kay Jawab Ka Muntazir Hu, Jizakallah Shukriya.

Answer: jee muttah kar saktay hai, lekin Wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali baap ya dada ki ijazat zaruri hai or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali baap ya dada ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.
(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla no #2385,2328,2335).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102640
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Kia bv ke saath hotay huay apni hamsai bewa muslim se mutah jaiz hy ??

Answer: agar iddat khatam ho gayi hai to jaiz hai. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla # 2365).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102657
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-19

Question: A man contracted temporary marriage with young virgin girl to become mahram of her mother and the condition was imposed by her father that there will be no sexual intercourse but his temporary wife can meet him alone. Can the husband derive other pleasures from her (kissing, hugging, oral sex etc)?

Answer: If the woman being temporary marriage is subject to the condition that the husband does not have intercourse with her and the condition imposed on her is valid and the husband can only receive other pleasure from her. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail , Law 2387).
[Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102712
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-28

Question: Mutta jo larkiyan pasy lay kar I asa Kam karti hai.par shahdi shuda hoo tu un se mutta ho sakta hai Kiya

Answer: jab tak aurat kisi k nikah men hay kisi or say nikah ya mutah nahi kr sakti hay or agar koe aurat zina main mashoor ho tu nikah ka sahi hone main ishkaal hay siwaey ye keh tauba kane k baad sahi hoga, lehaza ehtiyaat k taqazo ko tark nah kia jaey.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #2365, minhajus saliheen, jild#3, ayatullah sistani d.b,maslah#261).
[Updated on 28-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-31

Question: Mutah ki islam mai hesiyat btayen quran or hadis ki roshni mai . because jis sy mainy mutah krna hai woh iss bary mai puch rhi hai k kisi or book sy nhi blky quran or hadis ki roshni mai btayen .! So please can you tell me about that?? Thanks in advance!!!!

Answer: muta k tafseel k liay is link per click karain. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D9%86%DA%A9%D8%A7%D8%AD_%D9%85%D8%AA%D8%B9%DB%81)
[Updated on 31-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103038
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-11

Question: Q#1.Mainy muttah kiya tha phir koch larai k bd Meray shohar ny mjhy msg py gussay sy yh kaha k tm free hu meri trf sy , kiya aisy muttah khtum hu gya? Q#2. Agr khtum hu gya tu 4 months hu gya iss bt ko iddat b guzar gai, tu kiya usi shaks sy iddat khtum hunay k bd b dubara muttah ya permanent nikkah krr skti? please iss question ko publicly mt kriya ga.

Answer: Ans.1- Jee nahi , kyun keh agar koi shaks shadeed ghussay k alam me muddat bakshe to ye qabil e qabool nahi hogi.
Ans.2- Kyun keh muttah khatam nahi hua hai lihaza agar apki muttah ka time period jo decide kiya tha khatam ho gaya ho in 4 months mein to jis din se khatam hua hai us din se iddat shuru hogi, agar humbistri hui ho to, aur agar humbistri na hui ho to iddat nahi guzarni paregi, aur agar ab tak muttah ka time period jo decided tha pora nahi hua hai to pehle us time period ko jo bach gaya hai bakshwana parega aur jab baksh de tab apko iddat guzarni hogi agar humbistri hui hai aur agar humbistri nahi hui hai to nahi guzarni hogi.
( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masla no 2392, (Mafhoom e Maslah) ).
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103355
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: salam mera sawal yeh hain main ik larki se pyr karta jo ka virgin and wo be moj se pyr karte hm dono matya kar sekhty hai kya.. alsyai ka hm jo bate karte hai aska gunh na ho ya koi or kaam hojye oska gunh hme na mile.....

Answer: wsalam.jee mutaa agar mukammal sharait k saath kia jaaye tou mutaa durust hoga.lekin mutaa ki chand sharait hain jese k larka or larki dono raazi ho.or agar larki kunwari ho tu larki k wali ( yani baap ya dada) ki ijaazat ho,seeghay sahi parhay jaaye wagera....(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103591
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-02-11

Question: AoA Kya Kisi esi orat k sath muttah jaiz hy Jo baiwa hy, apnay ghar mn apnay bchoon k sath rahti hy lakin muttah ko apnay bchoon sy posheeda rkhna chahti hy or humbistri k liay sirf din k okat chahti hy jb bchay ghar na hoon, muttah Ka seegha prh kr apna relation Pak rkhna chahti hy

Answer: Jee haan, baiwa ourat say muttah jaiz hay....((Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2342).
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-13

Question: Don't show it publicly Asslamo Allaikum, Ap sy pehly b sari btt Hui thi Meri, 2.5 saal hu gya muttah ko, Sb Koch hu Chuka hai ,jis larky sy muttah Kiya usny yhi btya k wali ki ijazat zruri hai lkin agr lrki akl rkhti hu tu Wu khud muttah krr skti hai . Ab us lrkay ki phopo alima hai un tk jb sb gya Wu kehti k yh muttah hi nai hua, sb Haram tha sb najaiz Kiya hai q k wali ki ijazat nai li ,

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Or nikah k seeghay sahi arabic mai parhe jain or nikah ki deegar sharait moujood hai tou nikah durust hoga. (ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341).
[Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104088
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Shadi shuda eesai lrki se mutta ho skta hai

Answer: jab tak aurat kisi k nikah men ho kisi or say nikah ya mutah nahi kr sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #2365, minhajus saliheen, jild#3, ayatullah sistani d.b,maslah#261)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-09

Question: Assalam O Alaikum YAA ALI A.S MADAD Kiya aik hee shaks se dubara mutta Kiya ja skta Hai k aik bar khatam kar K 3 month K andar dubara agr Ussi shaks se mutta krna chahen to hoskta hai

Answer: Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396)
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-27

Question: Ma ye puchna chahti hun k mry lye mutta ka kya hukam ha, ma syedzadi hun or hmara rishta ho chuka larky larki ka hum milna chahty ghr walo ko boht kaha hmara nikah kr dy, but wo kehty k shadi waly din kry shadi sal bad hona qarar pai ha ab hum milna chahty or gunah b nai krna chahty kya hum mutta kr skty or kis trah dosri bt ma larki hun or mry father or grandfather b nai ha to mry lye kya hukam ha plzzz ans soon???

Answer: Agar baap aur dada dono mar chukay hon to larki ka wali koi nahi hai aur mikah k lie kisi se ijazat ki zaroorat nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 141,pg # 69)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2342)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108009
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: Salamun alaikum Ek ladki se me pyar krta hun aur dono shadi bhi krenge uske papa ne bhi mujhe dekh rakha hai aur papa ko bhi pata hai ham bat krte hai unhone permission bhi di hai tu yeh hamare liye jaiz hai aur agar jaiz hai tu ham muttah kr skte hai jab papa ko pata hi hai bina unki permission liye

Answer: wsalam. kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os ka muta k liye baap ya dada ki ijazat ka hona zaroori hai un ki ijazat k bagahir mutaa durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108578
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-26

Question: Kanwari larki k sath mota jaiz Hai agr uski maa or bap razi hn tu

Answer: jee bilkul agar wo larki khud raazi hai or us ka baap bhi raazi hai or deegar tamaam sharait poori hai tou muta hosakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335-2341).
[Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110230
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kaya mohrram main mutta Kar sakte hai

Answer: agar tamaam sharait poori hon tou bazat e khud mutta karne mai koi harj nahi hai.
شادی بیاہ ،گھر تبدیل کرنا اور اس طرح کے کام کرنا محرم ،یا سفر یا اماموں(یا اہل بیت ) کی شہادتوں کے ایام میں شرعاً حرام نہیں ہیں جب تک کہ ان سے ایام عزاء کی ہتک حرمت نہ ہوتی ہو(اور اگر ان ایام کی ہتک حرمت ہوتی ہو تو یہ کام جائز نہیں ہونگے ) جیسا کہ روزعاشوراء خوشیاں منانا اور زیب و آرائیش کرنا،البتہ مناسب(بہتر ) یہ ہے کہ انسان اہل بیتؑ کے ایام مصیبت میں ان کاموں کی انجام دہی سے اجتناب کرے کہ جو کام عام طور پر وہ اپنے احباب کی مصیبت میں بھی انجام نہیں دیتا مگر یہ کے عرفاً ضروری کام ہو
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,sistani.org ,urdu,topic shaaere hussainia, sawaal no:1)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110299
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-09

Question: Mera sawal yey hai keu mei ek larki ko pasand kerta tha. Wo. Shadi shuda thi.. But mei ne us se mutah ker lia or hum relationship mein they. Hum bister they. Us ka Mia do sal. Se bahar hai. Ab wo talaq le rahi hai us se. Kia mei us se shadi ker sakta hu. Please tell me us ki talaq ke bad kia mei us se shadi ker sakta hu

Answer: Aap ne jo muta kiya hai wo jaiz nahi hai Q ke Shadi shuda aurat se nikah karna haram hai, chahe nikah daimi ho ya mutah ho, aap k zaroori hai aap us aurat se juda ho jayen aur bad me bhi ehtiyaat e wajib ki bina us se nikah nah karen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366).
[Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110363
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-10-19

Question: How do me do mutah

Answer: 1)Nikah chahe daimi ho ya ghair daimi (yani muta) is main seegha (nikah k bool (alfaz) perhna zarori hay, aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah faqat (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hai, Aqd e nikah ki khuch shartain hain jin me se khuch ye hain k:- 1-Ehtiyaat e wajib he k nikah ka seeghah sahi arabi me parha jaey,or agar khud mard or aurat sighah arabi men na perh saktay hoon tu arabi k Alawa kisi dosri zaban main parh saktay hain or kisi ko vakil banana lazimi nahi hay. 2- sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3- Merd or aurat or uska vakil sighah parhte waqt qasd e insha (nikah ka irada) rakhte hon. Or wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.
2)Gher Daaimi Aqad (Mutta) wo nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan hoti hai, Misaal.. orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziayada muddat k liay aqad kiya jaey, lekin is nikah ki muddat orat or mard ki dono men se ek ki aam umar se ziyada nahi honi chahiye q k is surat men nikah (mutta) batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after the masla no # 2328,2335).
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110400
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-10-14

Question: hmare mazhab mai mutah jaiz hai ke nahi jab rasool Allah or molaali a.s ne jang e khaiber mai mutah ko khatam kar diya tha to mutah ko kiun jaiz qarar diya gaya?

Answer: Islam main Muta jaiz hai or sharee haisiyat rakhta hai, or Rasool Akram (s.a.w.w) k zamane men raaij tha (or Rasool Allah ne APne zindaghe me khatam nahe kia tha ,or ahele bait ka ittefaaq hay ke muta jaaiz hay or ahele suunnat ki books me ye baat moujood hay ke muta Rasool allah ke door me kia ashaabe Rasool karte the or kalifa awaal ke door me bhe muta jaaiz tha phir kalifa sani ummar ne is muta ko Haram kia ye khe kar ke muta Rasool Allah ke zamane me jaiz tha me is ko haraam karta Hoon (ref.taareekhe kulafaa,allama jalaluddeen suyuti) or Quraan majeed men Bhi Surah Nisa Ki Ayat#24 men zikr mojood hai.(Ref: Tafseer e Namoona Vol # 03, Pg # 241-242-243).
[Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-07

Question: Asalam o alikum sir Suni larke sae mutta kia jasakta hy??

Answer: Jab tak Sunni larka Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhe tab tak kisi sunni larke k liay Nikah e muta sahi nahi hoga. (Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110577
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-21

Question: Kia larki shadi shuda hone k bawajood kisi dusre shadi shuda larke se mutah krskti Hy?

Answer: Jee nahi ye haraam hai or is tarah muta nahi ho sakta. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2366).
[Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-07

Question: Muta k bari mi aj k zamani mi kya hokm hi. 2.Aur mutaa hota kya hi.3. E jaiz hi k nahe pakistan mi according to rehbar

Answer: Islam main Muta jaiz hai or sharee haisiyat rakhta hai, or Rasool Akram (s.a.w.w) k zamane men raaij tha or Quraan majeed men Bhi Surah Nisa Ki Ayat#24 men zikr mojood hai.(Ref: Tafseer e Namoona Vol # 03, Pg # 241-242-243).
2)Nikah ki do qismein hein. 1:Daimi (yani hamesha ke liye nikah) 2: ghair e daimi (yani muqarrah waqt k lie nikah) Nikah e daimi usay kehte hein jis mein nikah ki muddat moay’yan na ho aur wo hamesha k liay ho aur jis aurt se nikah e daimi kia jaay usay daima kehte hein. Ghair e daimi nikah wo nikah he jis mein nikah ki muddat moay’yan ho misal ke tor par aurat k saath aik din ya aik ghante ya aik mahinay ya is se ziada muddat k lie bhi nikah kia jata hay.(Ref: Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail Urdu, maslah# 2328 ke upar ka paragraph pg # 357).
[Updated on 07-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-13

Question: Kia mutta me Muddat(tenure) ko bakhshne k baad iddat k duran Rujooh kiya jasakta hai? Means mutta ki muddat puri nahi hoe, laiken larke ne narazgi me larki ko muddat bakhsh di, ab wou rujooh krna chahte hai, aur abhi iddat baaki hai, tou kia rujooh krskte hai?

Answer: muta me koi talaaq nahe hote or is me aurat or mard ke darmiyaaan muta wala riashta khatam hojata hay do me se kise aik cheez ke zarie se ya tu muta ki muddat khatam hojaae ya msard ,aurat ko muta ki baaqe maanda muddat maaf ka de . muta me aurat ki muta ki iddat ke duraan mard ko ruju karne ka haqq hasil nahe hota ( yane mard muta ki iddat ke duraain muta wale aurat se ruju kar ke use dobara apne biwe nahe banasakta ) . (Ref:Minhaaj us Saliheen Aqa .Sistani Part-3,pg:83, Masala No:252),Mard ye kar sakta hay kay jis aurat kay saath is nay pehlay muta kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na hoi ho,us say daaimi aqd kar lay ya dobara muta kar lay,laikin agar muta ki muddat mukammal nahi hoi hay aur wohi shakhs is aurat kay saath daimi nikah parhay to ye nikah batil hay,laikin ye kar sakta hay kay baqi manda muddat usay bakhsh day aur is kay baad aqd-e-damimi karay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.365..

[Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110672
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-06

Question: salam ....oulad krne k lye mard ksi ourat se mutah krskta bivi k hotey hoe

Answer: Jee han,mard kise musalmaan aurat se muta kiya jasakta hai, Nikah ki do qismein hein. 1:Daimi (yani hamesha ke liye nikah) 2: ghair e daimi (yani muqarrah waqt k lie nikah) Aur Nikah e daimi usay kehte hein jis mein nikah ki muddat moayyan na ho aur wo hamesha k liay hota hai, aur jis aurt se nikah e daimi kia jaay usay daima kehte hein. Ghair e daimi nikah wo nikah he jis mein nikah ki muddat moayyan ho misal ke tor par aurat k saath aik din ya aik ghante ya aik mahinay ya is se ziada muddat k lie bhi nikah kia jata hay, jab aurat se nikah e ghair e daimi kia jaay usay mutaa kehtay hain. Nikah ke liye larkay ko apne ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahi hai lekin kunwari larki ko apne wali yani (baap ya dada) sai ijaazat lena zaroori hai, larki ke baap ya dada se ijazat liye bager larki se nikah e daaimi ya ghair e daaimi nahin kiya jasakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah #2328,2388,2341,2342).
[Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110710
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-09-29

Question: ASalaam O alikum dear, Mujy muta k bare me bta de Ye kia Hai. Kia larki sy 2 months kelye muta Kia ja skta hy. Agr larke k waldain khosh nae to phr muta Kia ja skta hy.. Agr 2 month bad larke pregnant ho jaen to bachy pr kis ka Haq hay? Kia hum muta ko chupa skty hy Sb sy??

Answer: 1)Islam main Muta jaiz hai or sharee haisiyat rakhta hai, or Rasool Akram (s.a.w.w) k zamane men raaij tha or Quraan majeed men Bhi Surah Nisa Ki Ayat#24 men zikr mojood hai.(Ref: Tafseer e Namoona Vol # 03, Pg # 241-242-243).
2)Nikah ki do qismein hein. 1:Daimi (yani hamesha ke liye nikah) 2: ghair e daimi (yani muqarrah waqt k lie nikah) Aur Nikah e daimi usay kehte hein jis mein nikah ki muddat moayyan na ho aur wo hamesha k liay hota hai, aur jis aurt se nikah e daimi kia jaay usay daima kehte hein. Ghair e daimi nikah wo nikah he jis mein nikah ki muddat moayyan ho misal ke tor par aurat k saath aik din ya aik ghante ya aik mahinay ya is se ziada muddat k lie bhi nikah kia jata hay, jab aurat se nikah e ghair e daimi kia jaay usay mutaa kehtay hain.(Ref: Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail Urdu, maslah# 2328 ke upar ka paragraph pg # 357).
3)Nikah ke liye larkay ko apne ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahi hai lekin kunwari larki ko apne wali yani (baap ya dada) sai ijaazat lena zaroori hai, larki ke baap ya dada se ijazat liye bager larki se nikah e daaimi ya ghair e daaimi
nahin kiya jasakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah #2341).
4) Aulad ko palna or os ki tarbiyat karna maan or baap dono ki zimedaari hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#401).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110748
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-03

Question: Mera zimni sawal Ye Hai Keh Kia Ghar walon ki ijazat k baghair me or larki mutta kr skty Hai??? Suppose Agr mutta waldain ki baghair murzi k ho jaen to Ye jaiz hy ya zinna hy??? 2.kia Jb aik aurat sy zinna marzi sy ho jaen to Wu larki maaf kr skti hy? Agr Nahe to phr Kia hukam hy

Answer: 1)Larka apnay wali (yani baap ya dada) ki ijazat k bagair shadi kar sakta hai laikin kunwari (virgin) larki jo khudd mukhtaar nah ho os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. ( or larki ke walid ya dada ki ijazat ke begaire nikha ya muta galat hoga) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342).
2)Zina karna haraam or gunahan e kabeera mai sai hai. agar zina dono ki marzi se howa hai to larki se maafi magne zaroorat nahin hai lekin parwardigar se Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada kia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30),(ref : website ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=864 )
[Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110978
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Sunni bewa aurat se mutta kis Tarah Kiya ja sakhta hai.

Answer: 1)Nikah chahe daimi ho ya ghair daimi (yani muta) is main seegha (nikah k bool (alfaz) perhna zarori hay, aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah faqat (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hai, Aqd e nikah ki khuch shartain hain jin me se khuch ye hain k:- 1-Ehtiyaat e wajib he k nikah ka seeghah sahi arabi me parha jaey,or agar khud mard or aurat sighah arabi men na perh saktay hoon tu arabi k Alawa kisi dosri zaban main parh saktay hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi hay. 2- sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3- Merd or aurat or uska wakeel sighah parhte waqt qasd e insha (nikah ka irada) rakhte hon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335).
2)Gher Daaimi Aqad (Mutta) wo nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan hoti hai, Misaal.. orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziayada muddat k liay aqad kiya jaey, lekin is nikah ki muddat orat or mard ki dono men se ek ki aam umar se ziyada nahi honi chahiye q k is surat men nikah (mutta) batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after the masla # 2328).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Agr larki ko pata hai k baap ijazat bilkul nhi dega mutte k liye, is liye ijazat na le or mutta kre, to kiya mutta batil hai?

Answer: Mutaa durust nahi hoga Q k aisi kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho osay nikah k liye apne wali(Baap ya dada) ki ijaazat lena zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-03

Question: آغا زنا جیسے گناہ سے بچنے کا واحد رستہ متعہ یا نکاح اس وقت حالات کی وجہ سے نکاح نہیں کر سکتا اور متعہ کے لیے کسی بیوہ یا طلاق یافتہ خاتون کو نہیں جانتا اگر ممکن ہے تو کسی بیوہ یا طلاق یافتہ عورت سے رابطہ کروا دیں جو خود بھی گناہ سے بچے اور میں بھی اپنے دامن کو زنا جیسے گناہ سے بچا سکوں آپکا ممنون و مشکور

Answer: 1- Zina gunah e kabeera hay aur is se bachna lazim hai.(Ref: Ayat ullah seestani d b minhaajus saliheen, part#1 mafhoom e maslah#30, eidition 1439).
2- Shaitani ki farebi se bachne ke liye koshish karain k aap khud ko dosre mufeed kaamo main masroof rakhen jaisay khail, perhae, waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain. or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or allah ki na fermani ker rahay hain or hamaisha yaad rakhain k allah aap ko har waqt daikh raha hay.(Ref: mafhoom e e mail rcvd from a sistani d b).
[Updated on 03-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111365
Mujtahid:
Ayatullah syed Ali khamnai Date: 2020-11-05

Question: Salam mujh ye jana ha k kia mutah ki muddat k bad larki ka iddat krna lazmi ha jab k us ka apny shohar k sath koi physical relationship nahi hoa siway externally romance k ilawa koi

Answer: Agar nikah daaimi (yani hamesha ka nikah) ya gaire daaimi (yani mutah) k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai. aur Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi.(Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 2475.
[Updated on 05-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111516
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-28

Question: Ager maa bety se muttah khtam kerne ko boly to bety kya kerien beta apni permanent nikah wali biwi k saath rehta hai or muttah b kisi se kiya hai agr maa khtam kerne ko bolay to beta kya kery?

Answer: Is maamlay mai parents ki baat manna zarori nahi hai, Aur Mutta khatam karne ke liye kisi ko majboor nahin kiya ja sakta. aur muta ki muddat poori honay say muta khud ba khud khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf karta hay to muta khatam ho jaata hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03, Mafhoom e Maslah #575 ).



[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111532
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-27

Question: Mutah mein agr admi gusse se bol dy k mere se baat krne ki need nhi,jese mian bv k jhagrhe hotey.kya is se nikah khtm jo jy ga

Answer: Jee nahin is tarah se nikah e muta khatam nahin hota. balke muta ki muddat khatam hone se ya muddat baksh dene se nikah e muta khatam ho jata hai. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Minhajus saliheen, part#3, maslah #252)
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111548
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-19

Question: Kya shohar biwi ke hotay mutaha kar sakta hai kisi dusre larki se

Answer: Jee han, Is surat main bhi shohar kisi aur se muta kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, mafhoom e maslah #2335)
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111575
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-20

Question: Salam alaikum Qibla kya mutah jayez he agar he to ishe karne ka tarika kya ...qibla plz answer

Answer: Jee han, mutah karna jaiz hai, Nikah e Muta ka wohi tareeka hai jo daaimi (permanent nikah) ka hota, Albatta is men ye zaruri hai k nikah se pehle Muta ki muddat (time period) or Haq e Meher taey kerna hoga, or muta k seghe perhe jain Or Nikah me ghawahon ki zarorat nahi hoti hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2333-34-35).(Note: Muta ki mazeed malomaat k liay is link per click karain). https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%DA%A9%D8%A7%D8%AD_%D9%85%D8%AA%D8%B9%DB%81
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111750
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Mai Aik larki se muta karna chahta hoo Wo hasaii larki hai Aur Wo spa massage mai Kam karti hai agar Wo passy lay kar muj se Muta karne k liyeh tiyar hoo jaee tu Kiya mai kar sakta ho us se plz thanks

Answer: Yahodi or essae aurtoon se muta karne main koe haraj nahi or ehtiyaat e lazim ki bina per on se aqd e daaimi nah kia jaey. Wo mard jis ki bivi musalman ho woo s ki ijazat k baghair yahodi ya essa e se nikah (muaqqat yani muta) nahi kar sakta balkeh ehtiyaat e wajib ki bina per os(bivi) ki ijazat say bhi in se nikah(muaqqat yani muta) jaiz nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2362).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111762
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date: 2021-11-29

Question: Salam. Mri aik shakhs sy Nisbat teh hai likin situation ki waja sy shadi me dair hai q k wo Dosry mulk h to kuch masail me apny mulk jaldi ana bohat mushkil hai. Hum dono Balig hai aur umar 30 k kareeb hai.hamari rozana bat hoti hai. To kya hum Nikah k muta kr sakty hain gunaah ay bachny k lye. Me aik khud mukhtar larki ho apny aur ghar k akhrajat me hi uthati hon. Likin Mery walid ahly sunnat hain. To kya unki ijazat k bighair hum nikah muta kr sakty hain q k me khud mukhtar hon. Aur walid ahly sunnat sy hain to nikah muta k bary me unki raye alag hai. Is bary mein kya hukum hai.

Answer: Baap ya dada me se kisi aik se ijazat laina hogi q k kunwari lerki os waqt tak mutah nahi ker sakti jab tak k lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dain or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtaar ho or baligh bhi ho. (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah#2341, 2342).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111872
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: سلام ایک نامحرم عورت جو گھر میں بھی رھتی ھو اور اس کو ادھر ادھر جاب کے لیے بھی چھوڑنا ھو اس کی مجبوری کی وجہ سے کے کوی اور حل نئ تو اس سے نکاح متعہ صرف محرم کرنے کی نئت سے کے کوی گناہ نا ھو جاے کر سکتے ھیں جیسے بات کرتے انے جانے کے لیے بایک پر

Answer: Is surat men bhi larki say mutah kiya jasakta hai. Lekin Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi ya mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay lekin aghr baap ya dada na ho to kisi sy ijazat lena zarori nahi hy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111883
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Slam. I am 39 year old professionally dental surgeon having a permanent wife of 30 year with one kid. A lady age 40 is working with me in my dental clinic for the last 9 years as dental technician. She belong to sunni family but when she started working with me and got intrest in fiqa jaferia as my office is full of shia books..she studied throughly and ultimately accepted fiqa jaferia.now she is a practicaly a shia lady..her family oppose him on being a shia .she did not want to marry in sunni family so she decided to marry with me temporarily (nikahe mawaqat) and with me in relation for last 5 years.(her father and grandfather r not alive). She is in mutah with me secretly but she told her family with that she married with dr sab permanently as sunni family will not accept mutah marriage. Now she is intrested to recite seegha permanetly. On the other hand when it came to the knowledge of my ist wife she started to oppose and asked me to discard relation. I dnt want to dicard relation on the basis of following: 1: her age is 40 year. Dependent on my clinic and supporting his family. 2: she is converted from sunni to shia and want relation with me. 3:she told me that i will not do nikah with any one in remaining life if u will discard relation 4: she explained me that if i discard mutah my family may blam on my fiqa as they dnt believe on mutah marriage. On these basis a-)should i continue or discard mutah marriage on the opposition of my 1st wife. b-)should i convert tempory marriage in to permanent marriage c-)should i continue nikah mutah..as it is acceptable to my 1st wife to some extent with limitations. Pl guide me ..aur batain k kahin ma kisi option ma gunagar to ne hon ga.

Answer: Aik musalmaan bivi ko apne shohar ko 2nd shadi karne se nahi rookna chahiye kun ke Riwayat ki roshni main mard ka aik se ziyada shadiyan karna Allah Taala ko pasand hai). (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69), (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 215).
Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. lekin agar mutah ki muddat mukammal nahin hoi hai aur wohi shakhs us aurat se ke sath daaimi nikah parhe to nikah batil hai. lekin ye kar sakta hai k baqi mandah muddat use bakhshe aur is ke bad daaimi nikah kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani, edition 41st, maslah #2396).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111890
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-09

Question: Slam. I am 39 year old professionally dental surgeon having a permanent wife of 30 year with one kid. A lady age 40 is working with me in my dental clinic for the last 9 years as dental technician. She belong to sunni family but when she started working with me and got intrest in fiqa jaferia as my office is full of shia books..she studied throughly and ultimately accepted fiqa jaferia.now she is a practicaly a shia lady..her family oppose him on being a shia .she did not want to marry in sunni family so she decided to marry with me temporarily (nikahe mawaqat) and with me in relation for last 5 years.(her father and grandfather r not alive). She is in mutah with me secretly but she told her family with that she married with dr sab permanently as sunni family will not accept mutah marriage. Now she is intrested to recite seegha permanetly. On the other hand when it came to the knowledge of my ist wife she started to oppose and asked me to discard relation. I dnt want to dicard relation on the basis of following: 1: her age is 40 year. Dependent on my clinic and supporting his family. 2: she is converted from sunni to shia and want relation with me. 3:she told me that i will not do nikah with any one in remaining life if u will discard relation 4: she explained me that if i discard mutah my family may blam on my fiqa as they dnt believe on mutah marriage. On these basis a-)should i continue or discard mutah marriage on the opposition of my 1st wife. b-)should i convert tempory marriage in to permanent marriage c-)should i continue nikah mutah..as it is acceptable to my 1st wife to some extent with limitations. Pl guide me ..aur batain k kahin ma kisi option ma gunagar to ne hon ga.

Answer: a- It is lawful for you to continue or discard mutah marriage.
b- It is lawful for you to convert temporary marriage in to permanent marriage.
c- It is lawful for you to continue mutah marriage. [
Note: All of option is lawful for you. It is only advise for you, do not discard muta, if you can continue muta then let to continue. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2385-2396). Updated on 09-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111963
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-11

Question: Kia shohar biwi ke hotay aur os say azwagi taluk rakhtay huway kisi dusre larki say mutah kar sakta ha mujhy is pe details chahiya

Answer: Jee mard k liye jaaiz hai k wo doosra daimi nikah ya ghair daimmi nikah karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 mafhoom e maslah 2381).
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112156
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Salam, Muttah me mard aur aurat ki physical relation ki minimum lazmi limits kya hain?

Answer: Mutah mai ehtiyat e wajib ki bina par shohar jawan biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2386).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112237
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Is it permissible to do mutah with a prostitute who is not famous in this act (prostitution)if yes then what are the conditions like is it obligatory to took permission from the father of unmarried prostitute?

Answer: 1: Zina kerne wali aurat k sath muta jaiz hay, laikin jab wo zina main mashhoor ho tu ehtiyaat e lazim ye hay k os se oski tauba k se pehle muta nah kia jaey. (Ref: Ayatallah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Eidition 1427 hij, Mafhoom e Maslah #261).
2: Agar larki Kunwari(virgin) ho to us se os waqt tak nikah(daimi ya mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kanwari hi kehlaay gi. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 2341,2342) )(Ref: sistani.org, arbi )
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112421
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-09

Question: Nikah muta kia h? Or kiun hota h? Iske kiya faide he or kia nuksanat?

Answer: Nikah e muta aarzi or mauayyan waqt k liay hota hay. or ye muqarrar shuda waqt per khud bakhhhud khatam ho jaata hay. Is k bohot se faide hain laikin nuqasanaat nahi hain. Ye bhi nikah hi ki aik qisim hay.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%DA%A9%D8%A7%D8%AD_%D9%85%D8%AA%D8%B9%DB%81#.D9.86.DA.A9.D8.A7.D8.AD_.D9.85.D8.AA.D8.B9.DB.81.D8.8C_.D8.A7.DB.8C.D8.B1.D8.A7.D9.86_.DA.A9.DB.92_.D9.85.D8.AF.D9.86.DB.8C_.D9.82.D8.A7.D9.86.D9.88.D9.86_.D9.85.DB.8C.DA.BA).
[Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112578
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-18

Question: Kia mutah marriage time sa phaly khatam ho Sakti ha

Answer: Jee agar us muddat sai pehle shohar apni biwi ko keh de k mai ne baqaya muddat tum ko baksh di tou ye mutta khatama hojaaye ga or dono aapas mai na mehram ho jaaye gay.(Ref:Tauzzeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2396).
[Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112615
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Kya Khula shuda ya talak yafta larki se mota kiya jasakta hai jab k mard shadi shuda hai or jis se wo mota karna chahta hai uski aulad bhi hai

Answer: Jee han, mutah karna jaiz hai, Nikah e Mutah ka wohi tareeka hai jo daaimi (permanent nikah) ka hota, Albatta is men ye zaroori hai k nikah se pehle Muta ki muddat(time period) mauyan ki jaye or Meher bh tay kia jaye, or muta k seghe perhe jain Or Nikah me ghawahon ki zarorat nahi hoti hay.
(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah # 2333 se 3335)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Assalam o alaikum. Aaqa me ye puchna chahti hun k agar mutta baghair muddat teh kiye Kar liya jaye to kya hota hay?

Answer: Nikah Muttah parhne se pehle waazih taur par Muttah ki muddat or Mehar te karena zaroori hai. pas agar Muttah ki muddat aur mehar te na kiye jayen to Nikah e Muttah batil hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 42, Mafhoom e Maslah #2334,2335).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print