Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Pregnancy (115 Questions)


Showing 0- 50 questions from 115 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1223
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-o-Alaikum, Agha Shab I want to know that: If Pregnant woman want to know the gender (Sex) of child that she have a boy or girl before delivery and because of this she did ultrasound and knows that. Is this OK?

Answer: Jee haan bazat-e-Khud ye JAIZ hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-17.

Print

Id:
1432
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya wife pregnant ho to us kay saath hambistari ke jasakti hay?aur kuch log kehtay hain kay 7 month start honay say delivery kay 40 days baad tak wife kay saath hambistari nahi karni chahiye.. kiya ye baat theek hay ?

Answer: dauran-e-hamal (during pregnancy) mein jima karna jaiz hai, chahey koi sa bhi mahina ho. aur bachay ki wiladat kay baad jab nifaas ka khoon (blood) band ho jai to jima karna jaiz hai. aur agar khoon 10 din se ziyada jari rahay to yeh khoon-e-haiz ki tarha hoga. yanay agar is ki haiz ki adat kay ayyaam maslan (for eg.) 7 days hain to 7 days tak nifaas shumaar hoga. aur baqya dino kay liyay tafseeli kitab mein "istehaza" ke ehkaam ki taraf ruju karain.aur agar yeh khoon 10 days se ziyada nahi aae to phir yeh poora nifaas shumaar hoga. REF: A.Sistani, www.sistani.org, chapter: jima, Q: 5+25.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam.. During the pregenency intercourse Jaiz hai.?

Answer: jaiz hai.
REF: www.sistani.org, arabic istiftaat, jima, Q:5.

Print

Id:
2962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia emedden isqate hamel karana jaiz hai or is kia kafara hai? bahalatay majbore k nazeryay say bhe roshnee daliay.

Answer: Jee nahi,qarar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k keh hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachchay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Aur agar maa khud bachay ko zaya karay to o ski diyat sohar ya doosray warsa ko de. Aur agar bap hamal zaya karay to zurari he k maa ko diyat de(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3336
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: jab bewi pragnet ho jay to hamal thar jane ke bad kab se kab tak uss ke sath sex ker sakte hai?????????

Answer: Jab biwi hamila ho to wazu kar k hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3,masla # 5)
Albetta bachay k pate se bahir aanay k waqt se 10 din tak jo blood aata he os ko nifas kahtay hein aur in 10 dinoo me jima karna haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 504) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4327
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: meri pregnancy ko ek month guzerne k baad mein ne ramazan k 11 rozey bhi rukhe hai or 11 rozey k akhir mein aa ker achanak mujhe mamooli si bleeding hui kiya jab oarat ko hamal taher jai to roza rukhna theek hai kj k buche ko khooraak to chahiye hoti hai us k baad se 6 ghenty guzar gaye hai bleeding nhi hui kiya mein roza baad mein rukhoon ager hamal zaya nhua ho to???? Please i am so much worried about that mere is se pehle b 2 hamal zaya ho chuke hai or mere 2 buche b hai mujhe bataye k kiya karoon????????

Answer: Jis aurat k waza e hamal ka waqt qareeb ho is ka roza rakhna khud us k lie ya us k honay walay bache k lie muzir ho us per roza wajib nahi he aur zarori he k har din k aywaz aik mud ta,aam(khana) faqeer ko de aur zarori he k donoo soortoon me jo rozay na rakhe hoon us ki qaza baja laay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1699) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5951
Mujtahid:
sistani Date:

Question: salam hamul ke doran agr maan aor bacha dono ki jan khatre ma ho to is surat ma kis ko bachana wajib aor kis ko bachana wjib nhe he......

Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay magar ye khof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi k lie nuqsandah to hamal mai agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal mai jan parnay k baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, jaded masail, masla # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6191
Mujtahid:
Date:

Question: kya aborsion karna jayez hai? agar hai tou kis surat main?

Answer: Hamal girana(Abortion) jaiz nahi hay, agar hamal k baqi rehne se aurat ki zindagi ko khatra ho ya na-qabil e berdaasth zehmat hogi tu agar hamal main rooh nah aae ho tu hamal girana jaiz hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6897
Mujtahid:
Date:

Question: jab bivi pergnent hoti hai to shoher ko kab jana huta hai hum bistari ka liya ka intazar karna huta hy 9 month.

Answer: Jab biwi hamila ho to wazu kar k hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3,masla # 5)
Note : albetta is masla me doctor se bhi rajoe kar lia jay.

Print

Id:
7512
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: AoA Hamal sy biwi ho to bk tk hm hambistri kar sakhty hain?

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504).
Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9032
Mujtahid:
Date:

Question: aslamaulaikum, keya family palnning karna jaiz hay ya nahi....aur yeah bhi kay aj kal jab aurat pregnent hoti hay to 6 month main yeah bataya jata hay kay baby girl hay ya boy..keya yeah jaiz hay,kuin kay jsi cheez ka alim allha ko hay wo aj kal hamray docters khoob anjam day rahy hain....

Answer: Orat k liye hamal ko rakne men aysi dawaon ka istamal krna jaiz hia jo ziyada nuqsandah na ho agrche uska shohr razi na ho mgr ye k us dawaon ka istamal mard k kisi shar`ee haq k manafi ho to phir jaiz nahi hai lekin agr nutfa thehr jaye to us k bad isqat-e-hamal krna jaiz nahi hai lekin agr khoaf ho k hamal ka baqi rakhn a orat ki zindagi k nliye nuqsanda hai ya na-qabil brdasht hai harj ka baais hai to agr hamal men jan na parri ho to isqat jaiz hai lekin hamal men jan parne k bad bache ka zaya krna hargiz jaiz nahi hai or agr maa khud bache ko zaya krde to uski diyat maa pr wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1436)

Print

Id:
9106
Mujtahid:
Date:

Question: Meri bivi pregant hai. 6 mahine ka bachha hai. Kya hum daily sex kar sakte hai?

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay , khaas tor per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504, 2382).

Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9119
Mujtahid:
Date:

Question: apni biwi k haml k 6 month k bad mubeshrat jaiz he

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay , khaas tor per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504, 2382).

Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9856
Mujtahid:
Date:

Question: kia shohar apni hamla biwi ko 4 month male sex ker skta hae

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504).

Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9858
Mujtahid:
hamal Date:

Question: bivi kai saath hamal li waqi sex karna chahey ya nahe

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Intercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504).

Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10497
Mujtahid:
Date:

Question: pregnancy mn kb tk humbistri kr sakty hn islam ki roshni mn

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Intercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay , khaas tor per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504, 2382).

Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12348
Mujtahid:
Date:

Question: kiya ek or do month ka bivi hamal girane ka kiya kuffar hai meri bivi ka two month ka hamal gira diya tha is ka kiya kuffar hai quran of hadish ki roshni me jawab de aap ki bari meharbani hogi

Answer: 1- Agar hamal ko maan ne saaqit(abortion ) ki ho tu maan par wajib hay k wo diyat ko bachay k baap ya dosray wariseen ko day or agar baap hamal ko zaya ker day tu zarori hay k wo bachay ki maan ko diyat day or agar hamal ko doctor ne saaqit kia ho tu zarori hay k wo bachay k wariseen ko diyat day siwaay ye k wariseen osay diyat maaf ker dain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, Jaded masa,il maslah# 73)
2- Rooh poonkhnay k baad bachay ki diyat 525 misqaal chandi hay chahay lerhka ho ya lerhki or yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina par hay jabkeh janeen(wo bacha jo maan k pait main ho) murda halat main kharij hoa ho.Rooh poonkhne se pehlay ki diyat agar nutfa(semen) ho tu 105 misqal chandi hay.Agar alaqa ho tu diyat 210 misqal chandi hay. Agar gosht ka tukrha hu tu diyat 315 misqal chandi hay or agar haddi ban ga,e ho tu diyat 420 misqal chandi hay or agar aazaay badan mukammal hoon tu diyat 525 misqal chandi kafi hay or ehtiyaat e wajib ki bina par janeen k lerhkay ya lerhki hone main koe faraq nahi.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, Jaded masa,il maslah# 73)

Note: 1 misqaal taqriban 3.50 gram k braber hota hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, pg#480 )

Print

Id:
13827
Mujtahid:
Date:

Question: Assalm Alikum(W R W B)meri biwi hamal se hai kiya mai sex kar sakta hu or keetne mahine tak kar sakta hu hamal teher ke 10 din huve tafseel se iske bare me jawab dijiye ga jazakalla qher

Answer: Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14746
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam walekum.hamila aurat se kitne mahine tak sohbat kiya ja sakta hai.shariat ke mutabik.

Answer: Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14769
Mujtahid:
plzz help Date:

Question: sir mara ya sawal hai k hamal ko kasay ruka ja saqta hai plzz bata day koi dua hoo ya koi or way

Answer: 1)Qaraar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #73 )
Aurat k liay jaiz hai k k wo hamila honay sai bachnay k liay aisi tamaam ehtiyati tadabeer sai istefada karay jo ziada zarar rasaa(nuqsan dah) na hoon.ye hokum os sorat main hay jabkeh maloom nah ho k ye ehtiyati tadabeer nutfay ko qaraar panay k baad talf ker dain gi warna ahwat(yani ehtiyaat lazim) is kaam ko terk kerna hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 71). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14816
Mujtahid:
Date:

Question: Aurat pregnent hai 8mahina chal raha hai to is halat me roja rakhna chahiye k nahi

Answer: Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay aik mudd toam(gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16074
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b. Date:

Question: Bachoo ki pedaish roknay k lie mard aur aurat donoo mai jrahi ka amal anjam dia jata hai kia is qism k operation jaiz hai jis mai mard aur aurat eqeem(angh aur na-mard) hotay hain?

Answer: Be-zat e khud ishkal nhi hai magar ye k kisi ezo(organ) ko kata jae ya bekar kia jae. (Ref : Jaded Masail Part # 2, Ayat ullaha Sistani d.b. pg # 128) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17218
Mujtahid:
??????????? Date:

Question: Please Mujy yeh bta dian k agr sex kr lia jay or ibtdai dino main pregnancy start hone sy pehly kisy roki ja skti hy

Answer: 1)Qaraar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay.( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 ) Aurat k liay jaiz hai k k wo hamila honay sai bachnay k liay aisi tamaam ehtiyati tadabeer sai istefada karay jo ziada zarar rasaa(nuqsan dah) na hoon.ye hokum os sorat main hay jabkeh maloom nah ho k ye ehtiyati tadabeer nutfay ko qaraar panay k baad talf ker dain gi warna ehtiyaat wajib ye hay k ye kaam nah karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17912
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam oalikum I hope your are fine. Mera sawal yeh hai kay pregnancy kay time aurat ko kya karna chaye our ahadess say kya sabit hai. Mera dosra sawal yeh hai kay ager larkay ke khuwish ho tu kya karna chaye our ager larki ke ho tu kya karna chaye.

Answer: 1)Pregnancy k kuch makhsoos aamal hain jo kitab misali maa mai moujood hain ya deegar kitaboo mai ye aamal moujood hain.
2)narina(larkay) aulad k lie mian aur biwi aik din roza rakhain aur iftar k waqt ghusl karain aik bar surah e muzzammil pani par parh kar pi lain inshallah beta ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 287) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32378
Mujtahid:
sistani Date:

Question: ager meri biwi ko hamal thehre 6 ma gzer ga hon to us sa ham bistri ker sakta hon?

Answer: Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32554
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date:

Question: As salam o alikum, Aik aurat k jis ka 2 saal se chota sheer khuwaar bacha ho aur us bachey k liey feeding zaroori hoo isi darmiaan us aurat ko pata chaley k us ka aik aur hamal theher gaya hai tu kya woh apney pehley bachey ko doodh pila sakti hai?

Answer: 1)Mustahab hai k aurat bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aue 2 saal sai ziada doodh pilana munasib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2454)2) Agar aurat chahay k os ka doodh ziada ho jae to surah nahal surah # 16 ki ayat # 66 ko pani par parhay aur pi jae inshallah doodh ziada ho jae ga. (Ref : Payam E Shifa pg # 284) note : wazeh rahay k bachay k lie maa ka doodh behtreen ghiza hai.

Print

Id:
32633
Mujtahid:
delivery Date:

Question: Assalamo Alaykum Janab mera sawal ye he k biwi pregnant he or bachcha hone k kitne din bad miya biwi humbistari kar sakte he? reply Asap khuda Hafiz

Answer: 1)Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jima karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
2)Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifas kehtay hain. Aur jo aurat nifas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par koi kaffara nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 504) Note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab intercourse kar saktay hai ya nhi ya kitnay din tk intercourse nhi krna chaheay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32850
Mujtahid:
Date:

Question: bacha zaya karne ki tablets kya hai plzz bato mujhe

Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay.( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39692
Mujtahid:
Date:

Question: A/A sir agar koi hamal giraye yani bacha ko giraye tu us k baad toba kabool hote hai. Agar toba kabool hote hai tu us ke dua kya hai

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41808
Mujtahid:
Date:

Question: Bache main jaan kitne din main dali jati hai. Aur agr mian bivi razi hon to kya jaan dal jane se phle hml khtm kia ja skta ha

Answer: Qrar e nutfaa(orat k rehm men mard ki mani thehrne) k bad isqat e hamal(bachhe ko zaya krna) jaiz nahi hai . mgr ye khoaf ho k hamal ka baqi rakhna orat ki zindagi k liye nuqsanda hai ya naqabi e bardasht harj ka baais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqat e jaiz hai, lekin hamal men jaan parne k bad bachhe ka zaya krna hargiz jaaiz nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 72 (Jadeed Masaail) ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
44155
Mujtahid:
Family planning Date:

Question: After having intercourse with husband can a wamen take pill ,tablet etc. for not getting pragnent because Islam gives the rights of children to have milk for two yrs

Answer: Abortion is not allowed after the implantation of the [fertilized] ovum [on the lining of the womb], except if the mother’s life is in danger or the continuation of pregnancy will cause difficulty for her that is not normally bearable and there is no other solution but abortion. In this case, it would be permissible to abort the foetus as long as the soul has not entered into it; after the entering of the soul, it is not permissible at all.(Ref: http://www.sistani.org/english/qa/01121/ ). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44489
Mujtahid:
Date:

Question: assalam walekum wo rahematullahi wo barkatahu, meri biwi 4 mahine pet se hey hamela hey kya mein use dilevery tak kabhi bhi bistar kar sakta hon yani 5 se 9 mahine tak, kuch log 5 mahine se nahi karna kahete hain islam iski ijazat nahi deta kahete hain.

Answer: Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45869
Mujtahid:
s Date:

Question: ASSLAM.O.ALIKUM SIR g main aap s e ye pochna chata hoon k chand garhin hamla urat per ketna asr krta hain or us k shokhar k kuch krne matlin chand garhen k doraan koi kam kare ya sone se baby pe koi asr ho ga q aj pakistan chand garhen lagna hain or us en muj phone ker kahan k sari raat sona nahi na bathna hain sir to plzz aap meri help kerein QURAN OR SONET se plzzzzzzzzz thnxz AAP K JAWAB KA MUNTIR HOON ALLAH KHAFIZ

Answer: Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46195
Mujtahid:
islam ( Sunni) Date:

Question: Sir, mara question ya ha kia aurat pregnancy main apnay pahlay bachay ko dood pila sakti ha ya nahin as per Islam

Answer: Mustahab hai k bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aur 2 saal sai ziada pilana munasib nahi hai. chahay pregnancy ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 379)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50863
Mujtahid:
suni Date:

Question: kiya islam main mansoba bandi jayez ha is ke bare main shariat kiya kehti ha

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.


aurat k liay hamal nah hone ki aysi dawaen istmal kerna jaai`z hai jo nuqsanda nah hon agarcheh uska shohar nah ho magar ye k unka istemal merd k sharia huqooq k khilaf nah hoon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,jaded masaail,msal#69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52982
Mujtahid:
ssweetsubhie Date:

Question: Asslam o Alikum Mera question yeh ha k mrey aunti ko olaad nahi un k 7 operation huay wo test tube k zriye olaad ki koshiah kr ri hn kia kisi aur orat k zriye test tube baby jaiz ha

Answer: Wssalam o alykum, ager test tube men mojoda mani us dosri orat ke shohar ki ho or koi dosra haram kam bhi na ho maslan shohar ke ilawa kisi ka uski sharam gaah ko dekhna ya chona to is surat men jaiz hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , hissa # jaded masail , topic # test tube bebe , edition # 31 , maslah # 68 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae)

Print

Id:
53506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamoaleykum, Sir mera naam Shaikh Faizan hai mai aapse ye sawaal poochhna chahta hu ki khuda e paak ke fazlo karam se meri wife 5 mahine se pregnent thi magar hamari naasamjhi, nadaani or bewakoofi ki wajah se abhi kuchh din pehle hamne hamari aulaad ko khho diya or baadme pata chala ki wo hamara betaa (ladka) tha magar ab hume bohot afsos hai or hum din raat til til ke ro rahe hai...., kya aap hame koi dua/wazifa bata sakte hai jisse allah rabbul izzat hamare gunah ko muaaf karde or hame hamara betaa firse ataa farmae.... plyz hamari madat ki jiye, Allah aapko hamesha khush rakhe....

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray wursa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.agar hamal gherane wala doctor ho to diat is doctor per wajib hai albaat wareseen is doctor se diat maaf karsakte hai.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 72).

Sache dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=864 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa. Mera sawal ye hai ke hum intercourae ke waqt ahtiat kerte the kynke humain abhi bacha nachie tha aur mere periods ke time ke darmiyan do dafa pregnancy strip se check kiya lekin wo negative ayi lekin ab period ko 5 days guzar chuke hai aur periods nAhi aye hain aur jab strip se check kiya to wo light positive show ker rahi hai. Mujhe bacha abhi nahi rakhna hai kynke mera ek bacha abhi ek saal ka hai aur main buhat pareshan hon. Kia ye hamal hai aur kiya main is ko khatam ker sakti hon. Shukaria

Answer: Qrare nutfa k bad isqate hamal(abortion) jaiz nahi hai, mgr ye k khoaf ho k hamal ka baqi rakhna orat ki zindagi k liye nuqsanda hai, ya na-qabile brdasht harj ka bais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqaat (obartion) jaiz hai, lekin hamal men jan parne k bad bachhe ko zaya krna hargiz jaiz nahi hai.(Albatta hamal ki condition ko janne k liye doctor ki taraf ruju kren)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Edition maslah # 487).(khuda apki toufeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
54109
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aoa, mera sawal hy kmeri shadi ko 16 maheeny ho gay hn mjy shadi k 5 mnth bad pregnancy ho gae the altrasound mn twins baby thy aik baby ki heart beat show ho gae the bt 2nd baby ki nhe ho rhe the to mera abortion ho gya meri or mery husband ki reports normal hn hm 4 mnth sy try kr rhn hn bt abhe tak koi gud newz nhe mili plz mjy mery sawal ka jawab jaldi dyjeye ga thanks plzzz plzzz plzzzz

Answer: Rasool s.a.w.w nay farmaya:jo shaks surah e fajar ko likh kr apni biwi ko bandhay tou Allah usay beta ataa karega jo us k leye ba-ise barkat aur uski ankho ki thandak hoga
(ref:dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio k hal,pg#95)
Hadees mai hai k masoom a.s nay farmaya: Agar kisi ka beta na ho tou wo neyat karay k agr mera beta huwa tou uska naam ALI rakhunga aisa krnay sy Allah usay farzand ataa karay ga phir Ali naam rakhay.
Aik shaks ko Imam ALI Raza a.s ny farmaya:apnay ghar mai buland awaz sy azan diya karo,Allah ny usay bohat sy farzand ataa keye.(ref:book payame shifa,pg#285,286)Khubsoorti k leye bahee dana kahaein.(ref:tib-e-islami)

Print

Id:
54198
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: sir hamal kia hota hai?

Answer: Hamal jis ko English main pregnancy kaha jata hay. Yani jab shohar apni zoja se hambistari karta hai to ager ye hambistari sabab bane k zoja k rehem main shohar ki mani theher jay or bachay ki paidaish shuru ho jay.(Ref : Al-Qamoos , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
57278
Mujtahid:
Date:

Question: Maira hamal sirf 2 haftay ka hai kiya main zaya ker sakti hun islam ke roshni may btain plz.maira 9 month ka baby already hai.main pehlay ous ke ache perwarish kerna chati hun

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.agar hamal gherane wala doctor ho to diat is doctor per wajib hai albaat wareseen is doctor se diat maaf karsakte hai (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 72). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58971
Mujtahid:
Date:

Question: pregnance zaya kraerna gunha to nhi ha jab tak us ki dill ki dherkan nhi ho hum zaya ker sakty hen this is my wife problem

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat(gheraana ) hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat (gheraana ) jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray agar gheraane wala doctor ho to diyat doctor per wajib ho ghe agarche doctor mah aur baab ki darkhaas per isqaat kyu na karaay magar ye k waris ise diyat maaf karde .( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,hissa jaded fiqhe masaail , maslah #72 ,pg:466). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
59409
Mujtahid:
Date:

Question: Islam me hmbistari kyse kare ki bacha paida na ho Or agr ho jaye to kya krna chahiye kyse roka jai kya Thik hoga plz bataye

Answer: Bivi ko esi dawaiyaan khilana jaiz hai jis se hamal na ho, lekin ager hamal qaraar pa jaae to is ke liye is ko girana jaiz nahi hai, or phir bache ko janam dena zarori hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 415 , 417 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61830
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera sawal ye he ke mre shadi 18 oct ko hui aur meri wife ne 4 nov ko mre wife ne mjhe pregnancy strip lane ko kaha. Usk check krne ke baad result positive aya. Us ke baad wo dr ke paas nh gye mre 2 se 3 din kehne ke bawajood. Usk baad 8 nov ko wo dr ke paas gye to usne kaha ke apka miscarriage ho gya. Ye baat mre wife ne mjhe btai lekin mjhe is theory per doubt he. Please mre help kijye i am so confused.

Answer: Aisa possible ha ke hamal thairnay(pregnancy) ke kuch hi din bad hamal saqit (miscarriage) hojay.
Agar bache ki khilqat na mukammal ho lekin khon ka lothera ya gosht ka tukrha honay ki halat se guzar chuka ho or phr gir jay tu bhi jo khon 10 din tak ourat ki sharamgah se kharij ho wo khon-e-nifas kehlay ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 500) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62039
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamoalikum meri pregnency 4 weeks ki hai me job karti hon majboran mere mali halat aese nahi k me usay janam don mere husband ki koi job nahi mera ayk baita bhi hai or mera baita opration se hoa tha jis k one week bad mera major oprate dobara hoa ja Dr, ki mistake se infection phait me phail gaya tha ab mujhe 4 weeks ki prgnency hai or wo me continue nahi karna chahti kun k me apna ghar akeli chala rahi or jismani toor pe itni strong nahi hon hon please mujhe jawab jald day dain me bohat pareshani me hon

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat(gheraana ) hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat (gheraana ) jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray agar gheraane wala doctor ho to diyat doctor per wajib ho ghe agarche doctor mah aur baab ki darkhaas per isqaat kyu na karaay magar ye k waris ise diyat maaf karde .( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,hissa jaded fiqhe masaail , maslah #72 ,pg:466). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
63801
Mujtahid:
Date:

Question: ye kese pta chly ga k pregnancy mai bachy me kb jan agai hai.. ktne hafty k hml me bchy me jan ajati hai?

Answer: Taqriban 4 mahine main hamal main rooh phoonk di jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Risalah e
Amaliyah part#9,moallif syed mujtabah husseni,Mafhoom e jawab #462, pg#253). Update on dated 25-04-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67487
Mujtahid:
Date:

Question: Agar galti sy hamal andar thehar jaye,, or zaya krna drkaar hoto kya kiya jayejaye,, ya kon c medicine khae jaye, jb k hamal thehray huwy abi srf 3 sy 4 din huwy hon

Answer: Hamal girana(Abortion) jaiz nahi hay, agar hamal k baqi rehne se aurat ki zindagi ko khatra ho ya na-qabil e berdaasth zehmat hogi tu agar hamal main rooh nah aae ho tu hamal girana jaiz hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72). Update on dated 23-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Hum kis waqt apne BV k sat ham bistarge nahe karsakte Mare BV pregnency checkup k bad daika tho wo pregnent the tho mai abe ose k sat ham bistarge kar sakta hu wo 20 din ke pregnent hai

Answer: Hamal theher janay k baad mustahabb hai k intercourse krnay sai pehlay wazoo kar lia jae. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 5) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74572
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi shadi suda mard ne zina kiya,uske baad usne apni biwi se hambistri ki aur biwi pregnant ho gayi to shariat me us hamal ke liye kya hukam he woh hamal gira de?

Answer: Hamal ko girana jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72 jadeed masael). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalmo alaikum hazrat meri wife 6 hafto k hamle se hai aur meri ek beti hai 7 mahine ki jo ki bade opretion se hui hai kya hum isko zaya kar sakte hai meri wife zaya karna chahti hai aur meri mali halat bhi thik ni hai madad farmaye

Answer: Hamal girana(Abortion) jaiz nahi hay, agar hamal k baqi rehne se aurat ki zindagi ko khatra ho ya na-qabil e berdaasth zehmat hogi tu agar hamal main rooh nah aae ho tu hamal girana jaiz hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72). Update on dated 17-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print