Showing 100- 116 questions from 116 questions on this page.
Question: Assalamuallaikum operation s baby hone k bad kb kb tk pregnancy k chance n hoty or periods kb rk aty hai
Answer:
Is hawale se doctor se maloom karen
[Updated on 23-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o Alaikum.agr during sex condom phat jae ar pregnancy na chahty Hun kiun k phly bchy bhhhhht choty Hain. to fori kiya krna chaiye... Plzz guide kr den....
Answer:
Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73).
[Updated on 31-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Period 1st ko aye Hun to kitny din bd to tk pregnancy ky chance HoTy Hain?
Answer:
Taqreeban 5 se 6 din tak pregnancy ke chance hote hain.
(Ref: https://www.webmd.com/baby/charting-your-fertility-cycle ).
[Updated on 22-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aap ne mera questions ( sawal) samjha nahi mujhe mere shoher bachcha girane ko keh rahe hain main ye bachcha girana nahi chahti main kya karun shoher ki baat Manu ya nahi
Answer:
Ibteda main aulaad na honay ki khuwaish karna sahi hai lekin agar aik martaba hamal theher gaya ho to ab use girana jaiz nahin hai, Q ke khaaliq ko naraaz kar k makhlooq ko khush nahin kia jaa sakta.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed Masail, Edition #42, Maslah #72).
[Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh mera naam Sajjad Ali Meri Biwi pregnant hai lekin Jab Main Unse Milta Hun To Unki Chhati se Halke Safed color ke Khatre nikalte Hain Jab Main unhen jor se dabata hun yah main Panch manth se note kar raha hun bye Meherbani Mujhe is pareshani Ka Hal bataen assalam walekum rahmtullahi Wa Barakatuh
Answer:
Aam taur par Pregnancy ke dauran aurat ki chhaati(breast) me doodh aa jata hai lekin har koi aurat same nahin hoti. Kisi ko 5th months mein aa jata hai to kisi ka 9th month mein aur kisi ko to bilkul nahin ata hai.
[Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can a girl get pregnant after periods without intercourse?
Answer:
1: Yes, although it is not very likely. If you have sex without using contraception, you can conceive (get pregnant) at any time during your menstrual cycle, even during or just after your period.
2: Pregnancy happens when a sperm fertilises an egg, which can happen even if you have not had sexual intercourse (penetration).
(Ref: link https://www.nhs.uk/common-health-questions/pregnancy/can-i-get-pregnant-just-after-my-period-has-finished/ + link https://www.nhs.uk/common-health-questions/pregnancy/can-i-get-pregnant-if-i-have-sex-without-penetration/ ).
[Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya ek hi bar ma pregnancy ajati ha?
Answer:
Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, or apni rano ko milaey takeh hamal theherne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151).
(Note: Is aitebar se khawateen mukhtalif hoti hain. mumkin hai koi aurat aik baar hambistri ke baad pregnant ho jati ho, or koi do teen baar ke baad pregnant hoti ho, yahan tak ke kuch khawateen aisi hoti hain ke kaei baar hambistri ke baad bhi saalon tak un ke han aulad nahin hoti).
[Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam alikum, Agar delivery k bad, orat ko period na aay takrebn 4 maah tk, to keya us doran sex krny sy hamal ho saqta hai??
Answer:
Jee haan, paidaiesh ke taqreeban teen haftay guzrne ke baad, (agar jima kiya jaye) to aurat ka kisi bhi waqt haamila hona mumkin hai. yahan tak ke agar aurat doodh pila rahi ho aur abhi tak koi periods na aaye hon Q k bohat saari khawateen doodh pilanay ke douran kam zarkhaiz(less fertile) hoti hain, khaas tor par ibtidayi hafton aur mahino mein.
(Ref: https://www.babycentre.co.uk/x1013979/could-i-be-pregnant-even-though-im-breastfeeding ).
[Updated on 26-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum agr humy pragrancy k month ka nae pata chal raha ho k knsa hai,tou hum kiq krey?
Answer:
Doctor ki taraf ruju karen.
[Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum mje yeh pochna tha kay pregnant aurat gender maloom kr skti hai larka hai ya larki aqa sistani sahab kay nazdeek iska kia hukum hai yeh jaiz hai ya nai ???
Answer:
Jee han, bazat e khud pregnancy ke dauran gender maloom karna jaiz hai.
(Ref: istiftaat a sistani i 17).
[Updated on 26-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kys back sy sex krny sy pregnancy ho sakti
Answer:
Peechay(back) se jima(sex) karne se( aam tour pe) hamal(pregnancy) nahin hota. Albatta aap ko aik sharaei masale ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke Biwi ke peechay ke maqam(maqam e pakhana) main hambistari karna agar biwi raazi nah ho to is sorat main ethiyaat e wajib ki bina par haram hay, aur agar biwi raazi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai.
(Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151,152. + Ayatullah Sistani(D.B), Al-masail e muntakhaba, maslah #67).
[Updated on 14-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jo aurat khana time sy na khati ho, kabhi subha ka nashta kr liya or kabhi nai , dopehar ka khana bhi na khae wo aurat pregnent ho skti hai kia ?
Answer:
Pregnant hone ke liye khana khane ya kam khana khane ya na khane ka koi amal dakhal nahin isi liye ke agar mard jima se farigh hone ke baad aurat se aahistagi se alag ho jaye or aurat kuch der tak chit leti rahe, or apni rano ko mila ke rakhe to pregnant ho sakti hai.
(Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151).
[Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA. Mri bewi ko 12 din upar ho gy h lekin test negative aya h es halat ma bewi sa mil skty h ya ni
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is IVF ( In Vitro Fertilization) allowed / acceptable in islam?
Answer:
Shohar ki mani ke alawa aurat ka hammila hona jaiz nahin hai. Haan, aurat ka tauleed shuda maadah kisi dusri aurat ke rehem main daalna jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani(d.b), edition #42, pg #464,465).
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hamal thehr jae or doctor k mutabiq 2 mah baad b bacha na bn raha ho or bleeding start ho jye tw Kya safai krana jaez Hy or safai krany k bad Jo khoon ata rhy wo Konsa khoon ho ga
Answer:
1: Qarar e nutfaa (yani aurat ke rehm men mard ki mani thehrne) ke bad isqat e hamal (bachhe ko zaya) karna jaiz nahin hai magar ye khauf ho ke hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi ke liye nuqsandeh hai ya na-qabil e bardasht haraj ka baais ho to agar hamal men jaan na pari ho to isqat e jaaiz hai. lekin hamal men jaan parne ke bad bachhe ka zaya karna hargiz jaaiz nahin hai, chahe maan ke pait me maujood ho ya paida ho chuka ho.
2: Bache ka pehla juz maan ke pait se bahar aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai lekin shart ye hai ke use zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho. ye ho sakta hai ke nifaas ka khoon aik lahze se ziyada nah aaye lekin 10 dino ke baad aane wale khoon ko nifaas nahin kehte.
3: Yeh zaroori nahin hai ke bache ki khilqat mukammal ho balkeh agar uski khilqat na-mukammal ho lekin "Alaqa(علقہ)" yani khoon ka lothra ya "Muzgha(مضغہ)" yani ghost ka tukra hone ki haalat se guzr chuka ho aur phir gir jaaye to bhi jo khoon 10 din tak aaye, khoon e nafaas hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #89,466, maslah #72,498,500,501).
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meray sohar jb bi sex krty hain chahye 2 ganty kyun na late jao sara liquid bhar nikl ata hy es kia reason hy I am so upset
Answer:
Agar mard jima se farigh hone ke baad aurat se aahistagi se alag ho jaye or aurat kuch der tak chit leti rahe, or apni rano ko mila ke rakhe to (liquid bahir nahin nikle ga) aurat pregnant ho sakti hai.
(Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151).
[Updated on 27-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]