Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Pregnancy (115 Questions)


Showing 50- 100 questions from 115 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
86194
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AOA, Sir mein wife pergnant hai 9 weeks mera ek 5 month ka baby hai meri baby operation se howa hai. mein ne is baby ho ziya karne ki koshish ki magar nai howa mein ne ap wife ko 4 ST mom khila dein or breekly bhi khila di or khane mein kuch gram cheezein bhi khila dein magar bacha miscarriage nai howa. ab ap batein k mein kiya karin mujhe dar hai k mere bachy ko kisi cheez ka asr na ho jis ki wajha se us mein kisi kisam ki kami na rah jaye. please meri madat kein. Shukriya Shahrukh

Answer: Hamal k ho janay k bad zaya karna jaiz nahi hai. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl, masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Sorah e Tariq ki ayat#1 se 7 tak likh ker aurat kamar main bandh lay tu bacha saqit nahi hoga or sahi o salim paida hoga. (Ref: Nawaey Saliheen, Mafhoom e pg#344). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92812
Mujtahid:
Date: 2018-10-25

Question: Shaadi k 1 month baad periods hoty hain ya nahi ? Agar nahi hoty hain to q is ki kia waja hai? Kindly answer

Answer: Aam taur per khawateen ko hamal thehrny ki wajah ki wajah se periods nahi hoty hen. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 435) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
94284
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: Bhai main 2 months pregnant hon...meri 2 betiyan hain jin k akhrajaat hi hum buhot mushkil se nikal paa rahe hain....main yeh pregnancy abort karna chahti hun kyun k isay paida karnay k liay mujhe aur mehnat karni parhegi...aur meri sehat bhi is qabil nahi

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). Update on dated 22-02-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95411
Mujtahid:
Date:

Question: Respected sir mujy yeah janna hy ki nikah ky baad ager biwi foran olad na chahti hu tu aysy injections use ker lyn jis sa pregnancy concivr na hu tu yeah olad huny sa rokna jaiz hy ya nahi iska quran o sunat sa kya hukam hy

Answer: Aurat k liay maane hamal aisi adwiyaat ka istemaal jaiz hay jo ziyada nuqsandah nah hoon, agarcheh os ka shohar raazi nah ho magar ye keh on ka istemal mard k kisi share huq k manafi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, Jadded masel, maslah #69). Update on dated 15-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95593
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-23

Question: Kia kc ki kushi ki khatir hamal zaya krna gunah h Kia 1 month r 5 days ka

Answer: Agar hamal thher gaya hai tu usay girana jaaiz nahi hai.khaaliq ko naraaz kar k makhlooq ko khush nahi kia jaa sakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72).
[Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-02

Question: Sir mera sawal ye hai k meri aik beti hai ab hum dosry bachy k liye try kar rhy hain lekin hamal nahin tehr raha hum ne 2 saal ka wqfa rkha tha aur ab hamal nai tehr raha iski kia wajah hain please inform me

Answer: 1)Sheikh bihae farmatay hein k mandarjah zail nuskhah main ne 900 aurtoon k liay tajweez kia or sab ki sab sahib e aulaad hogaen or wo ye nuskha ye hay : Surah e ra’ead, surah# 13, ayat # 31 ko khool ker likhay. وَلَوْ أَنَّ قُرْآنًا سُيِّرَتْ بِهِ الْجِبَالُ أَوْ قُطِّعَتْ بِهِ الْأَرْضُ أَوْ كُلِّمَ بِهِ الْمَوْتَىٰ بَل لِّلَّهِ الْأَمْرُ جَمِيعًا أَفَلَمْ يَيْأَسِ الَّذِينَ آمَنُوا أَن لَّوْ يَشَاءُ اللَّهُ لَهَدَى النَّاسَ جَمِيعًا وَلَا يَزَالُ الَّذِينَ كَفَرُوا تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُوا قَارِعَةٌ أَوْ تَحُلُّ قَرِيبًا مِّن دَارِهِمْ حَتَّىٰ يَأْتِيَ وَعْدُ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ لَا يُخْلِفُ الْمِيعَادَ
Is ayat ko maqta yani torh torh ker likain maslan(و ل و ا ن ق ر آ ن) phir is ko lifafay main band ker k aurat apnay pehlo k sath bandh lay , insha allah jald sahib e aulad ho jaey gi. (Ref : Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#94).
Rasool e khuda s.a.w. irshad farmatay hain k agar koi surah e aal e imran(sorah#3) ko zafraan say likh kar biwi k galay may latkate jis ka hamal gir jata ho to khuda hamal ko zaya honay say mahfooz rehay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 100). 2. Sorah e bayyanah(sorah#98) ko likh ker paani se dhoya jaay or is paani ko hamilah aurat piay tu oska hamal saqit nahi hoga or tamaam aafato se mehfooz rahay ga.(Ref: tohfatul awaam, pg#275).
[Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-11

Question: Aslam_0_alikum sir mara ek beta ha jo abhi 5 mah ka ha r again pregnancy ha ...jab k main abhi apny bety ki acchi tarbiyat krna chahti hun kya main abhi pregnancy rokny ki med kha sakti hun mere hubby b yehi chahty hain k pehly ek bety ki Acchi pervirish ho islam maim kya hukam ha

Answer: Hamal k ho janay k bad zaya karna jaiz nahi hai. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl, masla # 73).
[Updated on 11-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103279
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Kya hamal sirf ovulotion k time e therta ha ya aam dino ma b ther jata hai ?

Answer: Biology k mutabiq ovulation k time hamal therne ka chance hota hay, or in dino k alawa ko savedays kaha jaata hay hay, or in dino hamal nahi ther sakta.(Ref: https://www.yourfertility.org.au/everyone/timing)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103626
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-07

Question: Kia Madisan Laina Jaoz Hain Hamal Thrany k laiy

Answer: Hamal ko girane k liay dawaeen istemaal kerna jaiz nahi hay baqi hamal ko theranay k liay dawae istemaal karna jaiz hay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,jaded masail,maslah #70)
[Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104209
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-10

Question: Aw Hazrat.....ktne Dino ki pregnancy me bacche me Jaan pdti h.

Answer: Taqriban 4 mahine main hamal main rooh phoonk di jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Risalah e Amaliyah part#9,moallif syed mujtabah husseni,Mafhoom e jawab #462, pg#253)
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107534
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Hamal me jaan kitne din k baad aati hai

Answer: Taqriban 4 mahine main hamal main rooh phoonk di jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Risalah e Amaliyah part#9,moallif syed mujtabah husseni,Mafhoom e jawab #462, pg#253)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107935
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-24

Question: Asalamualikum sir hamal tehrny k kitny arsay bad baby ki dharkan shuru ho jati hy..

Answer: Taqriban 4 mahine main hamal main rooh phoonk di jati hay tab dharkan shuru ho jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Risalah e Amaliyah part#9,moallif syed mujtabah husseni,Mafhoom e jawab #462, pg#253)
[Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107968
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-24

Question: Kaha kaha krny sy hamal hota h?

Answer: Sirf aurat ki agli sharamgaah me hambistari karne se aurat hamila hoti hai. lekin mard hambistari say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laiti rahe, aur apni rano ko milaey rakhe takeh hamal therne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151)
[Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107969
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-24

Question: Muu m krny sy hamal hota h kia??

Answer: Jee nahi, balke sirf aurat ki agli sharamgaah me hambistari karne se aurat hamila hoti hai. Lekin mard hambistari say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laiti rahe, aur apni rano ko milaey rakhe takeh hamal therne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151)
[Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-19

Question: Pahle bachy k bad mje 4 months bad phir sy pregnancy hogi h ma bacha chati b to par duniya wale bht baatne krte h in halat ma main Kia kro ma joined family ma rahti to kia ma bacha zaiya kr sakti ho

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad hamal ko girana jaiz nahi he. magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu girana jaiz hay, laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray agar gheraane wala doctor ho to diyat doctor per wajib ho ghe agarche doctor mah aur baab ki darkhaas per isqaat kyu na karaay magar ye k waris ise diyat maaf karde .( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,hissa jaded fiqhe masaail , maslah #72 ,pg:466).
[Updated on 19-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: mere biwi 2 month pregnant hai. masla yah hai k mere wife ki sehat theek nhi hai aur hadiyo mai dard rehta hai aur mere ik beta abhi 6 to 7 month ki hai kia hamal zaya karna theek hai? aur kyse zaya karna theek hai aur mujhe is k lye kia krna hai? aur yah diyat kia hai?

Answer: Hamal thererne k baad os ko zaya karna jaiz nahi hai (Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani, d b jaded masael maslah#73).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-26

Question: Mera sohar mere kharchy nahe utha sakty thy. Or larai bht bharti ja rahi thi. 1 month phele onho ny mujhe bht bara. Mere ghr wale mujhe sath ly aye. Ab mae khulaa ly rahi houn. Lkn mae pregnant ho gai houn. Kia mae bachy ko khatm kar sakti houn.? Abhi bachy ki heartbeat nahe ai??

Answer: Hamal theherne k baad os ko zaya karna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )
[Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110546
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-13

Question: Pregnant hona k liye kya aurat ka farig hona zaruri ha??

Answer: is ke lie docter se rabta kare
[Updated on 13-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110824
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-05

Question: meri wifi ka hama nahi ho raha age mujh se 18 saal choti hai

Answer: Aurat ki agli sharamgaah me hambistari karne se aurat hamila hoti hai. Lekin mard hambistari say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laiti rahe, aur apni rano ko milaey rakhe takeh hamal therne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151)
[Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110825
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-05

Question: meri bv ko hamal nahi ho raha meri umer 37 saal hai or uski 17 sall

Answer: Aurat ki agli sharamgaah me hambistari karne se aurat hamila hoti hai. Lekin mard hambistari say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laiti rahe, aur apni rano ko milaey rakhe takeh hamal therne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151)
[Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110955
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-10

Question: As salaam o alikum. Ma boht pareshan hu mehrbani kr ky jadi jawab dain imamy zamana aap ko is ka ajar dain gy ma hamla hu or myry pehly 3 bachy hain lakin ma akyli gher ki hu myry husband ki maa b beemar hy unhy b dekhna hota hy or myry husband ki job b nahi hy kya is waja sy ky hmary pas rizq ki kaami ho or jab ma hamla hoti hu myri tbiat theek nahi rehti ma gher nahi sambhal sakti ma bacha zaya kar sakti hu.

Answer: Hamal ka girana jaiz nahi hay magar ye keh is ka baaqi rakhna maan k liay sakhti or mushaqqat o haraj ka bais ho, is sorat main rooh aane se pehle siqt karne main keo haraj nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/).
[Updated on 10-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111466
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-14

Question: Question 1: Kya Islam me Family planning operation karana jaiz hai ??? Copper t use kar sakte hain kya??

Answer: Aurat k liay jaiz hay k wo bhanjh-kaari ka operation kerwaey lekin yeh kaam us k badan k uryan hony ya choonay per moqoof ho to yeh kaam faqat us ka shohar anjam day siwaey yeh k koe zarorat pesh aajaey jesy aurat ka hamila hona us k liay nuqsan day ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, page # 466, maslah # 71)
[Updated on 14-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111673
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-23

Question: agr 3 month k bad 2 bacho main se ak main jaan ho or dosre main na ho to hamain kya kerna chahiye .

Answer: Agar os murda bache ki wajah se maan ki jaan ko khatra ho ya maan ki jaan ko khoof ho or doosre zinda bache main rooh bhi nah aae ho tu hamal ko saqit karna jaiz hoga. (Ref: Tauzihul masael, maslah#72, pg#466).
[Updated on 23-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112250
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-12-03

Question: Sallam kia phli dfa sex k baad hamal ther jata h or agr bhar se kia ho to andr nai gya tb b mumkin h k hamal thery???

Answer: Jab tak merd ki mani aurat k rehem main nah jay tab tak aurat pregnant nahi hosakti or agar aurat ka perda e bakarat(seal) baqi ho or phata nah ho tu aurat haamla nahi ho sakti). (Ref: islam or jinsiyaat, pg#150-2)

[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112488
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Koi ladka ladki ek dusre se mohabbat krti hai aur woh dono sex krti hai aur ladki pregnant ho jati hai ab ladka uss ladki se pregnant k halat main nikah karna chahta hai.Kya yeh nikah jayez hai ? Iska koi solution hai.

Answer: 1: Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. lehaza is ki wajah se tauba karna lazim hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij).
2: Nikah se pehly mard aur aurat apas men na mehram hain, aur na mehram ka aik dosre k jism k kisi hissay ko choona haram hai, chahe lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahe baad mai shadi hi Q nah karni ho. ye jaiz nahin hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #41st, maslah #2397)
3: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is aurat k tauba karne se pehle os se shadi nahi kar sakta. Aur nikah ki sharaet main say aik ye hay k larki k wali yaani baap ya dada main say kisi aik se ijazat leejaye or is ijazat k baghair nikah ho tu nikah durust nahin hota.(Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2341,2364 ).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112518
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-13

Question: Sir shohar bhar farigh ho tu pregrancy ho skti ha

Answer: Jab tak mard ki mani aurat k rehem main nah jaye tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti. (Ref: Islam or Jinsiyaat, pg #150-2)
[Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112613
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Kya Islam m bcha Dani ka mooh bnd krwana jaiz h agar bche operation Se hote hon to OR 3 operation hogae hon. To kya bche mazeed na hon to bcha Dani ka mooh bnd krwana jaiz h

Answer: Aurat k liye jaiz hai k wo bhanjh-kaari ka operation karwaye lekin yeh kaam us k badan k uryan hone ya choonay par moqoof ho to yeh kaam faqat us ka shohar anjam day siwaey yeh k koe zarorat pesh aajaey jese aurat ka hamila hona us k liye nuqsan day ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, page # 466, maslah # 71)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112632
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-21

Question: Assalamualaikum mra name mutrafeen hai or shohar ka name wahaj hai m chahti hm hmre han aulad ho kch btaden brandish to Nhi hai iski

Answer: Sheikh bihae farmatay hein k mandarjah zail nuskhah main ne 900 aurtoon k liye tajweez kia or sab ki sab sahib e aulaad hogaen or wo nuskha ye hay : Surah e raed, surah #13, ayat #31 ko khool ker likhay. وَلَوْ أَنَّ قُرْآنًا سُيِّرَتْ بِهِ الْجِبَالُ أَوْ قُطِّعَتْ بِهِ الْأَرْضُ أَوْ كُلِّمَ بِهِ الْمَوْتَىٰ بَل لِّلَّهِ الْأَمْرُ جَمِيعًا أَفَلَمْ يَيْأَسِ الَّذِينَ آمَنُوا أَن لَّوْ يَشَاءُ اللَّهُ لَهَدَى النَّاسَ جَمِيعًا وَلَا يَزَالُ الَّذِينَ كَفَرُوا تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُوا قَارِعَةٌ أَوْ تَحُلُّ قَرِيبًا مِّن دَارِهِمْ حَتَّىٰ يَأْتِيَ وَعْدُ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ لَا يُخْلِفُ الْمِيعَادَ Is ayat ko maqta (yani torh torh ker likhain) maslan(و ل و ا ن ق ر آ ن) phir is ko lifafay main band ker k aurat apnay pehlo k sath bandh lay , insha allah jald sahib e aulad ho jaey gi.
(Ref: Dunya o Akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, Page #94)
[Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112693
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Assalam o aleikum Mai 4 months pregnant hun Meri cousin marriage hui hy jiski waja se mera bacha bilkul abnormal hy drs ka kehna hy agr abhi abort nhi kia tow kuxh time Mai khud he misscarrage hojayega ya delivery risky hogi aur agr bacha deliver b hojayega tow survive nhi krpayega jald mar jayega. Is halat Mai d&c krwana jaiz hy? Aur is k ahkaam?

Answer: Qarar e nutfaa(aurat k rehm men mard ki mani thehrne) k bad isqat e hamal(bachhe ko zaya) karna jaiz nahin hai magar ye khoaf ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zindagi k liye nuqsandeh hai ya na-qabil e bardasht harj ka baais ho to agar hamal men jaan na pari ho to isqat e jaiz hai lekin hamal men jaan parne k bad bachhe ka zaya karna hargiz jaaiz nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b) Tauzeehul Masail Edition #42, Pg #466, Maslah #72).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113011
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-22

Question: Sir I am 6month pregnant but now the doctor asked me that my baby is not normal i am very tensed plz tell me can I abort this baby

Answer: Hamal men jaan parne k bad bachhe ka zaya karna hargiz jaaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #72 jadeed masaail).
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-15

Question: Ager hamal kamzor Ho 6week ka to ultrasound main Ata hy

Answer: Jee bilkul 6 week k ultrasound main hamal nazar aa jata hay. (https://www.verywellfamily.com/understand-early-pregnancy-ultrasound-results-2371367). [Updated on 15-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-22

Question: assalam o alaikum mera 6 mahina ka doodh pita bacha h jo operation se huwa h or ab dobara pregnancy h jo mere ly kafi takleef deh sabit horhi h qk mein bht kamzor hogai hn kya 5 haftay ka hamal h or heartbeat b agai h kya is surat me hamal gira skti hn ?

Answer: Ans: Hamal ka girana jaiz nahi hay magar ye keh os ka baaqi rakhna maan k liay sakhti or mushaqqat o haraj ka bais ho, is sorat main rooh aane se pehle siqt karne main koe haraj nahi hay. (https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/#17647). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113458
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-09

Question: Mere 3 bachy hain jo bary opreat se huye hain.sb se choti beti 10 month ki he or mera hi feed krti ha.meri sehat ne thek me bht tkleef me hn.6 week ki pregnancy ha or me akeli hn bacho ko smbhalnh wali.shohr kam me masroof hoty hain or mera khyal ne rkh skty wo bht careless hain or mjh me himat ne h k mai ak or zimedari utha sakun.kya hamal ko zaya kr skti hun?

Answer: Hamal theherne k baad za7ya karna jaiz nahi hay magar ye keh maan k liay zarar rakhta ho ya shadeed mushaqqat ka baes ho jo mamoolan qabil e tahammul nahi hay, garcheh ye mushaqqat paida hone k baad os k paalne k hawale se ho tu is sorat main rooh aane se ppehle zaya kar sakte hain, or agar rooh aa chuki ho jaiz nahi hay, garcheh bina bar ehtiyaat e wajib mushaqqat e shadeed or zarar rakhta ho or maan mustaqeem taur pay hamal ko zaya kare tu os per diyat wajib hay or osay chahiay keh baap ya doosre wariso ko diya jaey or agar khud baap zaya kare tu os par wajib hay or wo maan ya doosre wariso ko diya jaey ga, or agar doctor gira raha hay tu os per wajib hay keh garcheh os ne ye kaam maan baap ki darkhast se hi Q nah kia ho, magar ye keh doctor ko waris maaf kar dain.

Hamal zaya karne ki diyat:
5250 Misqal chandi agar larka ho or os main jaan aa chuki ho or os ka nisf agar larki ho or jaan aa chuki ho.
105 misqal chandi agar nutfa ho.
210 misqal chandi agar khoon jamid ho.
315 misqal chandi agar gosht ho.
420 misqal chandi agar haddi ho.
420 misqal chandi agar haddi ho.
525 misqal chandi agar poora badan ban chuka ho or bina bar ehtiyaat e wajib jaan nah aane se pehle larke or larki main faraq nahi hay..

or kaffara os shakhs pay hay jo mustaqeem taur per zaya kar raha ho garcheh is main rooh nahi aae ho or os ka kaffara ye hay keh 2 mahine pay dar pay roza rakhe, 60 faqeer ko khana khilaey har faqeer ko 750 gram roti, xxxxhawal or is jaisi cheez day.
rooh chothay mahine main aa jaati hay magar ye keh jadeed wasael k zarye khilaf sabit ho, laikin agar maan majboor ho keh rooh aane se pehle bache ko zaya kare tu os par kafara nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/)
[Updated on 09-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113676
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Salam! Mera swal ya ha ka ik lrki ka sath zina kia gaya .or wo ab pregnant ha.Js lrka na ya sb kia wo as sa nikah krna chhta ha abhi pregnancy's ku first month huwa ha . Kia y dono nikah kr lain?kia anka bacha halal hu ga ?ya miss carriage krwa dia jay ?

Answer: 1: Na mehram ke sath hambistari karna zina kehlaye ga Aur zina karna haram aur gunahan e kabeera main sai hai. lihaza is se tauba karen. aur zina k zariye jo aulad ho gi wo haram zada ho gi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #1, Edition 1439 hij, Maslah #30)
2: Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2364).
3: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah (daimi/mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho wo ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2328,2341)
4: Hamal ke ho janay ke bad zaya(miscarriage) karna jaiz nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, Jadeed masail, maslah #73).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assalam u walikum main shadi shudda hun. Jaab main aapni beve raat ko humbestri karta hun. Owr jise hee main farigh ho jata hun to kuch deer baad mere jo sparm( mine) holy ow mere bive k shramgah sy wapis nikal aati hy please mujhy kuch advise de bohut mehrabani hogi shukria

Answer: 1: Jab tak mard ki mani aurat k rehem main nah jaye tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti. 2: Hamal theherne ke liye Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, aur apni rano ko milaey takeh hamal theherne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #150 to 152).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Agr koi orat 8 months k bache k sath phir se hamla hojaye to kya apne bche ko dodh pila sakti h???or yhi orat kya roze b rakh skti h?

Answer: Jee han, Pila sakti hai. aur rozay bhi rakh sakti hai. Mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #1553,2454).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114171
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: 30 hafto ki pregnancy h kitny month h gy

Answer: 7 months and 2 weeks.
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: Sir main 5 month pregnant hun dr ne bola bachey ki right heart sahi nahi.. wo paida hone ke baad nahi bachega.. main abortion karwalun?

Answer: Qarar e nutfa k baad hamal ko giraana (Abortion) jaiz nahi hai Ref:
(https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/).
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115037
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: Sir main bht pareshan hun mujhe bataye main kya karun dr bol rahe hn right side heart he nahi bachey main.. kya abortion karwalun..? Kyn k dr bol rahe hn gunah to tab hoga jab bacha paida hone ke baad taklif sahega...

Answer: Qarar e nutfa k baad hamal ka isqaat karna (Abortion) jaaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115049
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: Aoa, kya Suraj giran ya Chand giran may pregnant lady ko ehtiyat krni zaroori haii ? Zaroori hai tou kya ehtiyat krni hoti hai ??? Or agr na ki ho ehtiyat tou bachay par affect parsakta hai kya ???

Answer: Jee nahin zaroori nahin hai, Q ke Chand girhan or soraj girhan ka hamilah (pregnant) aurat par koe asar nahin hota.
(Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011).
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115050
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: Assalamualaikum Agar khula k baad kisi magburi k wajah se idath puri na huvy ho tho?? Aur 2 saal guzar chuke hain Ky us k duare Nikha se phale uski iddath puri hona zaroori hai?? Agar haan tho kittne waqth tak us ki idaath hogi

Answer: Jee nahin zaroori nahin hai, Q ke Chand girhan or soraj girhan ka hamilah (pregnant) aurat par koe asar nahin hota. (Ref: Email rcvd from https://www.sistani.org/, dated: Nov 6, 2011).
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115726
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-13

Question: اگر لڑکے اور لڑکی نے ہمبستری کی ہو اور ڈسچارج ہونے کہ فورأ بعد غسل لے لیا ہو تو بی حمل ہو سکتا ہے کیا

Answer: 1: Jab tak mard ki mani aurat k rehem main nah jaye tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti.
2: Agar mard ki mani (sperm) aurat ke rehem me jaye to Hamal ho sakta hai, aur hamal theherne ke liye zaroori nahin hai ke mard ki mukamal mani (sperm) aurat ki sharamghah me jaye balke agar aik qatra bhi aurat ki sharamghah men chala jaye to mumkin hai ke hamal theher jaye Q ke Science ne haal hi men ye daryaft kiya hai ke baize (Ovum) ko bar aawar karne ke liye ausatan (average) 30 lakh khaliyat nutfay (sperms) me se sirf aik ki zaroorat hoti hai. matlab ye hua ke kharij hone wale nutfay (sperms) ki miqdar 30 lakhon hissay ya 0.00003 percent miqdar hi bar aawari (hamal theherne) ke liye kafi hoti hai. lehaza agar aik qatra bhi chala jaya tab bhi hamal theher sakta hai. Agar mard ki mukamal mani (sperm) bahir aa jaye to hamal nahin thehre ga lekin agar aik bhi qatra reh gaya to mumukin hai ke hamal theher jaye.
(Ref: Islam or jinsiyaat, page #150 to 152, https://ur.wikipedia.org/wiki/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%D8%A7%D9%88%D8%B1_%D8%AC%D9%86%DB%8C%D9%86%DB%8C%D8%A7%D8%AA#%D9%86%D8%B7%D9%81%DB%81:_%D9%85%D8%A7%D8%A6%D8%B9_%DA%A9%DB%8C_%D9%85%D8%B9%D9%85%D9%88%D9%84%DB%8C_%D8%B3%DB%8C_%D9%85%D9%82%D8%AF%D8%A7%D8%B1 ).
[Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-13

Question: Kya pregnancy k liye zruri ha k mard ka sara. Pani andar jaye aurat k? Or agr pani aurat k andar jaa kr bahir a jaye tou iska kya mtlb ha?

Answer: 1: Jee nahin, zaroori nahin hai ke mard ki mukamal mani (sperm) aurat ki sharamghah me jaye balke agar aik qatra bhi aurat ki sharamghah men chala jaye to mumkin hai ke hamal theher jaye Q ke Science ne haal hi men ye daryaft kiya hai ke baize (Ovum) ko baar aawar karne ke liye ausatan (average) 30 lakh khaliyat nutfay (sperms) me se sirf aik ki zaroorat hoti hai. matlab ye hua ke kharij hone wale nutfay (sperms) ki miqdar 30 lakhon hissay ya 0.00003 percent miqdar hi baar aawari (hamal theherne) ke liye kafi hoti hai. lehaza agar aik qatra bhi chala jaya tab bhi hamal theher sakta hai.
2: Dooseri soorat me bhi agar mukamal mani (sperm) bahir aa jaye to hamal nahin thehre ga lekin agar aik bhi qatra reh gaya to mumukin hai ke hamal theher jaye.
(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%D8%A7%D9%88%D8%B1_%D8%AC%D9%86%DB%8C%D9%86%DB%8C%D8%A7%D8%AA#%D9%86%D8%B7%D9%81%DB%81:_%D9%85%D8%A7%D8%A6%D8%B9_%DA%A9%DB%8C_%D9%85%D8%B9%D9%85%D9%88%D9%84%DB%8C_%D8%B3%DB%8C_%D9%85%D9%82%D8%AF%D8%A7%D8%B1 ).
[Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116093
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-11

Question: Umeed karta hun kai ap khairiyat say hongay. Ap say ek deeni maslay ka sawal tha. Kuch arsa pehlay humain abortion karana para tha, jis ki waja meri wife ki seht thi, aur Doctors nay kaha tha kai agai jakay un ki zindagi ko khatra hoga, wife ki weak heart condition aur previous 4 surgeries ki waja say. Aur yeah abortion, pregnancy kai pehlay 5-6 weeks main karna parha tha. Hum Ayatullah Sistani ki taklid main hain aur ap say pochna chahtay hain kai kiya humain deeyat daina hogi? Aur woh kitni hogi? Aur kis ko daina hogi? Ap kai jawab ka intizar rhy ga. Shukriya

Answer: Hamal theherne ke baad use ko zaya karna jaiz nahin hai magar ye ke maan ke liye zarar rakhta ho ya shadeed mashaqqat ka baais ho jo mamoolan qaabil e tahammul nahin hai, agarche ye mashaqqat paida hone ke baad us ke paalne ke hawale se ho to is soorat men rooh aane se pehle zaya kar sakte hain, aur agar rooh aachuki ho to hargiz jaiz nahin hai agarche Ehtiyat e wajib ki bina par mashaqat e shadeed aur zarar rakhta ho.

Agar hamal ko maan ne mustaqeem(direct) tor par zaya kiya hai to diyat maan par wajib hai aur use chehiye ke ke baap ya dusre warison ko diyat day, aur agar khud baap zaya kare to us par wajib hai ke maan ya dusre warison ko diyat day, aur agar doctor gira raha hai to us par wajib hai agache ye kaam maan ya baap ya donon ki darkhwast se hi q na kiya ho, magar ye ke waris doctor ko maaf kar day.

Hamal zaya karne ki diyat:
5250 misqal chandi, agar ladka ho or usme jan aa chuki ho aur uska nisf (aadha) aur agar ladki ho or jaan aachuki ho.
105 misqal chandi agar sirf nutfa ho.
210 misqal chandi agar khoon jama hua ho.
315 misqal chandi agar gosht ho.
420 misqal chandi agar haddi ho.
525 misqal chandi agar pura badan ban chuka ho or bina bar ehtiyat e wajib jaan na aane s pehle ladke or ladki me koi farq nahin hai.

Aur kaffara bhi us shakhs par hai jo mustaqim(direct) tariqe se zaya kar raha ho chahe baap ho ya maan ho ya doctor ho agarche usme ruh nahin aayei ho, or uska kaffara ye hai ke 2 mahine lagatar roze rakhe, 60 faqir ko khana khilaye, har faqir ko 750 gram roti, chawal or us jesi cheez day.
Rooh char(4th) month me aajati hai magar ye ke jadeed wasail ke zariye khilaf sabit ho jaye lekin agar maan majbur ho ke rooh aane se pehle bache ko zaya kare to us par kaffara nahin hai.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/
https://www.sistani.org/urdu/qa/01802/
(Note: 1 misqal e sharei taqreeban 3.50 giram).
[Updated on 12-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116183
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-13

Question: Assalam o alaikum sir Men 1.5 month pregnant hun or pehly b mrra baby 10 months Ka h?kya me abrtn krwa skti hun?

Answer: Qarar e nutfa(hamal thehene) ke baad isqaat e hamal (abortion) jaiz nahin hai, magar ye ke khauf ho ke hamal ka baqi rakhna aurat ki zindagi k liye nuqsandeh hai, ya na-qabile bardasht harj ka bais ho to agar hamal men agar jaan na pari ho to isqaat (abortion) jaiz hai, lekin hamal men jan parne k bad bachhe ko zaya karna hargiz jaiz nahin hai.
(Albatta hamal ki condition ko janne k liye doctor ki taraf ruju kren).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #487).
[Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-04

Question: kia bina seal toty pregnant ho sakte hain?

Answer: Jab tak mard ki mani aurat k rehem (uterus, vagina) main dakhil nah ho aurat pregnant nahin ho sakti, isi tarah agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat pregnant nahin ho sakti.(Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151,152).
[Updated on 04-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-09

Question: agar kisi ka bacha 16 weeks ki pargnacy mi zaya ho jai..jis ki growth na ho rahi ho aur heart beat bhi nahi arahi ho aur doctor dnc ka kahy agar na ki jai dnc tu maa ki seht ky liya masla tu aisy mi kia diyaat daini hogi? agar daini hi tu kitni daini hi pakistan kay hisab sai aur kis ko daini hogi?? aurat khui sahib ki taqleed pr hi aur mard seestani sahib ki taqleed pr hai

Answer: 1: Agar hamal theherne ke baad khud ba khud zaya ho jaye to kisi par bhi diyat wajib nahin hai.
2: Aur agar hamal theherne ke baad hamal ko zaya kiya jaye to ye jaiz nahin hai magar ye ke maan ke liye zarar rakhta ho ya shadeed mashaqqat ka baais ho jo mamoolan qaabil e tahammul nahin hai, garche ye mashaqqat paida hone baad us ke paalne ke hawale se ho to is soorat men rooh aane se pehle zaya kar sakte hain, aur agar rooh aachuki ho to jaiz nahin hai garche Ehtiyat e wajib ki bina par mashaqat e shadeed aur zarar rakhta ho. aur agar hamal ko maan ne mustaqeem(direct) tor par zaya kiya hai to diyat maan par wajib hai aur use chehiye ke ke baap ya dusre warison ko diyat day, aur agar khud baap zaya kare to us par wajib hai ke maan ya dusre warison ko diyat day, aur agar doctor gira raha hai to us par wajib hai agache ye kaam maan, baap ki darkhwast se hi q na kiya ho, magar ye ke doctor ko maaf kar dain.

Hamal zaya karne ki diyat:
5250 misqal chandi, agar ladka ho or usme jan aa chuki ho aur uska nisf (aadha) aur agar ladki ho or jaan aachuki ho.
105 misqal chandi agar sirf nutfa ho.
210 misqal chandi agar khoon jama hua ho.
315 misqal chandi agar gosht ho.
420 misqal chandi agar haddi ho.
525 misqal chandi agar pura badan ban chuka ho or bina bar ehtiyat e wajib jaan na aane s pehle ladke or ladki me koi farq nahin hai.

Aur kaffara bhi us shakhs par hai jo mustaqim(direct) tariqe se zaya kar raha ho agarche usme ruh nahin aayei ho, or uska kaffara ye hai ke 2 months lagatar roze rakhe, 60 faqir ko khana khilaye, har faqir ko 750 gram roti, chawal or us jesi cheez day.
Rooh char(4th) month me aajati hai magar ye ke new wasail ke zariye khilaf sabit ho jaye lekin agar maan majbur ho ke rooh aane se pehle bache ko zaya kare to us par kaffara nahin hai.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/
https://www.sistani.org/urdu/qa/01802/
(Note: 1 misqal e sharei taqreeban 3.50 giram).
[Updated on 09-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116315
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-08

Question: aoa kasy pata chalta ha k ladki ko phly b hamal howa ha or 3 maah periods na any ki kya wjh ho skti or us duraan paat me bht dard b rha to kya ye hamal ki aalamat ha ya koi bemari

Answer: Aam taur per khawateen ko hamal thehrny ki wajah se periods nahin hoty. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #435, + Minhajus saliheen, part #1, Mafhoom e maslah #214).

Note: Doctor se ruju kar k maloom kia jaey.
[Updated on 08-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116403
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Pregnancy sign mojod hon r period sy 4 din phly qamar m shadeed drd pregnancy h ya periods hngy

Answer: Aam taur per khawateen ko hamal thehrny ki wajah se periods nahin hoty. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #435, + Minhajus saliheen, part #1, Mafhoom e maslah #214).

(Note: Pregnancy hai ya nahin hai is silsile me n Doctor se ruju kar k maloom kia jaey).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116404
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Assalamu Alaikum, My wife wants to continue the pregnancy but I am not interested to continue I have 2 kids both are too small to handle and taking care of properly.

Answer: Qarar e nutfa (yani mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahin hay magar ye khof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi k liye nuqsandah hai to hamal main agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal mai jan parnay k baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahin hai. Agar maan khud bachay ko zaya kare to is ki diyat maan par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko day aur agar baap hamal ko zaya kare to is ki diyat baap par wajib hai aur zaroori hai k wo maan ko ada kare agar geraane wala doctor ho to diyat doctor par wajib ho gi agarche doctor ne maan aur baap ki darkhaast par hi isqaat kyuon na kiya ho magar ye k waris ise diyat maaf karde.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, jaded fiqhi masail, maslah #72, pg #466).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print