Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (754 Questions)


Showing 450- 500 questions from 754 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
84688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alikum.plx mera msg show mat karie ga.mera question yeh hai k ghalti se kisi couple ko intercourse karte howe daikh len to gunah kis ko hoga???reply email kar die ga

Answer: Orat k liay jaiz nahi hay k dosri orat ki sharmghah dekhy or mard kay un aazaa ko dekhy jo aam halat say ziyad khulen hoon lekin agar galti say nazar parh jaey to foran nazar pherni chahiay warna daikhne wale shaks ko ghunah mily ga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #369 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84832
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamo alaikum ji maine apni gf ke saath kapre ke upr se srf mera parts touch pr hmlog kapre pe the toh kya yeh zina hua

Answer: Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna baghair intercourse k zina nahi hai magar haram hay. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
84991
Mujtahid:
Date:

Question: Ma apni passnd se shadi krna chati ho larky ki family razi ha. Mager meri family razi ni ha kiu k humrai familes ki cast differnet ha please ap mujhe koi asa wazifa batai jis ki waja se neri perents waha ristha kr dy bina kisi muskil k .

Answer: 1)Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106, Mafhoom e pg # 69) 2)Rishtay k lie chand ki 11 sai 20 tak k darmiani jumay ko bad namaz e asr surah e taha surah no20 ki ayat no 131,132 ko likh kar pas rakhain or doh kar pie to shadi ho jae gi. (Ref : Naway e Salaheen, Mafhoom e pg # 352). Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85107
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslama Alikum .... Hum log agar girlfriend nd boyfriend k risshta k sadqa deina ho tou un dhono k naam paper products likh kar upar sai egg ya paise waar sakethe h?

Answer: Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ). Update on dated 02-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam aleykum mera ye sawal hai ki dewar bhabhi ke liye maheram hai ya nahi

Answer: Bhabhi devar apas main na-mehram hain. (Ayat Ullah Seestani(d.b), ),nigah or libaas,part#1,pg#57-61). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86210
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o elaikum i am Ali mughal, i have recently been married me puchna chahta hu k kia me apni wife ki non nude pictures apne bohat khas dost ko dikha sakta hu?

Answer: Agar tasweer men khatoon hijab k sath ho our lazat ka irada na ho,or haram me perhny ka khoof nah ho,fitna perhne ka andisha bhi nah ho to jaiz hay.(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawallat Part#4 pg#66, sawal #129 ). Update on dated 11-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86315
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam! Mutalliqa se nikkah ki niyyat see baat kerna jis ka aik baccha bhi ho aur shehwat ka masla bi na ho jaiz Hy text msg ya phone per baat ki had tak

Answer: Was Salam. Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/) Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86317
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aslmkm main ek ladke se bht mohabbat kerti hun vo bhi krta h lekin apne ghr valon se darta h apne ghr valon ki vajah se usne mujhse baat krna chchorh diya h lekin main usse bht mohabbat krti hun usse nikah krna chahti hun please mujhee koi dua bataen jisse vo mujhse baat kr le or nikah kr le main apki beti jaisi hun meri madad karen main bht pareshan hun uske dil main mere liye paak mohabbat paida ho jay

Answer: 1)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he.2)aap un k ghar nikah k liye rishta bhijwa sakte hai. Rasool e akram ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18) (Ref: kitab nigah aur libas ques # 106 , Mafhoom e pg # 69). Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86326
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum janab mera sawal ye hai k agar koi shadi shuda aurat kisi gair mehram se muhabbat kare to kya wo shirk gunah hota hai kya wo aurat mushrikon me gini jayegi or kya wo tauba kar sakti hai ya nahi

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei, haraam hai . jee haan har gunah ki tauba hosakti hai or tauba is tarah ki jaati hai k apne us gunah par nadim ho or aainda khuda sai waada kar le k dobara wo gunah sarzad nahi hoga.(Ref: kitab nigah aur libas ques # 106 , Mafhoom e pg # 69). Update on dated 11-09-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86333
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia me gr py jeans t shirt tights wear ker skty ho mama ne ijazt de ha sir ger se bhr prda kerty ho.

Answer: Agar ghar mai koi na-mehram balkeh mehram afraad moujood hoon or is tarah ka libaas pehnna shehwat ubhaarney ka sabab ban raha ho to jaiz nahi hay. (Ref:Mujtahid sai pooche gaye sawalaat part 2 question#139)Update on dated 06-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Islam me jija aur sali ka mazak haram hai ya halal hai Delait me btai

Answer: Saali ka shumaar na mehram mai hota hai or aik (na-mehram) khatoon se aisi baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86705
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamoalaikum sir, mene ek ladki KO college me dekha air mujhe uske kuchh achche aamal dekhte hue uske liye dua ki usko hidayat ho Jaye bas phir bad me jb bhi us ladki ka khyaal aata me uske dua karta isi tarah mujhe usse mohabbat ho gyi par mene usse kbhi mulakat nhi ki par isharo me hi use samjha diya she has feelings for me but also has a boyfriend to mujhe kya krna chahiye ......mene is ladki KO Kai baar sapne me bhi dekha hai.....please guide in the light of Quran and hadees

Answer: Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain. Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87939
Mujtahid:
Date:

Question: Na mehram say muhabat krna jaiz h?

Answer: Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain. (Ref: book nigah aur libaas,pg#69,mafhoom e maslah#106). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88396
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mangni k bad bat kr skty hain

Answer: Mangetar na mehram hai or aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota . ise tarah beghair lazzat k irade k is ki batain bhi sone jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88611
Mujtahid:
Date:

Question: Agr lirka r lirki ki shadi ko bht time baqi ha r wo zana k ilawa sb kch kr le to is bare mai Islam mai kya Hukam ha?

Answer: Agar nikah ho chukaa hai lekin rukhsati nahi hoi hai or jimaa hoa hai tu koi masla nahi hai q k nikah k baad larka or larki aik doosray per halal ho jaatey hai lekin agar nikah nahi hoa tu dono aik doosray k liay Na-mehram hain or ye tamaam kaam haram hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2364). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88630
Mujtahid:
Date:

Question: Mama ki wife hoti hai Mumani Mumani ka darja maa k barber hai. Agar maa hayat Na ho to apni Mumani ko khidmat Kar sakte hAi jaise hath pav dabana unko ghar k kam me madad karna. Barahe meherbani Jawab dijiyega. Zazjakaallah.

Answer: Mumaani Na-mehram hain or Na-mehram k tamaam badan ko choona jaiz nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #12,16) , Eidition 1427 hij). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88675
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum mera sawal ye hai ke me aik larki se boht pyar karta hu or humare rishte ki bd bhi hu chukki hai ghr me ghr wale bhi sb raazi hai toh kia hum romance kar sakte hai

Answer: Jee nahi, nikah say pehle aap aik doosre k liay na-mehram hain lehaza ye amal aap k liye jaiz nahi hoga. Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2397). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88677
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam-o-alikum Umeed he ap kheriat sy hon gay me NY ap k beyan parhy he mashallha bahot achy hen..me first time ap ko msg write kr RHA hon me 12th class ka student hon or me NY aaj tak kisi larki ko aankh utha Kr Ni daekha bus ik din achanak ik larki mujhy pasand aa gai he me us ka galat istmal Ni krna chata bus us sy pyar kron ga or us ko khush rakhon ga laekin us k dill me mery lye koi jgah Ni ap sy request he k koi aesa amal btaen jis sy us k dill me mery lye jgah ban jay plz plz plz ap k jwab ka intzar rhy ga..Allah ap ko ajar dy

Answer: Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain. (Ref: book nigah aur libaas,pg#69,mafhoom e maslah#106). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: M ek ladke se bht pyaar krti hu 2 saal ho gye hm ek dusre se shadi bhi krna chate hh pr ab wo mkujhse baat nhi krna chata hh pls koi dua btade jisse wo phle jesa ho jaye...pls yaar kuch btado

Answer: Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k muje tum se muhabbat hai jaiz nahe hai. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69) rasool allah ne farmaya: surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88701
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam walekum bhai , main ek ladke se 7 sal se love karti hu wo bhi karta hai hmari sadi ki baatbhi hui thi but unki ammi pure tarike se raji nahi thi5 sal or wait karne khe rhi thi or wo fir mere pass 2 bar aya nikha karne lekin nikha ni ho paya unke ghar wale nikha ki bat sun ke use samjha ke leke chale gaye hai or jabse wo gaya hai tabse ek bar call nahi kiya hai aj 1 mahina ho gaya hai use achanak kya ho gaya hai wo jamat gaya hai 40 din ki usne mujhse bhot wade kiye the or ab aisa ho gaya hai ki main nahi rhe sakti itne dino se call bhi nahi aya dusro se uski bat pata chalti hai plz mujhe batayi allah pak ko kaise raji kare .

Answer: Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k muje tum se muhabbat hai jaiz nahe hai. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69) rasool allah ne farmaya: surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92493
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam...Sir myra aik frnd hai r ab hmari dosti is had tk pohnch gae k mjhy us sy Muhabbat ho gae...usko meny kbhi btaya nai k mjhy us sy muhabbat hai mgr mjhy lgta k wo bhi mjh sy muhabbat krta... me us sy nikkah krna chahti hon r agr me usy Allah sy mangon to usky baary me sochna r na mehram ko Allah sy mangna koi gunnah to nai??

Answer: Na-mehram say dosti ka is had tak izhaar kerna k us say kehna k mujhay tum say muhabbat hai,jaiz nahi hai aur gunnah hai.lekin agar allah sai dua mai manga jaaye tou koi harj nahi hai.(Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69). Update on dated 27-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92494
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam...Sir myra aik frnd hai jis sy ab myri itni dosti ho gaee k mjhy us sy muhabbat ho gae.. r mjhy lgta k usy b mjh sy muhabbat hai...me us k sath nikkah krna chahti hon to agr me na mehram ko Allah sy mangon to ye gunnah to nai ya usky baary me sochna r aesi feelings rkhna koi gunnah to nai??

Answer: Na-mehram say dosti ka is had tak izhaar kerna k us say kehna k mujhay tum say muhabbat hai,jaiz nahi hai aur gunnah hai.lekin agar allah sai dua mai manga jaaye tou koi haraj nahi hai.(Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69). Update on dated 25-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92714
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-19

Question: kia phone per mangetar se bat kar saktay hen?

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 20-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92798
Mujtahid:
Date: 2018-10-27

Question: Kiya mard ustaani se taleem haasil krskta hai? Aur kiya ek lrki mard se prh skti hai? Kiya lrki molvi sahab se Quran prh skti hai? Kiya mard ustaani sahiba se Quran seekh skta hai?

Answer: Wssalam o alykum, Ager larki Shari parde ke sath hon, or mard haraam nazro se pharaiz karain or dosre haraam kaam bhi na ho tou jaiz hai.(Ref : nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 93 , pg # 64 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
[Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92819
Mujtahid:
Date: 2018-10-27

Question: Kiya mangni ka bad mangatar ka sath goomna,phone PR bat krna halal h ya haram?

Answer: mangaiter apas main na mehram hain.Mangni k baad aam mamool ki baat cheet karna jis k ander koe shehwat nah ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi haram me perhnay ka dar ho. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115 , 116 pg # 57) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
[Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-14

Question: Meinn kisi se mohabbat kartii hoonn. Or wohh bhii karta haiii. Usne izhaar bhii kiya haiii. To kia shaadii takk yehh sab aisa chalana jaiz haii? Meinnn us hii se shaadi karna chahtii hunn. Meinn chahtii hunn kayy sabb sahii rahayy us kayy ghar walayy mujhse mutmain raheinn. Uskay dil mein b meray liye mohabbat rahayyy. Or koii mushkil na aye.

Answer: 1) Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k muje tum se muhabbat hai jaiz nahe hai. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69).
2) Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).
[Updated on 14-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: kiya ik na mehram larka larki k darmiyan sulha karwai ja skti hai? ager wo naraz ho ik dosry sa

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi koun k gunah mai mubtilla hone ka khof majood hai. (
Ref : Kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-24

Question: Asslamu alykum agr aap quware ho to kya mumani se mohabbat karna jayaz hai or unse mohabbat ka izhar kar sakte hai ya nahi or unhe kisi or naam se pukar sakte hai ya nahi

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
Mumani na-mehram hai or Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah main parhne ka khoof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q nah ho tu baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/) Update on dated 14-09-18.
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93473
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-05

Question: nikha sa pahla bat kr sekta ha h

Answer: Nikah say pehle aurat namehram hoti hai or aik (namehram) khatoon se aise baatain ki ja sakti hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me nah nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota . Ise tarah beghair lazzat k irade k is ki batain bhi sone jasakti hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1).
[Updated on 05-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93631
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: Kia Shadi ke bgair kiss kerne se gunah milta he??

Answer: 1) Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya os ka bosa laina(kisi) haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: Dear sir , Mai ek ladki se Mohabbat karta hu or 15 November ,2018 Ko usse baat karna Suru Kiya tha or 16 December,2018 Ko usko bataya tha ki Mai usse Mohabbat karta hu Magar usne mana kar diya Magar uski baat se lagta tha ki wo bhi mujhe pasand Karti hai , Magar 17 December,2018 Ko Maine uspe galat iljam Laga diya ki wo kisi aur se Mohabbat Karti hai sirf ek Shaq ki wajah se Maine usse bahut sorry bola par ab wo mujhe ignore Karti hai , plzz sir kuch bataye ki wo mujhe passand karne lage wapas.

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95789
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamoialaikum. Mai kisi ko pasand karti hon. Wo shaks se meri dosti ek Social website pai hui thi. Us nai mujhe islam ke bare mai bhot detail se bataya. Mai phele bhair jate hue sirf dubata pehnti thi but ab maine mukamal hijab phena shuru kar diya hai or Sari naamaze parhtii hon. Mai us se har roz Msg pai baat karti hon. Wo mujh se nikah karna chata hai. Ham dono ek dosre ko pasand karte hai . Ham dono ki mulaqat nhi hyi kabhi. Mere sisters or mother ko Jab pata chala unho nai mujhe Mana kiya or kaha ye nhi kro. Par mai phir Bhi us se baat krti hon Shup kar. Kya ye galat hai kisi se baat krna use pasand krna . Kya islam is ki ijazat deta hai. Mai apne Mama or behno se jhoot bola hai ke mai nhi krti LeKin mai us shaks ko nhi chor sakti . Plz mujhe is ka hal bataya mai kya kro . Mai Finland mai rehti hon or wo pakistan mai . Msg mai baat karna galat hai ke nhi . Or kya wo meri tasweer dekh skta hai or mai Uski . Plz mujhe tafseel se btaeee TaKe mai khuch galat Na karo.

Answer: 1)Na-mehram say dosti ka is had tak izhaar kerna k us say kehna k mujhay tum say muhabbat hai,jaiz nahi hai aur gunnah hai.lekin agar allah sai dua mai manga jaaye tou koi harj nahi hai.(Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69).
2) Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Update on dated 01-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-04

Question: Kya Naa mehram aurat ka Haath pakarne se ,rooza toot skta hai..

Answer: Na-mehram ka haath pakarne sai roza baatil nahi hota lekin ye kaam khud haraam hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#1553).
[Updated on 04-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95969
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mera sawal hai k rozey ki halat m na mehram sy salam le skty hath mila k? aisa sun ny m aya hai k le skty? to kya is sy roza makrooh nhi hota? ya hath milany ka gunnah nhi?

Answer: Namehram se hath milana haram hay, siwaey ye keh hath main dastana ho to haram nahi hay, ye kaam roze ki halat main bhi haram hay. (Ref: Ayatullah sistani, jaded fiqhi masel, maslah#467). Update on dated 07-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
96734
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-26

Question: As salamualikum Main ye Janna chahta hun k Islam mein Aurat ka naat prhna jaiz hai ya nhi aur agr jaiz hai to kis tareqy se aur agr mna hai to Kia wajjah hai Bahot shurkriya.

Answer: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart k sath keh ye k lazzat aur shehwat ki neyat say nah suni jaey aur haram mai mubtila honay ka bhi khof na ho aurat k leye ye jaiz hai k wo apni awaz na mehram mardo ko sunaey mgar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khoof ho tu is surat mai jaiz nahi hai (Ref: Ayatullah sistani jadid fiqhi masail pg#266, masla#510).
[Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97473
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-23

Question: meri Shadi tay hai to kya mai us ladki se uski izzat k sath shadi se pahle jina kar skta hu...?

Answer: Mangetar ko kiss, bosa kerna jaiz nahi hay q k wo aap k liay na-mehram hay kisi bhi na mehram aurat ka merd k badan ko haath lagana jaiz nahi hay or isi tarah kisi bhi merd ka na mehram aurat ko chomna ya choona jaiz nahi hay or mangetar na mehram hay is liay osko kiss kerna bhi jaiz nahi hay. zina gunah e kabeera hay. (Ref a sistani d b jaded fiqhi masail masalah 259, 239)
[Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98983
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamo alahikum. Sir g mera Sawal yeh hai k Main apni Czn say bohat muhabbat krta hun or wo b mjhse bohat muhabbat krti hai so min uss say lips kissing krna chahta hun meri Saggi Czn hai wo to kya yeh galat hai? Haram hai? Wo mere Abbu ki saggi behn ki beti hai so plz kindly tell me.

Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). Update on dated 30-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-27

Question: Agr koi larka qasmain kha kar larki sai shadi karnay ks usy yaqeen dilata hai or phr us ky sath zina nhi karta blkay zina ky qareeb qareeb koi kam kar leta mtlb choo leta hai larki ko or phr akhir ma us larki ko chor kar chala jata hai dhoka dai deta hai tou kia larki ko is gunah ki saza milay gi ky us nai larky sai qurbat q barhai?

Answer: Nikah sai pehle bosa laina or chona wagaira haraam hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397).
[Updated on 27-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa mny yeh poochna Tha k larka larki kiss krlen aur hug bhe aur larka larki k niple ko mun Mai lele Lekn humbistri na kre

Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). Update on dated 31-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100382
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya na mehram sy sirf chat sms py bat kar skty hain.. na call na photo just msg...

Answer: Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Update on dated 17-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
101128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-19

Question: kya nikah se pehle bivi se baat karna jaiz h

Answer: Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).
[Updated on 19-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101286
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-26

Question: Gair muslim ladki se mohabbat karna haraam hai ya nahi

Answer: jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai ref nigah aur libas sawal 106 pg 69
[Updated on 26-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101303
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2019-10-26

Question: Assalam o Alaikum... kindly jawab zror dena ap... m boht preshan hon.. main 6 saal se engaged hon.. mera finance kehta hai tum mjh sy video call py gandi batein karo and much more .... main ne usy kaha k ye jaiz nahi to wo kehta hai main apko real mein milny ka nahi kehta but mujh sy video call wgera py esy kar lya kro tumhy main apni wife smjhta hon.. par mera dill nahi manta... us k ghar waly shadi bhi nahi karrhy ... wo kehta hai zinaah sy behtr hai k tum mjh sy sirf video call py satisfy kardya kro par mera dill nahi manta pr wo boht preshan hota hai mjhy usy esy preshan daikh k dukh hota hai boht... to ye bata dain kia esa karna video call wgera py jaiz hai...????? please please answer akr dain mujhe...

Answer: wsalam.agar nikah ho chuka hai tou ye sub jaaiz hai lekin agar nikah nahi hoaa faqat engagement hoi hai tou ye jaaiz nahi hai kyun k do naa mehram nikah sai pehle aik doosrey par halaal nahi hote.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 pg no 357)
[Updated on 26-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101724
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: lapal ka father mahram ha ya namahram Please answer me on my email number sir I don't know about Majtahid

Answer: Na-mehram hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90-93) Update on dated 11-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
101725
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Lapalak ka father mahram ha ya namahram kindly answer me on my email address sir I don't know about Majtahid

Answer: Na-mehram hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90-93) Update on dated 11-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-05

Question: If a husband living in separate house from last 20 years wife allow to talk to any man and he is na meh rum

Answer: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).
[Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam-u-Aalykum! Sir Mera Sawal Yea Hai, Kay Mujy Ak Larki Say Shadi Karni Hai Lakin Mujy Is Baat Ka Idea Nhi Kay Wo Larki Batni (inner) Tor Par Kis Tarhan Ki Larki Hai ( Means: Kya Wo Ak Behtareen Zimadar Bewi Banany Kay Kabil Hai Ya Nhi )... To Kya Mei Us Say Kuch Zayada Waqat Means 1-2 Years Tk Mobile Pay Chatting Kar Kay Achi Tarhan Say Uskay Deeni-o-Dunyavi Mamalaat Aur Uski Batni (Inner) Shaksiyat Ko Janany Kay Liye, Kya Mei Usay Ak Lumby Waqat Tk Baat Kar Sackta Hu, Ta-kay Mei Usay Achi Tarhan Say Jan-Sacku, Kya Yea Jaiz Hai Ya Haram... Jawab Ka Muntazir Hu, Shukriya

Answer: Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Update on dated 17-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).Update on dated 14-12-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102567
Mujtahid:
Sunni Date: 2023-09-02

Question: A.o.A larqi aur larqa ak dosare se pyr krte hy aur aur mein husband wife wala relationship hy but us larqe ki shahdi kesi waja se kahi aur hi gae lekin wo us larqi se ab b shahdi krna chahta hy aur pyr b krta hy ab ase mein us larqi ko kia krna chahye us ko chod dena chahye ya ghr walo ki marzi k bina usse dusari shahdi kr leni chaye?

Answer: na-mehram se fahaash guftagu ka jaiz nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34) , (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 550 , pg # 278 , eidition # 5).
[Updated on 02-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102577
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Agar call pa sex krna s dono afraf free o jyn to kya gussal lazam ha

Answer: na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60)
1-Do cheezo i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) say insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344).
2-Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102642
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-27

Question: Larka pass ho kar chorde tou kiya larki wajha poch sakti hai. I mujha ek larka se pyar hai main usse shadi karna chati hun per usna mujhse galt kam karwaye or shadi se bhi mana kardia usko jalana ka lia maina uska cozn se.bt ki per usna mera galt faida uthaya maina tobha karli per main ni janti jab usna phr se kha mujha wo ab bhi chata hai sach tha ya jhot usna phr video ki main khud ka dil se mabor thi maina usko batya ek larka hai mujha passand karta hai hamre bat thi ab kahtam hai q ka wo mare kadar.I ni karta tou usna kha main sachi main chata hun hamre thek bt huwi per sham main usna block kardia kia main jana ki wajha poch sakti hun main toti hun Allah ka ahkam ka khilaf chali gaye uska lia or wo lhud mujha thek ni samjha or video ka bd bt ki phr block kardia tou maina tobaha karli jo gunnah huwa kiya main ab usse wajha povh sakti.hun chorna ki

Answer: na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60)
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print