Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (756 Questions)


Showing 500- 550 questions from 756 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
102643
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-27

Question: Main taklif main hun or koi ya bt ni samjh sakta coz jes sa pyar tha usna kabhi yaha ana ki tufik ni ki muse acha tha per shadi ka wada hr chez mana kardi main tot gaye or uska cousin na mera sth bura kuya wo ya janta tha otlr mujha kasorwar khta tha but maina ya sab srf eslia kiya taka pata chala kitni taklif hoti hai jab wo mujha khta tha usko kisi or se pyar hai main wo flst ki mafi mangi li hai per thek toba ni janti per koi zasa galt ni huwa mera sth waha ab bhi wo apni shadi ki bt se palat gaya or hr wada tor dia last time call per bhi usna video ka kha ka wo still chata hai maina ek larka ka zikar kiya ka agr wo ni chata tou main waha sahdi karlunge tab bhi usna mujha shadi ka lia nai bola or ulta video ki phr khud sham main thori se bt ka bd block kardia main Allah se hr chez ki mafi mangli hai kiso se ya sab nai share.karsakti ap ya bataden kiya ab main usse chorna ki wajha poch sakti hun q ka maina sacha dil se toba ki hai per buht taklif main hun maina bahrosa kiya tha wo totgaya na hi shadi huwi even wo chorgya or uper se buri bhi main bani jab ka main esi ni hun Allah ki riza main rahna cahti hun akhir ab main.usse wajha poch sakti.hun

Answer: na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102699
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-28

Question: Asa,main or mera cousin ekh dosry sy muhabat karty thy or humari shadi bhi honi the likin mera rishta kahi or ho gia mery abu ki waja sy badh main us ki bhi shadi ho gai us ky bachy bhi hain or mery bhi likin hum ekh dosry sy abb bhi piyar karty hain dil sy nahi bholy,hum baatain bhi karty hain kiya ye jaiz hai?

Answer: 1)Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. 2)Na-mehram sai baat krna agar lazzat aur haram mai mubtila honay k khof k bagair ho to koi haraj nahi. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106,84 pg # 69,59)
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
102761
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-17

Question: Asalam o alaikum .. mera sawal ye h k hm bht s wajuhat ki wjha s na mehram s bt krty hn .. unsy mobile pr b rabta hota h lkn kisi ghalat niyat s nh na koi haram m mubtila hony ka dar h .. aksar koi zrort hoto unsy madad lyli jati h.. to kia ye haram h ya jaiz h plz Quran or ahdees ki roshni m bta den .. Allah apko ajar dy .. ameen

Answer: na-mehram sai aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) & (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 17-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103150
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-16

Question: Mera swal ye hai ki jb mai apni gf k sath baitha hota hu ya fir sirf hath pakad leta hu ya fir kiss krta hu to itne se hi mere penis se thoda liquid secret ho jata h..kya is se mai napak ho jata hu

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose mazi kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise mazi kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise wadi kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70)

Note: Na-mehram se guftgu aam tor per dosti or mohabbat ka sabab banti hai is liye is ko sharai sawalat tak mehdud rakhna lazmi hai,
Na-mehram(chahe wo apke mazhab ka ho ya nahi)se baat karne se burai or guna men mubtala hone ka khof ho to jaiz nahi (Ref : Sawalat or jawabat, 1st ,masala # 76,79,pg # 57,58)
[Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-31

Question: ASSALAM U ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUHU.kiya kisi ghair mehram say call par baat karna jaiz hay?

Answer: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103536
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-15

Question: aik aurat jo nikah ma hai wo dosry maard sy mobile per baat karsakty hai na mehram sy lakin wo murad pehly aurat ka boy friend ta

Answer: Na_mehram se guftgu aam tor per dosti or mohabbat ka sabab banti hai is liye is ko sharai sawalat tak mehdood rakhna lazmi hai, Na_mehram(chahe wo apke mazhab ka ho ya nahi)se baat karne se burai or gunah men mubtala hone ka khof ho to jaiz nahi (Ref : Sawalat or jawabat, 1st ,masala # 76,79,pg # 57,58)
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103549
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-03

Question: Ma ra sawal y hy jis larke sy mara mangne howe hy kya my os sy mobile py bat kar sakta ho or agar kissing karna chaho karsakta ho ya nahe

Answer: 1) Mangetar na-mehram hay, nikah k baghair ye aap ki biwi shumaar nahi hoon gi. Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341)
ager bat karna fasaad o buraae ka bais ho ya guhnaah main mubtala hone ka koof ho to jaiz nahi hai.(Ref : nigaah o libaas , question # 79 , pg # 58 ,
2) Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397).
[Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103569
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-03

Question: Larki ka larki see mohabbat karna kesa hai

Answer: Aik larki ka doosri larki ko shehwat ki niyat se gale lagana, os ka boosa lena or se cherh charh karna haram hay. (Ref: Jadeed fiqhi masael, pg#429)
[Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103625
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-10

Question: Mere fiance australia mein hai woh ek din thk hotey hai agley din baat b nhi krna chahtey mujhe plx masoomeen k sadqey mein koi wazeefa btaye k woh meri traf hojaye meri har baat manney mera ehsaas hojaye os se mai bht takleef mein hn plx maddad kijiye

Answer: Mangaiter apas main na mehram hain. Mangni k baad Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho, koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103653
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-10

Question: Quran or hadees ki roshni m ek aurat ko mard sy baat kesy krni chahiye

Answer: Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103746
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-11

Question: A.O.A..... MERA shohar aik 24 saal ki larki se ishq kerta hai ...aur meray shohar ki umar 52 year hai.. yeh log milte bhi rahy hain.mera shohar us se shadi kerna chahta hai lekin woh nahi chahti... Tou kia meray shohar ka us se baat cheet kerna sahi hai? Jub k bachon per bhi bht bura asar parh raha hai...aur is waja se ghar main bhi bht fasad rehta hai ..woh larki kia chahti hai kuch samajh main nahi atta

Answer: Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103959
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-05

Question: Girl frnd banana jayaz h ya nahe

Answer: Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 )
[Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103990
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-22

Question: ASSLAMUALIKUM! SWAL yeah hai k ksi university main prhany wali larki ka ksi ladky sy bat krna sai hai k nhi as a class fellow?

Answer: Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 22-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104009
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Kiya Na Mehram Mard ( Larka) Na Mehram Aurat (Larki) ko Quran parha sakta hai ya Hifz Karwa Sakta hai ?? ya Kia Na Mehram Aurat (Larki) Na Mehram Mard (Larka) ko Quran Parha Sakti hai Ya Hifz krwa Sakti hai ???

Answer: Agar buraye me bubtila hone ka imkan ho to haram hai, aur agar buraye me bubtila hone ka imkan na ho to jaiz hai. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 4, sawaal no # 103, pg # 68)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104107
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-28

Question: Ma aik prouse aurat ko maa ka draja data houn kia ya jahaz ha hmra koi parda ha ya ni islam kia hukam data h

Answer: Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57).
[Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104133
Mujtahid:
Sunni Date: 2023-08-11

Question: Salam..m ek larki se piyar krta hun or wo bhi mjh se bht piyar krti h hamry parenta nh maan rahy q k wo panjabi speaking h or m urdu speaking kia hum apny parents k baghair nikkah kr skty hyn hum baaligh hyn. or kia documents chahye hwngy or nikkah fee kitni h?

Answer: Was-salam. Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k muje tum se muhabbat hai jaiz nahe hai. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69) rasool allah ne farmaya: surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18)
Nikah karne k liye kuch sharaet hai jin ka khayal rakhna zaroori hai. nikah mai seeghe parhe jaatey hai doosri baat jo larki baligh ho kunwari hai or zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjaam na deti ho tou agar wo shadi karna chahey tou zaroori hai k wo apne baap ya daada sai ijazat le balkeh agar zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjam deti ho tab bhi ahtiyat e wajib ki bina par apne baap ya dada sai ijazat le albatta maa sai ijazat lena lazim nahi.lehaza ye jo nikah kia gaya hai wo sahi nahi hai q k ye nikah apni sharait par nahi utarta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335 &2340
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104141
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Kya pyar ko pane ki wazife karne se gunah hota hai

Answer: Wazifa karne me koi haraj nahin hai lekin aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104267
Mujtahid:
Ilyas attar Qadri Date: 2023-08-06

Question: Salam me ek larky ko 15 sal sy pyar krti hun .wi bhi mje chahta he mgr uski kahyn or shadi hgai hy ham ab bhi ik dusry s shadi krna chahty hyn mgr mry ghr m koe razi nhi hrha

Answer: Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain. Update on dated 11-11-16. (Ref: book nigah aur libaas,pg#69,mafhoom e maslah#106).
[Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104384
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-10

Question: Agr ayk larka kisi larki sy sirf mobile par sex ki batyn karyn tu kya ye gunnah hy ? Agr gunnah hy tu is ka azala kya hy maffi kya hy is ki?

Answer: Na-mehram sai is tareeqay ki baatein karna haram hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57).
Parwardigaar sai sachay dil sai tauba karein or waada karein k aaina ye gunah anjaam nahi dein gay.
[Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104471
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-27

Question: Assalam o Alaikum! Sir kya Mai apni Girlfriend K sath sex kar sakta Hun Us ki sharamgah mai bhi na dalun sirf kaitna or kiss karna ?

Answer: 1) Jee nahi ye fail e haraam hai kyun k wo aap ki na mehram hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2397).
2) kisi na mehram se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
[Updated on 28-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104566
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-17

Question: Kya magater say phone per baat Kar saktay Hain agar wo czn ho hus ko dakh saktay Hain Kya hus k saath akilay mein mil baat saktay Hain ??

Answer: 1) Mangeter mard k liay namehram hoti hai aur mard apni mageter se jinsi lazzat k irade k beghair aur haram me mubtila hone k khouf k baghair saaf sutri phone per ya aam halat me baat cheet kar sakta hai or aap ka os se hath milana ya os ko chuna jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2429)
2) Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2397).
3) Aurat , na-mehram k saamne chehra or kalaeyo tak hath khule rakh sakti hay laikin is sorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne k irade se ho tu in dono soorto main in ko chupana wajib hay. (Ref: Touzehul masael, maslah#2399)
[Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108981
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-14

Question: mera swal hai k kya shadi se phly apny fiance yan apny love partner k sth sex k baray me bat kr skty hain... sincere hon tb b kya kr skry discuss?

Answer: wsalam.jee nahi fiancee aap ka na-mehram hai lehaza un sai is tarah ki baatein nahi ki jaa sakti.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57).
[Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109500
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: rishta hony k bd bat krna jaiz ha?

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109662
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Kia Nikkah se pehle larka larki hadood me reh kr baat kr skte hain?

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-21

Question: Asalam-o-alakum ! Sir meri dosti ak larki sy hy aur hum ny bahot martaba sex kya hy .ab es baat ka hamary pory ilaqy main pta chal gya hy aur bahot badnami ho rahi hy .lakin us larki ka character acha nhe hy us ka talaq dusry larko sy bhi hain .es masly k bary main quran o sunat ki roshani main btain .kya us sy shadi krni chaye ya koi aur hall hy es ka .lakin mery ghr waly es rishty pr razi nhe hain .aur ho sakhta hy kh usk ghr waly blackmale kre ager shadi na ki tu.

Answer: 1)Zina karna haraam or gunahan e kabeera mai sai hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30)
2)Ehtiat e wajib ki bina per jo aurat zina me mashhoor ho jab tak wo toba na karey us se nikah nah kia jay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 403 pg # 235)
3)nemehram se doste karna jaiz nahe hay kyu ke guna me mubtela hone ka khouf hay . (ref:nigha o libaas, aqa sistani,pg: 66)
4) Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) ,Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) 1
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110301
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-09

Question: Assalamu Alaikum meri mrs.govt.hospital me job Karti h anm.nurse h kya wo bina dupatte k reh Sakti h mard k samne...

Answer: Aurat par pardah karna wajib hai lehaaza aap ye baat apni zoja ko samjhaye, laikin aap on per jabar nahi kar sakte, haan aap os ko baghair hijab k ghar se bahar janey ki ijazat nah dain. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
Ager mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65)
[Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110321
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-21

Question: Aorat aor mard sath me khana kha sakte hai

Answer: 1:namehram mard aur aurat ka tanhaai me aik aise jagha hona jaha ghuna me mubtela hone ahtemaal(chance) ho haraam hai. Chaie kise or ke aane ka imkaan bhe ho.
2: Larke aur larki ki dosti jaiz nahe hai kyu k haraam me mubtela hone ka khouf moujood hai. Laikin mulaazemat (job) ke duraain raabte me ,agar buraaie ka baais na bane or sharhe hudood ka khayaal rakha jaay tu koi haraj nahe hay .
3:Agar behuda alfaaz ka tabadula na ho or haraam nighaao se perheiz kia jaye or guna me mubtela hone ka khouf bhe na ho tu Aurat ka aik aise dasterkhaan per baitna jaaiz hay jaha namehram bhe moujood ho.
(ref:nigha o libas, aqa sistani,pg:65,66,64)
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110327
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-10

Question: Salamun alaikum. Ayatullha sistani ki nazar main mard ke parde ka hudood kitna hai means mard ko apna kitna jism chupana wajib hai.

Answer: Mard ka na-mehram k saamne Sharamgaah k alawa baqqi badan chupana wajib nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), minhajus saliheen, part#1, maslah # before 54).
[Updated on 11-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110415
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-07

Question: me kisi se pyar krti hu bhut jyada par mujse ek galti ho gyi h k mene kisi or ldke se ye baat chupayi or uske muje propose krne pr use sb sach btaane k bjaye uska pyar accept kr liya. mene apne pyar ko dhoka diya h or us insan ko b dhoka diya h ab dono mujse bhut jyada pyar krte h me sachcha pyar sirf apne pehli mohabbat se krti hu.. kya kru kese apne is gunah se toba kru?? me bhut jyada preshan hu me kbhi b kisi ka dil nhi dukhana chahti thi.... ptani ye mujse kese ho gya?? me kese is sab se bhar aau? me toba krna chahti hu please help.

Answer: Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 )
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110437
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-16

Question: اگر بیوی کو اُسکا بہنوئی گال پر چُوم لے تو احکامِ شریعت کیا ہے

Answer: Biwi k alawa kisi bhi na-mehram aurat ko chooma or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah e kabira hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah # 30).
[Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-16

Question: اگر بیوی کو اُسکا بہنوئی گال پر چُوم لے تو احکامِ شریعت کیا ہے

Answer: Biwi k alawa kisi bhi na-mehram aurat ko choomna or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah e kabira hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah # 30).
[Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110524
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-13

Question: kay mohabt m phisically attrection zrori hai.or agr kisi ko apsy pyar ho or phisaclly attrection na ho to kya wo pyar hai???

Answer: Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k muje tum se muhabbat hai jaiz nahe hai. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69).
[Updated on 13-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110531
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-12

Question: kia apny mangetr k bary mn sochna halal ha?

Answer: Mangheter namehram hai. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le or shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay .. sex k khiyalaat ka dimaagh main sochnay say agar mani niklnay ka sabab nahi banay to ethiat e mustahib he k is kaam ko tark kar dia jay. Aur agar mani nikl jay to jaiz nahi he. .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2397,2407), (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82)
[Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110632
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-05

Question: a.o.a mere apni mumani se najaez taluq hain har kam kia hai but kabhi bhi soya nahi hn main unke sath or mani be kharij nahi ki

Answer: Mumaani Na-mehram hai aur Na-mehram k tamaam badan ko choona us ke baal or badan ki janib lazzat ke irade se daikhna aur un ka bosa lena jaz nahin hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #14+16 , Eidition 1427 hij) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
[Updated on 06-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-29

Question: Salam Kya larka larki jinke aapas mai engagement ho gai ho but nikah nahi hua ho wo aapas mai ek dusre se apne life ki planing kr skte h jisme unke sex se related batein bhi ho plz rply.

Answer: wsalam.aap ki mangetar aap k liye na mehram hai or aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110767
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-26

Question: Aoa. Mangani ki rasam ki islam me kia haeseyat he?

Answer: ( islaam me magni ,nikah ki tarah nahe hay yani ) mangaiter apas main na mehram hain ( or na mehram se hijaab, perdah karna zarori hay).Mangni k baad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho. 2)Agar be’hijab tasveer he to Tasveer ko lazzat k sath dekhna jaiz nahi he bal’ke bagair lazzat k bhi ethiat ki bina per jaiz nahi he. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115 , 116 pg # 57) .
[Updated on 26-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110768
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-25

Question: Aoa. Mangani ki rasam ki islam me kia haeseyat he?

Answer: ( islaam me magni ,nikah ki tarah nhe hay yani ) mangaiter apas main na mehram hain ( or na mehram se hijaab, perdah karna zarori hay).Mangni k baad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho. 2)Agar be’hijab tasveer he to Tasveer ko lazzat k sath dekhna jaiz nahi he bal’ke bagair lazzat k bhi ethiat ki bina per jaiz nahi he. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115 , 116 pg # 57) .
[Updated on 26-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-25

Question: Sir mera ye sawal he k me larka hu lekin na chahte hue b me larkio k bjae larko ki taraf mael hota hu Meri shahwat mardo ki taraf q he? Me ek sahi mard banna chahta hu me straight banna chahta hu lekin kese me apni shahwat mardo se hata kr orto ki taraf kru

Answer: Salam. mard shehwat ki niyat se kisi doosre mard ko gale nahi laga sakta ya jinsi lazzat ki niyat se aik doosre ka boosa nahi lay sakte, or agar maamla is se bhi aaggay barh jaey or ghair fitri amal ki nobat aay tu ye bhi gunah azeem hoga. ye sab kaam haram hain or agarcheh haram k dare mukhtalif hain.(Ref: Jadeed fiqhi masael, Ayatullah sistani, maslah#494).
Aap kisi achaey homeopathic doctor se ruju karain.

[Updated on 25-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-03

Question: Ky bina shadi larka larki me touches kissing vagaira jaez hai jabki ham shadi nh karne wale

Answer: Jee nahi nikah sai pehle wo aap ki na mehram hai lehaaza ye tamaam cheezein jaiz nahi hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 357).
[Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110835
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-05

Question: Kya dunyawi pyar mn dhoka deny ki sza islam mn hai? ...mein pehly ek lrky sy relation mn thi pr us ny jb mj sy pyar k chkr mn bht glt kam krwa liye or mny b krdiye pr zina nh ki phr mujhy jb ehsas hua k mny gunah kiya hai tw us lrky sy b nfrat hgyi or khud sy bhi or mry andr hr time ab isi shrmndgi ka ehsas rhta hai k ek tw mny islam mn hdd ko cross kr k gunah kiya dsra us lrky ka dill b torr diya tw ab plz mujhy mafi ka tareeka btaye

Answer: 1)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay.
2)Na-mehram sai baat krna agar lazzat aur haram mai mubtila honay k khof k bagair ho to koi haraj nahi. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106,84 pg # 69,59).
3)Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya he k wo toba karne walon ki toba ko qabool karta he aur aysa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur gunah se bachne k liye mazboot irada chahiye. Allah har waqt apne bande ko maaf kerne ko tayyaar hay agar banda sachay dil se sharmindagi k sath maafi maangay.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba), (Ref :Mafhoom e http://www.sistani.org/urdu/qa/01766/)
[Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110887
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-01

Question: Aslam o Alaikum Sir me ne pochna hai ik larki ka nikkah ho gya me uay ALLAH se dua se mang skta wo mera naseeb ban jae kisi se alag ho ke

Answer: Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2502). Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69
[Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110957
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-03

Question: Mene puchna tha k mjhy ek larky my kiss kardia that jab k main ye nhi chahti thi tu uskk bad s ab menu usse kabhi contact nhi kia aur bht sunayi bhi lekin ab main kia karun..

Answer: 1)Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397).
2)Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
3) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65)

[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110995
Mujtahid:
Ahel e sunnah Date: 2020-10-14

Question: Asslam o alikum! Mu bolay bhai jo mujy as teacher prhatay b hian un sy mamool ki bat cheet b hoti h m dill sy unko apna bhai smjti hun r wo b esa hi khety hian. Unko m ny apni pic snd ki thi Jo k hijab m thi but veil m nai kia es pr koi gunah to nai? quran o hades ki roshni sy rehnmai kr dyn please.

Answer: Moonh se bhai kehnay se wo bhai (mehram) nahi ban jata balke wo na mehram hi rehta hai, Aur Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka natija kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. Aur usko apni hijab wali picture dikhana jaiz hai, lekin naked picture dikhana jaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66),(Ref: book nigaah aur libaas,masla#20,pg#31) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).


[Updated on 14-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110998
Mujtahid:
Any one Date: 2021-12-03

Question: A/w ..Me ek ladki ko bohot chahta tha mene ramzan ki shab e qadar me usse whatsapp pe sirf use apne pyar ka yakin dilane ke liye kaha ki wo mujhe hafte me 5 din khawab me dikhti he par esa kuch bhi nahi tha mene shaitan ke bhekave me ake usse us raat jhoot bol diya aur upar se ye bhi keh diya ki agar tumhe ye saab jhoot lag raha he to allah tala mujhe barbaad karde .. Janab bataye ke main is bade gunah ki mafi kese mangu?? Janab allah ke liye jaldi bataye me kafi pareshan huu..

Answer: W/salam, 1: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69).
2: lekin jo aap ne jhoot bola hai ye Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. lehaza is k liye taubaa laazmi hai. aur toba karein ke Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur gunah se bachney k lie mazboot irada chahiea. Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111042
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-19

Question: Salam mei ek ladki se shadi krna chahta hu aur mei usse pyaaar bhi krta hu lekin mei usse baat krna chahta hu kyon ki usse pechanna chahta hu achhi ldki hai bhi ya nhi to mei usse baat kr skta hu ki kaisi hai agr aachi niyat rkhti hai to mei nikaah kr skta hu??

Answer: 1: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain.(Ref: Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106, pg #69).
2: Isi tarah Na-mehram se aisi baatain ki jasakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66),(Ref: book nigaah aur libaas,masla#20,pg#31) & (http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111048
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-10-19

Question: agar larka kisi larki ko shadi ka jhansa dy Kar us sy video sex karta hy or chorh deta hy to larka gunahgar ziada hy larki sy ya dono ka gunah ek jesa hy?

Answer: Na mehram Mard ne shadi ka kaha ho ya na kaha ho, Mard ke liye Na mehram aurat ka jism dekhna aur isi terah in k baloo ko dekhna chahay lazzat k iraday sai ho ya is k baghair, aur chahay haram mai mubtila honay ka khof ho ya na ho haram hai. aur in k chehre per nigah daalna aur hatho ko kalayo tak dekhena agar lazat k irade se ho ya haram me mubtela hone ka khof ho to haram hai balke ehteyaate mustahab(is ehteyaat per amal karna wajib nahe hai) ye hai k lazzat k irade k beghair aur haram me mubtila hone ka khof nah ho tab bhi na dekhe. isi tarh aurat k liay na mehram mard k jism per nazar daalna lazzat k irade se aur haram me mubtila hone k sath haram hai balke ehtiyaat e wajib ki bina per lazzat ka irada aur haram me mubtila hone ka khof nah bhi ho tab bhi mard k badan per nigah nahi daalne chahiay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397).
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Aoa larki kzn se hath milana jaiz hai?

Answer: Aurat k liay na mehram se hath milana jaiz nahi siwaay ye k dermiyaan main kaprha ya koe aur rukawat ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #271 , Eidition# 5).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-29

Question: Assalamo alaikum!! Mera sawal ye hai k....mere bade bhai ki beti hai 12 saal ki....lekin oski maa ne mere bhai ko talaq de di hai aur kisi aur mard se shadi krli hai aur ab wo osi k sath rehti hai.....meri bhatiji jo hai wo humesha oski maa k dusre shohar k pass chali jati hai.....kisi ne kaha k os aurat ka dusra shohar aur oske bache meri bhatiji ko na mehram hain aur kisi ne kaha k mehram hai.....aap batayen please k wo meri bhatiji ko oske maa ka dusra shohar oske bache mehram hai ya na mehran??

Answer: Agar os shohar ne apni bivi se hambistari kar li hay tu phir wo bachi apne sotele baap k liay mehram hogi or agar hambistari nah hoe ho tu wo bachi aapne sotele baap k liay ne-mehram hogi. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90)
[Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111168
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Kya gair mehram se baat karne se wazu toot jata hai?

Answer: Nahin, Na mehram ko dekhne sy wuzu baatil nahin hota.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatollah seestani edition 39 maslah no 322).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Is it Haram to make friendship with opposite gender? I mean simple friends ?

Answer: It is not permissible. Because there is a fear of falling into sin.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print