Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (754 Questions)


Showing 50- 100 questions from 754 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3360
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: is it haram to have a boyfriend

Answer: 1)jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3389
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera swal ye he k kia aik larki apne mangaiter se mulaqat ker sktihe ager wo apne walid ki ijazat le ker mulaqat kre or ager mulaqat k duran aik dosre k hath per kiss ker di ho, laikin ab shadi ho chuki he or wo larki apni us se mulaqat or hath per kiss krne per shirminda ho ri he or apne gunah ki muafi allah se mangti he,app is baray me btain wokia kre plz reply me soon,w/slam

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3402
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.. meri alhumdoillah kouch maheno pehlay mangni howi hai aur shadi may aabi sirf 6 mahenay baqi hain.. kia mangni k baad appni mangetar se mobile pea sms k through ya calls k through baat kar na jaiz hai iss neyat se k ham aik dosray k baray may kouch jaan saky..?? aur agar iss baat ka yaqqeen ho k haram mai mubtila nai hogay phr kia hukam hai???

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3425
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Q1:- Kaya nikah se pahle jab ki dono ki sadi date final ho choka ho kaya baat ker na jaiz hai?. Q2: kaya nikah se pahle baat kerna jaiz hai?.

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3451
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam kia hum larki jo k dost hy ios sex ki batey kar sakty hy gunah hy

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69)

Print

Id:
3461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: sallam . main jis larkay semohabat karti huus se meri ladai bht hoti hai or wo meri koi bat sahi tareeke se sunte hinahi haimain bolti kuch hu wo samajte kuch haior jazbati bht hai har galat buri bat per inshaAllah lagate hai plz koi wazifa dain jisse hamari larai na ho shukria

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69)

Print

Id:
3469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: me ak ladki ko chahta hun wo bhi chahti he lekin kuch dino se wo door hoti ja rahi hai kuch wazaif bataiye taki wo fir se chahne lage me kafi pareshan hun. khuda hafij

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69)

Print

Id:
3573
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia mobile phone per sms ke zarye kese na mehram larki se baat ker na jaiz hai ya nai?

Answer: Agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi. Aur agar baat cheet hidayat aur saaleh kaam per mustimal ho, jab k haram me waqae honay ka khof bhi na ho to koe haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66).

Print

Id:
3688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Apni cousions yani phophi zaad,khala zaad,chacha zaad behno k baalon (hair)or jism k dusre hison per nigah k kya ahkam hain? jab k aisa aik gher main hon to aksar aate jaate nazer per jaati hai.

Answer: Phophi zaad,khala zaad,chacha zaad behnain na-mehram hain.or na-mehram or
na-mehram aurton per lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khof k baghair chehray or hathoo ko kala’e tak daikha jasakta hay,laikin baaqi jagaho per lazzat k iraday k baghair bhi nigah daalna haram hay. (Tauzee hul masail, maslah#2349,2397). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3725
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asalam o alaikum mera sawaal yh hai k aik dafa meri ammi ne meri khala k betay ko doodh piladia tha aur meri khala ne mere bhai ko mai khala ki beti se shaadi krna chahta hun kia yeh jaiz hai kyunki mainay suna hai k hum behen bhai hogaye hain?

Answer: Doodh pila kar mehram bannay ki 8 shartain hein jis me se aik ye he k bachay ko is qadar doodh pilaya jay k is ki haddiyaan(bones) is doodh se mazboot ho jain aur badan ka ghost bhi banay or agar is baat ka ilm(yaqeen) nah ho keh is qadar doodh piya hay ya nahi tu agar is nay 1 din or 1 raat ya 15 mertabah pait bher ker dhoodh piya ho tab bhi(mehram honay k liay) kafi hay. agar 8 shara’it per amal kar k doodh pilaya gaya ho to wo lerki aap ki mahram ho gi aur aap ka on say shadi karna haram ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2438).

Print

Id:
3804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia koi aurat agar ladies perfume laga kar bahar jati hay aur us orat ki k jism se mehakne wali khusbo koi na mehram soongh le to kya us orat pe ghusal wajib hota he ya nahi.

Answer: Agar ye mardoon ko ghumra karnay ka sabab na ban reha ho aur usi laganay ka maqsad mardoon ko haram me mubtila karna bhi na ho to jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 135, pg # 65)

Print

Id:
3823
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: SIR MUJHY YE BTAIN K HAND PRACTICE KIA THEEK HAI? APNI MAGATER KO CHOOM SAKTY HAIN?

Answer: 1)Hand practice karna kisi bhi zarie se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
2) Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
3835
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya devar = bhabhi aapas me romontic batey aur ched chad karsakte hain....? aur limit kitni honi chahiye...?

Answer: Bhabhi devar apas main na-mehram hain. Devar ka bhabhi say romantic batey or chiarh charh kerna jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), ),nigah or libaas,part#1,pg#57-61).

Print

Id:
3919
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamo Alaikum Main ye janna chahta hun ki mangetar k sath phone pe sex ki batein ki ja sakti hai jo agey shadi shuda zindagi me zaruri hai

Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3984
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamoalykum ! 1)Ya Ek ladka or ek Ladke Shadi ke Pehle Ek Baar Apas main Baat Kar Sakte Hai ? 2) Or kya ek ladka ek ladke se shadi ke pehle mil sakta hai?

Answer: 1)jee haan,agar lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khoof k baghair ho or kisi burae ka sabab nah banay tu koe maslah nahi.(Ayat Ullah Seestani(d.b),sawalaat or jawabaat,part#1,niggah or libaas,maslah #77).
2) agar gunah or burae main nubtila honay ka khoof maujood ho tu milnay jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), sawalaat or jawabaat,part#1,niggah or libaas,maslah #102).

Print

Id:
4281
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam-o-alaikum....! mera sawal ye hai k kya mai aik na-mehram sy mobile pe just messages pe baat kar sakta hon....?? jab k mai ny aaj tak us ki awaz b nhi suni.... na us ko dekha hai or na kabhi koi ghalt baat ki hai.... kya is me gunah hai...?? or agr rozey mei msg pe baat karo or islamic bat karon buri baat koi na karon...to kya roza makroh ho jata hai...?? answer me in detail plzzz....!

Answer: Agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to to jaiz nahi he. Lakin agar baat cheet hidayat aur saleh kalaam per mushtamil ho, jab k haram me waqae honey ka khof na ho to koi haraj nahi hechahae roza ho ya na ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4384
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam ,mera quest hai ki i have a boyfriend and we live far away from each other, and its not possible to meet him . so while on phone at night we try to seduce eachother, is it haram?

Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistani)

Print

Id:
4447
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam-o-alikum, mera sawal yeh hai k islam aurat ko pyar krne ky ijzat deta hai ya nh

Answer: Ghair ikhtari kaam par koi hokum nahi lagaya ja sakhta. Agarchah is ka muqaddima ikhtiari hay.agar haram ho to is ka murtakib na hoon. Lakin har surat may shawat aur lazzat wala kaam nikah say pehlay haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani d.b. official website http://sistani.org/index.php?p=827020&id=972 Q#1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4473
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr ik larki ka chractar kharab ho tu agr koi larka us larki ko thek karne ke liye us se dosti kare tu kia ye jaiz ha

Answer: Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam per mushtamil ho, jab k haram me waqae honey ka khof bhi na ho to koe haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4734
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia aurt key sath aslam hath mila ker le ja sakti hai. ager nehien to hadees key metabiq is ke waga

Answer: Na-mehram aurat say haath milana jaiz nahi hay, haan agar darmiyaan main koe perdah maslan dastaney wagaira hoon to koe haraj nahi. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 131, pg #64 )

Print

Id:
4782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya facebook use karna haram hai?

Answer: Agar is ki wajah se fassad ka khof ho to jaiz nahi. Aur agar bat cheet hidayat aur salah kam per mustimal ho, jab k haram me waqae honay ka khof bhi na ho to koi haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66)

Print

Id:
4989
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Q1. hum jahan rahty hain wahan bhai bahny chacha chachi cousin sub mil k rahty hain wahan hamary ley na mahram ka keya hukam hai?

Answer: Jo aurtain merd k liay mehram hain yani on k saath azdawaaj kerna haram hay.maslan: maan, behen, baiti, phophi, khala,bhatijee, bhaanji or saas,tu agar lazzat k iraday or haram main mubtila honay ka khof k baghair hu tu(siwaay sharamgaah k) tamaam badan per nigah ker saktay hain.or na-mehram aurton per lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khof k baghair chehray or hathoo ko kala’e tak daikha jasakta hay,laikin baaqi jagaho per lazzat k iraday k baghair bhi nigah daalna haram hay.((Tauzee hul masail, maslah#2349, Nigah or Libaas Sawaal#23,24).

Print

Id:
5266
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamu alaikum… I am a 24 year old Muslim sister I fell in love with a Muslim boy who is religious and very good by his character. He is my college mate. We liked each other at first we had telephonic conversations. Later his mother called my mother and asked me for his son. My mother was happy with it. Our relationship continued over phone and we started to live like husband and wife by informing each other our every single activities and health conditions. For past three years we came to know about each other very well. We are stable in our love and it is increasing day by day. Only today i came to know that communicating with each other is a sin even though In sha allah I am going to marry him .Days are going on like this. As since it is taking time for him to get settled I have to continue my phone conversations. Please help me for I don’t know whether I can communicate with him without any sinful talks. Can I just enquire his health and ask him about whether he is having his food properly? Can I tell him my salaam after every prayer? Both of us feel deadly without texting.. is decent conversations to my fiancé allowed in Islam? He is so good loving ,caring and trust worthy. Please help me I need your guidance to seek allah and to be pure by heart and soul. I want to live with him in both the worlds for i want to be in jannath with him.. in sha allah aameen.. I hope there are many girls in my situation let my question help them to follow the righteous path of allah…

Answer: 1)Agar larki se is niyat se phone per bat ki jey k bad me us ko propose karey ga aur shadi karey ga to agar darmian me agar koi aisi bat na ho jo aik musalman k shaya ne shan nahi he to koi haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 124, pg # 65)
2)Agar lazzat ka irade aur haram mein mubtila hone k khof k bagheir aur kisi burai ka baa’is na bane to koi haraj nahei he. (REF : KITAB NIGAH AUR LIBAS ques # 77 pg # 57)
3)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5325
Mujtahid:
mangni Date:

Question: mara ap se question ha ka insan ko mangni kay bad kaya karna chayia jab ka shadi ma do saal paray hauy hain i mean ka kabi kabi mil lana chayia ya nai

Answer: Aam mamool ka mutabiq baat cheet karney me jis k ander koe shehwat angaix guftugu nah ho, koe haraj nahi lakin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat haasil nah ho aur na hi haram me perhnay ka dar ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5343
Mujtahid:
mangni Date:

Question: mangni kay bad insan ko kaya karna chayia

Answer: Mangni k bad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho.(ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5409
Mujtahid:
Date:

Question: aslam-o-alikam sir main aik larkiyo jaisa larka hon aur 17 sal sy aik larky k sath muhabat karta hon wo larka bi muj se muhabat karta hai main namaz bhi parta hoon pichly 20 sal sy ham dono galt taluqat rakhty hain khabi khabi wo larkiyo sy bi taluqat bana laita hai jis ki waja sy main marny wala ho jata hon us ki shadi hui to tab bi mere halit marny wali thi main buhat mushkil sy bacha tha phir thory arsy bad wo theeq ho gia phir mere shadi ho gai phir us ny muj sy mon mur liya tab bi meri halit buhat buri ho gai thi main us k beghar nahi rah sakta tha likan waqt k sath sath mujy us sy nafrat ho gai lekin phir bi us k beghair nahi rah sakt wo police me hai us k bazari aurto k sath taluqat hain main ne 1 mahina pahly us ko aik larki k sath pakr liya jis ka mujy buhat ranj hua yahan tak k main khudkashi k liy sochny laga lekin ab main ne dari mubarik rakh le hai aur mere dil main ab bi us k bary main waswasy aty rahty hain har waqt us k bary mein sochta rahta hon main ne allah s wada kiya hai k zana nahi karon ga aur apni sari zindagi islam k mutabiq guzaron ga lekin dil main y khiyalat aty hain k main y sb kuch us k liy kar raha ho agar wo mujy phir kahy ga to main tayar ho jaon ga. lekin ab main sab kuch khatam kar dina chahta hon aur apni zindagi allah k nabi k bataiy huy asolon k mutabiq basar karna chahta hon. ap se guzarish hai k ap kui asan sa hal batain ta k meri us k tarf sy muhabat khatam ho jai aur main apni bivi sy buhat ziada muhabat karny lag jaon mian ny pichly 17 sal buhat mushkil main guzary hain har waqt us k bary main sochna us k liy sab kuch karna guna karty rahna main ny is sy pahly bhi buhat wazify kiy hain lekin mery amal main pata nahi kun kam nahi hota lekin ab main ny allah talah sy toba kar le hai aur main sirf aur sirf islam k mutabiq zindagi guzaron ga. ap koi ayat ya koi dua bata dain asan ta k main is ka hal nikal sakon aur mere us ke tarf rughbat khatam ho jai main ap ka buhat shukar guzar hon ga. baqi allah ja chahy ga ho ga. aur mujy yaqin hai k allah ki tarf main ja raha hon to allah bi mujy pasand kary ga. mery jism sy napaki khatam ho jai ap k liy dua karta rahun ga..mera nam shoaib mohammad meri walida ka nam sughran bibi us ka nam mohammad ashraf us ki walida ka nam sharifa bibi

Answer: 1)Zina or lawaat(merd ka merd say bad faili kerna) gunahaan e kabeera hay or isi terah tamaam jinsi lazzaat(sexual relation-ship) ka kisi k saath haasil kerna siwa’ay biwi or shohar k ,azeem gunah hain.(Ref: Minhaajus saliheen part#1,Pg#30).
2)Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 3).
3) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314).
4) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41)
5) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601)
wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).

Print

Id:
5427
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: Q1. aj kal larkiyan be nohy parrthi hain our in ki video b agayi hain inko sunna or dekhna kaisa hai?

Answer: 1)Ajnabi aurat ki Awaz sunna jaiz he is shart k saath k lazzat or shewat ki niyat se na ho aur fail e haram me mubtila honay ka khof na ho. Al’batta aurat ko apni awaz ko is terha dilkush aur khoobsurat banana jaiz nahi k sunne walay k liay aam taur per hejaan awar ho agarchah sunne wala mehram ho.
2)Aurat na mehram merd k samne apna chahra aur haath ki hathaili zahir kar sakti he. Is shart k saath k is se haram me mubtila honay ka khof nah ho, aur is ka maqsad mardoon ko haram nigah me mubtila karma na ho aur aam taur per fail e haram me mubtila honay ka mojib na bine. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 510 , 501pg # 266 , 265)

Print

Id:
5431
Mujtahid:
saza Date:

Question: assalam o alaikum mera sawal ye hai ke quran pak and hadees pak me larkion ke parda na karne ki saza kea hai

Answer: 1)Aurat per ajnabi mard se mulaqat k mauqae per hijab ko farz qarar dia he. (ref : jaded fiqhi masayl masla # 512, pg # 267)
2)Jo apnay baal mardoon se nahi chupati thein rasool farmatay hein k wo auratain apnay sar k baalon se latki hui thein. (Ref : qasas ul ulma pg # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5686
Mujtahid:
Date:

Question: kya shadi se pehle ladki or ladka mil skte hai?

Answer: Agar lazzat k iraade aur haram me mubtela hone k khouf k beghair aur kise buraae ka baais nah bane to shadi ki gharz se mard k namehram aurat se ghuftaghu karna jaiz hai. ( ref: nigha o libaas, jild:1, pg:57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5838
Mujtahid:
Quran o sunnat ke lehaz se Date:

Question: Mera swal he meri mangne ho gye he aur me apne mangtar se pear krne laga ho wo bi krti he kia hum dono aik dosre ko kiss kr skte he ya gahr akhlaki bte kr skte he agr 2no ke rza mndi ho to kia kia kr skte he plz jldi btye ga.

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5839
Mujtahid:
Nigah daalne ke ahkam Date:

Question: Kia mangne ho jye to mngter ke sth sex ya kiss krna chahaye ya oske chut ko mou me lena chaye apna urethera oske mou me dena chahaye mgr shadi se phele plz jldi ans de do

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5858
Mujtahid:
Date:

Question: mera ap say yeh question hai kia kisi larky say dosti rakhna jaiz hai? ager humari koi ghalat neeyat na hoo...bas hum ak dosray say dosti rakhein? plz jawab zaroor dia ga..

Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistan)

Print

Id:
5864
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: salam,keya khushbu laga kar ghair mehram k pas jana jaiz hay?

Answer: Agar ye mardoon ko ghumra karnay ka sabab na ban reha ho aur osi laganay walay ka maqsad mardoon ko haram me mubtila karna bhi na ho to jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 135, pg # 65)

Print

Id:
5868
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alkium..meray dosti ak larky say hoi thi 1yr hojayaa ga and hum bohat achay dost hain..tu kia main us say bat karti hon woh thek hai ya nahi...lakin koi ghalat kam nahi.plz jawab zaroor dein

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5917
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam ale kum, Mai ek ladki se pyaar karta hu, aur usey apni life partner bhi banana chahata hu.....kabhi kabhi mai ussey sex ki baate bhi kar leta hu... mai aapse ye malum karna chahta hu k according to islam shadi k pehle us ladki se sex ki baate karna sahi hai ya galat ?

Answer: Shadi sai pehlay larki na-mehram hoti hai aur na mehram sai fawash batain karna jaiz nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5997
Mujtahid:
mangni Date:

Question: mara ap say sawal ha kay kaya insan ko mangni kay bad apni mangatir kay sat bat karni chayia ya nai i mean kay phone pe

Answer: Mangiter bhi na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart hai kay is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho warna haram he. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6054
Mujtahid:
islaah Date:

Question: shaadi se pehle mangetar se milna kaisa hai?

Answer: Mangetar namehram hai.aur Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib na hota ho. ise tarah beghair lazzat k irade k is ki baten bhi suni jasakte hen jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho.
(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)

Print

Id:
6063
Mujtahid:
Yes Date:

Question: A/a sir, meira aik dost ladkiyon say phone pe baat karnay kay baad ya kisi khoobsoorat ladki ko dekhnay waqat apni azoo makhsoos say goond (paste) of watery colour niklana ussay shuroo hota hai, kya aysay main ghusal karna farz hojata hai ya nahin. Jawab kay saath ref. aur hadith bee quote kijeayaiga.

Answer: 1) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi q ke ghuna me mubtila honay ka khof majood he (Ref: kitab nigah aur libas ques # 106,pg # 69)
2) Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho kay ye mani hai ya phishab ya koi aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan suss ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ge (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah # 345 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6068
Mujtahid:
Date:

Question: kia larki se fone per sex karna jaiz hai or kya larki ki gaand marna jaiz hai

Answer: Na mehram se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay.(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6183
Mujtahid:
Date:

Question: Assalm-o-laikum!mai ne apk answer parhe ap ne kaha k mangater se aam mamol ki guftagu jaiz hai.lkn mangater tu nameham hota hai aur namehram mard ko awaz sunayi de tu ye tu gunah hai.

Answer: ager ye awaaz lazat or haraam main mubtala hone ke koof ke bager suni jaye to koi harj nahi, or ager lazat ki niyat se ho ya haaram main mubtala hone ka khoaf ho to is ka sunna jaiz nahi.
(Ref : Nigah or Libaas, Masla # 84)(ALLAH apki tofeeqat men izafa farmaye).

Print

Id:
6283
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: Q.ma hosptal ma kam karta ho during operation hamen aurato ka jism ko hath lagana parta ha aur wo eza jenhen dakhna jaiz nai hota un eza ko b dakhna parta ha e.g bache ki peidaish ka waqat aurat nurs na ho to hamen hi dakhna parta ha plz hamara shari fariza kia ha?

Answer: Agar insane kisi shakhs ka illaj karnay k silsilay me is ki sharamgaah per nigah dalnay per majhboor ho to ethiat e wajib ki bina per osay chahaiay k aaina(mirror) samany rakhay aur is me dekhay. Lakin agar sharamgah per nigah dalnay k alawa koe aur charah(zarya) na ho to aisa karnay me koe ishkaal nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2406). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6284
Mujtahid:
ayat ul sistani Date:

Question: hum ek ladki se pyar karte hai mera dil chata hai ki hum uskai saat waqt guzarna chate hai to kya islam mai iski ijazat hai us waqt mai usko hum bus dekhana chate hai aur usse baate karna chate hai

Answer: 1)Fuqaha e karaam is baat ki tasreeh kartein hein k shak aur lazzat ki niyat se auratoon ko dekhna haram he aur lazzat ki nigah ka matlab ye he k un ki taraf shehwat se dekha jaay aur shak ki nigah ka matlab ye he k fail e haram me mubtila hone ka khof ho. (ref : jaded faqhi masayl masla # , 458 pg # 253)
2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6330
Mujtahid:
Date:

Question: salam Kia me apni mangetar sy bat ker sakta hun.

Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6342
Mujtahid:
Date:

Question: Kaya hum apni mungater say shadi say pahlay mobile per baat kar saktay hai.. Jab kay wo cusion ho..

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat nah ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shert he k is se koe jinsi lazzat hasil nahi ho aur nah hi haram me perhnay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6384
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Is "sali" sister of wife a mehrum

Answer: Jee nahi Sali na-mehram hay .(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90)
2) Agar koe shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan(yani sali) se shadi nahi kar sakta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6448
Mujtahid:
Date:

Question: agr larka larki kbi milein na hon r relation ho r koi galat kam na hua ho tou gunnah hay? r agr woh larka jhuti batain phela de k larki k bare mein tou larke ko gunnah mile ga?

Answer: 1)kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 )
2) jooth Kabira ghunahoo me shumar hota he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6461
Mujtahid:
Date:

Question: may ek lerkey se bhot pyaar kti hun aur wo b mujse ub wo brek up chahrehahai q k humari misunderstandin rehti hai aur wo muje humesha gelet semjta hai k mayusko dhoka dey rei hun ya ussey cheat kr rei hun ..aur ub keh reha hai brek up chaiye hai aur dubara call ya sms nai krey ga nahi jawab dey ga ..muje koi esa wazifa btayen jissey wo mere pass khud wapez ajaye ya muje call krey plzz sahib e alam....aur dusri baat wo nashey bhot krta hai kuch btayen k wo nashey krna chor dey may nai chahti k wo berbad ho pllzzzz....

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6497
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa.sir mujy apsay poochna k ma aik larky ko pasand krti hon or aksar aisa hota k us say bat krty waqt mujy feel hota k jesy kuch kharij howa lakin main yah samj nhi pati k wo mani hy ya mzi,,,,kindly ap in dono chezon ki tafseel bta dain or yah b k kia muj py ghusal wajib hota...general topic py bat hoti hain phir b kharij hoti hai koi ratoobat...apka bht shukria

Answer: 1)kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 )
2)larkay aur larki ka baat karnay me agar lazat aur haram me parhnay k khof ho to haram he. (ref : kitab nigah aur libas Sawal # 84 Pg # 59)
2)Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6572
Mujtahid:
ayatollah sistani (m) Date:

Question: kia kisi larki k jism ko sirf choona bhi zina kehlata hai?

Answer: Nahi, zina nahi samjha jata laikin haram hay gunah e azeem hay . (Ref : nigah or libaas, part# 1, ques # 109, pg # 70, (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6620
Mujtahid:
Date:

Question: pahli shohar ki beti dosre shohar k lye mehram ha k nae

Answer: 1)Agar koi shakhs kisi aurat say nikah karay aur is k sath hambistri karay to phir is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hay chahae wo nikah k waqt majood ho ya bad may paida hon.
2)Agar koi shakhs kisi aurat say nikah karay aur is k sath hambistri na ki ho to jab tak wo aurat os k nikah may rehay ethiat wajib ki bina par os waqt tak os larki say nikah na karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2351-52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print