Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (754 Questions)


Showing 350- 400 questions from 754 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
53467
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamualikum mera rasam hogaya aur mai mere hone wale shohar se bat kartiu aur hamare beech kabi kabi bhout behaz hojati char din achae rehte hum khushi khushi se but phr kuch aisi bat hoti k behaz hojati unku bhout gussa aata vo bhout gusse vale hai aur kuch aise bata boldete ki merku b bhout bura lagta aur gussa aajata to mai jawab dedetiu unku isme hamari ladayi aur badjati phr uno do teen din tak bat nai karte phn nai karte aur mai unku bhout chahtiu mai khona na chahriu unku uno gusse aake hamesha chordene ki bat karte har bar aisi karte mai kaisa bardash karna bhout jnsulting feel hota plz merku kuch rah batayiye plz

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna (jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69).
(Jesa k apne btaya k ap us larke se mohabbat krti hen to is qism k taluqat rakhna ya isi ghrz se bat chit krna haram hai hatta k apk mangetr se bat krna bhi) agr lazzat k irade or gunah men mubtala hone ka khoaf ho to jaiz nahi hai ( q k wo (shadi se pehle) ap k liye na_mehram hen or na_mehram se is qism k taluqat rakhna jaiz nahi hen.(Ref : Aqai Sistani(d.db), Nigah or Libaas 10 Marajaye k Fatawa k Mutabiq, 1st Edition, Page#57-58, Ques# 76-77-78)

Print

Id:
53478
Mujtahid:
Date:

Question: ma ek ahlesunat larky sy mohabbat krti hn aur wo b krta ha.hm shadi krna chahty haen.lakin hmari zindagi mei kuch aesy halat aye k ma ny kesi aur larky sy baaat ki.meray lover ka trust toota aur ab wo bhot takleef mei ha..na chor skta ha aur na pass reh skta ha..plz meri madad kren..ma apny past k gunahoun ko delete krna chahti.tobah krna chahti houn aur apny lover ka sakoon chahti houn k os k dil mei phr trust paeda ho jae.aur shadi k lye ghar walo ko kesay mnaoun?.plz en sb k lye wzaif b btaen..

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna (jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69).
Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
53492
Mujtahid:
Date:

Question: AOA, mujay ek larki pasand hai koi tarika btaen jis se wo mujhay pasand kr lay or un kay ghar walay shadi krwa dain us ki mujh se, larki ko bhe ni pata may us ko pasand krta hn

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.
(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69).
Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.
(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)

Print

Id:
53725
Mujtahid:
Date:

Question: kya ladiki ko dekhna islam mey jayed hi

Answer: Na-mehram larki ko shehwat ki nigah say daikhna haram hai.(ref:book nigah aur libaas,ayatollah Sistani d.b.,masla#5,pg#26). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53751
Mujtahid:
Date:

Question: Salm main jis sy pyar krti hn wo muj sy baht door ho gea hai muj say baat tk nhe krta plz ap kuch parhny ko bata dyn ky usky dil mare muhbat payda ho jy ar mjy shadi ky ky lay be wazif a bata dyn ky mare es sy ho jy plz

Answer: Na-mehram sy dosti\izhare muhabbat Haram hai.(ref:book nigah aur libaas,masla#106,pg#69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53791
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Q.1 Agar 1 larka or larki engage ho chuky Hoon to un ka apas men bolna jazz hy k nahii Q.2 Or kia wo dono nikah sy pehly apas men mulaqat bhi kar sakty hen ya nehii

Answer: 1-Baghair lazzat k iraday aur haram mai mubtila honay k khof k baghair na-mehram say baat cheet krna jaiz hai. 2-Nikah say pehle mangetar apas main na mehram hain donu.lihaza mulaqat k waqat parda zarori hai.
(Ref:book nigah aur libaas,masla#76,pg#57). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53810
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.O.A Mara sawaal ye hay kah kuch arsa phelay mara aik aurat sy relation tha mn nay usay sex bhi kia. Ab mary family nay meri magni uski beti daughter sy karwa the hay or mn ye baat kasi ko nhn bata sakta or na he magni tor sakta hn. Mujhy ap koe tareeka bataen kah maafi ho jay or nikkah bhi.

Answer: jis aurat say zina keya ho agar wo zani ki phophi ya khala nah tu uski beti say nikah ker saktay hain. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#2361). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53883
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu Aalaikum main ek ledke se mohabbat karti hu aur woh bhi mujhse beinteha mohabbat krta hai hamara reletion ship 7 sal se hai, par uske ghar walo ne uski mangni karwadiye hai lekin woh mujhse shadi karna cahta hai, aap meri madad karo kuch aisi dua batao ya amal jis se uski mangni tutjae jald se jald. plzzzzzz aap meri madad kero

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.
(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69).

Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53901
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: If the person commits Phone sex.. 1. is Phone Sex (Sms / Call) comes under the list of zina ?? 2. What are the remedies / Kuffara ?

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69).

Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.Ot toba or istighfaar is ka kaffara hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65)
S/no:69

Print

Id:
53935
Mujtahid:
Date:

Question: salam! mein ek larki sey beintaha muhabbat karta hun 3 saal ho gaye hain aur ham kabhi nae miley na esa koe erada rakhtey aen ! mein us sey shadi karna chahta hun aur wo bhi esa e chahti hai! kia hamara baat karna sahi ae ? nd wo apney parents ko btaney sey bhi darti ae us k bhi koe hal btaye! plzz give detailed answer with quran o hadees reference !

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69).
Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.
(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga.(Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53973
Mujtahid:
Date:

Question: meri koi behan nahi hy... aik muh boli behan hai bs... kia us sy baat karna jaiz hy? please btaiye mjhy....

Answer: Mou boli bahan namehram hoti hai. lehaza aurat k lye namehram mard se perda karna zaro hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2349,2397 )

Agar lazat aur haram me mubtela hone ka khoof na ho to mard k lye namehram se (sahriyat me rah kar )ghoftagho karna jaiz hai. (ref:nigha o libas pg:59). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54018
Mujtahid:
Date:

Question: Mai ek ladki se bahot pyaar krta hu pr abhi meri usse bat nahi ho parhi hai koi tareeka bataye jisse wo mujhe phone kare

Answer: Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)

Print

Id:
54030
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is it allow for a girl to show her pic thats without maqna to one whom she is going to marry with in few days

Answer: Mard aik aise aurat ki photo ya films jis se shadi ka irada ho is waja se k is k jisam ki khad o khal aur khubsurati se aagha ho sake , agar lazat k irade k beghair ho to dhakh sakta hai. (ref: nigha o libaas ,pg:41,1st eidition) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54082
Mujtahid:
Date:

Question: i love someone .he goes in my bus but he doesnot know me .plz koe aisa wazifa btae k wo mujh se muhabbat karne lage aur hmara jald nikah ho jae jald az jald

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtilla honay ka khof maujood hai (Ref: Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Darkhwas hai muje jawab dijiyega jaldi hum ap ke jawab ke muntazir hai, or ye b btaiega ki kya hme inhe kuch kehna chahiye ki ni

Answer: Jins e mukhaalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai (Ref: Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
Aurat or us k wali(baap/dada) ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay aurat ko chahiay kay wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho (Ref: Jadeed Fiqhi Masayl Ayatullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232) Agar kunwari larki in sifaat ko ehmiyat deta hai to pasand ki shadi me koi harj nahi albatta apkay baap/dada ka razi hona zaroori hai jub tak ap nikah nahi kar sakti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54603
Mujtahid:
Date:

Question: Kya rishty sy pehly larka larki ek dusry ko dekh kr faisla kr sakty hain ? Kya ye jyez hai ?

Answer: je ye jaiz hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 , 387 pg # 390 )

Print

Id:
55848
Mujtahid:
Date:

Question: asalamoalekum mere sawal ye hay k may jb b apne mangetar se bat karti hon to mamoli si bat par geli ho jati hon kia es k lia ghusul wajib hay

Answer: Mangeter na-mehram he aur Aik (na-mehram) khatoon se aise baatain ki ja sakti hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. Ise tarah baghair lazzat k irade k is ki batain bhi soni jasakti hai jab k haram me bhi na perhne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne waali ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57). (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)

Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
Jis se ghuna hoya ho wo Suche dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba)
Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Hadd tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat waajib ki bina agar hizaan shewat ki inteha tak nab hi pouche maqar paani itna ziyaada ho jitna pure razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
55858
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera ye bore adat hai ke me har kese larke ko ghalat nazar se dekta o muje is ghalat nazar se kese chutkara asel karo

Answer: Mard k lie lazzat k iraadat se na-mehram aurat ka jism dekhna aur isi terah in k baloo ko dekhna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397)
Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56291
Mujtahid:
Date:

Question: Kya Islam me kisi ghair mehrem ko munh bola bhai aur bahen banana jayez hair?plz answer me.its urgent plz

Answer: Jaiz hai kehne men koi harj nahi lekin bolne ke bawajood wo na-mehram rehain ge.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 90 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56577
Mujtahid:
Date:

Question: salm mera sawal hai k maie apny dost sy pyr krti ho woh mery techr b hai woh 3 sal bry hai mjh sy pr woh mjh sy oyr ni krty zada bt b ni krty koe asa wazifa batyn k woh mjh sy pyr krny lgy bt krny lgy or shadi k lia kud kahyn mjhy plzzz maie unko buht pasand krti hun

Answer: Jins-e-Mukhalif sai is had tak dosti karna k muhabbat ki had tak pounch jaye, ye jaiz nahi hai q k gunaah mai mubtilla honay ka khof mojood hai. Surah-e-Ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar me hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb-e-manshah rishta dastiab hoga. (Ref: Nigaah aur libaas, ques #106,pg #69)(Ref: Naway-e-Saaleheen, pg #352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56585
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: main ek larki se piyar karta hon or wo bhi mujh se piyar karti hai par uski bhen ko pata chal gaya haii or usne uske bare bhai ko bata diya hai or uske bare bhai ne uska cell wagira sab leliya hai mere se cantct na rakhe issliye ap bataien main kiya karonn k uski faimly maan jaye or hummre beach main ye fasle na rakhein plz tell me i,am waiting

Answer: Jins-e-Mukhalif sai is had tak dosti karna k Muhabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunnah mai mubtila honay ka khauf mojood hai. Surah-e-Ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to Hisb-e-Manshah rishta distiab ho ga. (Ref: Nigaah aur libaas, ques#106) (Ref: Naway-e-Saaleheen, pg #352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56589
Mujtahid:
Date:

Question: Mein ek larkey se bht pyar karti hn and vo bhi and hum paas bhi ae hein par haraam wala paas ni ae or hum chuhp kar nikkah karna chahtey hein to kesey hoga ye sub . . And hum itna paas ni ae to Ye zina to ni hua na?

Answer: Jins-e-Mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khauf mojood hay. kunwari(virgin) larki us waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah de day. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul Masail, Maslah #2341)(Ref: Nigaah aur libaas, ques #106)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56604
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hei k m aik lerki ko pasand kerta jo muj se bhari hei r wo b mujey pasand kerti r ham dno aik doswre se shadi kerna chate hei......ham dno k dermian 5 6 sal ka fark hei tou kia ham dno shadi kersakte r ye sai hei ya ghalat r ye b btaen k ger walon ko mananein k liye koi wazifa......

Answer: Jins-e-mukhalif se dosti kerna jaiz nahi kui k gunah mai mubtilla honay ka khauf mojood hai. (Ref: Nigaah aur libaas ques #106 ,pg #69) Surah-e-ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref: Naway-e-Saaleheen, pg #352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56662
Mujtahid:
Date:

Question: Kia behn , khala , ya cousin k sath sex krna jayeiz hai

Answer: behn or khala se to kisi bhi surat men jaiz nahi hai q k wo mehram rishtedar hote hen, albatta cousin q k na-mehram hoti hai lehaza usk sath shadi krna jaiz to sex bhi jaiz hoga mgr nikah k bad.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) , (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2349 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56712
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM ALAIKUM kia aik larki na mehram se bat kar sakti hai bina usko dakhy, jese facebook pe?

Answer: Wssalam o alykum, ager is baat cheet ka natija buraai o fasaad o guhnaah main nikle to jaiz nahi hai.(Ref : nigaah o lebaas , baab # 7 , sawaal no # 79 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56727
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamo Aalaikum Mai ek larki se 10 saal se bepanah mohabbat karta hoon or us shadi bhi karna chata hoon. Mai apni girlfeiend se phone pe baat karta hoon or baat karte karte sexy bateen karne lagta hoon. Mai ye janna chata hoon ki kiya mai us se is tarah ki baat kar sakta hoon ya nahi. Kiu ki meri niyat ye hai ki mai sief usi se nikah karoonga. Agar mere liye ye jaij nahi to mujhe kaffare k liye kiya karna parega. Aap se motowana gujarish hai k aap mere is sawal ka jawab de mai aap ka shukre gujaar rahoonga. Dua ki gujarish Khuda Hafiz

Answer: Wssalam o alykum, nikah se pehle is qism k taluqat jaiz nahi hai, lehaza toba karain.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57301
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam, kia magni ke baad apne manghter se phone pe baad karna or milne ke lia jana sai hai? kia ye kaam haraam me ae ga? plz jaldi jawab den.

Answer: Mangheter namehram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2397 )
Mangetar namehram hai.aur Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota . ise tarah beghair laszat k irade k is ki batain bhi sone jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57598
Mujtahid:
Date:

Question: kya mangeter se bat kerna jiaz he

Answer: Ager esi aam mamool ki baat cheet ho jis main koi shehwat ubhaarne wali guftago na ho or is aam mamool guftago se khud ba kud jinsi lazzat bhi hasil na ho to jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 115 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57612
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam alaikum....kya wife apne chachere bhai se baad karsakti hai..kya wo na mehram hai...kya usse koi kawaesh kasrsakti hai.

Answer: Wssalam o alykum, jee, na-mehram hai, or tamaam na-mehram ke ehkaam us ke or ap ke dermiyaan bhi aaege. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #2349 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hia).

Print

Id:
57772
Mujtahid:
Date:

Question: Assalmu Ali kum meri mangni ho gai hai kya me apni hone wali biwi se kisi bhi tarha ki ( humbustri) kibaat kar sakte hai ? Aur he hath se apni sharmgah ko hilata hu iska Islam me kya gunah hai ? Plz sir reply

Answer: Wssalam o alykum, dono chezain haraam hain, is liye k wo abhi apki faqt mangetar hai jab tak nikah nahi hojata tb tk won a-mehram hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: isalm may shadi ken ristay dar say jayiz hai

Answer: On aurto k sath jo insan ki mehram hoon nikah kerna haram hay. Maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57797
Mujtahid:
Date:

Question: assalmu ali kum meri mangni ho gai hai kya me apni hone wali biwi se humbistri ki bat kar sakta hu aur sharmgah ko hilane par kya gunah hai plzz replay

Answer: 1-ager baat cheet aam mamool ke mutabiq ho or is main koi shehwat anggeez guftugoo bhi na ho or na hi is se koi jinsi lazzat hasil ho or na hi haraam main pharne ka der ho to in ke baat karne main koi harj nahi hai.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 3 , masala # 115)
2-Istemna kerna (hand practice) haram hai chahay kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
57845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Salaam, me ek larki hun......Or me ek larky se boht muhabbat karti hun...hum dOno ne ek sat bht waqt guzara hy....ek do din hum ne akele b guzary hain jis me hum ne sirf batain ki hain....or sOye b sath me hain lekin hum ne kuch kiya nahi hy,,,,,,ab us larky ne mujhe chOr diya hy,,,jab se us ne mujhe chora hy tab se meri zehni halat thek nahi hy,,,,mujhe us ki yaad bht ati hy....dusri taraf mujhe esa lagta hy k mera Allah mujh se bht naraz hy isi liye meri us gunah ki wajah se meri zindagi mai khushi nahi hy.....me puchna chahti hun k mujhe is gunah ki maafi k liye kya karna chahiye????? me tOba k liye nawafil b ada karti hun astaghfaar bhi kasrat se parhti hun...... Or dusra ye k kya hum dOno par nikah wajib hO gaya hy????agar han tO mujhe kya karna chahiye???? please meri madad karain....

Answer: 1)Jo shaks shadi na hone ki waja se haraam kaamon men mubtila hota ho is per wajib hay k shadi kar le.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2407) 2)

2)Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain: Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay. 1)maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana). 5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58244
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal ye hy k mari cazan hy jis mara rishta paka kia h0wa hy bachpan s . Hum l0g baten kerty hen ur 0ral sex bhe r0mantic baten bhe ye jaiz hy . Ur hum d0n0 ek d0sry k0 husband wife manty hen plez ans me

Answer: Baat pakki/Rishta pakka hona Nikah nahi hota hai is liye aap dono aik dusray ke liye na mehram hain aur aap k liye jaiz nahi hai k aap usay mehramana nazar say dekhay jab tak nikah na hojaye. Na mehram k sath koi aisi baat na ki ja rahi ho jis ka Na Mehram k sath kiya jana munasib na ho aur isi tarah beghair lazzat k Iraday say Na Mehram ki baatain bhi suni ja sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah# 2328)(Ref: Mujtahid say puchay gaye Sawalaat part #04, pg#66)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58276
Mujtahid:
Date:

Question: AA sir.sir apne muhabbt k liye question id 9472 ko ye answer dia k 40 din tk wazifa karen bt sir grls exact complete 40 days wazifa jari ni rakh sakti so us surat me girls ko kia karna chahye k muhabbt ka mqsad b hasil ho jae or wazifa b mukaml kis tra kia jae..... mera sawal b same he hai k me kisi larke se bht he zyda muhbat krti hu wo b 3 mahine tk karta tha bt phr us ne bat krna chor di meri mngni us ki waja se toot gai.lakin wo b muje chor k side pe ho gea me reh to leti us k bina bt wo her tym meri imaginition me rehta hai me tang aa k rone lag jati hu k kbi to wo muje yad na aye me darood pak pr k duwa karti hu k usko b muj se usi tarp k sath muhbt ho bt usko jub b kuch khti hu usko btati hu k me tumn bhool ni pa rai wo bs muj se apni nafrat ka izhar karta hai jub k mne us k sath kbi koi b jht ni bola.... plzzzzz sir koi wazifa bta den jo me karu or usko b muj se us trp se muhbat ho wo b muje imagin kare usko b me yad aaun usko mere dil ki muhbat pe reham aa jae.......sir or koi aisa wazifa jo k just ik maa me he pura ho jae jesa k me bta chuki hu 40 days girls k posiibl ni k wo wazifa complete kar paen........... mene bht umeed se apko ye msg kia hai plzzzz help me sir..ALLAH PAK will give u reward.......

Answer: Jins-e-mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pohonch jaye, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtilla honay ka khauf moujood hai (Ref: Nigaah aur libaas,ques# 106,pg# 69)
Surah-e-ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb-e-manshah rishta dastiab ho ga. (Ref: Naway-e-saaleheen,pg# 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: periods main ye sorah perha jasakta hay. Faqat quran k horoof ho nah choa jay.

Print

Id:
58307
Mujtahid:
Date:

Question: assalam alikum. mera sawal. me 1 larki se sch me bht pyar krta hn or wo b krti ha or hamare parents ko ni pta or hmm shadi b krna chahtey hen to kya hm 1 2sre se bt ke skte hen kya jaiz ha? or kya ksi gair larki se pyar krna jaiz ha?

Answer: Jins-e-mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jaye, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khauf moujood hai (Ref: Nigaah aur libaas,ques# 106,pg# 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
58331
Mujtahid:
Date:

Question: Salaam main ek larky se shadj krna chahti hun woh b chahta h lyk us k khandan main kasi ny out of family shadi nhi ki us k ghr waly nhi maan rahy plz kuch btaen sab khushi khushi raazi hojyen...Jazak Allah

Answer: Jins-e-Mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jaye, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai (Ref: Nigaah aur libaas,ques# 106,pg# 69)
Surah-e-ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb-e-manshah rishta distiab ho ga (Ref: Naway-e-saaleheen, pg# 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58885
Mujtahid:
Date:

Question: Mujhe mera pyar wapas dila do main uske bina ji nhi sakti wo kisi or se shadi karne ja rahe h 1 nov. Ko main unke liye musalman b ban gayi par fir b wo mujhse shadi nhi kar rahe h plz mujhe mera pyar wapas dila do

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58932
Mujtahid:
Date:

Question: Engagement k baad mangetar ko bv kehna jaiz hai?

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter sharhe biwi nahe hote aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
58941
Mujtahid:
Date:

Question: Mujhy kisi sy bht muhabbat hai.Lekin uski ab shadi honay wali hai.Main bht preshan hu, dil karta hai k mar jaon.Koe aisa amal btaen jis sy meri tension door ho jaye.Main apki bht Mashkoor rahu gi.Shukriya

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
60445
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mjh s na chaty hoy zina hoa,jis p m buhat sharminda ho m n apny shohar ko b bataya,m allah s mafi b mang ri ho,keya m us larky s phr mil sakti ho ya cll p bat kar sakti ho?zina k irady s ni sirf 1 2sry ki help k irady s,q k hm 2no buhat izat dar gher s taluq rakhty h,plz baty

Answer: zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30).Agar shohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani (zina krne wale mard) par hamesha k liye haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina karti rahe) to behtr ye hai is ka shohar isay talaq day den.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2367) Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Jis se ghuna hoya ho wo Suche dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60695
Mujtahid:
Date:

Question: sir assalam o alekm meri pareshani ye h k meri love marrige h ..abhi meri srf engejment hui h..pahle wo mjhe bht zyada chahte the bt ab idhar kuch dino se wo mjhse zyada bat nhi krte..mere zyda puchne pr unhone ye btaya k wo kisi dusri ladki me intrested h mujhe btaye k mai aisi koun si dua padhu jisse wo us ladki ko b bhul jaye or kisi or ldki se b kbhi ateched na siwaye mere ......

Answer: 1)jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2 Mangetar na mehram he aur Mangetar se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, karnay mai koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note dono bato per Allah Taala ke liye amal karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60824
Mujtahid:
Date:

Question: AOA mein aur mera cousin apas mein muhabbat krty hain hum ny kbhi bhi direct bt nai ki lekin kbhi kbhi messaging ho jati hai lekin. Kbhi bhi koi ghalt bt nai hoi sirf haal waghaira pooch lety hain kia is trah sirf haal waghaira poochna ya sarsri si bt karna bhi gunah tu nai

Answer: Ak (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota, ise tarah beghair lazzat k irade k is ki batain bhi suni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60870
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya loud speaker lagana jayaz hai khhwateen ki majlis mai

Answer: koi harj nahi, siwaae is sorat main ke majlis pharne wali ki awaaz shehwat ko ubharne wali hai, or ager loud speaker lagaya jaae to mard is ki awaaz sune ge. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 7 , sawaal no # 84 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61018
Mujtahid:
Date:

Question: Mein ik larki ko pasand karta hn r us sy shadi karna chahta hn kia us sy mesg pe baat karna jaiz hai..???

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61174
Mujtahid:
Date:

Question: Meri engagement ho chuki hai pr mere hone wale shohar ko sex krne ka bahot dill hota hai..or wo mujhe bahot bar kehte hai k hum kar lete hai or 1-2 bar kr bhi liya hai masla aise hai k hum shadi nhi kr pa rhe hai kyuki unhe khud ka ghar Lena hai or wo jb tk nhi hota shadi nhi kr sakte or wo sex k liye bhi sabar nhi kr pa rhe hai or mai mana krti hu to mujhe dar hai k kahi unka pyar khatam na hojaye meri ek sister ka aisa hi hua hai isliye....ab mujhe samjh nhi aata kya karu or mere shohar ka abba bhi ghar jaldi nhi le rhe hai kyunki thoda paiso ka masla hai..mai mushkil me padh gyi hu kru to kya..

Answer: Mangiter namehram he(q k mangni ki share`at men koi hesiat nahi hai lehaza wo abhi ap k shohar nahi hen to un se is qism k rawabit rakhna haram or gunahe kabeera hai)(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) shoar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), Jo shaks shadi na hone ki waja se haraam kamon me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)

Print

Id:
61196
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mujhe koi hal btaye meri ek dost hai jisse meri 1 saal se baat horahi thi 2 mahine pehle wo achanak mere se naraz hogyi jab ke hmari koi fight bhi nai hui thi 2 month se mai uske tarle maar raha hu k kya baat hai wjah btao laikin wo kuch bhi nahi bta rahi aap hi kuch aisa btaye jisse hmari doati phir se shuru hojaye

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61204
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum...mera sawal ye ha k ager koi larka larki se mobile pe baat karen aur us doran larky se white sticky pani niklay jo k mani nahe ho tou kia ghusal wajib hota ha?matlab soch us waqt larky ke gandi ho..

Answer: Jo shaks shadi nah hone ki waja se faile haram me mubtila hota ho is per wajib hay k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
Jis insaan se ghuna hoya ho wo Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
Agar kise shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur cheez agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61344
Mujtahid:
Date:

Question: sir me ek ladka ko bhut pyar karti wi bhi muja karta app muja asi dua bateya ki woo mere bina ek pal bhi narah paye bat kiya bina ya mila bina uska dil me mere liya bhut pyar our ho jaye koi dua bateya me hundu sa muslin hue hu dua muja hindi me acha sa bateyaga samjh me ajaye urdu ni ati muja

Answer: Islami lehaaz se us ke sath nikah kar lain, Q k shadi se pehle Islam main is terah ki dosti or mohabbat jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69).
Quraan e Majeed ki Sura e Ahzaab (sura no # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar ke apne ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz ik bar parh (ager Arabi pharna mushkil ho to hindi tarjuma pharain) kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61845
Mujtahid:
Date:

Question: kya khuda k ilawa ksi or sy ishaq jaiz hy

Answer: Khuda ke ilawa un logo se mohabbat(ishq) jaiz ha jin se muhabbat kerne ka hukum khud khuda ne diya ha jaise Aoliya-e-Khuda, waldain wagera.
Jins-e-mukhalif (na-mehram) se dosti ka is had tak izhaar kerna ke is se kahe ke muje tum se muhabbat ha, jaiz nahi ha koun ke gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( Kitab-e-nigah aur libas ques # 106 , pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)

Print