Showing 0- 50 questions from 96 questions on this page.
Question: I AM MUQALIDA OF AAYAT-UL-ALLAH KHUI MY QUESTION IS AURAT MARD KE KONSE AAZA(BODY)DIKH SAKTI HAI BAGEER KISI LAZAT KE TV ME AUR PICTURE {TASVEER} ME.
Answer:
w salaam,
We are extremely sorry for the very late reply. This was because of some site functional probelems. We will try our best for the quick responce later, Insha allah.
Aurat ka na-mehram key chehray (face), hathoon (hands), sar aur gurden (neck), legs ka lazzat key bagair daikhna jayez hay,
agar-che behtar hay keh aisa na kiya jaye. Lazzat key saath in aaza ko daikhna ehtiyaat kee bina par haram hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail, Masla No. 2442
Question: ASSALAM-O-ALIKUM, MY ENGLISH NOT GOOD SO I ASK U QUESTION ROMAN URDU, MAREE INGAGMENT HOI HAI TU KIYA MAIN APNAY MANGATER SAY CHATING YAA UNN KO MAIL KAR SAKTEE HOO JAB KAY MAIN JAB BHEE CHAT WAGAR KARTEE HOO TU MUJHY BUHTH DAR LAGTA HAI.
Answer:
Agar SHEHWAT ubharnay aur HARAM main parnay ka khouf na ho to JAIZ hay.
Ref:Book Siraat-un-Nijaat(Part 1) Question No.845.
Question: main jab bhi apnay mangater say chating kartee hoo pata nahi kun itna dar lagta hai.shayad ya sab tek nahi hai mager kohi asee dua kay main baat na karoo aur unn kay dil main maray liya muhabath bhi rahay.mujhy iss ka jawab yaa hal bata digiya yaa kohi dua, ALLAH HAFIZ FROM TAHIRA
Answer:
Agar SHEHWAT ubharnay aur HARAM main parnay ka khouf na ho to JAIZ hay.
Ref:Book Siraat-un-Nijaat(Part 1) Question No.845.
Try to ignore chatting(if possible) in this situation.(Mumkin ho to chatting ko TARK kar dain).
Question: ASSALAM-O-ALIKUM, mara qiestoin yaa hai kay mari ingegment hoi hai ammi aur gher walay sab razi hain bass abu kahtay hain kay jab job lagay gee tab yaa reshta ho ga tu kiya main online chat kar saktee hoon un say say sharyath is ki ajazath nahi date. ALLAH HAFIZ
Answer:
Agar SHEHWAT ubharnay aur HARAM main parnay ka khouf na ho to JAIZ hay.
Ref:Book Siraat-un-Nijaat(Part 1) Question No.845.
Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).
Answer:
W salam
Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye.
Ref . Isteftat Agha Sistani
Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).
Answer:
W salam
Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye.
Ref . Isteftat Agha Sistani
Question: Can i show top and bottom parts of my feet to non family members? Is it permissable or is it better not to do?
Answer: If the non family members are your "Mehrams" then it is allowed. But if they are "Na-Mehrams" then it is not permissable.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam Alaykum, Kya koi aurat lazat ke qasad ke bagair tv ke drame ya koi aur program dekh sakti hai jab ke aksar aukaat koi aisa scene aa jata hai jis me na-mehram ka shoulder ya girebaan wagaira khula ho ?
Answer:
Salam-un-alaikum,
Ahtiat-e-Wajib ki bina par aurat ka Na-Mehram key chehrey hathon ,sar aur gardan aur pairon key ilawa baqi badan par lazzat key qasd key baghair bhi nigah dalna haram hai.
Ref: Tauzeeh Aqa-e-Khoi Prob no 2442
Question: salam muja app se ya poochna hai k mai ek larkay se bohat pyaar karty hoon aur wo bhi mujse par wo larka sunni ha..wo muja be inteha chata hai..kahta hai agr tumse shadi na huyi to mai marjaaongaa sirftum meri ho..mai bhi usse shadi karna chaty hoon wo kahta hai shadi k baad tum shia hi rahnaa app batao kia ya shadi hosakty ha kuch log bhi to sunni mai gaye hai mera naam plz app show nahi karna plzz mai kai karoon muja kuch samjh nahi ata meri mushkil asan karay..wo kahata hai k hum muslaman hai sirf na koi shiana koi sunii? muja app jawab do plzzz
Answer: Agar aap key gumrah honay ka khoof na ho to shadi karna jayez hay. Ham aap ko har soorat mein taqwa aur parhezgari kee naseehat kartey hein. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 134 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salaam, TV ke programs me na-mehram ka achanak agar aisa scene aajaye jis me shoulder wagaira khulein ho to lazat ke bagair nazar karne ke bare me kya hukam hai ?
Answer:
Salam un alaikum,
Agar lazzat ka qasd na ho aur haraam mein mubtala honay ka khauf na ho to koi ishkaal (haraj) nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2443
Question: internet per nangi larkyon ko luzzut ki nazar se dekhna kaisa hai?(i m girl)
Answer:
Salam un alaikum,
Aisa karna haraam hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2447
Question: Kia internet per barehna larkiyon ki tasaveer ko lazzat ki nazar se dekhna haraam hai?
Answer:
Salam-un-Alaikum,
Mazkoora soorat mai nazar karna "Haram" hia.
Ref: Tauzeeh ul masail Aqai Sistani Prob no 2442
Question: salam;internet per nangi larkiyon ko lazzat ki nigah se dekhna kaisa hai??(i m girl).....thanx
Answer:
Salam un alaikum,
Aisa karna haraam hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2442
Question: salam kia kisi namehram say dosti ki jai tu haraam hey jub key hum us say milna rahey ho aur agar milay tu bhi pardey may milay aur kia us say phone per baat ki jasakti hey i mean kia awaaz sunana haraam hey ya us may koi prb nahi?? khudha hafiz
Answer: Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125.
Question: salam mara sawal ye hai k ager kissi k matay per zada ball hain tuo kiya un ko bhi chopna hai , ager koi larka body buliding keray tuo kiya ye qulat hai.yani ak terhan say uss ka ye kam zeenat hogaya . wassalam
Answer: Jee haan,Khawateen kay liye na-mehramoo say chehray aur hathoo kay ilawa baqi tamam badan aur baaloo ka chupana wajib hay.Ref:Book-1 Q.No.140...Larkoo kay body building karnay main bazat-e-khud koi haraj nahi hay,jaisay mard kay chotee aasteen ki qameez pehenna aur eye brows banwana jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.123,135...Haan albatta aurat kay liye na-mehram mard kay jism par nazar daalna Lazzat kay iraday say aur haram main mubtala honay kay khouf kay saath Haram hay balkay Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par lazzat ka irada aur haram main mubtala honay kay khouf na ho tab bhi nigah nahi daalni chahiye.laikin agar aurat mard kay jism kay un hissoo masalan SAR,DONO HAATHOO,aur DONO PINDLIOON par jinhain umooman mard nahi chupatay lazzat kay iraday kay baghair nazar daalay aur haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi Ishkaal nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2392.
Question: I also Want Fatwa of Tabrizi Sahab, If u reply me. I am Married with a girl. I mean Nikah was held. Not that she came in my house and lived with me. So sometimes comes in our home to meet with my Mother and Father. And also anyother reason. I want to ask that after Nikah is it permissible that I kiss her and touches her private parts of body(Nor entercourses). Similarly, permissible for her to do that with me. And after that is the Nan-O-Nafqa on me. I mean that is that WAJIB on me, or after entercourse. Sorry for that question but reply me.
Answer: Har bewi aur shohar kay liye aik dosray kay jism ko dekhna zahiri tor par aur batini tor par aur aik dosray ki sharamgah ko dekhna aur aik dosray kay aazaa ko mass karna lazzat kay saath aur baghair lazzat kay jaiz hay...Agar aap kay moashray main nikah kay baad aur shadi say pehlay nafqa denay ka riwaj nahi hay to naan-o-nafqa wajib nahi basoorat-e-deegar wajib hay...Agar aap kay moashray main riwaj yehi hay kay aurat nikah kay baad aur shadi say pehlay apnay aap ko shohar kay liye pesh nahi karti to aisi soorat main aurat mana kar sakti hay aur us par koi gunah bhi nahi hay.Ref:Fiqh Lilmughtaribeen Masala 404,Book-4 Pg.70,Pg.No.149. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalamwalaikum, i want to ask as to how i should repent for my big sins which i regret so much now for having committed i.e. i had an affair with a married man while i was away from pakistan. in the country i stayed i.e. tanzania i could not control my feelings for him. i was working as his secretary and had a physical relationship with him.
Answer: Aap kay liye zaroori hay kay Tauba karain.Khudawand-e-Alam nay Quran-e-Majeed main wada kiya hay kay agar insaan khud is kay khilaaf amal na karay to Tauba qubool ki jaey gee.Ref:Istiftaat A.Sistani I-53.
Question: Salaam o alikhum mera sawaal yeh hain kay kya kissi ladkhi say mazaq main mohabbat karna yani time pasi karna kon say gunaah main shamil hain kanbera ya saghera ,aur agar in donoo main nahi shamil to kya yeahg jahiz hai
Answer: Haram hay,agarchay is ki guftugu khwahishaat ko ubharnay wali na ho aur haram par bhi mushtamil na ho kionkay rafta rafta hi sahi is main haram main mubtala honay ka khouf hay.Ref:I-46.
Question: Aik Mard nai aik Aurat k saath zana kiya dono is zana pai raazi thai aur dono shaadi shuda hain aur oon k bachay bhee hain. Ab oos mard ka beta oos aurat kee baitee sai Shaadi karna chahta hai.Kiya yai shaadi ho sakti hai YA wo larki oos pai haram hai kioon k oos k BAAP nai oos ki MAA k saath zana kiya tha. Pls reply as per Ayat-ullah Seestani & Ayat-ullah khoie.
Answer: A.Sistani kay mutabiq larka us larki say shadi kar sakta hay kion kay ye larki un aurtoo main say nahi banay gee jin say nikah karna haram hay.masalan mehram rishtay daar ya apni bewi ki maa,nani,dadi waghaira ya apni bewi ki larki ,nawasi ,poti waghaira jin say nikah karna haram hota hay.aur mazkoora soorat main aisa koi masala nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.2370,2344...A.Khoie ka bhi yehi fatwa hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoie Masala No.2393,2420. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamu-e-laikum wahrehmat ullah janab aleem saab ek sawal hai aurat ku ghalat nazar se dekhna gunma hai to kya aurat agar mard admi ko dekhe to gunah hai ya nahi?
Answer:
Salam un alaikum
Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai.
Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392
Question: Apnay mehram (male) k samnay kisi female (us ki na mehram) ki tareef bayan karna jaiz hai?
Answer: Agar Shehwat ubharnay ka baais na ho to koi haraj nahi hay.Ref: Istiftaat A.Sistani I-5.
Question: Assalaamualikum my name is huda i m 14 years old mera sawal yeh hai kay kya hum male doctor sey test (blood test, hepatiatis , sugar test etc ) kar wa saktein hain jabkay hamain jan ka khatra bhi nahi hai. Thank you
Answer: Aurat agar na-mehram mard say apni kisi aisi beemari ka ilaj karanay par majboor ho jiska ilaaj wo behtar tor par kar sakta ho to usay ijazat hay kay wo na-mehram mard say apna ilaj karwa sakti hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2400.
Question: Salaam,mera sawal yeh hai key main balig hoon aur mera cousin na balig hai to kya mera os key samney parda karna wajib hai ya nahi
Answer: Aihtiyaat e lazim ki bina par apna badan aur aar k Baal us larkay say bhi chupaey jain jo abhi baligh to na hoa ho laikin achay aur buray ko samajhta ho aur aihtimaal ho k aurat kay badan par us ki nazar parhnay say us ki jinsi khwaahish baidaar ho jaey ge,Is k alawa main na-baligh say badan chupana wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: in hijab kiya yeh zaroori hai kay apna munh poora chupaya jaye
Answer: Aurat kay liye zaroori hay kay apna badan aur baal Na Mehram say chupaey Laihaza iskay alawa main chehra aur kalaiyoo tak haath chupana zaroori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399) Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)..
Question: Can we see any Na Mehram by our eyes.?Answer me in detail
Answer: 1:Mard kay liye na-mehram aurat ka jism dekhna aur isi tarah is kay baloon ko dekhna khwah lazzat kay iraday say ho ya is kay baghair,Haram main mubtala honay ka khouf ho ya na ho Haram hay..Is kay chehray par nigah dalna aur haathoo ko kalaiyoon tak dekhna agar lazzat kay iraday say ho ya Haram main mubtala honay ka khouf ho to Haram hay.balkay Aihtiyat-e-Mustahab ye hay kay agar lazzat kay iraday kay baghair ya haram main mubtala honay ka khouf na ho tab bhi chehray aur haathoo ko kalaiyoon tak na dekhay...2:Wo be-parda aurtain jinhain agar koi parda karnay kay liye kahay to wo isko aihmiyat na deti ho,un kay badan ko dekhnay main agar lazzat ka qasd ya haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi ishkaal nahi,is hukum main kafir aur ghair-kafir aurtoo main koi farq nahi.isi tarah un kay haath,chehray aur jism kay deegar hissay jihain chupanay ki wo aadi nahi,koi farq nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2392,2393.
Question: SALAM main ek teacher hoo kia main girls ko para sacta hoo
Answer: Jaiz hay agar haram main parnay ka khouf na ho (agarchay wo haram main parna haram nazar hi say kion na ho) lihaza agar haram main parnay ka khouf ho agarchay rafta rafta hi sahi to phir ye jaiz nahi hoga.Ref:Istiftaat A.Sistani S-48.
Question: agar paishani par baal ziada hoon to kiya usay chupana zaroori hay?
Answer: Sar k baal chupana wajib hain. Laikin agar paishani per zaa,ed baal ugay hoon tu onko chupana wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam.muje ye pochna ha k agar koi apni biwi se baat karey phone pe aur baat krte hue ya kuch soch k uski mani kharij hojae,to uskey barey mai kia hukum ha?kia is se gunah hota ha aur ghusl wajib hojata hai?aur ehtelaam kisey kehtye hain?
Answer:
1, woh rutubat jo kabhi kabhi shewat ubharnay par mard kay aala-e-tanasul se kharij hoti hai usay "mazi" kehtay hain jo paak hai, lehaza is par ghusl-e-janabat nahi hoga. aur guna bhi nahi hoga kyon ke woh miya biwi hain. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 70+nikha ke ahkaam, pg 25+334.
2, insaan ka aik khaas had tak pochna, ke jis kay saat woh qadir ho jai mani kay nikaalnay par (is se farq nahi parhta ke yeh halat-e-need mein ho ya jaagtay huway). REF: mustalihaat-e-fiqh, buloog, pg no. 107.
Question: Mera sawal yeh hai kai kia sohar apni biwi ki sharamga ko dekh sakta hai or kia biwi apnai sohar ki sharamga dekha sakti hai?
Answer:
ji haan, shohar aur biwi aik dusray ki sharam-gaah dekh saktay hain. REF: A.Sistani, jadeed fiqhi masail, masla no: 401, pg no. 255.
Question: Salam mera sawal yeh hai mai money kharij honai say pehlai jo ratobat nikalti hai woh pak hai ya nahi or aghar money kharij nahi howi or us say pehlai kharij honai wali ratobar kharij hojai to kia us halat mai namaz perhi ja sakti hai ya nahi Plz reply as soon as possible in waiting 4 ur reply ?
Answer: same as 1482
Question: ASSALAM O ALIKUM AGAR KOYE LARKI LARKON SAY DOSTI NAHI KARNA CHAHTI. MAGAR WOH UN KO ISLAM KI BATAY BATATI HAY .tu yeh jaiz hay ya nahi?
Answer: agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139.
Question: Salaam. Mera sawal yeh hai kay kya hum recorded programs jin main baz dafah na mehram kay shoulders ya gardan kay hissay dikh rahay hotay hain . Hum issay dekh saktay hai ya nahi? Thanks.
Answer: aurat kay liyay na-mehram mard ke jisim par nazar dalna haram hai, lekin aurat mard kay jisim kay un hisso eg. sar(head), dono haath, dono pindliyoo par jinhain urfan chupana zaroori nahi hai, lazzat kay iraday kay bagair nazar dalay aur haram mein mubtila honay ka khauf na ho to koi haraj aur ishkaal nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 2392.
Question: salaam mera sawal yahy kay " kia shohar appni bivi kay saath baath room main naha sakta hy ya nahi.
Answer:
shohar aur biwi dono aik dosray ka poora badan dekh saktay hain aur nahanay me bhi yehi suratehal hoti hai.
lehaza is mein bhi koi haraj nahi. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 2395.
Question: salamun aliykum my question is that a boy (mard) can do homosex (hastmethun) plz dont allow my mail address or name plz & what up to any muslim women as no control as young or what to do if see any girl and feel to do sex? but not married what to do not understanding.&plz reply fast
Answer:
B.T. ek mard ko dusre ka badan lazzat ki niyyat se nahi dekhna chahiye aur ek orat ka dusari orat ke badan ko lazzat ki niyyat se dekhna bhi haram he. isi tarah agar haram kam me mubtela hone ka khof ho tab bhi dono surto me haram he.
jo shakhas shadi na karne ki wajah se haram feal me mubtela hota ho us par wajib he ke shadi kare.
(tawzihu masail, Aqai Sistani d.b. masaala no. 2397 & 2402)
Question: Salam, me aik medical college ka student hu and meri class me larke bi hai n larkiya bhi..aik class me hone ki waja se larkyoo se baat krna lazmi hojata hai.. is bare me kya hukum hai??
Answer: w.s. khilwat k maqam par agar mulaqat na ho to us soorat me jaiz he jab insan un tamam bato se dur ho jin k hote hue haram me padne ka khouf ho sakata he. (ref: mujthid se puchh gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 page 65-66)
Question: meri behan ki mangni hoi thi,wo dono phone per bat kerte the take shadi se pehle aik dosre ko samajh le, kia is silselay me on dono ke liye bat kerna jaiz tha?or agar romance ki bate na kare tu kia hokum hai?
Answer:
b.t. agar darmiyan me aysi batain n ki jayen jo ek muslman ke shayane shan nahin hain to koi haraj nahin. albatta orat ki zimmedari bhi he k wo apni awaz ko atna khubsurat or barik n banae jo insan k jazbat ko abharne wali ho. (mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 q.125&127 pub. by quran-o-itrat academy)
Question: mera sawal ye ha k mery sath aik larka perhta ha jo mera best friend b hai wo bht acha ha 5 wqt namaz baaqaidgi se perhta ha mae r wo aik dosry ko pasand krty hain r shadi krna chahty hain usky ghr waly b razi hain bs wo apny paon pr khara hony ka intizar kr raha ha,wo kbi kbi mjy touch b krta ha wo khta ha k mae ne sachy dil se tmy apni shaik-e-hayat maan lia ha isliy ab mae tmy pyar kr skta hon k hm mian bivi hain to kia ye pyar krna r touch krna jaiz ha?
Answer: bismehi taala, Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani 2) Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392 (na-maheram ko chune ki to hargiz ijazat nahi he aur yeh bahot bade gunah ka kam he, jabani payar-mohabbat ki bato se kisi qisma ka rishta qaim nahi hota, shariyat k bayna karda hudud se bahir niklna dunya aur akherat ki barbadi ka sabab banta he)
Question: mujhe sunni ladki pasand hai aur wo bhi mjhe boht pasand krti hai na mene use dekha hai aur na us ne mjhe dekah hai hm dono ek dosre se boht pyar krte hai hm dono ko malom hai k hmare ghar wale nahi mane ge us ke bawajod hm ek dosre ko pasand krte hai kya y mohabbat sahi hai ya nahi ?
Answer: bismehi taala, kisi bhi gair ikhteyari amal par shariyat koi hukm nahin lagati lekin yad rahe, shariyat kisi bhi ayse irtebat ki ijazat kabhi nahi deti jo unhain haram ki tarf le jane wala ho. (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 3 page no.65 pub. by quran-o-itrat academy)
Question: agar kisi aurat ko dekh kar shehwat bedar hone lage tu yeh haram hain kia?
Answer: bismehi taala, mard k liye na-maheram aurat ka jism dekhna aur isi tarah us k balo ko dekhna khwah lazzat k irade se ho ya is k bagair, haram me mubtela hone ka khouf ho ya na ho haram he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2442)
Question: Assalaamualaikum. Janab quest ye hai ke hume koi achchha lagai, usse hume pyar ho jaye ya just wo pasand hai usse baat karna achchha lagta hai ye sahi hai? And is quest ka jarur answr dena bcoz ye main apne other friends ko bhi samjhaunga. Kya pyar karna gunah hai? Aur kyun gunah hai plz answer id details.. :-)
Answer: w.s., mard k liye na-maheram aurat ka jism dekhna aur isi tarah us k balo ko dekhna khwah lazzat k irade se ho ya is k bagair, haram me mubtela hone ka khouf ho ya na ho haram he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2442) Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Aqai Sistani (d.b.)
Question: salam islam main orat ko balo ke sath chehre ko bhi chopana chahiye
Answer: Khawateen kay liye na mehramoo say chehray aur hatho ki alahiyon (palms) kay alawa baqi tamam badan aur baloo ka chupana zaroori hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gay sawalaat, Book-1 Q.No.140) . Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya girls jeans(skin tite nahi) pahansakti hai?
Answer: Ehtiyaat e wajib hay k aurt, merd ka makhsoos libaas nah pehnay os isi terah merd ,aurt ka makhsoos libaas nah pehnay.(Ayat ullah Behjat, Nigah or libaas,sawal#178). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Is it permisible to wear Hijab with long coat till knee and lover jeans(not skin tite) with scarf? and how is it to cover chin with scarf?
Answer: It is permisible to wear Hijab with long coat till knee and lover jeans (although skin tight) with scarf,if her sensitive parts of body(like bottom and breast) is not seen convexly.it is permissible for women to open faces and some part of chin which is seen when a woman wear scarf normaly.(Ref: jaded fiqhi masail Aytullah Seestani (d.b.) maslah # 508,530) . Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam alaikum, mera sawal aap say yeh hai kay kya biwi shohar say jaaiz shartain manwa sakti hay jaisa kay maa kay ghar haftay main ek bar jana? uskay shohar say time, attention aur ghar main moral support mang sakti hay ??kya shohar say yeh umeed rakh sakti hay kay woh biwi kay ma baap ko apnay maa baap samjhay aur unki izaat karay jaisa kay woh karti hay?aur kya rishtay main compromise aur kurbani sirif biwi deti hay?
Answer:
Nikha k waqt jaaiz hay k lerka or lerki wo shartain jo islam main jaiz hain taay karsaktay hain.or jo ye shart qabool ker raha ho(larka ya lerki) os k liay wajib hay k in shartoon ko poora karay.(maslam agar aurat ye shart lagaay k ghar k kaam kaaj k liay mulaazma dee jay tu shohar k liay wajib hoga k os ko mulaazma dee jaay,laikin agar wo aisa nah karay tu gunah gaar hoga laikin nikah per koe asar nahi perhay ga.
Agar shart maqsad e nikah hi ki mukaahlfat main ho tu shart or nikah dauno hi baatil hain. Maslan agar aurat ye shart lagaay k oska shohar os say jima / hambistari or dosri lazaat hasil nahi karay ga.
Yaad rahay k in tamaam shartoon per amal kerna os waqt wajib hay jab nikah k waqt ye shartain taay hoe hon,nah k nikah k baad. Jahaan tak is baat ka sawal hay k aurat ka apni maan k ghar jaana tu bivi ka apnay shohar ki ijazat k baghair ghar say bahar nikalna hi haraam hay ,siwaay is sorat k oska ghar main rehna os k liay nuqsaan ka sabab ho ya bohat ehem zururat paish aajay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen, maslah #330-331, Tauzee hul masail, maslah#2376)
Question: Assalamo-Alaikum, Khawateen Ka Apney Chehrey ke Bal(Face) Jo Nikaltee Hain Ya Saf Kertee Hain, Ye Jayez Hey? Iltemas-e-Dua
Answer: Khawateen Ka Apney Chehrey (face) k baal saaf Kerna or abroo (eye-brow) ko sidah kerna jaiz hay. (ref: Ayat Ullah Seestani (d.b), Jadeed fiqhi masail, Maslah #513) . Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ladki kab jawan hoti hai?
Answer: Qamari saal (Islamic calendar) k 9 saal pooray ho janey pr larki baligh ho jati he. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #8). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 64 years khatoon ko parda karna wajib hoga
Answer: Wo khwateen jin per perdah wajib nahi is ka miyaar umar nahi hay.is silsilay main khuch umar raseedah kawateen khuch kawateen say mukhtalif hoti hain.balkeh is baat ka miyaar wohi hay jo quraan main biyaan howa k ‘umar raseedah honay ki wajah say on main nikah ki khaahish or rujhaan nah rahay to is surat main parda saqit hojata he.( Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #509). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 1.Hum ne suna hai ke Biwi marnay ke baad Shohar ke liye Na-mehrum ho Jati hai woh na us ko hath laga sakta hai na dekh sakta hai kya yehi sahi hai ? 2. Kehtay hain joray asmanon par bantay hain .isi liye zameen par bhi wohi jora banta hai kya roz e akhrir bhi yehi jora banay ga ?
Answer: Jee nahi.bivi mernay k baad shohar k liay na-mehram nahi hojati.balkeh mernay k baad bhi bivi shohar ko or shohar bivi ko baghair kis perday k ghusl day sakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#548)
Question: magaiter k sath kis had tak bat kerna jaiz hai
Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam, 1 ghar mai majlis barpa hoti hai jis mai lADIES MARSIEY NOHEY OR MAJLIS PHARTI HAI, JIN KE AWAZ NA MHERAMO TAK B JATI HAI, OR KUCH SUNI HAZRAT IS KA MAZAK B URATEY HAI. KIA YEH JAIZ HAI
Answer: Aurat k lie jaiz he k wo apni awaz ajnabi mard ko suna,ay magar ye k haram me parhnay ka khof ho ( is surat me jaiz nahi ho ga) albatta aurat k lie apni awaaz ko is tarah dil kash banana jaiz nahi he k sunnay walay k lie aam taur per hejaan aawar ho agar chahay sunnay wala mehram hi hoon. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 510 pg # 266-267) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)