Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (517 Questions)


Showing 150- 200 questions from 517 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
45697
Mujtahid:
half Date:

Question: AOA, sir asal main masla ye hy k meri aik dost aik larkay ko bohat pasand krti the . us larkay nay meri dost sy quran k kuch alfaz pr ( lohe qurani and makan ki hifazat k lye Allah K nam or Quran pak k kuch alfaz , ju cardz p likhay hotay hain nuskhay ki shakal main) un pr half lya k tum meray ilawa kisi or mard sy shadi nhi kro ge na he tumharay jism ko meray ilawa koe hath lagaey ga.. ye half sirf larki k lye tha. phir ab us larkay k walid ki tbiat kharab hy or wo uski shadi kahin or krna chahtay hain or wo larka bhi inkar nhi kr pa rha. us ny apna cell bhi off kya hua or raabtay ka koi zarya nhi hy.. plz is silsilay main meri dost ki madad farmaen koe mukammal hal bataen ya kaffara bataen jis sy ye half khatm ho sakay or wo larki kahin or shadi kr sakay.. jawab jaldi dejye ga plz

Answer: Ye qasam sahi shumar nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
45969
Mujtahid:
sunni Date:

Question: AOA. sir ma ne apne ghar walo ke samne Quran Pak par hath rakh kar kasam khai thi ke ma us he larki se shadi karo ga. ab us larki ki shadi ho chuki hai aur maray ghar walay mujh ko shadi ke lya nujbor kar reh hain.please AAp mujh ko e ke baray main batain.

Answer: Is qasam ki koi sahare hesiyat nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
46194
Mujtahid:
not undrstnd Date:

Question: Agr koi ksi bat ko la kar ya kha ka is bat ka yaken delanay ka liye quran par hath rakh kar kahu ka tm na asa nae kiya aur dosra person aus ky kahny par QURAN par hath rakh da lakin jhot bola ka han mana asa nae kiya halaka hakekat ma aus na asa kiya ho... Is ka kya kafara ha ???

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46305
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai ke ekh larki ne mere oper bohat ghalat ilzaam lagaya main apni ammi ki kasam bhi khai ke ye sub main ne nahi kiya lekin ussne kaha ke kasam khane wala sub se bara jhoota hota hai . tou mujhe ye btaien ke main kis terhan apne ilzam ko ghalat sabit karo mera matlab hai ke kasam khane wala sub se bara jhoota hota hai ye kahan likha hai ?? Nabi Kareem S.A.W NE IS BARE MAIN KUCH FERMAYA HO TOU APP PLX BTADIN MUJHE .. ?

Answer: Apne apko tohmat (ilzaam) se bachane ki khatir qasam khana jaiz hai, is men koi harj nahi hai, Albatta ye zaruri nahi hai jo qasm khata ho wo sb se bara jhut bolta ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46498
Mujtahid:
Date:

Question: agar kise na koi kam kea ho or wo quran e pak ke jhuti kasam kha la ka us na ya kam nahi kia .is kka kuffara kya ho ga.

Answer: Jhooti qasam khana haram or gunah e kabeera hai, iska kaffara toba or istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46815
Mujtahid:
q Date:

Question: Wada todne par kya kaffara hai?

Answer: Agr logon se kiya gaya Ehed tora jaye to ye ek gunah e kabera hai, Or agr Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaye matlb 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal rozay rakhe.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47042
Mujtahid:
Date:

Question: Jab koi Quran pe hath rakhwa k ap say kisi kam ko na karne ki kasam utwaye aur ap wo qasam utha kar tor do aur wo kaam kar do to iska kaffara kya ho ga? Aur agar Quran pe hath rakhwa k zabardasti qasam uthwayi jaye to kya wo qasam ho gi ? usko torne me koi harj to nahi ?

Answer: Is qism ki qasam ki koi sharare hesiyat nahi hai, lehaza iski mukhalifat ki surat men na koi gunah hai na koi kaffara hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
47230
Mujtahid:
Date:

Question: agar ham allah se wada karen ki kisi ko call ya msg nahi karenge or kisi wajah se hamne khud apne ph se call nahi kiya kisi dusre ke ph se kisi dusre se hi no milwa kar baat ki to kya wada tooot gaya agar hain to kya iski mafi hai

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 30-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47540
Mujtahid:
sunny ho Date:

Question: Slam mai ne hubnd se kaha k agsr sp ne ye kam nahi kia tho mai panch msrtsba kalma khati hoo k mai suicide karoo gy aur agar mai ne ne suicide na ki tho meri beti mare .mai ghusa me thi lekin me husbnd ne wo kam na kia nd mai ne suicide bhi nahi ki.ab mai kia karoo baht pareshan hoo

Answer: Is Trah ki qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47624
Mujtahid:
Date:

Question: Mene Quran pak ki qasam khai me ab zina nahi karunga phir WO qasam mujhsy tot gai me ye bat le me buhat preshan hun

Answer: Qasam agr islami sharton k mutabiq khai gai hai to uski mukhalifat ki surat men ap gunahgaer bhi honge or pa pe kaffara bhi wajib hoga, or kaffara 10 faqeeron ko pet bhar kar khana khilana, ya phir unko libas pehnana , or agr ye dono kam na hosken to is surat men 3 din roze rakhen.. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633).Zina gunah e kabeera hai us se har halat men bachna wajib hai chahe us k liye qasam khaen ya na khaen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47749
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALM O ALIKUM MERA SAWAL YE HAI KY MY NY QURAN OE HAATH RAK KAR WADA KIA THA KA DOBARA SHARAB NAI PIONGA AB MAIN DOBAR A OIA HO OLEASE MUJY BATAYI MERA TOBA KAISY QABOOL HOGA

Answer: Ye wada or qasam dono sharae nahi hen Albatta sharab peen gunah e kabeera hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47816
Mujtahid:
quran o itrat academy Date:

Question: ager koi aurat pragnancy mai jazbati hoker aisa keh de k ager mere haan beta hojae tu main usko qaran hafiz banaoungi aur baad main woh aisa na karsake tu aise main kiya hukm hai

Answer: Ye Mannat(nazar) Sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47854
Mujtahid:
Date:

Question: as salaam o alaikum .... ager koi apsy zberdasti qasam uthany ka kahy k ap ko ye qasam uthani ho giii .... to kia wo qasam puri krnaa lazim ho jataa hy ????? or ager wo qasam puri na ki jaye to uska kia kafara hy plzzzz jaldii sy btayennn ..... reply soon

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48005
Mujtahid:
Sunnat Date:

Question: Mera question yeh hai ki, agar kisi ne jabran ya presure me aakar koi kaam nahi kerne ka quran ka qasam sirf jubaan se bol ker kha liya ho, toh kya woh qasam muqammal hue ya nahi. Agar muqmmal hue toh woh qasam kaise kham hogi.....? plz. Reply me soon as possiable solution at my e mail id.

Answer: Jee nahi ye qasam mukamil nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48518
Mujtahid:
Date:

Question: Mein apne husband ki job Lange ke liye roja mana aur job Lange ke baad mein roja nahi pura kar payi aisi Halat mein muhjhe kya karna chaliye plz meri mada kare

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48535
Mujtahid:
Date:

Question: Allah k naam ki khana jaiz hai ya ni? yani agr Allah k naam ki kasam khai jaye to gunah ho ga ya ni?

Answer: Agr Allah k naam ki jhooti qasam khai jaye to ye haram hai or gunah e kabeera hai. Albatta sachi qasam khana makroh(na-pasandeedah)hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 682, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48573
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM-O-ALAIKUM sir mera question ya ha ka kai kalma parh kar kasam uthai ja satkti ah? main na kalma parh kar jhoti qassam utha lia lakin main us waqt dil sa jhoti qasam uthanay ka irada mnai kia tha. bas achanak mjhay kalma parh ka qasam uthanay ka kaha gaya or amin na kalma parh kar yutha li. agar asa na karta to mari or kisi or ki izat harab hoti. kindly ap mjhay batain ka qalma parh kar is situation main jhoti qasam uthai ja sakti ha?

Answer: Agr sachi qasam khai jaye to jaiz hai albatta makrooh(na-pasandeedah) hai, lekin jhooti qasam khai jaye to chahe kalma parha jaye ya bger kalma parhe ho haram or kabhi kabhi gunah e kabeera ban jata hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48595
Mujtahid:
jazbati quraan pak ki kasam Date:

Question: Aslaam e alikam mera sawal ye hai k maine apni mangetar ko jazbat mai ake quraan e pak ki kasm di hai k mje chor do wapis mat ana.ab mai use pana chahta hun to mje kya kakarna hoga?

Answer: Ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48606
Mujtahid:
Date:

Question: aoa... maine aik dost se yeh baat ki k aaj k baad main tmse rabta nahii karun gii ager karun tou mujhy kaba daikhna na naseeb ho... ab main pareshan hun k maine bohaat ghalt baat ker dii... plz guide me mujhy kaya kerna chahiye?

Answer: Is tarah ki baton ki koi sharae hesiyat nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 682, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48645
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi na quran e pak ke qasam uthae ho ka us na ya kam nahi kia jb ka us na wo kam kia ho to is e kia saza ho gi or kia kufara ho ga?

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48675
Mujtahid:
Date:

Question: salam ma na manat mangi thi ka agar ma b.a ma pass ho gae tou 30 rozay rakho ge magar ab ma in ko pora nahi kr saki es ka kia kafara ha plzzzzzz tell me soon

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
49050
Mujtahid:
qasam Date:

Question: asaalm u alakum....mera sawal ye hy k kuch di pehlay meri behn or behnoi kahin ghumnay ja rhy thay....meri behn ki abi rukhsati nai hui.....wo 2 4 din k stay k liye ja rhy thay....obviously rukhsati nai hui nd 2 4 din famly se duur kya krne ja rhay thay....so meray waalid ne mana kia bt thora mananay k baad maan gaye....bt mje ye baat hazam nai hui....mje uswaqt sirf papa ki izzat ka khayal tha...behnoi ne apne parents ko is trip ka nai btaya tha k wo b janay nai den ge..wo dusray city my rehtay hyn...ye baat mje malloom thi...my ne father ko bta di.....father ne meri ghair mojudgi my meri sis se is ka puch lia....or mera b bta dia...my nai chahti thi k meri sis ko pta chalay k father ko my ne btaya tha...us ko lge ga k my un ka bhala nai chahti ya mje koi garz hy....mje jst papa ki izzat ki parwa thi....nxt day sis ne mjsy pucha k tum ne father ko btaya to my ne mana kr dia my darr gai....us ne kaha tum allah ki kasam khao ...mje kuch smj nai aya my ne foran keh dia haan allah ki kasam my ne nai btaya.....then she said k father ne mje bta dia k un ko yum ne btaya tha....or meri kasam jhuti hogai.....nw my bht darr rhi hn k allah mjsy naraz ho gya hy....my kyakrun...toba krti rhti hn harr waqt...kuch kaffara hy to do telll me plzzzz....

Answer: Jhooti qasam khana haram or gunah e kabeera hai, iska kaffara toba or istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
49200
Mujtahid:
............... Date:

Question: janab agr koi Quraan par hat rak kar yi kahay kay ma pir handjob nahe karonga ao pir hand job kary.to is ki kya kafara hay..may kya karo.plz help me....plz..plz..

Answer: Ap per kaffara to wajib nahi h q k ye qasam hi sahi nahi hai, albatta chahe ap qasam na bhi khaen ye amal (handjob) haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2637). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
49895
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o Alikum sir mera sawal thora ajeeb ha lekin islam k point sy boht important ha sawal ya k main ghr k liye hr waqt atta main he lata tha lekin meri ammi ne muje keh dia k tm ni laty ho tmhra bara bhai lata ha lekin ya sun k mene gussy main Allah ki kasam kha k keh dia k aj k bad atta main nhi laon ga ya kasam uthay howe 3 saal ho gay ha us waqt meri age 16 thi sir plz muje iska hal bataye k main ab kya karo.......

Answer: Qasam khanay k lie shrt hai k qasam apnay iraday aur ikhtiar sai khai jae lehaza agar koi jazbat mai aa kar bagair kisi iraday k aur be-ikhtiar qasam khae to ye qasam sahi nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2634)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50606
Mujtahid:
khuda ki jhoti kasam Date:

Question: asslam-0-allikum.... sar my bht pareshan hu... aur mujy bar bar bht rona a ra hai... mujy sy khuda ki jhoti kasam khai gy ha.. ya janty huy ky my jhota hu..... mary pas kisi custmer ki aik chez thi my us ki repairing karta hu us my sy aik chez my ny lallach my a kar rakh li aur un ko khrab laga di.... bad my un ko ya pata chala ky un ki ya chez ni hai... magar my un sub ky samny apni bat sy mukkar gya.. aur unho ny sub ky samny mujh sy yu kasam li.... """ky khao us khuda ki kasam.... aur ya ky jo shaks jo tumary samny khary hai ya gawahi de gy.... ky tum ny ya chez ni li hai....""""""" sir pahly to my dar gya magar pher my ny ya kasam utha di ya janty huy ky my jhota hu..... sir ab bar bar mujy wo bat yad a ri hai aur mujy bht rona ata hai..... sir plz mujy is ka hall btai aur koi bi hall.....ta ky my apny khuda pak sy mafi mang sako.....

Answer: Jhooti qasam khana haram or gunah e kabeera hai, lehaza ap pr ab lazim hai k wo chiz jo apne ghasb krli hai wo apne customer ko lota den, or agr wo cheez khatam hochuki hai to uski qeemat use lotaden, or in dono gunahon (Ghasab or jhooti qasam) per Allah se maafi Mange, istighfar ki iska kaffara hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2512-2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
50646
Mujtahid:
I dont know the meaning Date:

Question: Aoa, mera sawal thora ajeeb hai.. Lekin bohat se loog is baat ko mantein hai Ke agar kisi insan ki ksm khaye aur vo toor dein tu kya vo insan (Allah maaf krey) foot ho jae ga? Ya kya us ko nuksan pohanchay ga? Mene apna bhai se ye kaha "tumhari kasam bhai me us larki se ab kabhi baat nahi keron gi" lekin mene baat ki Tu kya mera bhai ko nuksan pohanchey ga? Please reply jaldi

Answer: Jee nahi aysa kuch nahi hai ye galat mashoor hai, aysi kasmon ki koi sharae hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
50684
Mujtahid:
Date:

Question: sir mene allah ki kasam khae th kisi bnde ki dar ki waja se us bnde ne mjhse kaha k kasam kha k kaho k tm mjhe pasand krti ho ya nh mene dar ki waja se kch nh kaha toh us ne allah ki kasam di k ab batao phr mene dar ki waja se kasam kha k han keh di toh kya mene galat kiya ????????

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
50944
Mujtahid:
Date:

Question: Sir meri aur meri biwi k darmian kisi bat par larai ho gahi thi tu us nae quran pr hath rakh kr kasam kha le k wo aik month tk mugh sae hambistari nhe kare gi. lakin ab hamari narazgi khatm ho gahi hy aur hm milna chahte hy tu es k liye hamin kia karna chahiye hy.

Answer: Ye qasam sahi nahi hai lehaza apki biwi is ki mukhalifat kr sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
50966
Mujtahid:
sory es ki muje smj nai ayi Date:

Question: Aoa sir mera msla ye hai kay me jis lrki se pyar karta hon usko jazbat mein aa kay aik din quran pe halaf uthany ka kaha k halaf do k tum mri rho ge mery elava kisi or se bat nai kro ge kisi or se shadi ni kro ge us ne halaf utha lia me preshan hn mje btyn agr esko khtam krna ho to kya krna hoga q k mujye nai lagta wo amal krti hai .kya muje b gunah haiagr wo amal ni krti ? Agr me khatam krna chaho to kaffara kya hoga

Answer: Ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51751
Mujtahid:
Quran Ki Qasam Date:

Question: mein ne ek 2 cheezon ki chori ki apne chacha k ghar se . mein ne socha kay mjhe chand cheezon ki zarorat thi apne prhai kayu liye kay prhai khatam hone kay bad paise ane par unko wapis krdon kisi tareeqay say magar unko shak hogaya bad mein kay mein ne chori ki hai tau mein ne mana krdia or is per mere walid ne mjhe apne or meri maa ki qasam kay sath quran ki qasam khilaye or mjhe khane pre inke izzat kay khatir mera ko igalat irada nahi tha kay chori kar kay khajaon mein unko bad mein lotana chata hun tau mera irada nahi tha qasam ka . mein kya kron tauba kr rha hun or koi khafara hai. bht pareshan hun iska koi hal quran or hadees ki roshni mein btayein?

Answer: Jhooti qasam khai hai to ye ek haram amal hai , or iska kaffara istighfaar hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51785
Mujtahid:
Date:

Question: mene ksi ki ksm khai thi k aab ye kam nhi krungi ,,,,bt kch tym bad dr lga k kahin tor na dun to khd se qsm wapis leli....or thori der bad wo kam b krlia... ab kia krun ....kuffara ka b btaden plz

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51838
Mujtahid:
any Date:

Question: agr koi bnda ye naiyat kare k uska falan kam ho jaye to wo roze rakhe ga lekin bd myn na rakh sake to kyse uska azala kare

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52015
Mujtahid:
Agha sestani Date:

Question: Aoa. My question is Ehd or mannat main kia farq hai. Kia dono k liya zaban sai seegha parna zaroori agr dil main sirf niyat ho k falan kaam ho to falan kaam kroon ga to kia yeh sahi hai(yeh mannat hai ya ehd)? and dono ka kafara kia hai? Agr manat ya ehd poora krna thora sa mushkil ho(na mumkin na ho) kia iss soorat main wo kaam na kia jae or uss ki jaga kafara diya ja skta hai?

Answer: Nazar ya Mannat ye hai k insan apne ap wajib krle k Allah ta`ala ki riza k liye koi acha kam krega ya koi aysa kam krna chhordega jiska na krna behtr ho,
Ahad ye hai jab koi shakhs Allah se ahad kre k jab uski koi mo`ayyan sharaee hajat puri hojayegi to wo fulan kam krega.(Zahiri tor per amal k lihaz se in dono men koi faraq nahi hai bus dono ki kefiat men faraq hai), Albatta In dono men seegha parhna zaruri hai. Or Isi tarah dono per amal na krne ki surat men kaffar bhi dena zaruri hoga Or dono ka kaffar ka ye hai k 60 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-2630-2631-2632). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52153
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum mera question ye hai ke me eik din quran parh raha tha to mere brain me waswasa aya ke agar me ne ye ayat bilkul sahi parh li to me doctor bano ga lakin muj se wo ayat us taraha nahi parhi gai ab mje ye lagta he ke mene qasam to nahi kha lee ke agar me doctor banane ki koshish bhi kerta ho to mje gunnah to nahi mile gga

Answer: Jee nahi ye Qasam shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52167
Mujtahid:
kasam Date:

Question: maine gussa mein galti sa 2 baar qurane pak ki kasam kaha liye ke mein gussa mein ya karo ga. Ab mujha kya karna pada gha kasam utar ne ke liye.

Answer: Is qasam ki koi sharaae hesiyat nahi hai lehaza ye qasam shumar nahi hogai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
52302
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal h k meri dost h us ne kalma phar k kasam khai h k usy kabi kisi ne hath ni lagaya mery elawa or koi ni h us ki life ma kia mughy maan laina chaye hum boht serious hn aik dosery k lye ghar walo tk bt ly gay hn hum baat baat pa Allah ki kasam khati h kia ma maan ln uski bt ?????

Answer: Agr koi qasm khaye k men jo kuch keh raha hun sach keh raha hun to agr wo sach keh raha hai to uska qasam khana makrooh hai or agr jhoot bol raha hai ho to Haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52471
Mujtahid:
Date:

Question: asaalm u alakum....mera sawal ye ha ap se sir G.mere friend ko ksi ne massage kia hai k ap ka number mujhy ap k dost ne dia hai wo mere pas i,k ap ne mera number kis ko dia hai, ma ne quran pa hath rak k kasam khae k ma ne ksi ko nhe di hai.r jaha tak mujhy yaad ata hai ksi ko b nhe dia hai s ka number. 2=usi lamhy quran mere hath ma tha k ek dosri bat kr di k s bat ka elam mujh ko nhe hai halanky dosri bat ka mujhy pata tha.baraye mehrbani koi kuffara ya wazifa bta dy,thnks

Answer: Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai.Albatta iska koi kaffara nahi hai, tauba ki jaey.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52512
Mujtahid:
ehad Date:

Question: mujy yai pochna tha k ehad ka kafara 60 faqeron ko khna khilana ya 2 mah rozy rakhna ya aik ghulam azad karna hy . tho faqer sy kya murad, aur aj kl k zamany mai ghulam kaisy azad karin zara waazahat karin

Answer: Faqeer wo shakhs hai jis ke paas apne or apne ghar walo ke liay saal bhar k Akrajaat nah hoon or na hi koe esa hunar ya sarmaya ho jis ke zarye ye in k or apne akhrajaat chala sakta ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 1889).Or is daur men ghulaam k na hone ki sorat men kuffare ki is shik (option) per amal nahi kiya jasakta baqi 2 options roza ya phir faqeeron ko khilana to mumkin hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 756, Eidition 1417 hij). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52561
Mujtahid:
- Date:

Question: mughay apni czn ne usay drop krne k liye bulaya aur main us ko lenay chala gaya wahan pouncha to pta cha k us ne ni jana main kch dair wahan ruka aur wapis aa gaya usi din jb main ghr me tha tou mjy us ki bari behn ki call aai ke abhi isi waqt yahan aao us ki behn ne bohat kch galat smjh lia tha mere aisay anay ko or ik tarah se dhamkiyoun or galliyoun se nawaz rahi thi me ne bohat safai di ke aisa nahi hai ma ne kch nahi kia app ki behan ke sath tou unhun ne kaha ke main quran pe hath rakh kr kasm khaoun ma ne quran pe hath rakh ke kasm khai ke main ne us ke sath kch bhi nahi kia wo bilkul paak hai unhun ne kaha k us se shadi bhi kro ge mently disturbed tha is lye main ne is bat ka bhi halaf de dia mai apne parents ki mrzi ke baghair shadi nahi kr skta ma ne manane ki bhi koshis ki un ko lakin wo nahi mane mere abu heart patient hain un ko pressurise ni kr sakta kasm ka kafara kia ho ga.

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52806
Mujtahid:
qasam Date:

Question: Aslamualikum sir mene quran pe hath rakh k kaha tha k me hand job nhi kronga or mene bhuat bhuat kosish ki lekin 25 din bad pir ho gi ab me kia kro plzzz btae

Answer: Is Qasam ki koi sharaee hesiat nahi hai or na hi ap per koi kaffara hai albatta ye amal (Hand job) gunah kabeera hai or iska kaffar istighfar hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53065
Mujtahid:
waqas ajmal Date:

Question: mera swal yeh he ke muj ko majbor kar ke quran pe hath rakhwa ke ksam li gai he our agar me ksam na deta to ? meri yeh log sari zindagi tbah kar dete ... our muje majbor kiya gaya ke yeh baat tum kisi se nahi kaho ge quran pe hath rakhwa ke ... me pochna chahta ho ke agar kisi ko majbor kar ke kisi se kasam li jaye to kaya wo ksam haqiqat hoti he ya yeh ksam nahi ho sakti ? plz help me with hades or surah in quran ...

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53093
Mujtahid:
Date:

Question: salam mera sawal ya h k meri wife nay qalmy ki qasam khae h k ma ab app k sath nahi rehna chahi or na he ma app k sath khush hn so plzzzzzzzzzz ma bht muhkil ma hn es ka koe hal bten hum kafra karna chahty hn

Answer: Qasam agr sachi khai jaye to makroh hai lekin agr qasam jhuti khai jaye to ye haram hai, is surat men insane gunahgar hojata hai lehaza zruri hai k istighfar kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53105
Mujtahid:
Hanbali Date:

Question: Aoa, mera sawaal yeh hai k ager koi shakhs yeh khey k mjhe Allah ki kasm main murtad uthaya jau ager main falan larki se nikkah keru. To kya woh yeh kasm tor skta hai or ager tor dey to iska kuffara kya hai?

Answer: Ye Qasam shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53261
Mujtahid:
any Date:

Question: Wada kia tha main ne wesy he text par lekin main ne wada torh diya, wada torhny ka kofara kia hy? Kun k islam kehta hy wada karo to pora karo

Answer: Kisi momin se wada krne k bad us wade ki mukhalifat krna gunah kabeera men shumar kiya gaya hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53384
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa! Mai bht bht pareshan hoon mene bht barra gunah kiya hai mai ksi b tarah uska kaffara Ada krna chahti hoon ...mujhe Quran Ki jhooti qasam khani pri mai bht bht majboor thi warna mere husband ka hamesha kliye mujh PR se aitbaar uth jata ...mard ka koi bhrosa naee hota KB apne bn jyn to KB prye...meri 2betiyaan hain choti hain bht . Please meri madad farmyn mai kisi se bhi ye masla discuss naee kr skti...dil or dimagh pe bht bhoj hai...hr waqt Allah k azaab se darr lgta hai.

Answer: Jhooti qasam khai hai to ye ek haram amal hai , or iska kaffara istighfaar hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53516
Mujtahid:
Date:

Question: Conversation started Thursday Muhammad Arshad 2/27, 4:32pm Muhammad Arshad Asalam o Alikm, Muhtram mulana sahib aj mei apko aik masly sy mutaliq deen sy rhanumai k leay zhamat dy rha hon. mery dost ka yh masala hai kha wo aik jgha shadi ka pegham dy kr shadi krna chahta hai .is maqsad sy us ny apny waldaen ko lrki walon k ghr bheja but waladen ny yh ahtraz kea kha lrki ki age zyada hai ,jab kha larki ki age 28 aur larky ki 30 years hai larky walon ny refuse kr dea aur larky k samny larki k wo aaeb byan keay jo kha us mein mujod na thy. Larky k waladen k ksi b jgha rishta krny k leay yh criteria hai. 1.larki waly bhot maldar hon jab kha apna srf 4 marly ma ghr hai. 2. aala hsab nusab ho. 3. age 21 ya 22 saal ho. 4. larki khobsurat ho,smart ho. 5. sari family educated ho. 6. larki k bhai abroad hon. 7. larki walon ki zmeenen aur baghat hon. in tmam shrait mein sy aik b km ho tau refuse kr dety hn.jab kha beta aik private firm ma average job py hai.aur health b koi itni achi nae hai.in halat mein jab larky ny usi jgha jab shadi krny py israr kea tau parents ny Quran e pak zabrdsti us k hath py rkha aur kaha kha tum apni psand sy shadi nae kro gy ,hmari psand sy kro gy aur agr tum ny khud nikah ka pegham dena chaha tau walda ny kha kha mein dhood nae bkhshoon ge. ab in halat mein mery dost k yh sawalat hn 1. kia mujoda halat mein jab kha age b bhrti ja rhi hai aur health aur job b zyada bhetr nae ,aur waldaen k criteria ki wja sy jald rishta milny k b imkanat nae hn tau kia parents larky ko QURAN PAK py hath rkhwa k apni psand k leay pabund kr skty hn? 2. walda ny jo apni rzamundi sy krny py jo maf na krny ka kaha hai uski in halat ma kia shreai haseet hai? 3. parents agr istrha sy larky ki bjaay apni razamndi sy shadi krny py mjbor krty hn tau us shadi ki kia shereai haseet ho ge? kindly ap mery dost ki rhanumai kren ALLAH PAK apko iska ajar aata frmaen gy. wasalam

Answer: Agrchhe walden k both sare huqooq hen or inka ehtram krna bhi wajib hai, lekin jis tarah k halat ki taraf apne ishara kiya hai is surat men walden ki tmam sharton ki koi sharae hesiat nahi hai, or larke k baligh hone k bad waild ki wilayat bhi khatam hojati hai, or walden ko ye haq nahi pohnchta k apni olad ko is tarah bger kisi sharae uzar k majboor kren, or is tarah quran ka wasta dena ya use jhooli men dalna is qasam ki bhi koi sharae hesiat nahi hai.(lehaza ap bailgh or rasheed hone ki bina per khud mukhtar hen)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53584
Mujtahid:
Date:

Question: aik inasn ka cal py bat krty huwy apni girlfrieng ko apni kasm dyna or larki ka yh kehna kasam sy main ny nai kiya yha larky ki jhot kasam kha lyna is sy lrky ki zindagi pr kya koi asar ho ga ?

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53809
Mujtahid:
Date:

Question: Meri dadi jo ki do bar Hajj kr chuki hai. Do din phle unhone jhooth bola aur apni bt ko sach sabit karne k liye Qurane pak ki jhooti kasam khayi. Uske liye kya saza hai aur kya koi maafi ka tareeka bhi hai?

Answer: Jhooti qasam khana Gunah e kabeera hai or gunah maf krne k liye tooba ki jaye.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53910
Mujtahid:
Date:

Question: asalamu alikum sir muje ye puchna hai ki mai jis ladki ko 12 saal se chahata hun wo muje se pyar nahi karti par usko mere khilaaf kisi ne galat kaha tha us waja se wo mujse pyar nahi karti is liye usne kisi aur ladke se afairs rakhe phir un ka rishta toot gaya ab maine phir se socha tha ki use apna bana loon par wo kheti hai ki main quran pe hath rakh ke kasam khaie hai ki main pyar nahi karongi kya uski kasam jaiz hai kya wo kasam tod sakti hai plz jaldi answer dijeyega shukriya

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53921
Mujtahid:
Date:

Question: kisi ne qasam khayi ALLAH ki ke ye kamnhi karunga kiya to ek hazzar bar kaffara dunga

Answer: Agar apne Allah ki qasam khai hai or qasam ki baqi sari sharten bhi puri hen to, amal na krne ki surat men faqt ek qasam ka kaffara ada krna hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print