Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (515 Questions)


Showing 100- 150 questions from 515 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
16386
Mujtahid:
Date:

Question: azan ki qasam ka kaffara kya hai agar koi gusse mainqasam kha le phr bad main pachtae to hm kya kaffra ada kren

Answer: Azan ki qasam sharae qasam shumar nahi hoti isi tarah gusse ya jazbat men bila-irada or be-ikhtiyar qasam khaye to ye bhi qasam shumar nahi hogi or na hi in per koi kaffara ayega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16472
Mujtahid:
Date:

Question: salam agar koi psyco patient ho aur jab bi koi mushkil aye to hr dafa manat mangne ka adi ho aur aisi manat mange ju uss ki bas me na hu ki pura karsaki buht koshish ki baad bi to is ki lie kia hukm hai.

Answer: Zarori hai k nazar (mannat) karne wala baligh aur aaqil ho, apne irade aur ikhteyaar k sath mannat mane lehaza kise aise shaks k mannat maana jise majboor kiya jaay ya jo jazbaat me aakar beghair irade k mannat mane to sahe nahe hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2605 )

Insaan kise aise kaam ki nazar (mannat man) karsakta hai jise anjaam dena is k lye mumkin ho. lehaza jo shaks pedal karbala na jasakta ho agar wo nazar mane k waha tak pedal jaay gha to is ki nazar sahe nahi hai, agar nazar karte waqt qudrat rakhta tha aur baad me aajiz hojaay to is ka mannat mana batil hai.(jab mannat sahi na ho to us ko pura karna zarori nahi hai)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2610)
Nazar me swwgha perhna zarore hai laikin seegha arbi me perhna zarore nahe balke kise bhi zabaan me parha jasakta hai maslan koi kehe k mera mareez seyatiyab ho gaya to allah k khatir mujh per lazim hai k me 10 rupee faqeer ko saqa do to is ki nazar (mannat) sahi hai. agr nazar(mannat) sahi ho aur mukallaf jaan boujh kar is per amal na kare to gunahgar hai.ise chahiye k 10 faqeero ko pet bhar kar khana khilaye ya unhe libaas phenaay aur agar in amaal ko baja na lasakta ho to zarore hai 3 din musalsal roze rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2604,2633 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
16522
Mujtahid:
Date:

Question: Quran ki qasm jhoty ho ye schi 2nu soortun mn mafi kasay mangi jahay????reply

Answer: Agr koi shakhs qasam khaye k men jo kch keh raha hun sach keh raha hun to agar wo sach keh raha hai to uska qasam khana makrooh hai, or agr jhoot bol raha hai to haram hai. (Or gunah ki surat istighfar ki maafi ka tareeka hai)(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638).Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17843
Mujtahid:
Date:

Question: agar mein khud ko koi kasam doun ke me ye kaam nahi krou n gi aur phr me wo kasam toor doun tu kya kafara huga?

Answer: Agar qasam tamam sharae sharton per mabni ho to is ki mukhalifat ki surat men insane gunahgar hgojata hai or kaffara wajib hoijata hai , or qasam ki mukhalifat ki surat men uska kaffra ye hai k ek ghulam azad kre ya 10faqeeron ko khan khilaye ya unhen pet bhar kr khana khilaye ya unhen libas ata kre, or agr ye kam anjam na de sake o zaruri hai kl musalsal 3 roze roze rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17939
Mujtahid:
Date:

Question: sir kuch arsa pehley meney apney papa ki sir ki kasam uthai k men drink nahi karonga or bhi koi nasha nai karnga to kya ye kasam sai hai ya ghalat???

Answer: Jee nahi ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
18303
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u alaikum mera ap sae question hai k agr koi QASAM uthae ar phr us ko tor dae to us ka kia kufara hai

Answer: Agar qasam tamam shriat k sath sahi khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Yani 10 faqeero ko pait bher kar khana khelaye ya ine libas pinay aur agar in amaal ko na kar sakta ho to zaroore hai k 3 din musalsal roze rakhe. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
31024
Mujtahid:
suni Date:

Question: agar ksi k dubao me aa kr Quran pak utha lia jaye or insan wo bat na krna chahy to us k bary me kia ahkam hai kia usy wo qasam har hal me puri krni ho ge ?

Answer: Ye qasam sahi nahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32204
Mujtahid:
shia Date:

Question: salaam alaikm meine bohot time khasam khaie hai or hamesha mujse khasam tudh jaati hai mein kya karu kuch bhi sammajme nahi ata

Answer: Agar qasam tamam shriat k sath sahi khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Yani 10 faqeero ko pait bher kar khana khelaye ya ine libas pinay aur agar in amaal ko na kar sakta ho to zaroore hai k 3 din musalsal roze rakhe. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
32205
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam alaikum mien ne aj kasam khai hai apne mangetar se larai hone par bohat rote hue or jazbati hote hue k mhe kasam hai ALLAH OR USKE RASOOL(S.A.W) ki k aj k bad tumse pehle ki tarhan bat nhi krungi or na hi tumse esa koi rishta rakhna chahti hun..... Ye kasam khaa to li yaqeen dilane k liye par jb bad mien socha to ehsas hua k boht bari galti hogai itni bari kasam kese khaa li yeh mere liye namumkin haii .. Ab boht pareshan hun soch soch k neend bhi nahi arhi hai boht darr lgrha hai plz hal bataen plz jaldi plz

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada or be-ikhtiyar qasam khai thi to is qasam shumar nahi kiya jayega. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
32539
Mujtahid:
none Date:

Question: salam mera sawal hai mene kafi bar ik kabira gunnah ko chordnay ki kafi bar allah ki kasam our 3 se 4 bar quran uthaya hai par mene phir say wohi kam kafi bar kia hai mujhay yae bataye k kia meray is gunnah ki mafi hai ya koi kafara hai

Answer: Agar koi qasam khae k mai falan haram kaam nahi karoo ga laikin apni qasam par amal na karay to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai yani aik ghulam azad karay ya 10 faqeero ko pait bhar kar khana khalaye ya inhain kapray pehnay aur agar in ko baja na la sakhat ho to zaroori hai k 3 din musalsal roza rakhay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32562
Mujtahid:
Sastani Date:

Question: Salam ali khum . Mara question app si Yai hai Kai Mai nai Quran pak pai qasam khai k Mai jo kah raha hon such kah raha ho laiken mai nai jhoot kaha q k mara zandagee ka musla ta Mai bohoot mujboor ta our Mai na jhoot bola our is ka kafara Kia hai . Our mujay bohoot upsoos hai

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32656
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Salam mainay gusse main Quran ki kasam khai hai Laikin mainay Quran ki kasam bol kar khai thi Quran pe hath rakh kar nahi....laikin ab main bhot pashta rahi hoon !! Aap mujhe batain main k main Quran ki kasam tor sakhti hoon kya? Is ki koi maafi hai?

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32723
Mujtahid:
Date:

Question: MERA YEH SAWAAL HAI KI MEIN AUR MERE BOYFRIEND K BECH MEIN LADAY HO GAYE AUR WOH GUSSE MEIN AKAR KASAM UTHALE APNE AMMI AUR ABU KI AUR ALLAH KI WOH HUMSE KABHI NAI MILEGEY................AUR ABB WOH PAASHATA REHE HAI AU APNI KASAM WAPIS LENA CHATE HAI TOH BINA KOI GUNNAH KIYA BAGIR KOI AISA TARIQA YA PHIR KOI NAMAZ YA SURAT HAI JISE YEH KASAM BHI TOOT JAYE AUR KUCH GUNNAH BHI NA HO...........PLZZZ REPLY ME AS SOON AS POSSIBLE WAITING FOR UR REPLY THAX ;)

Answer: Agr Allah ki qasam khai gai hai to phir qasam sahi hai lehaza is ki mukhalifat nahi ki jasakti, or mukhalifat krne ki surat men insan gunahgar hoga, or zaruri hai karffara diya jaye, yani 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaya jaye ya unhen libaas diya jaye , or agr ye kam na kar saken to 3 din musalsal roze rakhen jaen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
32753
Mujtahid:
dnt knw whats this Date:

Question: mera sawal ya ha,k mujy mry fiance na kaha k tm qasam khao k tm kbì ksi mard sy shadi nae kro g zndge bhar sath raho g,ar agar asa kro g to islam sy bher hoge,usny kaha k Allah ka nam la k qasam khao,ya half b,k agar hmri shadi ho na ho tum nae kr skti shadi ar ma b ya qasam khaun ga,is halaf ki kea ahmiat ha?ar agar tot jy to kea kafara ha,please help me ,ma bohat pareshan hun.jzakALLAH

Answer: Agar wo ap aysi qasam khaten hen jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil ho to is surat men is qasam ki mukhalifat krne se ap gunahgar hojajaege,or ap per kaffara dena wajib hojayega, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak (libas) pehnaye (ata kre).
Sharae qasam ki shrten: Qasam khane wala Baligh, Aaqil, qasam ka irada or ikhtiyar rakhta ho, jis ki qasam khaye wo kam krna haram ya makroo na ho, Qasam Allah ka aysa naam bhi le jo kisi or k liye istamal na hota ho, Qasam k alfaz ko zaban per laye(sirf niyat kafi nahi hai), jis kam ki qasam khai ho wo mumkin ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
32765
Mujtahid:
Aqa Ali Sistani Date:

Question: Me ne apni ami ko quran pak pr hath rakh kr qasm di k me zndgi me kbi b sharab nahi pio ga agr pio to ap mjhe is jahan or us jahan me maf na krna, qsm uthaty wqt me najis halat me tha mgr me ne ksi dabao k teht qsm nahi uthai apni marzi se uthai thi or mera irada yehi tha k me ainda sharab kbi nahi pio ga to kia meri woh qasam jaiz hai or agr khuda na khasta kbi mj se wh qsm toot jay to kia us k side effects mj pr ya mere khandan pr ho skty hen or qsm totny ki surat me uska kafara kia ho ga? plz reply as soon as possible.

Answer: Ye qasam sahi shumar nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
32968
Mujtahid:
... Date:

Question: agar hum koee mannat mange k mera falaan kaam ho jaee to mai falaan sadka doo gi ya phir kuch bhii.. aor agar mannat poori hoti hai aor mai sadka aage se na doo ... ya kuch bhi aage se na karoo to .... to phir kya hota hai ?

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
33008
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal yeh hai kai mujh sai kisi nai kaha kai tum quran k qasam utha kar kaho kai tum mujh sai pyar krti ho mein ny srf haan main jawab diya jo kai jhooth hai ! lekin qasam kai ilfaz apni zuban sai ada nahi kiye kya is soorat mein mujh pr qasam lagou ho g ? aur agar han to us ka kafara kya hoga ?

Answer: Jee nahi ap per qasam lagu nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
33028
Mujtahid:
NA Date:

Question: mera sawal ye hai k quran pe hath rakh k jhooti qasam khanay ki kya saza hai? meri behan ne quran pe hath rakh k jhooti qasam khai hai...mujy apni behan k khilaf ek bat pata chali k usne kisi k sath mil k kuch ghalata kiya hia.. jab maine sub ko bataya to koi yakeen nahi kar rha tha or meri behan muj se lar pari ...larai k doran he woh do teen dafa boli k mai quran pe hath rakh k bolti hon k ye maine us bandi ka sath nahi dia..pehle maine ignore kiya woh bar bar esa repeat karti rahi phr maine quran la kr us k agay rakh dia pehle usne ulta hath rakha jab maine usay pakar liya to bhai ne khud us ka seedha hath pakar k quran pe rakha k ye jhoot nahi bol rahi lekin mujy maloom hia woh jhoot bol rhi hia ... quran ki jhooti kasam khane ki saza kya hai?

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
33029
Mujtahid:
quran or sahi muslim or sahi bukhari Date:

Question: mujhe pochna hai k maine khuda se ek promise kya tha k mai wo(gunah) nhi karo gah magr maine ek bar phr wohi gunah krdya ab mai kya karon help me?

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
33306
Mujtahid:
muamilaat Date:

Question: aik dafa mene quranpak par hath rakh kar qasam khai thi k me ainda cigarette nahi peunga us wakt meri age 15 saal thi . mene smoking yani tambakoo noshi ki qasam nahi khai thi kyun nakay smoking me sheesha,pipe ,cigar ajata ha to kya me in me se kuch pi sakta hun ? mujhay iska hal btayin plz mene allah ka isam e mubarak nae istimaal kia tha us wakat .

Answer: Ye qasam sahi shumar nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
34958
Mujtahid:
sunni Date:

Question: 1 saal pehle main sheesha peene k silsile main meri ammi ne apne sar pe mera hath rakh kar mjhe qasam khane ko kaha k ainda main sheesha nhi piyon ga aur agar piya tou main unka mara munh dekhunge...... tou mera apse sawal yeh hai k kya yeh qasam sahi hai aur agar sahi hai tou iska kya kuffara hai, plz guide me as soon as possible......

Answer: Is Qasam ki mukhalifat krne ki surat men na koi gunnah hai na koi kaffara hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
36553
Mujtahid:
Qasam wapis lena Date:

Question: Aslam o Alikum wa rehmutullah he wabarakatu hu main ne apni mangater say kasam khai k main 2 din tum say bat nai karun ga or us ne kaha k main kasam wapis le lon kia kasam wapis ho sakti hay aya k main ne full iraday say hoosh main or gusay main nai khai the na mehram say baat karna haram hay phir b agar kasam wapis lena chaho to le ja sakti hay plz tell me

Answer: Agr ap aysi qasam khaten hen jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil ho to is surat men is qasam ki mukhalifat krne se ap gunahgar hojajaege,or ap per kaffara dena wajib hojayega, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak (libas) pehnaye (ata kre).(qasam wapis nahi le sakte)
Sharae qasam ki shrten: Qasam khane wala Baligh, Aaqil, qasam ka irada or ikhtiyar rakhta ho, jis ki qasam khaye wo kam krna haram ya makroo na ho, Qasam Allah ka aysa naam bhi le jo kisi or k liye istamal na hota ho, Qasam k alfaz ko zaban per laye(sirf niyat kafi nahi hai), jis kam ki qasam khai ho wo mumkin ho. Or agr ye sharten nah on to phir qasam shumar nahi hogi , is surat men koi kaffar bhi nahi ayega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
36666
Mujtahid:
Date:

Question: kya insan ki kasam di ja sakti hai

Answer: jee nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
36813
Mujtahid:
Yes Date:

Question: Q: Main na 13 Year sa 26 Year Tak Regular Sharab Pi Gai..... Is Choti Eid pa 2012 main 7-8 maheene pehle .... sharab ki halat main kalma e haq padh kar qasam khai ka aaj ka baad sharab ko hath bhi nahi lagaoon ga..... lekin ab 9 months baad meri halat bht kharab ho rahi hai mjhe btayeen ka sharab ka nashe main qasam ki kia akhmiyat hai ? Main sharb ko dubara shuru karna chahta hoon warna mar jaoon ga? Plx Reply Fast

Answer: Is Qasam ki koi ahmiyat nahi hai, or sharae lehaza se sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34) Sharab beer or har wo cheez jo mukammal ya juzvi taur per nasha aawar ho (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 166, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
38220
Mujtahid:
Date:

Question: Aslk main ek ladki ku pasand karta hoon aur nikah ka irada bi hai aur main ne wada bi kiya tha ke shadi karonga ab mere maa baap raazi nai hai main bohat manane ki koshih kia hon lakin raazi nai hai ab mera masla ek taraf maa baap aur dusri taraf kia hoa wada ab surat main mujhe kia karna chaihye main wada khilafi nai karna cahata aur maa bap ku choor bi nai sakta plz meri wazahat farmaye

Answer: Agr momin se kiya gaya Ehed tora jaye to ye ek gunah e kabera hai, Or agr Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaye matlb 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal rozay rakhe.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632)2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
38369
Mujtahid:
? Date:

Question: Aslamualaekum Ji mera sawal yeh hai ki, kisi ne mujse 6 saal se jhoot bola rakha ki woh shadi shuda nahi hain, aur jab shaadi ki baat pakki honey lagi, tu unhun ney muje bataya ki woh already shaadi shuda hain aur apni shadi ki pictures bhi dikhayi, tu iss baat per mujko bohut Gussa aaya aur dil dhukha tu maine uss Shaks ko jhuti kasam dey di , woh kasam kuch aisi thi ke , Main allah aur unke rasool (S.A.W.) ko hazir rakh ker aur kalima parh kar kasam khati hun ki tumse shadi karungi aur aaj se hi tumhari wife hun, aur shayad quran-e-pak ki bhi kasam utai maine, Per ab woh shaqs muje roz tang karta hai tension deyta hai, woh kehta hai ki tum jhooti ho tum per laanat hai, tumhe khuda mehdan-e-hashar per chore ga nahi aur tumne muje bhi gunehgaar banaya yeh kasam deykar aur khud bhi , woh yeh kehta hai ki ab tum meri biwi ho, jb ke mje uss se sakht nafrat usi din hogayi jan usne apni shadi ka bataya, maine bass gusse se aur nafrat se kasam uta li, plz muje bataye ki muje kya karna chahi hai plz, muje woh shaqs hamesha blackmail karta hai kasam ki wajah se bhura bala kehta hai, plz muje batain

Answer: Ek to ap ki qasam koi value nahi hai q k apki qasam sharae sharton per mushtamil nahi thi, or Dusra ye k is tarah ki qasam khane koi nikha kh8ud ba-khud nahi hojata, or nan hi miyan ban jate hen balk jab tk islami sharton pe mushtamil nikah na krliya jaye tb tk rishta izdiwaj qaaim nahi hota. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 30 to 34 & 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
38960
Mujtahid:
qasam khane ke ehkam Date:

Question: Meri maa my mjy Quran pak p hath rakhwa k qasam di zabardasti k ma apny cousin c bat nhi kru gi vrna vo mj c bat khtm kr dy gi.mane roty huye jaxbaat ma aa kr qasam ly li.agr qasam toot jye to kya kaffara ha aur kya ye qasam jaiz ha?kyun mjy zabardasti di gai thi meriarzi k khilaf.

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
39946
Mujtahid:
Date:

Question: as salam o alykum sir,mein aik masly meiy phans gya tha aur wo banda mujy Quran pak authany ka bol raha tha ky mein Quran pak pa hath rako aur kasam autho ky mein aynda yi kam ni karo ga mein ny Quran pak pa hath rakh ky jysa aus ny kaha mien ny wo mana magar mein majbor tha aur koi hal ni tha ausy manany ka,aus ny yi bi kaha ky agar mien dobara wo kam karo tu mari family halak ho jay,aur ab mujy lagta hy ky mein aus bat pa pora ni autar sako ga,hath raka zaror tha magar kasam ni authai thi,mein kysy is ka kafra ada kar skta hun.

Answer: Ye qasam sahi shumar nahi hogi lehaza is ki mukhalifat ki surat men koi gunah or koi kaffara nahi ayega. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
40217
Mujtahid:
yes Date:

Question: agar aik married larki kisi kaam k baaray mei yeh qasam khaae k woh yeh kaam karay tou ussey divorce hojae. phir agar woh kaam kray tou kya divorce hogi?

Answer: Jee Nahi is se divorce nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 39, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
40639
Mujtahid:
Date:

Question: kya wada todny ka kafara ada kerny k bad hame hamare gunah ki mafi mil jati hai Allah ki taraf se ??

Answer: Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya he k wo toba karne walon ki toba ko qabool karta he aur aysa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur gunah se bachne k liye mazboot irada chahiye.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Update on dated 31-07-2015..(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
40678
Mujtahid:
Date:

Question: salam ji mujhe aapse yah baat puchni hai ki . meri girlfriend ne QURAN PAK par haath rakh kar kasam khayi thi, par aaj us kasam ko poori karne may problem aa rahi hai. to QURAN PAK KI KASAM TORNE MAY azaab milta hai . to kis tarah tauba kar us kasam ko roka jaa sakta hai plz ans me

Answer: Apki qasam sharae sharton per mushtamil nahi hai lehaza ise sharae qasam shumar nahi kiya jayega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
40947
Mujtahid:
n Date:

Question: Maine kisi se wada kiya tha ke main itwar ko kio ek kaam nahi karonga lekin majbbori ke tahat main wo kaam kar liya to ab us shakh se kiya hua wada tod gaya ab mere liya shariyat ka kya hukm hai?

Answer: Kisi momin se wada krne k bad us wade ki mukhalifat krna gunah kabeera men shumar kiya gaya hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
41243
Mujtahid:
Qasam Date:

Question: agr koe Qasam dy k tum ya kam nhi kro gay tumhy tmhary parants ki qasam to kya ya qsama jaez hai or qasam dena wala b koe apna he ho bhan bhaion men say to kya ya qasam jaez ho ge?

Answer: Jee nahi ye qasam jaiz nahi hogi, or is ki mukhalifa ki surat men na koi gunah hai or na hi koi kaffara. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
41328
Mujtahid:
wada Date:

Question: agr koe insan Allah sy wada kry k man ya kam nhi kron ga lakin pher wo insan wo kam kr dy jis k lye wada kea hua tha Allah sy to is ka kya kaffra ho ga????

Answer: Agar Allah say kiye gaey ehad (waday) ki tamaam sharten puri thin to agr Allah say kiya huwa ehed torha jaye tu gunahgaar honay k sath sath zarori hay k kaffara day yani ya to 60 faqeero ko pait bhar ker khana khilaey ya 2 mahinay musalsal rozay rakhay ya aik ghulaam ko azad karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
41332
Mujtahid:
Qasam Date:

Question: agr insan dil sy kse qsam ko accept na kry jb koe dosra qsam dy to kya ya qsam ho ge???

Answer: Is terah ki qasam ko qobool kerna wajib nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
42234
Mujtahid:
Date:

Question: AOA. mera aap sa yeh sawal hai k main kisi k dar aur dabao main aa kur Allah ki kasm aur Quran pa hath rakh kr kasmkhati hoon k main yeh kaam nahi karo gi. lakin main wo kaam nahi chor sakti. tu is k liye kia kafara hai. aur yeh kasm main dil sa nahi khati. bus khoof sa khati hoon k wo banda mujy nuqsan na pounchay. plz jawab sain k kia hall hai. Shukria

Answer: Agr apko majboor kiya gaya ho qasam khane per to ye qasam sahi shumar nahi hogi. Lehaza uski mukhalifat ki surat men koi kaffara lazim nahi ayega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
42856
Mujtahid:
allha se wada karna Date:

Question: Allha se wada keya tha ke allha muje ullad de do me me app se wada karta ho ke easa nahi karo gha ..allha ne muje ulad de he paar me abi apne wade ke mafi mangna cahta ho plz muje bataye ke mafi mill sakti he muje apna wada wapas mill sakta he

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
43954
Mujtahid:
Allah ka wada torny ka kafara kia ha? Date:

Question: Allah ka wada torny ka gunah

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44440
Mujtahid:
Date:

Question: mera past mai ksi sey taluk tha mai us sey milti b rahi,per meri mangani kisi or sey ho gaye ab mera mangeter kehta he k quran pe half lo k tum us sey kbi mili nahi,halan k mai milti rahi,per wo majbor kerta hai ksm uhaney ko,kya esey halat mai hlf dy k koi kafara haii.

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44564
Mujtahid:
Date:

Question: ASALAMUALIKUM! QURAN PAK KI KASAM TORANAY KA KAI KUFRA HAI??

Answer: Allah kay ilawa kisi aur ki qasam khanay say Sharae qasam shumar nahi hoti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
45153
Mujtahid:
abt half Date:

Question: mera question ye hy k 10 months pehlay aik larkay nay qauran ki kuch soraton par (ju k chotay chotay cards pr likhi hui thin ju bazar main frokht hoti hain) un pr meri aik dost sy halaf lya k wo larki us larkay k ilawa kisi or sy shadi nhi kray gi..dono aik dosaray ko bht pasand krtay thay. us larki nay ye half lay lya. ab masla ye hy k us larkay k walid ki tabiat khrab hy or wo uski shadi kahin or kr rhay hain. or wo larka b shadi pr maan gaya hy. but jb meri dost ny us sy half wapas lenay ka kaha tou us ny inkar kr dya, ab us larkay sy rabta bhi nhi ho paraha. ap plz bataeye k meri dost ko is half ko khatm krnay k lye kya kaffara ada krna hoga ta k wo kahin or shadi kr sakay,, ap plz is maslay ka mukammal hal bataen with reference, meri dost bht preshan hy is muamlay main . umeed hy ap jald jawab dain gy..

Answer: Y e qasam or halaf sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45162
Mujtahid:
kasam khana Date:

Question: aslam o alikum mera sawal ye ha k kisi ne gussay k alam mein kalma parh k kaha k mein tumse rishta ho or os k baad khud usne kaha k woh rishta torna ne chata.. ek bar ne kafi dafa pehlay bhi kalma utha k aisa hua.. toh kindly ap bataye k kia kiya ja sakta ha roshta toot gaya ha? agr han toh kasay kufara ada karay

Answer: Is terah ki qasam batil hai aur ap par kuch bhi faraz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
45215
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum meri ek friend ny mujh sey kaha k 'tumhe tumhari maan ki kasam ainda mujh sey baat na kerna' lekin ma ny us kasam ko accept ni kia aur phir bhi baat ki.. kia esi kasam ka koi kuffara ha ya is trah kasam taurny ka gunah ha????

Answer: Is qism ki koi sharae hesiyat nahi hai, na koi gunah hai or nahi koi kaffara.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45372
Mujtahid:
Date:

Question: sir mre mangeter ne qasm uthae kalma parh k ,k agr tmne bank me internsship ki tu me tmse rishta khatam kr dnga... ab wo pachta rhe han k ma ne q uthae qasm q k mera internshp kerna zarori ha.. tu es qasm ka kya kafara ha...unhn ne gusse me qasm khae..plz ans me through email

Answer: Ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
45429
Mujtahid:
Date:

Question: Salam mein nay Quran.e.pak ku choo kr kaha tha k zinah ni krun ga mgr kuch blue picture daikhnay say kuch qtrat/automaticly/niklay.is ka azala kya hai

Answer: Agrche ye qasam sahi nahi hai or nahi iska kuch kaffar hai, phir Zina ek gunah e kabeera hai us se har halat men bachna wajib hai chahe us k liye qasam khaen ya na khaen, isi tarah is tarah ki videos or pics dekhan bhai haram hai(agrchhe katron ka nikalna zina nahi kehlata).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633).(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45448
Mujtahid:
ayat ullah sistani Date:

Question: agr koi shaks Mola Ali(as) ki jhoti kasam khaye tu kia saza ya kafara hai

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or Moula Ali (as) ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45652
Mujtahid:
Quran ki jhooti qasam Date:

Question: May 23 saal ka hoon aur mainay quran ki jhooti kasam khai hai, issay kiya hoga kiya aap mujhay bata saktay hai??

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45653
Mujtahid:
Quran ki jhooti qasam Date:

Question: May 23 saal ka ladka hyderabad say hoon kiya aap mujhay bata saktay hai ki quran ki jhooti qasam khana say kiya ho sakta hai????

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45665
Mujtahid:
qasam khana Date:

Question: mera sawal ye hy k meri ami apny sir pr hath rakh kr qasam khany ko kehti hen kya ye thek hy ya ni mera qasam khana ya meri ami ka sar pr hath rakh kr qasam uthwana ? mera dosra sawal ye hy k mera mangeter hr bat my qasam khata hy wo sach boly tb bhi or jhot boly tab bhi kya ye thek hy islam ki nazar my? plz tafseel sy ans.dijye thanks

Answer: Jee nahi ye qasam jaiz nahi hogi, or is ki mukhalifa ki surat men na koi gunah hai or na hi koi kaffara. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45696
Mujtahid:
Date:

Question: Allah ki kasam tut jaye ya napaki me insan quran ko chu le toh uska bharpai kaise karna padta hai kaise uska hadiya dena padta hai

Answer: Agr qasam sari sharae sharto n per mushtamil ho to uski mukhalifat krne sa insaan gunah gar hojatya hai, or zaruri hai kaffara ada kre, or kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaye ya unhen poshak (libas) pehnaye. Or agr ye kam na kr saken to phir 3 din musalasl roze rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print