Showing 50- 100 questions from 224 questions on this page.
Question: Assalam u alaikum Mera sawal ye hai ke agar koi shaks zinda hai our wo apni jaidad ka hissa karna chata hai tou kis tarhan kiya jaye. Misaal ke tor pe agar us ke paas 10000000 value k plot hein ya ghar our us k 2 betay our 3 betiyan ho our 1 bewi ho tou kis tarhan taqseem kar sakta hai. JazakAllah
Answer:
Jab insan zindah ho to insan ki marzi hay jis ko chahy jitna hissa day agar kisi ko kam or kisi ko ziyada day to us ki marzi hay us pr ko ghunah nahi hoga,or insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ko 1/8 (aathwan) hissa banta hay jab k aulad ho to or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har bety ho dogna(double) hissa milta hay,or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren,Contact:
Email: info@qoitrat.org (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2215/2694/2727/2728 ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Lay palak k liye virast main kya hukm hay agar aik bacha jis ko 2 saal ki umar main god liya ho or baqi 3 behny hoon un ki shadi os bachy ny baray ho k ki apni walida ko 2 huj krwaye ab os k pas hiba k papers hain is ka os jayedad mn kuch hisa hy k nahi or is bete k nam hiba ka stam b mojod hy ab is bary mn Islam kya kehta hy kya is bachy ka virasat mn hisa hy k nahi
Answer:
Lay palak ka wirasat men koi hissa nahi hay agar wo hiba us ko marny wali aurat nay day diya tha or us lay palak nay usay apnay kabzay men kar lia tha to wo us ki milkiyat hogi lekin agar usay nahi dia tha sirif paper par likh kar us kay naam kia tha to us lay palak ka us men koi hissa nahi hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#02/03,Mafhoom e Maslah #1310/1314/1319/1320/988 ).
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum Mera sawal hai ke sohar biwi ko mehar me makan diya bahut samey ke bad os ke five aulad bade bade ho jate hai to kya os makan me aulad ka haq hota hai ya nahi Aulad ka haq hai to kitna
Answer:
wsalam. Aualad ka haq us waqt hoga jab un ki walidah ka inteqal ho jaey tu wo makan meras shumar hoga phir us main aulad ka hissa hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, pg#423).
[Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mery Dada abu ki Death Ho chuki ha.unki property ha Jo K unho ny kise ko nahe Di yani koe vasihat nahe ki unky 3 bety ar 4 betiyan Han jin m ye taqseem hni ha.. Ub Mery walid Shb ny meri mama ko divorce dy dia ha chunky hum 2 bahny r 3 bhai ama K sth Han ar walid ka kahna ha k Mery Dada abu ki virast m sy humy koe hissa n dy gy Ku K wo khud Ye rkhna chahty Han r humy kuch be be ne dena chahty.. Tu KY Ye thk ha? Ar kitna share mily GA hum bahan bhaio ko walid K hissy m sy ar walid shb ko kitna jata ha?
Answer:
Jee haan, aap k dada ki property men aap ka koi hissa nahi hoga balkeh us ki aulad men wo property taqseem hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2694)
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bivi k marny k bad uska nam k ghar ka haqdar kon hoga olad na honay ki surat ma shohar ya marhoma k behn bhai, or agar shohar k ilawa koi na ho to. mian bv ki olad na honay ki surat ma virasat kisko milegi
Answer:
Agar bivi ki aoulad or waliden nah ho to us ki miras us k behn bhaion men taqseem hogi or shohar bhi un kay sath shareek hoga, shohar ko us ki poori jaedad men sy half (1/2) mily ga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2703/2727)
[Updated on 11-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alekum mera sawal yeh hai k kia meri walda k inteqaal k baad mai un ki ek hi olaad hoon merey Nana jo k hayat hain apni zindagi mai hi apni jaidad sell kar k tamam Baiton or baitiyon mai baraber taqseem karna hai tu is sorat mai kia mujhey meri marhoma Maa ka hissa miley ga apney Nana ki taraf sey...
Answer:
Nahi, Nana ki jaidaad main aap ka koe hissa nahi hay, haan nana apni zindagi main aap ko tohfa dainay k hawale se agar kuch daina chahain tu koe haraj nahi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2694 )
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janab aslam alaikum . Ager koi adhmi apnay baap ky marnay se pehly Mar Jaye our marnay wala ky bachy yani oulaad hu tu Dada Jan ka ju miras yani jaidaad hu jo marhoom ko milna ta wu marhoom ki oulaad ko shariat kioon nahi deta.
Answer:
Q k fiqhi maslah ye hay k jab kisi ka inteqal ho or oski aulad bhi maujood or aulad ki aulad bhi maujood ho tu meras aulad main taqseem hogi or meras aulad ki aulad main taqseem nahi hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus saliheen, jild#3, Mafhoom e Maslah # 2694).
[Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: SAlamun ALikum , Hum 8 behen Bhai hain- hamarey walid ka intiqal 28 saal pehly hugaya tha, un k Naam kuch nehi tha, SIrf Eik MAkan hy jo walida k naamhy , walida ka bhi 3 saal pehly Intiqaal hugaya, sawal yeh hey k is property ko 4 bhai 4 behen main kiss tarha taqseem kia jeyga , jabky sab k sab MAshallah SHadi shuda hain , or walda k zewarat ( jewelery par kiss ka Haq hy?
Answer:
Agar aap k maan or baap k walidain on ki zindagi main wafaat paa gae thay tu tu phir ghar or zewaraat ki jitni maaliyat hai usko is tarah sai taqseem kiya jaey k har baitay ko baiti sai dughna hissa milay yaaney misaal k tor par agar kul maaliyat 1200000 ki hai tou har betay ko 2 lakh or har beti ko aik laakh diya jaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2694).
[Updated on 07-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u alaikum hum 2 bhai or 1 behn hai walida b hayat hain walid sahib ki wirasat wali property mei kitna kitna hisa hai misal k tor pr 100 rupe mei kitna kitna hisa hai
Answer:
wsalam.aap ki walida ko 8th hissa milay ga us k baad jo bachay ga wo bachon mai is tarah taqseem hoga k baiton k baition sai dughna miley ga.e.g agar marnay wala 400 rupar chor kar gaya hai tou us ki biwi yaanay aap ki walida ko 50 rupay milay gay or baaki 350 mai sai 70 aap ki behen k or 140, 140 dono bhayon ko milain gay. ye bhi wazeh rahe k agar meraas main ghar bhi chora ho tu marhoom ki bivi ko ghar ki zameen se koe hissa nahi milay ga balkeh zameen k oper maujood makan se hissa milay ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2694).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri dada ke pechle ramzan mein wafat ho gye thi. uno ny jane sy phala koi wasiat nhe ke thi. un ke 4 bety aur 7 betian han. magr sub kha rhy han 3 no ke beta ka beta dada ky boht kariab tha is lya usy bhi aik hissa milna chaiya to mera sawal ya tha kye ya sahi tareeka hy ya nhe?
Answer: Agar marhoom ki wafaat k waqt baap or maan zinda nahi thay or on ki bivi bhi zinda nahi then tu meraas k 15 hissay kiay jain gay, har baiti ko 1 hissay dia jaey ga or har baitay ko 2 hissay diay jain gay. Or pote ko meras main se kuch nahi milay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2694). Update on dated 01-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera Sawal hai... Agr ak shakhs ki maut hoti hai or uski 3 biwian Hain ak biwi mein se ak beti hai to Kya Baki biwian Jin ki koi aulaad nhi unka koi hissa hoga ya nhi?
Answer: Agar muta,addid biviyaan hoon tu farzand hone ki sorat main aathwaan hissa or farzand nah hone ki sorat main maal ka chotha hissa on k darmiyaan barabar taqseem kia jaey ga. (Ref: Ayatullah Khumeni(r.a), Tehrirul wasila, part#4 Pg #67). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Humari walida ka inteqal hogaya hai aur walida ki do shadian thi pehli shadi se 1 beti hai dusri shadi se hum 2 bhai hain ab humari walida k pass jo maal hai woh humare walid se mila tha to kia humari soteli behn ka hisa hoga
Answer: Walida k inteqal k baad walida ki meras teno behen or bhaiyo main taqseem hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2694). Update on dated 11-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam o Aliqum ek shaks wafat pa gea us ki 5 baytean hy or bayta koi ni hy or bivi abhi tk zinda hy to us ki warast kasy taqseem ho ge kea us ki warast main us shaks k bhaion ka bhi koi hisa ho ga?
Answer:
Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, tu bivi ko aathwaan hissa mile ga laikin zameen se koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ki 5 baitiyoon main braber taqseem kar di jaey gi. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991).
Update on dated 22-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera ek he Bhai that Jo ghairshadi shuda that uski death hogye he me unki ek he behn Hoon Mera unki property me kitna hisa hoga?
Answer: Agar aap k bhai k inteqal k waqt on k walid ya walida zinda hoon tu phir aap ko meras main se kuch bhi hissa nahi mile ga. Q keh jab tak marhoom k pehle giroh(group) se aik shaks bhi maujoo ho tu 2nd giroh tak meras nahi pohanchti, 1st giroh main walid, walida or aulad shamil hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2691). Update on dated 27-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar Walida zinda hon to bety ki wirasat me aulad aur bivi ki maujodgi me hissa 1/6th taqseem se pehly ho ga???
Answer:
Marhoom ki bivi ko meras main se 1/8 hissa milay ga haan zameen ki qemat se is ko hissa nahi milay, or marhoom ki walida ko meras se 1/6 hissa mila ga ga or is k baad jo hissa baqi ga wo aulad mmai taqseem ho, larkay ko larhki se duugna milay ga.(Ref: minhajus saliheen, jild#3, maslah#996, https://www.sistani.org/arabic/book/16/936/)
[Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere koi aulad nhi he mene kisi kka beti goad li he meri jayedaad par uska haq hoga ya mere bahi bhatijo ka ya meri biwi ka
Answer:
Sagi aulad ko meras milti hay, goad li hoe aulad ko meras nahi milti.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#988-1005,eidition 1439 ).
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum, walid ka intekal Daada k intekal se pehlay hoa, walid ki 3 betian hn beta koi nhe, walid k 4 bhai aur 4 behnai hayat hn. Dada ki zameenai hn jo un k naam bhe nhe thein, ab ye 4 bhai zameen apnay naamo pe muntakil (kagazi karwai) karwa k bech rahy hn aur kehtay hn sheryat ma hmaray walid ka koi hissa nhe aur naa hee 3 betio ko milay ga. Sawal ye ha k kia ye baat jaiz ha aur kia ye sb bhai behan is wirasat k hisaydar hongay ya nhe? Plz rehnumai kijia shukria
Answer:
Jee, aap ki bayaan karda sorat k mutabiq aap k walid or aap or aap ki behno ko meras nahi mile gi. Balkeh aap k dada ki meras on ki bewah zauja, maan, baap or zinda aulad main taqseem hogi.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#1001,eidition 1439 ).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam.o.alaikum Kia mayyat ny apnay jo kapray phen k mar gaya un kapro ka kia karna chahiye
Answer:
Jo kaprhe mayyit chorh k jata un per barhe bete ka haq hay baqi phir wo jo karna chay us ki marzi .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 2019 maslah#2737).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalmoalykum .agar kisi admi ne apni wafat se phle apni jaidad bevi aur beto k nam kardi ....to kia us ki wafat k bad betio ko hissa mile ga ya nhe?
Answer:
Agar marhoom ne zindagi main hi apna tamaam maal bivi or baito ki milkiyat main day diya tha tu phir meras main kisi ko kuch nahi mile ga. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1331,eidition 1439 ).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri maa ki death ho chuki ha ...le unka iklota baita hun ... mry soutaily abu unki jaidad me sy hissa mang rahy hyn kya shariyat k aitbaar sy unka hissa ha agar ha tu kitna
Answer:
Agar aurat bay aulad mar ajey tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre warasaa ko milta hay. or agar aurat ki osi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre warasaa ko milta hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2727).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Waled our waleda inthekhal hojaye hai waled ke property me kaise taksem hoge, eak beta do 1 beta hai our 2 beteya betiya ,. Do zamen hai Our Dono zamen ke alag alag property documents hai, tho kaise taksem hoge Dono zamen age peche hai our peche wale zamen ka price bahut kam hai aage wale ke mukhabele me our peche wale zamen ka left, right ya back koi rasttha nahe hai,, our sirf aageke zamen se rasta nekal na hoga tho is shakal me kaise hesa hoga Dono zamen ka 1 ladka our 2 ladkeo me
Answer:
Agar kise marne wale k waris betay aur betiyaan hoon to maal ( Tamam zameenen or jaidad ) ko u taqseem kiya jaay ga k har beta ,beti se dugna(double) hissa lay ga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2694).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa... Sir meri sister ky husband ki recently death hui hai, uski 2 betiyan hain, mera ye sawal tha k kia usky husband ki property py uska haq hai? Agr hai to kitna hissa bnta hai uska? Plz answer
Answer:
Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ko 1/8 (aathwan) hissa banta hay jab k aulad ho to or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har bety ho dogna(double) hissa milta hay,or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren,Contact:
Email: info@qoitrat.org (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2215/2694/2727/2728 )
[Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamoalakim mera question yeh ha agr koi adme fot ho gia aur us ka 4 bata aur 4 batiia thea ab unh ke kafi zameen ha aur zameen pa bato ka kabza ha agr woh ab behno ka hissa dehna chaye to har jaga sa hissa da ga ya ya woh sara hisa 1 jaga sa da sakta hay.
Answer:
Agar kise marne wale k waris betay aur betiyaan hoon to maal ( Tamam zameenen or jaidad ) ko u taqseem kiya jaay ga k har beta ,beti se dugna(double) hissa lay ga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2694).
wasay to har zameenen or jaidad may hissa hota hay lakin agar apas may sulah kar lay to phir us value kay mutabik apas may zamin our mal taksim kia ja saktaha hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019, Mafhoom e Maslah # 2123).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam'0'alaikum Mera sawal yeh hai k mere dada k 4 bete or 1 beti hai mere walid sub se bare hain mere dada ne apni koi wasiyat nhi banai or abhi mere dada dadi or mere walid ka inteqal ho chuka hai to kiya hum apne walid ka hissa lene k ehel hain. Kiya ab mere dada ki property me hamara koi hissa banta hai ? Rehnumai farmay
Answer:
Agr merne walay ki aulaad uski zindagi men hi intaqal ker jaey to uski us aulad ka Merne wale k tarqe men koi hissa nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 1001, Eidition 1417 hij)
[Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir mere dada ji ny apny behn ko jo beaulad thi un ko apna beta yani mery walid saab ko khuda wasty diya k aj se yeh beta tumhara hai.sir kya mery walid saab apna walid se hisaa ly sakty hain
Answer:
Jee han, baita apne baap ki meras main se hissa paey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2691).
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir mere dada ji ny apny behn ko jo beaulad thi un ko apna beta yani mery walid saab ko khuda wasty diya k aj se yeh beta tumhara hai.sir kya mery walid saab apna walid se hisaa ly sakty hain
Answer:
Jee haan, baap k inteqal k baad is baite ko meras mille gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2691).
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya bivi ki waraset main shoher ka koi haq hae ?
Answer:
Agar koe aurat bay aulad mar jaey tu os k saarey maal ka nisf hissa shohar ko or baqi maandaah doosrey warasaa ko milta hay. or agar aurat ki osi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saarey maal ka 1/4 hissa shohar ko or baaqi maandah doosrey warasa ko milta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2727,2694).
[Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mre Abu ki phuphi abnormal thi n unko mre dada ne ak property gift ki thi.. ab mre Abu ki phupho ki wafaat k baad wo property kis k hisay aye gi?
Answer:
Marhooma k maa, baap, shohar or on ki aulaad main. or agar in main se koe bhi nah tu aulad ki aulad main meraas taqseem hogi. Laikin agar marhooma ki shadi nah hoe ho, tu phir marhooma k dada,dadi, nana, nani , behen or bhaeo main meraas taqseem hogi.
Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2691)).
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum Meri sister ke husband ke death ho gye h us ke koi aulad nhi thi miras mai cash jo taqrban 27 lakh ghar jis mai wo rehtay h is ke illawa 5 ghar jo rent pe dye hoyee h is k illawa eik bagh agricluter farm bhi h
Answer:
1: Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ko (¼) (aathwan) hissa banta hai agar aulad na ho to. or baqi jaidaad dusre wariseen men taqseem ho gi,
2: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (yani number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Waaldain or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala hen. Bas Agar biwi maujud ho aur koi aulaad na ho to property men se chautha (¼) hissa unko ko mile ga aur unko hissa milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi. or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren, Contact: Email: info@qoitrat.org (Ref: Aayatullah Seestani (d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah #2691,2727,2728,)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere phli shadi sa mera 15 years k bata h per us k baap n kbhi 15 years m us sa contact nhi kiya kia us k apna baap k virasat ma koi hisa bnata h
Answer:
salam. Baite ko baap ki mera se hissa milta hay. lehaza is sorat main bhi os ko hissa mile ga Q keh wo os ka baita hi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani db, maslah#2690)
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya walidd ki zindagi mein beti ka inteqal ho jaaye to kya property mein se uss beti ki aulad ko hissa milta hai
Answer: Agar marhoom ki aulad maujood ho tu pote ya poti ko meras nahi milti. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 1001). [Updated on 12-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Baap Ki Retirement Ka Paisa wirasat Ka Hissa Hai? or wo kis Tarah Taqseem Hoga..
Answer:
Marne k baad marhoom ki jaidad or paisa jo taqeem hota hat, osay wirasat kaha jata hay. retirement ka paisa baap k zinda hone ki sorat main aulad main taqseem nahi hoga.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistanni, maslah|#2690)
[Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamo alaikum kia waris kay haq men wasiat kee hasaktee hay.(mt wufe died she keft rarka but during her lufe she said to her son yeh naqdi aur zever behan to day dena) kia shariat kay murabaq raqseem hogi ya warasar aur waduat dono kay mutabiq taqseem ho gee jawab meray mobile per pls i shall be grateful
Answer: Agar ye wasiyat merhooma ki tamaam miras ka 1/3 ho tu phir is wasiyat per wasiyat k mutabiq amal hoga or agar wasiyat 1/3 se ziyada ho tu tu tamaam wariseen k raazi hone ki sorat ki pori wasiyat per amal kia jaey ga or razi nah hone ki sorat main 1/3 per amal kia jaey ga.(Ref: tauzihul masael, maslah#2683). [Updated on 01-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia waris kay haq men wasiat ho sakti hsy? Janab allam sahib reply with ref book quran or shariat fiq jafaria books fee aman ullah
Answer:
Ji Haan ho sakti hai, Wasiyat ye he k insan takeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie. Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2687-2690)
[Updated on 19-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera sawal hn agar maap baap zinda hu tu beti ka kitna hisa hota or agar na ho tu beti ka kitna hisa hota( 7 bhai or 4 bhny hn)
Answer:
Jab tak walid zinda hai tou meeras taqseem nahi hogi or un ki marzi hai agar wo kisi ko dena chahay tou de sakte hai lekin baap k marne k baad un k maa baap (daada dadi),zoja (yaane aap ki walida) or aulaad ko hissa diya jaaye ga
aulaad mai betiyon ko beton ki nisbat aadha hissa diya jaaye ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2691,2694).
[Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam... Sir hamarey father ki death ho gae hai.. hum sirf 4 betiyan hi hain... Jo hamari ami key name per jaidad hai oir abu key name per hai usey keisey hum apne name per kar saktey hain... Plz answer
Answer:
Agar merne wale ke maan , baab ya aulaad main se aik bhi shaks maujood ho tu kisi aor afraad ko miraas main se koe hissa nahi mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2691).
Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, tu bivi ko aathwaan (8th) hissa marhoom shohar ki meraas se mile ga laikin zameen ya pilot me se koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ki 4 baitiyoon main braber taqseem kar di jaey gi. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991)
[Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi shakhs wafat pa je or oski 2 biwia zinda hn or 1 beti zinda ho or koi beta na ho or os wafat pa jany waly shakhs ke waldean wafat pa ge hn oski wafat se phly or os wafat pa jany waly shakhs ke 2 bhai or 3 bheny zinda hn or total zamen 24 akad ho to sir plz oski warast ki taqseem bta dy
Answer:
Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, to marhoom ke Bhai Bhehno ko kuch bhi hissa nahi milay ga, or biwion ko bhi zameen ya pilot men say kuch bhi hissa nahi milay ga. aur baqi tamam ki tamam miraas marhoom ki 1 baiti ko mile gi.(Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991,999)
[Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera sawal hai k meri ami hen or abu fout ho gy hen unki zameen hai jo ami k mutabik unho ny khud kharedi abu k hoty hoay,ab ami wo zameen bech k apny bachon ko hissa dena chahti hen,hm 4 behney hn jis me sy do fout ho gai hn or do bhai hn,ab ap btain k kitna kitna hissa ay ga bachon me..or jo behny fout ho gai hen unky bachy b hen to kya unko b hissa ay ga plz jld bta den
Answer:
Aap ki walida apni zameen baich kar jis baiti ko jitna chahain day sakti hain Q keh ye miras nahi hay keh is ka hissa bayan ki jaey, meras inteqal k baad taqseem hoti hay. insan zindagi main jo taqseem kare wo os ko tohfa kaha jata hay.(Ref: Minhajus saliheen, jild#2, maslah#1310-1314).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u alaikum My husband died few months ago,we had no children.Hmara ek makan(cost 60 lac), shop (25 lac)or zameen(25 lac) hy..mghy ye pochna hy k isme kon kon warasat ka hisydar hy or mera kia hissa bnta hy?
Answer:
Marhoom ki zoja ko meras ka 1/4 hissa milay ga laikin makan ya dukan ki zameen se zoja ko koe hissa nahi milay ga, or Q agar marhoom maan baap ya in main koe aik hoa tu phir meeras os ko day di jaey gi.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani db, maslah#2726)
[Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere Bhai ke death hogae ha or unka koe ulad nahe ha malom ye karna ha k unke Office ke settlement me Jo gratuity, bouns ke amount bante ha uska haqdar Kon keya would walda, Bhai ke bewa or behn bhaeyo me taqseem hoge agar hoge to kiss hisab se.
Answer:
Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (yani number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Waaldain or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala hen. Bas Agar aap k bhai ki biwi maujud hen to property men se chautha (¼) hissa unko milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or Agar aap k Marhoom uncle ki wife bhi nahi hen to phir puri property meeras k 3 tabqo k mutabiq taqseem hohi. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691).
[Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri Nani meri ami ko apna property ka hisa dana chati hain to kiya ho da skti hain ? nani ka baki bacho ka koi haq hoga phir os mai ?
Answer:
Zindagi main apna maal kisi ko daina jaiz hay laikin ye meras shumaar nahi hoga. or jab aap ki nani aap ki walida ko apni property day dain tu phir nani k doosre bacho ko koe huq nahi hoga keh wo is main se kuch lain.(Ref: minhajus saliheen, jild#2, maslah#1310-1320)
[Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Sir, Mere walid sahib nai apni mujodgi mai apna jaydad dia lekin kisi ko zyada or kesi ko kam , ab zyada jaydad wale keh rahe hain ke abu ne apne marzi se dia dubara same hiso mai taqseem nahi ho sakte or mai isko baraber hiso main taqseem karna chahta plz hosla afzayi karain ke mera haq banta hai ya usko jitna mila main wapas nahi lai sakta
Answer:
Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meras k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri walida ko talaq ho gai or mera dada abu bhi foat ho gai or walid bhi hum 3 bhai or aik behan hy or dada abu koi wasiyat nahi chor kar gar pehle dada abu foat hue bad me walid to kia hume hissa lena chie mere 3 taya bhi hyn
Answer:
Jab kisi ka inteqal ho or uski aulad bhi maujood or aulad ki aulad bhi maujood ho tu meras aulad main taqseem hogi or meras aulad ki aulad main taqseem nahi hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus saliheen, jild#3, Mafhoom e Maslah # 2694).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar baap ne pori property beton k naam kardi or foat hogaya betian ko hissa nhn dia to kia beti ka hissa milega ya nhn
Answer:
Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meras k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O Alaikum, Sir mera sawal ye hai , ke ham 5 bhai aur 1 bhen hain, aur mere walid bhi zinda hai aur walda bhi, Aur mere walid ke 4 bhai aur 4 bhenain hain, Aur jo kuxh bhi kamaya jaidad jo kuch bhi Allah ne abu ko diya hai Hamare dada jan ka kuch nhi tha to aap mujhe ye bataiyan ke kya mere Abu pr ye farz ke apne bhaiyon hisa de???
Answer:
Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Waaldain or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala. Bas Agar marhoom ki biwi maujud he to property men se aathwan (1/8) hissa unko milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or Agar Marhoom ki biwi bhi nahi he to phir puri property meeras k 3 tabqo k mutabiq taqseem hohi. Or jab tak aik tabqe k afrad mojud hon chahe ek fard hi Q na ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek shaks ki death ho gai ho. Our oulad bi na ho tou bhavi our marnay walay shaks ka bhan bhaio ko jaydad mein kitna hissa mila ga waldain ki be death ho gai hai.
Answer:
Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, tu bivi ko chautha (1/4) hissa mile ga laikin zameen men se bivi ko koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ke behn bhaiyon main is tarh taqseem gi ke bhaiyon ko bhenon se dugna hissa milay ga. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maa baap ki wafat k bd jaidad Mai taqseem se pehly Kia behne bhaiyo se apna hissa mang skti Hain? JB k baqiya wursa ki taqseem Mai razamandi shamil na ho? 4 behne 4 Bhai hn wirasat Mai ik ghr hai jis m Bhai rehty hn.. ik behen hissa mang rahi h JB k Baki kisi ki takseem m razamandi nh h... Kindly detailed explain krdyn... Thanks
Answer:
Jee haan, behen apna hissa maang sakti hay. (Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2690-2701 )
[Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir mera sawal yeh hy k agar baap zindgi men srf beton ko hissa diya or beti ko nh to kya beti ka haq bnta hy
Answer:
Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal aap k baap ne apne baito ko zindagi men de diya tha wo baito ka maal hoga. Lihaza Baap k inteqaal k baad jo maal baap ki milkiyat main tha wo tamaam baito or baitio or biviyoon main taqseem hoga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij).
2) Agar kise mard marne wale k waris betay aur betiyaan hoon to maal ko yu taqseem kiya jaay ga k har beta, beti se dugna (double) hissa paay ga. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2694).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Ham 4 sisters hain kya mera walid ki property ma mera chacha ya Phoppo ka Bi haq hai aur hamairi dadi sorely hain dada ka intiqal ho Gaya hai ISI Tarah kya ami ki property ma mammo ka bhi haq hai Please guide us Jazakhallah
Answer:
jin louqo ko meraas milte hay un ke 3 tabqe hain jab tak phele tabqe me se aik fard bhi muojood hay dosere tabqe walo me se kise ko bhi meraas nahe mile ghe meraas Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, or biwi mojod ho tu biwi ko aathwaan(1/8) hissa mile ga laikin biwi ko zameen se koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ki 4 baitiyoon main braber taqseem kar di jaey gi. or chacha ya phopo ko nahin milay ga.
Isi tarah Aap apni maan ki mirass k waris hen is liay ap ki walida ko jo hissa mila tha ab wo aap ka hoga or aap k mamu ko nahin milay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #991.2694).
[Updated on 24-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum janab, aik banday ki aulaad nai hai, do biwiyan hai, aik taya ka beta or teen betiyan hai aur behan ki death ho gai hai or behan k 4 betaytay or 2 betiyan hain, un main kis tarah wirasat taqseem ho gi
Answer:
Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691).
[Updated on 12-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]