Showing 100- 150 questions from 224 questions on this page.
Question: ASA , mere abbo nay aik ghar bnaya jis mai mai ,abbo ammi and 4 behnain rehti thi .. phuppo ka aik ghar tha unka koe baita nhi tha aik beti thi ...phuppo nay foat honay say pehlay apna ghar mere abbo and apni beti k naam kra dia tha 2013 mai mere abbo foat ho gaye tu phuppo ka half hissa hum sab behn bhai aur ammi ko mil gya . behno ki shaadi ho chuki thi aur mai apni ammi k sath abbo k ghar mai re raha tha jab abbo foat huye...tu ammi nay sab behno ko hissa chornay ka kaha aur abbo wala ghr mere naam kr dia ...kyunk abbo ka bhi kehna yehi tha k betio ko agr kuch dia tu phuppo k ghar say du ga aur jis ghr mai re raha hu apnay baitey yani mere naam kroga ab aik behn 5 , 6 saal baad hissa mangay tu hissa bnta hai ? masla ye hai ab mai apni biwi bacho aur ammi k sath abbo walay ghr mai re raha hu ,agr hissa dena hai tu aik ko nhi sab ko dena chhaye per hissa dene k baad mai koe ghr nhi bana skta kyunk hmara ghr mushkil say 5 marla bnta
Answer:
Marhoom k inteqal k waqt os ki jitni bhi meras ho wo marhoom k maan, baap, bivi or aulad ko milti hhay, or bhai ko behen k hisse ka dugna milta hay. walid sahab k faqat irade se walid ka makan aap ka nhi ho jaey ga.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2690 & 2692).
[Updated on 25-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haqmair ma gold dia gaya phr bivi fot ho gai kia wo gold shoher apnay kise batay ko da sakta ha
Answer:
Huq mehr ada karne k baad wo bivi ki milkiyat shumaar hoa or os k inteqal k baad os ki meras os k shohar, os ki aulad or os k maa, baap main shariat k mutabiq taqseem hoga.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2690 & 2692)
[Updated on 25-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u alykum mera sawal ye hai k walid ki fot k bad jaedad mai batwara walda k hayat hote huwe hon chaiye ya nahi
Answer:
Jee han, Walida ki zindgi men hi meeras ko taqseem kiya jaye ga. Aur Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay jab k aulad ho to or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik hissa or har bety ho dogna(double) hissa milta hay, or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren,Contact: Email: info@qoitrat.org (Ref: Aayatullah Seestani (d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah # 2694,2727,2728)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye hai k agar walid ko dada ki taraf se jaidad me hisa mil jaye. Aur walid bacho me takseem ni krta. Khud bech k khata hai tu kya bachy walid se hisa mang sakte hain?
Answer:
Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ka Baap, Maan or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ka Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: Marhoom ka chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691).
(Note: Jee nahin, Bachon ka us jaidad men koi hissa nahin hai Q ke Marhoom ki wafat ke bad jo Marhoom ki jaidad hoti hai wo jab tak marhoom ka pehla tabqa mojud ho unko milay gi, lihaza dosre tabqe (yani aulad ki aulad) ko nahin milay gi. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35th, Mafhoom e Maslah #2691).
[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم sir mera question yeh hai k recently meray sussar ka inteqal hwa hai or wo apni zindagi me apna 2 story ka makan apny 2 beton ko zubani de gai hn or dono betay us me reh b rhy hain. Is k ilawa un ka koi or maal o matah nhi tha. Ab kia ye beton per lazim hai k wo us me se apni 6 bahno ko hissa dain ya nhi. Q k wo apni zindagi me hi apny beton ko ik ik story ka malik qarar de gai hain. Kia ye makan maal e tarqa me aye ga ya tuhfa me?
Answer:
Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meraas k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mery dada ka inteqal huwa, us k bad mery chachu ka inteqal huwa, chachu ki koi oulad nai hai us ki biwi idat k bad apny ghar chali gai, jo chachu ka jahez ta ghar ka saman waghaira sara us ki biwi sath lay gai.. dada ki jo jaidad hai us ka batwara r taqseem abi tk nai huwi r chachu k naam pay kuch nai, to kia chachu ki bewa ka hissa bany ga ya nai??? Chachu k job k jo baqayajat tay sb us ki beea ko hum nay diye..
Answer:
aap is numbers per call akr k maslah poch lain aap k sawal main zarori tafsilaat maujood nahi hain. ph#021-32226948, 32237207
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mery dada k 4 bety thy.mery dada ny mery aik chachu k death k bad mery abu aur 2 chachu k nam sari jaidad lga di..to kia ab mery 4th chachu ki olaad ka is me koi hisa banta ha..
Answer:
Agar marhoom ne zindagi main hi apna tamaam maal apne baito ki milkiyat main day diya tha tu phir meras main kisi ko kuch nahi mile ga. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen Part#2, Maslah #1331, eidition 1439 ).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: WAFAT K BAD BIVI K TARKY ME SHOHAR KA KITNA HISA HOTA HY
Answer:
Agar aurat bay aulad mar ajey tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre warasaa ko milta hay. or agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre warasaa ko milta hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2727).
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alaikum sir..mera sawal hai .mery walid sb foit hochuka hai our ham 7 bhai our 2 behny hai.5 bhaio ke shadi hogaye hai our behno ke b jab ham sab sharik ty ghar..ab jaidad ke taqseem karhy hai per 2 bhaio ke shadi nahe hve hai to iskelye kya karna huga.in dono ko jaidad mai hesa ziada daingy ya nahe??
Answer:
Agar marhoom ki biwi mojud hai to maal ko is tarah taqseem kiya jaye ga k biwi ko maal ka aathwan 1/8 hissa milay ga or baqi maal ko is tarah taqseem ki jaye ga ke bhaion ko behnon se dugna(double) hissa milay ga. aur agar marhoom ki biwi mojud nahin hai to tamam ko maal bhai aur behnon men is tarah se taqseem ki jaye ga k bhaion ko behnon se dugna(double) hissa mile ga. aur is me koi farq nahin k bhaion ya behnon ki shadi hoi hai ya nahin. (Ref: Ayatllah Sistani(d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah #2694, 2728).
(Note: Misal ke taur par agar marhoom ki biwi mojud hai aur 7 baitay aur 2 baitiyan hain, aur jaidad aik lakh(100,000) hai, to biwi ko aathwan hissa (yani 12500) milne ke baad is 87500 ke 16 hissay kiye jainge, aur har behan ko 5468.75, aur har bhai ko 10937.5 diye jain ge. aur agar biwi mojud nahin hai to is aik lakh ke 16 hissay kiye jainge, aur har behan ko 6250, aur har bhai ko 12500 diye jainge.)
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar waled intqal kr jayen aur kiya walda apna jaidad ka hissa apne bachon mein se kisi ek ko agar chahey dqy sakti hai?ya shareean taqseem lazem hai? Barah e mhrbani is mamle mein rehnumai farmayen shukriya
Answer:
Meeras ko sharae taur par taqseem kiya jaye ga. Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay jab k aulad ho to or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har bety ho dogna(double) hissa milta hay, or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren, Contact: Email: info@qoitrat.org (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah #2215/2694/2728 )
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa,Mera sawal ha k Walid k intiqal k bad hmara ghr 75lacs MN bik rha ha hm 2 behn Aur 3 Bhai hn aur walida bhi hn tu hr aik ko kitna hissa milyga plz btadn
Answer:
Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, to biwi ko aathwaan (1/8) hissa mile ga aur biwi ko zameen se koe hissa nahi mile ga, lekin zameen ki jo qeemat lagai jaye gi to is men se aathwaan (1/8) hissa mile ga. or baqi meras marhoom ki 2 betiyon 3 beton men yuon taqseem ki jaigi k har beta, beti se dugna(double) hissa paye ga. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991).
[Updated on 10-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agha sahab mere nana nani ki death hogae h unke 6bache hein 2 bhene 4 bhai achaw ek bhen usmay meri amma hein toh mere mamu or khala hissa nh de rahy jub k ghar meri nani k naam pe h toh sir agar hum case karengy toh kuch ho skta h meri nani nana ki death ho chuki h 4saal phele he
Answer:
Meras main marhooma or marhoom k tamaam baito or bbaitiyo ko hissa mile ga, yani meras k 10 hiisee kiay jain gay, har baite ko 2 hiisae or baiti ko 1 hiisa mille ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2694).
[Updated on 21-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa ye 1/8 hissa Kya hota ha?
Answer:
jo bhi raqam ho usay 8 sai taqseem kar dein tu raqam jawab main aay gi wo 1/8 kehlaey gi.
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.O.A ...mein ny pochna ya hai k mery Nana Abu ni hain....or Nana Abu ny ghr wo apni wife yani Nani Ammi k name kia tha....or Nani amman zinda hain abhi...tou wo ghr Nani amaan ny apny 3 beton k name kr dia h...or unki 4 betiyan bi hain...sb married hain...tou kia unki betiyon ko koi hissa mily ga ya ni??
Answer:
Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per (nana)merhoom ne jo makan apni zindagi main hi apni biwi(nani) ki milkiyat main day diya tha tu phir makan meras main taqseem nahi hoga, isi tarah jo maal (nani) ne apni zindagi men apne baito ko de diya tha baito ka maal hoga or baitiyo ko is main se khuch nahi mile ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij).
[Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Walid k inteqal k bad inki jaidad me marhoom bety ka hissa hoga? jo in k biwi or bachun ko mile?
Answer:
Agar baita baap ki zindagi main wafaat paa jaey tu os ka meraas per koe huq nahi or jahaan tak baat hay merhoom ka baita apne dada ki meraas paey gay a nahi tu oski 2 soratain hain, agar dada k inteqaal k waqt dada k maan, baab or aulaad main se koe aik shaks bhi maujood ho tu pote ko dada ki meraas nahi mile gi or agar in afraad main se koe bhi nah ho tu pota apne dada ki meraas paey ga. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #2691).
[Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O Alikum.Mera sawal ye hai ke, mere walid sahab guzar gaye hai. Mere Maa hayat me abhe hai. Or hum 5 bhai or 2 bahan the. majuda waqt me 4 bahi or 2 sister hayat me hai. Ek bhai ka inteqaal ho chuka hai or ek bahan ke shadi ho chuki hai. ek chuti bahan ke shadi abhe nahi hue. Walid ke property ka hissa kis trah se legega.
Answer:
Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, Aap ki walida ko 8th(aathwan) hissa milay ga, us k baad jo bachay ga wo bhai, behnon mai is tarah taqseem hoga k bhaiyon ko behnon sai dughna hissa miley ga. (e.g agar marnay wala 1000 rupay chor kar gaya hai tou us ki biwi yani aap ki walida ko 125 rupay milen gay or baaki 875 ke 10 hisse kiye jayain ge, jin mai sai 87.5, 87.5 aap ki dono behnon ko or 175, 175 charon bhaiyon ko milain gay). ye bhi wazeh rahe k agar meraas main ghar bhi chora ho tu marhoom ki bivi ko ghar ki zameen se koe hissa nahi milay ga balkeh zameen k oper maujood makan se hissa milay ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2694,2728).
[Updated on 09-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aik shakhs ki sirf aik bety ho to warasat k kya ahkamat hn
Answer:
1: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hon chahe ek fard hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ka Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: Marhoom ka chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahin di jaigi. 2: Agar marhoom ka waris faqat aik fard ho to marhoom ka poora maal usi ko hi mile ga. (Ref: Ayatullah Ruhollah Khomeini, Tauzeeh ul masael, Mafhoom e Maslah # 2724,2727)
[Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-u-Alaikum, sir mery dada ki death hogai hai or un k 6 beton me se 1 ki death hogai.. to dada k ghr ka hissa un k marhoom bety ki family ko diya jaega? Ya sirf 5 hissy hongy?
Answer:
Agar baite ka inteqal apne walid ki zindagi main hoa tha tu 5 baiton main baraber baraber taqseem kar di jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #3, maslah #991).
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: beti ka apny bap ki jaedad kotna hisa hota hai or aik bewa ka apny shohar ki jaedadme kitna hisa hota hai.us ko kos tarha taqseem kia jata hai.
Answer:
Meeras ko sharae taur par taqseem kiya jaye ga. Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay agar aulad ho to, or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har betay ho dogna(double) hissa milta hay, or mazeed tafsilaat k liay ham say contact karen, (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2215/2694/2728)
[Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mare walid ke intikal ke 48 days bad mare bhai ke death ho Gaye ab wwrasat main us ke bachon ka hissa banta ha ? Agar banta ha to kitna
Answer:
Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ka Baap, Maan or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ka Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: Marhoom ka chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2691).
(Note: Jee nahin, Bachon ka us jaidad men koi hissa nahin hai Q ke Marhoom ki wafat ke bad jo Marhoom ki jaidad hoti hai wo jab tak marhoom ka pehla tabqa mojud ho unko milay gi, lihaza dosre tabqe (yani aulad ki aulad) ko nahin milay gi ).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: !اسلام وعلیکم Hounrable Sir, mari tabiyat kuch thik nahi mare parents hayat hain, meri 1 Biwi 1 beta aur aik beti hai. Ess k elawa mere 3 bhai aur 2 behne hain. Kindly, mere property kase taqseem ho gi.
Answer:
Q ke fiqhi masla ye hai ke Kisi bhi shakhs ki zindgi men meeras taqseem nahin hoti. Han aap apni jaidad(property) tuhfe(gift) ki surat men apni zindgi men hi jis ko chahen de saktay hain or kam ziyada bhi de saktay hain. aur aap ki marzi hai agar Aap kisi ko dena chahay tou de sakte hai lekin marne k baad aap k maan, baap, zoja or aulaad ko hissay diye jaaen gay, aulaad mai betiyon ko beton ki nisbat aadha hissa diya jaaye ga.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, edition #42, maslah #2691,2694).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: والدہ کے انتقال کے بعد اگر اُن کی جو زیور جو سونے اور چاندی کا ہے بیٹیاں آپس میں بانٹ لیتی ہیں اور والد کے علم میں نہیں تو یہ عمل صحیع ہے یا غلط اور والد کو اُن کی سارے زیور کا نہیں پتہ کیونکہ انھوں نے سارے زیور کا اپنے شوہر کو نہیں بتایا تھا صرف بڑی بیٹی کو پتا تھا۔ مولانا صاحب جلد رہنمائی فرمائیں
Answer:
Jee nahin balke Walida k inteqal k baad walida ki meeras(property) wagera walid, behnon main taqseem ki jaye gi or agar bhai bhi hon to un men bhi taqseem ki jaye gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2694).
(Note: Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3657/ pe ja kar maslah #2745 se mazeed meeras ke ahkamat ki maloomat dekh sakti hain ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Walda ki property.me.bachon ka hoq hota he ya nhi.
Answer:
Bilkul hota hai. Aulaad meeraas k pehlay tabqay mai hai lehaaza walida ki property sai aulaad ko un ka hissa milay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2691).
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi ki milkiyat sohar ki hoti hai ya aaulad ki
Answer:
Jee dono ki hoti hai albatta jaidad ki taqseem men farq rahe ga. Agar aurat bay aulad mar ajey tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre warasaa ko milta hay. or agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre warasaa ko milta hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2727).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya koi shakhs apni puri jaedad ek bete ko wasiyat kr skta hai??
Answer:
Jee han kar sakta hai. Wasiyat ye he k insan takeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie. Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2687,2690).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alikum sir meray nana or nani ka inteqal ho gya he un k 2 betay 1 beti thi. Ak beta or meri ami b wafat pa chukay hn. Ab kia nana ki properti kis trha taqseem ho gi jaisa k ab sirf un ka ak beta zinda he or me ak nawasa. Kia mujay property me koi hissa milay ga agr han to kitna ??
Answer:
Jab kisi ka inteqal ho or oski aulad bhi maujood or aulad ki aulad bhi maujood ho tu meras aulad main taqseem hogi or meras aulad ki aulad main taqseem nahin hogi. (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Mafhoom e Maslah # 2691).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi shakhs ki sirf betyan ho aulad me beta na ho or usky waldain b fot ho chuly hon to uski jaidad men usky bad baki rishtedaron yani bhatijon or bhanjo ka hisa lagta hy ya nahi? Ya tamam jaidad ki waris betyan hongi
Answer:
Meeras ko sharaei taur par taqseem kiya jaye ga. Insan ki mout k baad agar us ki biwi mojod ho to us ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay agar aulad ho to, or baqi jaidaad betiyon men barabar barabar taqseem ho gi, isi tarah agar biwi mojod nahin hai to tamam ki tamam jaidad betiyon men barabar barabar taqseem hogi. (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2691,2694,2728)
(Note: Marhoom ki aulaad(betiyan) hone ki soorat main bhatijon, bhanjon ko meeras nahin mile gi ).
[Updated on 12-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A Agar Kisi Ke husband ke death hojai or uske wife apni Choty Bachon ko Dada ke ghar chorkar dosry shadi karlay to uske marhoom chohar ke paison par uska kitna hisa banta hai.
Answer:
Meeras ko sharaei taur par taqseem kiya jaye ga.
Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahin milta or naa hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay,
lekin ghar ki emarat ki qeemat men hissa milta hay, or biwi ki ijazat ke baghair baqi wurasa ghar istemal nahin karsakte.
Agar biwi ki aulad bhi ho to cash, gold or doosri jaedad men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay.
Biwi ka hissa dene ke bad baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har betay ho dogna(double) hissa mile ga,
or mazeed tafsilaat k liay ham say contact karen.
(Note:Shohar ke marne ke baad zouja ke doosri shadi kar lene se bhi meeras men koi farq nahin parta.)
(Ref: Tauzeeh ul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2215/2694/2728).
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A Agar Kisi ke Husband ke Death hojai or uske Wife apni choty Bachon ko apni Dada ke ghar par chorkar wife ne dosry shadi karli to uske marhoom husband ka jo paisa aega uske job say us main uske wife ka kitna hisa hoga. wife ne dosry shadi karli hai to ab kitna hisa banega paison main or ghar main.
Answer:
Meeras ko sharaei taur par taqseem kiya jaye ga.
Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahin milta or naa hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay,
lekin ghar ki emarat ki qeemat men hissa milta hay, or biwi ki ijazat ke baghair baqi wurasa ghar istemal nahin karsakte.
Agar biwi ki aulad bhi ho to cash, gold or doosri jaedad men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay.
Biwi ka hissa dene ke bad baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har betay ho dogna(double) hissa mile ga,
or mazeed tafsilaat k liay ham say contact karen.
(Note:Shohar ke marne ke baad zouja ke doosri shadi kar lene se bhi meeras men koi farq nahin parta.)
(Ref: Tauzeeh ul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2215/2694/2728).
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar ke Marny ke bad biwi dosry shadi karly apni bachon ko dada ke ghar chorkar to biwi ka kitna hisa hoga uske marhoom shohar ke paison main
Answer:
aurat apne shohar ki wafaat k baad iddat mukammal honay k baad doosri shadi kar sakti hay. agar marne wale sohar ki aulaad ho tu maal ka (1/8) aathwa hissa biwi ko or baaqi dosere waareseen ko milta hai . ghar ki zameen ,baag , kheid or dosere zameno me se aurat ko meraas nahe milti , na zameen batour meraas hasil karti hai or na he is ki qimat or aurat ghar ki faza me qaaim chezeeo masalan emarat or darakhtu se meraas nahe pati laikin in ki qimat ki surat me meraas pati hai
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366,2728)
[Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalikum Mere husband ki death 3 saal pehle hui thi us waqt unki walida jo unki step mother hain hayaat thin abhi walid hayaat hain meri do betian hain kia mera ya mere bachon ka apne shouher ki jaedad main koi hissa ha
Answer:
Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hen. 3rd Group: Marhoom ke chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojood hon chahe ek hi fard Q nah ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahin di jaey gi. Aur aap ke marhoom(shohar) walid, aur aulad marhoom ke pehle tabqe men mojjod hain lehaza meeras unhen mile gi.
Insan ki mout k baad agar us ki biwi mojood ho aur us se aulad bhi ho to biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwae jaye to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hai. or baqi jaidaad ke 5 hisse kiye jainge jin men se aik hissa walid ko aur baqi 4 hisse betiyon men barabar barabar taqseem honge. (Ref: Tauzeehul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2691,2694,2728).
(Note: Marhoom ke walid aur aulaad(betiyan) hone ki soorat main meeras walid aur betiyon ke elawa kisi dosre rishtedaron ko nahin mile gi ).
[Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar maa apni zindagi me ak bete ke naam ghar kar de .aur maa abhi zinda ha.tu kya bete ka farz ha wo baki behno ko hissa de.ya nahi.kya wo ghuna gar tu nahi ho ga.
Answer:
Jis maal ka insaan apni zindagi me kisi dosre ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shakhs ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal Maan apne baite ko zindagi men de de deti hai wo baite ka maal hoga. Maan k inteqaal k baad jo maal Maan ki milkiyat main tha or sab baiton baitiyon main meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga.(Ref: Minhaajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #1320).
[Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Baap ne agar bete ke naam zameen lagva di to kya beti hissa le skti hai
Answer:
Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya ho or aulaad ne us maal per qabza karlia ho tu or ye qabza baap ki us bemaari me na hoa ho jis me baap ka inteqaal hoa ho wo tohfa (gift) shumaar hota hai or jis ko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meraas k ahkaam nahin ate. lehaza is maal me wareso ka koi haaq nahe hai (Ref: (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1417 hij, Mafhoom e Maslah #1320).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Walid nay 6 betoon k naam apni zindagi main zameen kar di. Aur aik bety ki zameen apni zindagi main he sale kar di. Baad main us bety ko koi zameen nahe di. To kiya wo taqseem ka case kar sakta hy
Answer:
Meeras (jo sharaei taur par taqseem howa karti hai) Insaan ki zindagi men taqseem nahin hoti. Han agar koi kisi cheez ka malik kisi ko bana deta hai to wo tuhfa (gift) kehlata hai aur tuhfay men Insaan ki marzi hai ke wo jise chahe jitna hissa day.
Agar walid sahab apni zindagi me hi 6 beton ko zameen batour e milkiyat de chuke thay ho ( or bachho ne us per qabza bhi karlia ho )to ab yeh zameen un 6 beton ki milkiyat kehlaye gi or yeh meeras k tor par taqseem nahin hogi.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition 1417 hij, mafhoom e maslah #1320).
[Updated on 08-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Walid ki death k time dada zinda tha jb k hm 2 bhai or 4 bahnain Waldia hayat hain. sawal yeh hai k mere walid ki jaydad me se mere dada ko kitna hissa gya? kuch arsy bad dada ka intiqal ho gya to wo hissa mere chachu pr puphiyun ko taqseem ho ga kia us me hamara hissa b bnta ya ni?
Answer:
1: Marhoom ki zauja (yani aap ki waalida) ko ghar ki zameen men say koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaidaad ho to sab men biwi (yani aap ki waalida) ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay wo marhoom ki biwi (aap ki waalida) ko diya jaye ga.
Aur baqi jaidaad ke 6 hisse kiye jayen ge, jin men se aik hissa aap ke dada ki milkiyat me jaye ga or baqi 5 hisse aap or aap ke bhai , behen men youn taqseem hoga ke har bhai ko behen se dugna mile ga.
2: Aap ke dada ki jaidaad aap ke chachaun or puphiyun men taqseem ho gi, is tarah se ke har phuphi ko aik hissa or har chacha ko dugna (double) hissa mile ga. or daada ki jaidaad men se aap logon ko kuch nahin mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2728,2694,2699).
[Updated on 17-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar maa apni zindagi m apny ek bety k naam ghar qanuni tor p transfer kr chuki ho or koi wasiyt bhi nahi ki ho. or unka inteqal hogya ha. to kiya us my baqi bhen ya bhai ka hisaa hoga? or jis my sy baqi bhai or bheno ny hisy sy inkar krdiya k hum sahib haisyt hain humy hisaa nahi chye likn 1 bhen lar rahi ha k usko hisa chye to kiya uska hisa h ya nahi...??
Answer:
Marhooma ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya or aulaad ne us maal per qabza kar lia ho to wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meraas k ahkaam nahin ate. lehaza is maal me wareso ka koi haaq nahe hai (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Mafhoom e Maslah #1320).
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir mera swal yea hai k ager 2 bhai aur eak behan ho aur walid foot hojaye aur total viratsat 1 cror 50 lack ho to beti k hisy kitni amount ayegi?
Answer:
Marhoom ke intiqal ke waqt us ke warison men faqat 2 bete or 1 beti ho (jesa ke aap ne kaha 2 bhai 1 behen) is tarah se ke marhoom ke intiqaal ke waqt nah to us ke maan or baap zinda hon or nah hi marhoom ki biwi, Aur meeras bhi 1 crore 50 lack ke alawa koi aur na ho to is soorat men total amount ke 5 hisse kiye jayen ge or har bete (bhai) ko 2 hisse milen ge or baqi 1 hissa beti (behen) ko mile ga. Q ke beta, beti (bhai, behen) se dugna (double) hissa pata hai. or ye masla is surat me hay ke marhoom mout ke watq marhoom ki wife bhi zinda nahe hay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2694).
[Updated on 02-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalaam o alaikum Sir mere baap ne 2 shadia ki pr 2 ghar he Pehli bv se 4 betay or 2 betiya he .. Dosri say me hu or meri 2 behnay.. Ab walid sahb ne pehla makan meri maa ke nam pe kiya ha pr dpsray me hum sub ikathy ha jo k walod sahab ke nam pe ha.. Ab walid sahab pr dono maa duniya me nahi rahy.. Dosri maa ke betay ab os ghar me b hissa mang rahy he jo ke meri maa ke nam walid sahab register lar ke gaya tha. Sadir farmaye ps makan me pehli maa k bacho ka haq banta he ya dosri maa ke yani mera haq banta ha
Answer:
Aap ki sootaili maan ki aulad jo keh rahi hay keh Sharaei masla is ke baraks (contrary) hai aur wo ye hai keh jo makan aap ke walid sahab ne apni zindagi men aap ki (apni) maan ki milkiyat main day diya tha wo makan aap ki (apni) maan ki milkiyat men aa chuka tha, us men aap ki sotaoli maan ki aulad ko kuch nahin mile ga,
Albatta jo makan aap ke walid sahb ki miliyat men tha aur aap ke walid sahb ke intiqal ke waqt aap ki (apni) maan aur aap ki sotaili maan bhi hayat theen to is soorat men us doosre makan ko bhi sharaei taur par taqseem kiya jaye ga.
Is tarah se ke makan men se aathwan (1/8) hissa aap ki (apni) maan aur aap ki sotaili maan men barabar barabar taqseem kiya jaye ga laikin zameen se hissa nahi milay ga. Aur agar aap k walid ki walidain zindaha nahi thay tu makan ka baaqi hissa aap ke walid sahb ki tamam (yani pehli biwi aur doosri biwi ki) aulad ko mile ga aur isi tarah se taqseem kiya jaye ga ke har betay (male) ko har beti (female) se dugna (double) hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2694,2727).
(Note: Aap ka maslah mazeed tafseel talab hai lihaaza is ke liye aap is aik link provide kar rahe hain aap use visit karen.
Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3657/ , Meeras ke Ahkam, maslah #2745).
[Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nani ko aik property gift mili thi un k mamo ki tarf sy ab na nani zinda hain na nana...6 bachy hain un k jin main aik beta or 5 betian or un main sy b beta or 2 betian foot ho gae hain to kya jo beta or betian fot hui un k bachon ko hisa mily ga?
Answer:
agar naani ki zindaghe me he naana ornaani ke khuch beto or bitiyo ka inteqaal hogaya ho tu naani ki meraas naani ki faqat us aulaad ko mile ghe jo naani ke inteqaal ke waqt zinda ho or kyu ke naani ke inteqaal ke waqt naani ki khuch aulaad zinda hay is ile naani ki aulaad ki aulaad yaani nawase or nawwaseyo ko meraas nahe mile ghe or, faqat jo abhi 3 betiyan maujood hain un men barabar taqseem ho gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2691).
[Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar bewi la intaqL ho jaye or buchey na hon to us k paison m mian ka kitna hissa hota h
Answer:
Agar Biwi "bay aulad" mar jaye tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre wurasa ko milta hay. or agar Biwi ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre wurasaa ko milta hay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2727).
[Updated on 13-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamunalikum Mera sawal yeh hai k agar walid marhoom ne zindagi mai dada ke property bhej ke dusri property khareedi aur walida ke naam registree karwai(biwi ke naam rakhne ke wajah yeh the k walid marhoom bht sedhe the aur log unko behkate the).Ab walida ek beti ko keh rhe hai k yeh mera hai aur maine tumko azal(bedakhal) keya hai.Walid marhoom ke do bache pehle biwi se b hai unko b hissa dene se inkaar keya hai. Meharbani karke roshni dalein k kya walida aisa kar sakhte hai.
Answer:
Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal walid apne baito ko zindagi men de dedeta hai wo baito ka maal hoga.Baap k inteqaal k baad jo maal Baap ki milkiyat main tha or sab baito baitiyo or biwi main meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij).
[Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA. Mera sawaal hai k shiraakat k ghar mein jo daada ka tha us mein shaadi shuda behnon ka hisa hota hai?
Answer:
Agar marhoom ke maan, baap ya aulad (bete, betiyon) men se koi aik bhi fard mojood ho to is soorat men pote ya potiyon ko dada ki meraas nahin milti, Lekin agar marhoom ke maan, baap ya aulad men se koi aik bhi fard mojood na ho to is soorat men pote ya potiyon ko apne maan, baap ki meeras mile gi.or mah or baap ki meraas un ki aulaad ( beta or betiyo ) ko milti hay chaie wo shadi shuda ho ya na ho
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2691,2702).
[Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main zindagi me do biwion ke bachon me miras taqseem karna chahta ho tariqa batye plz
Answer:
Meeras (jo sharaei taur par taqseem howa karti hai) Insaan ki zindagi men taqseem nahin hoti. Han agar koi kisi cheez ka malik kisi ko bana deta hai to wo tuhfa(gift) kehlata hai aur tuhfay men Insaan ki marzi hai ke wo jise chahe jitna hissa day.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, mafhoom e maslah #1320).
[Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Marhooma ki property me bachon or shohar ka haq
Answer:
Agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah hissa doosre wurasaa ko milta hay. Agar marhooma k maan or baap zinda nah hon to baaqi maandah hissa bachon men taqseem hoga wo is tarah se ke har bete ko 2 hisse aur har beti ko 1 hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2727).
[Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bhen ka baap ke Saman mein hissa Kitna hoga
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Agar aap ka sawal meeras ki taqseem ke hawale hai to is men ye hota hai ke
agar kisi shakhs ki wafat ho jaye aur us ke waris faqat aik beta aur aik beti ho to meeras ke 3 hisse kiye jayen ge jin men 2 hisse bete ko aur 1 hissa bete ko mile ga. yani bete ko beti se dugna(double) hissa mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2690,2693,2694).
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-o-Alaikum... Sir, hum teen behneyn heynn aur hamaara bhaii nahi hey. To mera sawaal ye hey k Merey waalid ki bimaari mey unhou ney zameen (dukaan) meri ammi k naam kar di thi. Aur ab meri waalida saahiba hum teenou behnou ko ye kehti rehti heynn k ye sab jaidaadeyn aap k waalid ki heeyn to ye aap ki hi huii. Leykin ab mey ye kehna chaahti hu k kia aesa ho sakta hey k hum un se kaaghazaati kaarwaii kiye bagheyr ye jaaidaad apney naam kar leynn. Ye sirf apni waalida k hum adab mey karna chaahitey heynn k un ko bura na lagey. Q key un sey jab kisi kaaghzaat ka kaha jaaye to un ka dil khafa houta hey k matlab kia ab mey jaaney waali hu. To mey sirf ye puuchna chaahti hu k aesa koi tareeqa ho jis se wo khafa bhi na hou aur un ki khwaahish bhi puuri ho sakey.
Answer:
wsalam.
agar walid sahab apni zindagi mai hi aap ki walida ko batour e milkiyat de chuke thy tou ab yeh dukaan walida ki milkiyat kehlaye gi or yeh meeras k tor par taqseem nahi hogi ab walida ki apni marzi hai k wo jese chahein is mai tasarruf karein chahein tou baich dain kar dein kisi ko tohfa de dein apni betion ko de dein..waghaira waghaira or in maamlaat mai kaaghzaat ki zaroorat nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1439 hij).
[Updated on 27-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O alikum Meray walid ki wafat ho chuki hai. Unki 2 biwiyan hai, pehli ka انتقال ho chuka hai, jin say 2 bachy thay, ab sirf 1 bacha reh gaya hai. Dosri biwi say 5 bachay hain or biwi bhi hayat hai. Jaidad ki taqseem kis tarah ho gi?
Answer:
1. Biwi ko jaaidad ka 1/8 milay ga lekin ghar ki zameen sai biwi ko hissa nahi milta han jo cheezein ghar mai moujood hain ya bank balance ya doosri maaliyat mai sai 1/8 hi milay ga.
2. Aulaad mai baiton ko betiyon ki nisbat dugna hissa milay ga.
Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2694,2727).
[Updated on 20-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Alekum Mera Naam Mohammad Hai Mere Walid Ko Property mere dada Se Mili Thi To Mere Walid Ne Apni Sari Property Meri Sister Ke Naam kar di or Mere Walid ka Inteqal ho gaya hai To kya Ab Sari Property par meri sister ka Haq hai Mera kuch Haq Nahi hain Plz Is Masle Ko Bata Dijiye...
Answer:
Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meraas k ahkaam nahin ate. (Ref: Minhaaj us Saliheen Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition 1417 hijri, Mafhoom e Maslah #1320).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Chachu ki death ho chuki h or un ki biwi ny dosri shadi kr li h or ab dada Abu ki death ho gai h per aunhy ny abi Kasi KY Nam zameen ni lagai to Kya chachu ki bati ko hisa mily ga ya ni
Answer:
Agar marhoom ki aulad nah ho tu os k baite ki aulad chahay baiti hi Q nah ho, marhoom k baitay ka hissa paati hay or baiti ki aulad chahay baita hi Q nah ho marhoom ki baiti hissa paati hay..(Ref: tauzihul masalel, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah # 2701, edition#44).
[Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Note: Bayan karda masle k mutabiq marhoom ki poti ko meras milay gi.
Question: Biwi ky naam ghar ho aur biwi ka inteqal hojye tou shohar ka hissa aur (1) beta aur (2) betiyon ka kitna hissa hoga
Answer:
Agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah hissa doosre wurasaa ko milta hay. Agar marhooma k maan or baap zzzinda nah hoon tu maal k 4 hisse kiay jain gay or 2 hissay marhooma k baite ko or 1 hissa 1 baiti ko or doosra 1 hissa doosri baiti ko diya jaey ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2727).
[Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]