Showing 150- 200 questions from 342 questions on this page.
Question: Ghusal haiz kiye Bina juma jaiz hai?? Agr periods off hon tw
Answer:
Ghusl e haiz kiay baghair jima(Intercourse) jaiz hay laikin ehtiyat e lazim ye hay k jima(intercourse) sharamgaah dhoone k baad kia jaey or ehtiyaat e mustahb ye hay k aurat k ghusl e haiz karne se pehle mard os se jima nah kare. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#457).
[Updated on 28-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can we make Nazar meal during the period?
Answer:
yes you can,there is no problem in it.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448)
[Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia haiz ki halat m nazar ka khana pka skte hai
Answer:
jee pakaa sakte hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam -o-Alaikum Question: kia halat e haiz mai masoomeen k nazar ka bnana ya pkana sahi hy ya nahi ?
Answer:
wsalam. Jee banai jaa sakti hai haram nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: peroid k doran bv ko galay lagna kiss krna usk upr letna usk sath sona kiya jaiz hai?
Answer: Agar bivi haiz ki halat main ho tub hi ye pochaey gaey tamaam kaam jaiz hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448). (Update on dated 20-04-19). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mera sawal ye hai k agar koi saman maine nijasat me chhua hai maslan maine haiz k waqt ek shakkar (sugar) ke dibbe se shakkar li to kya wo sugar najis ho gai h us sugar ka istemal hum nazar dilane me istemal nhi kr sakte please jawab den shukriya
Answer: Halat haiz main aurat ka tamaam badan nijis nahi ho jata, sirif khoon e haiz najis hay. lehaza cheni paak hay or os cheeni ko niyaz main istemaal kar sakte hain.((Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448,467). Update on dated 20-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asslamualikum sir mujhe pata krna hai ke periods ke ktne din baad intercourse krna chaheyah jis se hamal tharjaye....
Answer: Haiz khatam hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #457). Update on dated 12-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Can we recite darood e pak during periods
Answer:
Yes you can.(Ref:Tauzeeh ul masai ayatullah seestani edition 41 maslah no 448)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Periods ki namazen kafi hoti hain ya qaza parhni hoti hain?
Answer:
Periods k doraan jo namazein aurat ne nahi parhi un ki qaza nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 459).
[Updated on 09-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Periods k bad Bina gusal k Kia hambustri ki ja skti hy ya nai agr nai to iska kafara kia hy
Answer: Haiz khatam hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #457). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam o alikum mera sawal ye hai k kia Haiz ki halat me aurat Alam pak ir dosari ziyarat kr skti hai,
Answer:
Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448). Update on dated 06-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salamun alaikum, Janab arz hai ki khwateen periods (Haiz) ke dinon me kisi bhi tarah ka nazr ya tabarruk paka sakti hain ki nahi, aur us nazr ke saman ko kha sakti hain ki nahi?.
Answer:
Ye sab kaam haiz wali aurat kar saktri hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448). Update on dated 19-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamualaikum Agr pata na hu haz ka or humbistri hu jy tw ?
Answer: Is sorat main koe gunah nahi hoga. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#229) Update on dated 11-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam. If a woman saw her periods on 15th of month (thats her actual date) after that he took a bath on 21st. Now after 8 days she again on 28th saw blood at night and it goes continued. What kind of blood is this Istihaza or haiz? اگر کوئی عورت جس Ú©ÛŒ تاریخ Ù…Ûینے Ú©ÛŒ Ù¾Ù†Ø¯Ø±Û ÛÛ’ØŒ ÙˆÛ Ù¾Ù†Ø¯Ø±Û ØªØ§Ø±ÛŒØ® Ú©Ùˆ خون دیکھتی ÛÛ’ اور 7 دن بعد Ùارغ ÛÙˆ کر Ù†Ûا لیتی ÛÛ’ اور پھر 28 تاریخ Ú©ÛŒ راتکو Ø¯ÙˆØ¨Ø§Ø±Û Ø®ÙˆÙ† دیکھتی یے تو اس Ú©Û’ لئے کیا ØÚ©Ù… ÛÛ’ØŸ ÛŒÛ Øیض ÛÛ’ یا استØاضÛØŸ
Answer:
khoon e haiz 10 din se oper nahi aata or aik khoon e haiz ka silsila khatam hone k baad doosra haiz ane main ka az kam 10 din ka waqfa lazmi hay, lehaza 28 tareekh ko aane wala khoon haiz nahi, balkeh istehaza shumaar hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #438,493). Update on dated 30-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 30-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Period ay ko 10 din Ho gy h Hat Ni rahy
Answer:
Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur. agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai , mutawassita hai ya phir kaseera hai. istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho, istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare, istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain, istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 438,390,391,392,393,394).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya periods k doraan harram jaa skty hn,jb keh periods b khul k ni ho rhy .Or kya harram k syhn mn b ni ja skty. yahan haram ka mtlb makkah khana kaba k syhn hy.?
Answer:
doran e haiz, Masjid ul haraam aur masjid e nabawi s.a me jana haram hai khuwah ek darwazy se ja ke dosry darwazy se nikal aye, aur isi tarah in masjidon me thernay ka bhi yahi hukum hai.
(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no # 448,354).
[Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam walyqum mujy ye pocha hai k agr haiz 5 din aty hain or 6 day pak hokr humbistri krskty hain ya nae ? Iska koi gunah toh nae ?
Answer:
Jee han, haiz ke khatam hone ke baad humbistri karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 42 edition, maslah #449)
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum haiz ke 6th day ki magrib bad kya hum ghusl krke namaz ada kar skte hai
Answer:
agar haiz ka khun ana ruk gaya hai to phir ap ghusal kar ke namaz parh sakti hain. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 448,(Wajib Ghusal) Mafhoom e Masla ).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 7 din se zayada Marwari ho to kya hota ha
Answer:
haiz ki muddat teen din se kam aur das din se ziada nahi hoti. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, edition 41, Masla no #438)
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr haiz 10 12 din tk rhy or us k bd pury din ma ayk br spot lgy to asi halat ma hr namz k liya alg alg ghusal krna ho ga
Answer:
Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti.
agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur.
agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai , mutawassita hai ya phir kaseera hai.
istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho,
istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare,
istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain,
istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye,
istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ahtiyat e mustahab ki bina par royi ko dhole ya usay tabdeel kar de aur zaroori hai keh sharamgah ke zahiry hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho le,
istehaza mutawassita mein ahtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liay rozana aik ghusal kare , yeh bhi zaroori hai keh istehaza qaleela ke woh afaal anjaam de jo sabiqa masaley men bayan ho chukay hain,
istehaza kaseera mein ahtiyat e wajib ki bina par zaroori hai keh aurat har namaz ke liay royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusal fajar ki namaz ke liay aur aik ghusal zuhar wa asar ki aur aik ghusal maghrib wa isha ki namaz ke liay zaroori hai.
( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail,
masla no 438,390,391,392,393,394).
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz k halat me kya sabke sath baithkr wazoo bnake wazifa padh skte hai
Answer:
Jee, wuzu kar k wazifa parh sakte hain laikin quran k wajib sajdo wali koe ayat nah perhi jaey.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 448).
[Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: haiz k akhri din me humbistri k nuksan kya hain?
Answer:
Haiz ke doran Aurat ki faraj me jima (humbistri) karna mard aur aurat donon ke liay haram hai, khuwah dukhool sirf sipari ki hadh tak ki ho aur mani bhi kharij na hui ho balkeh ahtiyat e wajib yeh hai keh sipari se kam miqdar me bhi dukhool na kiya jaye , albattah yeh hukum aurat se dubur me mujameat ke liay nahi lekin dubur me mujameat aurat ke razi na hone ki surat me ahtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai chahe woh haiz ki halat me ho ya na ho. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 448 ).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya haiz k doran wife ki fingering kr skty ha agr nhi to is ka kya kafara ho ga???
Answer:
Jaiz hay or koi kafara nahi hay. (Ref: Ayatullah e Sistani d b masahil e muntakahba ahkam e haiz mafhoom e masla # 70,71,72)
[Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalaikum !!! Mje pochna ha k 40 din ki hadh d gae ha zeer-e-naaf or underarms k baal ki sfai k liye to agr periods k bd 40 din pory ni hoye hon to kia bgr baal utary hm nmaz parh skty hn??
Answer:
1) Haiz khatam hone k baad sirif ghuls e haiz kerne se aurat paak ho jati hay. Paak hone ka sharamgaah k baal kaatne se koe ta,alluq nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456)
2) Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23)
(Note: namaz parh sakte hen)
[Updated on 19-Dec-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hamal tharny k bad mahwar aa jy phr b orat maa ban sakti ha k ni
Answer:
Jee han ban sakti he (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 41 edition mafhoom e ,maslah # 435)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr 3din tk haiz aaey phr na aaey aur nha Len aur shohar qarreb aajaey phr 6ya 7 din Thora sa blood aaey tu kya pak nai hoey thy aur hr maheeny aesa hota ho tu Kya krna chaheye
Answer:
Agar kisi aurat ko teen din mutawatir khoon aata rahe phir wo paak ho jaey. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe tu jin dino main wo khoon dekhe or jin dino main wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das din se ziyada nah ho tu jin dino main wo khoon dekhe wo haiz k din hain laikin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki k dino main wo in tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day or jo haaiz par haram hain, onhain tark kar day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#442).
[Updated on 08-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aurat haiz ki haalat mein nayaaz pakaa sakti hai ?
Answer:
Halat e haiz main niyaz pakai jaa sakti hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #354)
[Updated on 13-Dec-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alikum Mera sawal ye ha k kia haiz ki halat me wazu kia ja skta ha Jezy agr koi tasbih parhni hoto usky liye wazu krna ho to kr skty hn haiz ki halat me?
Answer:
haiz ki halat mai un ibadaton k ada karnay mai koi haraj nahi jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi jaisay namaz e mayyat wagira. Is k alawa Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua, tasbeeh aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-66)
[Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Qibla sawal ye hai k kia ourat halat e haiz ma tasbeeh hath ma le kar parh sakti hai? Jawab zror dijye ga plz
Answer:
Haiz ki halat mai un ibadaton k ada karnay mai koi haraj nahi jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi jaisay namaz e mayyat wagira. Is k alawa Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua, tasbeeh aur silawat mai mashgool ho jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-66)
(Note: Jee han aurat halat e haiz me tasbeeh hath me le kar parh sakti hai.)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a...kya haiz e ghusal se pehly hair remove kr skti hn?
Answer:
1) Haiz khatam hone k baad sirif ghuls e haiz kerne se aurat paak ho jati hay. Paak hone ka sharamgaah k baal kaatne se koe ta,alluq nahi. (Yani hair remove kie jasakte hain )(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456)
2) Riwayat k mutabiq puray badan par noora (Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23)
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it necessary that only pak people can have the sweet rotis in the niaz of 22 rajab
Answer:
halat haiz ya nifaas ya halat janabat me nazaro niyaaz khana haram nahe hai (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235-322).
[Updated on 13-Dec-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia urat napaki k dinon mn apny jism sy ball saff kar sakti hay? hum nay suna tha k napaki mn ball nai utar skty.
Answer:
jee is mai koi harj nahi ye haaiz k liye ye kaam haraam nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 456).
[Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hello sir , mera Haiz 10 din se chal raha hai lekin sahi tarikese nhi muze majboori hai to kya me namaj padh sakti hu ? Me padhna chahti hu ?
Answer:
1) Halat e haiz main namaz or os jaisi digar ibadatain jinhain wuzu, ghusl ya tayammum k sath ada kerna zarori hay, agar is niyat se anjam day k sahi amal anjam day rahi hoon, jaiz nahi hay. or haiz ke bare me mazeed maloomaat ke lie kitab tuiziul masail aqa sistani ki traf ruju kare (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456)
2) jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459)
[Updated on 13-Dec-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir agr meri bivi k periods k days hen to un days me kya numaz prhna jaiz he.?
Answer:
Aurat par haiz ki halat mai namaz aur is jaisi doosri ibadatain jinhain wazoo ya ghusl ta tayammum sai anjam dia jata hai haram ho jati hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)
[Updated on 29-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haizka ghusal thursday ko kr sakty hain?
Answer:
Haiz khatam hone ke bad namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal e haiz wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 456)
(Note: Jee han, jab khoon khatam ho jaey ghusl kar k namaz ka waqt baqi hone ki sorat main namaz ko baja lana chahhiay)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asaalam o alikum meri aik dost hai jo haiz ki halat ma namaz ada krti hai mtlb namz ni prhti but usky bap bhai ko pta na lgy is lia jamat jo usky ghr ma ada hoti hai usky sath wasy wssy action krti hai k wo namz orh rhi hai or wo yeh bhi khati hai k bap ko pta lgna k hum haiz sy hai behuda bt hai k bap ko pta lgy kya waqai humry bap k samny namz prhni chiya haiz ma?
Answer:
Aurat par haiz ki halat mai namaz aur is jaisi doosri ibadatain jinhain wazoo ya ghusl ta tayammum sai anjam dia jata hai haram ho jati hai..(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat Haiz ki halat me ilme deen hasil karsakti hai
Answer:
Jee han ilme deen hasil kar sakti hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)
[Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia dua e jushan e sagheer periods ki halat m parhi ja skti hai?
Answer:
jee periods ki haalat mai dua e joshan e sagheer perhi jaa sakti hai lekin apne badan ka koi hissa allah k naam sai muss karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr wife ko periods aye jayen or 5wein din periods khatam ho jayen. Tou Wife bina Nahaye Shohar se Humbistri kr sakti ha kya?
Answer:
Haiz khatam hone k baad gusl kiye bagair hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #457).
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam Alikum , Kia Halat e Nejaasat ( Halat-e-Haaz)main Hair color ka use karsakty hain ? Ya Ghusal kay bad use karna hoga ?
Answer:
Halat e haiz main mehendi ya os jaisi kisi or cheez se khizab kerna grooh e fuqaha k qaul k mutabiq makhrooh hay. Update on dated 21-03-17. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #467)
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walaikum Mera sawal hai agar haiz 5 din me khatam ho jaye to gusl kar k namaz jayaz ho sakti hai
Answer:
Jee han gusl kar ke namaz parh ja sakti hai, Q ke haiz ki muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, edition 41, Masla #438)
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam un Alaykum!! Ya Aliع Madad❤ Mera sawal ye h Kya haiz k dino me zakiri kr skte hain? Plz isko refrence k sth hmy jawab de dyn.
Answer:
Jaiz hai, kar sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #354)
[Updated on 22-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hamila awrat ko bleeding k dots dekhe to us pe koun sa gusl wajib hai
Answer:
Agar is khoon e haiz ki sharait maujood hain tu haiz k ahkam per amal kia jaey, Q keh hamila ko khoon e haiz aana mumkin hay. (Ref: tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#435).
[Updated on 19-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia haiz ki halat main qabaristan ja saktay Hain
Answer:
Haiz ki halat main qabaristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamo (a.s) ke Haram main therna – ehtiyaat e wajib ke etibaar se – jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 39th, maslah #354,448)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz sy 2 din pehly dark discharge hona kia haiz mai shamil hai Shukriya
Answer:
Jee nahin, ye haiz men shamil nahin hai. Q keh Haiz ke khoon ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahen hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahe hoga. Aur Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lagataar aae lehaza agar misaal k tour per kisi aurat ko 2 din khoon aae phir 1 din na aae aur phir 1 din aajaae to wo haiz nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438,439)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya haiz ya hadas ki halat main surae alaq ya es ki phale 5 ayat parh sakte hain.kya in ayat main sajda wajib ha or es ka taweez gale main periods ki halat main daal sakte hain ya utar dain
Answer:
Halat e nijasat main quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haram hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fusselat (ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najm surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat). In ke elawa baqi quran ki ayaat ka perhna jaiz hay. Laikin quran ke alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition 39th, maslah #354,448).
(Note: Surah Alaq ki ayat # 19 (yani last ayat) ka parhna haram is ke elawa baqi pura surah parhrna jaiz hai. aur surah alaq ko taweez ke taor par pehenna bhi jaiz hai)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nijasat ke halat me paani ki tank dho skte h
Answer:
Jee han, Dho saktay hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 119).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum mujy haiz ki halat mai aj 9th day tha mai ny ghusl kiya tou usky bd mjy mehsoos hua k mujy dubara agya hai ab mai daswy roz paak hojaun or agr 11day mjy dubara mehsoos hojy tw wo khoon najis hoga?
Answer:
Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur. agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai , mutawassita hai ya phir kaseera hai. istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho, istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare, istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain, istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye, istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ahtiyat e mustahab ki bina par royi ko dhole ya usay tabdeel kar de aur zaroori hai keh sharamgah ke zahiry hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho le, istehaza mutawassita mein ahtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liay rozana aik ghusal kare , yeh bhi zaroori hai keh istehaza qaleela ke woh afaal anjaam de jo sabiqa masaley men bayan ho chukay hain, istehaza kaseera mein ahtiyat e wajib ki bina par zaroori hai keh aurat har namaz ke liay royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusal fajar ki namaz ke liay aur aik ghusal zuhar wa asar ki aur aik ghusal maghrib wa isha ki namaz ke liay zaroori hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 438,390,391,392,393,394).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum mujy haiz k 10 din mukammal hochuky hain ab agr 11day mjy dubara mehsoos hojy tou kya phr mai alam ki ziarat wagira kr sakti hun??
Answer:
Sab se pehli baat to ye ke Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. lihaz aap haiz wali aurat nahin kehlaigi. aur dosri baat ye ke agar farz karen ke aap haiz wali aurat hain to phir bhi haiz ki halat men alam ki ziarat karna jaiz hai haram nahin hai aur na hi makooh hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani edition 41st, maslah no 438,354,355,448).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa start main mahwari kuch drops ati hay phir 3 ya 4 din nahi hoti phir sahi start hoti hay to kiya start walay say mahwari hogaye ya ghusal zarori hay
Answer:
1: Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahe hote aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438).
2: Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lgataar aahe lehaza agar misaal k tour per kise aurat ko 2 din khoon aahe phir 1 din na aahe aur phir 1 din aajaahe to wo haiz nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 439)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]