Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Haiz (342 Questions)


Showing 200- 250 questions from 342 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
111556
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-19

Question: Aslamualikum. Mera swal yeh hai k mery normal periods shuru say 7 din tk hoty hen per pichly almost do sal say 10 din hogye hen Fibroids ki wajah say ab Mai namaz 7 din bad parhon ya das din bad uljhan rehty hai is bat ki please guide me jazak Allah khair

Answer: Haiz ki Muddat (time period) kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai. (Note: Is hisab agar aap daswain (10) din haiz se pak ho rahi hain to daswain (10) din namaz aur is jesi ibadaton ko anjam daine ke liye gusl e haiz karen).(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani edition 41st, maslah # 438,354,355,448).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111664
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-11-30

Question: Asalamualikum, i wanted to ask that I met my husbnd and when we met unfortunately i was having my periods. we tried to control a lot but just got carried away with the emotion and had sexual intercourse. I know its not allowed in Islam and we both regret doing it. After this i know its haram but i m not sure about this period this night and next day i m sure its periods I wana know what is the kafara for it and is it allowed having sexual intercourse during periods under ANY CIRCUMSTANCES? And my husband is also salary person. V jst forget about it. Thanks waiting to get reply from you soon...........

Answer: 1: Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or biwi dono k liay haram hay. aur dono gunahgar hain.
2: In dino men bhi jimma karana haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke anpe aap ko haaiz qarar day.
3: Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zaruri he ke Istigfar karay, lekin kaffara dena wajib nahin hai. agarche behtar hai ke kaffara bhi day.
4: Haiz ki halat men Jima(intercourse) k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b), Tauzeehul masail, edition 39th, maslah # 448,449,450,451).
5: Peechay k Maqaam say Jima karna Biwi ke raazi hone ke sath Jaiz hay magar ye shadeed makrooh hay. aur Agar Biwi raazi na ho to ye ehtiyaat e wajib ki bina per Jaiz nahi hay.Ref: Minhaaj us Saliheen(Ibadaat) (A.Sistani) Masala 228.
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
111667
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Asslam Alaikum Mujhay har month kay bad haiz ata hay or wo bhi 7 days hi chalta hay bas is dafa month puray honay say 7 din pehlai hi agai menses iski waja hay or kya iska koi nuqsaaan to nahi hay meherbani karkay rehenmaai farmaai

Answer: Agar kisi aurat ko umoman mahinay main 1 baar menses aatay hon laikin kisi mahinay main 2 martabah khoon ajaae tu agar darmiyaan k jin days main usay khoon nahi aaya on dino ki tadaad 10 say kam nah ho tu usay chahiay k dono khoon ko haiz(menses) samjhay chahay on main say kisi 1 main haiz ki alamaat mojood nah hoon.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition 39th, maslah #493)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111680
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: aslam o alikum iam newly married last week my wife periods start very next day so question is that how much i wait

Answer: 1: Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho ya 10 din se ziyada ho to haiz nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438). 2: Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lgataar aaye lehaza agar misaal k tour per kisi aurat ko 2 din khoon aaye phir 1 din na aahe aur phir 1 din aajaahe to wo haiz nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 439)
(Note: Is silsile me auraton ke ayam mukhtalif hote hain, kisi aurat ko 3 din haiz ata hai aur kisi ko 5 din kisi ko 4 din kisi ko 7 din, lekin haiz 3 din se km nahin hoga ya 10 din se ziyada nahin hoga. aur jitne din kisi ko haiz ka khoon aaye utne din hambistri karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai.)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111799
Mujtahid:
hanafi Date: 2021-12-17

Question: assalamualaikum ager aurat ko 7 din haiz aane ki aadat he uske mutabık wo 7 din baad paak hogai q ke uska khoon band hogaya or uske baad shoher se ham bistari ki aur uske baad knoon aaya ab is khoon ko konsa khoon samje or hambistari karne ki wajah se kiya gunahgaar hoge ya nahi ?

Answer: Agar aurat ko yaqeen tha wo haizz se paak ho chukhi hay tu os k liay apne shohar se hambistari karna jaiz hay. hambistari k baad jo khoon aay wo sabit ho ajey keh khoon haiz hay tu haiz k wazife per amal kare laikin hambistari ki wajah se gunahgaar nahi hogi.(Ref; Tauzihul masael jaame jild #1, maslah#493, 495)
[Updated on 17-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111813
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-11-29

Question: AOA, Mufti sb! Kia Haiz ky halat main biwi sy sex karna thek hai ya nh ? Or agar thek na ho or haiz ky halat main sex kar liya jaye tou koi kafarah dena hota hai ? Or agar kafarah dena ho tou kia hoga woh ?

Answer: Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or biwi dono k liay haram hay. Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zaruri he ke Istigfar karay, lekin kaffara dena wajib nahin he. Agar koi shaks aurat k haiz ki halat mai jima(intercourse) karay tou haram hai aur ghunahgar hai laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 450,451).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111828
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Agr periods irregular ho rahe ho or gusl na le paaye iski vajah se to kya jb flow ruk jaye to taimoom se namaaz ho sakti hai??

Answer: Aurat k lye halat haiz me namaz perhna aur roza rakhna haram hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)
Aurat ko jab haiz ka khoon ruk jae tab namaz aur is jaisi ibadat k lie os par ghusl e haiz wajib ho jata hai chahae 3 din bad rukay ya 7 din bad. Ghusl e haiz ka tareeqa : Ghusl me ehtiyat e lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoya jae aur os k baad left side sai dhoya jae. ghusl e haiz ki niyat k waqt niyat krain k wajib ghusl kar rahi hon bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl krain to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl e haiz krti hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 456, 360)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111911
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-08

Question: Kia aurat apny khas ayam me mobile app me quran parh sktii h?

Answer: Jin 4 aayat k parhne sai sajdah wajib ho jaata hai un ka parhna haraam hai baaki quraan parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111936
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-11

Question: 3 months continue periods doctor ko check karayea yo unho ne kaha band hone lague h par is halat mein namaz par sakte h bot confuese h plz keya kare?

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din or ziyada se ziyada 10 din hai, ager aurat 10 din ke baad koon dekhe to us ke liye zarori hai ke istihaza wali aurat ke ehkaam per amal kare, Q ke ye 10 din ke baad wala koon koon e haiz(periods) nahi hai balke koon e istihaza hai, - or wasail u shia main hai, jis ka mafhoom ye hai ke ager aurat koon e istihaza se nijaat chahti hai to us ko istihaza ke ehkaam per amal karna chahiye - Koon e istihaza ke ehkaam : pehle aurat tehqeeq kare ke wo qalelah hai ya mutawassitah ya kaseerah hai. Pas ager khoon sirf roi ( jis ko aurat apni sharam gaah per rakhti hai) ke uper wale hisse ko aaloda kare or ander saraiyat na kare to ye khoon istihaaza e qalela hai or aurat ke liye wajib hai ke her namaaz ke liye alehda wazoo kare, or ager namaaz se pehle sharam gaah ke zahiri hisse per khoon laga ho to us ko paak karna wajib hai. Or ager roi ke ander tak saraiyat kar jaae lekin us karpre tak na ponhche jo orat khoon ko rokne ke liye roi ke uper rakhti hai to ye khoon khoon e istihaza e mutawassita hai, or ehtiyaat e lazim ki bin per zarori hai ke her din namazon ke liye 1 gusal kare or her namaaz ke liye wazoo kare or namaaz se pehle jisam per khoon lage hone ki sorat main us ko paak bhi kare. Or ager koon roi se tajawuz kar ke us kapre tak ponhach jaae to ye koon istihazaa e kaseera kehlata hai, or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai ke her namaaz ke leye roi or kapra dhoe ya tabdeel kare or ager zuhar o asar or magrib o isha ko ik sath phar rahi ho to fajar ke liye 1 gusal or zuhar o asar ke liye 1 gusal, or magrib o isha ke liye 1 gusal kare, or ager alag alag phar rahi ho to panchoon (5) namazon main se har aik ke liye alag alag gusal kare, or gusal ke baad namaaz ke liye wazoo ki zarorat nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 39, maslah # 390 to 394, 438)
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111939
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-12

Question: AOA, mari k dost k wife ka haiz k khoon band huwa par gussal nahi kiya tha aur mari dost ne jamma kiya, to ye tek kiya ya gunnah huwa hain

Answer: Haiz se pak hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke is ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. Halat e haiz mai jima karna mard aur aurat dono k lie haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 448,451,457)
[Updated on 12-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111953
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-19

Question: Assalam.o.alaikum ager kisi aurat ko 5 din periods aye or phir wo gusal ker k namaz parhle or usy mehsoos na ho k usy phir haiz aya h or wo 2 din mustakil namaz or quran parhe to kia wo gunehgar hai??ya galat fehmi ki waja se begunah?

Answer: Haiz se pak hone ke bad namaaz or is jesi ibadaton ke liye gusal e haiz wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 456) (Note: Agar kisi aurat ke haiz ki adat hi 5 din hai, to jab khoon se pak ho jaey ghusl kar k namaz aur is jesi ibadaton ko baja lana wajib ho jata hai ).
[Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112132
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: I have heard from a religious scholar about an amal which we have to do for forty days that includes 6 rakat nafal as well and we have to do continously for 40 days but for a women it is not possible to do so due to periods in this case how can we complete our amal or what are the teachings of Islam related to this

Answer: Agar wazife se mutaalliq cheezain, haiz per haraam cheezon main se na ho to 40 din ka wazifa kar sakti hai, matlab k agr aap k wazife ka amal aysa hai jis men wo kaam anjam dene parte hen jo k haiz k dinon men jaiz nahi hen to to phir wazifa anjam nahin de sakti. jese ke agar wazeefa kisi namaz par mushtamil hai to chonke namaz haiz k dinon men jaiz nahi hai is liye wazifa jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 448
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112222
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: sura hashar ka wazifa hai jo imam jaffir sadiq a.s na btiya hai ko vo 40 din tk bagher nagha pherni hai lkin urtoon ka havlay sa kia kr saktay hn kio ka haiz ka bhi masla hai brehay karam rehnmai farmay ka isy kis trah mukammal krain

Answer: Agar wazife se mutaalliq cheezain, haiz per haraam cheezon main se na ho to 40 din ka wazifa kar sakti hai, matlab k agr aap k wazife ka amal aysa hai jis men wo kaam anjam dene parte hen jo k haiz k dinon men jaiz nahi hen to phir wazifa anjam nahin de sakti. jese ke agar wazeefa kisi namaz par mushtamil hai to chonke namaz haiz k dinon men jaiz nahi hai is liye wazifa jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 448
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112316
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: salam, agar tilawt. e. quran pak karte howe haiz ajye aur pata nh chaly para khtm karne k bad ahsas ho ka haiz aye hain tu kia uss para ki tiwlt hojye ge ya paki k bad ussy dobara parhna hoga.?

Answer: wsalam.halat e haiz mai bhi quran ki tilawat ki jaa sakti hai faqat wo aayat jin ki tilawat sai sajdah wajib hojaata hai un ko haalat e haiz mai parhna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Gussal k bd periods waly kapron ma namaz perh skty han ya nhii

Answer:
Khoon e haiz najis hay. lehaza agar libass khoon e haiz se najis howa ho to use pak karna zaroori hai.((Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448,467).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Aoa sir Mera sawal ye hai k haiz k Duran jo Abaya phna Hota hai wo bad Mai phna ja skta Hai? Wo to ni napak Hota na ya Sex k bad ghusal kr k kahin bhr jaty Howe Abaya phn k wo Abaya phr phna ja skta Hai?

Answer: Jee nahin, agar najis nahin hoyi to pehn sakti hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112649
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Periods agar shaam mai khatam hoa aur Sardi ka season hai isliye ham shaam mai na ghusl kar payai aur dusrai din fajir ka baad ghusl karaingai toh kiya asar, maghrib, isha aur fajir kaza ho ga?

Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Jee han, Agar namaz qaza ho jaye tu oski qaza namaz perhna zarori hay. Aur jab periods katam hojain to namaz or is jesi ibadaton ke liye gusl e haiz karna wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition 41st, maslah #1356,456)
(Note: Agar sardi ka maslah hai to pani ko garam kar ke bhi gusl kiya jasakta hai )
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112736
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Gusl e janabat krne se pehle agr haiz khoon ajaye tw kia kren?

Answer: Aap chahen to foran janabat ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain. 1. Jis shaks par chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon k liay bhi kafi hai. (Ref : Aayatullah Seestani, Tauzeeh ul masail, Edition 42, masla #387)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112745
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-26

Question: Asslam o aliekum.Can ladies remove their unnecessary hair during menses?

Answer: Yes, it is lawful during menses. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #448,354)
[Updated on 27-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-02

Question: Assalam o alaikum Mujhey her mah 7 ya 8 din tak mahwari hoti hei lekin is mah mujhey qareeban 12 din tak musalsal bloid ata raha , is surat e hal me ghusal key ly kia niat keeni ho gi lz rahnumai farmaayn

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din or ziyada se ziyada 10 din hai, ager aurat 10 din ke baad koon dekhe to us ke liye zarori hai ke istihaza wali aurat ke ehkaam per amal kare, Q ke ye 10 din ke baad wala koon koon e haiz(periods) nahi hai balke koon e istihaza hai, - or wasail u shia main hai, jis ka mafhoom ye hai ke ager aurat koon e istihaza se nijaat chahti hai to us ko istihaza ke ehkaam per amal karna chahiye - Koon e istihaza ke ehkaam : pehle aurat tehqeeq kare ke wo qalelah hai ya mutawassitah ya kaseerah hai. Pas ager khoon sirf roi ( jis ko aurat apni sharam gaah per rakhti hai) ke uper wale hisse ko aaloda kare or ander saraiyat na kare to ye khoon istihaaza e qalela hai or aurat ke liye wajib hai ke her namaaz ke liye alehda wazoo kare, or ager namaaz se pehle sharam gaah ke zahiri hisse per khoon laga ho to us ko paak karna wajib hai. Or ager roi ke ander tak saraiyat kar jaae lekin us karpre tak na ponhche jo orat khoon ko rokne ke liye roi ke uper rakhti hai to ye khoon khoon e istihaza e mutawassita hai, or ehtiyaat e lazim ki bin per zarori hai ke her din namazon ke liye 1 gusal kare or her namaaz ke liye wazoo kare or namaaz se pehle jisam per khoon lage hone ki sorat main us ko paak bhi kare. Or ager koon roi se tajawuz kar ke us kapre tak ponhach jaae to ye koon istihazaa e kaseera kehlata hai, or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai ke her namaaz ke leye roi or kapra dhoe ya tabdeel kare or ager zuhar o asar or magrib o isha ko ik sath phar rahi ho to fajar ke liye 1 gusal or zuhar o asar ke liye 1 gusal, or magrib o isha ke liye 1 gusal kare, or ager alag alag phar rahi ho to panchoon (5) namazon main se har aik ke liye alag alag gusal kare, or gusal ke baad namaaz ke liye wazoo ki zarorat nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 39, maslah # 390 to 394, 438)
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113006
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-27

Question: Assalam-u-Alikum Sir Please ye bata dijie ke heiz hota kia he

Answer: Haiz(حیض) wo khoon hai jo umoman har mahinay chand dino ke liye aurton ke reham(sharamgah) se kharij hota hai aur aurat ko jab haiz ka khoon aaye to use haaiz(حائض) kehtay hain.
Haiz ka khoon umoman ghara aur garam hota hai aur is ka rang siyah(black) ya surukh(red) hota hai. wo tezi se aur thori se jalan k saat kharij hota hai.
Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #432,438).
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113141
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Haiz k din tmam ho gay hun... Lakin abi ghusal nh kia.. To kia jamaa kia ja skta hai

Answer: Haiz se pak hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke is ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #448,451,457)
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113163
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Khaiz k ghusal k baad phly sy pehny kapry jesy shawl aur jersi pak hn gy ya napak

Answer: Agar un kapro par khoon e haiz laga to wo najis honge. Lekin Agar un kapro par khoon e haiz nahin laga to wo najis nahin honge aur pak hi rahen ge. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #119).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113198
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-22

Question: Is it haram doing sex in menses and if it is haram then what will be the kuffara

Answer: 1: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye haram hay. aur dono gunahgar hain.
2: In dino men bhi jimma karana haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day.
3: Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke liye zaroori he ke Istigfar karay, lekin kaffara dena wajib nahin hai.
4: Haiz ki halat men Jima(Intercourse) k ilawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sitsani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #448,449,450,451).
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113269
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-23

Question: Halat e janabat mai ek din tbyt theek na hony ki waja sy ghusl nhi kia aur next day morning mai periods start hogaey tou kia mai bahar nhi ja sakti kam sy aur paak hony k bad bahar jaon

Answer: Haiz ya janabat ki halat mai ghar sai bahar jaana haram nahi hai. or haiz ki halat main bbhi janabat ka ghusl anjama dia jasakta hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448، (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#233, eidition 1439).
[Updated on 23-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-27

Question: Haiz ki halat me niaz ka Khana pakana jaiz hay?

Answer: Jee han, Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #354,355,448)
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113544
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Assalaam o Alaikum Mera sawal yeh hai k haiz ka khoon aana bnd ho gya tha 2 din tk nhi aaya aur pani bhi safaid ho gya tha. Gusal kr liya lekin humbistari k doran phr blood aa gya.. Keh lain k misunderstanding main humbistari ho gae yeh samajh k k haiz khatam ho gya hai.. Tou kya yeh gunnah hua? Isska kufara bnta hai? Aur agr koi kufara na ada kr sakta ho tou kya kry?

Answer: Agar haiz ke khoon aane k bad fauran alaidahgi ikhtiyaar ki ho to koe ghunah nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #448).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113603
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Meri waif date me hy kiya hum ko sexy karna jaes hy??

Answer: Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #448).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113629
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Jimma ki halat ma agar haid ajaye or farigh hone k bd pata lagy to kya krna chaiye?

Answer: Agar haiz ke khoon aane k bad fauran alaidahgi ikhtiyaar ki ho to koe ghunah nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #448).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113760
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-26

Question: Kiya periods k bad jism k bal saf karna zaruri hai?

Answer: Jee nahin, zaroori nahin hai. Albtatta Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or mard zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk na kare. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab bane tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay. Or Aurat ke liye sar ke alawa puray jism k baal katna mustahab hai aur lohay(blade) sai apnay jism k baal kat sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ).
[Updated on 26-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113911
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Aslamualikum Mera swal yeh hai kay kya khwateen periods kay doran mobile say dekh kr Quran Pak ki tilawet khud krsakty hen ? Kindly reply jazak Allah khaair

Answer: Halat e nijasat main quran ki wo 4 ayaat perhna jis k perhne se sajda wajib ho jata hay, jaiz nahi hay baqi quran ki ayaat perhna jaiz hay. Laikin quran alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354)
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-02

Question: assalamualaikum Main ye janna chahti hu k agar haiz ki halat main hun sureh duaein(qunoot) aur vagair kul kalamat yaad kar sakte hai ya nhi?

Answer: wsalam jee bilkul yaad kar sakti hai lekin quran ki wo 4 aayatein jin k parhne sai sajdah wajib ho jaata hai un ka parhna haraam hain .Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113985
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assallam U alikum Manay taweez pehna hua hai. Taweez leather covered hai kya haiz k duran taweez utarna lazmi ya pehly rakh skty hain?

Answer: Agar us taweez ke andar qurani aayaat maujood hon aur kisi bhi tarah badan un aayaat se mas(touch) nahin ho raha ho to utarna lazim nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #354,448)
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: Mahware ana jb k roza ho

Answer: Jis aurat ko Din main (roze ki halat) main haiz (menses) ka khoon aajaye to agarchah ye khoon maghrib k kareeb hi Q nah aaye is ka roza batil hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1612).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114490
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: Salam mera sawal hai k kya larkiyan periods k dino main qabristan jasakti hain??

Answer: khawateen ka haiz ke ayam men qabristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamon(a.s) ke Haram main therna ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #354,448).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114591
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-08

Question: during menses can i do only fore play with my wife . because sexual intercourse is haram but fore play is also prohibited .plz ell me

Answer: Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #448,451).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114723
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Periods ke pehle din sirf spotting ho bleeding na ho agle din bi aisa rhe to namaz padi ja skti h??? 1

Answer: Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahin hoga. Lihaza aap ka blood istehaza hai aur is me shariet ke saath ibadat kerni hoti hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #432,438).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-23

Question: Salam mera sawal ye he k mere perids ki amoman 6 days hn lekin abhi rmzan me mujy 5th day me thiri si bl3ding ni hui to 6th day mene gusal kr liya or roza b rakha or namaz parhi lekin phir mujy mehsoos hua k kuch bleesing si hy to bs bht kam zara sa dot jesa tha jo istanjy se hi saf ho gya mere kapry gandy ni huy esa 3 dafa hua ek din me. to kiya gusal wajib ho gya.or roza hua ya ni. "

Answer: Jo khoon periods k dino main aya wo haiz ka khoon shumaar hoga, khoon khtam hone k baad dobara ghusl e haiz kar k namaz perhi jaey gi or os din ka roza batil ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553).Haiz ki halat main roza nahi rakha jasakta.
(Ref: Tauzih-ul-Masael-Jami Agha Sistani D.B: Masla # 1913)1) jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459).
2) Haiz men roza nhin rakh sakte or ramzan k baad in rozon ki qaza kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #).
3) Roze men haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche maghrib se ek lamhe (second) pehle hi aye, roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay
1. mani k kharij honay se
2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main).

2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)

3) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1. Uchal kar niklay.
2. shehwat k saath niklay
3. badan sust hojaye.
jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156)
[Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114825
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-12

Question: Haaaiz ki surat main shaab qadar bait sakte hai ya nai

Answer: Haiz ki halat men namaz adaa karna haraam hai, quran ke alfaz ko choona, wajib sajde wali aayat parhna or masjid men theherna haram he,
lekin is k ilawa jo ibaadatein hain shab e qadr ki wo anjaam di jaa sakti hain.
lekin masjid mai bethna haraam hoga.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-12

Question: Haiz ke halat mai shaab qadar baitna haram hai?

Answer: Haiz ki halat men namaz adaa karna haraam hai, quran ke alfaz ko choona, wajib sajde wali aayat parhna or masjid men theherna haram he,
lekin is k ilawa jo ibaadatein hain shab e qadr ki wo anjaam di jaa sakti hain.
lekin masjid mai bethna haraam hoga.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).

[Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114839
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-01

Question: Mere period aye 12 din ho gyae r forse period aa gye to kya roza rakh skte hai r namaz padh skte hai

Answer: Aik mahine main do baar haiz aana mumkin hai laikin shart ye hay k doosra haiz kam az kam 10 din k faasle se aaye. misal ke taur jo aurat das din khoon dekhe aur chhe din pak ho jaye aur dobara char din khoon dekhe to dosre khoon ko haiz qarar nahin de sakti chahe us men haiz ki nishaniyan mojood hon. Namaz aur Roze k sahi hone ki shart ye hai k aurat haiz o nifas se paak ho. (Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #486,1913).
[Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114968
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-26

Question: Asalam Alekom.. kya mahwari ki halat may istikhara kar saktay hay ???

Answer: wa alikumussalam, mahwari( haiz) ki halat may istikhar kia jasakta .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-25

Question: Assalam walaikum ...kya haiz ki halat mai wajifa kar sakte hai ?

Answer: Haiz ki halat men wazifa karna jaiz hai. aur agar wazifa quran ki ayaat par mushtamil ho to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main pharna bhi jaiz hai agarche quran ki 7 se ziyada ayaat ka pharna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,354,467).
[Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114994
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-24

Question: کیا ایام حیض میں عورت قبرستان جا سکتی ہے؟

Answer: Aurat ka haiz ki halat men qabristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamon(a.s) ke Haram main thehrna – ehtiyaat e wajib ke etibaar se – jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448).
[Updated on 24-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115279
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-01

Question: Halat e haiz ma talak ho jati ha?

Answer: Talaq k sahi honay ki chand sharait hain: jin main say khuch ye hain. 1, Zaroori hay k aurat talaq ke waqt haiz ya nifaas say paak ho or us ke shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dena sahi hay. 1, shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2, Maaloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom na ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3, Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni biwi k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahin. Talaq ki mazeed sharait: zaroori hay keh talaq ka sigah sahi Arabi k saath perha jay aur do aadil mard ose sunain lakin agar koe merd arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur wakeel bhi nah bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarye talaq de sakta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur do aadil mard usay sun lain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2463,2464,2472).
[Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115322
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-09

Question: Haiz ke 7 days hi hote hai ya usse pehle hi haiz jana band ho to kya hum gusal kar skte hai?

Answer: Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hoti lihaza Agar kisi aurat ke haiz ki muddat 7 din se kam lekin 3 din se ziyada hai tab bhi wo haiz hi shumar hoga, aur jab koi aurat haiz ke khoon se pak (chahe 7 din se pehly hi ho) ho jaey ghusl kar k namaz aur is jesi ibadaton ko baja lana wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,456).
[Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115661
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-30

Question: Assalam-o- alaikum sir mera sawal hy k haiz ki halat may kia kia parh saktay han

Answer: Haiz ki halat men namaz adaa karna, quran ke alfaz ko choona, wajib sajde wali aayat parhna or masjid men theherna haram he, lekin is k ilawa jo ibaadatein hain wo anjaam di jaa sakti hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448)
[Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-27

Question: Haiz ki halat me surah juma padh sakte hai

Answer: Jee han, parh sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115690
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-02

Question: halat e haiz me kon kon se kaam kr sakte hai

Answer: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna, 2. Quran ke alfaz ya allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho, 3. Wajib sajde wali aayat parhna, 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa men theherna, 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona, 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. Albatta Aurat Ghusl kiye bager Ghar ke tamam kam kar sakti hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 02-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-25

Question: Agar haiz ki halat may larki ki death ho jaey to kya wo shaheed kehlati ha??

Answer: rasool akram (s.w.a) ne manqool hay :jo halat haiz me mar jaae ( yani death ho ) jaae wo shaheeda hay. (ref:mustadrakulwasaail jild :2,pg no: 41,muhaddis mirza nure)
[Updated on 25-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print