Showing 200- 250 questions from 543 questions on this page.
Question: agar qasam khaye aur sayh kaha ho k agar ye kam mainy na kia to mjy ye nuksaan ho jye aur phir qasam puri na kee ho to nuksaan syy bachny k liye kia krna chaye plzzz btain...
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir ager allah se wada kiya jiye aur baad me us ke dar se usey wapis le lya jye ke khi me wada tor na dn to is ke bary me kya ikhmat hen
Answer: Wssalam o alykum, G han agr Allah se Ahad(Vada) kiya jaye to usko pur krna wajib hai, lekin Ahad ko Ahad us wqt kaha jaye ga Jab apne ye Ahad zaban se bol kr kiya ho (k Men Allah se ye Ahad krta hun k ainda men ye Gunah nahi krunga) lehaza faqt Ahad ki niyat krne se us per amal krna wajib nahi hota (arche gunah se bachna hr surat men wajib h), phir bhi ehtiyat e mustahib hai k agr dil se bhi ahad kiya jaye to us per amal kiya jaye (albatta wajib nahi hai) lehaza agr apne ahad k alfaz ko zaban se ada kiya hai to vada pura na krne ki waja se ap 60 faqeroo ko peat bhar kar khana khilayen ya phir 2 mahine ke musalsal roze rakhen (yani in dono kamon men se jo ap chahen anjam den) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2631-32). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar mainay quran ki jhooti qasam kha li baghair quran per haath rakhay hoay aur hus yeh kaha keh quran ki qasam mainay yeh nahi kia tou yeh qasam qabool hoi kya? Iska gunnah hai? Kaffara kya hai?
Answer: Jee haan bilkul ye qasam shumar hogi, lehaza agr apne sachi bat ki qasam khai hai to ye jaiz hai albatta makrooh(napasandeedah) hai, lekin agr apne jhooti bat ki qasam khai hai to ye haram hai or ap gunahgar hen albatta is per koi kaffar nahi hia siwaye ye k ap istighfaar kren. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 691, Eidition 1417 hij). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kisi b ghalat baat ya ghalat kaam k liye qasam khana kesa hy? matlab ye kasam khana k me qasam khata hon k me sharab pion ga. ya me qasam khata hon k me ye bura kaam karun ga. please answer me. me boht pareshan hon is baat ko ly kr.
Answer: Ye qasam sharae shumar nahi hogi q k sharae qasam ki ye shart hai k jis kam ki qasam khai jaye wok am haram ya makrooh na ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager ma ke qasam khai jaye ka ma tjh c bt ni kru ga tw
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mai ny apny mian sy quran utha k qasam khae k kuch logo sy bat nai krun ge mian k kehny pai khud apni marzi say nai un mai mera batija b shamil tha jo mujy apny baiton ki tra hai mai qaim the apny waday pai laiken mainy ny kisi r ko fon kia to us ny recieve kr lia mai ny thori bat kr li ub kya krun mian ko bta dun ya larae k dar sy chup rahun please give me ans.
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalam alikum mara sawal ya ha ky me ne 1 larky ky naam ki kasam khai jo ky mara magatar ha. me ne gusy me kasam khai ha kya muj par kufara ha us kasam ka
Answer: Jee nahi ap pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamo Allaikum,mera sawal mannat poora krny k bary mn h,agr aik bimar bchy k bary mn mannat mani gai h k agr yh sehat yab ho gya to usy hifaz kraen gy pr kisi wja se poori nai ki ja ski to isk bary mn islam mn kia hukam h,Quran or Hadith se.
Answer: Ye nazar (Mannat) sahi nahi Q k nazar kerne men ye baat lazmi hai k jis cheez ki nazar ki jaye wo insan ko khud anjam deni hoti ha. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604-2630).Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam! mere fiance ne mjhse quran par hath rkhwa kr taqreeban adhe ghante tk qasmen uthwayin, atleast b 20 qasmen toh hongi hi or qasam k badh bhi uske dil ko tasalli nahi hue thi. ab usne ajeeb si qasmen uthwayi hen jinko pura krna mere liye boht mushkil hai. mje Allah ka khof hai. mene sab qasamen majburi mei khayi hen. ma kya karun k woh qasmen wapis hosaken? kya mere ek br kafara dene se woh qasamen wapis hojayengi ya har bar har qasam k tootne pr mje kafara dena hoga? or mei itni saari qasmon ka kafara kese dun jb k mere fiance ne toh Allah maf kre quran ka mazak hi bna kr rkh dia..plz help me im really worried
Answer: Ye Qasam sahi nahi hai lehaza koi kaffara wgera nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Muhtram mufti sb mera sawal ye ha k jhota halaf uthany waly or jhoti qasam uthany waly k lie Allah Pak ka kia hukam hai. Mera masla ye hai k aik larky ny mery ghar rishta bheja,us ny halaf uthaya k wo muj sy shadi kry ga or apni ami ki qasam b khaye. Us k ami abu ny b mujy kha k yaqeen rakho. Us k khny py m ny apny ghar bat b ki, sb thek tha k achanak us ny or us k ghar walo ny rabta khatm kar dia or 15 din bad us ny apni clasfelow sy pasand ki mangne kr li. Ab mujy khud sy or apny ghar walo sy bhot sharmindge hti ha. M bhot sharef larke the kisi na mehram sy rabta na tha. Mery sath esa q hua. Ye dhoka krny py usy or us k ghar walo ko kia saza mily ge. Mujy us k bary m soch k or ye soch kar k m q us ki bat mani or q us ny bila waja dhoka dia boht taklef hti hai. Meri shadi or ache zindage k lie dua bta dein k mujy sakun mily.
Answer: Is tarah ke qasam o halaf ki Shariat e Muqaddasa men koi ehmiyat nahi hai, Q ke Sharai taqazon ke mutabiq ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634).Or Ap ka kisi bhi larke se shadi se pehle dosti karna jaiz nahi hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Achi or munasib jaga rishta hojanek liye Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar aik dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain us larke ki jis ko Allah Taala ap ke liye pasand kare.(Ref :Naway e salaheen pg # 352)Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: ager koi larki kisi ka aga quran pa hath rakha ka kisi r se shadi nai kara gi r pr ghar waloon ka na manana ki waja se usa majboran kahin r shadi karni para r wo larka bhi usa moaf kar da tu is ka kya hal hai
Answer: Ye Qasam sahi nahi hai lehaza koi kaffar wgera nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalam o alikum. Me aik talqyafta lrki hu. Talaq k bd aik lrky sy mjy bht muhabt ho gai wo b mjy bht chahta hy usny 3 br mry ghr rishta bheja tb uski job na hny ki wja sy mry parents ny mana kr dia ab us k pas job hy bt ab us k parents ni man rhy parents ki ana me main or wo mjbur hn plz koi dua koi wazifa bta dain js sy hm 2no k parents man jain or hmari shadi ho jaye. shukriya wsalam
Answer: Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga.(Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: mera swal yeh hai k meine quran pr hath rakh kr qasm khae thi k ma galt kam nahi kro ga lkin mjse phr se wahi galt kam ho gya jis ki wja se ma bht pereshan hon plz agr iska koe kuffara hai toh mjy btaye ma bht preshan hon ????
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-Alaikum mera sawal ye hai k me jis se muhabat krti hn.us ne aj se 4,5 sal pehly mujse Quran pe hath rakhwa k hulf liya tha k me kisi or se shadi ni krngi. me apni traf se nibha rhi hn.par wo apni bat se mukar gya hai. ab mujy kya krna chahiye. me usay bht chahti hn.
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Please answer this Question. (Agar koi kisi se QASAM leta ha k Falan kaam nahin karna, phir wohi banda kuch time k bad kehta ha k main QASAM WAPIS leta hoon aur ab tum WOHI KAAM kar lo, to is main koi KAFARA dena ho ga ya nahi?Ya koi GUNNAH to nahi?) (Quran o Sunnah k Mutabiq)
Answer: Jee nahi is qasam pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: maine kasam kahi hy aur kaha mai yeh kam nhe kron ge aur agar mai kron to mere mout ho jaey....ab mai yeh qasam torna chate hon to kia mai isy tor skte hon,agar mai ye qasam toron to kuch hoga to nhe??
Answer: Is Qism ki halaf or qasam ki koi sharee hesiyat nahi hia. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alaikum mera ques ha k mene qasam khaye thi kisi Cheez se related k ye kam mein hargizz nahi karunga lekin mujhe lagta Thai K mujhse qasam toot jayegi lekin mene phr dil me kaha K me apni qasam wapas leta hun . Abi tak mene WO kam nahi kiya tou aisay me mujhe kya karna chahiye k meri qasam khatam ho jaye takay AGR me WO kam karun bbhi tu meri qasam toot Jane ki waja se muje gunahh na mile aur kafara b na wajib houjh pe....shukriya
Answer: Agr apne qasam ki saari islami shrton ka khayal rakhte hue khai thi to, to bad men jan bojh kr us qasam k khilaf amal kiya to gunahgar honge, or kaffar bhi dena zaruri hoga, or qasam ko torne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: meine ek question puchna tha , k quran ki kasam ko kese hatam kiya ja sakta hai , meri mama ne mujse kasam uthwai thi kuran pe hath rakwa ke k me ek larke se baat nahi karungi , mei is kasam ko kese hatam kar sakti hu ? plz reply quickly , its very urgent ....
Answer: Is qasam ki koi sharaae hesiyat nahi hai lehaza ye qasam shumar nahi hogai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Main ny aor mere fiance ny quran pe hath rakh k aik khalaf lia tha..... Magar mere fiance k liy wo khalaf pura krna be-had mushkil ho gya hai.... Aor wo mujy khalaf torny k liy force kr rahy hain.... Plzzzzz mujy is ka solution bta dein.... Jaldi plzzzzz
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran pak ki jhouti kasam khanay ka kaya kufara hai? jo manay jan boj kar bola hai
Answer: Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai.Albatta iska koi kaffara nahi hai(istighfar hi is gunah ki maghfirat hai) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam, kuch din pehle mein hajj ker ke wapis aaya oor meine Kabbah ke pass khere ho ker Allah tala ki qasam Khai ke mein kabhi ortoon ki taraf na dekhon ga. Megar 4 din bad hi mujh se ye qasam tut gayi. Khuda ke waste mukhko iska kafara bata dein. Thanks
Answer: Wssalam o alykum, Ager qasam ki tamaam sharait mojood thi to zarori hai ke Allah Taala se toba karain or 10 faqeroo ko pait bhar kar khana khilaae ya inhain kapre pehnaain(ata kren) or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agr hm ALLAH Tala cy koi wada kren dil m or wo toot jy to us k liye kya krna chahiye or aik bar quran pak prhny k bad kia samny hi quran pak k lekin tot gya
Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 30-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: slam o alikum sir mera sawal yea hai k hum meya bewi k darmyaan ahey din koi na koi mamloi mamoli bato mae ikhtlaaf rehta hai jes bato ko kudh mae sudhar paeda karti hun pher naey naey masail paesh karta hai mera husband mera sawal aap say yea hai k kal rat hum meya bewi mae kesi bat ko laekar shadeed larai hoi jeski wajah say meray husband nea mujay behad nazebah alfaz kahey meri beti jo 3 saal ke hai pass he khari thi me ne uskay ser pae hath rakh k qasam khai k aaj k bad say me tumary pass tak nahi aogi na he tumary sawalo ka jawab dogi mujay pata hai majboran jana rehna to us shkas k sath he hai or darr rahi ho k ab meri beti ko kuch na hojahey ager kabi b apnay husband k sath razi say rahi to plzz oulaad ke qasam k bary mae meri rehnumai kejeyain.
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Main ne qasam uthai thi k main ALLAH ki qasam kha kr kehti hn k next nai krun g aise tum se lekin ab m us halaf ko wapis laina chahti hu to plzzzz mjy btayein m kese ln wapis
Answer: Qasam ki pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojaeyen gi or aap per kaffar wajib hojaey ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agr 2 insaan mill kar khas jaga khary ho kar kasam khaye k hm esa kam ni kary gy 2 sall tak to phr wo e 2 insaan ye kahy k ham kasam wapis lety ha or wo kam karty ha 2 sall sy pehly e jis ki kasam khai thi to kafara ho ga k ni
Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffar wajib hojayega. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: mj sy kisi ny zabardasti map bap k sir py hath rhak kr kasm dilwae the 3 mrtba k me ayenda sy bure kam nh krunga..lakn me bht pareshaan tha us wqt khabraya hwa tha..insan sy galti to hojati hai agr agy life me koi bura kam krdiya ya galti hogae to islye pareshan hu bht..kia yh qasm sahe hai ya galt????
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mene gusse me khud se wada kiya ki me apne dost se baat nahin.karoonga bt baad me mujhe lga ki mene gusse me glat waada kar liya hai aur me apne doat se baat krna chahta hoon to kya ye waada toda ja skta hai...
Answer: Is qism ka wada or ahad durust nahi or is ki koe haisaiyat nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2630-31). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera javab yeh ke maine kch galat kam kara tha aur woh usko pta chalgya jisse main bht pyar karta hu aur jiske sath main bht jald nikah main ane wala hu woh bhi mjhpe aur meri ksm pe bht yakin karti hai magar hal hi main kch aisa hogya ke mujhe majburan Allah ki jhuti ksm khana padi kiyunki agar sch btata toh rishta tut jata hmara .toh aise mjhe ab kiya karna chahiye jo gunah mjhse hua ek bar nahi 4 .5 bar ksm khayi maine plz help me jitna jaldi hoske aur jiss ke dar se maine ksm khayi woh rishta bhi tut chuka hai ab.plz help me . . Asslamu aleikum
Answer: Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai,Lakin is k kaffara nahi hota he (lekin chonke ye ek haram kam hai lehaza istighfar hi iska kaffar hai). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamualalikum ...mujhe haath se mani nikaal ne ki buri adat thi aur maine allah se vada kiya tha k mai hand practice dubara nahi karunga...alhumdulilah 2 years tak mai succesful raha ..magar ek din jab ghar par koi nahi tha aur mai apne nafs ko rok nahi paya...aur hath se mani nikaal diya...nausbillah allah ki panaah mai apne ap se naraaz hogya .....shyed ab kaffara dena padega...60 faqir ya 10 faqeer ka pet bharna hoga? musalsal 2 months tak ya fir 8 din tak roze rakhne honge? kyu ki apne apne ansers me kabhi 60 faqeer mention kiya hai tho kabhi 8...kabhi 2 mahine k roze thi kabhi 8 din..thoda clarity chahiye tha.
Answer: Wssalam o alykum, Jee haan agar Allah se Ahad(Vada) kiya jaye to usko pur krna wajib hai, lekin Ahad ko Ahad us wqt kaha jaye ga Jab apne ye Ahad zaban se bol ker kiya ho (k Men Allah se ye Ahad kerta hoon k ainda men ye Gunah nahi krunga) lehaza faqat Ahad ki niyat kerne se us per amal kerna wajib nahi hota,lehaza agar apne ahad k alfaz ko zaban se ada kiya hai to vada pura na kerne ki wajah se ap 60 faqeroo ko pait bhar kar khana khilaen ya phir 2 mahine ke musalsal roze rakhen (yani in dono kamon men se jo ap chahen anjam den) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2631-32). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mekn jis sa bt krti hun usne mje kha k kasam khao quean p hath rakh k kisi sa b bt ni karo ge chahe wo czn ho chota bra koi b mein na kha le eo kasam qaim hai mein na hath rakh k kalmat nol dye to mein kasam khatamnkrna chahte hun koi kaffara bta dein plz
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera ye question h k mene apny papa ki qasam khai h or Allah ki ab jis ki wja s mene khai th wo wapis nae le rha h lekin m wo kam krna chah rhi hn agar m kasam torti hn tw kia hoga kia kufr h
Answer: Aap ne jo papa ki qasam khai hai ye qasam sharae shumar nahi hogi, Albatta agr apne Allah ki aisi qasam khai ho jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil hon (jese apne frmaya k Allah ki qasam khai hai) to is surat men is qasam ki mukhalifat kerne se aap gunahgar hojaen gay, lehaza aap per kaffar dena wajib hojayega, yani 10 faqeeron ko pait bhar ker khana khilaey ya phir unhen poshaak (libaas) pehnaey.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Mainy aj quran ki jhooti kasam Khai uper hath rakh kr us kam k liye jo Mainy hi Kiya tha or kaha k main ni kia agar mai aisa na krta to Meri job chali jati or ab main Bohat pershan ho? Plezzz batayn main kya kro kya Allah mujy maff kray ga, ya ni?
Answer: Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai,Lakin is k kaffara nahi hota he (lekin chonke ye ek haram kam hai lehaza sache dil se istighfar ki jaey, allah maaf kerne wala hay). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: m ny abu k samnay yaseen surat py hath rakh kr qsm khai thi k m us larki sy baat nai krun ga or wo meri behan hai ye qsm m nay mjbori m khai ku k abu nay kha k wo apna taluq mere sath or puray ghr walun k sath tor dain gay meri ami ko cancer hain abu nay kha k wo un ka ilage b nai krwain gay is liyeh majbor ho kr m nay ye qsm uthai koi b hal hai to btaye m ye qsm htm krna chahta hn please ?
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Maira sawal ye hai k maine quran par hath rak kr kaha hai k main jis se pyar karti hun us se baat nhi karungi ab muje bht dar lag raha hai k agr maine baat kr li to iska kafara kaisay ada karun
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mene quran pe hath rakh kar qasam khai thi k me kabi cigarette nai piyonga lekin me yeh pori nai kar paya hun.. mujhe iska kafarra bataeye
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa sir... Mera ak question hai agar koi quran pe hath rakh k kasam khaye tho eska gunaah hai...? Matlab agar koi banda mujh se pochay k tum ne muje apnay baray mai batao aur mai sab bata do.. Matlab koi baat na chupao lakin lafz ba lafz nahi aur phir muje quran pe hath rakhnay ko kahay tho mai rakh sakti hoo hath quran pe? Please ap muje bata dai mai me us banday ko 95 % sab sach bola hai lakin laf ba lafz nahi matlab koi b baat nahi chupai hai... Jazakallah
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o Aykum, maine apnay ap sy kasam othei the khud apnay samnay bht pak jaga py hath rakh k kabi namaz ni choro gy r roti sirf ak tym ki khao gy lkn mai is py pori ni otar saki.
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar Allah se kiya wada toot jay tu us ka kafara kaisay aada ho sakta hai? maine Allah se wada kiya tha k main 10 din tak Cigarette ni peeon ga but main yeh wada katam karna chata hn..... tu is ka kiya hal nikal sakta hai???
Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mujhy sy kise nyy zabardast kasm lee agr maii wo kasm naa lyti to woo mari izat uchal sakta tha .. Mai wo kasm nai lyna chahti tii mola Ali a.s ke kasm lee agr koi kafar hai too bata dy mai ny woo kasm ek tarah syy jhoti he khai apny ap ko bachny k leya wah syy .. Us shaks ny kah agr tmny kasm thori too tmhy mola barbad kary .. Mai keya karon plzz help
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga.(Ref: Ayatullah khumeni ,Tauzeehul masael ,Mafhoom e maslah #2667,2666 ). Update on dated 23-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa maine qasam khai the k me din ka khana nai khaonga sirf raat ko thora sa khaonga or mujh s y qasam tot gai to ab mujhe kya karna chaiye
Answer: Agr apki qasm sharaee lihaz se sahi hai to ap pr kaffar wajib hai yani 10 faqero ko pait bhar kar khana khilain ya in ko kapre pehnaen(matlb libas ata kren), or agr ye kam nahi kr sakte to 3 din musalsal roze rakhen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam o alaikum...mere fiance ko mujh par bohat shaq hai k mai kahin or na chali jaun tw usnay mujhsy Quran ki qasam khilwaye k mai door na hojaun Quran par hath tw nhi rakhwaya bus zabani qasam khilwaye hai magar uska ka shaq waghaira kisi tarah khatam nhi ho raha aajiz aagaye hn mai es rishtay sy magar qasam ki waja sy rishta bhi khatam nhi kar pa rahi mai kya karun? Kya koi kaffara dy k mujhay es qasam sy nijat mil sakti hai?
Answer: Is qasam ki mukalfat jaiz hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart Allah k naam ki qasam khana hay Quran ki qasam share nhi h. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: me ne apny friend k pasay uthaye hain aur me ne niyat ki hy k jab mery pass hoe me phli fursat me wapis kr don ga me ne usy kaha hy k me ne nai uthaye mera dost mje keh keh raha hy k tm Quran pak par hath rakh kr kaho tm ne nai uthae me bohat majboor hon meri dosti aur izat ka masla hy kia me apni self respect aur relation ki khatir ye keh skta hon quran pe hath rakh k ye kam me ne nai kia??? plz answer me as soon as possible
Answer: Jhoti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2638). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meinne kasam le k ager mein apni baap k olad ho message Nai karoge teacher ko an me kasam kese toro
Answer: Ye qasam durust nahi hay. aap is ki mukhlfat ker sakte. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2633). Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam.mene kasam khaya k ager me apni baap k olad ho me apne teacher ko message nahi kroge ab me ye kasam torna chahte ho plz jawab do
Answer: Ye qasam durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri cousin ko dengue fever hogaya tha or mene dil me ye dua ki thi k meri cousin theek hojaye me eid k kapray nahi pehnoongi. Kia ye mannat durust hai? Ab me kia karoon? Agar mene ye poori na karsaki tau iska kaffara kia hai?
Answer: Ye nazar(mannat) durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal yeh k ma ny apni ami se ak bt chupai unhun ny apny sar per hath rakhwa ker mujse kasam kehlwai k yeh bt such ha ya ni to ma ny unki jothi kasam khai is liye k unki tbeat khrb ho jani ti or unko bp problem b ha .. ma ny jothi kasam khai ma bht shrminda hun Allah se mafi b mangti hun is ka kafara kesy ada kerun? kia meri ami per is kasam ka asar hoga?
Answer: Jhoti qasam khana gunah hay. Aap allah se sache dil se tauba karain. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Majboori me ya phir kissi ke badao me aake Quran ki qasam liya ho to uska kya karna chahiye? Usse pura karna chahiye ya nahi?
Answer: Aisi qasam durust nahi, nah hi is ko pora kerna zarori hay. Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam G. Main nay apne aik dost ke Saat aik kaam ke bare main Quran pe hath rakh ke qasam Kiya Tha ke main ye Kaam nahi karonga. Ab agar main nay qasam wapas Lena ho to mujha Kiya karna hoga? Plz must reply me.
Answer: Ye qasam sahi nahi hay, lehaza is per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib bhi wajib nahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2634 ). Update on dated 20-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam o alikum.. Me bht muhskil me hon.. Mere husband ny mje pehly apni kasm di k tm ye kam nai kro gi... or phr kch time bd ubho ny quran pak ki kasm khilai.. Meri dono kasm khany ki niyat nai thi... mgr unki waja se kha li. Or ab wo kam mjse ho gya. To ab us ksm tootny se mere husband beenar ho jain ge.? Mje is kufra bta dain ya koi haal bata dain plz... reply fast Allah hafiz
Answer: Qasam sahe nahe lehaza is per amal karna wajib nahe hai aur kaffara bhi wajib bhi wajib nahe hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 13-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri aik cousin k sath rishtey ki baat chal rahi thi. unho ne rishta ni diya. (galti zyada meri hi thi k pehle meine un ko kaha k aap inkar kar dein baad mein jab unho ne inkar kar diya to meri family ne un ko manane ki buhat koshish ki lekin wo log ni maane). meine guse mein aa kar Allah se waada kiya k agar us Larki se meri shaadi na hui to mein kisi se bhi ni karu ga or us larki ko b keh diya k sirf tum se hi karu ga shaadi. lekin ab un logon ne inkar kar diya hai. mein agar Allah se kiya hoa waada wapis lena chahu to kya karna pare ga mjhe ab? mein buhat tension mein hu k mjhe aisa ni kehna chahie tha Allah se. Plz mere sawal ka jawab de dijie jaldi.
Answer: Aap ka ye wada sahi nahi or is wade per amal kerna lazim nahi.(Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a),Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2664). Update on dated 26.02.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).