Showing 250- 300 questions from 543 questions on this page.
Question: AoA mae nay apni ami kay kheny pay a kay jazbat mae Quran pak yani (pansurah) py ko utha kay kah dia kay may koi galt harket nahi karo gi .lykin insan galti ka putla hai . mujhy yah samjh nahi a rahi kis terhan ki galt herkat or may yah qasam wapis lena chahti hun tu kesy loh apki bhuy mehrbani hu gi ager ap jald hi bat dein .
Answer: Haram kaam kerna gunah hay laikin ye qasam sahi nahi hay, lehaza is per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib bhi wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 35 th edition, maslah # 2634 ). Update on dated 07-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa plz answer the que mai ni quran pak pay hath rakh k jhooti qasam khai per sirf apni izat bachany k liye per vo b mujh kaha gya ke uthao quran ab kasam khao ... per ab jo qasam khai thy jhooti us ka pta chal gya hai ke jhooti qasam thy jis k samny khai thy kia ab mujh pay kuch bnta haai ? kia azab tu ni ai ga ab mujh pay ? Allah naraz tu ni mujh say ? mujhy her waqt yehi dar rehta hai k allah ni maaf kia ya ni . plz answer. mai ni 3 rozy b rakhy thy kufaray ke jhooti qasam k . kia abi b koi kufara bnta hai ? jub k sub ko such pta chal chuka hai .
Answer: Jo shaks qasam khaey, agar oski baat sachi ho tu os k liay makhrooh hay or agar jhoti ho tu haram or gunahaan e kabira main se hay. Or is terah ki qasam agar jhooti ho tu tauba kerna wajib hay laikin kaffara wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2671). Update on dated 08-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam u alaikum maine aaj 1 jhooti kasam kai hai woo bhi apni maa k sar kii or mai janta ta k mai yii kasam jhoti karaha hun laikn na chahte howe be mje kani parhe mj she kisi me kaha k tm apni maa ki kasm kao too Is. wja se khani parhe is k lyi an mai kia kroon mai bht shrminda hn
Answer: Qasam sahe nahe lehaza is per amal karna wajib nahe hai aur kaffara bhi wajib bhi wajib nahe hai.Agar koi shakhs qasam khaye aur agar jooth bool raha ho to haram he. Lakin is k kaffara nahi hota he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634, 2638) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum qasam aur waada tor dene ka kia kaffaara(penalty) hota hai? Kindly answer with reference
Answer:
1-Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya 10 faqiroon ko poshak pehnaye, Agar in aamaal ko anjam na h day sakta ho to zaroori hay k teen (3) din musalsal rozay rakhe.(Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2679). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2-agar koe shak apnay ehed per amal nah kare tu os chahiay k kaffara day yani 60 faqiroon ko khana khilaey ya do mahine muslsal roze rakhe ya aik ghulam azaad kare.(Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2678). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam... Mene Quran pak ki nahi balky surato ko kitab pr hath rkh k ksam khai thi plz bta den ye qasam sahi h ya nhi... Shukriya
Answer: Aisi qasam durust nahi or os ko pora kerna lazim nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sawal ye hy k agar me apnay walid ya walda k sir pe hath rkh k qasam khaun k me koi kaam nae kerunga or agar me wo kam kerun to iska kya result hoga? Ya agar nere walid walda muje apni qasam den k tum ye kam nae kero or me kerun to uska bhi kya result hoga muje detail me explain keryN.
Answer: Aisi qasam khana durust nahi or mukhalfat per koe kaffara nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 29-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam u alikum mene quran per hath rakh kar vaada kia tha k me ye kam nhi karonga ab me control ni krsakta tou me ab kya karoon ?
Answer: Agar wo kaam kerna jaiz hay tu phir os ko anjam diya jasakta hay, is qurani ehd ki pabandi lazim nahi, laikin agar ye kaam kerna jaiz nahi hay tu phir is ko anjam nah diya jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #692 , Eidition 1427 hij). Update on dated 03-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AOA I need to ask k mne jazbat mn a k Allah ke qasam khai the k mn smoking nai krn ga but after so many years I need it to smoke what\'s the solution plz explain Thanks in advance
Answer: Agar koe shaks jazbaat main aa ker bila irada ya bay ikhteyaar qasam khaey tu oski qasam durust nahi hay. Update on dated 08-04-17. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2667).(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya cigarette na pene par Quran pe hath rake kar wada kia ho or wada na poora ho sake to Gunnah hai?
Answer: Gunahgaar nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2631 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamalekum Mene ek ladhke na bolne ki mazar ki kasam khai thi par ab me usse bat karna chahta hun kia karun me sahi se bataye
Answer: Aap ki nazar o qasam sahi nahi hay aap us say bat Karen aap per koi kaffara nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2611,2634 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam. Meine Quran shareef pe hath rakh k jhoothi qasam kha li ha k flaah baat ka mujge ilm nae. Sharminda hun lekin zaruri tha. Ab kya karu? Dusra sawaal ha k agr koi aisi kasam de k agr tmne fla kaam kia to mera mara mu dekhogey....to kya aisa kuch hota ha???
Answer:
1-Jhooti qasam khana jaiz nahi hay.
2-Aisi qasam ki koe ahmiyat nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2638). Update on dated 16-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal yh ha k m ny kisi sybat na krny ki kasam uthai th r wo b quran ki laikin m ny quran p hath rakh k nhi bola tha just msg snd kia tha k m ab bt nhi karu g to ab m un sy bt krna chahti hu kindly mujy btaey k m is ka kia hall nikalu jis sy m un sy bt kr saku shukriya
Answer: Aap ki qasam sahi nahi thi q k qasam allah k naam say hi hoti hay aap un say bat ker sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2334 ). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As salam valekum... Maine ek kasam musibat ke time aazan ke time khae allah se ..!! kaha thaa ki is musibat se bahr aagya to mai kasam se galat kaam n krungaa.. To kya ye kasam maani jaegi.. Aur agr ye kasam tood di ya tooot jae to kya ispe kaffara wajib hai..??
Answer: Agar qasam Allah k naam say khaee thi or alfaaz zuban say ada kiay thay to qasam maani jaey gi or torhnay per kaffara bhi wajib hoga warna nahi. (Ref: Al masael ul muntakhaba, masala#1264). Update on dated 24-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Slam agar koi gusa me ye kahe k mene yeh kam nahi Kia mein kalma ki kasam khati ho agar mene ye kam Kia ho to mujhay kalma ki mar paray to Kia ye kasam ho gai but but ussi waqat wo pashtaey k ho sakta he muj see aesa kam ho gia ho shayad kasam joti he aur wo pareshan ho to work Kia karey
Answer: Jhoot boolna gunah hay, laikin is tarah ki qasam durust nahi hay. Ref: ( Minhajus Saliheen jild#3 masala#688). Update on dated 27-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir mene ek ladki se gandi baate ki phone pr hi .......phir jhooti quran ki qasam bhi kha li or uske baad mujhe allah ka khof hua toh allah se maafi maag li mujhe kya krna chaiye
Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asssalam alekum mufti sahab mene ek ladki se bahut galat baate ki sex se mutalik.... or jab mere behen ko pata chala toh mene quraan sharif ki jhooti kasam ki li par baad mein mene allah se maafi maagi kyuki yeh meri zindagi ki pehli or inshallah aakhiri galti thi.. aap bataye mujhe kya krna chaiye
Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam maine gussay mai a kar quran ki kasam khai or dost ko kaha agar tum aesa nae karo ge tu zindagi mai shakal nae dekho gai ab kya ho sakta hai? kya kaffara ada karne se kasam wapis hogi? mai baat karna chahta hu
Answer: Agar aap ne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 26-12-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr koi zbrdasti quran ki kalmy k bcho ki qasam uthway or hr choti or am bat py qasam uthwa k safai mangy ir dar ay sometim jhuti qasam utha ly to is pr kia kafara ha plz bta daen
Answer: Jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2638 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya mannati roza rkh skte h?
Answer: Jee haan, roze ki mannat maangi jaa sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2615 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya quran pr hath rakh kr kasm uthana jaiz hai ya aesa krna gunah hai q k kuch log khty hai k quran pr hath rakh k kasam uthani hi ni chahiye.
Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Masael e muntakhaba, maslah #1265 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir meri khala ka khawand un ko mjse bat na krne k lye quraan ki qasam. Kalma pak ki qasam. Aziz rishta daron ki qasam deta hay k agr tm ali se bat kro to allah tmhre bhaio aur maa bap ko mar de. Aur tmhre bhaio k bchay mer jayn. Khala mjse bete ki trah pyar krti hn kiun k un ka koi beta ni. Agr wo apne khawand k kehne pr qasam ni khati to wo talaak ki dhamki deta hy aur us ne aik talaak de b di thi.please hmen seedha rasta k hmko kya krna chahye. Wazya kr rha hn k us admi ko taklif yh hy k us ki bivi us ki bat ni manti. Pas e pusht bat itni c hy k wo meri ma ki behn hy aur mje olad ki trah pala hy.
Answer: Ye qasam durust nahi hay. Is per amal kerna lazim nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 13-02-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w)
Question: Mai ny Allah sey wada kia tha mai aab cigarette nai pio ga ais k bawjoob pia hai abb kia hu ga ??
Answer: Agar Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaey matlab 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaey ya 2 mahine musalsal rozay rakhe. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 13-02-2018.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Me ne quraan p hath rakh kr qsm khai bhai or baap k samnay k mery pas mobile ni h..or ye b kaha k agr ho to Allah mujhe gharq kry.jb k mob mery pas h
Answer: ye qasam durust nahi q k qasam ki kuch sharait hai. Jhooti qasam khana jaiz nahi hai lekin mukhalfat per koe kaffara nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 29-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa Mere abu ne mjse qasam khane ko kaha or agr me sch bol deti or kasam na khati wo meri maa ko talak dedete. Mene isi lie jhuti kasam khali QURAN ki. Ab iski kia mafi he?
Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mn ami se Allah r quran ki kasm khao thi k mn chars nai piyun ga lekin mn ne pee lekin ajj mujhy ehssas huwa h r mn sharminda b hun r onda nai piyun ga ab mn kiya krun jo kasm. Thori h uska kesy kafra krun
Answer: Agar aap ne qasam ki saari islami shartoon ka khayaal rakhte hue khae thi to, to baad men jaan boojh ker us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hon ge, or kaffar bhi dena zaruri hoga, or qasam ko torhne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pet bhar ker khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah ker saken to 3 din musalsal roza rakhen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Maine josh me aake apnay husband k sar par haath rakh k kasam khai thi k tumhari kasam mai ye kaam karungi but den mujhse nahi ho paya tou is ka kya kafaara dena zaruri hai plz answer m very tensed..
Answer: Wo qasam jo jazbaat mai aa kar khai jaey wo durust nahi hoti or is qasam main or bhi sharaet maujood nahi hain, is liay ye qasam batil hay, or is ko poora kerna zarori nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2634).khuda aap ko uloom e aal e muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaaye.
Question: Mujay imam E zamana As ka qasam mila hai k cigarette aj k bd ni piyo gy agr mai ny piya tu kiya ye qasam sahi hai is ka kofara hoga?
Answer: Ye qasam durust nahi hai q k is mai qasam ki sharait moujood nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2633,2634). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamalekum , aghar koi kese majboure se Qasam kale (ya kese sai dar kar) to os ko tor na jayez ha ya nahi
Answer: Aisi qasam durust nahi hai q k qasam ki sharaet main sai hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah khoie maslah no 2680). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar koi mjsy zabardasti kasam khilwaey olad ki tou kya wo pori krna zaruri h ya uska kaffara?
Answer:
Jee nahi aisi qasam durust nahi hai balakeh qasam ki sharaet mai sai aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2634 point 1).
[Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir maine jazbat mai akar quran ke kassam khae matlb gussah mai akar lakin mujhe pata ha mai yeh kassam qaem.nahi rakh sakta yeh toot jaye ge toh eska hal
Answer:
Aisi qasam sahi nahi hai lehaza os qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2634 )
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sawal ye hai k choti umar main bghyr smj k kisi k kehny pe quran pe hath rkh k khayi kasam ko pura na kr skny ka kaffara?
Answer:
Is tarah ki qasam durust nahi hai qasam soch samajh kar pore hoosh o hawaas main apne ikhteyaar sai khaai jaati hai albatta jhoot kaha hai tu us ka gunah milay ga lekin qasam durust nahi lehaaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633).
[Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir m ne quran pr hath rakh k sb family k samne jhoti qasam khai k m Mobile pr bat nahi kr rahi thi jb k m kr rahi thi m bht dar gai thi aur apne parents ki izat b qaim rakhna vhahti thi kya kaffara ho ga ic gunah ka??
Answer:
aghrchah aap nay yeh haram kaam kia hay lekin is say kaffara wajib nahi hota.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2628)
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ye mainy apny frnd se bola. Mainy quran pe halka sa hath rakha k mainy koi bat nahi chupai. Thi tou mai waqai sincere aur aisi waisi koi bat nahi chupai. Lekin ghar mai hazar baten hoti insan zaroori nahi k har bat kisi ko btaye.. Tou mainy hath rakh dia aur bola mainy koi bat nahi chupai aur sincere hn.. Plz mujy btayen kuch ghalt tou nahi kia mainy?
Answer:
Jhoot aik gunah e kabeera hai or is jhoot sai bachnay ka hal ye hai k aap tauria kar len or agar aap ne qasam khaai hai tou aisi qasam durust nahi hai q k qasam ki sharaet mai sai aik ye hai k wo jazbaat main na khaayi jaey balke apne ikhtiyaar sai khaayi jaaye lekin agar aap ne jhoot bola hai tu us ka gunah apni jagah milay ga.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633)
[Updated on 14-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gussa may aa k agr Allah ki ya Quran ki kasam kha k kaha jaye k may yei kam kro gi aur phr ab jb bd may ehsas ho k may yei ni kr skti ya mjy ni krna chahye tu ab kya krna chahye
Answer:
Yeh qasam sahi nahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634 )
[Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salaam ,Mufti Sab agar insaan ye kahy ke main aaj ke baad machli ni pakroon ga laken Allah sy iss baat ka Waada khayal main kahy zuban sy adaa na kry aur Uss waqt wo gussy aur josh main ho aur uss ko ye bhi doubt ho ke waada ka tassawar Kia bhi ha ya nahi...for example agar Allah sy Waada ka tassawar kia bhi ha to an kya dobara machli pakar sakta ha?
Answer:
w.salam
Agar apki murad wada kاrne se Allah se ehad karna hay or apne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla kaha tha k men Allah se ehad karta hun to is ahad per amal na karne ki surat men aap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shariat ki janib se koi hukm nahi (Ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition 35 mafhoom e maslah#2631 2632).
[Updated on 03-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai na ek bandy k bary ma baat ki jo usy pata chal gae to mai na apni beti ki qasam kah li k ma na ya baat is tarh ni ki jab k bad ma ma na Allah sy maafi b mangi ..kia mujy apni is jhoti qasam ka kafara daina hoga ..kun k maira zameer mutmain ni horha
Answer:
Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay, laikin is jhooti qasam khane ki wajah se kafara wajib nahi hoga. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264).
[Updated on 26-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: main ne kisi ikhtelaaf pr apne baitay ki jhoothi kisam khaye k aisa bilkl nhi hai... kya ye kasam ki islam main ijazat hai. kya espr koi kafara banta... please update me... thanks
Answer:
Nahi ye qasam durust nahi or koi kaffara nahi hoga q k is mai qasam ki sharait moujood nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola hai us ka gunah aap ko mile ga or is liye aap par lazim hai k khuda sai tauba karain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 mslah no 2633,2634).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine kasam khai foat hoe bnde ki uska kia kafara hai Or usay us bnde ko koi fark par skta hai ya nai?
Answer:
is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k qasam mai ye lafz bola jaaye k "allah k liye" ...................
is ka koi kaffara nahi hai lekin jo jhoot bola hai uska gunah hoga uske liye laazim hai k aap tauba karein. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri aik freind ne mjhse zabardasti kasam quran ki khilwai k main apna ghar chordon and apni ammi se kabhi baat nhi karon warns woh suicude krlegi, iss baat se ghabra k Maine kasam khali, 2 din se ghar nhi gya hon but yeh kasam mushkil lag rahi hai, kiya yeh kasam jaiz hai aur kiya iss pe laazmi amal krna chahye aur kiya sharai tor pe ammi se baat chorna jaiz hai
Answer: Is tarah ki qasam ki koe ehmiyat nahi hay, aisi qasam batil hay. (Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634)
Question: sir mera sawal ye hai k mene jazbat m aake quran ki qsm khali prrr mjh pta h k m wo kam again kbh na kbh ghlti se krnga pr mene aj toba bh krli h k ab kbh aesi koi qsm nh khaunga to abh jo khai h uska kia krn ,,,,..
Answer:
Jazbaat mai khaail hoi qasam durust nahi hoti.koe kaffara nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2633).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meine kisi se jazbaath me aakar na milne ki allah ki kasam khayi thi...ab mujhe milne parr majboor hona padhraha haii...meri kasam ka kya hoga...mujhe saza milegi..kaffara dena hoga?
Answer:
is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k jazbaat mai na khaai jaaye or qasam kisi haram kaam ki nah ho. lehaza ye qasam durust nahi or is ka koe kaffara nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2633).
[Updated on 09-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A/sw Meri Ammi ne muje peressure me dal kr kuran_e Pak ki kasam de di thi ki Jo juwa type ka photo khelne Wala hota hai hero sab Wala wo touch nhi krna hai aur Maine aj Uss photo ko galti se touch kr liye hai to Kya aap bta de ki mere par Kaffra lajim hoga ya nhi
Answer:
jee nahi is tareeqay ki qasam durust nahi hai or aap per koe gunah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah no 2633,2634).
juwa(Gambling) khelna jaiz nahi hai.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 488, pg # 259)
[Updated on 26-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum maine gusse m aakar Allah ki Kasam kha li k ghar m kisi k liye khana nhi banaungi Lekin ek month Baad khana banai Kasam todne ka kya kuffa ada karna please mughe bataye
Answer:
wsalam. Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam durust nahi hai lehaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634).
[Updated on 05-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alaikum, Mjhy yeh puchna hy "Qasam" k bare me kya hukam hy, agr situation yeh ho k social media py jese whatsapp ya kisi b application me aik banda dosry ko qasam de kr kahe k " tmhy qasam hy meri mjhy block kr do" aise qasam ho jati hy kya?
Answer:
Jee nahi aisi qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition, 41#maslah#2633,2634).
[Updated on 10-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alikum Mera swal ye ha Agr quran per hath rkh k kaha jay k man flan sy bat nhi kron ga Aur phir us sy bt ki jay Tu kia kafara ha Islam man is ki kia haqeeqat ha
Answer:
wsalam.is tareeqay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye (allah k liye...........ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga),is k ilawa jazbaat mai qasam na khai ho wagaira wagaira.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatulah seestani edition 41 maslah no 2633,2634).
[Updated on 29-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main nay masjid main baith kar qasam khaai thi or Allah Taala say ehad kia tha k aynda jhoot nai bolun gaa..... Lekin main nay phir jhoot bola hai..... Ab mjy kia karna chahiye.....?? Please tell me....
Answer:
Agar aap ne qasam ki saari islami sharto ka khayal rakhte huay khai thi to baad men jaan boojh kar us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hoonge or kaffara bhi dena zaruri hoga or qasam ko torne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah kar saken to 3 din musalsal roze rakhen (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition# 41, mafhoom e maslah 2633 34).
[Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi ne quran pay hath rakh k mere liye qasam khai k tm se jhoot nai bolon gi pr wo abi b bol rahi hai, mein kisi tarhan is qasam ko khatam krna chahta hun ta kay uska nuqsan na ho. Matlab k wo agar ab jhoot bolay b to qasam lagu na ho us pay.
Answer:
Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa jazbaat mai qasam na khai ho wagaira wagaira ref tauzeeh ul masail ayatulah seestani edition 41 maslah no 2633 2634
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere ek friend ko uski ammi ne apne sar pe haath rakhwa ke kasam di hai ke wo mujhse na mile...par wo milna chahta hai...kya wo qasam tod sakta hai??
Answer:
is tareeqe ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera shohar mujhse bat bat pe quran uth wata hy . Usne mujhse bola k tum quran uthao . Mene quran utha k jhot boly . Tu me iska kaffara kese ada kru. Pls help me
Answer:
Qasam wo hoti hai jo apne ikhtiyaar sai khaai jaye or us mai deegar sharait bhi hon tou qasam kehlaati hai warna qasam durust nahi hai or is ai kaffara bhi lazim nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai ye gunah e kabeera hai lehaza is k liye taubaa laazmi hai.Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633-2634)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere dost ko unki mummy ne kasam de ki.. Wo kasam khaye ki wo kisi se baat na krre ph pr aur unhe mummy ki baat maan kr kasam leni padi pr mere dost ne ph pe nhi msg me baat ki.. Kya ye kasam Valid hai kya iss Kasam ka Kaffara nikalega.
Answer:
jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634)
[Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]