Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl (142 Questions)


Showing 0- 50 questions from 142 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: MY MUJTAHID IS AAYAT-UL-ALLAH SEESTANI. I WANT TO ASK QUESTION ABOUT JANABAT. JANABAT SABIT HONE KA TARIQA TO YEH HAI NA KE MANI UCHAL KAR NIKLE AUR SHEWAT KE SATH NIKLE. AGAR MANI AISE HI NIKLE KE NA TO UCHAL KAR NIKLE AUR NA HI SHEWAT KE SATH NIKLE KHALI DROP NIKLE TO IS SURAT MAI GUSL-E-JANABAT WAJIB HO JATA HAI YA NAHI. AGAR NAHI HOTA TO YEH NAJIS HAI YA PAK.

Answer: Assalam-o-alaikum
Agar aap ko yaqeen hia key yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga.
Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga
Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 351 and 352

Print

Id:
154
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: HUM KO YEH KAISE PATA CHALEY KE JO RATOOBAT HUMARE BADAN SE KHARIJ HOI YEH KE AYA YEH MANI HAI YA KOI AUR RATOOBAT.

Answer: Salam un Alaikum,
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee.
Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein pehlee aur dosri alaamat zaroori nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: 1.is it allowed for a women on do a intercorse in istehada? 2.if a child becomes balightoday so things which were his milkiayat khums will be wajib the day he becomes baligh or after bologiyat one yr more should passs that the thing is un use then it will be wajib??

Answer: Salam-un-alaikum
1) It is allowed for women to do intercorse in istehada, but if she is in istehad-e-kasira or mutawassita then it is ehtiyat e mustahib to do gusul before intercorse.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 435

2) Na-bailgiyyat key zamanay mein us key paas jo maal tha us par baligh honay key pehlay din ya baad mein koi khums wajib nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 1802

Print

Id:
185
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: kia gas kharij hone se wazoo toot jata hai aur agar gusl-e-janabat ke doran gas kharij ho to kia hukum hai.

Answer: Salam un Alaikum,

Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay.
Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392

Khuda Hafiz

Print

Id:
187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-24

Question: 1. Ghusl-e-juma karnay ke baad wajib ya sunat namaazon kay liye wuzu karna zaroori hai ? 2. Washing powder me inaami scheme main gold tha aur ye sunke mein ne washing powder kharida aur inaam me gold nikla hai is ke baare me kya hukam hai ?

Answer: Gusl-e-Jumma key baad wajib ya sunnat namazoon key liye wuzoo zaroori nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi (Topic of Mustahib Gusl)

Aap us gold ko use kar saktey hein.

Print

Id:
188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: mujhay ghusl-e-janabat ka tarteebi ghusl ka asaan tareeqa tafseel say bayan darma dijiye.

Answer: Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)

Print

Id:
219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: Salaam alaykum, Ghusl janabat ya koi aur wajib ghusl ke baad wazu karna jaeyz hai? khuda haifiz

Answer: Salam un alaikum,

Siwaaye Gusl-e-Istehaza-e-Mutawassita key baqi tamam wajib guslon key baad wuzoo kee zaroorat nahi hay, aur wuzu kiye bagair hee namaz ko anjaam dey saktay hein.

Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe. No. 397

Print

Id:
237
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: salam kya jo adami bhi iesi movie dehkhe jiss sey shewat aati ho to kiya, To kiya jo rutubat body sey kharij ho woo aur jo ahtelaam mein kharij ho woo, dono mein faraq hai ya nahi?because logoo ne dono mein faraq dehkha hai. plz tell me !!!!! (all four mujtahid as above in menu)

Answer: Salam un alaikum,
Baaz auqaat shewat key doraan aisee ratoobat kharij hoti jo mani nahi hoti balkeh mani sey pehlay kee ratoobat hoti hay jisay mazi kehtay hein, yeh ratobat paak hay. Laikin agar shewat key doraan khaarij honay wali ratobat mani ho to phir wo najis hogi aur us key baad gusul bhi wajib hoga. Ehtelaam mein jo ratobat kharij hoti hay wo najis hay aur us key baad gusul wajib hota hay.
Ref: Tazeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 74)

Print

Id:
281
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-29

Question: if a woman gets tahir after midnight (blood of haizz stops after midnight) is it wajib for her to perform ghusl and pray magrib /ishaa or only namaz e fajr is wajib on her ? 2.how will be midnight calculated according to ayatullah khoir.a?

Answer: 1:Kisi uzr ki wajah say maghrib ya isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyaat-e-wajib ki bina par usay chahiye kay subah ki azan say pehlay pehlay ada aur qaza ki niyyat kay baghair namaz parhay (lihaza aap ghusl kar kay (aur behtar ye hay kay ghusl say pehlay wuzu karay) namaz-e-maghrib o isha baghair ada aur qaza kay anjaam dain)...2:Adhi raat ka hisaab awwal-e-ghuroob-e-aaftab say ibtida-e-tuloo-e-aaftab tak karna chahiye.(is bina par maghrib o isha ki namaz ka aakhiri waqt zohar-e-sharee kay 12 ghantay baad tak hay)masalan agar zohar ka waqt 12:30 bajay din main hota hay to maghrib o isha ka waqt raat 12:30 tak rahay ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.472,748.Minhaajus Saaliheen Masala No.134.

Print

Id:
299
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: what is the method of taking bath of the day JUMMA(FRIDAY)?

Answer: Salam un alaikum,
A person should first make a niyyat for Ghusl. Thereafter one should first wash ones head and neck, and thereafter the remaining parts of ones body. It is better that one washes the right part of the body first and then the left part.
And if a person, while standing under the water, jerks each of these parts on ones body with an intention of performing Tartibi Ghusl, it will not be sufficient and the precaution is that one should not content oneself with it.
And if a person washes the body before washing the head, either intentionally, or on account of forgetfulness or because of not knowing the rule, Ghusl is void.
Ref: Tawzeeh ul Masail (English) Aqai Sistani Probe No. 367

Print

Id:
325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-30

Question: my question is about muslim women and sex is it a sinn for a muslim women to masterbate and have an orgasim by her self. also are sexuall toys a sin in muslim religion.

Answer: Yes.Masturbation and have an Orgasm by herself is Haram.Sexual toys also include masturbation which is Haram...Masnooie furooj

ka istemaal Haram hay aur ye Istimna main say hay jo sakht tareen Haram hay.Ref:Siratun Najaat A.Khoie Q.899 Part-1.

Print

Id:
599
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: Salam walekum, please tell me the niyat to recite before gusl(after sexual intercourse)

Answer: A.Sistani kay nazdeek Niyyat is tarah ki jati hay (main ghusl karta/karti hoo QURBATAN ILALLAH).It is sufficient to intend getting nearness to Allah by getting Taharah (means it is not necessary to mention verbally)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.357 & Istiftaas I-51.

Print

Id:
632
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-03

Question: PLease tel me the masail of manstrubation in male.is manstrubation in male to release the sexual tension haram.

Answer: Salam un alaikum,
Its not permissibe i.e haram.
Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Part 2) Ques. NO. 200

Print

Id:
636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: jis per koi ghusl wajib ho ,us ka paseena paak hay ya najis? ager kisi ko bay hosh kiya jay aur wo is baat per razi na ho to kiya hukum hay ,chahay us kay zariey say kisi ko ghusl e mayyet sikhaya jaey to kiya ye sahi amal hai.

Answer: Salam un alaikum,
Jis shaks par gusal wajib ho us ka paseena paak hai. Mazkorah sorat e haal mein beshosh karna jayez nahi hai.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Prob No. 114

Print

Id:
761
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: can we reciet prayers with a mustahab ghusal.

Answer: Namaz kay liye ghusl-e-janabat kay ilawa dosray ghusl aihtiyat-e-wajib ki bina par kafi nahi hain yani in kay baad wuzu bhi karna
hoga.Ref:Istiftaat A.Khaminae Pg.No.71,Q.No.202

Print

Id:
811
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam-o Alikum ,I want to ask abut gushal .Gushal kub wajib hay ?.(napkai ki sorat main) Kai dafa asa ho jata hay kay koi galt ches dekh kar ya soch kar "eraction"(azoo khas)ho jata hay aur bhir napaki niqal jati hay ju kay kaproon per lag jati ..is sorrat main app nay amli toor per tu kisi ko hath bhi nhin lagya hota.(yani koi kam tu nhin kya hota) aur ager app ko yaqeen ho kay app apni us jaga ko ashi trhan say pani kay sath saf kar laytay hain tu bhir bhi gusal karna zaroori hay ? pura jism ka gela karna aur saf karna zaroori hay ? ya sirf us jaga ko saf kar kay bhir sirf Wozoo kar liya jay ?... bary merhbani tafseelan jawb day dain .

Answer: A.Sistani kay nazdeek,Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay kay liye aur aisi dosri ibadaat kay liye wajib hojata hay,laikin namaz-e-mayyat,sajda-e-sahw,sajda-e-shukr,aur Quran kay wajib sajdoon kay liye ghusl-e-janabat zaroori nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.65,Masala No.356...Do(2) cheezoon say insaan mujnib ho jata hay,aik jima aur dosray mani kharij honay say,khwah wo neend ki haalat main niklay ya jaagtay main ,kam ho ya ziada,shehwat kay saath niklay ya baghair shehwat kay,iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho aur aisi soorat main us par ghusl-e-janabat wajib ho jata hay,sirf paani say us maqam ko dhona kaafi nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.62,Masala No.344...Ghusl-e-Irtimasi ya ghul-e-tarteebi main ghusl say pehlay saray jism ka paak hona zaroori nahi hay balkay agar paani main ghouta lagaey ya ghusl kay iraday say paani badan par daalnay say badan paak ho jaey to bhi ghusl sahih ho jaeyga.albatta ye zaroori hay kay jis paani say ghusl kar raha ho wo taharat ki haalat say kharij na hojaey.masalan kur pani say ghusl kar raha ho.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.66,Masala No.371...Jis shakhs nay ghusl-e-janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.68,Masala No.389...Agar kisi shakhs kay badan say koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay ye mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo rutoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur uskay nikalnay kay baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar ib teen(3) alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo rutoobat mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemaar ho to phir zaroori nahi kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust ho jaey balkay agar sirf shehwat kay saath niklay to wo rutoobat mani kay hukum main hogee.Jo rutoobat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt insaan apni sharmgaah main mehsoos karta hay wo paak hay is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye ratoobat wuzu ko baatil karti hay.

Print

Id:
876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Can you please explan in detail how to preform gusal after discharge of semen(mani)..thank you!

Answer: Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main
zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka
kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367

Print

Id:
935
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam walekum mera sawal yeh hai kai agar kisi shaks ko ahtelam ho to kia us kai liye yeh zarori hai kai woh apni bedsheet aur clothes ko wash kare ya sirf gusl -e- janabat karlena hi kafi hai plz reply me soon waslam

Answer: BedSheet ko paak karna wajib nahi hay,aur kapray agar un umoor main istemaal karay kay jis main kaproon ka paak hona shart hay masalan Namaz to wajib hay kay kaproon ko paak karay.Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.

Print

Id:
979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: money pashab kja makam sa karaj hoti ha ya pakahana ka aur kasay sabat ho sakta ha ka ya money ha

Answer: Salam un alaikum
Mani peshab k maqam se kharij hoti hai aur is ki 3 alamat hain
1)Uchal kar nikle 2)Shehwat k sath nikle 3)is k nikalne k baad badan sust parjay
Ref :Prob no 345 Tauzeeh Ayatullah Sistani

Print

Id:
980
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: How can a woman pray during menses, if she wants to at the time of azan / namzaz?

Answer: In makhsoos ayam main Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.Haaiza kay liye mustahib hay kay Namaz kay waqt apnay aap ko khoon say paak karay aur Rooi(Cotton) ka tukra badlay aur wuzu karay aur agar wuzu na kar sakay to tayammum karay aur Namaz ki jaga par ro-baqibla ho kar itni dair tak baithay jitni dair usay Namaz parhnay main lagti hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.76,78,Masala No.448,466.and I-21.

Print

Id:
1043
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Meri mani kharij hoi aur is kay baad main nay ghusl e janabat ghalat anjaam diya ,ab meri pichli namazon aur roozoon kay baray main kiya hukum hay ?

Answer: Agar aapnay ghusl waqian ghalat anjaam diya hay tab bhi aapkay Rozay sahih hain.Laikin aapko Namaz ki Qaza karni paray gee,laikin aap apnay ghusl ka tareeqa batain takay ham aapko bata sakain kay aapka ghusl waqian ghalat hay ya nahi takay ye bataya ja sakay kay aapko Namaz ki karni hay ya nahi.Ref:Istiftaat A.Sistani (S-21)

Print

Id:
1045
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kur pani ki miqdar aaj kal kahisab sa kitni ha or ager wajib ghusal karte waqt pani ke chinten kaproon per lag jayen to kapre pak hon ga?

Answer: KUR,Pani ki wo miqdaar hay jo aisay bartan main aasakay jis ki gunjaish 36 Cubic Balisht ho (1 Balisht ki lambai taqreeban 22cm hoti hay) aur ye taqreeban 384 litres hota hay....Ghusl kay doraan jo pani zameen par girta hay wo pani paak hota hay is liye kapray par agar wo cheentain lag jain to kapra najis nahi hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.14..Mujtahid say poochay gaey sawalaat book-4 Q.No.15.

Print

Id:
1107
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is hair dandruff is count as a barrier in ghusl?

Answer: Agar ye Badan ka hissa nahi hay aur pani pohunchnay main Maanae (Rukaawat) ho to us ko Hataana Zaroori hay.Ref: Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.367.

Print

Id:
1112
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam alaykum mera aik sawal hain ka jab main apni biwi sa pak main telephone pain bat karta hu to mere sharamgah sa pani nikalta hain toda bohat jo ka mani nahi hain to kiya is halat main ghusal-e-janabat muj pain wajib ho jata hain plz answer with details thnxx

Answer: Salam un Alaikum
Ji nahi aap par Ghusl wajib nahi hai(Jo ratoobat Cher Char k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo PAAK hai aur GHUSL bhi wajib nahi hai).
Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No 345

Print

Id:
1128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: my question is that " agar kisii larkay say baat kartay howay rutubat niklay too kia gus e janabt wajib hay ?"

Answer: Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.

Print

Id:
1151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: Is wudhu compulsory after any wajib ghusl or mustahab ghusl for namaz?

Answer: Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay balkay doosray wajib ghusloon kay baad bhi (siwaey ghusl e Istihaaza e Mutawassita) aur Mustahib ghusloon kay jin ka zikr Masala No.634 main kiya gaya hay baghair wuzu kay namaz parh sakta hay,Agarchay Aihtiyat e Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.....Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl..Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684.

Print

Id:
1169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya namaz-e-Jumma kay lia jo Ghsel kiya jata hai us kay baad wazoo ki zarooret hoti hai. Or wo kon kon say Ghosel hain jin kay baad namaz kay lia wazoo ki zarooret nahi hoti.

Answer: Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay balkay doosray wajib ghusloon kay baad bhi (siwaey ghusl e Istihaaza e Mutawassita) aur Mustahib ghusloon kay jin ka zikr Masala No.634 main kiya gaya hay baghair wuzu kay namaz parh sakta hay,Agarchay Aihtiyat e Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.....Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl..Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684.

Print

Id:
1220
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam, agar jusool kartay waqat pani kisi tara "hairs of armpit" & "hairs below naval" ki teh(deep) mein ponoucha diya jaey tu kaya jusool ho jaey ga? wassalam.

Answer: Agar wo baal itnay chotay hoon kay badan ka juz shumaar hotay hon to un ko dhona zaroori hay laikin agar baal baray hoon to is soorat main jild tak pani pohunchana zaroori hay laikin agar inhain dhoay baghair jild tak pani pohunchana mumkin na ho to zaroori hay kay un baaloon ko bhi dhoay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.378.

Print

Id:
1231
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom ,.mustaheb gusel kon kon sey han,our keya mustaheb gusel key bad wazoh ke zarorat baqi rahti ha, ya nahen.walikom salam, hamid , madina gujrat

Answer: Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl...In tamam ghusloon kay baad Aihtiyat-e-Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684.

Print

Id:
1232
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom/ gusley janabet key alawa jo gusel ham rozana kar tey han , iss ka tareeka bata den. our iss ke neayet keya kar ni ho ge walikom slam/ hamid madina.. gujrat

Answer: Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye

hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur

iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf

say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja

sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main

zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say

pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka

kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e

Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main

badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say

pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367

Print

Id:
1306
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Gusal-e-Janabat kay bad wazu ki zaroorat nahin namaz ho jati hai?tu masaah ka kia hukam hai..?kia iski bhee zaroorat nahin?plz answer on my email

Answer: Choonkay MASAH wuzu ka hissa hay ghusl ka nahi aur ghusl-e-janabat kay baad zaroori hay kay wuzu na karay lihaza ghusl kafi hay MASAH ki zaroorat nahi.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.235,389

Print

Id:
1315
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam. Kiya Mustahib Ghosel Jaisay Ghosel-e-Namaz Jommah, Eid, 23 Shab Ramzan etc. kernay kay baad namaz kay liyay wazoo bhi zaroori hota hai?

Answer: Jin ghusloo ka mustahib hona sharaan sabit hay un kay zariye wo kaam anjaam diye ja saktay hain jin kay liye wuzu karna lazim hay,yani ghusl kay baad wuzu karna zaroori nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.636.

Print

Id:
1320
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam. kon kon say Ghusul Sharen Mostahib Sabit hain jin kay bad wazoo ki zarooret nahi hoti?

Answer: Islami Shareat main bohat say ghusl mustahib hain,jin main say chand ye hain.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl...In tamam ghusloon kay baad wuzu karna zaroori nahi hay.(Aihtiyat-e-Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.643,636.

Print

Id:
1322
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal yeih hai ka agar ko e jawan howa aur us ki mani bhi nilalti hai lakin us ko ghusal ka pata nahi tha kay kis tarah kartay hain aur ghusal kay baghir he namaz ada karta raha to ab us ko kya karna chaiyay kya ko e kafara ada karna ho ga

Answer: A.Sistani kay nazdeek us ki namazain batil hain,aur usay tamam namazoo ki qaza karni hogee magar koi kaffara nahi hay.*:Agar usay ghusl kay hawalay say hi maloom nahi tha aur us nay ghusl nahi kiya balkay wuzu kar kay namazain parh lee to wo chahay Jahil-e-Qasir ho ya Jahil-e-Muqassir ho is ko tamam namazoo ki qaza karni hogee.*:Agar usay ghusl kay hawalay say to maloom tha laikin ghusl ka tareeqa maloom nahi tha to agar us nay ghusl is tarah say kiya kay pehlay sar dhota tha to is ka ghusl sahih hay aur agar aisa nahi karta tha to agar wo jaahil-e-qaasir tha to namazoo ki qaza nahi hay aur agar jahil-e-muqassir tha to qaza laazmi hay.....** Jahil-e-Qaasir:Jis kay liye masala maloom karna mumkin na ho...** Jahil-e-Muqassir:Jis kay masala maloom karna mumkin ho aur wo kotahi karay ya jaan boojh kar maloom na karay.Ref:Jadeed Masail Book-2 Pg.No.92,Mujtahid say poochay gaey sawalaat Book-3 Pg.25,Book-1 Pg.No.23.

Print

Id:
1428
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Doran-e-Ghusl e Janat starting main jab sirf SIR aur GARDAN ka hissa dhoya jata hay ,dhonay kay baad ghusl kay starting main hi SIR hi ka kuch hissa na dhoay janay kay baray main shak guzre ! aur sir kay us hissay ko jis kay na dhoay janay ka baray main shakk guzra ho usay dho liya jaey aur phir gardan dholain aur is kay baad badan ko dho liye jaey to ghusl sahih hoga ya nahi ?

Answer: Ghusl Sahih hay.Agar SIR ya GARDAN ka kuch hissa dhoay janay kay baray

main shakk ho to Aihtiyat-e-Lazim ki bina par SIR aur GARDAN dhonay kay

baad badan ko dobara dhona zaroori hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani

Masala No.365.

Print

Id:
1429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Agar Shehwat angaez tasawwurat ya kisi baat main shehwat hasil kartay hoay penis say pani kharij ho jo kay libaas ko aalooda kar day to kiya is soorat main ghusl-e-janabat wajib hota hay ya nahi?

Answer: Jo ratoobat Cher Chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt insaan

apni sharamgah main mehsoos karta hay wo paak hay aur is say ghusl bhi

wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko batil karti hay.Ref:Tauzeehul

Masail Masala No.345.

Print

Id:
1430
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Ghusl-e-Janabat kay waqt agar insaan ko kaseer shak ho,aur wo yaqeen kay marahil asaani say hasil na kar paey kay badan kay parts sahih tarha dhulay hain ya nahi to is kay baray main kiya hukum hay?

Answer: Jab koi shakhs apnay aazaa main say kisi aik uzu ko dhoolay phir shakk karay kay sahih dhoya hay ya nahi to wo apnay shakk ki parwah na karay chahay dosray uzu kay dhonay main daakhil honay kay baad hoa ho ya is say pehlay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.176

Print

Id:
1474
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam Alikoum, Plz yeh fermaein k JINSI KHYALAT k saath jo chand drops AZA-E-TANASUL se kharij hote hain woh pak hain ya GHUSAL-E-JANABAT wajib hai? Buhut shukria. May Allah bless you

Answer: woh rutubat paak hai aur ghusul janabat wajib nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 70, pg no. 25.

Print

Id:
1483
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Aihtilaam kay baad Ghusl-e-Janabat kay waqt wo hissa jo aihtilaam ki wajah say Sperm say najis hoa hay wo paak karna zaroori hay ya nahi ? aur agar masala na jantey hoay is baat ka ghusl sey pehlay khayal na ho kay najis hissa pak karna hay to us kay liye kiya hukum hay ?aur pehlay ki namazoo ka kiya hukum hay.

Answer: Ghusl shuroo karnay say pehlay pooray badan ko dhona wajib nahi,balkay har uzu ko dhonay kay liye itna kafi hay kay ghusl kay waqt paak ho.is bina par agar ghusl say pehlay uzu-e-badan paak ho to ghusl aur namaz dono sahih hay.aur agar uzu ghusl say pehlay paak nahi hay to namaz aur ghusl dono batil hain.aur namaz ki qaza wajib hay.chahay wo masala na bhi janta ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae Q.No.192

Print

Id:
1493
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam agar showar me khare ho kar ghusal kya jaye to wajib hai q k beth kar mujhe wahim hota hai k meri pishab nahi nikal gayi ho jub me halaq main pani dalti ho to jata to hai likin conform nahi hota k gaya k nahi pani anadr tak aur phir me 3 ghont pani bhi pii leti ho jub nakk me pani charhti ho to ander takk nahi pohncta ya ye khyie k nahi ho pata me koshish karti jate hoo magar nahi ho pata mujhe samjh nahi ata me kya karoo me ghusal karti hi rehti ho k sahi hua k nahi app is ka hall plz mujhe jaldi send kar de k me kya karoo dono cheezo ka dua bki darkhuast Allah hafiz

Answer: aam halat mein bhi yeh ikhtiyaar hai keh chahay ghusul bhaith kar karay ya kharay reh kar ya kisi aur position mein ghusul karay. aur jahan tak halaq tak ya naak kay andar tak pani ponchanay ki baat hai to in jago par pani ponchana zaroori hi nahi hai, kyon ke har woh jaga jo jisim ka batin (inner) shumaar ho us ka dhona wajib nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 373.

Print

Id:
1730
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: A.O.A main yeh deryaf kerna chata hoon kay Juma kay din jo gosal kia jata han uss kay bad namaz kay liya wazoo lazmi nahi jasakay wajib gosal kay baad?

Answer: bismehi taala, jee gusale juma ke baad jamaz k liye wuzu karna zaroori nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaal no. 651 & 653)

Print

Id:
1731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA main yeh maloom kerna chata hoon kay koe bhi gusal kerta hoon tu main sab say pehlay saray jisam say chiknayee saf ker kay phir neyat kertahon gusal ki or phir head and neck per pani dalnay kay baad right side phir leftside per pani dalta hoon kia mera gusal ka method sahee han. jo baat mujay hit kerti han woo aik tu yeh kay sir or gerdun per aik saath pani dalna han ya seperate or dosra yeh kay main shower use kerta hoon koe jug etc. use nahi kerta buss musalsal pani dalta hoon aik aik dafa plz answer me kuda hafize

Answer: bismehi taala, aap ka tariqa saheeh he, sar aur gardan ko ek sath bhi dho sakte hain aur alag algah bhi, bas yeh yaad rakhna zaroori he k Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. (ref: tawzeeh ul masail Aqai Seestani (d.b.) Probe No (367 & 380)

Print

Id:
1734
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya miya biwi k hum bister hone k baad miya ka back side say ana magar kerna wahaan say he jahaan say ejazat hai islam may jaiz hai k nahi?

Answer: bismehi taala, miya-biwi jis tarh bhi dono razi ho ek-dusre se lazzat utha sakte hain. haiz ki halt me jemaa karna jaiz nahi he or maqaad me dukhul nahin karna chahiye.(www.sistani.org. topic: ham bistari q.5)

Print

Id:
1744
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya ghusul pani nahne se pehle kartein hai yaa nahnaa poora hone baad kartein hai

Answer: Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)(ghusal se pehle ya baad me nahana zaroori nahi he albatta agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye)

Print

Id:
1756
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asalam.u.aliakum mera sawal ye hai.k jab hum gusule jonabad karte hai.us ke bad hum bakhair wazo nimaz pad sakte hai. kiya gusul.e. junabad ki bad wazi karna chahia.plz jawab zara jalidi di jie.pichli bar b main ne sawal pucha ta.abtak us sawal ka jawab nahi mila muje. khuda hafiz

Answer: w.s. Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389)

Print

Id:
1778
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: MIAN BIVI IKATHAY HOON KAPRAY BHI UTRAY HOON IKATHAY LIPTAY HOON LEKIN INZAL NA HO TO KIA GHUSAL WAJIB HOTA HAY KE NAHEEN

Answer: bismehi taala, do chizo se insan junub ho jata he awal jema aur duwwam mani k kharij hone se (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 351) (junub hone ki surat me gusale janabat wajib hota he)

Print

Id:
1796
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaamun alaikum humbistari ke dauraan agar sirf mard ki mani niklay,to kya biwi per bhi ghusl wajib hoga?

Answer: w.s. agar hambistari ke dauraan uzue tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada aurat ki faraj me dakhil ho jaye to dono mujnib ho jate hain (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.355)

Print

Id:
1846
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: plz tell me niyyat of gusul

Answer: bismehi taala, yeh zaroori nahi k gusal k waqat niyyat kare k wajib gusal kar raha he, balk faqat qurbatan allllah yaani Allah taala ki reza k irade se gusal kare to kafi he.(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.364)

Print

Id:
1877
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: hum bistri karnay kay bad ghusal karna parta hai ager mani na nikle ho to is sorat main ghusal karna partay ga ya nahi

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs jema kare or uzue tanasul supari ki miqdar tak ya us se ziyada orat k faraj me dakhil ho jae to khawah mani kahrij ho ya n ho dono mujnib ho jate hain(ref: tawzihul masail, Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 348) (ghusale janabat karna zaroori hoga.)

Print

Id:
1880
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr koi shatain ke behkawe me aa kar fahas tasveer dekhe aur us ke ek ya do qatre nikel jae to us ke lie gusal farz hai ya phir wazo kar ke namaz par sakta hai

Answer: b.t. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352

Print