Showing 100- 142 questions from 142 questions on this page.
Question: Ghusl kab wajib hota hae?
Answer:
Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62).
1. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
2. Haiz wo khoon he jo umoman har mahinay chand dino k lie auratoon k raham se kharij hota he aur aurat ko jab haiz ka khoon aye to osay haa’iz kehtay hein. Aur haiz se pak honay k bad ghusl e haiz kia jata he.
3. Jab Bachay ka pehla juz maa k pait se bahar anay k waqt se 10 din tak jo khoon aay wo nifaas ka khoon kehlata he. Aur is me bhi ghusl karna hota he.
4. Aurat ko jo khoon aata he agar wo 10 din se barh jay to os ko istehaza ka khoon kehtay hein. Is me bhi ghusl e istehaza karna hota he.
5. Agar koe shakhs kisi aisay murda insan k badan ko mas karay jo thanda ho chukka ho aur jisay ghusl na dia gya ho to chunay walay per ghusl e mas e miyyat karna wajib he.
6. Miyyat ko tarteeb se teen ghusl dena wajib he:
1 :Aisay pani se ghusl dena jis me bairi k pattay milay huay hoon.
2 :Aisay pani se ghusl dena jis me kafoor mila hua ho.
3 :Khalis pani se.
7. Agar koe shakhs mannat manay ya qasam khay ya ehed karay k apnay upper ghusl ko wajib kar le to phir os per ghusl karna wajib ho jay ga magar is me shara,it hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344-558) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 1. Koi Shaks Ghusl Tertibi fix shower or telephonic shower mein karta hai to us ka Gusal sahi hai. 2. Agar ek office mein Washroom saaf karne wala Hindu hai aur hum waha wazu karte hei to us ke liye kya hukum hai? Wsalam,
Answer: jee haan, Tertibi ghusl fix shower or telephonic shower se kerna sahi hay. Laikin shower se ghusl kernay walay ko chahiay k wo sar or gerdan ko mukammal dhonay k baad ehtiyaat e wajib ki bina per apnay sar ko shower k pani se juda karay or is k baad dobara ghusl ki niyat se badan ko shower k paani main lay ker jay or badan ko dhoay. (Ref : Al-Masa,ilul shariyah,Part#1, Ayatullah Khoe (r.a.),pg#50, Masla # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar begair kuch kiye koi sex story sun k ya soch k ya tv p sexy sen dekh kar jo pani nikalta ha wo pak ha k nai ya usk bad gusal wajib ha.
Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah seestani(D.B)Tauzeehul masil,malah#70,354-353)
Question: difference between mazi and mani?
Answer:
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)
Question: can u send me a ghusl ayat if i had got wet in my email id thanking you
Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
Question: ghosal karnay ka tarika compleat
Answer:
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam-u-aalaekum, Ghusle Janabat krte howe jo pani ki cheentey jisam se pani wali baalti ya tab main girti hai kya uss cheenton se balti ya tab ka pani najas ho jata hai ya nahi? jawab dey kr mashkoor farmae.
Answer: Ghusl e janabat k doran girnay wala pani pani paak hota hay.jab tak k is main koe nijasat shamil nah ho.masslan mani ya paishab waghaira.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 114). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ghusl e janabat ki dua
Answer:
Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mara sawal yeh ha k jab ham gusal kar rhe ho to peshab k katre niklne se ya hiwa harij ho jane se gusal par koi asar parta ha yar phir bi gusal ho jaye ga
Answer:
Agar koe ghusl k doran peshab kar de to is ghusl ko tark kar k new siray se ghusl karna zarori nahi he balkeh wo apnay is ghusl ko mukammal kar sakhta he ,is surat me ehtiyaat e lazim ki ki bina per wuzu karna bhi zaruri he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384).
Or agar aap ko yaqeen nah ho k ghusl k doran paishab ya hawa(gas) kharij hoe hay tu aap apnay is ghusl ko mukammal kaain or agar ye ghusl wajib(siwaay ghusl e istehaza e muta,was,sita) or mustahb ho tu wuzu karna bhi zaruri nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 299, 384, 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mara sawal yeh ha k jab ham gusal kar rahe hote ha to during the gusal agar phesab k katre nikal jaye ya hiwa harij ho jaye to gusal ho ga ya nahi yar agar nahi to kia karna chaye jab aap ko sure no ho k peshab k katre nikle ya nahi thank
Answer:
Agar koe ghusl k doran peshab kar de to is ghusl ko tark kar k new siray se ghusl karna zarori nahi he balkeh wo apnay is ghusl ko mukammal kar sakhta he ,is surat me ehtiyaat e lazim ki ki bina per wuzu karna bhi zaruri he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384).
Or agar aap ko yaqeen nah ho k ghusl k doran paishab ya hawa(gas) kharij hoe hay tu aap apnay is ghusl ko mukammal kaain or agar ye ghusl wajib(siwaay ghusl e istehaza e muta,was,sita) or mustahb ho tu wuzu karna bhi zaruri nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 299, 384, 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam ager kisi larki ki dead body mily tu kesy pata chaly ga k woh muslim hai ya non muslim uss dead body ka koi ata pata nahi hai plz answer me
Answer: Har wo mayyat(deead body) jo musalman mulk se milay tu wo zahiran musalman hay or isi terah agar os mayyat ko musalman k ghar se uthaya gaya ho, balkeh ehtiyaat e lazim ki bina agar kafir k ghar k liay yehi hokum(yani os ko musalmaan samajhna) hay jab os mayyat k musalman hone ka ehtemaal ho. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah# befor 303 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa hazrat sb. ghusle janabat mein kano mein geeli ungali phairni hoti he ya duya jata he plz. jawab jaldi degiaga
Answer: Ghusl me agar baal barabar badn bhi un dhula reh jay to ghusl batil he lakin kan aur nak k androni hissoon ka aur har us cheez ka dhona jo batin shumar hoti ho wajib nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 373)
Question: aoa hazrat sb. ghusle janabat ka in real islam kaya tariqa he (molvion ke point of view se nahi) ur ye jo kaha jata he ke ghusle janabat mein pure jism per pani bahana chaheye koi jaga khusk reh gaye to ghusal nahi hoga > ibadaat nahi ker sakte plz. quran ke roh se sahi guide kerein
Answer:
Ans : 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha.
2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi.
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he.
4)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
5)ghusl me agar baal barabar badn bhi un dhula reh jay to ghusl batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #360-365, 357,383, 344 , 356,373) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mani nikalnay kay bachanay ka tareeqa?
Answer:
Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sex ke bad ghusl ki dua ladki ke liye
Answer:
Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Working in Saudi Arabia. Need following:1-procedure of Gusl e mase mayyat. 2- Procedure for giving ghusl to mayyat. 3- procedure for namaz e maayyat. 4-about waseeyat. pl. pl. pl. send article on my mail address in URDU/ENGLISH.
Answer:
1)Ghusl e mas e mayyat karnay ka tareeqa :
Ghusl e mus e mayyat ghusl e janabat ki tarah he aur is k bad wuzu ki zarorat bhi nahi rehti. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah# 519 , 360-365). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/62.htm)
2) Ghusl mayyat ka tariqa :
1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha he
2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein.
1. Aisay pani se jis me baari k pattay milay hua hoon.
2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho.
3. Khalis pani se.
3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qarbat ki niyat rakhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558).
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/66.htm)
3) Namaz e mayyat ka tareeqa :
Namaz e mayyat me 5 takbeerain hein.Aur agar namaz parhnay wala shakhs nechay di gae tarteeb k saath 5 takbeerain kahay to kafi he. Niyat kernay aur 1st takbeer k bad kahay.( اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان محمدا رسول اللہ ) (ASH,HADO AL LAA ILAA,HA IL,LALLAAHO WA ASH, HADO ANNA MUHAM,MA,DAN RASOO,LUL LAH)
2nd takbeer k bad dOrood parhay. (اللھم صل علی محمد وآل محمد)
3rd takbeer k bad kahay ( اللھم اغفرللمومنین و المومنات )(ALLAA HUM,MA IGH,FIR LIL,MOOMINEENA WAL MOO,MI,NAAT)
4th takbeer k bad agar mayyat mard ho to kahay (اللھم اغفرلھذا المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZAL MAYYAT)
Aur agar miyit aurat ki ho to kahay (اللھم اغفرلھذہ المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZIHIL MAYYAT)
Aus is k baad 5th takbeer kahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 598).
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm)
4) Wasiyat :
Wasiyat ye he k insan ta,qeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie.
Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2687-2690)
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/65.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalaelaikum kya biwi ko hambistari kebaad koi ghusl karna padta hai aur agar jasmaani taaluqaat na bane par uske jism par agar mera sharmgaah se nikla liquid lag jae pto use ghusl karna padega? meharbaani karke us ghusl ko karne ka tareeqa bhi bataein shukriya
Answer: Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay jis mai sai aik jima krna (intercourse) hai. aur agar koi shakhs aurat sai jima kray aur azu e tanasul (penis) supari ki miqdar tk ya is sai ziada dhakil ho jae to ye dhokool faraj mai ho ya dubr(back side) aur chahae balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo mujnib ho jatay hain. Aur namaz ya is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat krna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 343,348,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AssalamuAlekum! Dear Sir mey ek Married hoon, Mujhey Maloom Karna hey k Mujhey Qatron ka marz hey, mey so ker uthoon or kapron per koi nijasat na ho lekin ye shak hey ya yaqeen hey k qatra aaya ho ga to kya gussal wajib ho ga? Kya sirf Khayal anet se ya biwi se Kiss kerney se Qatra aaey to Gussal wajib ho ga?
Answer:
1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee.
Mani ki 3 alamatain hain.
i) Shewat key saath niklay ii) Uchal ka nikley iii) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
2) Jo ratubat shawat ubharnay per ya aurat k sath chair char k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta he wo paak he aur os se ghusl bhi wajib nahi hota.aur na hi wo wuzu ko batil karti he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 , 70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KIA SERF SAFED PAANI NEKL AANE SE GHOSAL WAJIB HOTA HE BAGHER KISI KO CHOVE ?
Answer:
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee.
Mani ki 3 alamatain hain.
1) Shewat/ lazzat (Lust) k saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey ki sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg # 27,67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: gozal karnay ka sahi tarika or neyat?
Answer:
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia aurat aur mard k ghusl-e-janabat main farq hai ya nahin agar farq hai to kia farq hai
Answer: Mard aur aurat k ghusl e janabat krnay mai koi faraq nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.A mera sawal yeh hai kai main janabat kay baad jab gusal karta hoon to pehlay nijasat dhota hoon phir wazo karta hoon phir apnay jism par 3 baar pani bahata hoon yahan tak k koi jaga sokhi na reh jae (pehlay right side per phir left side per phir sur per 3 baar pani bahata hoon) kaya mera ghusal ho gaya ya nahi. please jawab dain aap ka bohat shukraya ALLAH HAFIZ.
Answer:
1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha.
2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi.
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he.
4)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
5)ghusl me agar baal barabar badn bhi un dhula reh jay to ghusl batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #360-365, 357,383, 344 , 356,373) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa...main 17 saal ka hogya hun aur meri money nikli hai tou ghusal karne ka tareeqa kya hai? mainkaise pak hunga??
Answer:
1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)
2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383)
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)
3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KAYA KISI MARD YA AURAT KA KISI NA MAHRMA PAY DBARAH QASDAN NAZAR DALNAY PER GUSUL FARZ HOJATA HAI?
Answer: Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) ho jata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa ghusl wajib nhi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ya ghusal kay faraez poray karnay se ghusal ho jata hay?
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zarori nahi ke ghusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar raha he balkeh faqat qurbatan ilallaah yani baargah e alaahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhe gusl ki sahi niyat ke bare me janna hai?
Answer:
Ye zarori nahi k ghusl k waqt ye niyat ki jay k wajib ghusl kar reha hoon bal keh faqat qurbatan illaah yani baargah e illahi me farotni or aajizi k ireda se ghusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr gusal karna zarorri ho aur jism par zakham ki waja se pani lagana mana ho tu kya karna chaayie?
Answer:
Agar badan per zakham ya phora ho to to mukkalaf ko ghusl ya tayammum ka ikhtiar he. Agar wo ghusl ko ikhtiyar karta he aur zakham ya phoray per jabira(patti) na ho to ethiat e mustahib ye he k zakham ya phoray per pak kapra rakhay aur us kapray k upper mussa karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 338)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalam ale kum jab shohar zabardasti har raat ko sex kare aur ghusal utarne ka roz time nahi milta ho kyonki 6 bacchon ke sath orat ko sara waqtghar ke kaam main guzarta ho to koi gunnah hai
Answer:
1)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur is jaisi dosri ibadaat k lie wajib hota he.laihaza namaz o roza or dosri ibdaat k aap ko ghusl kerna wajib hoga,warna aap gunah gaar hongi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)
2) Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) haasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.(tauzee hul masail,Ayatullah Sistani(d.b),maslah #2376)
3) Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or b.v dono k liay haram hay.Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zurari he ke estigfar karay aur kaffara dena wajib nahei he. Agarcha behtar he ke kaffara bhi de. (ref :Ayat ullaha sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#450). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nafas ka gusl kis tarike se kiya jata hai .plz bataye
Answer:
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
Question: Nafas ka gusl kis tarike se kiya jata hai uski kya duwa hai.plz bataye
Answer:
Tamaam wajib or mustahab ghusl ka tareeqa aik hi hay.ghusl e nifaas ka bhi tareeqa waisa hi hay jaisa ghusl e juma ya janabat ka ghusl. ghusl main koe bhi dua perhna wajib nahi hay.
Ghusl ka tariqa:
Sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa(Right) or baad main ulta(Left) hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360)
Question: agar neind me nijasat(mani) ajayeto ghusul jaruri hai? aur uski dua kya hai?
Answer:
Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
Ghusl e janabat ki dua perhna mustahab hay wajib nahi.or wo dua ye hay:
۱- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä
(Allaa humma tah hir qalbee watqabbal sa’yee waj’al maa indaka khairal lee . Allaahummaj al’nee mi’nat taw’wabeena waj al’nee minal mutatah’hireen )
۲- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÇÔÑÍ ÕÏÑí æÃÌÑ Úáì áÓÇäí ãÏÍÊß æÇáËäÇÁ Úáíß ¡ Çááåã ÇÌÚáå áí ØåæÑÇð æÔÝÇÁÇð æäæÑÇð ¡ Åäß Úáì ßá ÔíÁ ÞÏíÑ
(Allaahumma tahhir qalbee wash’rh sadree wa ajir alaa lisaa’nee mid’hataka was’sanaaa alaik. Allaahummjalho lee tahooran wa shifaan a wa nooraa. innak alaa kulle shaiein qadeer.)
(Ref: sistani(d.b),sheh e urwatul wusqa,part#1, maslah#683 ).
Question: aoa,i wan to know tht is secretion before ejaculation pak or napak?kiya us k nikalnay k bad bhi nahany ya kapray badal k namaz perhni hoti hai?aur aurat/khatoon ki secrection k kiya orders hn?
Answer:
1) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or
2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
2) Agar discharge hone se murad vo pani he jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 1. awratoon ke kitne gusool hain or kon kon se? 2. agar awrat ko kisi bina per muni nikalti hai tu gusool wajib ghai?
Answer:
1) Aurton per 7 ghusl wajib hain:
1) Ghusl e Janabat 2) Ghusl e Haiz 3)Ghusl e Nifaas 4)Ghusl e Istehaza 5)Ghusl e masay mayyit 6)Ghusl e mayyit
7)Wo ghusl jo nazar ya qasam waghairah ki wajah say wajib ho jaay.
Or agar chaad ya soraj ko mukammal girhan laga ho or mukallaf jaan boojh ker namaz e ayaat nah perhay yahaan tak keh namaz qaza hojaay tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay keh is namaz ki qaza k liay ghusl karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#344 ki heading).
2) Jee haan, aurto k jism say bhi mani kharij ho tu on per bhi namaz perhnay k liay or aisi hi dosri ibdaat k liay ghusl kerna wajib hojata hay.Wo rutubat jo aurat say shewat k saath kharij hoti hay, agar is had tak ho keh osay inzaal(discharging of semen) or libaas ko aloodah(dirty) kerday,ye aam taur per os waqt nikalti hay jab aurat hijaan e shewat ki intehaa(maximum stage of lust/sex) tak pohanch jay,tu aisi rutubat najib bhi hogi os is k nikalnay per aurat ko ghusl e janabat bhi kerna zarori hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345,356).
Question: please send gusul ki dua in english .so i can read dua in english and menthod
Answer:
Ghusl ki dua : Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mera sawal yeh hai kai kia mian biwi mulaqat kai bad aur ghusal sai pehlay kuch kha pee saktay hain.
Answer: Jee haan,hambistari k baad, ghusl say pehlay khana peena jaiz hay.laikin aisa kerna makhroh hay.haan agar haath monh dhoolain or kulli ker lain tu makhroh nahi hay.or agar sirif haath dhoolain tub hi krahiyat(makhroh) kam ho jaay gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).
Question: suba ko jab ma apni sharwar pa niga dalta hon to wo karak hoe vi hote ha,to ma apni rat pa ghor karta hon to sirf ya pata chalta ha ka sirf money ka oochal na ka amal hoa ha baqi nishaniyan ni hoe to ma is ko money man lon. thank q.
Answer:
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).
Question: my name is sarfraz sir mera sawal ye hai ke shewat ke ane se drops lazmi niklte hai ya kabhi kabhi niklate hai aur aur sir mujhe shewat bohat ziada ati hai aur main bar bar bath room jakar check karta ho ke koi drops tu nahi nikla aur mujhe shak bohat hota hai yani main bohat wahmi ho gaya ho plz iska ka koi tarika bataye ke mera shak door ho jaye i m very thankfull to you
Answer:
1)Wo ratubat jo khabi khabi shawat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71)
2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
3) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345)
4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam-u-Alaikum, could you please tell me the correct way for Ghusal after Menstrual period?
Answer:
1)Aurat k haiz se paak ho janay k baad is per wajib he k namaz aur is jaisi doosri ibadaat jinhain wuzu , ghusl , ya tayammum k saath ada kerna zarori hay. is ka tareeqa ghusl e janabat ki tarah he.
2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
3) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehi ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #456 , 360-365, 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam ale kum janab , meri hone wali biwi ghair muslim hai iss liye ussko ghusl nahi aata , jaise ke ghusl e haiz ki niyat aur aehkaam, kaise anjaam diye jaye , zara mukammal taur par batae. khuda hafiz
Answer:
1)Musalman mard ehl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi kar sakhta. Laikin yahoodi aur essai auratoon se mutaa karney me koi haraj nahi he aur ethiat ki bina per un se daimi aqad na kia jey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)
2)Aurat k haiz se pak ho janay k bad is per wajib he k namaz aur doosri ibadat k lie jo wazu , ghusl , ya tayammum skar k baja lana chahaein ghusl karey aur is ka tareeqa ghusl e janabat ki tarha he.
3) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
4) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #456 , 360-365, 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mein apni girl friend se bath kar raha tha`` khuch hansi mazak kya aisi hi` mera koi ghalat erada nai tha. bulke ek serious topic pe bath ho rahi thi. khuch der bad aise mehsos hoa jaise koi qatra baher aya ho` bath room ja ke dekha tou ek mamoli sa qatra tha kya roza makhro ho gea hai`` aur woh mani kum lagti thi...
Answer:
1) Wo ratoobat jo khabi khabi shehwat abhrney per mard k maqam e peshab se kharij hoti he usi mazi kahte hein wo pak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70)
2)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).
Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei Q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir assalam o alikum mein apne ghusal ka tareqa neche biyann kar raha ho mujhe yeh baraen kya yeh drust hai plzzz sub se pehle mein kuli karta ho aur gale tak pani pohanchat ho`` es ke bad nak mein pani dalata ho aur phir sara jism dho leta ho es ke bad dono bazon ko kohni tak dhota ho phir azae tanasil ko dhota hoo phir niyat karta ho paksaf karne ki jo shuru mein bi karta ho es ke bad wazzoo karta ho aur jism per 3 bar pani bahata ho kya yeh tareeqa sahi hai plz jawab zarroor digea ga
Answer:
Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Aap ka bayaan kiya gaya tariqa drust nahi hay durust tariqa darj zail hay:
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).
Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)
2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 383) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ghusal ka tareqa tatib war baten ke pehle kya karna hai us ke aur esi tarah???
Answer:
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)