Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ke Ahkam (312 Questions)


Showing 100- 150 questions from 312 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
14801
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A i want to ask during fast can we apply balm chap et etc on lips kiun k garmi k wjhaa say mere lips phat rhey hain

Answer: Lips par dawai lagana jaiz hai lakin agar wo dawai halaq mai chali jae to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1554-64) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14803
Mujtahid:
Date:

Question: SLAM AP KO MERA SAWAL YE HAI KY ROZY KI HALAT MAIN EHTLAM

Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14809
Mujtahid:
Date:

Question: agr rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu kya roza toot jaye ga? Aur kya agr raat ko ehtalaam ho jaye tu sbha bghair ghusal k roza rakh saktay hain?

Answer: 1)Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.
2)Aazaan subah tak jaan boogh kar ghusl e janabat na karna roze ko batil kardeta hai. (agar raat me ghusl janabt wajib ho jaay fajar k waqt se phele tak ghusl karna zaroori hai,).
3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab keh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571, 1553, 1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14858
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum , Kiya fajar ki azan ke waqt sher khaya ja sakta hai k nahi aur kin sharayet main kha sakta hai , Shukriya

Answer: 1-Rozay daar k liay zarori hay k Azaan e subh(fajr) se maghrib tak 8 chezoon se jo baad main biyaan ki jain gi perhaiz karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # before 1531).
2-Jab roze daar khana(food) kha reha ho agar usay maloom ho jaay k subah(fajr) ho gae hay to zarori hay k jo luqma mooh (mouth) main ho usay ugal day. Aur agar jaan boojh kar wo luqma nigal lay to us ka roza baatil hojaay ga aur kaffarah bhi daina hoga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1555). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14875
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam O Alaikum, Mera Question ki roze ki halat mein munh mein thuk bahut aata hai to mein ise andar le sakta hun(aur agar jyada ikattah ho to iska kiya rasta hai) iske masayal meharbani kerke btaye.

Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14889
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, Sir mera swal ye hy k agar ko bimar ho roza na rkh sky tow kia koi us k liay roza rkh skta hy agar han tow kaisy?

Answer: Agar koe shaks kisi uzr( beemari) ki wajah se ramzan main rozay nah rakhay or ramzan k baad oska uzr door ho jay or wo aaindah ramzan tak amadan rozo ki qaza nah bja lay tu zarori hay k rozo ki qaza karay or har din k liay aik mud( 750gm) ta,aam bhi faqeer e shar,e ko day.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1676) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note : zinda shaks ka roza koe dosra shakhs nahi rakh sakta hay.

Print

Id:
14929
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam 0 Alikum ager rat main bivi ky sath janabt ki jay ramazan main to kia sahri kar ky roza rakh sakty hain please tafseel sy bataye ga

Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.
2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594)

Print

Id:
14957
Mujtahid:
Date:

Question: Ramza main hambestri ka baad gusal subah kab tak kry.

Answer: Ramzan mai roza rakhnay k lie waqt namaz fajar se phele ghusl janabat karna zaroori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1591)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14966
Mujtahid:
Date:

Question: rozay me mehandi, oil,or cosmatic use krsakty han?

Answer: Jee han ye tamaam cheezain istemal kar saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15046
Mujtahid:
suni Date:

Question: agar azan sun kr bhi roza late khola jaye kia roza makhroh hota hai?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Rozay dar k lie mustahabb hay k roza iftar karnay sai pehlay maghrib aur isha ki namaz parhay lakin agar koi doosra shakhs os ka intezar kar raha ho ya osay itni bhook lagi ho k hozoor e qalb k sath namaz na parh sakta ho to behtr ye hay k pehlay roza iftar karay lakin jahan tk mumkin ho namaz fazilat k waqt may hi ada karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1720)

Print

Id:
15110
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-Alaikum muhtram mera swal ye hai k kia Ramzan k maheena mein berozgar yani jo log roza ni rakhte unko din k time mein khana sale krna chahye kyunk mera hotel hai or mera is k ilawa koi zariya muash ni hai.kch log mje kehte hain k tum Haram kaam krte ho.please reply me as early as possible

Answer: Ramzan me din k waqt ehteyat wajib ya hai k wo apna hotel na kholain (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat ,roza , ques # 163 pg # 81) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15123
Mujtahid:
Hanfi Date:

Question: Rozay Mai bhool k dawai Mila pani p na

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Agar roze dar galte se kohe chease khale ya pi le to is ka raza batil nahe hota . (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1556 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15131
Mujtahid:
Ayatullah Sestani Date:

Question: AOA,ayam e Ramdhan mey husband & wife humbistari kertay hain aur neyat karain kay sehree say peghlay gusal etc. Laikin, neend ka galba honay ke waja say sehree may nahe uth sakhe aur jub uthay to waqt-e-sahar guzray 2 ghantay ho chukee thay, phir wo foree gusal kerlain aur khana turq kerain to ye roza sahee mana jaee ga? Jazakallah.

Answer: Agar kohe sharks ramzan ki kise raat junub (ghusal janabat wajib )ho aur yaqeen ya itmenaan rakhta ho k agar sogaya to subah ki aazaan se phele bedaar ho jaay ga aur is ka musmam irada ho k bedaar hone k baad ghusal kare ga aur is irade k sath so jay aur aazaan tak sota rahe to is ka roza sahe hai . (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1600) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15134
Mujtahid:
Suni Date:

Question: Sir me ny roza rkha aur fjr k namaz k bad so gya subha jb utha to ethlam a gya tha. kya me us wqt gusal kr skta hn ya kse aur wqt?

Answer: Agar kise roze daar ko din me ehtelam hojaay to is per foran ghusal karna wajib nahe .(yane din me jab chai ghusal kar le. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1605 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15165
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam 0 Alikum. Mufhti sahab hum bohot badi pareshani me hum handicapt hai hame baitne nahi ata kya aap hame bata sakte hai ke es halat me roza rakh na zaroori hai.Plz rpy.

Answer: Agar roza rakhna aap k lie shaded taqleef ka ba’is ho to aap par roza rakhna wajib nahi hai lakin zaroori hai k har rozay k badlay aik mudd toam yani gandum kisi faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15170
Mujtahid:
Allama Sustiani Sb Date:

Question: Agar dant (tooth) sy khoon nikly ya gums main sy tu kia roza makrooh / batil ho jata hai?

Answer: Dant (teeh) se khoon nikalne se roza batil nahe hota hai.(laikin is khoon ko bahar nikal deya jaay ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15171
Mujtahid:
Date:

Question: kai rozay ki dowa na pharny say roza ho jata hai ?

Answer: Rozay ki dua perna zarori nahe hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15301
Mujtahid:
ASLAMOALIKUM Date:

Question: A.A. SIR ME JAN.NA CHATA HU K RAMZAN MUBARAK ME SHOHAR OR BIVI KO KESY RHNA CHYE MATLAB KOI PARHEIZ?YA WO APAS ME PYAR KR SAKTY HA?ALAWA ROZY KI HALAT

Answer: Ramzan Mubarak main faqat rozey ki halat main shohar or bivi hambistari or mani nikaalnay k qasd se cheerh chaarh nah karain. Roza mukammal honay k baad or roza ka waqt shuru honay se pehlay shohar or bivi tamaam jinsi ta,aluqaat qaaim ker saktay hain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #before 1531, 1553,1576). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15336
Mujtahid:
Date:

Question: A.o.A sir aghar rozy ki halat main ihtlam ho jay to kia roza makroh ho jata hy? is ka kia hal hy? plz rply.I a very thankful to u.

Answer: Din k waqt mai ehtilam sai roza batil nahi hota hai.aur jisay ehtilam ho is ka farz hai k wo namaz k lie ghusl karay . qozay sai is ka koi taluq nahi hai. (Ref : Aqa sistani d.b. jaded fiqhi masail masla # 100, pg # 88) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15338
Mujtahid:
Aghai sistani Date:

Question: Assalamalaikum.my sister lives in norway n they hav to keep roza for 21 hours which is too difficult for her.esi jagahon me jahan din bahut lambe ho to kya hukam hai?jazakallah

Answer: Agar koi musalman aise mulk(county) me re raha ho jaha din 23 hours ka aur raat 1hours ki ya is ka asks ho to is per wajib hai k agar qudrat rakhta ho to ramzan k roze rake aur agar qudrat na rakhta ho to ramzan ka roza saqit hai aur agar baad me qaza baja lana mumkin ho, agarchah is k lie dosray mulk jana peray to lazmi tour par qaza baja lay aur agar qaza baja lana mumkin na ho to fi roza fidia (750 gm aata ,gundum)(sherie faqeer) ko dain. (Ref : Aqa sistani d.b. jaded fiqhi masail masla # 103, pg # 88) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15374
Mujtahid:
Date:

Question: asslamualekum,, sir aap mujhe ye batayen ke agar koi raat ko musterbate kare or subeh uth kar naha le to kya uska roza jayez hoga...yaa agar musterbate karne se roza nahi hoga

Answer: 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253)
2)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.
3)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur janta ho k agar soe ga to subah tk bedar na ho ga ehtiyat e wajib ki bina par osay begair ghusl kiay nhi sona chahea aur agar wo ghusl krnay sai pehlay apni marzi sai so jae aur subah tk bedar na ho to is ka roza batil hai aur qaza aur kaffara donoo wajib hai.
4)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur yaqeen ya etminan rakhta ho agar wo so gya to subah ki azan sai pehlay bedar ho jae ga aur is ka pakka irada ho k bedar honay k baad ghusl kray ga aur is iraday k sath so jae aur azan tk sota rahay to is ka roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591-1600)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15449
Mujtahid:
Date:

Question: Mera Q? ye h k meri ramzan k month me night shift h kam ki aj raat jb me sehri se ak ganta phle gr aya to me ate he so gya or pher zuher ki namaz k wqt utha to me ne sehri b nai ki to uthe he mene rozy ki niyat kr ki to is doraan kya mera roza jaiz h ya nai???or kya perfioums ya koi khusboo etc. lgane se roza toot jata h??????????

Answer: 1-Jo shaks ramzan k rozay ki niyat kiay baghair azzan e subah se pehlay sojaay or agar zohar se pehlay(namaz e zuhar k awwal waqt se pehlay) baydaar hojaay or rozay ki niyat karay tu oska roza sahi hay or agar zuhar k baad baydaar ho tu zarori hai k ehtiyaat kartey hoay qurbat e mutlaqah ki niyat se baqi din khud ko roza batil karney wali chezon se bachaay or is din k rozey ki qaza bhi baja lay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1535)
2- Ramzan k poray mahinay k rozay ki niyat chand raat ko aik sath ki jasakti hay.or har raat ko niyat ko dohrana bhi laazmi nahi hay.or rozay niyat zaban ya dil se guzaarna zarori nahi hay balkeh ye irada kerna kaafi hay k khuda k hukum ki baja aawari or zillat k izhaar ki khatir roza rakhoon ga. ( ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #977)
3- Perfume or khushbo laganey ya soongnay se roza batil nahi hota . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15529
Mujtahid:
Date:

Question: ya ali a.s madad mera sawal hai ke aaj roza 7:20 par khulay ga to aazan 7:20 khtm kar di jai ya 7:20 mnt pe shuro ke jai plz ans.

Answer: Maghrib ki azan ka waqt hi rozey k khulny ka waqt hota hai pas 7:20 pe azan di jay gi. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1531 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15532
Mujtahid:
muslim Date:

Question: kia ramzan ki raton me sohar apni bivi se humbistari kar sakta hy?

Answer: Gee haan , Q k faqt rozey ki halat main humbistri karna rozey ko batil kardeta hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 ).

Print

Id:
15586
Mujtahid:
Date:

Question: Rozy ki halat m ser p khasab laga sakty h KIA plz juldi answer Di jiy ga

Answer: Jee haan, rozay ki halat main khizaab laga sakty hain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553,1629 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16073
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Agar doctor kisi mareez ko roza rakhnay sai mna karay magar mareez khud samajta hai k roza is k lie nuqsan day nhi hai to kia krna chaheay?

Answer: Roza rakhna chaheay. (Ref : Jaded Masail Part # 2, Ayat ullaha Sistani d.b. pg # 139) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40168
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: ASA, janab agar roze ke waqt ahtelam ho jaaye to kya karna chahiye. 2) agar hum paak h or hm najis kapde pehen le to kya hme naha kar dobara paak saaf hona padega?

Answer: 1)Agar rozay ki halat me ehtilam ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571)
2)Najis kapray pehannay k baad agar najast aap k jism tk muntakil ho jae to badan najis ho ga aur jo hissa najis hua ho faqat os hissay ko hi paak krna ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
42911
Mujtahid:
Muslim Date:

Question: AoA, Meri Wife ney Nafley Rozey ki niyyat ki aur Chasht k waqt Haiz agya, too may na kha k Roza Toor doo aur kha pee loo, Is Rozey k barey main batey k kia dobara rakhna ho ga aur neyyat be bata dai, Nihaney k baad bhi us ney nafli rozey rakey hai kia ye us rozey k liyee qabool ho ga ya qaza rozey ki , aur aisi halat mai kana peena drust hai jaisa k Ramazan main mana hai

Answer: Agar kisi aurat ko rozay ki halat mai din k waqt haiz ka khoon aa jae to roza batil ho jata hai. aur mustahab rozay ki haiz sai pak honay k baad qaza bhi nahi krni hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1612)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47568
Mujtahid:
aqa sistani Date:

Question: mera sawal ye hai mein nei ramzan ka qaza roza rakhney ki niat se sehri ki or azan se 15 minutes pehley ghusl e janabat kerney k liye chali gae. jab ghusl ker chuki or time check kia to 3 minutes azaan se ooper ho chuke the , kia mera roza batil ho gaya.

Answer: ager ap fajar tak jaan booj ke janabat ki halat main rehe ho (masalan gusal pehle kar sakti thi magar nahi ki ya pata tha ke 15 minute main gusal nahi kar pain gi phir bhi tayammum ki jaga gusal karne main mushgool ho gai) to ap is din roza nahi rakh sakti,
Or ager jaan booj kar na ho (masalan ap ko pata tha ke fajar main 15 minute hain or ap in main gusal se farig ho gaain gi) to is din ka roza rakh sakti hain or roza sahi hai, agerche ke ehtiyaat ye hai ke is din roza na rakhain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1592 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
48462
Mujtahid:
sayatullah sistani sahab Date:

Question: Hum sunnato roza me roza kaza ki niyat se rakhte hai jisse kaza bhi bhar jata hai aur sunnati roza ka sawab bhi milta hai. Kya ye sahi hai. Aur hamare roza kaza hai to kya hum adhe din me sunnati roza khol sakte hai?

Answer: Agar qaza rozay kisi k zimay hon to wo mustahab roza nahi rak sakta hai aur mustahab rozay ki niyat karna jaiz nahi bal k zaroori hai k wo qaza ka irada karay aur agar wo qaza roza rakh lai to osay mustahab rozay ka sawab bhi milay ga. Aur jis shakhs nai ramzan ka qaza roza rakha ho wo is rozay ko zohar sai pehlay tor sakta hai laikin agar qaza ka waqt tang ho to behtr hai k roza na toray. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # roza, sawaal # 90, pg # 53) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1544-1671)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48746
Mujtahid:
Date:

Question: Agar kisi shakhs ki tabiyat kharab ho magar woh roza rakhna chahta ho to.. wo subha kitny bjy tk rozy ki niyat kar skta hai ????

Answer: Ramzan mai rozay ki niyat ka aakhri waqt aik aisay shakhs k lie jis ki tawajah ho, azan e subah sai pehlay hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1533)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48753
Mujtahid:
Date:

Question: asslam o aliekum mera sawal yeh k meray dada ji ki umer 100 saal se uper hai or wo ab buhat kamzor ho gaye hain bimar b rehtay hain.ab ramzan main wo rozay nai rakh saktay.kia unki jaga koi or rozay rakh sakta hai ya hum kisi maskeen ko hadiya de dein? aik rozay k hisab se hadiya kitna dena ho ga?? or kia unki ulaad main se b koi unke liay yeh rozay rakh sakta hai?? please reply me

Answer: Jo shakhs bhurapay ki wajah sai roza ni rakh saktay ho un par roza rakhna wajib nahi hai aur na hi kisi aur ko is k rozay rakhnay hain aur na hi isi faqeer ko kuch dena hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1696)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48847
Mujtahid:
Date:

Question: mai pregnent ho aur kya muj per rozza maff hai.? kya mai roza rekh sakti ho.

Answer: Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho yani wo pregnant ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay aik mudd toam(750 gram gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48848
Mujtahid:
Date:

Question: iftiyar ke thodi deer pehile mangigaye dowa khubul hoti hai aise kahte hai kya ye sach hai ? hai toh ap please dow like ke bhje.

Answer: Ramzan wo mahina hai jis mai Allah nai ham musalmano ko apni mehman nawazi mai bulaya hai is mahinay mai aamal qabool kiay jatay hain aur dua manzoor ki jati hain aur iftar k waqt ki jo duain hain un ko parhna chaheay ta k sari dunya k rozaydaroo jitna sawab milay aur duain aap ko mafatihul jinan mai mil jain gi mafatihul jinan kitab k lie is link ko copy kar k address bar par paste karain. http://www.momin.com/urdu/Books/Mafateh-ul-Jinan-9/mahe++ramadan+ki+den+ki+amal-756.html (Ref : Mafatihul jinan )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48853
Mujtahid:
Date:

Question: AoA mera sawal ya hai k agr koi roza rakhna chahata hai lakin sehri k waqt wo kisi waja se nahi uth pata tu kea wo sehri kiyay roza rakh sakta hai.

Answer: Sehri khana tark nahi karna chaheay, agarchah aik khajoor aur aik glass pani hi q na ho albetta sehri karna wajib nahi hai. aur bagair sehri k roza ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48919
Mujtahid:
Date:

Question: roza kis umar me rakhna farz he?

Answer: Balig honay k baad tamam ibadatain wajib ho jati hain aur larka jab chand k hisab sai 15 saal puray karay balig ho jata hai is k alawa jab bhi mani kharij ho jae gi larka balig ho jata hai aur naaf k nichay sakht baa lug jain to bhi larka balig ho jata hai laikin larki k balig honay ki nishani ye hai k wo chand k hisab sai jab 9 saal puray kar lai balig ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2215)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48953
Mujtahid:
Muslim Date:

Question: Mera sawal yeh ha keh hum niyat karta hain keh "hum kal ka roza ki niyat karta hain" mager roza tou hum aj rakh raha hien es k bara mein batien??

Answer: Agar rat sai rozay ki niyat kar k sotay hai to insan ye hi niyat karay ga k mai kal roza rakhoon ga ya kal k rozay ki niyat karta hon laikin rozay ki niyat dil sai ghuzarna ya zaban sai kehna zaroori nahi hai bal k is ka irada karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1531)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48973
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: 1 shaks bilkul roza rakhne k qabil nae hai to wo 30 rozo ka kaffara 1 ramzan ko de skta hai kya ???????

Answer: Jo shak bhurhaphe ki waja se roza na rakh sakta ho ya roza rakhna us k lye shaded takleef ka bais ho us per roza rakhna wajib nahi hai lakin doosri surat mai zaroori hai k har rozay k badlay 750gram toam yani gandum kisi faqeer ko dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48974
Mujtahid:
any Date:

Question: Roza ki halat main under shave ki ja skti hai ya nai

Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48976
Mujtahid:
Date:

Question: agar roze ky duran ehtilam ho jae to ghosl karna chai ya nemaz parskty hain

Answer: Agar rozay k doran ehtilam ho jae to roza batil nahi hota hai laikin namaz parhnay k lie pehlay ghusl e janabat karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553, 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49042
Mujtahid:
Hanfi Date:

Question: SAlaam. Kya hamila Aurat..roza tod sakti hai? Kya Hamila aurat qaza kar sakti hai? Fi AManillah

Answer: Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay 750 gram (gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49043
Mujtahid:
Date:

Question: salam mera sawal yeh hy k me ramzan me traweh nahi parti hu kya mera roza qubul hoga? Plz mjy iska jawab jald djye

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jaffaria k mutabiq taraweh parna bidat hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49120
Mujtahid:
--------------- Date:

Question: Asalam wkum....... My Question is: Roze ka rakhna aur pora karna Quarn M ata hai k According to Quran "Khao aur Pio Yaha Tak k subha ki safeed dhari rat ki siya dhari se alag nazar aane lage phir roza rakh kar rat tak pora karo. . . . .Quran to bta raha hai k roza rat(Lail) tak pora karo nake maghrib tak yaha ye sb log to roze torh rahe hai nake pora kar rahe hai.....! ap kia jawab denge According to Quran....

Answer: Quran majeed mai surah Mubarak Baqra surah # 2 ki ayat # 187 mai lail ka lafz istemal hua hai aur wazeh rehay k guroob e aftaf ko lail nahi kehtay hain lail tareeki ka nam hai lehaza iftar mai itni dair karni chaheay k rat ki tareeki cha jae. (Ref : Anwar e quran pg 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49135
Mujtahid:
Date:

Question: roza ke haalath me jaan chale jane ki tarha musibat aaye tho kya hum roza thod sakthe hai?

Answer: Jis shakhs k lie roza rakhna shaded takleef ka bais ho is par roza wajib nahi hai laikin zaroori hai k har rozay k badlay 750 gram gundum ya is sai milti julti cheez faqeer ko dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1696)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49177
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Lakri par rozay kab wajib hotay hain?

Answer: Larki 9 qamari(chand waly) saal puray karnay k baad balig hoti hai. (jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz, roza aur dosray sharie ahkam wajib ho jatay hain)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49213
Mujtahid:
Date:

Question: fajar ky azan sun k roza band karne se ,kia roza nahe hota ? jesy ko sehr kar raha ho aur azan ho jae tu kia us ka roza nahe ho ga ?

Answer: 1)Pehli baat to ye zehan mai rakhain k roza rakhnay k lie jo waqt hai wo namaz e fajar ka waqt start honay sai start hota hai azan ka koi aetibar nahi hai q k azan aam tor par waqt par nahi di jati hai wo kuch dair k baad di jati hai. Is lie roza band karnay k lie aap azan ko meyar na banain bal k waqt ko dekh kar roza band karain. Is k alawa ye yaqeen hasil karne k lye k tamam waqt me aap roze se rahain hain zaroori hai k khuch dair waqt fajar se phele aur khuch dair magrib k baad aise kaam karne se perhaiz karain jin se roza batil hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1531 )
3)Reha aap ka masla to agar ye yaqeen hasil ho jay k waqt namaz fajar k baad khana khaya hai to is roze ki qaza karna zaroori hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, hissa ,roza, sawaal # 6, pg # 19) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49262
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Kisee kisam kay injection or galcuse lagany say roza Toot Jat hay????

Answer: Injection or drip se roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1557 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49328
Mujtahid:
nil Date:

Question: dhod pilany wali maan k rozy k mutalik btaiy. roza raky ya chody? or doran e roza dhood pila skti he kia hukm he ?

Answer: Jo aurat bachay ko doodh pilati ho aur os ka doodh kam ho agar os ka roza rakhna khud is k ya doodh pinay walay bachay k liay muzr ho to os aurat per roza rakhna wajib nahi hai aur zaroori hay k har din k badlay aik mudd ta,aam(food) faqeer ko day aur in rozoo ki qaza kerna zarori hai. Lakin ehtiyaat e wajib ki bina per ye hokum sirf is surat mai hai jab k doodh pilanay ka inhesaar isi aurat par ho, lakin agar bachay ko doodh pilanay ka koi aur tareeqa ho maslan kuch auratain mil kar bachay ko doodh pilaein ya isi doodh pilanay mai feeder (feeding bottle) ki madad bhi lain to aisi surat mai is hokum k sabit honay mai ishkaal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1700) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49343
Mujtahid:
yes Date:

Question: mane roza ki niyat ki or ma fajir ka baad khlne chala gaya.ab 3,4 gante baad mera mou sook raha ha piyas ki talab ha,,,kiya ma pani pi skta hn...

Answer: Insaan kamzori aur naqahat ki wajah se roza nahi choorh sakta hay laikin agar kamzori is had tak ho k umoman bardaash nah ho sake to phir roza chorhne me koe haraj nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1564). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49350
Mujtahid:
Date:

Question: sir g roze main ghusal kaise karna chahi or moo main pani kaise dalna chahiye

Answer: Ghusl me monh me pani dalna zarori nahe hai. (ref: ayatullah sistani(d.b),tauzee hul masail, maslah # 360). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print