Showing 200- 250 questions from 471 questions on this page.
Question: Ay mery qaid khany k sathi....(single) ko arabic men kya kehty hain.....??
Answer: Ay mairay qaid k sathi ko arabi main is terah kahain gay.(يَا صَاحِبِيِ السِّجْنِ). Update on dated 05-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aaytul kursi ki ayat quraan mi kis surah me hai , aur kaunsi ayat hai ??
Answer: Ayatul kursi sorah e baqra ki ayat# 255 ko kehte hain, or namaz e wehshat main ehtiyat e lazim ki bina per ayatul kursi ko ayat#255 se 257 tak perha jaey. (Ref: Ayatullah sistani d.b, minhajus saliheen, part#1, maslah #964). Update on dated 11-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: wo konsi sorat hai jis main do baar bissmillah aya hai
Answer: Sorah e naml main do baar bismilla aya hay. (Ref: http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm ). Update on dated 11-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wo konsi sorat hai jisme ALLAh k azab se bar bar daraya gya hai? Ya jo mukammal ALLAH k azab k barey men hai?
Answer: Sorah e qamar main azab se bar bar daraya gaya hay.(Ref: sorah e qamar, sorah #54). Up to date: 11-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Dajjal aur yajooj majooj ka zikr quaran pak ki kis surah me aaya hai
Answer: Yajooj or majooj ka zikr sorah e kahaf ki ayat#94 main hoa hay, or sorah e ambiya ki ayat#96 main hoa hay. Dajjaal ka ahadees main zikr hay, quran main zikr nahi aya. (Ref: Quran). Up to date: 17-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran pak ki who knsi ayet h jis main yeh zikar h k ak roh dunya main 84 bar ati h
Answer: Quran main aisi koe ayat nahi.Up to date: 11-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran mai kitni bar Quran word aaya hai
Answer: Quran mai 70 baar Quran ka lafz aaya hay .( http://www.mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm ) Update on dated 03-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran-E-Majeed Me Allah Ta’ala Ne Kaun Si Ek Surah Nazil Farmayi Jis Ke Naam Ka Maa\'na \'\'Shehed Ki Makkhi (Honey Bee)\' Hai
Answer: Wo sorah quran majeed main Sorah e nahl sorah#16 hay. Update on dated 04-28-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran. Mein kitni Ayat Ahkam ke mutalliq hai.
Answer: Quran main 500 ayaat ahkaam k muta,alliq main hain.(Ref: http://thecareer.pk/2014/09/islamic-general-knowledge-information-about-quran/ ). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran pak ma any waly sajdy ka ada krny ka teika
Answer: Quran ka wajib sajda kerne k araday se paishani zameen per rakhi jaey chahay koe zikr nah bhi perhay tab bhi kafi hay or zikr ka perhna mustahab hay.
Question: QURAN SHARIF KI VO KONSI SURAT HAI JO LAFZE \'SURAT\' SE SHURU HOTI HAI?
Answer: Sorah e noor wo sorah hay jo lafz “Sorah ” se shuru hoti hay. (Ref: Quran e kareem: surah#24). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Surah Yusuf ki kya fazilat hai
Answer: Sorah e yousuf k fazael: 1- Is sorah ki tilawat kerne wala qiyamat wale din jamaal e yousuf a.s ka huqdaar hoga. 2-Is sorah ko likh ker ghar main 3 din rakhne or phir wahaan se utha ker ghar ki bahar wali dewaar main chupa day k kisi ko maloom nah chale tu munasib kaarobaar ki paishkash aey gi. 3-Is sorah ko likh ker peenay se wusatte rizq hoga. 4-Is sorah ko likh ker paas rakhne se dushman per ghalba hasil hoga. 5- Is sorah ki tilawat se sukraat e maut k waqt asaani hogi.(Ref:Taskeen e rooh, pg#121-122)
Question: assalam o alaikum warahmatullahi wabarakatahu.,mera ek bahot ahem sawal he kya quran ki ayaat ka urdu tarjuma padhne se utna hi sawab milta hai jitna ke arbi me padhne se.aur kya kisi ayaat ka urdu me tarjuma padh ke bakhsa ja sakta hai. jawab ka muntazir hu...
Answer: Dono ka sawaab hay, koshish karain k dono ko jama karain.(yani quran or os ka terjuma dono perhain). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Email rcvd from ayatullah sistani d.b dated: 06-08-2011). Update on dated 18-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: wo konsi surat hai jis ke darmiyan me bismillah aya hai
Answer: Sorah e naml ki ayat#30 main bismillah ki ayat aae hay.(Ref: Quran sorah naml, ayat#30). Update on dated 06-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Agar ham Quran pardhte hi our us ka sawab kisse apne ko phochana ho to kya mare padha hua Quran.ka sawab usse mille ga ka nhi
Answer: Jee, sawab bakhsha jaa sakta hay. or sawab pohachta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah # before 752) . Update on dated 21-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wazoo our tayyamum kay baray may quran may konsat surah may bataya gaya hay our konsi ayat may?
Answer: Sorah e baqra ki ayat#267 main tayammum ka hokum aya hay, or sorah e maedah ki ayat#6 main wuzu ka zikr aya hay. (Ref: quran majeed). Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Duniya 6 din me bani hai Iska zikar kon se pare me hua hai
Answer: Sorah e araaf ki ayat#54 main zikr hoa hay. Update on dated 29-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: who kon say nabi hain jin ka zikr quran may sab say zyada aya hai
Answer: Hazrat Mosa a.s ka zikr sab ziyada Quran main aya hay. Update on dated 05-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran ki pehli ayat kis per nazil Hui
Answer: Pehli wahi yani sorha e alaq ki pehli 5 ayaat ghaar e hiraa main hamaray nabi Muhammad s.a.w.w per nazil hoe. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%BA%D8%A7%D8%B1_%D8%AD%D8%B1%D8%A7 ). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran ki kis ayat main wqat k hakim ki ataat ka hukm dia gia
Answer: Sorah e nisa, ayat#59 main is ka zikr aya hay. Laikin alil amr se murad masoom imam hain , jin k naam hamaray nabi s.aw.w ne bataye. In ayat se murad aaj kal hukmaraan nahi hain. Aap quran ki tafaseer ko perhhain tu wazeh ho jaey ga. (Ref: http://samtekhoda.tv3.ir/index.php?option=com_content&view=article&id=1122:920307&catid=63:gharaatimatn&Itemid=300) . Update on dated 15-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslkm. Ap saw par sabse pehla surah kaunsa nazil howa ?
Answer: Sab se pehlay sorah e alaq nazil hoe. ((Ref:Quran, sorha#96). Update on dated 01-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-Alaikum , mera sawal hai k Agar ham Quran Pak ko Sirf Urdu tarjamay(translation) me prhte hain to iska koi gunah to nhi? Arabic me prhne se Quran pak prha to jata ha par agar smjh nhi ati to is me koi faida nhi . Is lie mera sawal hai k agar ham khali Quran pak ko urdu me prhein , arabic me na prhein to is k bare me kia ehkamat hain kiu k jab Quran Pak nazil hua tha to wha k log Sab arbi thay ab yha k log urdu bolte hain to khali urdu me Quran pak prhne me koi haraj ya pareshani to nhi ?
Answer: Quran ki qirat ka makhsoos sawab os k matlab ko samjhne main nahi hay, agarche acha hay k matlab ko samjhne main koshish ki jaey takeh os ko samjha jasake takeh hidayat or uloom se faida hasil ho. Or qirat ka makhsoos sawab arabri perhe se hi milay ga. (Ref: http://icnc.ir/index.aspx?PageSize=10&KEY=%D8%AA%D8%AC%D9%88%D9%8A%D8%AF&PageIndex=25&BOOKID=16444&PID=287 )
Question: Quran ki kis ayaat mai likha hai ki dargha pe janaa manaa hai?
Answer: Kisi ayat main mana nahi aya. Update on dated 03-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Qur\'aan ki Kon si surah h jisme \"meem\" nhi h?
Answer:
Surah e kausar. (Ref: Al-Quran, Surah #108). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: injeel kis zuban me nazil hui
Answer: Aramic(ibrani)zabaan mai nazil hoi janab e eesa a.s par.(Ref: http://www.islamhelpline.net/node/7950) Update on dated 13-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran ka sab say pahlay tarjuma kis zuban may kiya gaya or kis nay kiya?
Answer: Quran ka tarjuma sab se pehlay farsi zaban main hoa. (Ref: https://en.wikipedia.org/wiki/Quran_translations) Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran pak ke tadveen ka wqt hazrat usman (r.a) na jo kameeti tashkeel d us ma js na shirkat ke un ka nam kya hy? qoitrat
Answer: Usman ne apne dor e khilafat mai logo sai khitab kia or kaha rasool (s.a.w.w) ko guzre hoe ziada arsa nahi guzra hai lehaza tum mai sai jis k paas quran ka koi hissa bhi moujood hai wo le aye takeh quran jama karne mai asani ho tu loog le kar atay rahe us k baad phr ailaan kia tum logon mai sai koon acha likhta hai to logo ne kaha “zaid bin sabit” phir kaha tum mai sai lugat e arab sai ziada aashna koon hai to kha gaya k “saeed bin aas”to faramaya k saeed Quran likhwata jaey or zaid likhta jaey is tarah kae Quran likh kar logo mai taqseem kar die gaey.mazeed tafseelat k lie is link par visit kijiay.(Ref: http://makarem.ir/compilation/Reader.aspx?pid=72670&lid=0&mid=70842)
Question: Asalaam Alakum Agar maa ki wafaat ho gai hai or unse unke bachhho ne dudh maaf nahi kerwaya hai, to kya maaf kerwana her haal mein zaruri hai ya nahi or agar zaruri hai to iska kya quraan mein kahi per ziker hai ya nahi.
Answer: Quran o hadees main is ka koe zikr maujood nahiu hay. Ye koe dunyavi rasam hay. Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamualaikum Janb. Agar Quran Majeed Shaeed Ho Jahen Tu un Ko Kis Jaga par rakna Cheya.Plz Reply me
Answer: Was Salam. Un kaaghaz ko dustbin mai daalna jaiz nahi hai is liay k is tarah is ki touheen hoti hai lekin kisi chemical product k zarye un ko mitaaney , kisi paak jagah dafan karney ya samandar mai daalney ya unehey phaarh kar mitti ki maanind reza reza karne main koi harj nahi hai. (Ref: Jadeed fiqhi masael, ayatollah seestani maslah#594, pg#291). Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: *RASUL (S:A) PAR SAB SE AKHER MAI KON SA SURE NAZIL HUWA * 1:- SURE NAAS 2:- SURE FALK 3:- SURE NASR 4:- SURE HAMD
Answer: Quran ki sab se aakhir me naazil hone wali ayat :para#6,surah maida#5, ayat#3 hai.(Ref: Quraan, islami maarif:3,tadween :group,tasheo nazar sani:moulana qamar ali lailani,nasheer:moassa amam sajjad (a.s) ,pg: 5,que: 28). Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aj kal hr news paper me Quranic aayaaat ki urdu translation hoti hay agr akhbaar neechay gir jaey ya dust bin me chala jaey tu wo gunah me shumaar hota hay ? ham aksr akhbaar ko kitchen me degar kaamo ky liay use kr letay hyn or be bht saray tu kia hameen uska gunah hota hay ?
Answer: Ghalti sai quranic ayaat wala akhbaar gir jaana ya quraan gir jaana ye toheen mai shumaar nahi hota lekin un akhbaar ko dustbin mai daalna jaiz nahi hai is liay k is tarah is ki touheen hoti hai lekin kisi chemical product k zarye un ko mitaney k baad ya un ko bareek tukrho mai tabdeel karne k baad dustbin mai daalne mai koi maslaa nahi hai. (Ref:jadeed fiqhi masail ayatollah seestani maslah no 594 pg 291) khuda aap ki taufeeqat mai izafa farmaye. Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam u alaikum... sir hadees ko QURAN me kaise dekhen? matlab ke jese Dr zakir naik kehte hen volume No falana...etc to mujhy ye samjh nhi aata ke me kaise is reference pe jaun
Answer: was salam. Allah k kalaam k majmooaey ko Quran kaha jaata hai or jo kalaam rasool (saww) ya aaima masomeen a.s sai saadir ho usey hadees kehtey hai.ye baat tai shuda hai k rasool ya aaima ka kalaam quraan ki tashreeh hai lekin rasool ya aaima ki ahadees quraan mai nahi hai q k quraan mai ayaat hai jo k khuda ka kalaaam hai, Han lekin motabar kitabein moujood hai jis main rasool or aaima ki ahadees moujood hain.
Question: Quran me Fateh kise kaha gaya hai
Answer: Sorah e alhamd ho sorah fatiha kaha jaata hay.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D9%81%D8%A7%D8%AA%D8%AD%DB%81 ). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ayat tatheer kis surah min hy
Answer: Surah e ahzaab.(Ref: Quran majeed,suran#33, ayat#33). Update on dated 02-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-O-Alaikum:: Mera Sawwal ye hai Quran Pak ka naam quran q rakha gya ???
Answer: Quran ka matlab hai k parhi jaaney wali kitaab ya jis ki ziada qirat ki jaati ho.(Ref:Gulshan e maarifat baab qurani sawalaat). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran me allah k sath waleden k hukam knse surha m hain
Answer: Surah e bani israel ayat# 23 & 24. (Ref: Quran e Kareem). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran mai kon sy sojdy wajib hai r kon sy pary k ....?
Answer: Quran main 4 sajday wajib hain (surah sajda ayat no 15,surah fussilat ayat 37,surah najam or surah alaq ki akhri ayat) or Quran k mustahab sajday 11 hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 page no 491). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran majeed me kis ki awaz ko sb se pur taseer kaha gya he?
Answer: Hazrat dawood a.s.(Ref:surah e saba, ayat#10). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran pak ma quran word kitni bar aya hai
Answer:
لفظ قرآن، قرآن مجید میں بطور معرفہ پچاس(50) بار اور بطور نکرہ اسی(80) بار آیا ہے ۔یعنی پچاس بار قرآن کا مطلب کلام مجید ہے اور اسی بار ویسے کسی پڑھی جانے والی چیز کے معنوں میں استعمال ہوا ہے۔
(Ref: http://noureennoor.blogspot.com/2017/10/blog-post_19.html)۔ Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Esi konsi do surat he jiska naam sirf ek hi lafz me mukammal ho jata he
Answer:
Ø³ÙˆØ±Û Ù‚ØŒØ³ÙˆØ±Û Øµ ØŒ Ø³ÙˆØ±Û Ù† (Ref:https://www.quora.com/How-many-Surahs-names-are-only-one-letter)
[Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalmualikum Wa Rahmatullahi Wa barakatuhu Mera sawal Quran ki akhiri ayat. Kounci hai aur kb nazil hoi
Answer:
Quran ki sab se aakhir me naazil hone wali ayat :para#6,surah maida#5, ayat#3 hai. (Ref: Quraan, islami maarif:3,tadween :group,tasheo nazar sani:moulana qamar ali lailani,nasheer: Moassisa imam sajjad (a.s), pg#5,que#28).
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ahl-e-bait say murad kiya hai..?? quran main lafz alh-e-bait likha hai liken ye nahi likha k kon kon hai kindly quran say daleel den
Answer:
Ahl e bait a.s sai muraad 14 masoomeen a.s hain or ye baat aap ko quran mai nahi balke quran ki tafaseer main mil jaaye gi.aap tafseer namoona tafseer e meezaan tafseer e burhaan tafseer e ayyashi wagerah ki taraf rujoo kar sakte hain.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%DB%81%D9%84_%D8%A8%DB%8C%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D9%85_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ).
[Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya maa ka apny bete py taweez karna jaiz hai ??
Answer:
Aesa taweez ya wazeefa jis say bety ki islah ho ya us kay liay faida mand ho wo jaiz hai jesy us ko raah e raast par lany kay liay quran say aayat parh kar us par dam karna ya taweez bana kar us kay baazo men bhandhna waghaira waghaira .(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2009/10).
[Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Tadween e Quran kb shoro hue
Answer:
W.Salam
usman ne apne dor e khilafat mai logo sai khitab kia or kaha rasool s a w w ko guzre hoe ziada arsa nahi guzra hai lehaza tum mai sai jis k paas quran ka koi hissa bhi moujood hai wo le aye takeh quran jama karne mai asani ho tu loog le kar atay rahe us k baad phr ailaan kia tum logon mai sai koon acha likhta hai to logo ne kaha zaid bin sabit phir kaha tum mai sai lugat e arab sai ziada aashna koon hai to kha gaya k saeed bin aas to faramaya k saeed quran likhwata jaey or zaid likhta jaey is tarah kae quran likh kar logo mai taqseem kar die gaey mazeed tafseelat k lie is link par visit kijiay. (Ref: http makarem.ir compilation reader aspx pid 72670 amp lid 0 amp mid 70842).
[Updated on 18-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam u alikom mera sawal hai ke quran majeed mai konsi surat 3 bar parhene se 1 quran ka sawab milta hai Please batay
Answer:
sorah ikhlas ki tilawat karne walay ko allah taala aik tahai quran ki tilawat karne walay ka sawab ata farmata hai.
Ref: noorusaqalain j.5,p.699
[Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam u alikom mera sawal hai ke quran majeed mai konsi surat 3 bar parhene se 1 Quran ka sawab milta hai
Answer:
w.salam
sorah ikhlas ki tilawat karne wale ko Allah taala quran majid ki aik tahai aayat e quran ki tilawat karne walay ka sawab ata farmata hai.
(Ref: Noor ussaqlain j.5,p. 699)
[Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nabi Muhammad saw par salam padna quran ma kaha sabit ha
Answer:
Surah e ahzaab ayat#56 main hay k Allah or us k malaika nabi (saww) par durood bhejtey hain ay emaan walo tum bhi in par durood o salam bheja karo.(Ref:https://quran.com/33/56).
[Updated on 31-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum..kaise samjhe ke 1 para khatm ho gayi hai....?
Answer:
Was Salam. Quran mai wazih tur par likha hota hai k kahan sai naya para shuru ho raha hai. pehlay paray ka naam, alif laam meem hay or doosray paaray ka naam sayaqool hay, waghaira waghaira.
[Updated on 31-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam.o.alaikum. Mujhe ye btaye k Quran majeed main konse Ayat aur konse Surah mai namaz ka Hukm aya hai??? Plz.... main bhool chuka hun.
Answer:
Was Salam. Mukhtalif makamaat par namaz ka hukum aya hai un mai sai aik maqaam surah baqrah ki ibtidaai aayat hai.
[Updated on 15-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir plz mujhy ya batayen k maooz teen kya h.....
Answer:
Quran k 2 suray surah falaq or surah naas ko maoozatain kaha jaata hai q k in dono sooro k aagaaz mai lafz (اعوذ) istemaal hoa hai.(Ref:https://en.wikipedia.org/wiki/Al-Mu%27awwidhatayn)
[Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]