Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Quran (471 Questions)


Showing 250- 300 questions from 471 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
93660
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-26

Question: Kya sureh Jin 11 martab padsakte ?

Answer: jee quran parhna baaise sawab hai is mai koi harj nahi.
[Updated on 26-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: quran konse time par padh nahi sakte ? or koy makruh time hai tilawat karne ka plz muje bataye

Answer: quran ki tilawat karna mustahab hai.lekin jis waqt insan janabat ki haalat main ho tu us k liye quraan ki 7 sai ziada aisi aayaat ki tilawat karna jis mai sajda wajib na ho makrooh hai or un aayat ki tilawaat karna jin mai wajib sajda ho tu un aayat ki tilaawat karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 354,355).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
94747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-15

Question: Agr mukamal Quran pak nahi parha to kya surah yaseen ku tilawat kr sakte hain ?

Answer: Je kar sakte hain, jo shaks surah ikhlaas ko 3 dafa parhay tou goya us ne aik mukammal quraan ko khatam kia.(Ref: http://www.momin.com/urdu/Books/Thofy+Amliyth-48/Sur-e-Ikhlas+Ke+Fazail-992.html).
[Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94758
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-16

Question: Assalam o alaikum mera sawal hai ke ,kya wazu ke baqair quran ki tilawat kar sakte hain ya nahi?

Answer: Jee quraan ki tilawat kar saktay hai lekin baghair wuzu k mass nahi kar skatay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#316).
[Updated on 16-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95627
Mujtahid:
Date:

Question: quran majeed k nazool ka aagaz khan se howa

Answer: Quran ka nuzool ghaar e hira se shuru hoa.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%DA%A9%D9%88%DB%81_%D8%AD%D8%B1%D8%A7%D8%A1)

Print

Id:
96187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya Quran mein Namaz ke tarike bataye Gaye hai?

Answer: Quran main namaz ka tariqa bayan nahi kia gaya hay.

Print

Id:
97590
Mujtahid:
Date: 2019-06-11

Question: Aslam alaikum.. Mane pochna hai periods ki halat ma kya hum quran pak ko bina choy pr skty han? Mane suna tha k zuban pak hti hai quran pak ko bina hat lgae pr skty han plz guide kr dain

Answer: Fuqahah k qoul k mutabiq haaiz ka quraan majeed ko parhna makrooh hai lekin ayatollah seestani k nazdeek makrooh nahi hai. (Ref: tauzeeh ul masaail ayatollah seestani edition#41 maslah#467).
[Updated on 11-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97624
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-15

Question: Quraan ma kis surah ma bismillah do bar parhi jati ha

Answer: surah namal k aagaz mai aik bismillah hai or us ki ayat#30 mai aik bismillah hai. (Ref:https://quran.com/27).
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98069
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-27

Question: Surat juma kon sy pary ma ha

Answer: Parah 28. (Ref: https://gotest.pk/articles/quran-e-pak-surah-numbers-parah-total-verses-rukus/).
[Updated on 27-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98365
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-11

Question: Quran ki sab sy taweel ayat kon c hy?

Answer: Quran ki sub say taweel ayat surah baqra ayat#282 hay.
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99025
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Quran majeed ko kesy prhna chahiye Ayat k hawaly sy jawab dein?

Answer: Sorah e muzammil main hay keh quran ko theher theher kar(slow) baqaidah parha karo.(Ref: sorah e muzammil,sorah#73, ayat#4). Update on dated 31-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)....

Print

Id:
99970
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Woh konsi ayat hy jis ka tarjuma hy Mera nabi wahi kehta hy Jo isy wahi kiya jata hy.

Answer: Sorah e najm ki ayat#3 or 4 main is baat ka zikr hay. (Ref: Al-Quran, sorah najm, sorah#53)

Print

Id:
101055
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-14

Question: Wo Kon C Surat Ha Jes ke hr ayat ma Allah Tala Ka Nam Aya Ha

Answer: surah e mujaadla.(Ref: https://pakmcqs.com/islamic-studies-mcqs/in-which-surah-the-name-of-allah-is-repeated-in-every-verse).
[Updated on 14-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101113
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-17

Question: Quran Mai lafze namaz kitni baar aaya hai??

Answer: Quran main lafz salaah(namaz) ka zikr 67 baar aya hay.(Ref: Qurani maloomaat per mushtamil 1540 sawalaat k jawaab, pg#82)
[Updated on 17-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102494
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-09-01

Question: Quran kitny time mai nazil howa

Answer: Quran 23 saal ke arsay me wahi ke zariye Rasool S.A.W.W pr nazil hua hai. (Web Ref : http://ur.wikishia.net/view/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%DA%A9%D8%B1%DB%8C%D9%85 ).
[Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102571
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Oh konsa surah hain jisme jadu karna mana hain

Answer: Quran main chand maqamaat per jado ki muzammat aae hay on main se kuch ye hain: Sorah e baqra ayat#102, Sorah e younus, ayat#81, sorah taha, ayat#69.(Ref: Quran) Update on dated 19-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102709
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-26

Question: Asalam-0-Alekum, Quran ki toheen ka kaffarra kya hoga?

Answer: agar ghalti se insan ke hath se Quran zameen par gir jaye to kaffara nahi hai lekin Quran ko foran utha kar ahtiram kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail Jamea, Maslah no # 404).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Quran Pak ki Surah Naml ayat #90 ma Shehr \"Makkah\" k malik ki ibadat se kia murad ha

Answer: Sorah e naml ki ayat#91 main sher e makkah k malik se murad Allah ki zaat murad hay, rab e makkah ki tabeer makkah ki manzilat bayan karne k liay hay warna wo nah sirif makkah ka rab nahi hay, har cheez cheez o ski milkiyat hay.(Ref: maulna muhsin najafi sahib k mutrajjam quran) Update on dated 27-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102766
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-17

Question: Quran Majeed ke Aise kaun se do jumle hain jinhen ulta bhi padha Jaaye to Usi Tarah Bade Jaate Hain

Answer: 1. "Kullun fee falakin" Surah#Ambiya Ayat#33
2. "Rabbaka fakabbir" Surah#Muddassir Ayat#03
[Updated on 17-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102769
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-30

Question: quran ki wo ayat jisme 12 nabi ka name aya

Answer: sorah e nisa ki ayat number 163 main 12 ambiya ka naam aaya hay. (Ref: Quran)
[Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102777
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-06-19

Question: fazar ki namaz se phle quran pad sakte h ya nhi

Answer: Quran ki tilawat karna mustahab hai. fajar ki namaz se peehle bhi quran perha jaa sakta hay.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah Sayyid Abul Qasim e Khoie edition 7 maslah no 361, 362)
[Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Quran e Majeed mai koni Surah mai Firon ka waqia bataya gaya hai?

Answer: Surah Aaraf Ayat no. 104 se qissa shuru hai.
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102822
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-01-01

Question: Asif word ya naam quraan me aya h ya nhi arag h tu konse surah mai h

Answer: Quran main asif lafz nahi aya. (Ref: Quran)
[Updated on 01-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102849
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-06

Question: Surat ahzab ko yeh nam kio diya gya

Answer: Is sorah ka umda hissa jang e ahzaab ya jang e khandaq k mutaliq hone ki wajah se is sorah ka naam sorah e ahzab rakha gaya hay.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D8%AD%D8%B2%D8%A7%D8%A8)
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102939
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-21

Question: Quraan pak konsy month me muqammal hua tha?

Answer: ramzaan shab e qadr
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-14

Question: surat balad pehle nazil hoyi ya surat teen?

Answer: Sorah e teen nozool k lehaaz se 28 number sorah hay jabkeh sorah e balad 35 number surah hay lehaza sorah e teen, sorah e balad se pehle nazil hoe hay.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%AA%DB%8C%D9%86+http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A8%D9%84%D8%AFhttp://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A8%D9%84%D8%AF)
[Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103026
Mujtahid:
Shiekh ul Islam Dr Tahir ul Qadri Date: 2020-01-13

Question: Quran e paak mein sab sy bhara zulam kis ko karar dia gia hy?

Answer: Quran main sab se barha zulm shirk ko qaraar dia gaya hay. (Ref: Sorah e luqman, ayat#13).
[Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103096
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Surat anfal main kis ghazwa ka bar bar zikar Aya hai

Answer: Surah Anfaal me jang e badar ke bare me tazkira kia gaya hai.
(Web Address: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D9%86%D9%81%D8%A7%D9%84 ).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-16

Question: quran pak ki kon si soret ha jis k shero me bismellha ni

Answer: Surah e Tauba. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%AA%D9%88%D8%A8%DB%81 ).
[Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-01-24

Question: Kya janat men hambistri hogi

Answer: Jee, haan jannat main hambistari hogi.(Ref: tafseer e namona, jild#13, sorah e waqia ki tafseer)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Aayat-e-kareema konse surah me hai?

Answer: sorah e ambiya ki ayat#87 (لا الہ الا انت سبحانک انی کنت من الظالمین)ko ayat e karima kaha jata hay.(Ref: https://www.quranreadinghelp.com/blog/benefits-of-reciting-ayat-e-karima-or-ayat-e-kareema/)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103409
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-27

Question: Quran ki kis sorat main iron ka zikar hey

Answer: Quran main surah hadeed main hadeed(Iron) ka zikr aya hay.(Ref: quran Sorah e hadeed).
[Updated on 27-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103447
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-31

Question: Sureh kausar me kis shaqs ki mazammat ki gyi h

Answer: Abu jehel, abu leheb or utbah jaise dushmano ki muzammat ki gae hay.(Ref: Muhsin najafi ka tajume wala quran, sorah kausar ki tafseer http://balaghulquran.com/)
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103494
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-19

Question: Janab assalam alaikum.kuch log khte h ki maula Ali se Madad mangna sahi nhi h..aap iske bare me bataye

Answer: Khuda se ba-raah e raast dua maanga jaiz hay, wohi haqiqi ata karne wali zaat hay. haan, nabi (saww) or on k Ehl e bait (a.s) k wasile se khuda se dua maanga dua ki qoboliyat ka sabab hay. or khuda ne quran main sorah e nisa ayat#64 main gunahgaaroon k mutaaliq kaha gaya hay keh main khuda ka irshad hay k (Or jab ye loog apne aap per zulm kar baithte thay tu agar aap ki khidmat main hazir ho kar Allah se maafi maangte or rasool bhi on k liay maghfirat ki dua karte tu wo Allah ko tauba karne wala, raham karne wala paate).)(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0409/)
[Updated on 19-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103500
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-18

Question: Quran-e-pak me lafz qahhar h ya nahi? Agr aya h to kis kis aiyat me

Answer: Quran me 5 jagah par lafz qahhar ayaa hai,
1. surah no 40 ayat 16.
2. surah no 12 ayat 39.
3. surah no 38 ayat 65.
4. surah no 14 ayat 48.
5. surah no 39 ayat 04.
(Website Refrence : https://quran.com/search?q=%D9%82%DB%81%D8%A7%D8%B1 ).
[Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-27

Question: Quraan majeed me madeenatul munawwara ka naam kya hai

Answer: Madina e munawwar ka purana naam yasrab tha is ka zikr Quran majeed main sorah e ahzab ki ayat#13 main aya hay. agarche lafz e madina bhi kuch baar istemaal hoa hay laikin ye lafz faqat sheher k matlab main isteemal hoa hay, yasrab naey naam k taur per istemal nahi hoa.(Ref: sorah ahzab, ayat#13, http://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AF%DB%8C%D9%86%DB%81_%D9%85%D9%86%D9%88%D8%B1%DB%81 )
[Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-14

Question: Quran paak mai aahadees ke hawale se ketne aayat aaye hai

Answer: Allah k kalaam k majmooaey ko Quran kaha jaata hai or jo kalaam rasool (saww) ya aaima masomeen a.s sai saadir ho usey hadees kehtey hai.ye baat tai shuda hai k rasool ya aaima ka kalaam quraan ki tashreeh hai lekin rasool ya aaima ki ahadees quraan mai nahi hai q k quraan mai ayaat hai jo k khuda ka kalaaam hai, Han lekin motabar kitabein moujood hai jis main rasool or aaima ki ahadees moujood hain.
[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104264
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-04

Question: Quraan majid ki konsi ayat bar bar likhi gai hai

Answer: surah rehman mai aik aayat ka takraar kiya gaya hai.(Fabee ayyee aalaae rabbikuma tukazzibaan).
[Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104381
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-10

Question: Wo kon se Quran ki sorat hy jo do bar nazal hoi?

Answer: Sorah e Al-hamd 2 baar nazil hoe.(Ref: Mafhoom e http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm )
[Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104394
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-10

Question: 5 aise surat jo paigumbaro ke naam se hain

Answer: Surah hood, Surah ibraheem, Surah muhammad, Surah younus, Surah yousuf. (Ref : Alquran.)
[Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104437
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-04

Question: La haulage wala kuwata illa billah Hil Azim ko haat laga sakte hai

Answer: Hath nahin laga sakte Q ke is me Quran ki ayat ka hissa mojod hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 316)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104465
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-29

Question: salamun alaikum . mera sawal ye ye ki kuran majeed me jo Baal nikalna log bata rahe he to kya iske barne me aap mujhe jald bataiye

Answer: Ye maloom karna keh quran main milne wale baal masoom a.s k hain ya kisi aam insan k baal tu is ka asan tariqa ye hay keh on baalo ko jala kar daikh lain agar jal jain tu wo baal masoom k nahi haongay or agar nah jalain balkeh soney(Gold) ki tarah chamakne lagain tu wo baal masoom a.s k hoon gay. Ye jo hum ne bayan ki wo aik hades ka khulasa hay jo bihaarul anwaar or manaqib ibne ashoub main maujood hay.(Ref: Biharul anwaar, jild#49, pg#59-60[Biharrul anwaar jild#49 link: https://lib.eshia.ir/71860/49/59 , https://lib.eshia.ir/71860/49/60], Manaqib ibn e ashoub, jild#4, pg#348).
[Updated on 29-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-27

Question: Salam alikum Mjhy ye pochna tha k me karachi se hun or jo aj kul corona virus chal rha ha usy related ki video ai thi or log bol bhi rhy hn k namaz parhny k bad quran me surah baqra khulien gy tu usme ek baal nikl rha ha or usko pani me dal dien or sbko pila dien Hame is suraat me kia krna chahyee please iska javb jald az jald dijye

Answer: Ye maloom karna keh quran main milne wale baal masoom a.s k hain ya kisi aam insan k baal tu is ka asan tariqa ye hay keh on baalo ko jala kar daikh lain agar jal jain tu wo baal masoom k nahi haongay or agar nah jalain balkeh soney(Gold) ki tarah chamakne lagain tu wo baal masoom a.s k hoon gay. Ye jo hum ne bayan ki wo aik hades ka khulasa hay jo bihaarul anwaar or manaqib ibne ashoub main maujood hay.(Ref: Biharul anwaar, jild#49, pg#59-60[Biharrul anwaar jild#49 link: https://lib.eshia.ir/71860/49/59 , https://lib.eshia.ir/71860/49/60], Manaqib ibn e ashoub, jild#4, pg#348).
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-26

Question: Quran majeed k kon se sipare mai ayate karima ati hy

Answer: Para no 17, surah no 21, surah name ambiya ayat no 87,(لا الہ الا انت سبحانک انی کنت من الظالمین)(Ref ; Alquran)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104564
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-03-17

Question: Assalamu.alaikum hazrat quran mubarak mai qayamat lafz kitni baar aaya hai aur qayamat ka zikr kitni martaba hua hai

Answer: Qiyamat ka lafz quran main 72 baar aaya hay.(Ref: http://www.balaghulquran.com/)
[Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104590
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-17

Question: Word "Surrah" Quran pak me 10 bar istamal huwa hai iska matlb mujhe bta den mene ye jawab kahin parha lkn mjhe samjh nahi aya

Answer: Sorat, sheher ki faseel ko kehte hain, jis se sheher mehdood ho jata hay, isi munasbat se Quran majeed ki ayaat e muayyana mehdooda per sorat ka itlaq kia gaya hay.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%83). [Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107223
Mujtahid:
ahle hadis Date: 2024-04-08

Question: jannat ul firdos ka zikar kon se pare me hai

Answer: Quran ke para no: 16,surah no :18,surah khaaf ,ayat no: 107 me jannat ul firdoos ka zikar hay .
[Updated on 09-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107253
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Nabi pak nam Ahamad kon si sura mai aaya.ha

Answer: Para # 28 Sorah Al-Saff Ayat # 6 .(Al-Quran)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107350
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-04

Question: Saat aayat wali suran ka nam

Answer: Quran me aisi 2 surah hain jin ki 7 aayat hain, number # 1 Surah Al-Fatiha, number # 2 Surah Al-Maaun.(Al-Quran)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109387
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: Hazrat Musa A.S ki Ahliya (wife) ka naam Kya hai?

Answer: sufoora۔ (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B5%D9%81%D9%88%D8%B1%DB%81)۔ [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print