Showing 300- 350 questions from 471 questions on this page.
Question: Quran ki kon konsi aayat mai qawamat k azab ka zikr hai batao
Answer:
Chand soorton main qayamat ka zikr aya hai jese surah qaria wgaira.(Ref: Quran e kareem)
[Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: QURAN KA WOH KOUNSA SURA HAI JIS KA EKHTETAM DU NABIYOUN KEY NAM PER HOWA HAI
Answer:
surah aala(sorah#87) k ikhtimaam main 2 nabiyo ka naaaam aata hay.
[Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Ali kon si ayat e qurani madina se le gae aur khana kaaba mei unki tilawat ki?
Answer:
Surah baraat . (Ref: Allama Namjam ul Hassan Kararvi, 14 Sitaray, Pg # 81)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Pak Main Surah Maddni Ketny Arsy Main Nazil Huin?
Answer:
Quran k nuzool do hain 1) ye ke aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil hogaya 2) ye ke 23 saal arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran Rasool(s.a.w.w) k dil per naazil hoa , quran ki khuch suratain makki hain yani Rasool(s.a.w.w) ke maboos ba risalat hone ke baad jinta arsa Rasool (s.a.w.w) makke me rahe aur jo surtain makke men nazil hoin unhen makki kaha gaya aur khuch suratain madani hain, yani Rasool(s.a.w.w) ki hijrat e madina ke baad wafat tak jinta arsa Rasool(s.a.w.w) madine me rahe aur jo surtain nazil hoin unhen madani kaha gaya. aur qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet Rasool(s.a.w.w) ki hayaat me he jama ho chuki thin.(Ref: www.islamshia-w.com)
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: will you please tel me the verse in which almighty Allah was talking about shaba who left Nabi saws in Uhad War
Answer:
Sorah e aal e imran(Sorah #3) ayat#153.
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo kon sa surah hai jo do bar nazil huwa hai
Answer:
Surah e Al-hamd 2 baar nazil howa hai.(Ref: Mafhoom e http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm )
[Updated on 17-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo kon sa surah hai jo do bar nazil huwa hai
Answer:
Sorah e Al-hamd 2 baar nazil howa hai.(Ref: Mafhoom e http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm )
[Updated on 17-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran me wo konsi ayat he jis m Quran ki ehmiyat ka btAya hai??
Answer:
Quraan majeed ka 17,surah baniisraaeel ,ki ayat no:88,agar insaan or jinnaat is baat per Jama hojae ke is quraan ki misal laae tu nahe laasakte agarche wo is kaam me aik dosere ke madad karne wale he kyu na hojaay .
[Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo konsa jammy nam hai jo quran men insano ir jinno kay liy istamal hoa hai?surah name bhe bta dein sath
Answer: Quran main sorah rahman main allah ne jin or inano ko aik jaame naam "saqalaan(baa wazan)" se pokara hay.(Ref: quran sorah rahman, ayat#31)[Updated on 13-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran ki woh kon si surah hai jis mein lafz allah 5 baar aya hai
Answer:
Sura-e-Mujadala, Sura No.58 Ayat No. 22 main lafz e Allah 5 martaba aaya hai.(Ref: Al-Quran)
[Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kitne ambia k name pe quran pak ma sorten h
Answer:
Quran me 6 Ambiya a.s ke nam se Surah mojood hain, Surah hood, Surah ibraheem, Surah muhammad, Surah younus, Surah yousuf, Surah Nooh.(Ref: Al-Quran.)
[Updated on 28-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alaikum mera swal ye h k aik shakhs jo k kafir h or esy logu k drmian rehta h jahan usy koi haq deen btany wala bhi nahi lekin wo aik naik insan h or phr bhi us pr zulm hota h or usi zulm or jbr ki zindagi mn mrjata h to jo wo naikiyan krta raha sb k sth achy sy raha rhem dil tha uska sila usko kesy milega ?? kia aik kafir ko naiki ki jaza nhi milti ??
Answer:
مَنْ عَمِلَ صَالِحًا مِّنْ ذَكَرٍ اَوْ اُنْثٰى وَ هُوَ مُؤْمِنٌ فَلَنُحْیِیَنَّهٗ حَیٰوةً طَیِّبَةًۚ-وَ لَنَجْزِیَنَّهُمْ اَجْرَهُمْ بِاَحْسَنِ مَا كَانُوْا یَعْمَلُوْنَ(۹۷)
ترجمہ: جو مرد یا عورت نیک عمل کرے اور وہ مسلمان ہو تو ہم ضرور اسے پاکیزہ زندگی دیں گے اور ہم ضرور انہیں ان کے بہترین کاموں کے بدلے میں ان کا اجر دیں گے۔
قرآن کریم کی اس آیت کے مطابق نیک اعمال کا اجر مسلمان کو ہی حاصل ہوگا۔
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak me zikar hai k "jahanum ka eindhan insan, jin aur pathar hon gy" is me pathar sy kya murad hai ?
Answer:
Sorah e baqra ki ayat#24 main pathar se murad mooti or but hain.(Ref: http://www.balaghulquran.com/quransearch.php?txtsearch=%D8%A7%DB%8C%D9%86%D8%AF%DA%BE%D9%86&optsrchtp=t&chkHashia=h).
[Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak mai khanzeer ka zikr konsi ayat mai hai?
Answer:
Surah Al-Baqra Ayat number 173, aur Surah Al-maaidah Ayat number 03, aur Surah Al-Anaam Ayat number 145, aur Surah Al-Nahl Ayat number 115 main khinzeer ka zikr mojood hai.(Ref: Al-Quran)
[Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: lafz shia ayat in quran
Answer:
Sorah e qasas, ayat#15 or sorah e saaffaat, ayat#83 main shia lafz aya hay.(Ref: Quran)
[Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia yeh niat kurkay aik Quran finish kurna aur kuch sorut apni life may parhkur save kursaktay hein apnay lay kay yeh maray lay maghfirat ka zaria bunien gi
Answer:
Quran ka parhna wese hi baaise sawab hai.(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul masail, edition 31st, mafhoom e maslah #1515)
[Updated on 11-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Islamic Mai Quran ki taleem Dai k paisay laiba jaiz hai Jesay ye site hai http://quran24.online/ ye paisay Lai k prhatai hai Kia ye jaiz hai?
Answer:
Jaiz hay. (Ref: Touzih ul Masaail, Ayatullah Seestani (d.b), edition 39th, masla #986)
[Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: wahi ke kitne iqsam hai our kiya kiysa hai
Answer:
Wahi ki kuch aqsam hain aap is link per click kar k perh lain. (https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%AD%DB%8C).
[Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak ko arabic m hi padna h aisa Quran pak m kaha likha h?
Answer:
The proper reward is for the Arabic recitation. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11). Translate: Munasib sawaab Arabi tilawat ke liye hi hay.
(Note: Jee nahin aap kisi aur zaban me bhi quran parh saktay hain, lekin agar aap ko quran parhne ka munasib sawaab chahiye to aap ko quran ki tilawat arabi main hi kerni hogi. aap ko urdu/hindi main quran perh ker samjhnay ka sawaab milay ga. laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirf arabi qirat ker k hi milay ga. agar aap quran e kareem ki tilawat ka sawaab hasil kerna chahtay hain tu arabi qirat ko sikhain. Aap quran perhnay k liay qurani cds say bhi madad lay saktay hain or websites say bhi seekh saktay hain. Hum aap ko khuch website addess day rahay hain in k zerye qirat e qurani ko sheikh lain. Please see these links and learn quran e kareem.) Ref: http://quran.com/ http://www.quranexplorer.com/ http://www.quran.net/
[Updated on 24-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ke kis surah ko rehana al quran bhi kaha jata hai
Answer:
surah (yaseen) ko rehaana tul quran kha kya hay. imam jaffar sadiq (a.s) se riwaayat hay : apne aulaat ko surah yaseen ki taleem do kyu ke beshak ye surah (yaseen) rehaana tul quran hay (ref:bihaarulanwaar,allama baqir majlese,jild:89,pg :291)
[Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamolaikom Quran ki ayato ka totka krna jaiz he ya ni for example sureeh yaseen prh kr pani me dam kr lena or khna k ye pani pinny se sir ka drd thek ho jae ya phir motapa kam ho jae ya phir zhn thek hotta he ,etc please answer me ....???
Answer:
wsalam.
jo wazaaif aaima a.s sai hum tak pohnche hai un par bilkul amal bhi kia jaa sakta hai or wo mufeed bhi hain.
[Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum quraan kab aur kahan nazil huwi
Answer:
wsalam. Quran majeed makkah or madina main nazil hoa 23 saal k doran nazil hoa.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%DA%A9%D8%B1%DB%8C%D9%85)
[Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum Kya haiz ki halat me mobile me Quran padsakthe hai
Answer:
wsalam.jin aayaaat ko parhne sai sajdah waajib hojaata hai un ka parhna haraam hai baaki quraan parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullahy seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-O-Alaikum.. Sir, Main bohat shooq se books le kr baithti hun lekin thodi hi der bd main bore ho jati hun q k kafi time parhne se b kuch yaad ni hota aur agr aj kal online lectures horahy to sunty waqt lgta hai k kuch b smjh ni arha lafz demag mein ni jaty smjh hi ni ati please sir kuch asa wazifa bta den k mri bhoolne ki adat khatam hojaye aur mera hafza qawi ho jaye Shukria.
Answer:
Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har rooz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qalaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref: Naway e salaheen, page #326)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran majeed ki kis surat ko tahai quran kaha gya he
Answer:
Surah e ikhlaas۔ (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D8%AE%D9%84%D8%A7%D8%B5)
[Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam muje puchna tha ky ager Quran pak parhna nahi sekha tu online Quran sekha ja sakta hai kia aur kis tarah muje batyein koi tariqa mein sekhna chahti hoon
Answer:
Jee han, Online seekha ja sakta hai. Online Quran sekhne ke liye Madrasa Quran o Itrat Academy ke contact number 021-32226948, 021-32237207 par 2pm se 6pm ke darmiyan call karain (Ref: www.qoitrat.org).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Pak ktny arsy m nazil how
Answer:
Quran 2 martaba nazil howa hai. 1. Aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil ho gaya tha. 2. 23 saal ke arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil howa, Quran ki kuch suratain makki hai aur khuch madani hain, Qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me hi jama ho chuka tha.
(Ref: www.islamshia-w.com )
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: S/w ek quran kya sirf ek he marhoom ko bakshi jati hai? Yaa ek ke saath baki marhoomo ko bhi ek saath baksh sakte hai.?
Answer:
Dono chizen jaiz hain. (Ref: Takeebat e namaz ) http://www.qoitrat.org/Fateha/Default.asp
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quraan majeed ky 14 sajdy hum Quraan peh hi adda kr skty gai ya Ja'enemaaz peh quran ky sajdy adda krna lazim h?? Kindly answer me
Answer:
1: Quran e pak men 15 Ayaten aysi hen jin k parhne ya sunne k bad ALLAH Taala ki azmat k samne sajda karna chahiye, un men se 4 maqamat par sajda wajib hai or 11 maqamat par sajda mustahab hai. Wo 4 maqamat jahan Sajda karna wajib hai ye hen. 1, Parah 21 Surah Sajda, ayat #15. 2, Parah 24 Surah Haa Meem Sajda, Ayat #37. 3, Parah 27 Surah Wan-Najam, last Ayat #62. 4, Parah 30 Surah Alaq, last Ayat #19. Wo 11 maqamat jahan Sajda karna mustahab hai ye hen. 1, Parah 9, Surah Araaf, Last Ayat #206. 2, Parah 13, Surah Raad, Ayat #15. 3, Parah 14, Surah Nahal, Ayat #50. 4, Parah 15, Surah Bani Israail, Ayat #109. 5, Parah 16, Surah Maryam, Ayat #58. 6, Parah 17, Surah Hajj, Ayat #18. 7, Parah 17, Surah Hajj, Ayat #77. 8, Parah 19, Surah Furqaan, Ayat #60. 9, Parah 19, Surah Namal, Ayat #26. 10, Parah 23, Surah Suaad, Ayat #24. 11, Parah 30, Surah Inshiqaaq, Ayat #21. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul Masail, Edition 42, Fiqhi Istilahat, Page #491).
2: Ehtiyat e wajib ye hai ke Quran majeed k wajib sajday men insan apni peshani sajdegah ya kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna saheeh ho aur ehtiyat e mustahib ki bina par badan ke doosray aazah zameen par is tarah rakhay jis tarah namaz k silsilay men bataya gaya hai.
3: Jab insaan Quran Majeed ka Wajib Sajda karnay k Iraday say Peshaani Zameen par rakh day to Chahay wo koe zikr na bhi parhay tab bhi kaafi hay aur zikr ka parhna mustahab hay. aur behtar hay ke wo zikr parha jaye jo Tauzeehul Masail ke Pg #175 Maslah #1086 mem mojood hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul Masail, Edition 42, Maslah #1085,1086).
[Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o allikum... Tohfa Ya Ali a.s maddad... Mera sawal aap se yai hai k Parwardigar nai sitaray kyun banay...
Answer:
Sorah e anaam hay keh or wohi hay jis ne tumhare liay sitaray banaey takeh tum in k zarye khushki or samandar ki tarikiyo main raasta maloom karo, ahl e ilm k liay hum ne apni ayaat khool kar bayan ki hain.(Ref: Quran: Sorah e anaam, ayat#97).
[Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis cheez ko Allah ne katal se zyada sakht kaha hai
Answer:
Sorah e baqra ki ayat#191 main Allah tala ne fitna or fasad ko qatal se zayada sakht kaha hay.(Ref: https://makarem.ir/main.aspx?lid=4&typeinfo=25&catid=25947&pageindex=1&mid=254929)
[Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 6 mahina ki bacchey ki pishab hum par hojayeto is halat mey hami quran padna jaiz hey ya nahi?
Answer:
Sheer khuwar bachay ya bachi ka peshaab najis hai lekin is haalat mai quran parhna jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 mafhoom e maslah no 155).
[Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran me ghoron ki kasam
Answer:
Jee han, Is ka zikar Quran ki surah Aadiyat, surah #100, ki pehli 5 ayaton men muajood hai. (Ref: Al-Quran)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak kitne din me nazil hua
Answer:
Quran 2 martaba nazil howa hai. 1. Aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil ho gaya tha. 2. 23 saal ke arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil howa, Quran ki kuch suratain makki hai aur khuch madani hain, Qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me hi jama ho chuka tha. (Ref: www.islamshia-w.com ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran kitny saal ma nazil Hua
Answer:
23 years
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.a sir jysa k Quran Pak ki Sura Baqarah Ayat 186&187 mein hai K"Khao or Piyo jab Safyd dhari juda ho siyah dhari se" is mein sehri ka waqt kab tak shumar hoga... Azaan e Fajr tak Ya Namaz e Fajr tak?
Answer:
Jis waqt namaz fajar ho rahi ho us se ihtiatan 10 minutes pehly roze ko batil karne wali cheezon se parhez kiya jaye. Q ke ramzan k roze ki niyat ka aakhri waqt aik aise shakhs k liay jis ki tawju ho, azan se pehle hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1533).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamunalykum mera sawal ye h ki kya quran bgair wuzu k padha ja skta h ya nhi
Answer:
wsalam.
baghair wuzu k quraan parha jaa sakta hai lekin us ko mass nahi kia jaa sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 316).
[Updated on 17-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: konsay surah alhamd say shuru hota haii
Answer:
Quraan e kareem ki 5 aisi Surtain hain ke jis ibtida Alhamd-o-lillah se hoti hai. 1: Surah-e-Fatiha. 2: Surah-e-Anaam. 3: Surah-e-Kahaf. 4: Surah-e-Saba. 5: Surah-e-Fatir. (Ref: https://quran.com/ ).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ism al hakeemo quran main kitni bar ayia ha
Answer:
Quram main lafz e Al Hakeem 42 martaba aya hai. (Ref: https://quran.com/ ).
[Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA Roza kholny ka sahi waqt qurani ayat my kya hai
Answer:
Quran majeed mai surah Mubarak Baqra surah #2 ki ayat #187 mai lail ka lafz istemal hua hai aur wazeh rehay k guroob e aftaf ko lail nahin kehtay hain balke lail tareeki ka nam hai lehaza iftar mai itni dair karni chaheye ke rat ki tareeki cha jae. (Ref : Anwar e quran, pg #90).
[Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1.Quran book se mene kuch para padha, kya mei mobile Quran app se uske aage padh sakti hu jaha se mene book mei last padhi thi. 2.Mobile Quran app se padha hua baksha jata h ya nhi ya sirf book se padh ke hi baksh sakte hai, plz reply my both qs
Answer:
Jee han, ye tamam kam Jaiz hain. (Ref: email rcvd from Ayatullah sistani d.b).
[Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Woh pehli surah jo rasool saww pr nazil hui uska naam btayen
Answer:
Aik hi waqt men pora surah nazi nahin howa balke surah e alaq ki pehli 5 ayaat ghaar e hiraa main hamaray nabi Muhammad (s.a.w.w) par nazil hoe. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%BA%D8%A7%D8%B1_%D8%AD%D8%B1%D8%A7 ).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kapde me nijasat lagi ho to quran pad sakte hai
Answer:
Najis libaas mai namaz nahin parhi jaa sakti albtatta quran parha jaa sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,786).
[Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quraan me lafz (yom) or (shehr) kitni mrtaba aya hai
Answer:
Quran men lafz e "Yaum"(din) 365 martaba aur lafz e "Shahr"(mahina) 12 martaba aaya hai. (Ref: http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/ghorani.htm ).
[Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir kya Quran mobile me let Kar padh sakte hai
Answer:
Is tarah parhna Jaiz hay. (Ref: email rcvd from A.sistani d.b).
[Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Muhammad s.w ny makha Mai Quran ki wahi kb tk hasil ki
Answer:
Quran k 2 nuzool hain. Pehla nuzool ye hai ke aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil ho gaya.
Dosra nuzool ye hai ke 23 saal ke arse men thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil houa, Quran ki khuch suratain makki hai aur khuch madani hain, qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me he jama ho chuka tha.
(Ref: www.islamshia-w.com).
(Note: Makke men nuzool ka silsila 13 saal ka hai aur 10 saal madinay men).
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran main lafz imam kitni bar aya hai
Answer:
Quran main lafz e Imam 7 martba aya hai. (Ref: https://quran.com/ ).
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis ayat mein madina shareef ka zikr aaya hai
Answer:
Madina e munawwar ka purana naam yasrab tha is ka zikr Quran majeed main Surah Ahzab, Ayat #13 main aya hay. agarche lafz e madina bhi kuch baar istemaal hoa hay lekin ye lafz faqat sheher k matlab main isteemal hoa hay, yasrab ke naam ke taur per istemal nahi howa. (Ref: http://quran.com/ Surah Ahzab, Ayat #13, http://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AF%DB%8C%D9%86%DB%81_%D9%85%D9%86%D9%88%D8%B1%DB%81 ).
[Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ujrat de kr Quran parwa sakty hain or ek Quran ki kitni ujrat hoti ha
Answer:
ujrat dekar quran perhwaya jasakta hai .(.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen part #2, maslah#31) or quran perhwane ke hawale se aap is number par rabta karen
Tel: (0092-21) 32226948
Tel: (0092-21) 32237207
[Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: is it allowed to take pocket size quran in your pocket
Answer:
Yes. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b, dated: 17-04-15).
[Updated on 04-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]