Showing 350- 400 questions from 471 questions on this page.
Question: Q3. Nek ladkiya nek ladko ke liye aur nek ladke nek ladkiyon ke liye banaye gaye hain ye Quran ki kis surah ki kis aayat m aaya h
Answer:
Surah Noor surah #24, Ayat #26.(Ref: https://quran.com/24 ).
[Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: is it allowed to take pocket quran if packed properly carrying in toilet
Answer:
Yes. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b, dated: 17-04-15).
[Updated on 15-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: jisko perhna na ata ho wo Quran Pay Ungli rkh k neyat ya kry k main talwat kr rha ho or Allah ka koi b name Lay k Usko prhy to uska Ajar ha ya nhe
Answer:
Jee han, Balke har har Harf sawab hai milta hai Q ke Rasool e Khud(s.a.w.w) ne farmaye: Jo shakhs kitab e ilaahi ke aik Harf ki tilawat kare us ke amaal men aik Hasana (naiki) likhi jati hai or har Hasana ka sawab das guna milta hai, {is ke bad Aap(s.a.w.w ne farmaya)} main ye nahin kehta ke alif, laam, meem (ye teeno) aik Harf hai balke "Alif " aik Harf hai, "Laam" dosra Harf hai or "Meem" teesra Harf hai.
Lehaza Rasool(s.a.w.w) ki is hadees ke mutabiq har har Harf ka milta hai lehaza Quran khol kar lafz e Allah, Rahman, Raheem, Gaffar o Sattar wagera ka zikr karte rahen to is ka bhi sawab mile ga Q ke ye tamam naam bhi Quran men zikr hue hain.
(Ref: http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/06.htm ).
[Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام علیکم. میرا سوال یہ ہے کہ کیا جسم کے کسی حصے پر موبائل پر تلاوت لگا کر رکھ سکتے ہیں. جیسے ٹانگ کا آپریشن ہوا ہے تو ٹانگ پر رکھ دیا موبائل. کیا ایسا کرنا چاہتے. عموماً کان کے پاس تلاوت لگای جاتی ہے اور اثر کانوں سے سننے پر پورے جسم میں ہوتا ہے. مجھے یہ ٹھیک نہیں لگ رہا مجھے گناہ ملنے کا ہدشہ لگ رہا ہے اور میرے شوہر ایسے ہی ٹانگ پر تلاوت لگاتے رہے ہیں. مہربانی فرما کر رہنمائی فرمائیے گا. جزاک اللہ خیر.
Answer:
Is tarah se tilawat men sunne men koi gunah nahin hai lekin ye adaab e tilawat ke khilaf hai.
(Ref: Link, https://hawzah.net/fa/Magazine/View/2689/6591/76865/%D8%A2%D8%AF%D8%A7%D8%A8-%D8%AA%D9%84%D8%A7%D9%88%D8%AA-%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86 ).
[Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sahife kin paigambaro par nazil hue hai.? Please tell me
Answer:
Marhoom tabresi ne majma-ul-bayan men Surah Aala ki tafseer men aik Hadees Paighambar e Akram (s.a.w.w) se naqal ki hai jis ke aakhir men ye hai ke Abozar (r.a), Paighambar e Akram (s.a.w.w) se sawal karte hain ke Khuda ne ki kitaben nazil keen, Aap (s.a.w.w) ne farmaya: aik sau chaar (104) kitaben: 10 sahife Hazrat Adam (a.s) par , 50 sahife Hazrat Shees (a.s) par , 30 sahife Hazrat Idrees (a.s) par 10 sahife Hazrat Ibrahim (a.s) par (Jo majmooei taur par aik sau (100) sahife bante hain) Aur chaar (4) kitaben: Taurait Hazrat Musa (a.s) par , Injeel Hazrat Eisa (a.s) par , Zaboor Hazrat Dawood (a.s) par or Quran Hazrat Muhammad Mustafa (s.a.w.w) par.
(Ref: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&lid=4&mid=105131&catid=6479&pid=319399 ).
[Updated on 10-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam alykum mera yeh sawal hai ky Quran pak mein yeh kahan likha hai ky Nabi pak jo b kehty krty wo Allah pak ki taraf sy wahi ki jati ti isky qurani ayat sy 2 yan 3 ayat ky references ky quran mein kahan kahan aya
Answer:
Quran kareen ke surah An-Najm, surah #53 ki do ayaton Ayat #3 aur 4 men is ka zikr maujood hai aur reference ke liye aap neeche diye gaye link ko visit kar sakti hain is link men donon aayaton ki tafseer bhi ki gayei hai
https://urdu-daira-maarif-e-quran.blogspot.com/2019/09/blog-post_22.html
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam alykum mera yeh sawal hai ky jb quran 23 sal ky arsy mein nazil huwa to pir wo shab e qadar ki raat ko pura kesy utara gaya mujy iska zara jaldi jawab chahiye
Answer:
Quran 2 baar nazil howa hai aik martaba men saara quran shab e qadr me naazil ho gaya tha aur doosri marbata 23 saal ke arse me thorha thorha naazil hota raha.(Ref: Quran Shanaasi, Misbah yazdi, Jild #1, pg #139)+Uloom e Quran, Eskandarlu, pg #41)
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ki kin kin ayato me huzur s.a.w.w ki biwiyu ka zikr hua hai
Answer:
Taqreeban In Ayaat men Azwaj e nabi(s.a.w.w) ka zikr aya hai.
Surah Ahzab Ayat #6, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34, 37, 38, 50, 53, 59,
Surah Noor Ayat #11، 12، 13.
Surah Tehreem Ayat #1, 3, 5.
(Ref: https://previous.quran.com/ . + https://makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=72664&lid=0&mid=71125 ).
[Updated on 09-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اہل ذکر سے پوچھو اگر تم نہیں جانتے قرآن کی کس سورہ میں ہے ؟؟
Answer:
Surah An-nahl surah #16, Ayat #43. (Ref: https://quran.com/16 ).
[Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran parhte waqt aurat k libas ki requirements kia Hain ? Kia shorts pehen k Quran parh sakti Hain?
Answer:
Agar koi namehram no ho (jo aurat ko daikh raha ho ) aur koi mafsada,ya fasaad lazim na aa raha ho to aurat ke lie pardah karna zarori nahe hay (or wo begaire hijaab ke quraan ) parh sakti hai.(ref:sistani.org,urdu,pardah,sawaal no:14),(ref: nighao lebaas ,jild no:1,pg no: 87)
Deen e Islam men namaz or roze se le kar khane or sone tak aur is ke alawa buhut se aamaal o afaal ke ahkam o aadaab hain jin ki pabandi karna kabhi zaroori hai or kabhi mustahab hai. is men koi farq nahin parta mard ho ya aurat.
Quran ki tilawat jis par ramazan-ul-mubarak men ziyada takeed ki jati hai or is men ziyada fazeelat hoti hai, is ke kuch khas usool or aadaab bhi hain, jin men se kuch ka mushahida karna humare liye zaroori hai or jin men se kuch humare liye mustahab hain. In men se kuch Aadaab ko hum yahan zikr kar rahe hain.
Yeh baat kaabil e zikr hai ke Quran ki tilawat ke liye jo ahkam o aadaab bayan kiye jate hain - bil wasta ya bila wasta - wo Quran ki Ayaat or Masoomeen (a.s) ki ahaadees se liye gaye hain.
Tilawat e Quan ke Aadaab.
1. Quran ki tilawat ke waqt ba taharat or pakiza libas pehenna, Aur agar jism ka koi hissa Quran ki tehreeron se mas (touch) karna ho to ba-taharat hona lazim hai.
2. Tilawat e Quran se pehle brush karna or khushbo lagana.
3. Tilawat e Quran ke waqt qible ki taraf munh karna.
4. Tilawat e Quran ke waqt Quran ki safahaat ka ihteraam karna.
5. Quran ki tilawat karte waqt 4 maqamat par sajda karna wajib hai (surah sajda ayat #15, surah fussilat ayat #37, surah najam ayat #62, or surah alaq ayat #19).
6. Tilawat e Quran se pe (أَعوذُ بِاللّه ِ مِنَ الشَّیطانِ الرَّجیم) or (بِسمِ اللهِ الرَّحمنِ الرَّحیمِ) ka parhna.
8. Quran ki tilawat ke aakhir men (صَدَقَ اللّه ُ العَلَیُّ العَظیمُ) kehna.
9. Quran ki tilawat dil ki hazri or poori tawajjuh or pur khuloos or adab se karna.
10. Quran ki tilawat ke waqt Quran ko zameen par rakhne ke bajaye uonchi cheez jese mez ya hath wagera par rakhna.
11. Quran ki tilawat ke waqt do zano hoke bethna or agar na kar saken char zano hoke bethna, or kisi par tek na lagana.
12. Quran e pak ko kholne or parhne se pehle choomna or band karne ke bad peshani par lagana munasib hai ye Quran kareem ke liye aik tarah ka ehtiraam hai.
13. Quran ki tilawat se pehle is dua ( اَللّهُمَّ أَخْرِجْنِی مِن ظُلُماتِ الوَهْمِ و أَکْرِمْنِی بِنوْرِ الفَهْمِ. اَللّهُمَّ افْتَحْ عَلَیْنَا أَبْوَابَ رَحْمَتِکَ وَانْشُرْ عَلَیْنَا خَزَائِنَ عُلُوْمِکَ بِرَحْمَتِکَ یَا أَرْحَمَ الرّاحِمِیْن ) ka parhna.
14. Quran ki tilawat ke doran ghar walon ya doston ya dosro ke araam o sukoon, kam or mutalia men khalal na dalne khayal rakhna.
15. Quran ki tilawat ke waqt jab bhi Rasool e khuda(s.a.w.w) ke ism e mubarak tak punhchen to durood ka parhna.
16. Quran ko saaf suthra rakhna, use kisi munasib ghilaaf or jagh par rakhna, us ke safahat ki side or hashiye par kuch na likhna.
17. Quran ki tilawat ke doran jab bhi jannat ka zikr aye to khush hona chahiye aur allah se jannat jane ki darkhwuast karni chahiye Aur jab bhi jahanam ka zikr aye to gamgeen hona chahiye or khuda ki panah magna chahiye.
18. Agar mumkin ho to saaf or safed libaas pehnna.
19. Tilawat e Quran se durood ka parhna Ayaat ki tilawat or hifz karne se pehle dua karna or khas taur par un duaon ka parhna jo Masoomeen (a.s) ne humen sikhai hain.
20. Aayaat e Qurani ko theher theher kar parhna.
21. Quran ko dekhna hata ke hafiz e Quran hon.
22. Tilawat e Quran ke doran poore jism ka dhanpna.
23. Jahan tak ho sake buland awaz se tilawat karna.
24. Jab Quran ki tilawat ki jaye to khamosh rehna use sunna.
25. Quran ko arabi lehen or lehje men parhna.
26. Quran ko munasib jaghon masalan Masajid men parhna behtar hai.
27. Apne aap ko Quran ki Aayat par amal karne ka paband samjhna is tarah se ke wajib or musahab par amal karna aur haram or makrooh ko tark karna.
28. Tilawt e Quran ke bad Masoomeen (a.s) , shuhada , buzrgon , asaatiza , maan, baap , bhaiyon , behnon , bachon , rishtedaron , doston , janne walon or na janne walon ko is ka sawab hadiya karna.
29. Tilawat e Quran ke program men Quran khatam karna pasndeeda amal hai.
30. Quran ya Quran ka kuch hissa hamesha apne pass rakhna or us ki tilawat karte rehna.
31. Aayat , surah ya Quran ke kuch hisson ki tilawat ke waqt Allah tala ka shukr baja lana. taake Allaha tala humari kamiyabi men izaafa kare.
32. Qari e Quran ban jane ke bad doosron is ki taleem o tarbiyat dena aur apne mutalie , tajube , tehqeeq, or tareeqon ko dosron tak punhchana or is men bukhul na karna.
Tilawat e Quran ke zahiri aadaab ke alawa batini Aadaab bhi hain or un men se kuch ye hain.
1. Khudayi kalam ke johar ko samajhna.
2. Quran ki tareef.
3. Khuloos e dil or niyat ka hona (pehle bhi zikr kiya gaya hai).
4. Quran ki Aayat men gor o fikr karna or is ke maani par tawajjuh dena.
5. Qurani Ayaat se mutasir hona.
6. Apne aap ko Quran ki Ayaat or is ke ahkam o mamnooaat ka mukhatab samajhna.
Is ke Alawa bhi Adaab hain jo zel men diye gaye link ke zariye dekhe ja sakte hain.
(Ref: Link, https://hawzah.net/fa/Magazine/View/2689/6591/76865/%D8%A2%D8%AF%D8%A7%D8%A8-%D8%AA%D9%84%D8%A7%D9%88%D8%AA-%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86 ).
[Updated on 25-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya Quran main hazrat Salman farsi ki zekar aya hy?
Answer: Quran main hazrat salman farsi ka naam nahi aya hay. (Ref: Quran e kareem). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ma kahan kahan likha he ka quran Rasool Kareem par ultra gaya
Answer: Quran main chand maqamaat per is baat ka zikr maujood hay. sorah baqra ki ayat#97 mian hay keh jibrael as ne hukm e khuda se quran ko hamare akhri nabi (saww) k dil per nazil kia. (Ref: Sorah e baqra ayat#97)[Updated on 21-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: قرآن پاک کی کون سی آیات میں ھے کہ دوزخی کو کالا لباس پہنایا جاے گا ۔ برائے مہربانی رہنمائی فرمائے
Answer:
Quran kareem men aisi koi Ayat nahin hai ke jis men kaha gaya ho ke jahammion ke libaas rang kala hai.(Ref: https://quran.com/).
[Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: lafzi musa quran ke konse paroo mai aya hai
Answer:
Lafz e Musa Quran kareem ke 25 Paaron main, or 131 ayat main 131 dafa aaya hai, or zail main pare bataye ja rahe hain.
1, 2, 3, 6, 7, 8, 9, 11, 12, 13, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 30.
(Ref: https://quran.com/?locale=ur)
[Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: How many times is rights of parents mentioned in the Qur'an-e-Majid?
Answer:
It is mentioned in the Quran about 15 times in different places and on different topics.
(Ref: https://quran.com/ + http://alhassanain.org/urdu/?com=content&id=1298 ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia lait kar mobile maiqurab parh sakty hyn?
Answer:
Is tarah Quran parhna Jaiz hay. (Ref: email rcvd from A.sistani d.b).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: How I can be a part of this academy???
Answer:
Head Office : 365/1, Pire Street, Garden East, off buisness recorder road, Gurumandir, Karachi, Pakistan. Postcode/Zip 74400
Office Timing: 8:00 AM - 9:00 PM
Tel: (0092-21) 32226948
Tel: (0092-21) 32237207
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Knsi ayat ma aya hy k Mera Nabi Bina wahi k kalam Ni krta
Answer:
Quran kareem k surah An-Najm, surah #53 ki do ayaat Ayat #3 or 4 men is ka zikr maujood hai. (Ref: https://www.imamali.net/?id=12346 ).
[Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ye din har din pe galib aakar Rhega Ye Aayat konsi hai
Answer:
Surah Al-Saf الصّف (surah #61), Ayat #9. (Ref: https://quran.com/61 ).
[Updated on 15-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia quran main kahin zulikha ka zikar name ky sath hai
Answer:
Quran men Lafz e Zulaikha(زلیخا) ka zikr nahin aaya, Albatta quran men faqat إمْرَأتُ الْعَزِیْزِ ke alfaz zikr kiye gaye hain.(Ref: https://quran.com/12/ , Surah Yousuf, Ayat #30,51).
[Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jab quran mai ye farmaya gya hai k zani mard zani auraton k liye ur pak mard pak auratun k liye to phir agar aik pak aurat ko pata chaly k us ka shohar zani hai to kya us aurat ka nikah mai rehna jaiz hai, ur zahiran zanah ka koi saboot bhi na ho to wo bewi kya kary
Answer:
Sorah e noor ki ayat#26 ka ye matlab nahi hay keh agar shohar shrabi ya zaani ban jaey tu nikah toot jata hay ya nikah main rehna haram ho jata hay. bakeh is ayat ka matlab ye hay keh khabees or tayyib ka apas main koe jorh nahi hay nah tabiyat o khaslat main, nah kirdaar o sirat main.(Ref: balagul Quran, mufassir :sheikh mushsin najafi)
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachun ko Quran start krwane ki Sahi Umar btaden
Answer:
Is hawale se ham aap ko ek link provide kar rahe hain please aap is link ko visit karen. https://www.youtube.com/watch?v=cBVRN4RZNoE
[Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran main rasool e khuda ko kin namo se pukara gya hai
Answer:
Rasool e khuda(s.a.a.w) ke do naamo ka zikr quran kareem men aya hai. Surah Aale Imran ki ayat #144 men Muhammad(s.a.a.w) naam aaya hai aur Surah Saf ki ayat #6 men Ahmed(s.a.a.w) naam aya hai. aur baqi masalan Muddassir, Muzzammil, Taha, Yaseen jo aayae hain wo saare Rasool e khuda(s.a.a.w) ke naam nahin hain balke Alqaab hain. (Ref: https://quran.com/).
[Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quraan mn zyada istamal Hong Wala harf
Answer:
Quran me sab se ziyada istemal hone wala harf alif (الف) hai joke 48872 bar istemal hua hai.
(Ref: http://babeilam.blogspot.com/2010/11/blog-post_15.html ).
[Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Alif laam meem qaaf aur ain ghain ka mtlb kiya ha
Answer:
Huroof e Muqtiaat "حروف مقطعات": Alif, laam, meem inhen "muqtiaat e quraniya مقطعاتِ قرآنیہ" bhi kehte hain. aur in ke andar asraar or rumooz posheeda hain jin ka ilm Allah aur us ke Habeeb (s.a.w.w) ko hai. in ke alawa or kisi ko nahin.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=240&tid=274&frm= ).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran my kitni anmbya ka nam aya ha
Answer:
Quran e Kareem mai 25 ambiya ka zikr aya hai.
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D9%86%D8%A8%DB%8C%D8%A7%D8%A1#.D8.A7.D8.AC.D9.85.D8.A7.D9.84.DB.8C_.D8.AA.D8.B9.D8.A7.D8.B1.D9.81 ).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum, Please share any hadith or quran Refrence for the support of Mutha ? Better if would it be from Quran .
Answer:
Quran kareem me Surah Nisa ki ayat #24 me waazih tuar Nikah e Mutah ka hukum bayan hua hai. aur Ayat ka tarjuma ye hai ke " Phir jin aurton se tum ne mutah kiya hai un ka tay shuda meher bataur e farz ada karo " Ye ayat nikah e mutah ke taur par mashhoor hai jis me mutah ke sharaei hone ka nahin balkeh pehle se sharaei shuda mutah ke meher ka hukum bayan ho raha hai.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=1699&tid=1712 + https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%DA%A9%D8%A7%D8%AD_%D9%85%D8%AA%D8%B9%DB%81 ).
(Note: is ki mazeed tehqeeq aur tafseel ke liye upar diye links ko visit karen is me aap ko wo Ahadees aur riwayaat bhi mil jayen gi jin se aap ko nikah e mutah ka suboot mil jaye ga ).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kea Quran pak ma lafaz pa h ?
Answer:
Shayad aap ka sawal lafz e pa (پ) ke baare me hai to chunke Quran e kareem arabi me naazil hua hai aur arabi me lafz e pa (پ) nahin hai lehaza Quran me bhi lafz e pa (پ) nahin hai.
(Ref: https://quranurdu.org/ ).
[Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran me nazil hone wali akhri 5 ayate kaunsi hai
Answer:
Sab se aakhir main naazil honay wali ayat Surat Al-Maidah ki ayat #3 hai jo khilafat e Hazrat Ali(a.s) k baray man hay.
(Ref: Qurani malomaat per mushtamil 1540 sawalaat ke jawab, pg #78, sawal #426).
[Updated on 23-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA quran majeed mai jino ka ziker hai..? Or ager hai to kis ayat mai hai
Answer:
Jee han, Quran majeed me jinnaat ka zikr mukhtalif maqamat par aaya hai. aur khaas taur par Quran majeed me jinnaat ke naam par aik poori surah jo ke "surah e Jin" maujood hai. jis ki ibtida is ayat se hoti hai ke keh dijiye: meri taraf wahi ki gayei hai ke jinnaat ki aik jamaat ne (Quran) suna aur kaha: hum ne aik ajeeb Quran suna hai.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/tafseer/index.php?sno=72 ).
[Updated on 12-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Imam e Zmana As k bary mai qurani ayaat konsi hain
Answer:
Quran majeed ki buhut si aisi aayat hain jin ki tafseer me Imam e zaman(a.s) ke mutaaliq mataalib jaise: zahoor, qayam, gaibat aur huqoom Imam e zaman(a.s) ki taraf ishaara hua hai. un aayat ki tafseer ya taweel me ahlbait(a.s) se marvi ahadees se istinaad ki gayei hai. aur baz musannfeen ne in ki taadad taqreeban 398 jabke baz ne 500 tak batayei hain.
Jin me se chand aayat aap ke saamne paish ki jati hain: Surah anbiya, ayat #105, Surah qasas, ayat #5, Surah noor, ayat #35,55, Surah baqra, ayat #1,2,3,148,155,249, Surah aal e imran, ayat #83,200, Surah nisa, ayat #59,69, Surah tauba, ayat #33, Surah saf, ayat #8,9, Surah ibrahim, ayat #5, Surah hijr, ayat #36,37,38,87, Surah isra, ayat #33,81, Surah taha, ayat #110,115,1135, Surah mudassir, ayat #9,10,46,47, Surah luqman, ayat #20, Surah ankboot, ayat #10, Surah anfaal, ayat #7,8, Surah asr,ayat #1, Surah bayyina, ayat #25, Surah qadr ayat #5, Surah lail, ayat #2, Surah shams, ayat #3, Surah fajr, ayat #1, Surah buruj, ayat #1, Surah gashiya, ayat #1,2,3,4, Surah takweer, ayat #15,16, Surah jin, ayat #24, Surah maarij, ayat #44,26, Surah mulk, ayat #30, Surah hadeed, ayat #17, Surah rahman, ayat #41, Surah zariyaat, ayat #23, Surah qaaf, ayat #41,42, Surah fateh, ayat #25, Surah jashiya, ayat #14, Surah zukhruf, ayat #66, Surah shoora, ayat #20,41, Surah fuselat, ayat #16,17,53, Surah zumr, ayat #69, Surah saad, ayat #88, Surah saafaat, ayat #83, Surah saba, ayat #51, Surah sajda, ayat #21,29, Surah room, ayat #4, Surah shuaraa, ayat #4,205,207, Surah haj, ayat #39,41, Surah yunus, ayat #20, Surah nahl, ayat #1,45, Surah yuosuf, ayat #110, Surah anaam, ayat #158, Surah araaf, ayat 159, Surah hood, ayat #80, Surah tariq, ayat 15,16,17, Surah naml, ayat #62.
In aayat ki tafseer ya taweel ke liey darj zail link ko vist kiya jaye.
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%81%DB%81%D8%B1%D8%B3%D8%AA_%D8%A2%DB%8C%D8%A7%D8%AA_%D9%85%DB%81%D8%AF%D9%88%DB%8C%D8%AA ).
[Updated on 24-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam e Alikum. Mera aap sy yeah sawal hai ky WO kon sy quran majeed mai suhraat hai aur ayaat hai jis mai tarjama hai ky yeah paigamro ko bhi maraah karty thi.
Answer:
Is hawale se wo Aayat jin me Ambiya(a.s) ke qatal ka zikr aaya hai in me Surah Baqra, Ayat #61,91, Surah Aal e Imran, Ayat #21,112,181,183, Surah Nisa, Ayat #155, Surah Maaidah, Ayat #70 shaamil hain.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/ ).
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam e Alikum . mera aap sy bas yeah sawal hai WO kon sy suraat hai jis ma Allah Pak NY farmaya yeah paigamro ko na haq qataal kya karty the.surha name aur ayaat e mubarika bhi bata dyein gye. Suhkriya.
Answer:
Is hawale se wo Aayat jin me Ambiya(a.s) ke qatal ka zikr aaya hai in me Surah Baqra, Ayat #61,91, Surah Aal e Imran, Ayat #21,112,181,183, Surah Nisa, Ayat #155, Surah Maaidah, Ayat #70 shaamil hain.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/ ).
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mushreekin makah ne allah tallah ka nasab pucha tha uske jawab me konsi surah utri thi
Answer:
Surah Ikhlaas (tauheed) nazil hua.
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D8%AE%D9%84%D8%A7%D8%B5#%D8%B4%D8%A3%D9%86_%D9%86%D8%B2%D9%88%D9%84 ).
[Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak me kis nabi k baray me kaha gia k o apnay bap Kay Sth neki krnay walay thay?
Answer:
Quran kareem mein khuda Hazrat Yahya(a.s) ki sift bayan karte hue farmata hai ke woh apne walidain ke sath neki karne walay thay aur sarkash o nafarman nahin thay. Aur Hazrat Eesa(a.s) ki zabani naqal hua hai ke unhon ne farmaya ke khuda ne mujhe apni walida ke sath behtar sulook karne wala qarar diya hai.
(Ref: Al-Quran, surah maryam, ayat #14,32, + Link: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=19 ).
[Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia bina tarjuma key quran parna sawab hay matlab jub hamee pata hi nai key baat kiya horahi to aml kese krengay?
Answer:
The proper reward is for the Arabic recitation. Translate: Munasib sawaab Arabi tilawat ke liye hi hai.
Note: Aap ko quran ki tilawat arabi main hi karni hogi. aap ko urdu main quran parh kar samjhnay ka sawaab milay ga. laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirf arabi qirat kar ke hi milay ga.
(Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11).
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran me namaz ka hukam kitni mertaba Aya ha
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zameen lafz quran m kitni bar aya hai
Answer:
Zameen ko arabic me arz(أَرْض) kaha jata hai or lafz e arz(أَرْض) Quran me 439 baar aaya hai.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/ ).
[Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: مجھے صرف یہ پتا کرنا ہے کہ قرآن شریف میں نماز کا ذکر کہاں پر ہے کون سی آیات میں ہے اور اسکا ترجمہ کے ساتھ مجھے بتا دیں
Answer:
Quran e kareem main lafz Al-ssalaat(namaz) ka zikr 67 baar aya hay. Ikhtisaar ke saath chand aayaton ka tarjima paish e khidmat hai:
1: Surah Baqra, ayat #43, tarjima: 'Aur namaz qaaim karo aur zakat ada karo aur (Allah ke samnay) jhuknay walon ke sath jhuka karo'.
2: Surah Baqra, ayat #83, tarjima: 'Aur jab hum ne bani Israel se ehad liya (aur kaha) ke Allah ke siwa kisi ki ibadat nah karo aur (apne) walidain, qareeb tareen rishta daaron, yateemon aur miskeenon par ehsaan karo aur logon se husn e guftaar se paish aao aur namaz qaim karo aur zakat ada karo'.
3: Surah Baqra, ayat #110, tarjima: 'Aur namaz qaim karo aur zkoh ada karo aur jo kuch neki tum –apne liye agay bhaijho ge usay Allah ke paas mojood pao ge, tum jo bhi amal injaam dete ho Allah yaqeenan is ka khoob dekhnay wala hai'.
4: Surah Nisa, ayat #77, tarjima: 'Kya aap ne un logon ko nahi dekha jin se kaha gaya tha: apna haath rokay rakho, namaz qaim karo aur zakat diya karo'.
5: Surah Nisa, ayat #103, tarjima: 'Phir jab itminan haasil ho jaye to (mamool ki) namaz qaim karo, beshak waqt ki pabandi ke sath namaz ada karna momeneen par farz hai'.
6: Surah Anaam, ayat #72, tarjima: 'Aur yeh ke namaz qaim karo aur taqwa e ellahi ikhtiyar karo aur wohi to hai jis ki bargaah mein tum jama kiye jaoge'.
7: Surah Araaf, ayat #29, tarjima: 'Kehdijiye: mere rab ne mujhe insaaf ka hukum diya hai aur yeh ke har ibadat ke waqt tum apni tawajah markooz rakho aur is ke mukhlis farmanbardar ban kar usay pukaro, jis tarah is ne tumhe ibtida mein peda kya hai isi tarah phir peda ho jaoge'.
8: Surah Yunus, ayat #87, tarjima: 'Aur hum ne Musa(a.s) aur un ke bhai ki taraf wahi bheji ke misar mein apni qoum ke liye makanaat muhayya karo aur apne makanon ko qibla banaao aur namaz qaim karo aur mominon ko basharat do'.
9: Surah Noor, ayat #56, tarjima: 'Aur namaz qaim karo aur zakat diya karo aur Rasool(s.a.w.w) ki itaat karo taakay tum par reham kya jaye'.
10: Surah Room, ayat #31, tarjima: 'Us ki taraf rujoo karte hue aur us se daro aur namaz qaim karo aur mushriqeen mein se nah hona'.
(Ref: Qurani maloomaat par mushtamil 1540 sawalaat k jawaab, pg #82. + https://www.balaghulquran.com/ ).
[Updated on 12-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا ہم ٹیک لگا کر قرآن پاک پڑھ سکتے ہیں
Answer:
Jee han, is tarah Quran parhna Jaiz hay.
(Ref: email rcvd from A.sistani d.b).
[Updated on 25-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: انشاء اللہ کا ذکر قرآن کی کس آیت میں آیا ہے
Answer:
Quran InshAllah is (إِنْ شَاءَ اللَّهُ) tarah warid hua hai aur is ka zikr chhe (6) maqamat par zikr aaya hai: 1. (Al-Baqrah, Ayat #70) 2. (Yousuf, Ayat #99) 3. (Al-Kahaf, Ayat #69) 4. (Al-Qasas, Ayat #27) 5. (As-Saffat, Ayat #102) 6. (Al-Fatah, Ayat #27).
Ref: link, https://www.facebook.com/2288897964697880/posts/2529282893992718/ ).
[Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rasool e Khuda ne Quran Pak ki kis surah ki Ayat nazil honay k bad tabligh ki?
Answer:
Surah e shuara(الشعراء) Ayat #214 me irshaad e parwardigar hua hai ke: 'Aur apne qareeb tareen rishte daaron ko tanbeeh kijiye'.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/tafseer.php?id=2313 ).
[Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alikum...mein Ne Aj Se 7 sal phlyy quran hifz karna shuru kia tha bas kisi wja se wo pora na lar skaa too mee 2nd pary par tha par mjh wo sab bhol gyaaa ab me wapis yad krnaa chahta huu par mjh ye yad nii k me khn tk prha tha ab btaein mekia kru....orr Qari sahab ne mjhe bech me se kuch ayat bhi yad krai Thi Mkh Wo Bhi Yad Nhi K Konsi Thi Ab Btein kIa Mjh gunah mily ga
Answer:
1: Agar bhool gayei hain to wapis hifz karna wajib nahin, Han agar hifz karna chahte hain (yani ke aap ka dil chaah raha hai hifz karen to phir ye zaroori nahin jahan tak hifz kiya tha bas ab wahin se aage hifz karna hai, nahin balke aap ki marzi hai jahan se hifz karna shuru karen.
2: Mautabar riwayat ke mutabiq surah e taha ki ayat #25 se 28 tak ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qalaqama karti hai aur haafize ko qawi se qawi tar banati hai.
(Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, ques #197, pg #83. + Naway e Saliheen, pg #326).
[Updated on 28-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: surah naml me kitne qaumo ka zikr hai
Answer:
5 qaumon ka zikr aya hai.
1. Qaum Musa (a.s), 2. Qaum saba (Hazrat Sulaiman {a.s}), 3. Qaum samood (Hazrat Saalih nabi {a.s}), 4. Qaum Loot (a.s), 5. Qaum Hazrat Eisa (a.s) Bani Israel.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=27 ).
[Updated on 04-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sureh muntazir padhne se gunah milta hai
Answer:
Pehli baat to ye ke Quran e kareem me muntazir (منتظر) naam ka koi surah nahin hai, aur dusri baat ye ke Quran ke kisi bhi sureh ki tilawat karne se gunah nahin milta, balke sawab hilta hai.
(Ref: Email rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated: 06-08-2011).
[Updated on 06-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ki tarteeb kis sahabi ny ki
Answer:
(sab se pehla sawaal ye hay ke Kya )Quran e Majeed Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein murattab ho chuka tha ya baad mein tarteeb diya gaya?
Jaisa ke hum jantay hain ke Quran Majeed ke pehlay soray ka naam ”فاتحة الکتاب“ hai, ”Fatihat-ul-kitab“ yani kitaab (Quran) ki ibtida aur Paighambar Akram(s.a.w.w) se manqool bohat si riwayaat ke paish e nazar yeh nateeja nikalta hai ke khud hazrat Rasool Allah (s.a.w.w) ke zamane mein is surah ko isi naam se puraka jata tha.
yahin se aik darecha islam ke masail mein se aik ahem maslay ki taraf wa hota hai aur woh yeh ke:
Aik giroh ke darmiyan yeh mashhoor hai ke (Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein Quran pirakanda tha baad mein Hazrat abubaker ya umar ya usmaan ke zamanr mein muratab huwa hai), Quran Majeed khud Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein isi tarteeb se mojood tha jo aaj hamaray yahan mojood hai, aur jis ka sar e aaghaz yahi surah Al-hamd tha, warna to yeh Paighambar Akram(s.a.w.w) par nazil honay wala sab se pehla surah nahin tha aur nah hi koi doosri daleel thi jis ki bina par usay ”Fatihat-ul-kitab“ ke naam se yaad kya jata.
is ke alawa aur bohat se shawahid is haqeeqat ki taaied karte hain ke Quran kareem isi mojooda soorat mein Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein jama ho chuka tha.
”Ali bin ibrahim“ Hazrat Imam Sadiq(a.s) se naqal karte hain ke Hazrat Rasool khuda(s.a.w.w) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaya: Quran kareem, Hareer ke kapron, kaghaz aur un jaisi doosri cheezon par mutafarraq hai lehaza is ko aik jagah jama kar lo“ is ke baad mazeed farmatay hain ke Hazrat Ali(a.s) is nashist se utthay aur Quran ko aik zard rang ke kapray par jama kiya aur is par muhur lagai:
”وَانطلقَ عَلی(ع) فَجمعہُ فِی ثوبٍ اٴصفرٍ ثُمَّ خَتَم علَیْہِ“
Aik dosra giroh: ”khawarzemi“ ahal sunnat ke mashhoor o maroof muallif apni kitaab ”manaqib“ mein ”ali bin riyah“ se naqal karte hain ke Quran Majeed ko Hazrat Ali bin Abi taalibi(a.s) aur Abi bin kaab ne Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane hi mein jama kar diya tha.
Teesra giroh: ahal sunnat ke mashhoor o maroof muallif hakim e neshapoori apni kitaab ”mutadrak“ mein zaid bin saabit se naqal karte hain:
zaid kehte hain: ”hum log Quran ke mukhtalif hisson ko Paighambar Akram(s.a.w.w) ki khidmat mein jama karte thay aur Anhazrat(s.a.w.w) ke farmaan ke mutabiq is ki munasib jagah qarar dete thay, lekin phir bhi yeh likha huwa Quran mutafarraq tha, Hazrat Rasool khuda(s.a.w.w) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaya ke is ko aik jagah jama kar dein, aur hamein is ki hifazat ke liye taakeed kiya karte thay“.
Azeem us shan Shia aalam deen syed murteza kehte hain: Quran Majeed Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein isi mojooda soorat mein muratab ho chuka tha“.
Tibrani aur ibn akaasir dono ”shaabi“ se naqal karte hain ke Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein Ansar ke chay afraad ne Quran ko jama kiya. aur “qatadah“ naqal karte hain ke mein ne anas se sawal kya
keh Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein kin logon ne Quran jama kiya tha? to unhon ne: Abi bin kaab, Maaz, Zaid bin saabit aur abu zaid ka naam liya jo sabhi Ansar men se thay is ke alawa bhi bohat si riwayaat hain jo isi matlab ki taraf ishara karti hain ke agar hum un sab ko bayan karen to aik Tolani behas ho jaye gi.
Beher haal Shia aur suni kutub mein naqal honay wali riwayaat jin mein surah hamd ko ”Fatihat-ul-kitab“ ka naam diya jana, is mauzo ko saabit karne ke liye kaafi hai.
sawal:
yahan aik sawal yeh peda hota hai ke kis tarah is baat par yaqeen kiya ja sakta hai jabke buhat se ulama ke nazdeek yeh baat mashhoor hai ke Quran kareem ko Paighambar Akram(s.a.w.w) ki wafaat ke baad tarteeb diya gaya hai (Hazrat Ali(a.s) ke zariya ya dosray logon ke zariya).
is sawal ke jawab men hum yeh kehte hain: Hazrat Ali(a.s) ka jama kiya huwa Quran khaali Quran nahin tha balkay Quran Majeed ke sath sath is ki Tafseer aur shan e nuzool bhi thi.
Albata kuch aisay qaraain wa shawahid bhi paaye jate hain jin se pata chalta hai ke hazrat usmaan ne qirat ke ikhtilaaf ko door karne ke liye aik Quran likha jis mein qirat aur nuqton ka izafah kiya (chunkay is waqt tak nuqton ka riwaaj nahin tha) baaz logon ka yeh kehna ke Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein kisi bhi soorat mein Quran jama nahin kiya gaya tha balkay yeh iftikhar khalifa sani aur hazrat usmaan naseeb huwa, to yeh baat fazeelat saazi ka ziyada pehlo rakhti hai lehaza ashaab ki fazeelat barha ne ke liye nisbat dete hain aur riwayat naqal karte hain.
Beher haal is baat par kis tarah yaqeen kiya jaa sakta hai ke Paighambar Akram(s.a.w.w) itnay ahem kaam par koi tawajjuh nah karen jabke Anhazrat(s.a.w.w) chhote chhote kamon ko buhat ahmiyat dete thay, kiya Quran kareem islam ke bunyadi qawaneen ki kitaab nahin hai?! kiya Quran kareem taleem o tarbiyat ki azeem kitaab nahin hai?! kiya Quran kareem aiteqadat neez islami mansoobon ki bunyadi kitaab nahin hai?! kiya Paighambar Akram(s.a.w.w) ke zamane mein Quran kareem ke jama nah karne se yeh khatrah darpaish nah tha ke is ka kuch hissa nabood ho jaye gaya to musalmanoon ke darmiyan ikhtilaaf ho jaye ga?!
is ke alawa mashhoor o maroof Hadees ”saqalain“ jis ko Shia aur suni dono fareeqon ne naqal kiya hai ke Paighambar Akram(s.a.w.w) ne farmaya: main tumahray darmiyan do giranqadar cheezen chhore jaa raha hon: aik kitaab khuda (Quran) aur dosri meri Itrat (Ahal bait)“ is Hadees se bhi zahir hota hai ke Quran kareem aik kitaab ki shakal mein mojood tha.
aur agar hum dekhte hain ke baaz riwayaat mein bayan huwa hai ke khud Anhazrat(s.a.w.w) ki zer e nigrani baaz ashaab ne Quran jama kiya, aur woh tadaad ke lehaaz se mukhtalif hain to is se koi mushkil peda nahin hoti, Q ke mumkin hai ke har riwayat un mein se kisi aik ki nishandahi karti ho.
(Ref: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62027&lid=4&mid=60072&catid=6478 ).
[Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Konse surat haraf se SHURU hen
Answer:
Huroof muqattiaat se shuru honay wali kul suraten unattees (29) hain aur unkay ke naam darj zail hain
Surah al-baqrah, surah al-room, surah ale Imran, surah luqman, surah al-aaraf, surah al-sajda, surah younis, surah yaseen, surah hood, surah saad, surah yousuf, surah ghaafir, surah al-raad, surah fusselat, surah ibrahim, surah al-shoara, surah al-hijr, surah al-zukhruf, surah maryam, surah al-zukhaan, surah taah, surah al-jaasiya, surah al shuara, surah al-ahqaaf, surah al-naml, surah qaaf, surah al-qasas, surah al-qalam, surah al-ankboot.
Huroof muqattiaat quran pak ki 29 surton ke shuru mein mlitay hain.
Quran majeed mein chaar suraten aisi hain jin ke naam hi un surton mein mojood huroof muqattiaat par rakhay gaye hain. yeh chaar suraten surah Taah, surah yasin, surah saad, aur surah qaaf hain.
(Ref: https://www.facebook.com/207002889919512/photos/a.209696739650127/441304316489367/?type=3 ).
[Updated on 18-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main. Ny kasam Khai ak lrki sy Quran py hath rkha hum dono ny k dubara ni milain gy ab Wapis ly skta hu
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main. Ny kasam Khai ak lrki sy Quran py hath rkha hum dono ny k dubara ni milain gy ab Wapis ly skta hu
Answer:
Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi name hum quran mei likh k rkhain..lykn kisi wajah say wo apnay name apnay buchay ka na rkhain..too koi gunah too ni hai iska??
Answer:
Agar wo name na rakhen to koi gunah nahin hai q ke zaroori nahin ke jo name aap ne quran me rakha hai wohi bache ka name rakhen, Han albata mustahab hai ke bache ka achha name rakha jaye chunke yeh bachhe ka bap par haq hai, aur riwayat me aya hai ke "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah talaa ki ubudiyyat shamil ho aur namon me sab se achha ambiya (a.s) ke name hai" aur inhi ke sath aimma(a.s) ke namon ko bhi mulhaq kiya jayega. aur nabi(s.a.w.w) se marawi hai ke aap ne farmaya: jis ke yahan char aulad hon ur usne un me se aik ka name bhi mere name se nahin rakha to usne ne mujh par jafa ki" aur makrooh hai makrooh hai ke aimma(a.s) ke dushmanon ke name se bachhe ka nam rakha jaye.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #387)
[Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]