Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: (114 Questions)


Showing 0- 50 questions from 114 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
136
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: now-a-days,the trend has setup to write salallaah-o-alaihaiwalihiwasalam after the name of panjatan is it true,because we use to write the thing only with prophet mohammad(p.b.u.h)? plz reply me as soon as possible

Answer: It shows affection towards them in better wordings.

Print

Id:
619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Ham Imam MEHDI ALAIHISSALAM ko dekh saktay hain ?

Answer: Salam un alaikum,
There are some aamals in the books, which are related to this topic for e.g Mulaqat e Imam e Zamana (a.s)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
665
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: A christan person wants to accept islam particularly fiqah-e-jafferi. what will he do?

Answer: Salam un alaikum,
He only have to do niyyat in his heart that he is now a believer of fiqh e jafferi and practice according to it.

Print

Id:
688
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: shia ka kalma kahan se sabit hai? Quran main toh sunni ka kalma mil jata hai ek saath nahin lekin alag alag hi magar Ali un Wali Ullah kahin nahin milta poore Quran main toh shia yeh kalma kaise parhte hain?

Answer: Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain.

Print

Id:
851
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 1:ayat from quran that why we open hands in namaz 2:why there is no zakat on rupees notes 3:if this(zakat not on rupees) then every one convert the things in money to save zakat 4:when i goto wash room after doing pis i do istebra then after that i feel that some drops are coming after some time are these najis

Answer: 1. har hukm-e-sharyi kay liyay zaroori nahi keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi quran-e-naatiq nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai.
Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLU KAMA RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat bangae.
Hazrat Ali A.S. jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali A.S. kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali A.S nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (REF. No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. REF: Shiyat ka muqadima, pg no. 233+226+239+237.
2. A.Sistani kay nazdeeq jis maal ka insaan muawiza day kar malik huwa ho aur us nay woh maal tijarat aur faida hasil karnay kay liyay mehfooz rakha ho to chand sharait kay saat ehtiyaat ki bina par zaroori hai keh us ka chaleeswa (40th) hisa bataur-e-zakaat day. (to is surat mein rupay par bhi zakat ehtiyaat ki bina par wajib ho jaigi). REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, maal-e-tijarat ki zakat, pg no. 285.
3. is kay ilawa wali surato mein for example gehoon (wheat) aur jao par zakat us waqt wajib hoti hai jab inhain "gehoon" aur "jao" kaha jae. lihaza agar koi shaks gehoon aur jao par zakat wajib honay kay baad khetoon aur darakhtoon ko baich bhi day tab bhi baichnay walay par is ki zakat daina wajib hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 1824+1834.
4. (agar sahi tareeqay kay mutabiq istibra kiya hai aur phir) yeh ehtimaal ho raha hai keh peechab (urine) hai to is surat mein woh rutubat (liquid) paak samjhi jae gi. REF: A.Sistani, minhaj-us-saliheen, jild no. 1 (ebadaat), alfasl-ur-rabe: kaifiyat-ul-istibra.

Print

Id:
1345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want imam ali(as) saying in urdu and nahjul balaga in urdu please advise if you no any web site

Answer: http://www.balaghah.net

Print

Id:
1486
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: The person who do not believe in Imamat and Adl in usool-e-deen ,he is considered a person But if the person openely propagate violations regarding above two aqaid of deen yet he be considered a muslim n will he b considered paak? regarding the same what abt the day of Judgement?

Answer: agar koi shaks aisi cheez ka inkaar karay jo Rasool SAWW ki takzeeb ka sabab banay, chahey woh un aqaid mein ho jinhain Rasool SAWW nay hum tak ponchaya hai Example: Aqeeda-e-qayamat, (Aqeeda-e-adal-e-Ilahi), waghaira. ya aqaid ke ilawa ho Example: wajibaat, Zil-Qurba se muwaddat karna, wagaira. to is soorat mein woh kafir kehlai ga, aur najis bhi ho ga. (REF: www.sistani.org, arabic, alkuffar, pg no. 1, ques. no. 1)
isi tarha jo shaks bara imamo (Twelve Imams) mein se kisi aik ko bhi dushmani ki bina par gali de ya laanat karay, woh bhi najis hai. (REF: Tawzeeh-ul-masail, masla no. 107 ,www.sistani.org, arabic, alkuffar, pg no. 1, ques. no. 1)

Print

Id:
1487
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Was Prophet Mohammed s.a.w Shia or Sunni ?? Prove it please .. May God Bless You .

Answer: phelay to yeh samajhnay ki zaroorat hai keh shia kisay kaha jata hai? aur Rasool SAWW ne shia ka lafz istimaal kia ya nahi kia? aur phir Rasool SAWW ne shia ka lafz kyon istimaal kia?
to shia kay urfi manay "Hazrat Ali AS. aur un ki aulaad kay perokar" kay hain.
aur baqi raha yeh sawal keh Rasool SAWW ne lafz-e-shia ka istemaal kia ya nahi? to biradiraan-e-ehle-sunnat ke jayyad alim Maulana ubaidulllah amar tasari ne Hazrat Ali AS ki sawaneh-umri ("arjah-ul-matalib fi manaqib-e-asad-ul-allah algalib", pg no. 657-659, tib-e-qadeem, matbooa Lahore) mein Rasool SAWW ki woh bohat sari ahadees ikhatti likkhi hain jin mein Nabi-e-Kareem SAWW ne Hazrat Ali AS ke perokaron ko Shia ka laqab diya aur unhain jannat ki basharat di.
For eg. Jabir bin abdullah se riwayat hai ke hum Rasool SAWW ke hozoor mein hazir thay ke Hazrat Ali AS tashreef lai. Rasool SAWW ne irshaad farmaya: qasam hai us zaat ki jis kay qabzay mein meri jaan hai, yeh (Ali AS) aur in kay Shia pas wohi qayamat kay rauz jannat kay rafii darjoo mein pochnay walay hain aur ussi halat mein yeh ayat nazil huwi ke "woh loog jo eeman lai aur naik kaam kartay hain, wohi loog sab khilqat se achhay hain". (Refrences: akhrajuhu ibn-e-asakir, pg no. 442.......alkhawarazimi, fasal no. 9, pg no. 62...........as-siyuti, fasal no. 17, pg no. 186..............fi dur-il-mansoor 6/379) (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 50)
yeh sawal bhi bara eham hai keh Rasool SAWW ne yeh kyon farmaya ke Hazrat Ali AS aur un ke Shia hi aakhirat mein kaamyaab hongay? warna Rasool SAWW yeh bhi farma saktay thay keh qayamat ke din wohi loog kaamyaab hongay jo Quran ki taleemaat aur meri sunnat o tareeqay par chalaingay. is ki sidhi sadhi waja yehi nazar aati hai keh Rasool SAWW apnay baad is ummat mein honay wali "guroh-bandi" se aghaa thay. aur jis kay mutaliq Aap SAWW ne apni zindagi mein bhi yeh afsoosnaak khabar di thi keh meri ummat mein 73 firqay ban jaingay. Rasool SAWW yeh bhi jaantay thay keh is guroh-bandi ki soorat mein har gurauh ka daawa hoga keh woh hi Haq par hai aur unhi ka muaqqif (ideology) Quran & sunnat kay mutabiq hai. is liyay Rasool SAWW kay liyay yeh bhi zaroori tha keh Aap SAWW apnay baad us markaz (center) ki bhi nishandahi farma dain jis se milnay wala har hukum Quran & sunnat kay aain mutabiq ho. is liyay Rasool SAWW ne apnay baad Hazrat Ali AS ko apna Khalifa & Janasheen qarar diya.
to hum me se kisi ne apnay liyay lafz-e-shia ka istemaal nahi kiya balkay yeh kaam to khud Rasool SAWW ne anjaam diya hai, aur is par khud Rasool SAWW razi hain. (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 53)

Print

Id:
1737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Ziadi kiss ki IMAAM ki aulad hen ? kya ye Syyed hen?

Answer: bismehi taala, Imam zainul abedin (a.s.) k farzand Hazrate Zaid shaheed ki awalad ko zaidi kaha jata he aur yeh isna ashere shia syed shumar hote hain, albattla yeh bhi zahen me rahe ke zaidi nam ka ek firqa bhi he jin ka isna asheri shio se koi taalluq nahi hain.

Print

Id:
1747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: who are ismailiya and zaid in shia and whose followers r they

Answer: bismehi taala, Imam Jaafare Sadiq (a.s.) ke baad Hazrate Ismail (k jin ki wafat Imam Sadiq (a.s.) ki zindgi me hi ho gai thi) ko Imam manne wale Ismaili he aur Imam Zainul Abedeen (a.s.) ke baad Hazrate Zaid shaheed ko imam manne wala firqa Zaidiya khelata he, yeh dono firqe is eatebar se shia he k Rasulullah (s.a.a.w.) k baad Moula Ali (a.s.) ko bila fasl Khalifa mante hain, albatta yeh log bich me bhatak gaye aur shia isna asheri nahin hain.

Print

Id:
1766
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: meri aksr wahabio se behais hoti hai.us ne mujh se kaha k agar abobakar umar itne bure thay to ali(a.s) ne apne beto ka naam abobakar or umar q rakha plz jawab dijiey ga

Answer: bismehi taala, naam sare-hi b-zate khud achhe hi hote he isi liye har shakhs naam rakhte waqt us-ka intekhab karta he, baaz awqat hota yeh he k achhe nam rakhne wale logo ke aamal bure hote he jis ki wajeh se nam bhi bure lagane lagte he. Abubakr, Umar aur Usman nam k hamil achhe log bhi tarikh me guzare hain 1) Abu bakr ke nam ke ek sahabi the k jinhone khalifa-e-awal (abu bakr) ko khilafat gasb karne par toka tha (ref: kitabul yaqeen ibn jareer page no.108) 2) Umar bin salam ek sahabi the k jinka jange jamal se wapsi par ayesh se mukalema huva tha isi tarh ek aur sahabi umar bin malik bhi the. 3)usman bin mazoun ek buzurg sahabiye rasool s.a.w.w. the k jo hayate paygambar s.a.w.w. me hi wafat paye the aur aap s.a.w.w. ne un ki namaze janaza padhaee thi is k alawa usman bin hanif nam k ek sahabi the k jo Moula Ali a.s. ki khilafate zaheriya k zamane me aap a.s. ki tarf se basara k governor the k jinko talha aur zoober k basara par hamle k darmiyan be-dardi se shaheed kar diya gaya.
mukhtasar yeh he k us zamane me yeh naam aam tor par rayej the aur yaqeenan Moula Ali a.s. ne in achhe sahabiyo ko madde nazar rakh kar hi apne farzando k nam rakhe the na k un logo ko madde nazar rakh kar jo dukhtare rasool s.a.w.w.ka ghar jalane aye the.

Print

Id:
1767
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: abubakar,usman,umar bohat bure hai or in ki ata at nahi karni chaye,is baat ko quran se bata de ayit number k sath plz jawab dijiye ga

Answer: bismehi taala, Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain. jab parvadigar aalam ne apni, apne rasool (s.a.a.w.) ki aur apne wali Imam Ali (s.a.) ki hi itaat wajib ki ho to phir kisi aur ki itaat ki zaroorat hi nahi he.

Print

Id:
1770
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I WANT TO KNOW ARE THOSE PEOPLE NON MUSLIM WHO SAYS THIS CURRENT QURAN IS INCOMPLETE AND REAL QURAN BRING BY LAST IMAM MEHDI AS ? as lots of shia alim say curent quran have mises some verse purily come in respect of prophet sw progany what ur fatwa agaisnt them ?

Answer: bismehi taala, hamara aqida he k woh quran jo Khuda ki tarf se Hazrat Mohammad (s.a.a.w.) par nazil huva tha wahi quran aaj bagair kisi ziyadati aur kami k musalmano k pas mojood he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 3 page 96)

Print

Id:
1798
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kuch log Kehtay hain Ya Muhammad kehan jaiz nahin hay

Answer: bismehi taala, is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Muhammad (s.a.a.w.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain

Print

Id:
1812
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Karbala ke waqie se related koi a ayat send kaen aik ayat to pata hai sura-e-bani israel ki #80 aayat hai aur is ke ilawa koi aur aayat bataie

Answer: bismehi taala, sure fajr ki ayaat 27 to 30

Print

Id:
1822
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: ya ali madad kahna shirk hai?

Answer: bismehi taala ya ali madad khena Jaiz hay.( Ref:Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain

Print

Id:
1839
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Assalam-u-alaikum Mera Saval ye hy k Quran mein kahein per hath khol kr nemaz parhnay ka bayan aya hy ya nahi.

Answer: w.s. har hukm-e-sharyi kay liyay zaroori nahi keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi quran-e-naatiq nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai. Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLU KAMA RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat bangae. Hazrat Ali A.S. jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali A.S. kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali A.S nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (REF. No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. REF: Shiyat ka muqadima, pg no. 233+226+239+237.

Print

Id:
1861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Please give me quran refrence that would make me clear that our first khalifa is imam ali a.s.....if possible provide me with aayat numbers and english translations because i have to clear the doubts of a ahle-sunnat...

Answer: bismehi taala, chand peshe khidmat hain : 1) sure maeda ayat no.67 ballegh, 2) sure maeda ayat no. 3 al-yawm 3) sure nesa ayat no. 59 olil amr 4) sure maeda ayat no. 55 wilayat 5) sure aale imran ayat no. 61 mubahela.

Print

Id:
1919
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: actually my father is a syed (naqvi)and my mom is a sunni so i all my life was confused to b honest but since last year i started my own research in london and now i m a complete shia beacuse i have found many ref in sunni books regarding what they do not believe i do discussions with a ahle hadith friend though my research in still on its way my question is who killed uthman the so called third caliph of islam and why did not mawla ALI a.s not find his murderer and punished them.

Answer: bismehi taala, 1) Hazrat Ali a.s. usman ko mazloom nahi samjhte the mgar is tarh qatal karna bhi achha nahi samjhte the (ref:tarikhe tibri jild 3 page 254) 2) khud hazrate ayesha ne usaman k liye kaha tha "yeh naasal yahudi ho gya he use qatal kar do" (ref:tarikhe tibri jild 3 page 76) 3)Hazrat Ali a.s. pure arasae khilafat Aap a.s. k khilaf ki jane wali jangho ka muqabla karne me masroof rahe. 4) usman ke qatilo me Mohammab bin abi bakr shamil the, aur ek riwayat k mutabiq unhone tisre khalifa ki dathi pakdi huee thi, jis par tisre khalifa ne kha k tumhare bap ne kbhi mere sath aysa suluk nahi kiya, Mohammad bin abi bakr ne jawab diya k tum ne mere bap ke waqat aysi harkatain bhi nahi ki thi.

Print

Id:
1949
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam alaikum mera sawal ye hai ki shia hazrat Muhammad (Sl.) ke sahabi aur jowja ko gali kio dete hai pahli baat to yeh ki Muhammad (Sl.) ke yeh sab kareebi the in se khata hone ki gunjaish nahi hai agr nosibillah kuch hai bhi to ek amm admi ko admi ko kia haq hai ki woh sahabae rasool ki tauheen kare kia apki hadees me kahi jikr hai hazrat Ali ne Ya aur kisi sahabi ne inko public me gali di ye to bahut hi julm ki bat hai ki Ali Rj. ke nam per aur sahaba ko gali de meri samajh me to shia hazrat sahaba ko gali dekar Ali Rj. ki khud hi tuheen karte hai Aur apki nazar me aise karne wala iman wala hai

Answer: w.s. shia mazhab me gali dene or fahesh kalam karna jaiz hi nahi he to phir kayse mumkin he ke kisi ko gali dee jati ho ? na manna alag cheez he or gali dena alag cheez he, shia hazrat hazart Mohammad slllaho alhe w alehi wsallam ke farman ki roshni me quran or ahle bayte rasool (s.a.w.) se wabsta he.
phelay to yeh samajhnay ki zaroorat hai keh shia kisay kaha jata hai? aur Rasool SAWW ne shia ka lafz istimaal kia ya nahi kia? aur phir Rasool SAWW ne shia ka lafz kyon istimaal kia? to shia kay urfi manay "Hazrat Ali AS. aur un ki aulaad kay perokar" kay hain. aur baqi raha yeh sawal keh Rasool SAWW ne lafz-e-shia ka istemaal kia ya nahi? to biradiraan-e-ehle-sunnat ke jayyad alim Maulana ubaidulllah amar tasari ne Hazrat Ali AS ki sawaneh-umri ("arjah-ul-matalib fi manaqib-e-asad-ul-allah algalib", pg no. 657-659, tib-e-qadeem, matbooa Lahore) mein Rasool SAWW ki woh bohat sari ahadees ikhatti likkhi hain jin mein Nabi-e-Kareem SAWW ne Hazrat Ali AS ke perokaron ko Shia ka laqab diya aur unhain jannat ki basharat di. For eg. Jabir bin abdullah se riwayat hai ke hum Rasool SAWW ke hozoor mein hazir thay ke Hazrat Ali AS tashreef lai. Rasool SAWW ne irshaad farmaya: qasam hai us zaat ki jis kay qabzay mein meri jaan hai, yeh (Ali AS) aur in kay Shia pas wohi qayamat kay rauz jannat kay rafii darjoo mein pochnay walay hain aur ussi halat mein yeh ayat nazil huwi ke "woh loog jo eeman lai aur naik kaam kartay hain, wohi loog sab khilqat se achhay hain". (Refrences: akhrajuhu ibn-e-asakir, pg no. 442.......alkhawarazimi, fasal no. 9, pg no. 62...........as-siyuti, fasal no. 17, pg no. 186..............fi dur-il-mansoor 6/379) (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 50) yeh sawal bhi bara eham hai keh Rasool SAWW ne yeh kyon farmaya ke Hazrat Ali AS aur un ke Shia hi aakhirat mein kaamyaab hongay? warna Rasool SAWW yeh bhi farma saktay thay keh qayamat ke din wohi loog kaamyaab hongay jo Quran ki taleemaat aur meri sunnat o tareeqay par chalaingay. is ki sidhi sadhi waja yehi nazar aati hai keh Rasool SAWW apnay baad is ummat mein honay wali "guroh-bandi" se aghaa thay. aur jis kay mutaliq Aap SAWW ne apni zindagi mein bhi yeh afsoosnaak khabar di thi keh meri ummat mein 73 firqay ban jaingay. Rasool SAWW yeh bhi jaantay thay keh is guroh-bandi ki soorat mein har gurauh ka daawa hoga keh woh hi Haq par hai aur unhi ka muaqqif (ideology) Quran & sunnat kay mutabiq hai. is liyay Rasool SAWW kay liyay yeh bhi zaroori tha keh Aap SAWW apnay baad us markaz (center) ki bhi nishandahi farma dain jis se milnay wala har hukum Quran & sunnat kay aain mutabiq ho. is liyay Rasool SAWW ne apnay baad Hazrat Ali AS ko apna Khalifa & Janasheen qarar diya. to hum me se kisi ne apnay liyay lafz-e-shia ka istemaal nahi kiya balkay yeh kaam to khud Rasool SAWW ne anjaam diya hai, aur is par khud Rasool SAWW razi hain. (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 53)

Print

Id:
1973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SLAM MERA SAWAL HAY K SORAH AL HAMD MIEN HAY K [HUM TERI HI IBADAT KARTAY HIEN OR TUJH SE HI MADAD CHAHTAY HIEN] TO KYA HUM YA ALI MADAD KEH SAKTAY HIEN?

Answer: w.s. is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain

Print

Id:
1977
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Bibi Fatima (A.S)ka katal kon hai?

Answer: s.a. tarikh ka mutalea kare bahot-si chize wazeh ho jaegi. i.A.

Print

Id:
2126
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Sunni majority ka dawa hai ke Bibi Ayesha ki pakeezgi quran mein biyan ki gayi hai aur un ka Nikaah Nab-e-Pak sawaw ke sath arsh par hua tha , Soorah e noor ki tashreeh o tafseer konsi website se mil sakti hai?.

Answer: bismehi taala, sure noor me bibi ayesha ki jis pakeezgi ki bat ki gaee he woh us ilzam k silsile me thi k jo bibi ayesha par lagaya gaya tha, sure noor ke shane nuzul k silsile me jis waqee ko bayan kiya jata he is hawale se to shia aur sunni me koi ikhtelaf nahi he k woh ilzam jo bibi ayesha par lagaya gaya tha woh galat tha, aur khud quran ne bhi yeh wazeh kar diya he, magar kisi ko kisi ek burae se pak qarar dena us ki puri zindgi k achha hone par dalalat nahi karna, arsh par nikah ki bate aysa daawa he k jis ki koi daleel moatabar kitabo me nahi he, is me koi shak nahi k bibi aysesha zawj-e-rasool s.a.a.w. the maga nabi s.a.a.w. ki jawja ya rishtedar hona usi waqat mufeed ho sakat he jab muqammal tor par nabi s.a.a.w. ki farameen ki pervi ki jae warna Hazrat Nooh a.s. aur Hazarat Loot a.s. ki zawja ki misale hamare samne he. soorhe noor ki tafseer ke liye aap tafseere namuna ki tarf ruju kar sakte he k jo urdu me bhi availabel he.

Print

Id:
2977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam what is the effect of eclipse on a pregnant woman. is there any affect on the baby if she goes out or eat sth.is she only allowed to lie down for the whole time of eclippse. wht does islam says bout it

Answer: 1)The sun and moon eclipse have no affect on pregnant women. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011).2) Namaz-e-Ayaat becomes obligatory due the following four things:
1:Solar Eclipse
2:Lunar Eclipse
The prayer becomes Wajib even if the moon or the sun are partially eclipsed, and even if they do not engender any fear.
3:Earthquake, as an obligatory precaution, even if no one is frightened.
4:Thunder and lightning, red and black cyclone and other similar celestial phenomena, which frightens most of the people; similarly for the terrestrial events like receding sea water, or falling mountains which engender fear in these circumstances, as per recommended precaution, Namaz-e-Ayaat be offered. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
3067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam o alaikum..hm ye sun rhe hn k hmare imam e zamana ka zahur issi sadi m hoga ya 5 sadiyon baad aap y btaen k iss m ks hd tk sachai h. jawab ka muntazir

Answer: Koe shaks bhi zuhoor k waqt k baray main nahi jaanta or is k baray main dawa kernay wala her shaks jhoota hay.haan hum sub imam(A.S){Khuda on k zuhoor main tajeel karay} k zuhoor k muntazir hain.is waqt hum sub ki zimah daari ye hay k fuqahaa ki taraf say biyaan kerdah ahkaam e sharee’at per amal karain zuhoor k baad hamari zimmah daari ka ta’ey’yun khud hazrat hujjat(A.S) ferma’een gay.(Ref: Ayat Ullaha Sistani (d.b.), mujtahid say pochay gay sawalaat, part# 2, sawaal #228). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam o Alaikum. Please let me know the bibi fatima SA kunyat & names. Thanks

Answer: 1) Asma e Girami):
i) Imam jafer sadiq(a.s) say riwayat hay k Allah nay Janaab e syedah k 9 naam rakay hain. Fatimah(s.a), Siddeeqah(s.a), Mabarakah(s.a), Tahirah(s.a), Zakeeyah(s.a), Raaziyah(s.a), Merzeeyah(s.a), Muhaddisah(s.a), Zahra(s.a).

ii) Abu jafer Qummi k mutabiq Janaab e syedah k naam ye hain: Batool(s.a), has’saan(s.a), hurrah(s.a), syedah(s.a), Uzraa(s.a), hawraa(s.a), Mubarakah(s.a), Tahirah(s.a), Zakeeyah(s.a), Razeeyah(s.a), Merzeeyah(s.a), Muhaddisah(s.a), Meryamul; Kubraa(s.a), Siddeeqatul kubraa(s.a).
Janaab e syedah ko aasman per Nooriyah(s.a), Samawiyah(s.a),Haawiyah(s.a) k naam say yaad kiya jata hay.

2) Kunyat: Ummul Hasan, Ummul Hussain, Ummul Muhsin, Ummul aa’immaa Umm e abeehaa, (Ref : bihaarul Anwaar, jild # 3, pg # 20). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3353
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam O Alaikum Please confirm that INSIYA name is Bibi Fatima (S.A)Kunyat. ?

Answer: Janaab e syedah ka naam al-hawra ul unsiyah bhi hay. (Ref : bihaarul Anwaar, jild # 3, pg #10-13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3582
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Bismillah, Assalam-mu-Allikum. Janab Mera Waqwal yeh ha aap se ke. Kya Hum Huzoor-e-Akram S.A.W ko Dua me wasila bana ke mang sakte ha. aur in ke saat saat jo Allah ke Wali ha unko bhi wasila bana sakte ha. Mehrabani karke. Hadees aur Quran ke Roshni se is sawal ko samjaye. Bahoot Bahoot Meharbani. Allah Haafiz Fee-Amaan-Allah

Answer: Nabi(s.a.w.w) aur imam(a.s.) ka wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati he . (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3966
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar insan souchta ma aik asa gunah kra jis ka under aik or gunah ho jasa nosbilah RUB ki zaat ma shirk kra or ass shirk ki baat ko continue krta hwa aik or koi bi gunah kra to asa gunah ki mafi kasa mangi jay .. 1 bar noz billah bolain ya 2 bar .. or noz billah bolta waqt ass gunah ka zehan ma hona lazmi ha jis ki mafi mangi ja rhi ha ya nai

Answer: Aqa’id me shak karna justuju aur tehqeeq k muqadamah banta hay aur inkaar karna aur na man’na kfur he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 201, pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6118
Mujtahid:
none Date:

Question: mere shoher bhot tension me rehte hi or gusse me 2 baar unhone allahpak ko naauzobillah glat alfaz bole kya isse unka iman chla gya

Answer: Allah say galat baat mansoob karna gunah-e-kabira hai.
(Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani (d.b) part # 1, masla # 30)
Emaan ka ta`alluq dil say hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6334
Mujtahid:
waswasu aur gunaaho Date:

Question: Assalaam Alaikum mere sawal yeh ke jab musalman insaan apne andar bahut se qeyalat aur waswasu paida karta hain iss waswasu se bhi apne allahtala aur rasoolallah ke bare mein bahut se zada galaat qeyalat aur wawasu se socha hain jo is haal mein wo musalman gunaahagar tu hain magar phir use ahsaas hota hain phir tubha karta hain tu allahtala use mahaaf karenge kyun ki allahtala tu gafooru raheem hain magar yeh adat hamesha ki hogaye hain tu assa insaan ko kya karna chahiya please answer deena

Answer: 1)Shak karna justiju ka muqadma banta he aur inkar karna aur na mann’na kufr hota he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 201, pg # 95).
2)Namaz e shab k bad ya waqt e sahar 111 martaba “ya samad’o” parhnay wala ahal e yaqeen k martabay per pounch jay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 43) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7507
Mujtahid:
Date:

Question: muje lagta hai app me say ksi nay b hadees nahi perhi k HAZRAT MUHAMMAD (S.A.W)ny skhti say mana farmay anal sex kane say yani pechay or ye b k jis na orat k pechay yani anal sex kiya to ALLHA us shaks ka chera dkhne ko tyar nahi yani wo haram he ya bat itni skthi say mana ki gai hai to app kse keh skte hen k agar bivi man jae to pir anal sex ker skte han?jb k ye bivi pe depend nahi kerta Allha nay haram kara diya hai

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Note: aap jis hadees k zikr ker rahay hain os main kisi lerkay or aurat se anal sex kernay ko mana kia gaya hay or azaab bataya gaya hay.is se tu inkaar hi nahi hay ye tu gunah e kabira hay k lerkay ya merd k saath anal sex kaiya jay or isi terah aurat se anal sex kerna bhi zina k hokum main hay. Laikin is hadees main bivi se anal sex kernay ka bayaan nahi aya balkeh jo auart insan per haram ho os k baray main kaha gaya hay. Bivi se anal sex k jaiz honay k liay alag se ahadees maujood hain.
(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#, Maslah# 29,228) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9275
Mujtahid:
Date:

Question: muj se mera dost puchta hai isha aleosalm ka zikar budest ke kitab may hay aur gotam ka zikar gita may hai magar tumare muhmmad salalao aleo salm ka zikr dusre kitab may nahi hai aap ke pass is ka kiya zabab hai

Answer: In kitabo se ap ki murad ya to wo kitabain hen jo insan ki likhi howi hen ya wo jo insan ki likhi hui nahi hen.
1-Agr ye wo kitaben hen jo insan ki likhi howi hen to MUHAMMAD (salamun aly hi wa aale hi) ka hamari kitaboo ke lilawa doosri kitaabo main bhi zikar howa hai.
2-Agr wo kitabain murad hain jo insaan ki likhi howi nahi hain to un main AP(salamun aly hi wa aale hi) ka zikar moojood hai.
1 or 2 point ko sahi tor pr jaane ke liye ya to khud kitaaboo ka mutaaliaa karen ya phir apne qaribi aalimon men se kisi aalim se pochye. Hm ap se is baat ki taraf ishara karne ke liye ke AP(salamun aly hi wa aale hi)ka zikar pehle ki aasmaani kitaboo main mojood hai ik siyaaq bayaan karte hen jis per ap kafi baton ko rakh sakte hen.sura e saff ki aayat no 6 main ALLAH farmaata hai jis ka mafhoom ye hai, ke HAZRAT EESA(a.s) ne apne baad aane wale ese RASOOL ke kushkabri di jin ka naam AHMAD hai, ye or is hi terha ki or aayaat or riwaayat jab in ko MASOOM(a.s) ne musalman or geer muslim ke saamne para or sabit kiya to koi munkir in ke un kitaboo men hone ka inkaar na kar paya.
(haq ko haq ke sath doondne wale ko haq mil kar rehta hai).
Likin hosakta hai ke MASOOM(a.s) ki gaebat ki waja se hamari dalilen mukamal tor per her kisi ko samjh na aa saken lekin jab MUHAMMAD salamun aly hi wa aale hi ke waris IMAAM E MEHDI IBNE ASKARI(a.s) zahoor farmaae ge to ap apne ehtijaam main jo MAKKAH main ho ga us men logon ke samny ye dua farmaenge or is terha se apne dawe ko sabit farmaenge ge ke munkir ke leye inkaar karne ki koi gunjaish nahi rehe gi, jis terha her MASOOM(a.s) ki ye hi seerat rahi hai jo kitabon ko samjne walon per roshan hai.

Print

Id:
9909
Mujtahid:
ayatul sistani Date:

Question: kya mazi muzar e sehat hai? is se mardana kamzori hoti hy? aur kya koi insan ksi aur k gunah ka azab apne sar le sakta hy? is se dosra shakhs bari uz zima ho sakta hy? plz reply me fast

Answer: Mazi ke mutalliq Doctor o Hakeem se maloom karain, or koi dosre ke guhna ka azaab apne sar le kar us ko bari u zimma nahi kar sakta.(Ref : Sura e Fatir (sura no 35) , ayat # 18 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10489
Mujtahid:
suynni Date:

Question: ilm hasil karo chahe tmhain chaina jana pare? kya yah sahi hadees hai ager hai to is ka kesi hadees ki book se reference dain plz

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Jee haan ye hadees sahi hay or hadees k alfaaz ye hain k “اطلبوا العلم ولو بالصین ” yani ilm hasil karo agarchah cheen(chaina) tak jana perhay. Ye hadees Ah,yaa,ay uloo,mud deen ki jild #1 k pg#8 per, wasaa,e lush shia ki jild #27,pg#27 per, Rauzatul waezeen,mu,al,lif fatal neesha pori, pg#10 per, Al-jaami,us sagheer, mu,al,lif jalaalud deen suyoti, jild#1, pg#169 per, kanzul amaal, mu,al,lif muttaqi hindi, jild#10 k pg#138 per maujood hay.(Ref:munyatul mureed, pg#46+ http://www.daikondi.com/tahlim.htm )

Print

Id:
11559
Mujtahid:
Date:

Question: chand girahan ka hamila khawateen per asrat ki aslam main kia haqeeqat hai. kia yeh bat shariat se sabat hai?

Answer: Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11562
Mujtahid:
Date:

Question: Chandgrahan k waqth ki dua

Answer: chaad ghirin k waqt namaz e ayaat perhna waajib hai koe bhi dua perhna wajib nahe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11590
Mujtahid:
Date:

Question: sir kia chand grehin ki waja say hamal ger sakta hay. Meri bivi ka hamal 2 month k bad zaya hogaya. Or jis din zaya howa osi din chand grehn ta . Or sir may kitnay dino bad dobara olad k liye jima kar sakta ho.hamal k doran kia ehtiyat karna zarori hay. Ap k jawab ka muntazir .

Answer: 1. Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011).
2. Haiz or nifaas k doran biwi se jima kerna haram hay.(Ref: (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# 448, 504).

Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11592
Mujtahid:
Paregrancy Date:

Question: Paregnant aurat ko chandargarhan dekhne se koi nukshan hai kiya ?

Answer: Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011).

Print

Id:
11907
Mujtahid:
Date:

Question: Mujhe alah se khubsurati mangne mai dar lagta hai,kahin jayaz hai ya nai,r kya agar ladki wednesday born hoti hai to parents ke liye garibi le kar aati hai ,kya yeh sach hai,mai r meri behan dono wednesday born huwe hain r sabi humko yahi kahete hai,

Answer: 1-Dua: Khuda ne dua k qabool kerne ka wada kia he or is ki koe shara,it nahi hain.jo bhi khuda se dua kerta he woo s ko jawab daita he.or ehlay marifat liay wohi kaafi he or agar dua ki lazzat ko mehsoos karay tu os ko phir kisi cheez ki zarorat nahi hogi.Laikin kuda se jo dua ki jati he oski tehkeek kerna (faiday mand hona) dua ki shara,it main se hay jo k insane ki quwat se bahar he, Q k baaz auqaat insane kisi cheez ka talab gaar hota he jab k os main insane ki maslehat nahi hoti or mumkin he k woo s k natijay ki taraf mutawajjah nah ho k ye cheez os k liay faiday mand he, ya os cheez ki maslehat ko jaana os k liay na-mumkin ho ya o ski khahish nizaam e takwini(kaaynaat ka nizam) se takrao rakhne wali ho.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=827020&id=904 ) .
2-Jee nahi, aisi koe baat nahi hay k jo lerhki Wednesday k din paida ho wo apny waaldain k liay ghaareebi lati hay.(Ref: Email rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 03-01-12). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15876
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Meray dost nai bataya k kuch mahinay pehlay suraj aur chand ko gahan(eclips) laga tha magar wo nhi janta k in ko mukammal gahan laga tha ya juzvi tour par, to kia abhi mujh par in ki qaza karna lazim ho gi jab k mujhay is baray mai abhi maloom hua hai?

Answer: In namazoo ki qaza is waqt wajib hua karti hai jab mukammal gahan laga ho aur juzvi tour par gahan ki surat mai qaza wajib nhi hai aur is baray mai justiju aur koshish karna wajib nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 36, pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16003
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b. Date:

Question: Europe mai aik school hai jis k staff mai aisay teachers hain jo kisi deen par aiman nhi rakhtay aur students k samnay Allah ka inkar karay hain. Kia aisay school mai apnay bachoo ko rakhna jaiz hai? Jab k in students ko teachers (k batil nazriaat) sai mutassir honay ka shaded khatra ho?

Answer: Aisay school mai bachoo ko rakhna jaiz nhi aur bachoo k sarprst is kaam k zimadar hain. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 329, pg # 207-08) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16146
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia aqaid mai shak karna kufr ka sabab banta hai?

Answer: Shak karna justuju aur tehqeeq ka sabab banta hai aur inkar karna aur na manna kufr hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 201, pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16147
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia tamam kuffar, mushrikeen aur mulhideen ko begair kisi istesna k jahanum mai daal dia jae ga, jab k in mai aisay afrad bhi hain jinhain kisi cheez ka ilm nhi hai. ye masla kis terha adl e ilahi sai takrao paida nhi karay ga?

Answer: Ye moamla(kaam) khuda ka hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 202, pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16990
Mujtahid:
Sistani d.b. Date:

Question: Rajat kisay kehtay hain? Detail mai betain Mehrbanni ho gi….

Answer: Riwayat mai aya hai k khuda baaz marhomeen ko is dunya mai dubara kisi maqsad ki khatir zandigi ata kray ga aur is ki qudrat ki omomiat mai to koi shak nhi bal k quran majeed mai bhi srahat ki gae hai k is nai kuch afrad ko dubara zandigi di hai. behr hal ham ijmali tor par rajat k aqiday par eiman rakhtay hain jaisa k aiema athar a.s. sai is baray mai kaseer riwayaat aye hain. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 231,pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). http://www.qoitrat.org/Books/book3/fahrist3.asp?myid=95

Print

Id:
26661
Mujtahid:
ALLAMA SISTANI Date:

Question: KIA ISLAM ME QAMAR DAR AQRAB KA CONCEPT HY?AKSAR ORTAIN KEHTI HAEN KEH NEW LIBAS NA PEHNO?KOI NEW KAM NA KARO..PLZ REPLY I AM VERY CONFUSED,,

Answer: Qamar dar aqrab mai faqat nikah krna makrooh hai baqi koi kaam mana nahi hai(Ref : email received from sistani.org)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
30635
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM O ALAIKUm PLeASe TELL ME THAT IF WE DID SAJDA IN FRONT OF ROZA IMAM HUSSAIN AND THINGS THAT ARE RELATED TO IMAM HUSSAIN BECAUSE THEY ARE REpeCTFuL Is It RiGht We Didnot think that is GOD But we did .. PLEase Give me SOme references

Answer: Allah k ilawa kisi dosray ko sajda karna haram hai. baz log jo imamo k mazarat k samnay peshani zameen par rakhtay hain agar wo Allah ka shukr ada karnay ki niyat se aisa karain to koi haraj nahi warna mahal e ishkal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1077) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32271
Mujtahid:
Deoband Date:

Question: Assalam o Alaikum. Sir I just want to know. Tell me ahadith and verses of Quran about "telling a lie" and "abusing (using bad language)" as well as about liars and abusers? Please sir, answer briefly. Thanks. Babar Bhayo

Answer: 1)Jhoot k baray mai quran ki ayat: Jhoot to wohi log boltay hain jo khuda ki ayaton par iman nahi rakhtay hain. (Surah nahal surah # 16 , ayat # 105)
2)Jhoot k baray mai Hadith: Imam a.s. ka qoul hai k Allah nai tamam burai aur gunahoo k lie talay muqarrar kiay hain in tamam taloo ki chabi sharab hai aur jhoot sharab sai bhi badtar hai. (kafi, jild # 2, pg # 340)
3)Islam mai gali denay ki koi gunjaish nahi hai, Islam to kafiron ko bhi gali denay ka rawadar nahi hai surah anam surah # 6, ayat # 109 mai khuda nai irshad farmaya hai k “Mushrikeen k khud sakhta khudaoo ko gali na do k wo thumaray khuda ko gali dain gai.”
4)Hadees mai hai k “khabardar, logo ko gali na do is sai dushmani janam leti hai”(Wasail us Shia jild # 12, pg # 298)
(Ref : Kitab Moharammat e Islam Pg 159, 216)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32928
Mujtahid:
nafas pay qabo topic Date:

Question: Nafas pay qabo kaisy paya ja sakta ha or zehan ma bhut ult pult sawlat aty hain islam k bary mai

Answer: 1)Gunahon sai bachnay aur nafs par qaboo panay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).
2)Shak karna justuju aur tehqeeq ka sabab banta hai aur inkar karna aur na manna kufr hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 201, pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32955
Mujtahid:
Ali sistani Date:

Question: Agar k0i insaan ke zahen me ahle bayt ke bare me gandi khayal aye to kea ye gunah hai...? Agar ye was wase ke shakal me aye..? Insaan sochna nahi chahta h0 phr v aye to?

Answer: 1)Ghair ikhtari kaam par koi hokum nahi lagaya ja sakhta. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65)
2)Waswasa dor krnay k lie (la hou’la wla quwata illa billah) parhai. (Ref : Mafatih ul jinan pg# 208). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print