Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: (114 Questions)


Showing 100- 114 questions from 114 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
111228
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Allah ka khauf dil mein itna zyada badh jana ke mayoosi aur na ummeedi ki kaifiyat tak pahuch jaaye ?

Answer: Agar Bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say mayoosi o na umeedi hojaey tu ye gunah hai. Aur Mayoosi gunah e kabeera hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, maslah #30)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111741
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Kya janab e zainab s.a ki koi beti thi agar thi toh reference bta dijiye

Answer: Jee han, Janab e Zainab (s.a) ki aulad men char bete; Ali, Aon, Abbas, Muhammad; aur aik beti, Umme kulsoom ke name thi. (Ref : https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA_%D8%B2%DB%8C%D9%86%D8%A8_%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D8%A7#.D8.B4.D8.B1.DB.8C.DA.A9_.D8.AD.DB.8C.D8.A7.D8.AA_.D8.A7.D9.88.D8.B1_.D8.A7.D9.88.D9.84.D8.A7.D8.AF
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
111867
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Mera sawal ha imam bargah kis na bnaya or q is koi hawala hadees se ya kisi imam na aony door ma kaha ho. Q ka hum se boht bar sawal kia jata ha. Ka imam bargah hi q. Ye masjid ma q ni or kisi imam na apne door ma iska hukm dia ho. Mehebani farma kr rehnumai kren

Answer: Imam bargah banane ka hukum kisi imam ne nahin diya aur na hi kisi hadees men aya hai, balke ye iran men aale boya ke daor men hussainiya ke naam se banaya gaya tha aur is ke baad is par mukhtalif naam parte gaye aur is ki mukammal tafseelaat janne ke liye is link pe jain. to aap ko mukammal tafseel mil jaigi.
https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D8%A8%D8%A7%DA%91%D8%A7
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112134
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Islam sy pehly log kis ko khuda manty thy?

Answer: Islam ibrahimi adiyan men se aakhri deen hai, is ke bad koi aur deen ya shariyet nahin aaye gi. Islam yani deen e muhammadi se pehly bhi parwadigar e yakta ko mana jata tha aur ise ki hi ibadat ki jati thi mukhtalif anbiya ki shariyat ke soorat men, kabhi hazrat e musa(a.s) to kabhi hazrat e eisa(a.s) ki shariat ke mutabiq to kabhi hazrat e Ibrahim(a.s) ki shariat ke mutabiq parwardigar e yakta ki hi ibadat ki jati thi, Q ke jatni bhi shariaten aayi hain wo sab parwardigar ki janib se hain. lekin is ke elawa baqi jo bande the un men se kuch buton ko khuda mante the, kuch aag ki ibadat karte the, kuch gaaye wagera ki ibadat kiya karte the....e.t.c. (Ref : https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 )
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112393
Mujtahid:
Other Date: 2021-11-26

Question: Gunah {zina} agr Allah mafi da data ha or jannat ma b woh chla jata ha to kia us ko Allah apna dedar krwae ga

Answer: (Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain).
Khuda ki sifaat do tarh ki hoti hain.
1: Sifaat subutiya: wo sifaat jo khuda men payei jati hain. Jese Ilm, Qudrat, Hayat, Irada...wagera.
2: Sifaat Salbiya: wo sifaat jo khuda men nahin payei jati. Jese Khuda Murakkab nahin hai, Khuda jism nahin rakhta, Khuda jahil nahin hai....wagera.
Sifaat Salbiya men se aik sifat ye bhi hai ke Khuda maraei nahin hai: (Khuda dikhayei nahin de sakta hai), yani Khuda ko aankh ke zariye koi dekhna chahe to mumkin nahin hai, is liye ke dikhayei wo cheez deti hai jo jism rakhe aur khuda jism nahin rakhta hai, lihaza us ko nahin dekha ja sakata hai.
Khuda ki Sifaat ki mazeed maloomat ke liye niche diye link par click karen
(Ref: https://www.punjnud.com/ViewPage.aspx?BookID=10478&BookPageID=255330&BookPageTitle=Kkhuda%20K%20Sifaat
)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Mera yeh 2 sawal hai ke,,, 1.agar muta Specially sex ke lie kia ja sakta hai,,, toh bina muta ke sex kyu nahi kar sakte, 2.agar ladka ladki puri zindagi ek dusre se na mile ho aur unki arrange marriage se shadi ho je,, mtlb shadi tk ek dusre ko theek se apne samne nahi paya ho aur shadi hote hi hamre islam me sex jaei hai karna wo sab kyu hai.. sex ko itna kyu samjha jata hai ke pehli raat me hi wo jaiz???

Answer: Aksar ahkam e sharaei ke asabab or illaten(reasons) or shariyat k banane wale (yani khuda) ki nazar men qabil e aytebar maslihat hum logo se poshida hai, or hamari aqlain on ko samajhne se aajiz hain. Or wajib ye hai k illat or wajah per nazr kiye baghair wazeh hadees ki pairwi (following) karain.(Ref: Sharh-e-Lumah #6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg #472).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-09

Question: man kuntu moula..... kab kahha gaya tha

Answer: Man kuntu maula fa-haaza aliun muala. ye hadees 18 zil hajj 10 hijri ko Ghadeer khum, k maqam par Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne Irshad farmaei. aur ye waqiya kuch yuon hai ke,
Rasool e Khuda(s.a.w.w) hijrat ke daswen saal (yani 10 hijri) 24 ya 25 ziqaada ko sawa laakh afrad ke sath hajj ki adaigi ke liye madinay se makkay ki tarf rawana howe. Aur Rasool e Khuda(s.a.w.w) ka ye hajj hijjtul wida ya hijjtul islam kehlata hai.
Us waqt Imam Ali(a.s) tableeg ke liye (yaman) gaye howe the, jab Aap(a.s) ko Rasool e Khuda(s.a.w.w) ke hajj par jane ki khabar mili to yamani musalmano ki aik jamaat ke sath makkay k tarf rawana aur amaal e hajj ke aagaz se pehly hi Rasool e Khuda(s.a.w.w) se ja milay.
Hajj ke ikhtitam par Rasool e Khuda(s.a.w.w) musalmano ke sath makkay se madinay ki janib rawana howe. Hajj anjam dene ke baad musalmano ka Azeemus shan Ijtimaa baroz e jumaraat 18 zil hajj ko Paigambar e Akram(s.a.w.w) ke sath Gadeer e khum ke maqam par puncha.
Wahan par Hazrat e Jiraeel(a.s) Ayat e tableeg lekar nazil howe aur Rasool e Khuda(s.a.w.w) ko Allah ka ye hukum punhcha diya ke Ali(a.s) ko apne baad wali aur wasi ke taur par mutaaraf karaain. Us waqt Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne aik tafseeli khutba diya jis ke aakhir men ye hadees irshad farmaei ke Man kuntu maula fahaza aliun muala. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%A7%D9%82%D8%B9%DB%81_%D8%BA%D8%AF%DB%8C%D8%B1 ).
[Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia maut ka waqt aur maqam pehley se moayyan he?

Answer: Salam. jee bilkul. maut ka waqt or maqam pehle se moayyan hay or Allah k ilm main khuch bhi izafa nahi hota.

قیامت کا علم یقینا اللہ ہی کے پاس ہے اور وہی بارش برساتا ہے اور وہی جانتا ہے جو کچھ رحموں میں ہے اور کوئی شخص نہیں جانتا کہ وہ کل کیا کمانے والا ہے اور نہ کوئی یہ جانتا ہے کہ کس سرزمین میں اسے موت آئے گی، یقینا اللہ خوب جاننے والا، بڑا باخبر ہے۔
سورہ لقمان، آیت نمبر ۳۳

Print

Id:
114656
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-04

Question: Assalaam walekum Ya Ali madad kehna kaisa hai

Answer: Bismehi taala, ya ali madad kehna Jaiz hay.(Ref: Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (publication. by jamia talimat e islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hai, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kehte hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad mangna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hai.
[Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Hadees K Mutabiq Jannat Kin Aadmiyon Ki Mushtaaq Hai

Answer: Rasule Khuda(s,a,a,w) Ne Farmaya "Jannat In Afraad Ki Mushtaq Hai".
1. Hazrat Ali (a.s.). 2. Janab e Salman Farsi. 3. Janab e Abuzar. 4. Janab e Miqdad.
(Ref: Naqosh e Asmat, Allama Syed Zeeshan Haidar Jawwabi, pg #54).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114919
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-26

Question: Haath kholke namaz parna aur haath bandhke namaz parna hain? Ye Quran se sabit kar sakte hain? Is there any reference in Quran?

Answer: Har hukum-e-sharaei kay liye zaroori nahin keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi laikin quran-e-naatiq ( rasool or ahlebait nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai. Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLo KAMAa RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat ban gae. Hazrat Ali(A.S) jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali(A.S) kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali(A.S) nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (Ref: No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. (Ref: Shiyat ka muqadima, pg #233,226,239,237)
[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-26

Question: Kya "Ya Ali Madad" kehna theek hai? Kya "Ya Ali Madad" kehna Shirk hai?

Answer: Bismehi taala, Ya Ali(a.s) madad kehna Jaiz hay. (Ref: Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (publication. by jamia talimat e islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hai, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kehte hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad mangna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hai.
[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115697
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-18

Question: Janab assalam alaikum Mere sawl h ki kuch log bol rhe h ki nade ali bas munajat ki tarah h ye koi khas dua nhi h ..nade ali ke bare me bolte h ki nade ali kab aayi kha se kis par aayi kuch pta nhi .janab please aap nade Ali ke bare me kuch batay

Answer: Hadees e Naad e Ali ki tehqeeq.
Is bare men hum aap ko aik link provide kar rahe hain aap ke us link visit ko kar ke Naad e Ali ke tehqeeq ka mutaliaa kar sakte hain.
(Note: is link ko Telegram pe kia ja sakta hai, https://t.me/aqaed2017/1713 ).
[Updated on 18-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-06

Question: Assalamo alaikum ji mujhe yeh quote milta jo mujhe clear karna h (hazrat ali ne farmaya dukh mai kabhi bhi pachtawe ke aansu na bahao kyou ke tum woh sakhs khusnaseeb ho jis ko Allah ne ajmaise ke kabil samjha..) iska kuch refference k saath kuch btaye...

Answer: Imam Ali(a.s) ye farman (agar sabit bhi hai) mujhe kisi shia websites men is ka Reference nahin mila balke kisi sunni websites men is ka koi Reference nahin mila, siwaye ye ke mene ye farman ishq o muhabbat wali websites men paya, ya ziyada se ziyada sabr ki talqeen ke mauzoo men paya.
[Updated on 07-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print