Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Zeenat (157 Questions)


Showing 150- 157 questions from 157 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
120580
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-26

Question: Salamunalekum. In which finger we are allowed to wear a ring(silver)? Please reply as soon as possible

Answer: Aima Masoomeen(a.s) ki seerat me ye milta hai ke wo Daain(right) hath(hand) me angothi(ring) pehna karte the aur Daain(right) hath(hand) me bhi Angothe(thumb) or darmiyani ungli(middle finger) ke alawa baqi fingers me angothi (ring) pehenni chahiye Q ke Imam Jafar Sadiq(a.s) se manqool hai ke Rasool e khuda(s.a.w.w) ne Angothe(thumb) or darmiyani ungli(middle finger) me angothi(ring) pehenne se mana farmaya hai.
(Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir Malisi, page #47,48).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120958
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-01

Question: Aurat apne Baal saaf Karne k liye razors istemal krskti h ya Haram h?

Answer: Jee han, Aurat(women) apni body say baal(hair) remove kernay ke liye razor istemaal kar sakti hai is men koi haraj nahin hai.
(Ref: email Rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated 15-07-2010). + https://www.sistani.org/arabic/qa/02084/#25584 ).
[Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-27

Question: Kia awrat blade ka istemal kr sakti hai? Tafseel se wazay krain pls. Shukriya

Answer: Jee han, Aurat lohay (ke blade) sai apnay jism ke baal kat sakti hai.
(Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ).
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121192
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-06

Question: Kya women ko sharamgaa par trimmer chalana jayez hai

Answer: Jee han, Aurat ke liye aisa karna jaiz hai.
(Rel: email Rcvd from dated 15-07-2010. + http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ).
[Updated on 07-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-21

Question: Hadees k mutabiq tatoo banwanay waly pe lanat farmai gai hai ic mai ap kia kahengay ? Tw phr jaiz kesy hai ?

Answer: 1: Hadees me aath(8) qisim ki khawateen par lanat ki gayei hai, ikhtisar ke sath sirf ko zikr kiya jaa raha hai ke Imam Jaffar Sadiq(a.s) farmatay hain ke Rasool e Akram(s.a.w.w) ne " washima(واشمہ) yani godne wali aurat aur mustaushima(مستوشمہ) yani godwane wali aurat par laanat ki hai ". is hadees me washima aur mustaushima ka jo zikr aaya hai, is me ye bayan kiya gaya hai ke wo aurat jo apne jism mein husn ke liye godwa kar neel (ya is tarah ka rang) waghera bharwati thi wo is liye aisa karti thi taake wo jawan or khoobsurat nazar aaye aur us ke liye acha rishta aaye yani dosron ko dhoka dene ke liye aisa kiya karti thi, is wajah se Rasool(s.a.w.w) ne us par lanat ki hai, yani lanat ki asal wajah sirf apne aap ko haseen or khoobsurat bana kar dhoka dena thi wagarna to is me koi harj nahin hai.
2: Fiqhi maslah ye hai ke Tattoo banana jaiz hai magar: 1)Wuzu ya ghusl ke liye paani puhnchne men rukawat na banay, lekin agar paani ke puhnchne men rukawat banay to use hatana wajib hai. 2)Gunah main mubtila hone ka khauf na ho, lekin agar khauf ho to jaiz nahin. 3)Tattoo se galat aqaid ki tarweej na ho, lekin agar is se galat aqaid ki tarweej ho to jaiz nahin. 4)Allah taala ka nam ya quran ki koi ayat na ho. lekin agar Allah taala ka nam ya quran ki koi ayat ho to jaiz nahin. 5)Isi tarah agar aurat ke liye zeenat shumar ho to na mehram se chupana wajib hai.

(Ref: Mustadrak ul wasaail wa mustanbit ul masaail, part #14, pg #293. + email rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012).
[Updated on 21-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121463
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-31

Question: Mera sawal ye hai k jaha sy ham pahaanna karty h wha k Baal saaf Karna zaruri h after periods?

Answer: 1: Periods ke baad Dubur(anus) baal saaf karna zaroori(wajib) nahin hai.
Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aayei hay ke mard zair e naaf baalon ko 40 din se ziyada katne ko tark nah karay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko tark nah karay. Or rahi baat baghal ke baalon ki to buhat sari riwayaat main in baalon ke kaatne ke liay baghair mudaat e muayyana ki qaid ke hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar ke liye biwi se lazzat or faida hasil karne ki raah mian nafrat ka sabab banain to aurat ke liye in baalon ka kaatna wajib hay.
2: Dubur(anus) ke baal katna Jaiz hai, lekin zaroori(wajib) nahin hai.
(Note: Riwayat men zair e naaf baalon or baghal ke baalon ke kaatne ki takeed e mustahab aayei hay laikin dubur(anus) ke baalon ke kaatne ki takeed e mustahab nahin aayei..).

(Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/).
(Ref: website, Ayatullah Sistani(d.b), http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2)
[Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121698
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-19

Question: Salam Agha Sahab Mera sawal ye hai k Mai bodybuilding krta hn Gym jata hn kia mai jism k full hairs remove kr sakta hn ya haraam hai pllllzzzzz

Answer: Jee han, kar sakte hain Q ke jism ke poore baal saaf karna Haram nahin hain, balke Riwayat ke mutabiq poore badan par noora (Badan ke baal katna) lagana mustahabb hai. Aur Riwayat me takeed hai ke mard 40 din tak aur aurat 20 din tak noora kare yani badan ke baal kaate.
(Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23).
[Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print