Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 2 (865 Questions)


Showing 450- 500 questions from 865 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
83903
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAMUALAIKUM kya mohoram me biwi ko mayke bhejnaa jaruri hai please jald se jald bataaye

Answer: Shohar per zarori nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #338). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mera sawal ya hai...k jab ek larka or ak larki ki shadi hoti hai or wo 7 months tak ek dusre ko touch tak na kare.or ek dusray ko pasaed b na kare tu kai wo nikha rehta hai plz mjy is ka ans bata de

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Note: Shohar agar apni jawaan bivi se 4 mahinay se ziyada hambistari nah kary tu nikah batil nahi hay.(Ref: E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 27.04.12). Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
83908
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agr ek shadi shuda mard shadi ke baad zina kare kisi aurat se tu kya uski biwi us pe haram hai

Answer: Os mard per oski bivi haram nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2367). Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya chand garehan khatam hone ka foran bad mian bv hambistri kar skte hen

Answer: Chand girhan ki raat main ya soraj girhan k din main hambistari kerna jaiz hay laikin makhrooh hay. Yani soraj girhan lagne k baad se poora din hambistari kerna makhrooh hay or is tarah chand girhan lagne k baad se poori raat ghambistari kerna makhrooh hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 14-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84226
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: muharum main biwi k sath humbistri karna jaiz hai ya nahi

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 26-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar hum bv ke sath pyar ki hd me hokr piche ki trf wo kam anjam de jo age hota hai to kia ye sai hai

Answer: Agar biwi raazi ho to ye kaam kia jaa sakta hay albatta ye fail shadeed makrooh hai or is say ghusl wajib ho jata hay.(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84421
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kiya 10 muharram guzranay k sham e gareeban k bad late east ko rat Ko humbistri Kar satay husband wife

Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84444
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya anal sex krne se nikkah tutt jata hai? Or kya Islam main licking jaiz hai urat or mard dono main?

Answer: 1)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna(yani anal sex) biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).
2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Update on dated 17-11-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is it allowed for a wife to touch herself until she is nearly ready to release and then her husband takeover and help her release?

Answer: Ager istimna (jima ke ilawa kisi or tareqe se mani nikaalna) shohar o bivi ke dermiyaan ho to jaiz hai jese shohar bivi ke zarye apni mani nikale jima ke bageer, or is hi terhan bivi shohar ke zarye jima ke bageer mani nikale, or ager is sorat ke ilawa ho - chahe mard o orat kud apni apni mani nikalain ya ik mard ajnabi orat ke zarye ya orat ajnabi mard ke zarye mani nikale - to haraam o guhnaah e kabera main se hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009) , (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b. Update on dated 15-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84816
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya islam may husband ka penis and wife ki vagina suck karna jaiz hai ?

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from eanswers@najaf .org). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85015
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o alikum meri shadi ko aik sal ho giya he meri olad nai he meri bv mujy pass nai any daiti ham dono k khandan men mukhlfit he mujy lagta he kisi rishtydar ny hamari olad py bandish karwai he kindly ko hal batayen

Answer: Agar koi aurat hum bistri or jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karey to roti kaprey or makaan ka wo zimedaar nahi hai chahay wo shohar k saath hi rahey or agar kabhi kabhar apni in zemedaariyo ko poora na karey to ahtiyaat e wajib ki bina par roti kaprey or makaan ka shohar par sai haq saaqit nahi hota or har soorat mai us ka mehar kaladam nahi hota.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2377)
Bandisho or Jado k asar ko khatam karne k lie para#11, surah yunus#10 ki aayat#81ko kagaz per likh kar rakhe to jado ka asar khatam ho jaay ga. (Ref: Nawahe sauleheen,Mafhoom e pg# 359). Update on dated 21-07-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o alikum meri shadi ko aik sal ho giya he meri koi olad nai he meri bv mujy pass nai any daiti mujy lagta he khandani mukhalfit ki waja sy kisi rishty dar ny olad ki bandish karwa di he

Answer: Agar koi aurat hum bistri or jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karey to roti kaprey or makaan ka wo zimedaar nahi hai chahay wo shohar k saath hi rahey or agar kabhi kabhar apni in zemedaariyo ko poora na karey to ahtiyaat e wajib ki bina par roti kaprey or makaan ka shohar par sai haq saaqit nahi hota or har soorat mai us ka mehar kaladam nahi hota.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2377)
Bandisho or Jado k asar ko khatam karne k lie para#11, surah yunus#10 ki aayat#81ko kagaz per likh kar rakhe to jado ka asar khatam ho jaay ga. (Ref: Nawahe sauleheen,Mafhoom e pg# 359). Update on dated 21-07-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85028
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alikum mulana sb mara sawal ye ha ek indian lrka or Pakistan ki lrki ek dosre ko psnd krty hain both r belong from muslim families 5 saal se wo log psnd krty shadi k wade kasamein li unfortunately lrky ky parents ne lrky ki shadi kr di lrka raza mand ni tha phir b emotional blackmailing kr di ab wo lrki abhi b us lrky se shadi krna chahti wo kehti kasam khai ha us ky bina kisi or se shadi ni krna or sunat b ha lrki ki shadi us ki raza mandi se ho or wo kehti me kisi or se shadi kr ni skti agr krti tu us insan sth ghalt ho ga jis se shadi hoti or mera wada b tutta kasam b or mera dil b kisi or ko as a husband accept ni krta ab wo log shadi krna chahty parents se chori q ky parents ijazat ni dein gy or lrki majbor ha lrky sth rahna chahti halal rishty me aisi surat me ye nikah kr skty

Answer: 1) Aurat or mard dono ka izdawaj par razi hona zaroori hai agar in mai sai kisi aik ko nikah k liye majboor kia jaye or wo baad mai bhi wo is nikah sai raazi na ho to wo nikah sahi nahi hoga.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2339)
2) Baligh larka maan or baap ki ijazat k baghair nikah ker sakta hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 17-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamoalekum muje aap se Ye puchna hai pati patni phone me baat karte hai pyar vali sex ki or becheni hoti hai or fir sukun lagta hai to gusal karna hota hai orat ke liye

Answer: Shohar or bivi aik doosray fehesh (sexy) batain ker sakte hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #5+11). wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna pooririzamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga).(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah 345) Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85099
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam... may ek shadi shuda murd hon or mairay 6 buchay han.. ham do no ko family planing kay tariqay pasand nae han..ab ham mazeed buchay bhe nahe chahtay...kia ham operation karwakar bucha dani ko bund karwa sukhtay han... quran or hadis ki roshni may jawab inayat farmayen. shukria

Answer: Aurat k liay jaiz hay k wo bhanjh-kaari ka operation kerwaey lekin yeh kaam us k badan k uryan hony ya choonay per moqoof ho to yeh kaam faqat us ka shohar anjam day siwaey yeh k koe zarorat pesh aajaey jesy aurat ka hamila hona us k liay nuqsan day ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #466 ). Update on dated 03-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya mai apne khaleri phuphu se shadi karsakta hu?

Answer: Merd per apni phopho or khala se nikah kerna haram hay or isi tarah maan, baap, dada dadi or nana nani ki phopho or khala se bhi nikah kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tuazihul masael, maslah#2353 ). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86165
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr shohar apni biwi ko pasand nhi krta hu or na he uske haqooq pore kr rha hu biwi apni traf sa pori koshish krne k bd b shohar usko importance nhi dte hu to kya biwi ko ye rishta nibhana chaiye.quotrait

Answer: Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara( mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara( mujtahid) is k shohar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86167
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kaya biwi ki sharam gah ko chuma ja sakta hai

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 ). Update on dated 18-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86176
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia bivi ki raza mandi se woh shohar ka azo mou main le sakti hai ager dono razi hon? plz jawab zaror den

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from eanswers@najaf .org). Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86202
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aasalam walakum kiya apni wife k sath anal sex kiya ja sakta hai ar ager nhi to kiya ye mukroo hai ya haram ar kiya ek dosre ki sharam gah ko suck kiya ja sakta hai plz tell me

Answer: Anal sex biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Update on dated 14-08-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
86331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aka sir mera swl y ha K mery husband OK gr py hota ha modern dress like jeans t shirt tights wear kero gr se bhr ppora abaya me niklty ho to kia gr me y sb wear skty ho?

Answer: Was Salam. Shohar ko dikhanay k liay aise kaprhon ka istemaal karne mai koi harj nahi hai. (Ref:Mujtahid sai pooche gaye sawalaat part 2 question 139). Update on dated 10-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86332
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aka sir mera sawl y ha K mery husband OK gr py hota ha modern dress like jeans t shirt tights wear kero gr se bhr ppora abaya me niklty ho to kia gr me y sb pyhn skty ho?sir mazeed y bhe K agr na wear kero y sb to nrz hoty ha both plz jldi ans de

Answer: Was salam.Shohar ko dikhanay k liye aise kaprhon ka istemaal karne mai koi harj nahi hai.(Ref:Mujtahid sai pooche gaye sawalaat part 2 question 139). Update on dated 06-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86341
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam kya shaadi ke baad periods ke tym me sex kar sakta hain?

Answer: Haiz(periods) ki halat main aurat ki agli sharamgha me jima (humbistari) karna mard aur aurat dono k lie haram hai. Albatta ye hukm aurat ki dubr(anus) mai mujamiat k lie nahi hai agar aurat dubur se jima k lie raazi ho to jaiz hai lekin shaded makrooh hai or aurat k raazi na honey par ahtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai chahey wo haiz ki haalat mai ho ya na ho.( (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86342
Mujtahid:
Date:

Question: Sir Assalam-o-Alaikum Maine apse poochna hay agar aik jaga maa (mother) ghalat ho jo boht zaida jhoot bolay ghalat ilzam lagaye bahoo pay or khawnd biwi ki jaga zaida ayesi maa ko tarjeeh deta go or maa ki ghalat batoun ko b sahi kahy jahan istrah k roz jhagray houn to biwi ko kiya karna chahye ?

Answer: 1) shohar ko najaiz harakaat o ta,al,luqaat se baaz rakhne or buri adaat o fawahishaat se raah e raast par laanay k liay kisi bhi sherbat par Bismillaah hir rahmaaner raheem or sorah room(sorah#30) ki ayat #21 or sorah maidah(sorah#5) ki ayat#100 ko awwal o aakhir salawaat k saath 41 mertabah perh ker pilain tu wo badkarioon se kinara kash rahay ga or shohar or bivi k dermiyaan muhabbat main izafa hoga.(Ref:Nawaay Saliheen, Mafhoom e pg#351).
2) Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k liay har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se dono me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404) .khuda aap ki taufeeaqat mai izafa farmaye. Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalmualaikum! Humari shadi ko recently 3 saal huye h....Allah ke fazlo karam se meri ek beti bhi h woh bhi meri koshish se....me apni biwi ke saath jab bhi sohbat karna chahta hu lekin biwi ko bilkul bhi intrest nahi h ....aise me usey neend aane lagti h warna raat ko 12-1:00 tak serial dekhti h tab toh bara intrest rahta h.....aur jab sohbat ki baat aaye to bahana kar jaati h.....aur jab kabhi bhi sohbat ki h meri taraf se koshish hui h.......plz bataye kya karu.... Assalmualaikum

Answer: 1)Aap ko chahye k aap amarbil maroof wa nahi anil munakr sai kaam lete howe apni biwi ko samjahye or usey tambeeh karain, us say naraaz hoon agar os sai bhi biwi nah maaney to ba-soorat e deegar aik maslah hai k Jis aurat ka daimi nikah hua ho os k lie zaroori(wajib) hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil krna chahay tu oski khwahish pori karay or sharee uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. 3) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me sohar ki khowish puri nah karay to shohar us ki rooti , kaprhay aur makan ka zimadar nahi hai, agar chahe wo shohar k paas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77).
2)Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k liay har namaz k baad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misaal mohabbat qaim ho jaey gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86712
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is bat ka ilam hna ka bad bhi insan sa ya gunah hojata h k wo apni biwi ko pecha kr daita h or afsos hat hai h mjha bht bra gunah hogya h or wo is ki is Islah krna chahta h is silsily mai hadis or quran kia kahti h??

Answer: Biwi k peechay k maqam(anal sex) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 03-09-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86982
Mujtahid:
Date:

Question: AOA kya shohar aur bewi akhatty naha sakty hai??

Answer: Jee haan, jaiz hsy. (Ref: Minhajus saliheen jld# 3, Maslah#11). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86996
Mujtahid:
Date:

Question: Assalm-o-Alikum mera sawal ya ha ka kya koi Qutab shahi Awaan larka syed larki sa shadi kr sakta ha???

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). Update on dated 05-11-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87104
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Pakistan may aksar asa hota ha k jab larka larki kisi galat kam may pakray jatay hen to unki shadi karwa di jati ha....to kua shia maslak may ye jaiz ha k jis say zina kia ho us say bad may nikkah b kia ja sakay

Answer: Jis shakhs nay kisi bay shohar aurat sai zina kia ho aur os say shadi karna chahae to is k liay ehtiyaat e wajib ye hay k wo os aurat k toba karnay say pehlay nikah nah karay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) Update on dated 12-01-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir ager koi girl married hy, wo husband sey naraz ho k apney parents k Ghar ah jati hy, wahan wo kissi or boy sey nikah kar lati hy, na boy ko pata yah pahley kissi k nikah mey hy na uski family ko uskay 2nd nikah ka pata, wo girl 2nd husband sey relationship continue rakhti hy, ess case mey girl kiss ki wife hy ? 2nd boy ki q k usko 1st nikah ka nai pata tha, ya wo 1st boy ki wife hogi ? 2nd boy ka Kia rola hoga ?

Answer: Shaadi shuda aurat k liye kisi doosre sai shaadi karna haraam hai.or doosray shohar sai kia gaya nikah baatil kehlaaye ga or wo aurat pehle shohar k nikah mai hi rahay gi.
or agar kisi ko ilm na ho k aurat shohar daar hai or us sai shaadi kar lay or baad mai humbistri bhi karle tu ehtiyaat e wajib ki bina par us say juda hojaye or baad mai kabhi us sai nikah na karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2366). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87938
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar biwi ko apne maike ki yaad aaye aur usi waqt shohar ko hajat ho aur biwi se na ho...tou kya hukum hae

Answer: Agar shohar ki haq talafi ho rahi ho ya shohar biwi ko jaane ki ijazat nah day tu biwi k liay shohar ki ijazat k baghair ghar sai nikalna haram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2376). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87950
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Shadi ke bad sath sona lekin 5 sal tk sex na krna mian bivi ki mrzi se

Answer: Agar shohar or zoja dono raazi hoon tu koi haraj nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2382). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88389
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is anal sex allowed?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna(yani anal sex) biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Update on dated 11-04-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kiya apni biwi ko back ( makam pekhan) se hambestri Kar sakta ha nekah thot sakta ha ya nhi?

Answer: Agar biwi raazi ho to ye kaam kia jaa sakta hay albatta ye fail shadeed makrooh hai or is say ghusl wajib ho jata hay laikin is amal se niakh nahi toota .(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88433
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Orat k sath JAMA krny see kB tk gusal farz Nahi

Answer: Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dukhool fraj(agle sharamgah) me ho ya pichle maqam me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur donoo per ghusl e janabat wajib ho hata he.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348). Update on dated 16-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar kisi shadi shuda aurat ne jina kya ....kya uska nikah rahega ya tuth jayega ?

Answer: Agahrcheh yeh haram or gunah e kabira hay lekin is say nikah nahi tootay ga lekin jis say zina kia hay us per ehtiyaat e wajib ki bina per us per hameshah k liay haram ho jati hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2327). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88518
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o Alikum. Agar biwi khud majboor kary k mery sath peechy sy sex karo to kia uski baat maan lani chahye or agar maan k kar b lia jay to kia nikaah tot jay ga ya nahe? Plz must reply.

Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay lekin nikah pr koi asr nhi pary ga). Update on dated 20-11-2015. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88633
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam! I need to know the fatwa of Grand Ayatullah Sistani for these important issues of married girls life, it\'ll save lots of girls marriage so please do not ignore it. 1) is it allow for girl in-laws to take any of girl stuff like, jewellery, cloths, etc in their control and keep it in their hand without girl permission?? 2) is it allow for girl in-laws to command her to do house work or any other work? 3) is it allow for girl in-laws to bound girl to take their permission to do some or any work, like if girl wanna to goto her parent home, does she have to ask permission from her father-in-law or mother-in-law? 4) is it allow for girl in-laws to enter in her room without permission of girl? 5) is it allow for girl in-laws to take any of girl stuff without her permission? 6) is it allow for girl in-laws to to order her to sit with her in-laws tho she doesn\'t want to? 7) is it allow for girl in-laws to not let her close her room door in day time? 8) is it allow for girl in-laws to take her jewellery from her and put them in their or bank locker if girl doesn\'t want it? 9) is it allow for girl in-laws to not let her lock her closet or drawers in her room? Please provide fatwa with reference so we can save lots of girls rights and make their life happy, because in-laws are making their lifes hell by doing these cruel things, and we need to stop it, and if possible make a video for that, it\'s a Global issue and lots of girls life are ruining because of this.

Answer:

In the Name of Allah, the Beneficent, the Merciful


1- No
2- No
3- No
4- No
5- No
6- No
7- No
8- No
9- No
(Ref: english@najaf.org dated: 23-04-18). Update on dated 24-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Wassalamu Alayku

Print

Id:
88682
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum.... mere nikah to 3 Saal hogaya hai aur mere shohar mujhs ruju Nahi hote aur aulad k liye bhi razi Nahi hai...Mai aisi halat me Kya Karun plzz batay.....Kya Mera talaq Lena durust hoga

Answer: 1) Shohar apni jawaan biwi sai 4 mahine sai ziaada jimaa tark nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2382).
2) Biwi k liay talaq lena jaiz hai wo shohar sai talaq ka mutaalba kar sakti hai lekin agar shohar talaq nah day tu aurat hakim e shara say ruju karay tu hakim e shara halaat ko madd e nazar rakhte hoe talaq k seeghay jaari kar day ga.(Ref:Jadeed fiqhi masail ayatollah seestani mafhoom e masla 428 page 214). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa, I just wanted to ask if it is allowed for husband to kiss his wife\'s ass whole. Thanking in advance.

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88963
Mujtahid:
Date:

Question: Sir merry shohar nain muj sy chup k doosri shadi kr rakhi ha or meray 2 Bachay b hain but wo hmara koi haq adaa nikrtay naan nafqa etc is soorat main Islam main Kia hukam ha?

Answer: Jis aurat ka kharch os ke shauhar ke zimme ho aur shauhar ose kharch na de to wo apna kharch shauhar ki ijaazat ke baghair os ke maal se le sakti hai. Aur agar na le sakti ho aur majboor ho keh apni m’ash ka khud bandobast kare aur shikayat karne ke liay haakim sahar’a tak os ki rasayee na ho takhe wo os ke shauhar ko kharch dene par majboor kare to jis waqt wo apni m’ash ka bandobast karne mein masshghuul ho os waqt shauhar ki ita’at os par waajib nahin hai.Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1433). Update on dated 16-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88965
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualykum..molana mera ye sawal hai ke meri behen or uska husband ke bich me 10 se koi humbistari ni huvi hai bus vo dono alag alag kamre me sote hai to aisi surat me unkaa nikha hai yaa nahi

Answer: Jee haan nikah baqi hay lekin Shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark nahi kar sakta magar yeh keh hambistari os k liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka ba’is ho ya os ki biwi khud chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark karne par raazi ho ya shadi karte waqt nikah k zimn mein chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark karne ki shart rakhi gae ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shauhar k maujood hone ya musafir hone mein koe farq nahi hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahi keh ghair zaruri safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki rizamandi k baghair chaar maah se ziyadah tool diya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2382). Update on dated 13-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88975
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam wale kum biwi agar humbistari na karne de aur us halat me shauhar se zina ho jay kisi se to kya shuhar gunehgar hy

Answer: Jee haan, shuhar gunahgaar hoga or zina ghunah e kabeera hay, Bivi bhi gunahgaar shumaar hogi Q k bivi k laiay baghair uzr e share k shuhar ko hambistari se mana kerna jaiz nahi hay. Or shauhar ko is gunah ki tuba kerni chahiay. Is silsilay main shuhar ko sab se pehlay tu apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah ko phir kabhi anjaam nahi day ga.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. shuhar koshish karay k khud ko doosri mufeed kaamo main masroof ker lay jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 04-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Plz mein buht pareshan hun meri rehnumai kijiye .. Meri shadi ko ik saal hogya hai lekin mera shohr mera haq nahi ada kr pa raha matlb mein abhi tk kanwari hun wo qareeb tu aata hai lekin kr nahi skty ... Mere dil un se uht gaya hai Nikaah na tottey is liye mein apni trf se raazi hun is cheez k liye lekin mein gunah mein nahi prna chahti plz meri rehnumai kijiye ...

Answer: Aap raazi hain tu nikah baqi rakhain, or aap apne shauhar se hambistari k alawa digar lazzaat hasil ker sakti hain, maslan shauhar k zerye se baghair hambistari k discharge hona jaiz hay, yani aap ka shuhar apne hath ko aap ki sharamgaah per rigrhay ya ungli ko sharamgaah main dakhil kare, waghair, is tarah ki lazzaat hasil karna jaiz hoga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012). Update on dated 04-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89098
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal ye hy . M ek larki se bht peyar krta hn or wo bhi mjhy psnd krti hy . Us ky kafi rishty aye hein us ne inkar kiya hy . Lakin ab us ki ami ne unhy emotional kiya hy k shadi kr lo .baap tnshn m hta hy . Larki ne majburi mein maan gai shadi k liye . Or uski shadi bhi ho gai lakin wo larki srf maa baap ki izat ki waja se us ky sth reh rhi hy or uska koi dil nh hy us larky ky sth rehny ka jis se uska nikah karwaya gya hy . Or ek bar ham ne phne pr Allah Pak no hazir rakhy huwy ek dusry ko apna rohani shohar biwi maan liya tha . Or ab wo larki majburi m wahan reh rhi hy . Plz mjhy btaein ky ye nikah jaiz hy ya nh . Larki ne apny walidein ky majbur krny pr nikah karwaya .plz mjhy iska tafseel se jwb dein . Or mein or larki ab nikah krna chahty hein

Answer: Bayaan ki gae tafseel k mutabiq os larki ka niakh durust hay,or kisi shuhar daar aurat ko warghalana k wo shuhar se muta,alliq zimmedaari poori nah kare takeh shohar os ko talaq day day, ye aik bohot barha gunah hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #+2502,2366). Update on dated 28-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89099
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr bivi ksi surat bhi hambistari karnay par razi na ho to usk lyee Kia hukam hay sharyat mein??

Answer: Agar koe aurat hambistari aur jinsi lazzaton k silsile mein shauhar ka sathh de kar os ki khaahish poori nah kare to rooti, kaprhe aur makaan ka shauhar zimmedaar nahi hay agarcheh wo shauhar k paas hi rahe aur agar wo kabhi kabhaar apni zimmedariyo ko poora nah kare to ehtayaat-e-wajib ke mutabiq roti, kaprhe aur makaan ka shauhar par huq saqit nahi hota aur har suurat mein os ka meher kal adam nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2377). Update on dated 28-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mara nikkah hoa hoa ha abi rukhsati nahe hoe mara husband chahata ha ma un sa mobile pa bat karo ma nahe krti to uno na muja kaha muj sa talak dilwa lo to Kay talak ho gaye

Answer: Nikah k baad aap dono husband or wife hen baat karny men koi harj nahi hay. Is tarah se talaq nahi hoti. Talaq ki kaafi sharaet hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, pg# #357). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Advice: Aap ko chahiay k apne shohar ko naraz nah karain on se baat cheet kerti rahain.

Print

Id:
89118
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya bivi ko peche side pe humbistri kar sakte

Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) kerna biwi k raazi nah honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agar biwi raazi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslam u alaikum.. Me shadi se phly bhi zana krti thi.. Or shadi ky bad bhi eak bar zana kia.. Mjhy bht shrmindagi hui.. Or toba bhi ki ha.. Mera sawal ye ha k kia husband ko btana lazim ha k ye gunah krti rahi hn? Kun k agr bta diya to talaq ho jae gi mjhy.. Or agr na btaya to shayad zameer hamesha hi bura bhala kehta rahy.. Plz help..

Answer: Shohar ya kisi bhi shaks k saamne apne gunah batana jaiz nahi hay. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part#2, pg#88). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mera sawal ye he k mery husband mjh se door hen yani oit of country job k leye gye hen hmari shadi ko 4 month ho gye hen abi or wo 2 month baad hi chly gye thy.kindly bta den k jb hmara dill aik dosry ki qurbat ka kry(means sex) to kya kren?? kya is qisam ki baaten krna thek he?? mery husband khty hen k is trhan ki koi bhi baat jis se hum dono ka dill or zyada shiddat se kry wo krna thek nhii he ghlat he ye islam me.kindly mjhy daleel k sath wazaht kren

Answer: Waisy to wife or hasband har tarah say aik dosry say baat kar sakty hen lekin agar haram men parhnay ka khouf ho to jaiz nahi hay .(Ref: Minhajus Saliheen, jild#3, maslah#29). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print