Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: (104 Questions)


Showing 50- 100 questions from 104 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
77900
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam alaykum me aap ko is zehmat dena chahta hu sir rasool islam ke sahadat ke ba bibi fatima kitne din zinda rahe

Answer: Rasool e khuda s.aw.w ki shahadat k 75 ya 95 din k baad bibi zehra s.a ki shahadat hoe. Tafseel k liay is link per click karain. (http://airtaza.blogspot.com/2014/03/blog-post_6779.html ). Update on dated 03-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78221
Mujtahid:
Date:

Question: Kya hazrat muhammad (SAW) K walden jannat main jae gy ya jhanam main

Answer: Rasool e kareem ka nor jin aslaab o arhaam main muntaqil hoa, wo sab k sab musalman , mowahhid or Allah ki ibadat kerne walay thay, aap s.a.w.w. ka nor kisi aisay sulb I rehem main nahi raha jo kur o shirk ki gandagi se aalooda rahay hoon. (Ref:Tareekh e Islam, muallif syed najmul hasan sahib karaarvi,pg#46. Update on dated 15-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
78642
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: wo kon se paighamber h jo bina baap k paida hue?

Answer: Hazrat essa a.s wo nabi hain jo bina baab ki paida hoay. (Ref : https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B9%DB%8C%D8%B3%DB%8C%D9%B0_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ). Update on dated 28-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81768
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: O kosa dhoor hy jis my Ten peghamber saat ay ??

Answer: Aksar mufassireen ka kehna ye hay keh sorah e yaseen ki ayat#14 main jis gaon ka zikr hay wo antakiah ka gaon hay or is ayat main jin 3 ambiya ka zikr hay wo yohanna, yulus or shamoon hain. (Ref: Quran, terjuma zeshan haider jawwadi,nashir ansariyaan, pg#914). Update on dated 24-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Q. Assalamo Alekum.mera sawal hai ki kya janab e aqeel ibne e Abi talib Muawiya sey mil gaye they?

Answer: Answer : Janab e aqeel a.s ne mawiya se maali madad k liay mulaqaat ki thi, laikin mazhab e shia per hi qaaim rahe thay or hazrat Ali a.s ki fazilat ka koe mauqa hath se nahi janay daite thay, aik din mawiyah ne darbaar main kaha keh agar aqeel mujh ko ali se behter nah paata tu mairay paas nah aata, tu janab e aqeel a.s ne fermaya maira bhai ali a.s mairay deen k waste mairay liay behter hain or tu mairi dunya k waste behter hay,main apni dunya ko tarjeeh daita hoon or khuda se akhirat bakhair hone ki kha,hish rakhta hoon.( http://fa.wikishia.net/view/%D8%B9%D9%82%DB%8C%D9%84_%D8%A8%D9%86_%D8%A7%D8%A8%DB%8C%E2%80%8C%D8%B7%D8%A7%D9%84%D8%A8)۔ Update on dated 22-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam walykum.. mera swal ye h ki kya shia ko eid nahi mnani chahiye kyuki moula Ali as. ki shadat bhi ramzan me hui or kuch ho din baad shia eid mnate h kya ye jayz h plzz muje janna zarori h...

Answer: عید الفطر سے متعلق اھل بیت (ع) کے ارشادات اور عید کا شرعی جواز:
اھل بیت (ع) کے کچھ عقیدت مند اور عزادار یہ کہتے ہوئے نظر آتے ہیں کہ عید کے دن امام علی (ع) کا دسواں ھے ، ھم عید نہیں منائیں گے،سب سے پہلی بات یہ کہ ان کا یہ کہنا ان کی اھل بیت (ع) سے محبت و عقیدت کی نشانی ھےدوسری بات: تصور عید کو سمجھیں۔ عید میڈیا کا دیا ہوا تصور نہیں بلکہ ایک روحانی تصور ھے جسے اسلام نے عطا کیا ھے۔
امام علی (ع) نے کللمات قصار 428 میں عید کا فلسفہ بیان کیا ھے،عید صرف اس کیلئے ھے جس کے روزوں کو اللہ نے قبول کیا اور قیام و نماز کو شکر کی نگاہ سے دیکھا اور ھر وہ دن کہ جس میں اللہ کی نافرمانی و معصیت نہ کی جائے وہ عید کا دن ھے، تیسری بات یہ کہ اگر عید کے دن دسواں منایا جائے امام علی (ع) کا تو اس طرح کئی ایسی شہادتیں اورمناسبتیں ہیں کہ جن کے فوراً بعد آپ خوشی مناتے ہیں؟ مثلاً ۲۹ ذی قعدہ کو امام محمد تقی (ع) کی شہادت ھے اور یکم ذی الحجہ کو عقد امام علی (ع) با حضرت زھرا (س) ھے تو وہاں آپ علی (ع) کے ساتھ ھے زھرا کی شادی کی منقبت پڑھتے ہیں!! اپنے گھروں میں شادیاں کرتے ہیں! خوشی مناتے ہیں؟ کیوں ؟ وھاں غم کیوں نہیں مناتے ؟ اصول سب جگہ ایک ھونا چاھئے!! سب جگہ ایک اصول رکھنا چاھیے،چوتھی بات یہ کہ چھاردہ معصومین (ع) میں سے صرف امام حسین (ع) کا صرف چھلم منانے کا حکم دیا گیا ھے!!دسواں اور سوئم نہیں!! کیونکہ دسواں یا سوئم ہم نے بنایا ھے اسلام نے نہیں،پانچویں بات یہ کہ امام سجاد(ع) نے نماز عید الاضحی کی بعد کی دعا 48 میں خطبہ و نماز جمعہ و عیدین کی امامت کو اللہ کے جانشینوں کیلئے مخصوص قرار دیا ھے اور کہا ھے کہ جسے انہوں نے غصب کر لیا تو یہاں غاصبین سے مراد بنو امیہ ہیں،چھٹی بات یہ کہ قنوت جو اھل بیت (ع) کا تعلیم کردہ ھے اور خطبہ عید الفطر جو امام علی (ع) کا ھے اس میں پڑھتے ہیں کہ یہ دن عید کا ھے،آخری بات یہ کہ عید کے دن اھل بیت کا غم منانے سے روکا نہیں گیا بلکہ اس کی تشویق کی گئی ھے! مثلاً زیارت امام حسین (ع) در روز عید الفطر، دعائے ندبہ وغیرہ، اس زیارت و دعا میں اھل بیت کے مصائب کو بیان کیا گیا ھے! ظاہر سی بات ھے کہ انسان جب یہ جملے ہڑھے گا تو گریہ کرے گا!! لیکن یہ غم منانا اس انداز سے ھو کہ تمام اھل اسلام کی اجتماعی روحانی خوشی کو مد نظر رکھا جائے۔
(Ref: https://www.facebook.com/sadiqrazataqvi.01/videos/838803052863561/?sw_fnr_id=229934669&fnr_t=0). Update on dated 22-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84412
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kaha jata hai k imam hussain nae karbala mein bani asad k logoon ko bula kr kaha tha k 11 muharram ko aa kr humare janzae ko gusal o kafan dae dena. Aur yeh bhi kaha gaya hai k imam hussain ki sada e halmin pr labbaik wajib tha tw bani asad k logoon nae Q imam ki nusrat mein labbaik nahi kaha???

Answer: Bariwayat e allama mohammad baqir majlisi k jub habib ibn e mazahir ne jub mukhalif simt lashkar ki kasrat mulahiza ki to imam hussain a.s k paas aakar arz ki k aey farzand e rasool s.a.w.w mai asadi hoon agar aap ijazat dain tu main bani asad k kabilay k paas jaata hoon jo yahan sai nazdeek hain un ko aap ki nusrat ki taraf dawat doon to imam ne unhen ijazat di, habib ibn e mazahir raat ki tareeki mai bani asad k kabilay main aey or kaha k main aaj tum loogo k liay aisi khushkhabri laya hoon jo is pehle koi nahi laya hoga, mai aya hoon k tumhe fazrzand e rasool ki nusrat ki dawat doon, tum loog meri dawat qubool karo takeh duniya o akhirat main kamiyaab ho jaon, us waqt un main say Abdullah ibn e basheer ne uth kar habib sai kaha k gawah rehna k sub sai pehle main ne tumhari dawat ko qubool kia hai us k baad dusre loog bhi qubool karne lage or is tarah habib ibn e mazahir 90 banday le kar rawana hoe to kisi munafiq ne ja kar umer ibne saad ko khabar day di to us ne arzaq e shami k saath 400 afrad ka kafla rawana kia or us kafley ne in ka raasta rook liya or in say larhne ka irada kia or un mai say kuch ko qatal kar dia or kuch lashkar laut gaye jub habib ibn e mazhahir ne imam ko bataya to imam ne kaha la hawla wala qoowata illa billah.(Ref: jame ut tawarikh page no 97). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84420
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Bibi Fatima SA ka ghr kisne jalaya? Agr hosake tw please Sahih Sat’tah se reference de di jiyega. JazakAllah

Answer: Aap is website per visit ker ker lain. http://www.shiachat.com/forum/topic/234982731-attack-on-house-of-fatimah-by-umar-and-abubakr/ . Is mai tamam history likhi hai or saath mai ahle sunnat k ref bhi die hoe hai.or mazeed suuni and shia refrence k liye book(bait ul ahzan of sheikh abbas qumi) ki taraf rujoo karein(http://www.ziyaraat.net/books/BaitulAhzan.pdf). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Rasool e khuda saw ka nikkah bibi khadija se kaab hua

Answer: Rasool e khuda or bibi khadija ka nikah 595 a.d mai hoa, rasool e khuda k ailaan e risaalat sai 15 saal pehle us waqt janab e khadija ki umre Mubarak 28 years ya 40 years thi or rasool e khuda ki umre Mubarak 25 years thi. (Ref: http://www.questionsonislam.com/article/prophet%E2%80%99s-pbuh-marriage-hazrat-khadija) . Update on dated 21-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84440
Mujtahid:
Date:

Question: Wo konse nabi hai jinko quran majeed me unke maa ke sath pukara gaya hai

Answer: Wo nabi janab e moosa a.s hain. (Ref: Surah qasas sorah#28, ayat#7) . Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84441
Mujtahid:
Date:

Question: kia quran main likha hai maan kunto moula fahaza ali un moula?

Answer: Quran main nahi likha laikin motabar riwayaat or ahadees mai ye wazeh tor par mojood hai or is jumle ko surah e maaida ki ayat#3 k zail mai shia or sunni tafaseer dono main zikr kia gaya hai. or ahle sunnat ki seha e sitta main bhi is ka zikr wazeh taur par moujood hai . (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%A7%D9%82%D8%B9%DB%82_%D8%BA%D8%AF%DB%8C%D8%B1). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Karbala k baad pehla matam kis ny kiya?

Answer: Pehli safar ko ahle bait a.s ka kaafla darbaar e sham mai warid hoa, teen din qaid mai rahey , teesrey din yazeed ne rehai ka hukm saadir kia or teen din ahle bait k kaaflay ne khud yazeed k ghar mai syed us shauhada a.s par girya o buka kia or maraasim e aza ka izhaar kia gaya jis mai sham ki khawateen e quresh ne barabar hissa lia . (Ref: Sadat udairain fi maqtal e hussain pg#566 & 567) Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: shehr e ALLAH kis mahine ko kaha jata hai qoitrat

Answer: Rasool (s.a.w.w) ne shahrullah maah e ramazan ul Mubarak ko kaha hai. (Ref:Khutba e shabaniyah). Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86164
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: quran may kul kitnay ambea ka zikar hai

Answer: Quran mai taqriban 26 nabiyon ka on k naam k sath ziakr hay.(Ref: http://www.hamarenabi.in/2015/09/26-nabiyo-ka-zikr-quran-shareef-mein-hai.html). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86330
Mujtahid:
Date:

Question: Nabi per Sabse pehle Wahi kid sureh ne nazil hui

Answer: Pehli wahi yani sorha e alaq ki pehli 5 ayaat ghaar e hiraa main hamaray nabi Muhammad s.a.w.w per nazil hoe. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%BA%D8%A7%D8%B1_%D8%AD%D8%B1%D8%A7 ). Update on dated 10-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86691
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: us mah ka nam btaye jis ke 4 bate ek hi jung me shaheed gowe

Answer: Bibi ummul baneen(hazrat abbas ki walida) jis k 4 betay rooz e aashoor shaeed howay. (Ref:saadat ud darain fee maqtal e husssain by ayatollah allama Muhammad hussain najfi page#452). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88712
Mujtahid:
Date:

Question: us nabi ka naam batayiye jo ma ke goud me se bol uttha

Answer: Wo nabi hazrat essa a.s thay. (Ref:surah e maryam). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92502
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o Alaekum. Main yeh puchna chahta hun k main ne bachpan se ab tak apne ghar me yeh baat sunni hai k Rasool Allah (Saw) ne Khuda se dua ki thi k Jahan Jahan Mera Zikar Ho Wahan Wahan Mere Bhai Ali a.s ka Zikar Ho. Is baat ki kya haqeeqat hai? Is ki riwayat hamen kahan se milay gi agar yeh sahi hai. Aur agar yeh baat sahi hai to phir hum Tashud me Shahadat e Salisa qu nahi de sakty? Please answer.

Answer: Rasool e khuda ki ye hadees moujood hai k apni Mahafil ko Ali ibn e Abi Taalib k zikr say zeenat do. or jahan tak rahi shahadat e saalisa ki baat us mai aap k mujtahid ka qoul hujjat hai aap apnay mujtahid ko follow karain ayatullah seestani k fatwe main ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai. (Ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition). Update on dated 25-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92867
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-01

Question: Salamun Alaikum Warahmatullah, Mera sawaal yeh hai k Islam mai Tauheen e Risalat krne walay shaks ki kia saza hai? Aur dusra sawal yeh k Agar Doubtful ho k Tauheen e Risalat ki gaye hai ya ni tou Yeh Matter Prove kon krega?

Answer: 1) Tauheen e risalat ki saza qatl kerna hay laikin Agar tauheen e risalat aisay ghusay k aalam main ho k insane ka irada or ikhteyaar nah rahe ya ye keh wo shaks is hokum se jaahil ho ya is unwan (subject) se laa-ilm ho tu had is per se saqit ho jaey gi. (Yani agar kisi shaks ko ye maloom nah ho k main jo baat keh raha hoon wo tauheen e risalat hay ya tauheen e risalat kerna haram hay or is ki saza hay).
2) Taheen e risalat ka soboot dawa kerne walay k zimme hay.
(Ref: email rcvd from sistani. Jul 17, 2012).

[Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-10

Question: Ya Rasool e pak ko zehar dya gya

Answer: jee is silsilay mai do riwayatein milti hai.
1.kheybar mai yahoodi aurat ne zeher dia tha jis ka asar bohat dair sai hota tha (slow poison) or us ka dard rasool allah ko har saal uthta tha.
2.Doosri riwayat ye hai k jab rasool e khuda aakhri ayyaam mai kaafi aleel they tu dawai k sath zehr diya gaya tha.(Ref:chaudaÚ¾ sitaray, pg# najmul hasan qararvi).
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93242
Mujtahid:
Date: 2018-11-24

Question: Pbuh kiwiladat din k kis waqt mein hoi

Answer: Allama majlisi likhte hain k rasool e khuda 17 rabi ul awwal, 1 aamul feel baroz e jumma ba waqt e shab ya ba waqt e subah sheb e abi taalib mai paida hoe.(Ref:chauda sitaaray of allama najmul hasan karaarvi pg no 47).
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-12

Question: HAZRAT MOHAMMED MUSTAFA SALLALLAO ALEYSSALAM ne kis sahaba se kha tha ki aap mere liye ese h Jaise Musa ke liye Harun the?

Answer: Rasool e khuda (s.a.w.w)imam ali a.s k liye kaha tha انتَ مِنّی بِمَنزلةِ هارونَ مِنْ مُوسی، اِلّاأنـّه لانَبیّ بَعدی
ye rasool e khuda ki hadees hai jis mai unhon ne imam ali sai kaha tha k aye ali tumhe mujh sai wohi nisbat hai jo moosa a.s ko haroon a.s sai thi siwaey is k keh mere baad koi nabi nahi aye ga.(Ref:http://www.alburhan.com/Article/index/8067)
[Updated on 12-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-11

Question: Khilafte Rashida kon h aur kitne Saal rhi?

Answer: Khilafat e rashida 12 imamo ki khilafat hay jin main pehlay imam hazrat ali a.s or akhri imam mehdi a.s hain or imam mehdi 329 hijri thak logo per khilafat karte rahe os k baad logo ki nazro se perda famalia or ab tak zinda hain or qiyamat se pehlay zuhoor karain gay.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D9%85%DB%81%D8%AF%DB%8C_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85)
[Updated on 11-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93896
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: Zikar kah sy start hua h dunya m

Answer: jub khuda ne sub sai pehle rasool e khuda k noor ko khalq kia tou us noor ne sub sai pehle khuda ka zikr kia.(Ref:hayat ul quloob jild 2 baab (takhleeq e awwal e noor).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94563
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-07

Question: Hazrat Adam a.s ka bade nabowat unke ulad main sa kis ko mili?

Answer: Hazrat shees a.s ko janab e aadam k baad nabuwat di gayi.(Ref: https://www.imamreza.net/old/eng/imamreza.php?id=8382).
[Updated on 07-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-09

Question: Mera sawal ye hai ke wo kon tha jiski rooh Allah ne khud nikaali?

Answer: Imam Hussain a.s ki rooh khud Allah ne nikaali.(Ref: Khasais e hussainia qazi noor ullah shoostri).
[Updated on 09-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98095
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-01

Question: Imam hussain as ko qatal karany ka fatwa kis kis ne diya tha

Answer: Qazi shuraih ne fatwa diya tha.(Ref: http://en.wikishia.net/view/Shurayh_b._al-Harith_al-Kindi).
[Updated on 01-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98544
Mujtahid:
Date: 2019-07-15

Question: Hazrat Muhammad s.a.w.w.ne hajj kis hijri me kiya

Answer: 10 hijri.(Ref:https://darussalamblog.com/khutbah-hajjatul-wida/).
[Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99360
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.o.a sir main ye pochna chahta hon ke log ye bhi kehte han ke bibi ruqia bint e ali (as) lahore main han or kuch kahte han ke wo yahan nai han to assal bat kia ha....plz answer den

Answer: Janab e Ruqayyah bint e ali misr main dafan hay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B1%D9%82%DB%8C%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C_%D8%A8%D9%86_%D8%A7%D8%A8%DB%8C_%D8%B7%D8%A7%D9%84%D8%A8)

Print

Id:
100020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: sir mujhe iska jawab nahi mil raha ap ye bata den kese mile ga bas ap num bata dete he lekin wo milta nahi he Sir 12 imamo ki shahdat ka waqia parhna he konsi site par mile ga

Answer: Aaap 14 sitaray naami kitab perh lain, is likn se kitab download kar lain.. (Ref: https://books.shiatiger.com/2016/02/14-Sitaray.html). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100340
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-09-16

Question: Hazrat Imam Hassan A.s k kitne beta the or ye jo gillani syed ha in ki nasal kin imam sa start huwe the

Answer: Imam hasan a.s k 8 baite or 7 baitiyaan theen. Or sheikh abdur qadir jilani syed nahi thay. (Ref: https://books.shiatiger.com/2016/02/14-Sitaray.html, pg#203-4) .
[Updated on 16-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-11-04

Question: Mohammad Sahab ka poora naam kya haiÛ”(Ref: http://ur.mobile.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81 ).

Answer: Hamare nabi s.a.w.w ka poora naam muhammad s/o abdullaah hay.
[Updated on 04-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102858
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-01-04

Question: huzur s.a.w.w ka pehla nikah kisne padhaya

Answer: Rasool (S.A.W.W) ka nikah Hazrat Abu Talib (A.S) ne parhaya tha .
(Ref : 14 Sitare, By Allama Najmul Hassan Kararvi , Topic : Janab e Khadija (S.A) ke sath apki shadi khana abadi).
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103280
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Who was second wife of easum e khuda saww after hazrat khadija

Answer: Hazrat muhammad saww ki doosri zauja janab e sauda (r.a) theen. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%AF%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%B2%D9%85%D8%B9%DB%81_%D8%A8%D9%86_%D9%82%DB%8C%D8%B3)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-24

Question: Salam Qibla sawal ye hai k bibi umal banin ka hawaley se ma ne gogel pe parha k wo shimar ki behn thin, to please rehnumai farmaiyein k kia waqei koi Rishta hai ??? Please jawab zror dijye ga

Answer: Shimr ummul baneen ka bhai nahi tha, faqat qabeela aik hi tha. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B4%D9%85%D8%B1_%D8%A8%D9%86_%D8%B0%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D8%AC%D9%88%D8%B4%D9%86)
[Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104243
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-04

Question: Hazrat Muhammad ebadth k leye kaha jatay tay

Answer: Wahi k aghazz se pehle nabi saww ibadat k liay ghaar e hira jaya karte thay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%DA%A9%D9%88%DB%81_%D8%AD%D8%B1%D8%A7%D8%A1).
[Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104507
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-26

Question: Hazrat muavia ki wafat kab howi

Answer: Ameer sham(L.A) mashhoor qool ki bina per 15 rajab 60hijri ko mara.(Ref: Saadatud darain fi maqtalil hussain a.s, pg#131).
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-17

Question: Gaibat e kubra kis hijri me hui

Answer: 329 AH main ghaibat e kubraa kka aghaz hooa. (Ref:http://ur.wikishia.net/view/%D8%BA%DB%8C%D8%A8%D8%AA_%DA%A9%D8%A8%D8%B1%DB%8C)
[Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104568
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-21

Question: Humarey ghar quran meisy baal nikla. yeh kaisy pata chalay k baal hmra ha ya aima athar a.s meisy kisi hasti ka?

Answer: Ye maloom karna keh quran main milne wale baal masoom a.s k hain ya kisi aam insan k baal tu is ka asan tariqa ye hay keh on baalo ko jala kar daikh lain agar jal jain tu wo baal masoom k nahi haongay or agar nah jalain balkeh soney(Gold) ki tarah chamakne lagain tu wo baal masoom a.s k hoon gay. Ye jo hum ne bayan ki wo aik hades ka khulasa hay jo bihaarul anwaar or manaqib ibne ashoub main maujood hay.(Ref: Biharul anwaar, jild#49, pg#59-60[Biharrul anwaar jild#49 link: https://lib.eshia.ir/71860/49/59 , https://lib.eshia.ir/71860/49/60], Manaqib ibn e ashoub, jild#4, pg#348).
[Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104575
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-18

Question: Wo kaunse Nabi hain jo ek din Mein 2 mahina ka SAFar tey karte the?

Answer: Hazrat sluman nabi (a.s) subah o sham aik aik maah ka faaslah taey kia karte thay.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B3%D9%84%DB%8C%D9%85%D8%A7%D9%86_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85).
[Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-20

Question: Hazrat ibraheem ka dunba Khan gia tha qurbani krnay Kay bad

Answer: Hazrat ibraheem ka dumba hazrat ibraheem ne zibah kia tha.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B0%D8%A8%D8%AD_%D8%A7%D8%B3%D9%85%D8%A7%D8%B9%DB%8C%D9%84)
[Updated on 20-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109343
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: Hazrat Muhammad na kitni saal ki umar mai nabuat ka ilan kia

Answer: Hazrat muhammad saww ne aylaan e nubobat 40 saal ki umar main kia. (Ref: https://www.imamali.net/?id=8023#_ftn1)
[Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109666
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Nabi e pak ki pehli shadi kis ke sath huwi

Answer: Nabi mUhammad (saww) ki pehli shadi hazrat khadija (s.a) se hoe. Ref:http://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81#.D8.B4.D8.A7.D8.AF.DB.8C)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: kais saddi say azadari matam shuro huwa ta

Answer: Waqiya e Ashura ke shuhada ka gam manana, aur in par azadari karnay ka aagaz 61 hijri ke is waqiya ke fauran baad howa. mazeed tafseelaat ke liye is link pe jain.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D8%B1%D9%85_%DA%A9%DB%8C_%D8%B9%D8%B2%D8%A7%D8%AF%D8%A7%D8%B1%DB%8C
[Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: janabe qasim ki shadi karbala me huyi thi ki nahi isme thoda daut hai

Answer: Shahzada e Qasim ki shadi ke hawale se aap ko aik link bheja jaraha hai aap is link men mukammal tafseel dekh saktay hain.(Ref:- https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA_%D9%82%D8%A7%D8%B3%D9%85_%DA%A9%DB%8C_%D8%B4%D8%A7%D8%AF%DB%8C
[Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110192
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-23

Question: Kia 18000 muftyan ny fatwa dia qatle imam hussain a.s ka?!

Answer: Qazi shure ke hawale se aik baat mashoor hay ke us ne qatal Hazrat imam Hussain (a.s) ka fatwa dia tha.

https://ur.hawzahnews.com/news/362319/%D9%82%D8%A7%D8%B6%DB%8C-%D8%B4%D8%B1%DB%8C%D8%AD-%DA%A9%DB%8C-%D8%B4%D8%AE%D8%B5%DB%8C%D8%AA-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85-%D8%AD%D8%B3%DB%8C%D9%86-%D8%B9-%DA%A9%DB%92-%D9%82%D8%AA%D9%84-%DA%A9%D8%A7-%D9%81%D8%AA%D9%88%DB%8C
[Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110273
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-09-08

Question: Umme kulsoom bint e Ali married to whom?

Answer: umme kulsoom bint e ali a.s ki shadi Aun bin jaffer bin abi talib(a.s) se hoe.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85_%DA%A9%D9%84%D8%AB%D9%88%D9%85_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C%D8%91)
[Updated on 08-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110516
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-15

Question: Imam hassan ko qatal krne ka hukam kis ne diya hawala sunni books

Answer: hazrat imam hussain (a.s) ko qatal karne ka hukum yazeed ne dia tha ,( ref: https://faizahmadchishti.blogspot.com/2019/09/blog-post-97.html?m=1),Qazi shuraih ne fatwa diya tha.(Ref: http://en.wikishia.net/view/Shurayh_b._al-Harith_al-Kindi)
[Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110527
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-08

Question: رسول نے امام حسین کے ساتھ زندگی کے کتنے سال گزارے؟

Answer: Hazrat Imam Hussain a.s ne apni zindgi ke ibtidaae saat (7) saal apne Nana Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ke sath guzaray.(https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%AD%D8%B3%DB%8C%D9%86_%D8%A7%D8%A8%D9%86_%D8%B9%D9%84%DB%8C)
[Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110535
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-03

Question: Mera sawal yeh hai k humne masiab mai aksar suna hai k imam hussain ny hazrat hurr ko kaha tha k ae hurr teri maan teri gham mai roye tu ess jumnley ka haqeeqi matlab kya hai

Answer: is jumle ka matlab ye hota hay keh tumhari maan tumhain khone per gham manaey. ye aik bad dua hay. arab main raaij thi. (Ref: https://www.almaany.com/ar/dict/ar-ar/%D9%87%D8%A8%D9%84/). [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print