Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Taharat/Nijasat (347 Questions)


Showing 0- 50 questions from 347 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
149
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: Salamulikum I just wana ask. Those perfumes which have made from Alchol is useable or not ? Plz try to give the answer as soon as possiable Thx you.

Answer: W.Salam
All kinds of Alchol in perfumes are allowed for use.
Ref:Jadeed Fiqhi Masail page no 62 Prob no 39

Print

Id:
156
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: AS-SALAM-UAKUM I WILL LIKE TO KNOW CAN WE EAT FOOD COOKED BY A HINDU COOK

Answer: Salam un alaikum
Agar aap ko maloom hay keh us hindu ney khanay ko mas kiya hay to giza najis hay aur usay khana jayez nahi hay. Agar maloom na ho keh mas kiya hay ya nahi to khana jayez hay.
Ref: Mujtahid Sey Pochay Gaye Sawalat (Part 1) Question No. 16

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: Agar koi kapra najis ho jaye to kya kissi gareeb ko us ki najasat ka bataey bagair de sakte hain? aur agar woh kapra aisa ho jo pak nahi ho sakta ho maslan aisa kapra jis se rang nikal ta ho?

Answer: Salam un Alaikum,
Kapray kee najasat key baray mein batlana zaroori nahi hay. Wo kapra jis ka rang nikalta hay usay baarish (rain) key pani sey paak kiya ja saktaa hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail A.Khoei Probe No. 147 & 2366.

Print

Id:
182
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: SALAAM, PESHAB KARNE KE BAD AGAR PANI KHARIJ HO TO KIA YEH NAJIS HO GA.

Answer: Salam un Alaikum,
Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)

Print

Id:
186
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: Peshaab karnay kay baad agar Maqam-e-Peshab say agar koi ratoobat kharij ho to us kay baray main kiya hukum hay ?

Answer: Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)

Khuda Hafiz

Print

Id:
237
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: salam kya jo adami bhi iesi movie dehkhe jiss sey shewat aati ho to kiya, To kiya jo rutubat body sey kharij ho woo aur jo ahtelaam mein kharij ho woo, dono mein faraq hai ya nahi?because logoo ne dono mein faraq dehkha hai. plz tell me !!!!! (all four mujtahid as above in menu)

Answer: Salam un alaikum,
Baaz auqaat shewat key doraan aisee ratoobat kharij hoti jo mani nahi hoti balkeh mani sey pehlay kee ratoobat hoti hay jisay mazi kehtay hein, yeh ratobat paak hay. Laikin agar shewat key doraan khaarij honay wali ratobat mani ho to phir wo najis hogi aur us key baad gusul bhi wajib hoga. Ehtelaam mein jo ratobat kharij hoti hay wo najis hay aur us key baad gusul wajib hota hay.
Ref: Tazeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 74)

Print

Id:
253
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: Raat ko sotay wakt money kharij ho gai thi aur bistar ki chadar kay sath metres bhi najis ho gaya tha chadar to may nay pak kar li metres kay liye kiya hukum hay kiunkay metres ko dhoya to nahi ja sakta may nay metres ki site change kar di hay najis honay wala hissa neechay kar diya hay aur dusray hissay par chadar bicha raha hoon aur usi par sota hoon?

Answer: Agar usay kur ya jari pani main dhoya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee laikin agar usay qaleel pani main dhoya jaey to jis tarah bhi mumkin ho us ka nichorna zaroori hay,khwah is main paaon hi kion na chalanay parain takay is ka dhoowan alag ho jaey.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.36 Masala No.157.

Print

Id:
258
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: salam ale kum, kya roze ki halat mei namaz e jumma mei atar lagana jaez hai.thanks

Answer: Salam un alaikum,
Itar ka lagana rozay ko batil nahi karta hay.
Ref: Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat (Roza) Ques No. 172

Print

Id:
329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salaam...mera sawal yah hai k..english bathroom (camot)mai baith saktay hai isse najis to nahi hotay na...namaz hosakty hia?

Answer: Jab tak paak cheez kay najis ho janay ka ilm na ho wo cheez najis nahi hoti.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.117

Print

Id:
604
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salam ager kissi muslim ka passeena lebass per lag jay or ham ko maloom na ho k aaya pak hai ya najees tuo hum kiya uss hi lebass main namz ada ker saktay hain or ager bad main maloom ho k uss nai koi wajeeb gussol nahi kiya tuo ada ki jani wali namz k liye kiya hukum hai wasalam

Answer: Agar kisi paak cheez kay baray main ye na jaanta ho kay paak hay ya najis to wo paak hay,musalmaan ka paseena choonkay paak hay lihaza is main namaz parhnay main koi haraj nahi hay.agar koi insaan koi wajib ghusl anjaam na day to is ka paseena najasaat main say shumaar nahi kiya gaya hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.30,Masala No.114-116

Print

Id:
605
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salam,plz mujhey is baat ka ans dain k jub sex key baad mani agar bedsheet per gir jai tu kia woh bedsheet haraam hojati hey??? agar hojati hey tu us ko paak karnay key liay us hissay ko dhoya jai ya poori bedsheet?? isi tarah agar jo kapray hum is key baad pehnay woh kia gusal key baad bhi pehen saktey hain ya woh najis hojatey hain? plz yeh bhi batai key ans kaha milay ga is web site per ya meray email address per aaiga???aur kitnay dino baad milay ga? khuda hafiz

Answer: Bed-Sheet par najasat girney say bed-sheet haram nahi hoti balkay najis hoti hay.aur is ko paak karnay kay liye sirf itna hissa dhoo lena kaafi hay kay jitney hissay par najasat lagee hay..aur jo kapray us waqt aap nay pehnay hoay hoon agar najasat us tak pohunch jaey to wo bhi najis ho jain gay.aur agar najasat in tak na pohunchay to wo paak hain aur ghusl kay baad inhee kaproo ko pehen saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.122.

Print

Id:
627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Salam-o- Aalikum, Mera sawal yeh hai key humari office main tamam peon hindu hain aur Approximately 50% staff non-muslim hai, aur aik hi wash room hai, aik cooler hai jis main sai sun pani peetay hain. main pani tu office ka nahin peta laikin wash room ka bahat masla hota hai ?

Answer: Salam un alaikum,
Aqai Sistani kee nigah mein hindu najis hein laikin esaai, jews aur majosi paak hein. Lehaza agar aap ko office key bathroom key najis honay ka yaqeen ho aur tari key libas ya badan ka koi hissa wahan lag jaye to sirf wohi hissa najis mana jaye ga aur namaz key liye us ka paak karna zaroori hoga.
NOTE: We are sorry for the late reply.

Print

Id:
636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: jis per koi ghusl wajib ho ,us ka paseena paak hay ya najis? ager kisi ko bay hosh kiya jay aur wo is baat per razi na ho to kiya hukum hay ,chahay us kay zariey say kisi ko ghusl e mayyet sikhaya jaey to kiya ye sahi amal hai.

Answer: Salam un alaikum,
Jis shaks par gusal wajib ho us ka paseena paak hai. Mazkorah sorat e haal mein beshosh karna jayez nahi hai.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Prob No. 114

Print

Id:
864
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam ..mera sawal yeh hai key kia ager peshab kerny key bad hum istanja kery aur us ke bad peshab ke drops niklee tu kia woh pak hai ya najis ?kia aise halat main namaz sahi hai ?

Answer: Agar koi shakhs pehsab kay baad Istibraa karay aur us kay baad Rutoobat Kharij ho jis kay baray

main usay shak ho kay peshab hay ya koi aur paak rutoobat to wo rutoobat paak samjhi jaey

ge,Albatta agar Yaqeen ho kay peshab hay to wo Najis hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala

No.70 Pg.25.

Print

Id:
880
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: When i wake up i can feel a bit of semen but i cannot tell if it is mani or mazi, can i read salat in this state?

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70.

Print

Id:
923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Salamun Alikum, Hum yehan Toronto kay jis area main rehtain hain akser abadi Ahmadi (Qadyani)ki hai, un kay sath atluqat main kehan tak ehtyat karni chahye yani khanay peenay of milnay julnay main an early repy will be highly appreciated.

Answer: Wo shakhs jo kisi Nabi ki Nabuwwat aur Zarooriyaat-e-Deen main say kisi aik ka inkaar karay jo juzuwi toor par hi sahi Rasool-e-Akram SAWW ki takzeeb ka sabab banay Najis hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.103...Musafaha karna aur aisa khana khana jo najis na ho is main bazaat-e-khud koi haraj nahi hay aur jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.28...Haan agar najis cheez kisi paak cheez ko is tarah lag jaey kay un main say koi aik is qadar tar ho kay aik ki taree dosri tak pohunch jaey to paak cheez najis ho jaey gee.masalan Qadiyani ka haath kisi saalan ya tarr khanay par lagg jaey to wo khana najis ho jaey ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.119

Print

Id:
976
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: mujhe maloom kerna tha keh cents jin mein alchol denated mix hoti hai kya woh laga ker namazz perhi ja sakti hai

Answer: In ka Istemaal JAIZ hay.(means Namaz Sahih hay)Ref:Mujtahid say Poochay Gaey Sawalaat Book-4 Ques. No.45

Print

Id:
979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: money pashab kja makam sa karaj hoti ha ya pakahana ka aur kasay sabat ho sakta ha ka ya money ha

Answer: Salam un alaikum
Mani peshab k maqam se kharij hoti hai aur is ki 3 alamat hain
1)Uchal kar nikle 2)Shehwat k sath nikle 3)is k nikalne k baad badan sust parjay
Ref :Prob no 345 Tauzeeh Ayatullah Sistani

Print

Id:
987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam elekum, Please tell me the quantity of Kur water in litres. Thankyou

Answer: Kur pani wo hota hay kay jo 36 cubic Balisht (1 Balisht taqreeban 22 centi meter) kay bartan ko pur kar day jo kay taqreeban 384 litre hota hay.Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.14.

Print

Id:
1063
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: are we allowed to eat from an ismaili or bohora? and if allowed are we allowed to eat the meat cooked by them?

Answer: Jab tak Khanay ki Najasat Saabit na Hojaey koi Haraj Nahi.
Ref:Tauzeeh-ul-Masaail Masala No.115.

Print

Id:
1197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agher koi aisa kapra ho jis ko dohnay k baad nickora nahi ja sakta for example (molty form) ya (4pai) tau is surat mai with out nichoray paak ho jai ga.

Answer: Molty Foam un cheezoon main say hay jin ko nichora ja sakta hay.Agar najis cheez ko kur ya jari

pani main aik martaba yoon duboo diya jaey kay pani is kay tamam najis maqamaat tak pohunch jaey

to wo cheez paak ho jaey gee aur qaaleen ya daree aur libaas waghaira ko paak karnay kay liye

isay nichorna aur isi tarah malna ya paaon say ragarna zaroori nahi hay.aur agar badan ya libaas

peshaab say najis ho gaya ho to usay kur paani main do martaba dhona zaroori hay albatta jari

pani main aik martaba dhona kafi hay.agar najis chatai ko jo dhaagoon say bani hoi ho kur ya jari

pani main duboo diya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee,laikin agar

usay qaleel pani say dhoya jaey to do martaba dhonay kay saath jis tarah bhi mumkin ho is ka

nichorna zaroori hay khwah is main paaon hi kion na chalanay parain,takay is ka dhowan alag ho

jaey.(Lihaza charpai ko agar qaleel pani say dhoay to jis tarah bhi mumkin ho is ka nichorna

zaroori hay)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.153,154,157.

Print

Id:
1247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: i wanna ask the difference between Najis And Haram

Answer: Haram:Har wo amal jis ka tark karna shareat ki nigah main zaroori ho...Najis ki 2 qismain hain Najis-ul-Ain:Jo zaatan najis ho aur paak na ho sakti ho jaisay peshab aur pakhana waghaira..Mutanajjis:Jo zaatan najis na ho balkay kisi najis-ul-ain ki wajah say najis ho jaey.

Print

Id:
1298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Perfume jis mai Alcohal hota hai, usko laga kar namaz/roza jaiz hai kay nahi?

Answer: Choonkay ye najis nahi hay lihaza inka istemal jaiz hay aur is kay saath namaz aur roza bhi sahi hay.Ref:Book-4 Q.No.45.

Print

Id:
1482
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam mera sawal yeh hai mai money kharij honai say pehlai jo ratobat nikalti hai woh pak hai ya nahi or aghar money kharij nahi howi or us say pehlai kharij honai wali ratobar kharij hojai to kia us halat mai namaz perhi ja sakti hai ya nahi Plz reply as soon as possible in waiting 4 ur reply ?

Answer: ji haan woh rutubat paak hai aur namaz bhi parhi ja sakti hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail (11 edition), masla no.72.

Print

Id:
1485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Can u please give me detail about performing AQIQA?

Answer: Mustahib hai ke larkay ka aqiqa nar (male) janwar se kia jai,aur larki ka maada (female) janwar se kia jai. Aur wo janwar uyoob (faults) se saalim ho (means koi kharabi na ho) aur sehat-mand (mota taza) ho.Riwayat mein hai ke wo janwar Bakra ya Bakri ho aur us ka gosht (meat) us ke tamam jagho par charha huwa ho.Behtar yeh hai ke woh Bakra ya Bakri moti ho, aur (bacchay ke) baap ya baap ki taraf se jo rishtay-daar hain un ke liyay aqiqay ka gosht khana makrooh hai, aur ahwat yeh hai ke maa aqiqay ka gosht na khae.Aqiqay ke liyay bakri (goat) & gaae (cow) & qurbani ke janwar kafi hain, jabke maindha (sheep) jo 2 saal ka ho woh ziyada behtar hai.
Mustahib hai ke hadyoo (bones) ko joroo (joints) se juda kia jai aur kaha gaya hai ke hadyoo ko taurna (break karna) makrooh hai.
Mustahib hai ke is mein se chautah hissa (1/4) daai ko diya jai aur baqi muhtajoo mein taqseem kia jai, jabke ziyada behtar yeh hai ke is ko paka (cook) kar walima kiya jai, jis mein 10 ya 10 se ziyada afraad (10 or more than 10 persons) ka hona ziyada behtar hai. Jis tarha se namak (salt) aur pani (water) mein pakana ziyada behtar hai.
Aur baaz logo ke darmiyan mashoor hai ke hadyoo ko sufaid (white) kapray mein lapait kar dafnana (burried) mustahib hai, lekin hamaray paas is baray mein koi daleel nahi hai. (Ref: A.Sistani, Minhaaj-us-saaliheen, masala no. 1384)

Print

Id:
1502
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ASSLAAMUALIKUM I WANT TO ASK U CAN I USE ALCHOLIC PERFUMES DURING PRAY

Answer: ji haan, alcholic perfumes istimaal kiyay ja saktay hain. kyon ke in ki tamaam qismain paak hain. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 2, ques no: 53.

Print

Id:
1757
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agakhan tanzeem kia hi misal ka tor par agakhan walay hamang school bank or diagr chizang daty hi or koi pasa bhi nahi lata is ka bari mi kia hukum hi thanku

Answer: bismehi taala, agar gumrahi ka khouf na ho to jaiz he (ref:al-masailul muntkhba Aytullah Sistani (d.b.) page no. 375)

Print

Id:
1804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: plz answer urgently my question is that i am working in far area of dubai kya may apnay kapray aisi laundary may dey sakta hoon jaha hindu or muslim dono kam kartay hoon or driver jo kapray layna atta hy wo hindu hy pr wo kah rah hy k wo merya kapray muslim sy he wash karway ga. plz answer me i am waiting for your reply

Answer: bismehi taala, agar apne pak kapray diye the to wapis aane par use pak samjainge aur agar najis kapray diye the to wapis aane par use najis samjainge (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.122)

Print

Id:
1829
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AL-MURTAZA SCHOOL NE AGA KHAN BORAD KO QABOOL KIA HAI, KIA HUM APNE BACHOO KO ACHIH TALEEM KE LIE IS MAIN DAKHEL KARWASAKTE HAIN, (ISLAM MAIN HAI KE ILM HASIL KARO CHAHE TUMHE CHEEN BHI JANA PARE)

Answer: bismehi taala, ehteyate wajib yeh he k aghakhan board ka emtehan dilwana jaiz nahi hain (ref: istiftaat)

Print

Id:
1963
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Can perfumes be used? Do i need to take bath if i have to read Namaz with perfume on my body?

Answer: b.t. jo al-kohal ya sprit lakdi ya kisi or cheez se hasil ki jaye wo pak he. isi tarh khushbuyat (perfume) or polish me shamil mom bhi pak hain jin me al-kohal ho. (ref: tawzihul masail, Aytullah Khoui (r.a.) masaala no. 2917)

Print

Id:
1992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: kia chohay ki bit ki tarah chikbli(lizard)ki bit bhe najis hai

Answer: b.t. aap apne swal k liye www.khamenei.ir par ruju karain.

Print

Id:
2032
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam O Alaikum, Agar Taharat kerty howy pani k kuch chinty flush se ya hathon se takra ker paoon ya kapron per gir jain to kia namaz parhi ja sakti hai ya nahin aur woh pani na-pak ho ga ya pak samjha jai ga. Thanks

Answer: w.s. agar peshab or pakhane ke maqam ko qalil pani se pak kiya jaye to dhone ke bad girne wala pani agarche najis he lekin 5 shrayet ke sath jis maqam par girega use najis nahin krega: 1. us k sath najasat n ho 2. najasat ki wajeh se uska rang, bu ya zayeqa tabdil n huwa ho 3. baher se koi or najasat us me na lagi ho 4. pakhana k sath khun ya koi or najasat bahir n aee ho 5. najasat apne maqam se mamool se ziyada n pheli ho. (mujtahid se puchhe gaye sawalat, part:1)

Print

Id:
2165
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-un-Alaikum Mera Sawal ye hai Key mey aik Agha Khani Joint Group Company mey Assistant Accountant ki Job krta hun..... Aaya meri Job or meri mehnat ki Salary merey leay Jaiez hai?

Answer: w.s. jaiz he. (mujthid se puchhe gaye sawalat part-4 page.76 Aytullah Seestani (d.b.) pub. by quran-o-itrat academy)

Print

Id:
2325
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam u Ailiakum i want to ask that if a person has problem of piles and bleeding after motion is done.is the splashes of blood is pak or not .plz do answer my question

Answer: Bawaseer(piles) k khoon k cheentay(splashes) najis hain. Agar piles (bawaseer) ki bemari ki wajah sa agar maqam e pakhana sa khoon niakalty huay tangon pay lag jaay tu taang ko paak kerna hoga.Laikin agar khoon kaprhay k os jagah per laga ho jo khoon nikalnay ki jagah k qareeb ho, ya jism main maqam e pakhana or is k qareeb laga ho tu namaz k liay is khoon ko paak kerna zaroori nahi ye maaf hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#838,839).

Print

Id:
2380
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam,, mujhay jab peshab nahee b aaraha hota to b lagta hai k kuch qatray niklay hain plzzz. tellll me k kia ye peshab k hain??kia ab paak insaan is se napak hojata hai i never understand this problem,,,,,,,,plzzz reply me ASAP..

Answer: agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi reta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).

Print

Id:
2443
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: sir ge agar kapre ko najast yani ke mani lag jaye tu usko pak kaise kare ge yani ke kapre ko plz tell me fast apne mere pehle sawallo ka bhii jawab nahi diya plz

Answer: bismehi taala, agar koi cheez peshab k alawa kisi najasat se najis ho jaye to woh najasat door karne k baad ek dafa qalil pani us par dala jaye. jab woh pani beh jaye to wo cheez pak ho jati he albatta libas aur us se milti julti cheezo ko nichod lena chahiye ta ke un ka dhowan nikal jaye (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.163)

Print

Id:
2499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salam agha sb. Mara sawal yah hay kah agar bagum sa char char karta hua ya koie film waghara dakhta hua agar shak ho jaia kay maney kharij ho gaie hay ya yaqeen ho jai kah kharij hoie the. to ase soorat main kay hamra paint aor shirt, ya shalwar qameez donon najas ho jate hain ya sirf shalwar, paint. aor qameez aor shirt dhona ke zaroorat ha ya naheen.

Answer: jis jagah per lagay sirif wohi maqaam nijis hota hay jahaan nijasat lagi hay baaqi tamaam jagah paak rehti hay.mazeed ye k jis ko yaqeen ho k os k jism say maney karij hoe hay tu os per ghusl wajib hay sirif shak say ghusl wajib nahi huta.maney k nishaniyaan teen hain:i) lazzat say kharij ho.ii)uchal ker niklay.iii)nikalnay k baad jism sust hojaay.(ref:Aayat-ul-Allah Khamnaie(d.b),talee mul ehkaam,Pg# 50 & 100)

Print

Id:
2506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Salamun aleikum ! kya kisi hindu ke hath ka khaya ya piya ja sakta hai. Jabki mana karne par uski dil shikani ho?Hamare atraf main muslims bahot kam hain.

Answer: Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak
k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain.is liay is
say perhaiz karain.or ye bhi yaad rahay k paak cheez agar najis
cheez say milay(touch) jab k dono main say koe bhi cheez is qadar
geeli(wet) ho k aik ki rutubat dosri ko pochan jaay tu paak cheez bhi
najis hojati hay
Aap dil shikni nah karain balkeh tauriyah (aisi baat k jo jhoot bhi nah ho or is baat say aap ka iradah khuch or ho or sunnay wala khuch or samjhay) say kaam lain.maslan ye keh dain k bhook nahi hay ya dil nahi chahraha or os ko ehsaas bhi na honay dain k aap kun mana ker rahay han.laikin agar baat taqayha kernay tak pohanch jaay tu or baat hay. (ref: Ayat ullah Khoie(d.b).Tauzee hul masail,maslah#107,108,126,2684, & Pg #304).

Print

Id:
2533
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam sir mujhay aksar katry girnay k mehsoos hoota hai ..mi istabra bhe karta hon ...kya voo pakk hai ..namazz sahi hai kya meri

Answer: Istabra k baad agar qatray aain or ye yaqeen ho k ye katry paishaab k ya mani hain to voo najis hain.or agar shak ho k ye katray paishaab k hain ya nahi to paak hain, mazeed ye k mard k paishaab ki naali say paishaab k baad aik ratobat wazi bhi nikalti hay jo k paak hay,agar is main paishaab shamil nah ho to.(Ref:Seestani’s tauzee hul masail maslah #70).

Print

Id:
2597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA, peeshab kay baad 1 mard nay 3 baar sharamgah paak ker li.phir istibra kertay huay sharamgah say cheentay jism per gir jaaen tau kya woh paak hein?please reply by Ayat-ul-Allahh seestani fatwas

Answer: Maqam e paishaab ko aik baar dhoona kaafi hay or behtar ye hay k 3 mertabah dhooya jaay.agar aap ko ye yaqeen (100%) ho k jo cheentay aap k jism per lag gaay hain wo paishaab k qatray hain jo paishaab ki naali say istibra kertay waqt niklay hain tu jism ka wo hissa najis ho jaay ga. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#62,119).

Print

Id:
2806
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Agar Peshab ke qatre ate hon to kya har namaz se pehle kapre pak karna zaroori hay ya nahin. Agar hai to is ka tareeqa kya hai. Aur kya har namaz se pehle penis aur tangon ko dhona zaroori hai ya nahin.

Answer: agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd hazraat is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi rehta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).
Agar paishaab k qatray aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).

Print

Id:
2893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Istibra ka jo tareeqa tauzeeh me diya hua hai, kia zarori hai k wohi tareeqa istemaal kiya jaye? Ya phir kisi tareeqay sey khud ko yaqeen a jaye k peshaab nalli me baqi nahi rahi hai tou jafi hoga??

Answer: Istebra aik mustahab amal he jo mard hazraat peshab karnay k bad is liay anjam datay hein takeh itminan ho jay k ab peshab nali me baqi nahi raha he. Is k bohat se tareeqay hein.jis me se aik tauzeeh ul masa,il me likha he.layhaza agar aap ko kisi bhi tariqay se itminaan hojaay k ab paishab nali main baqi nahi raha hay chahay bohot ziada waqt guzarne k zarye hi itminaan ho jay tub hi kafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3077
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: janab main taharat ka sahi tariqa janna chahta ho

Answer: Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se pak nahi hota aur osay aik martaba dhona kafi he.al’battah ehtiyaat e mustahab he k 2 martabah dohain aur behter ye he k 3 martabah dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62)
2)agar maqad(maqam e pakhana) ko pani se dohaya jay to zurari he k pakhana ka koe zarrah bhi baqi na rahay al’battah agar rang ya boo baaqi reh jay to koe haraj nahi he. Aur agar pehli baar hi aisay hi dhul jay k pakhana k zarraat baqi na rahain tu doubara dhona laazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62 , 63)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3087
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I need to know if some clothes get wet with wine by mistake, how to clean that cloth? Zeeshan

Answer: Najasat door karnay k bad aik dafa qalil pani os per dala jay aur os k bad kapry ko nichorna zurari he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 156). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: can we eat food which is prepared by agha khani.

Answer: Yes you can eat food which is prepared by Agha khani,because Agha Khani are pure(paak) .(E-mail rcvd from A.Sistani Dated:15-11-10).

Print

Id:
3117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: during the process of making vanila flavour there is necessary use of alkohal to desolve the vanila beans,there is less than 1%of alkohal in every vanila flavoured ice creams and other vanila flavoured food.these foods are halal or haram.

Answer: All kinds of alcohol (whether extracted from wood or other sources) is pure, not najis. So, the medicines, the perfumes, and the food containing alcohol are pure and can be used. It is also permissible to eat such food if the amount of alcohol is very minute.

Print

Id:
3296
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: tahart main kia kia shamil hota hai?

Answer: Mutahiraat 12 hein. Jo najasat ko pak karti hein.
1. pani
2. zamin
3. suraj
4. istehalah
5. inqelaab
6. inteqaal
7. islam
8. tab,e,yat
9. ain najasat ka zaa,il ho jana
10. nijasat khoor hewaan ka istibra
11. musalman ka ghaa’ib hona
12. zabihah k badan se khoon ka nikal jana
in masa,il ki tafseel k liay aap is link par click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/index.php).
(Ref: (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# 142).

Print

Id:
3362
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salamunaliakunna,my question is can we employ chritian maid at home.as was told it is not allowed if they wash our clothes we have re wash by muslim maid.pls reply me soon.

Answer: Yes, you can give job to Christian maid at your home.it is lawful. As well as Christians are pure(paak).so there is no problem in to wash clothes by Christians.but be careful that she must wash your clothes by Islamic laws of purity. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3575
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: immabargah main maqam-e-namaz per mairay baitay ka 1 qatra pishaab tapak gaya..main us din jaldi main imambargah k carpet ko saaf nahi ker saki ab kafi din ho chukay hain or jaga ka bhi mujhay andaza lagana ho ga to is ka kia hal hai or mairi kia zimm e dari hai? plz reply me soon thanks.

Answer: Agar masjid ka carpet najis ho jay to zurari he k usay pak.
Jis shaks ko pata chalay keh masjid ki zameen,androni or baironi chat or androni diwaar ko najis hogaya hay tu zarori hay keh is ki nijasat ko fauran door karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 887,892).

Print

Id:
3666
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar mani ka ikraj ho aur saray kapray juton sameet pehney hon to libas ko kis tarha saf karna hai

Answer: agar libas mani se najis ho jay to os jagah say najasat door karnay k baad aik dafa qaleel pani is per dala jay aur phir us ko nichoorhna zarori he taa keh un ka ghusala nikal jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 156). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print