Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Taharat/Nijasat (314 Questions)


Showing 300- 314 questions from 314 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
71834
Mujtahid:
Date:

Question: Sir me peeshab karne k bad penis ko dhota hun or washroom se bahar ane k bad mujhy esa lagta hai k mere peshab k katry nikal rahy han kapro me.kiya wo peshab hi hota hai kiya us se napak ho jate han?

Answer: Wo ratoobat jo baaz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #345,70,1553). Update on dated 13-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72936
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: sex karte waqt white discharge kapde pe lage thy.mere baal kapde pe lagy aur baal moh mai gaye main sure nahi ho k ye wohi baal hai ya nahi.kya gunah hai.plz jald he bataye

Answer: jis cheez ya jis jagha per mani lag jaay ghe us ko bas paak kiya jaay ga aur gunah nahe hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) . Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
74423
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Kuttay ko hath laganay say wuzu toot jata hai. Agar Kauttay ki DUm kaproon par lag jaye to kia kapray kharab ho jatey hain?

Answer: 1)Kutte ko hath lagane se wuzu nahi tootta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322).
2) Agar kutta ya aap ka badan geela ho or phir kuttay k badan ka koe hissa aap k badan se lag jaey tu aap ka badan najis ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 09-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75605
Mujtahid:
Date:

Question: Agr napak jism par pak kapry phen leaye jaye tu kya kaory b napak ho jaye ge

Answer: Agar badan najis ho or os per paak keprha pehna jaey tu wo kaprha jaey tu wo kaprha is sorat main najis hoga jab najis badan ki nijasat gilahat(wetness) k sath kaprhay ko lagay.wazeeh rahay k wo shaks jo janabat ki halat main ho ya wo aurat jo haiz ki halat main ho, on ka pasina paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #114,119). Update on dated 18-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75658
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alikum sir mera sawal yeh hai k jab jab ehtelam hota hai to mujhe bad main weham hota hai k bestar ganda ho chuka hain or ye bhi dar hota hai k family main koi member meri ehtelam k kapro ko ghela hat lagaye ya bestar ko to os par bhi ghusal wajib hoga

Answer: Mani najis hay, or agar kisi insan ko mani lage tu os per ghusl e janabat wajib nahi hota. Or jis jagah k najis hone ka yaqeen ho sirif osi jagah ko paak kerna zarori hay shak wali jagah ko paak kerna zarori nahi. Or waswasay ko ehmiyat nah di jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jamee,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #137,247). Update on dated 19-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76024
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yeah hai ke agar Mani kapro pe laag jaye or kapre dhoo lo or phr bhe Mani ka daag yani nishan lag jaye to Kiya kapre paak hoge

Answer: Agar ain nijasat(maslan mani) baqi nah ho sirif nishan baqi ho tu phir kaprha paak shumaar hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #164). Update on dated 27-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76536
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mini agr mouth ke andar chli jai to usse pak kese karte hai plz btai

Answer: Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door hojanay se monh paak ho jaata hay or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435h,Mafhoom e Maslah #233). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASSALAM WALIKUM ,MERA NAAM AHMED HAI AUR YEH JANA CHATHA HOON KI AGAR MAIE ALCOHOL MIXED PERFUME APPLY AKROON THO KAY MERI PAKI TOOT JAYEGE ,HAAN THO KYON AUR NA THO KAISE ?

Answer: Tamaam aqsaam k alcohol paak hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #109). Update on dated 22-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ehtelaam honay k baad agar kapray ki use jaga ko dhoo k pehn lay to yeh theek hai kia?

Answer: Jee haan, jis jagah nijasat lagi ho faqat osi jagha ko dhoona zarori hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 22-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77088
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum. mjy mani aur mazi me farq ki kuch samjh nh aa rhi h. aur mera masla ye hai k kabhi kabhi larki sy fahash baat ya kisi movie ganda scene dekhty huy penis sy aek lais daar qatra nikl ata h. wo qatra lais daar to hota h, phr ye lais daar qatra mani hoga ya mazi?? plz plz iska answer zaror dain

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum. mjy mani aur mazi me farq ki kuch samjh nh aa rhi h. aur mera masla ye hai k kabhi kabhi larki sy fahash baat ya ganda scene dekhty huy penis sy aek qatra nikl ata h. wo qatra lais daar to hota h, phr ye lais daar qatra mani hoga ya mazi?? plz plz iska answer zaror dain

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77090
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aoa. swal ye hai k sexy batin krty rhy phr shehwat b ae aur penis sy qatra b nikla jo lais daar tha. lakin is doran penis ko hath tk nh lgaya. jism b sust nh hoa aur qatra uchar kar b penis sy nh nikla. to ye lais daar qatra ab mani hogi ya mazi????

Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aoa. larki sy phone py sexy batein ki. phr penis se lais daar qatra nikla. phr me peshab karny gya to peshab k bd b lais dar ratobat nikli. ab ye ratobat mani hogi ya mazi? aur gusal farz ho jaey ga?

Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: میرا سوال یہ ہے کہ اگر رات میی سوتے وقت منی نکل جاے تو کیا اندر والا ہی کپڈا دونا ہے کہ سارے کپڈے دونے ہے کہ نیہیں مگر یہ بی پتا نہیں کس کس کپڈے پر لگیبیے

Answer: Sirif wo kaprha dhoona zarori hay jis k baar e main yaqeen ho k wo najis hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 20-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print