Showing 250- 300 questions from 347 questions on this page.
Question: mera sawal yeh hai ke jab main istinja kerta hoon to main pesaab kerne ke aakhri muqaam ko istinja ke dhele se khusk kerta hoon uske baad khade hoker dobara baith ker pesaab ke muqaam ko tanne per pesaab bahut halki miqdaar mein dikhta hai to phir main istinja ke dhele se khusk kerke baitulkhula se baher aane ke baad 2 minute chahelqadmi kerke phir baitulkhula mein pesaab ke raaste ko tanne per bahut halki miqdaar mein pesaab dikhta hai phir se main waisa hi kerta hoon teesri baar ke baad aur pesaab ke katre nahin dikhte sawaal yeh hai ke kya main istinja kerne ke liye istinja ke dhele ki jagah toilet paper ka istemaal ker sakta hoon kyonki ki toilet paper ko aasani se kahin bhi le ja sakte hain aur istemaal ke baad use phenk bhi sakte hain lekin istinja ke dhele ko her jagah use nahin ker sakte aur mai istinja ke liye istinja ke dhele ya toilet paper ka istemaal isliye kerta hoon ke mujhe pata chal sake ke pesaab ke aur katre aarahein hain ya band ho gaye baraye meherbani aap jawaab batadijye hamein namaj padhne mein bahut baar karahiyat mehsoos hoti hai
Answer: Pishaab ka makhraj pani k ilawa kisi cheez say paak nahi hota. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkain. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#62,70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam kia kisi janwar ya parinday ke galast kapray ya jism ke 1ungli ke brabar hise par lag jaye to wazu toot jata h? aur gusul farz ho jata he?
Answer:
Tamaam halal gosht janwaro or parindo ka paishab or pakhana najis nahi hay or ink badan per lagne se wuzu nahi tootta aur nah hi is say ghusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul Masail Masla#322,343)(Khuda aapki tawfiqaat mein Izafa farmaye).
Question: namz k duran peshab ka qatra nikal jany sy wazu toot jata hai kia?? ya pir ghusal wajib hai....
Answer: Pheshab najis hai aur agar aam insaan ( jise misalsal pheshaab aane ki memari na ho) se namaz k dourain pheshaab k qatre kharij ho jaay to us ki namaz batil ho jate hai aur libas tabdeel kar k ya use libaas ko pak kar k dobara se wazu kar namaz perhna zarori hai laikin ghusal karna wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #81,1113 ,322) 1)agar koi shakhs ayse maraz me mubtela ho k ise pheshaab k qatre gherte rehte ho to Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko chhoreden. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki mohlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.3) jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz se pehle najis shuda maqam ko dho le.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kisi steel k bartan par peshab ka qatra lag jay to us ko paak karny ka treqa bata den
Answer: Najis bartan k induruni (internal) hissa ko qaleel pani se 3 dafa dhona zarori hai. jiska tariqa ye hai k bartan ko 3 dafa bhara (full kiya) jaay aur har dafa khali kar diya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #144, 149) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sawal:-kiya kisi ko bina kisi bimari ke ULTI (VOMAIT) hota hai to wo napak ho jata hai kiya usper gusul wajib ho jata hai please jawab dijiye according to hadees ALLHA HAFIZ
Answer: Ulti pak hai aur is se ghusl bhi wajib nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #80, before 344 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya shohar se phone pe bat krne se orat ka Jo liquid ata h who napak h?
Answer: Ager bato ki waja se ap shewat ki intiha tak ponhach gaae thi or phir ye ratobat (liquid) shehwat ke sath is miqdaar main nikle ke shalwaar is se aloda (gili) ho jayae or is ko inzaal(Mani ka uchhal kr nikalna) kaha jana sahi ho (yani is ke nikalne ke baad shehwat katam ho jaye ya kam ho jaye) to ye mani hai, or namaaz or is jesi dusri Ibadaton ke liye gusal e janabat wajib hai, or ager in 4 sharait (shewat ki intiha tak pohanchna, shewat ke sath nikalna, kapro ka aloda hona or inzal kaha ja sake) main se koi ek bhi na ho to ye mani nahi hai or nikalne wali ratoobat pak mani jayegi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya mein quran aur tasbi bina wazookiyay bina sar ko dhape huway pad sakti kyon ki mein kam par hoon
Answer: Ager Quraan e Majeed ko hath na lagaye or is ko bageer wazo o parde ke pharna is ki be-hurmati shumaar na ho to phar sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 129 , 315).
Question: mera sawal hai ky bara peshab saaf karny ka kya tareeqa hai matlb kin ungliyun sy krny ki ijazat hai islam main
Answer: Ulte (left) hath ki koi si bhi ungli se is terhan karain ke pakhane ke tamaam zarraat hat jaain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 63 , 76 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam, 1 hindo agar bartan dhoay tu kiya us bartan main khaya peya ja sakta hai?
Answer: Hindu kafir hay or kafir najis hay. kafir agar kisi cheez ko hath lagae tu wo cheez najis ho jati hay.(Ref: Tauzee,A.sistani,maslah#119 )
Question: washroom+bathroom pay nahany sy insan naPAK ho jta ha ...?
Answer: G nahi or Agar kise pak cheese k baare me shak ho k najis hoi hai k nahe to wo pak mani jayegi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: istebra krne ke bad bhi mujhe peshab ke khatre ate hi hai kya mai namaaz padh sakte hai ya nahi plz plz bataie
Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat bhi pak hogi aur is sai wazu bhi batil na ho ga.jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)
Question: Salam lekum my bth rom mey pishab baite baad pani sey doleta hoto pani pant po padke pant bigjata hyso hua to namaz padega to namaz qubool hogi
Answer: Wssalam o alykum, Ager kapro ke nijis hone ka yaqeen o itminaan na ho or namaaz ki tamaam sharait mojood hon to namaaz sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 117 , 929 , 1113 to 1143 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agar pashab ka bad istanga ka lia pani na ho to aur koi aur cheeze mati vgaira be na ho to kya ksi kagz sa istanga saf kr saktai hai hamray kaprai aur jisam pak ray ga ya nahi aurnamaz hamri hojsakti ha ya nahi please answer immediately
Answer: Pheshaab ka makraj faqat paani se he paak ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #62 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar kisi jagha per yani zameen per aloodghi ya napaki lagy hoy hy to os jagha ko kis tarah pak kia ja sakta hy.
Answer: Agar wo zameen jis ka farash phater ya eentoon ka ho ya dosere sakht zameen jis me paani jzb na hota ho najis ho jaay to wo zameen qaleel paani se paak ho sakte hai laikin (nijaasat door kane k baad) zarori hai k is per itna paani daala jaay k behne laghe .jo paani upper daala jaay agar wo kise gharhe waghaira se bahar na nikle aur aik jagha jama ho jaay to is jagha ko paak karne ka tareeqa ye hai k jama shuda paani ko kaapre ya bartan ki madaad se bahar nikaal diya jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 174)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal ye hai k kain jab peshab karta ho to mani ati hai kya kro phr nahana chea ya nhi
Answer:
Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70).
Lehaza ager ye ratobat (peshab ke baad nikalne wala pani) un sifaat ke saath (shehwat, uchal ke nikalna, nikalne ke baad badan ka sust ho jana) nikle jin ke sath mani ehtilaam ki halat main nikalti hai to ye mani hai, or gusal karna ho ga, or ager un sifaat ke sath nahi nikle chahe is ka rang mani ke rang ki terhan ho ya kisi or terhan ka to mani nahi hain, or na hi gusal wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mara sawal ya ha ka agar kisi ka ghar ma cookroge bohat hon aur wo kahna oina ki ashia ma chala jain maslan duddh,salan chawal tall, wagara to kia wo kaha najis ho jaya ga ?
Answer: Laal-baig (cockroach)paak hai, lehaza ager khano k najis hone ka yaqeen o itminaan na ho to un ke khane main koi harj nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , 115 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agr jagty huy gandy khyal sy ya sex movie dekhny sy penis sy les dar katry nikl ay to gusal zruri ha or kapry kis tra pak krny hn kya sirf gandi jga ko saff krna kafi ha
Answer:
Mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,389 ) Haram k baray mai sochna agar inzal(mani kharij hona) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) Libaas k jis hisse ko nijaasat laghe ghe srif wo hissa najis hogha baaqi hissa paak rahe gha . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal yay ahi k ehtilam k bad jab hum napak hojatay hian to agar kisi cheez ko touch kartay hian to wo bhi napak hojati ahi ya nhi jesay agar hum pakk kapray jo ghusal k bad pehenay hian unhian touch kartay hain to wo pak rahay gain ya napak hojain gay ???
Answer: Libaas ya badan k jis hisse ko nijaasat lage gi srif wo hi hissa najis hogha baqi paak rahe gha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 122) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera sawal yay hai k kya mazi say kapray napak hojatay hain ya nhi aur un kapron mian jin kapron pay mazi lagi ho namaz parh saktay hain ya nhi ..aur agar mazi jism k kisi hissay pay lag gaye to ghusal karna paray ga ya us hissay ko pani say saaf karna paray ga ..?Aur jism pay say saaf karna lazmi hai ya nhi kapray change karkay wuzu karkay namaz parh saktay hian..
Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai, aur is halat mai jab k mazi pak hai to yaqeenan jism or kapron ko najis nahi kregi lehaza namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)
Question: As Salam O Aliakum Wr Wb sir mera sawal ye hay k mai wuzu k liay astanja kerta hon tu peshab k 1,2 katray reh jatay hain tu mai wuzu ker leta hon phr mai namaz ki neat baandh leta hon tu namaz k doran aisa hota hay k aik adh drop nikal jata hay tu is se 1.kia mery namaz khatam ho gae hay means waste ho gae hay? 2. wuzu b toot gea hay ? 3.kia meray cloths b napaak ho gay hain mjay change kerna parain gay? ab day mai agr mai nay 5 times wuzu kia hay tu 2 bar aisa ho jata hay means 2 namazon mai tu mai kia keron ab mai cloth b bar bar change ni ker skta r namaz b thek se ni perh skta.please mery help kerain mai namaz achay tareekay se perhna chahta hon mjay bht dukh hota hay jub aisa hota hay tu.kitni bar mai nay again wuzu b kia mgr again aik adh drop nikal jata hay wo hota peshab ka he hay tu mai kia ker skta hon?mery namazin kabool hongee ya nahin..? mjay jaldi se reply kr dain please mai bht preshan hon ALLAH apko iska ajar day.ameen ALLAH HAFIZ As Salam O Aliakum Wr Wb
Answer:
Jis shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat(qatre) kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat (qatre) kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai.aur us se wuzu bhi baatil hojaata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)
Question: Mazi jis jagah lagti hai wohi jagah napak hogi ya pora libas napak hOgaye ga.Mazi agar jism pay lag gaye to ghusal karna hoga ya usi khas jaga jahan mazi lagi hai usko saaf karna kafi hai??Aur mazi jism say saaf karna lazmi ahi ya kapray change karkay namaz parh saktay hain ?
Answer: Mazi paak hay or is k kharij hone se wuzu bhi nahi toot ta or jis jagah lag jay os ko paak kerna wajib nahi os is mazi k saath namaz perhna bhi sahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya ehtlam k baad sb kupray napak ho jatay hain jaisay shirt, jacket, bunyan or socks etc ?
Answer:
Libaas ya badan k jis hisse ko nijasat lage gi sirf wo he hissa najis hoga baqi paak rahe ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 122)
Agar kisi pak cheez k baare me shak ho k najis hoi hai k nahi to wo pak hogi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya ehtlam honay se jitnay kupray pehnay ho wo sb napak ho jatay hain jaisay jacket, shirt or socks etc ?
Answer: G nahi sirf wohi jaga najis hogi jahan najasat lagi hogi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: Asalam o alaokum! Mera Sawal Ye Ha K Agr Insan k jism napak ha [ means mani sy napak ha] or phr adhay jism dhony say pak hoga [means adhi legs dholi] ? or phr adhy jism dho kr kapre phen liye jo kapre pheny wo pak khelaenge ya nai ?
Answer: Wssalam o alykum, ager kapre pehanne se pehle jisam ko paak kar liye to kapre paak hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sir, mera msle ye hai muje 4 sal se likoria hai, or ab is sal me jb merabf muje fon sex pe majbor karta hai to is ma jhut mot k sex karti ho matlb k mai apni sharamgah ko hat b nai lagati or na kisi or hisse ko touch karti ho , to is silsle os wakt mera jo likoria hotq hai wo napak hai ya nai?? Matlb muj pe ghusal lazim hoa ya nai???plz meri confusion dor kar de...
Answer: Gusal wajib nahi hai, lekin is terhan ki dosti o batain Shareeat e Muqaddasa main haraam hain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) , (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Pls.Pls.Pls.Pls answer in the light of Hadis. Mera sawal ye hai ki meku peshaab karne ke kuch der baad mehsus hota hai ki shayad peshaab ke qatre nikal gaye hai par mujhe kabi lagta hai ki yeh mera vahem hai aur kabi ye lagta hai ki peshaab ke qatre nikal gae hai.To mai apse yeh kahena chah raha hun ki is situation me namaz padi ja sakti hai aur kya kapde pak rahte hai aur kya kapde badal lena kafi hai ya fir ghusl karke kapde badalna chahiye and agar hame sone se pahle ye baat mehsus hui ki peshaab ke qatre nikal gae hai aur hum vaise hi so jae to kya bistar bi naapak ho jata hai?
Answer:
1)Istibra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
2)Agar kisi nay istibra na kia ho aur peshab karnay k bad peshaab k makraj se ratobat kharij ho jis k baare me na jaanta ho k paak hai k nahe to wo ratobat najis hai aur wuzu ko bhi batil kar de gi aur agar kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wuzo bhi batil nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #69,71). Update on dated 17-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.o.s sir mera sawal ye hy ki my peshab k baad sharmaga ko kaisa clean karna chahiye sir sharmaga oura clean karna chahiya aur sirf peshab ki naliko clean karna chahiye sir please sir iska jawab dev sir plsee
Answer:
1)Pheshaab ka makraj (jagha ) paani se he paak hosakta hai.aur ise aik he martaba dhona zarori hai albatta ehteyate mustahab hai k 2 dafa dhoa aur behter ye hai k 3 martaba dhoa (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #62 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
2)Istibraa ek mustahab amal hai jo mard peshaab karne k bad is garz se anjaam deta hain ta keh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baaqi nahin raha. Is ki kaee tarkeebain hain jin mein se ek yeh keh peshaab se farigh ho jane ke bad agar Maqad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen dafa baen(left) haath ki darmiyani angli k sath Maqad se le kar uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is ke bad angoothay ko uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is ke niche rakhe aur teen dafa sopari tak soonte aur phir teen dafah sopari ko jhatkay Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. Mazeed yeh keh jab kisi shakhs ne peshaab ke bad Istibraa kiya ho aur is k bad rutoobat kharij ho jis k baare mein shak ho keh wo peshaab hai ya mazkoora baala teen rutoobaton mein se koi ek to wo bhi paak hai.(or os se wuzo batil nahi hota na gusal wajib hota hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 69,70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamualykum Meri shalwar me peshab k qatre gir jate hain kya isse na paak ho jate hain
Answer:
Peshaab najis hai aur jahaan per bhi peshaab lage ga wo cheez najis ho jaay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80 ).
Agar jism ya libaas par peshab k qatray gir jae to 2 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jae aur ghusl krna wajib nhi aur libaas ko har dafa dhone k baad nichoorna zarori hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 154)
Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia peshab rokne pr peshab k kuch katre nikal jane se bhi kapre na pak ho jate hai aur kia ghusal farz hota hai?
Answer: Peshaab kharij hone se ghusl wajib nahe hote laikin namaaz perhne k lie wuzu karna zarori hai. Agar libas peshab sai najis ho jae to os ko pak karnay k lie qaleel pani ko 2 dafa os par bahana zaroori hai ta keh pak ho jae aur har dafa pani daalnay k baad os kapray ko nichora bhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322,154). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam aik patient jin ka sotai waqt aksar peshab nikal jata hai or rat mn her 2 hours k bad washroom jati hain subah uth ker apni shalwar per nami dekhti hain wo isai pani smjhain gi ya peshab doosra sawal laundary per jo kaprai bhaijtai hain aik jo dhobi dhota h dosra jo dryclean hota h kia yah pak hongai
Answer:
Pak cheeze os waqt tak najis nahi hoti jab tak oskay najis honay ka yaqeen na ho jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 117)
Lihaza jab tak ye yaqeen na ho jaay k jo pani kaprhoon(shalwaar) per dekh rahi hay wo peshaab hay os waqt tak os kaprhay ko paak samjhay gi. Lekin agar yaqeen ho jaay k wo pechaab hi hay tu wo shalwaar najis ha.
Agar kisi ne (maslan dhobi/ dry cleaner) libaas dhone ki zimma dari li ho or kahe k main ne ise dho diya hay or is shaks ko is k kehne se tasalli ho jaay tu wo libaas paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #222) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mjy pishab krny ky bad kbi kbi eik week ky bd manne ky drops atty hain our is ka koi elaj batayan our ya koi medicine batayn our mjy pishb ky bd khara hota hon to lagta h ky pishb ky drops aty hain
Answer:
Apko chaye ke istibraa karay.
Istibraa ek mustahab amal hai jo mard peshaab karne k bad is garz se anjaam deta hain ta keh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baaqi nahin raha. Is ki kaee tarkeebain hain jin mein se ek yeh keh peshaab se farigh ho jane ke bad agar Maqad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen dafa baen(left) haath ki darmiyani angli k sath Maqad se le kar uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is ke bad angoothay ko uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is ke niche rakhe aur teen dafa sopari tak soonte aur phir teen dafah sopari ko jhatkay
Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.
Mazeed yeh keh jab kisi shakhs ne peshaab ke bad Istibraa kiya ho aur is k bad rutoobat kharij ho jis k baare mein shak ho keh wo peshaab hai ya mazkoora baala teen rutoobaton mein se koi ek to wo bhi paak hai.(or os se wuzo batil nahi hota na gusal wajib hota hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 69,70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Humbistari k baad agar ns nahaya ho.. aur dusre saaf kapde pehne gye to kya ye saaf kapde b napak ho jaengey?
Answer: Agar badan per mani waghaira ki nijasat nah lagi ho tu baghair ghusl e janabat k paak kaprhe pehen sakte hain.kapreh paak hi raheen gay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #119 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar pisaab ka katra istanja karte waqt jism ke kisi hise pe lag jaye to usko sabun ke bagher saaf karsakte hai ??
Answer: Badan k jis hisse me pheshaab lag jaay us ko faqat pani se 2 martaba paak karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #154). Update on dated 30-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o alikum..Mera apsey sawala hey k jin kapron per likoria laga ho kya WO kaprey pehn k namaz parh sktey hn ?
Answer: Likoria ka pani paak hay, is main namaz perhi jasakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya hum nijasat main kapre dho k pak kar sakte hein? matlab k agr humbistari k baad bagair gusal kar k kapre wash karen to kya woh kaprey pak honge?
Answer: Jee haan, kar saktain hain kaprhe paak rahain gaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #156). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: my question is that chota peeshab rukna kia gunah girls k ly? kia disadvantages hain? aur private parts k sath play krna peshab ko rukay rehna k duran tu kia ye gunnah hai?
Answer:
1)Peshaab rookna makrooh hai aur agar badan k lie mukammal tour per muzir ho to haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #78). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2)Insaan k lie apne penis se play karte hoe mani kharij karna guhnah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar paani na ho aur uski wajah se peshab ki paaki na ho toh kya kisi aur cheez se paaki ho sakti
Answer: Paisahb ka makhraj pani k alawa kisi cheez se paak nahi ho sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #62). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ager jrian ka masla ho or pishab main mani khraj ho jay or us ka pta bi na chaly to kia ghusal wajib ho ga
Answer:
Jo ratubat paishab k sath kharij hoti hay osy wadi kaha jata hay or ye mani nahi hoti. Mani uchal ker lazzat k sath kharij hoti hay or is k nikalne k baad badan sust ho jata hay. Is liay aap per ghusl wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal yeh hai k main agr apni gf se baat kr raha hoon or kisi waja sy meri mani leak hojaye thori si toh mera jism or kapray na pak hojayenge ?
Answer: Agar mani kaprhe ko lagi ho tu wo na paak ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar kapdo pe mani lag jae tou kese saaf karein kese pak karein?
Answer: Pehle paani se mani ko hata ker aik dafa pani daal ker os ko nichorhain tu kaprha paak ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #156). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamo alykum hm ko ye jaanna hai ki mere pisab krne k thora der baad pisab k raste se kch pani aesa nikal ta hai toh kya us haalat me hm paak hue ya naapak or kya hm namaz padh skte hai
Answer: Agar kisi nay istibra na kia ho aur peshab karnay k bad peshaab k makraj se ratobat kharij ho jis k baare me na jaanta ho k paak hai k nahe to wo ratobat najis hai aur wuzu ko bhi batil kar de gi aur agar kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wuzo bhi batil nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #69,71). Update on dated 12-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamo alykum hm ko ye jaanna hai ki mere pisab krne k thora der baad pisab k raste se kch pani aesa nikal ta hai toh kya us haalat me hm paak hue ya naapak or kya hm namaz padh skte hai
Answer: Agar kisi nay istibra na kia ho aur peshab karnay k bad peshaab k makraj se ratobat kharij ho jis k baare me na jaanta ho k paak hai k nahe to wo ratobat najis hai aur wuzu ko bhi batil kar de gi aur agar kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wuzo bhi batil nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #69,71). Update on dated 12-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager nahte waqat beshab ke qatrsa nikal jaye to tangoo ko maal kar dona chaye ya pani danlne kafi hai
Answer: 2 dafa paani daalna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #154). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam mera sawal yeh hai k ehtilam k bad gusal se farig hokar phle wale kapre pehne ja sakte hain ya libas bhi tabdeel krna zaroori hai
Answer: Agar os libas per mani nahi lagi thi ya agar lagi thi tu paak ker li thi tu os libas ko pehna jasakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 18-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam_o_Alaikum, Sir, Kia Ham Hinu ky Hath lga hova burtan ya glass etc use kr skty hain...
Answer: kafir najis hain. Agar on ka geela hath bartan ya glass ko laga ho tu wo najis ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), minhajus saliheen,Mafhoom e Maslah #407). Update on dated 22-12-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr mini kapron py lag jay to napak ho jaty han agr hamara ehtlam ho jay or kapron py na lagy jesy ky shirt to wo bhe napak ho jay gii??
Answer: Jis jagah mani lage sirif wo jagah napak hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Les daar qatre jo ghalat khayalat ki waja se nikal aaen magar wo mani na ho to kya wo na pak hain ??? Namaz parh sakta hu.
Answer: In qatroon ko mazi kehte hain, ye paak hain or in k nikalne se wuzu bhi nahi toota. Or in k sath namaz perhna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,71). Update on dated 15-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar Mein peshab krne k bad peshab k qatre ko tissue paper se saaf kia toh mein paak hua k nai
Answer: Paishab ka maqam pani k alawa kisi bhi cheez se paak nahi hota or osay aik mertaba dhona kafi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #62). Update on dated 07-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslamulaikum Sir , Peshab karne ke baad hatho ko kis tarah Paak karain ? kuch parhna hote ya sirf dho lena hi kafi hai ?
Answer: Sirif aik mertaba dhona kafi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #156). Update on dated 16-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar ehtilam bistar par ho , to kya possible hoga k mani har jagah lag gayi ho jo ki karwatai lene se hosakta hai , agar ho gayi ho to kya bistar ka paak horr agana zaroori hai kya ? aur agar mani kapdai pe lag kar sookh gai ho to paak koi paak kapda uss se lag ka napaak hoga ?
Answer: Koe bhi paak cheeez najis is tarah hote hai maslan Agar koi paak cheez kise najis cheez se touch ho jaey aur donoo ya in me se koi aik is qadr tar(gilay) ho k aik ki tari doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jae gi, albatta agar tari (ghilapan ) itni kam ho k dosere cheez ko na lage to paak cheez najis nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).