Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Taharat/Nijasat (347 Questions)


Showing 200- 250 questions from 347 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
47606
Mujtahid:
aqe sestani Date:

Question: salam , janab mera yeh sawal hai ki jab mai toilet mai jata hun to istabra karta hun par jaisey ki yakeen nahi hota ki mainey pakhney ki jagha say istabra kiya ho mai bar bar istabra karta rahta hun jiskey chakkat mai 3 bar key bajayeh 4 bar hojata hai jaise ki 3 bar nechey say lana hai to uski jagha 4 bar agar karlo to kiya istabra jaiz hoga or mujhey shaq ki bhut zyada bimari hai uska kiya ilaj hai kiya mai ignore karun is say kiya meri namaz or baki kam jayez hoga janab meri islah karey

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ki bohat si tarkeebain hai aur jis terah bhi yaqeen ho jae k nali mai peshab baqi nahi raha hai albetta aik tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47879
Mujtahid:
Date:

Question: Napaak jism per paak kapray pehnanay say kiya kapray bhee napaak ho jaatay hain? Yani kay agar jism napaak ho or main saaf kapray pehan lon or phir Namaaz say pehlay naha ker saaf kapray pehan loon to kiya who kapray paak consider hon gain ya napaak.

Answer: Agar najis jism geela ho ya jo najasat jism par lagi hui hai wo os paak kapray par lag jae to paak kapra bhi najis ho jae ga. aur namaz k lie kapray ko paak karna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
47936
Mujtahid:
Hanafi Date:

Question: Salam Sir, Khary ho kar peshab karny ka kitna azab hy. Pant pehny hue office me English commode pe kaisy peshab kia jaye. 2nd mery ghar me b English commode hy to mujy lagta hy k is pe per bet jany se qatry neechy body per gir sakty hy , to me khary ho kar peshab karna prefer karta hun... Please guide me

Answer: Kharay ho kar peshab karna makrooh hai yani agar na karain to sawab milay ga aur agar karain gai to koi gunah nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48350
Mujtahid:
Sunnat Date:

Question: Asslam-o-Aliakum! sir mera quetion yeh he k mard k nafas se jo mada moni niklta he kia wo pleed he r agar ise koi mard ya aurat khae to us k lye islam mei kia hukam he r is ka izalaa kis tarha kr sktay hein. 2nd question yeh he k zanaa kon se muqam pr ja kr hoti he yani sharm gah se sharm gha touch hoi he na k dakhool to kia yeh zana he ya mard ka nafas aurat k jisam se kisi b 1 jaga touch houa he to kia yeh zana he ya mard ne aurat ko hath, mouth ya ankhoo k isharaa se choowa he to kia yeh zana he please ask me answer Best Regards,

Answer: 1)Mani najis hai aur najasat khana jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 84) 2)Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48589
Mujtahid:
sss Date:

Question: pishab karne ke bad kuch katre nikalte hein who pak he ya napak

Answer: Jo ratubat peshab k bad aur istabra se phele insan se kharij hoti hai wo bhi peshab ka hokum rakhte hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-73) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48685
Mujtahid:
Date:

Question: assalamalaikum mera sawal ye h ki peshab se fariq hone k bad kukch ktra peshab nikal jata..... kya is halat me mai waju krk namaz pad skta hu..

Answer: jo mashkook ratubat peshab k baad nikalti agar istebra na kia ho to wo peshab ka hakum rakte hai aur namaz parhnay k lie pehlay osay pak karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49091
Mujtahid:
ayat ulla sestani Date:

Question: Salam,I want to know that a basin where clothes of periods are washed,so how can we make it paak that we can easily perform wudu

Answer: Agar sink mai khoon laga hua ho to pehlay os khoon ko hataya jae aur phir aik dafa pani dala jae to wo paak ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49124
Mujtahid:
Date:

Question: assalamwalekum mera sawal hai ke jab mein peshab ko bet ta hon to meshab ke katre gerte hein kya ayise me namaz padh sakte hein

Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra nahi kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49133
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamualaikum sir mujhe peshab aksar ata ha aur peshab karne ke badh pant pahenletahu jab chalte chalte peshab ka katra gir jata ha jab mai roja tha issey mera roja makru hojata kya aur mai is taraha nai hone ku mai kya karu sir mujhe ap bataiye na sis.please

Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra nahi kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49157
Mujtahid:
Date:

Question: ager kissi bachey ne peshaab kia ho or wo khush ho gya ho .ager us bachey ko hum uttha ley tu humhare haath ya kapre na pak tu nhi hogey?ager wohi hissa humhare kapro ya hath ko touch ho.

Answer: Agar hath, libas ya bachay mai sai koi aik ya donoo tar(geela) hon aur osi jigha touch ho jis jigha peshab lagi thi aur tari transfer bhi ho jae to wo hath ya wo libas bhi najis ho jae ga (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49256
Mujtahid:
Date:

Question: mujhay aik deodorant bht pasand hai laikin us main alcohol hai, kia wo laganay say namaz ya rozay main koi faraq perta hai?

Answer: Alcohol paak hai aur us k sath namaz perh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 109,787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49322
Mujtahid:
Date:

Question: Kya janabat ki halat mein insan ka batun for example dil aur damagh aur zaban napak hotay hain ya surf jism napak hota hai please explain

Answer: Jis jagah mani lagi ho srif wo hi hissa najis hota hay aur baqi badan paak ho hota. ( ref: ayatullah sistani(d.b),tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)


Note: rooh najis ho jati hay badan napaak nahi hota.

Print

Id:
49427
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM-O-ALAIKUM sir mera question ya hai k agar itlham ho jay tu kia qamiz or baneen bi napak ho jay gi iss ko nejsat na lagay tu ?

Answer: Agar nijasat nahi lagi to ye chezain najis nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49548
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k kapron pe kitni nijasat lgny se kapry gandy yani napak hoty hain?

Answer: Nijasaat say faqat wo cheez najis ho gi jis par nijasaat is qadar lagi ho k aik ki tari dosere me muntakil ho jaay to doseri cheaze najis ho gi. Is k alawa koe aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49567
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, ager kapro per mini leg jaye aur gusal ker leya jaye aur bd me wo kaprey dobara pehan leye jaye without washing kiya jism phir napak ho jaye ga.

Answer: Agar kapro ya jism me se koe is qadar tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigah mani lagi thi to wo jagah bhi najis ho jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49919
Mujtahid:
Date:

Question: faqeer or miskeen mai kya farq hai ? ayyatulah sistani k mutabiq kitni cheezon ko nijassat consider kiya gaya hai ? juma k khutbey k dohran koy namaz ya baat cheet kar sakta hai ?

Answer: 1)Faqeer yani wo shakhs jis k pas apnay aur apni family k lie saal bhar k akhrajat na hon wo faqeer hai laikin jis shakhs k pas koi hunar, jaidad ya sarmaya ho jis sai wo apnay saal bhar k akhrajat puray kar sakta ho wo faqeer nahi hai, is k alawa miskeen yani wo shakhs jo faqeer sai bhi ziada tungdast ho.
2)10 cheezain najis hain. 1:paishab 2:pakhana 3:manio 4:murdar 5:khoon 6:dog 7:pig 8:kafir 9:sharab 10:najasat khanay walay haiwan ka pasina.
3)Jumay mai imam k khutbay k doran batain karna makrooh hai laikin agar baton ki wajah sai khutba sunnay mai rukowat ho to ehtiyat ki bina par batain karna jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1889, 80, 722)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50529
Mujtahid:
seestani sahab Date:

Question: salam mera sawal ye hai ki mujhe shak bht zayada hota hai. her waqt najasat ka shak hota rehta hai is wajah se na namaz sahi hota hai aur na hi nazar neyaz aur majliso matam her waqt lagta hai kuch najast kharij ho rahi hai. namaz padte waqt ho ya u hi din bhar rahe. bht pareshan ho gae hai plz shak door krne k liye btaey ki kya kre . kya istikhara dekh skte hai ki namaz pade agar kuch shak hoto behter aae to pade wrna paak ho k phr pade . hum aksar yahi krte hai kyuki aur koi rasta hme samajh nahi aata . her wqat naha to nhi sakte . plz reply fast aur aaj kal ramzan me bht shak badh gaya hai . na amaal sahi se ho pate hai na namaz plz help .meri shadi ho gai hai mere shauhar ko bilkul b shak nhi hota hai wo her waqt pak rehte hai plz hme b kuch btaey ki hum b shak na kre . m hu to up ki bt ab shauhar k sath dusre jagah hu isse koi farq to nhi padta . plz reply

Answer: 1) Agar kise paak cheez k bare me shak ho k najis hogae hai ya nahe to wo pak hai. Aur tehqeeq karna bhi zarori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117)
2) Agar kise taharat o nijasat k maamle me shakki mizaaj shaks ki ye halat ho jaay k ise kise chease k pak hone ka yaqeen na aay agar wo shaks us chease ko mamool k mutabiq dhole to kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 223).
3) Agar koe shaks shak kare k us ka wuzu batil hoa hai ya nahi to ise ye samajna chahay k os ka wuzu baqi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #299 ) )
6) Agar namaz k salam namaz k baad shak kare k us ne namaz sahi perhi hai ya nahi to wo apne shak ki perwa nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1166)

Hazrat Imam Ali Raza (a.s) say marwi riwayaat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba

Print

Id:
50620
Mujtahid:
sunni Date:

Question: agr kici non Muslim country me musalman foat ho jay (female or male)to kasy pata chaly ga ky ya Muslim tha.(admi ki laash pehchan ky qabil na ho)

Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jate hain.

Agar kafir mulk mai mayyat milay aur ehtemaal bhi ho k marnay wala musalmaan hai tu ehtiyaat e lazim ki bina par zaroi hai k usay muslmaan smjha jaey.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1, masla#302). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50988
Mujtahid:
ayatullah al sistani d.b Date:

Question: salam janab e aali mera sawal ye hai k..agar baraf ki silli yani chote ye bade tukde jo k mahe ramazan me masjid me pani ko thanda karne k lye laya jata hai agar koi kafir usko choole aor usko pak kar lya jaye to kya wo paak ho jayega?zahir hai k baraf jama hua hota hai ab hame nehi maloom k najasat uske andar sarayat karti hai nehi,lehaza baraye mehrbani jald se jald masle se aagah farmayen..take logon ko najasat se roka ja sake. wassalam

Answer: Agar baraf sakhti se jami hoe ho or aap ne us ko doosre tokrhoon se alag hata ker paak ker liya ho to is surat men baraf paak ho jayegi or sarayat is surat main mumkin nahi hay, albtta agar baraf kachi jami hoe ho or kafir k jism se takrane k baad us k oper wale hisse ka pani pigal ker baraf k andar jane ka imkaan mojood ho to sirf oper wala hissa hata deenge or agar is baat ka imkaan ho oper wali baraf pigal ker neeche ja chuki hogi to is surat men zahir hai k is paak kerna bhi mumkin nahi to ye maya(liquid) cheezon men shumaar ho jaye ga Q k qanoon ye hai agar kisi cheez ki surat ye ho k agar us k oper se kuch miqdaar nikaali jaay to uski jaga khali nah rahe to jese hi wo zarra barabr bhi najis hoga sara najis hojaye ga lekin agr uski surat aysi ho k agr us ki oper se kuch miqdar nikali jaye to uski jaga khali rahe to agarche kuch der baad wo jaga pur hi Q nah hojaye to sirf wohi hissa najis hoga jise nijasat lagi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #123). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
51813
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alaikum!!!!!!!!!!!kya napak kapre pehne se jism dobara napak ho jata he???????jesa k jo kapre mene humbistri karne k bad pehne,,,,,,wohi kapre mene dobara rat ko pihr pehn lie,,,,,to kya jism dobara napak ho jaye gha????????

Answer: Agar koi paak cheez kisi najis say lag jaye aur dono ya in me say 1 is qadar tar (geeli) ho kay 1 ki tari dusray tak pahunch jaye to paak cheez najis ho jaye gi (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51944
Mujtahid:
Date:

Question: hum india me rehte hai.hamara naya ghar bana hai jiske toilet ki facing east west hai. Aur kiblah west south ki taraf hai..plz mujhe bataiye kya is tarah ka toilet ko use karna sahi hai ya nahi.

Answer: (Ehtiyaat ki bina par)wajib hai ke peshab ya pakana karte howe ap ka sena ya pusht (peet) qible ki tarf na ho, or na hi sharam gaah ko is ki taraf pheren, chahe toilet ki facing kuch bhi ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 55 , 56 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
51948
Mujtahid:
Sistani sb Date:

Question: during washing nijis cloth hands become nijis with nijis water,now wet hand touches tap.after still tap is wet someone touch tap with wet pak hand .is new hand become nijis ,if yes then would it make other pak thing also nijis before drying?

Answer: Ager najis kapro ko dhote howe najis pani hath par lag jaae to jab ye kapre paak ho jaae ge to ye haath bhi paak ho jaae ga.
Een e nijasat ager kisi paak cheez ko najis kar de to ye 2 paak cheezo se ziyada ko najis nahi karti, masalan ager kapre peshaab se najis hon or phir sookh jaain phir gila haath in ko lage to haath najis ho jaae ga (ye 1st hai) phir ye najis hath sookh jae phir gila tap is hath ko lage to najis ho jae ga (ye 2nd hai) ab ager ye tap sookh jaae or phir kisi ka gila hath is ko lage ga to hath najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
51985
Mujtahid:
Date:

Question: assalam wa alaikum. Hamaee ghar ki lavatory east west facing hai aur kibla south west me hai..to kya ese lavatory ko use kar sakte hai. Plz jald se jald reply kijiye.

Answer: Peshab ya pakhana kertay waqt ehtiyaat e lazim ki bina par daban ka samnay ka hissa yani pait aur seena qibla ki taraf nah ho aur na hi pusht(peeth) qiblay ki taraf ho.(Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#55). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52007
Mujtahid:
Date:

Question: salam, mera ye sawal jab main peeshab krti hun to mujhe shak r weham sa ho k jaise mere kapron ko cheentay lag gye hon mujhe is weham ya shak khatam hone ka hal btayen plzzzz

Answer: jab tak kisi chiz ki nijasat ka yaqeen na ho tak usko pak samjain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 117 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52008
Mujtahid:
ayatollah sistani Date:

Question: Asak...mera sawaal hai ki agar koi najis cheez jaise peshaab ya khoon kisi jagah pe sookh gaya ho aur us pe oily yani chikna haath lag jaaye to kya haath najis ho jayega?

Answer: Agr haath ki tari najis jaga tak na ponhche to najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52121
Mujtahid:
Date:

Question: a.s mra sawal ya hai ka jb ehtilam ho jata hai or wo gand kampron par lag jata hai tu majbori ka bais namaz parni par jayi to parhi ja sakte hai.or wohi kapra pahna ja sakta han .

Answer: Jin kaprho par mani lag gai ho wo kaprhey namaz mai nahi pehen saktay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #786). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52140
Mujtahid:
Date:

Question: kapron per ager pashab ka ketra nikal ayn lakin banda ko shak ho ka katra nikla han ka nahi to es halat main namaz ho jay ge or es halat main kapra pak raha ga ka nahi

Answer: Agar peshab ka qatra bahar na niklay tou namz parhi jaskti hai,jab tak yaqeen ya aqli tareqay sy itmena na ho shak ki surat mai nijsat sabit nahi hoti. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#115). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52275
Mujtahid:
Date:

Question: peshab ka katra galti se lag jaaye to gusul ka tarika

Answer: Peshab se ghusl wajib nahi hota albatta peshab najis hai agr wo badan ya libaas men lag jaye usno krna parega.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52303
Mujtahid:
alim Date:

Question: aslkm, Hazrat jab mai istinje k lie jata hu to kuch gadha-gadhda sa nikalne lagta hai to kya us se admi naapaak ho jata hai.

Answer: Wssalam o alykum, ager mani o peshaab nahi hai to paak hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , 80 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).

Print

Id:
52340
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: asalam oalaikum mera sawal ye ha k etilam k bad jo kapra najis ho jata ha tu kapre ma lagi srif us nijasat ko saaf krna kafi hai ya pura kapra dhona parhe ga

Answer: Q k najis faqt wo hi hissa hota hai jahan nijasat lagi hoti lehaza faqt usi ko pak krna kafi hia.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #24).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52411
Mujtahid:
Date:

Question: Jin kapro pat liquid lag jaye wo napak jo jate hein agar dusre din wohi kapre pehne jayein mtlb un kapro ka liquid sookh chuka he kapre ghile nai hein,,,,,,dusare din wohi kapre pehne se kya jisam napak ho jata he????

Answer: Ager jism gila nahi hai to paak rehe ga najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52733
Mujtahid:
Date:

Question: during washing nijis cloth hands become nijis with nijis water,now wet hand touches tap.after still tap is wet someone touch tap with wet pak hand .is new hand become nijis ,if yes then would it make other pak thing also nijis before drying

Answer: Ager koi paak cheez een e nijasat(jin ki tadaad 10 hain)se najis ho jaae to ye najis hone wali cheez mazeed 2 cheezoo se ziyaada ko najis nahi kar sakti, masalan ager pishaab se sedha haath najis ho jaae or phir ye sookh jaae, to phir jab ulta haath tari ke sath sedhay haath ko laage ga to wo is ko najis kar de ga, phir ye bhi sookh jata hai, phir jab kapre tari ke sath is ulte haath per lagee ga to ye un ko najis kar de ga, or jab is sedhee haath se ye do cheezain najis ho chukain gi to phir is libaas se or koi cheez najis nahi ho sakti. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 119 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53074
Mujtahid:
Aga sistani Date:

Question: Salam. is perfume (both local and imported) pak or najis. Further can we offer prayer with this or not Thanks and Jazak Allah

Answer: Wssalam o alykum, it is paak, and can be performed namaaz with it. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 852)(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 37 , pg # 58 , eidition # 5 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53379
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam.o.alekum sir muje ek masl h jo k pechl Ed 2, 3 sal se h asa h k muje peshab k qatry bhot aty h kbi peshab se phle kbi peshab k bad n kbi peshab krne k 5,6 hi secnd bd n kbi kafi der tk betha rhtz hn k abi qatra aye ga to again satanja kar k washroom se bhar jata hn mgr kafi der k bad jab khara hota hn to qatry a jaty h plz sir hlp me esi bimari ki nina py m ne kafi lamba arsa nimaz bi ad ni ki bhot mushakal se m juma ada kr pata hn kbi kbi wo bi ni m es bimari ko le k bhot pareshan hn

Answer: Istabra aik mustahab amal hai jo mard pishaab karnay kay baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha hai aur wo ratoobat jo baaz awqat peshaab kay baad nikalti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshaab mila hua na ho to paak hai jab kise shaks ne pheshaab kay baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k wo peshaab hai ya koi aur rutoobat to wo paak hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 69-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53573
Mujtahid:
Date:

Question: English seat walay toilet per Bethany say shower istamal kartay huay kuch cheentay jism per aajatay hai forexample after urinating ...agar wash kar bhi liyay humay yeh shak hai Kai shayad saray cheentay nhin wash hua...tau ub Kya Kia jaye???

Answer: Agar kise pak cheese k bare me shak ho k najis ho gai hai ya nahi to wo pak hai isi tarh agar kise najis cheese k bare me shak ho k pak hui hai ya nahi to wo najis hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #117 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53651
Mujtahid:
Date:

Question: kia hum christen k hath ka paka hua khana kha skty hain?

Answer: Aqa sistani k nazeed yahoodi, christen, majosi, pak . in k haath ki ghosh or cherbi se bani hue cheezo k ilawa dosere halal cheezen khana jaiz.(Ref : Jadeed faqhi masail , masla # 152, pg # 119, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam ji mujhe ye puchna h k agr baccha 1 year ka ho aur uska peshab chadar me lag jae to puri chadar dhona zaruri h ya phr jitni jagah peshab hai sirf utna dho len aur sirf pani se dhoye ya sabun use karna zaruri h plz reply me

Answer: agar kise aise chease ko jo pheshaab se najis hoghai ho qaleel pani (jo kurr pani taqleban 384 litre se kam ho) se dhona ho to is per aik dafa youn pani bahade k pheshaab is chease me baqi na rahe to wo chease pak ho jaay ghe . albatta libass aur badan per 2 dafa pani youn bahana zarori hai taake pak ho jaay laikin jaha tak libaas , qaleen , dari, aur in se milti julti cheaso ka tallaq hai inhe har dafa pani daalne k baad nichoorna zarori hai take ghusala(wo pani jo pani men dalne se us kapre wgera men agaya hai) in me se nikal jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #154 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54191
Mujtahid:
Date:

Question: aoa sir mery 2 sawal ha plz mery zaror madad kery ma istabra ka masly ma ulga howa ho ,1,,, istbra karty waqt maqad s lay ker aalay tanasal ke jhar tak ketna zoor say dabana zoree hay 2,,,jab may istabra kar lata ho ur toilt sa utah reh hota ho tu koch drop asa latha ha kay nikil gay hay plz mery is dono problems ko hal kry mugay zaroor baty khas ker mery 1 question ka hel baty k ketny zaoor s dabana zarore ha maqad s lay ker aala tanasel ke jher tak thanks

Answer: Istibra main mamool k mutabiq uzo e tanasul ko dabaya jay.
2

Print

Id:
54244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslam.o.Alaikum... Mera sawal ye hai k kia Indian vegetarian restaurant main Ja kar un k bartan use karna jais hai ya na jaiz....aur agar aisa ho gaya ho k hm indian restaurant k bartan use kar lain to phir kia kiya jay... Note : Mera question "Indian vegetarian resturant" k bare main hai wahan sb vegetarian tha... Please reply... Allah hafiz

Answer: Wssalam o alykum, ager ap ko is baat ka yaqeen o itminaan ho ke kisi kafir

Print

Id:
54651
Mujtahid:
Date:

Question: kia juma mubarak k din kapray dhona sai hai ya ghalt??

Answer: jumma e mubarak ko kapre dhona Sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 786 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
55861
Mujtahid:
Date:

Question: Agar Jin kapron par peeshab k katray lag Gaye Hon on ko agar pehan lay tu badan napak Ho

Answer: Peshaab najis hai aur jis cheez per pheshaab lage ga wo najis ho jaay gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80)
Nijasat sai faqat wo cheez najis ho gi jis par nijasat ki is qadar tari lagi ho k aik ki tari dosere me muntaqil ho jaay to doseri cheez najis ho gi. Is k alawa koi aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56432
Mujtahid:
Date:

Question: Sir Mai Ye Poochna Chahta Ho Peshab Krne Ke Bad Maine Wazoo Kiya Us Ke Bad Ek Do Qatre Shalwar Me gir Jatey Hai Kya Is Se Wazoo Tooth Jata Hai Ya Nai . Please Answer It Immediatly

Answer: 1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. is lie ko chahea k istebra karain.
2)Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
3) jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)
4)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa

Print

Id:
56665
Mujtahid:
Date:

Question: Jab peshab karty Hain to bad main kalma nahi parhna hota to is halat main Kia karna chahiy

Answer: Taharat o istibra ke sahi hone main kalime ka pharna zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56674
Mujtahid:
Date:

Question: Jb ma peshap karta ho to us ky bad lase dar katry niklty ha plz is ka hal btaye

Answer: Ager peshaab ke baad ap ne istabra kiya hai to wo qatre paak hain or na hi wazo ko torte hain or na hi in se gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57590
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aak aan najis 3 cheezu (bilawasta) sy ziadah najs ni krskhti....kia unn 3 cheezu ka najast lagny ky baad sookhna lazmi ha???

Answer: een e najis 3 chezo se ziyada ko najis kar sakti hai, pas jab bhi koi paak cheez ratobat ke sath een e najis (masalan sharaab, kuta, suwer, kafir ect) se lage gi to wo najis ho jaae gi. Han Een e nijasat ager kisi paak cheez ko najis kar de to ye ab najis honi wali pak chiz 2 paak cheezo se ziyada ko najis nahi kar skti, maslan ager kapre peshab se najis hon or phir sookh jaain phir gila haath in ko lage to haath najis ho jaae ga (ye 1st hai) phir ye najis hath sookh jae phir gila kapra is hath ko lage to ye kapra najis ho jae ga (ye 2nd hai) ab ager ye sookh jaae or phir kisi ka gila hath is ko lage ga to lagne wala hath najis nahi hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , 119).
Note Sookhna zarori hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57599
Mujtahid:
Date:

Question: Peshab k bad jo katray aty hain woh kiyu aty hain yeh kis cheez Ki alamat ha R raat main soty time agr atylaam na ho 1 month tak to koi problem hai kia..?

Answer: Wo qatre paak hain or un se gusal wajib nahi hai. Albatta agr apne peshab k bad istibraa (jo k ek mustahib amal hai) krliya hai to to istibraa k bad jo qatre niklen to wo paak hen, lekin agr peshab k bad istibraa na kre to or abhi itna wqt bhi na guzra ho or peshab k maqam se koi liquid kharij ho to wo peshab ka hum rakhegi matlab najis hogi or kapron ko bhi najis kregi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70-71-72)
Note Or wo qatre kun aate hain? kis cheez ki alamat hain? ehtilaam kun nahi hota? in tamaam ke jawabaat ke liye Doctor se maloom karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57714
Mujtahid:
Date:

Question: Kya hindu bhi aik khuda ko manty hyn? Aor agr koi muslman hinduo ki mehfil me kahy k jis khuda ki tm ibadat krty ho me b usi ki ibadat krta hn to kya vo muslman islam k daira se bhhr hojy ga?? Aor kya me bahsiayat e muslam usko kafir keh skta hn ya mera usko kafir kehna jaiz nahi???

Answer: Ager wo Muslim Islaam ke sahi aqaid per imaan rakhta ho or un ka apne amal ke zarye izhaar karta ho jese namaaz pharta ho, roza rakhta ho, Allah o Rasool se mohabbat or In ke dushmano se nafrat karta ho to wo Musalmaan hai (ho sakta hai ke us ne jahalat ye kisi or etbaar se kaha ho) or ap ka us ko kafir kehna jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 01) , (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 29 , eidition #1st).

Print

Id:
57747
Mujtahid:
Date:

Question: kya sharab ki khali (empty) purani bottle ko hath lagana gunah h?

Answer: Ager wo bottle paak na ki gaae ho to ager gele hath ko bottle ki najis jaga per lagaain or hath ki tari us najis jaga tak ponhach jaae to namaaz ke liye or un chezoon ke liye jin ko paak rakhna zarori hai – masalan Quraan e Majeed – is hath ko paak karna hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 787 , 129 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57911
Mujtahid:
Date:

Question: AOA sir mera app se ye sawal hai k jab main chota ya bara peshab karnay jata hon to bara peshab karny k waqt peshab karnay k bad white qatray nikaltay hain mani k haftay main 4-5 bar hota hai ye mere sayh sir me bht pareshan hon sir ye koi beemari to nahi ha or is ka ilaj kya a plzz tell me....?????

Answer: Wssalam o alykum, is ko wadi kehte hai or ye mani nahi hai or paak hai or is se gusal bhi wajib nahi hota.(Albatta is se kamzori hoti hai is k liye ap doctor se ruju kren)(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)Wssalam o alykum, is ko wadi kehte hai or ye mani nahi hai or paak hai or is se gusal bhi wajib nahi hota.(Albatta is se kamzori hoti hai is k liye ap doctor se ruju kren)(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)Wssalam o alykum, is ko wadi kehte hai or ye mani nahi hai or paak hai or is se gusal bhi wajib nahi hota.(Albatta is se kamzori hoti hai is k liye ap doctor se ruju kren)(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)Wssalam o alykum, is ko wadi kehte hai or ye mani nahi hai or paak hai or is se gusal bhi wajib nahi hota.(Albatta is se kamzori hoti hai is k liye ap doctor se ruju kren)(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)Wssalam o alykum, is ko wadi kehte hai or ye mani nahi hai or paak hai or is se gusal bhi wajib nahi hota.(Albatta is se kamzori hoti hai is k liye ap doctor se ruju kren)(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
58274
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal yaeh hah kae jab mae peshaab kar kae aata hoon tou peeshab karne kae 5 min baad mjhe maahsoos hota hah meri sharamgah sae kch nikal rha hou dkhta hoon tou kch nhe hota magar kabhi kabar transparent drops nikaltay hah tel me plzzzz?

Answer: Istibra aik mustahab amal hay jo mard hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain ta,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baqi nahi raha. Is ka tareqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkain. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#62,70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print