Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Taharat/Nijasat (347 Questions)


Showing 150- 200 questions from 347 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
32603
Mujtahid:
aaga Sistani Sahab Date:

Question: Salam mera swaal ye h ki kya hum Imam Hussain ya kisi Masoomeen ke namo ki pam plate banakar logo tak unka massage de sakte h jabki hume pata h ki ye pam plate log padkar sare raha daal bhi sakte h aur ye logo ke pairo ya naali nalo mai bhi ja sakte h pls mujhe batane shukriya khuda hafiz.

Answer: Is mai koi haraj nahi hai albetta logo ki zimadari hai k wo in plates ko istemal kartay waqt is baat ka khayl rakhain k is ki be-hurmati na ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32631
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: May aik jaga say guzar raha tha qareeb aik kutta (dog) mojood tha kisi nai kuttay ko bhaganay k liyai pani phainka paani kuttay par gira magar uski cheentain jaga jaga jism or libas par agaee mai nai aam tarikay say paak kia yani kapra dhookar phir 3 baar pani baha kar neechora magar mjhay shak hai k wo kapra paak howa k nahi kio k Kuttay k chatay burtan ko 7 dafa dhonay ka hukum hai pehlay paak mitti sai phir pani sai, isi taraha jism k jis hissay par wo cheentain gaee unhain dhookar 3 dafa pani baha liya kia is tarha sai taharat hogaee?? barha-e-karam is hawalay sai mairi malomaat mai izafa farmain ,,,,, or kapray par nijasat yani peshaab, mani, pakhana, khoon laga howa ho tou wo kaisay paaki kia jaey

Answer: Pehli baat to ye k agar bartan ko kutta chatay ya bartan mai mouth dalay to os ko pak karnay k lie 7 dafa nahi dhoya jata hai albetta matti sai manja jata hai. han suwar agar baratan ko chatay to os bartan ko 7 martaba dhoya jata hai laikin matti sai manjna zaroori nahi hai, aur ye hokum sirf bartan ko pak karnay k lie hai. laikin agar kapray ko pak karna ho to os ko pak karnay ka tareeqa shariat e islam mai alag hai.
Agar libas peshab sai najis ho jae to os ko pak karnay k lie qaleel pani ko 2 dafa os par bahana zaroori hai ta k pak ho jae aur har dafa pani dalnay k bad os kapray ko nichora bhi jae.
Agar libas peshab k alawa kisi najasat sai najis ho jae maslan kutta, suwar, khoon wagira to os ko pak karnay k lie qaleel pani ko 1 dafa is par dala jae aur phir kapray ko nichora bhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 154-156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
32667
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: Salm sir kia kapro ko jin par ihtlam ki mani lagi un ko khusk tareeqy sy pak kar sakty ha us ka tarreeqa kia jazak Allaha

Answer: Agar kapra mani se najis ho jay to mani ko door karne k baad 1 dafa pani is per dala jay. jab wo dhul jae to phir os ko nichorna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32744
Mujtahid:
Date:

Question: kia ismaili muslim hain? kia un k hath ka khana jaiz ha?

Answer: Ismaili hazrat per nijasat ka hokum nahi lagaya jasakta,yani ye paak hain.(Ref sistani(d.b), Mujtahid se pochay gay sawalaat). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32833
Mujtahid:
Ayat ullah Sistani Date:

Question: Salam - Kya plastic aur lakhri (wood) pak ho sakti hai aur kasay

Answer: Agar plastic ya lakri par najasat lag gae ho to najasat ko hatanay k baad 1 dafa qaleel pani is par dala jae jab wo pani beh jae to wo pak ho jain gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32876
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: AoA mera sawal ha k aksar shehwat angais khialat ki waja se aalae tanasul se aik ratobat kharij hoti ha .kia is ratobat se ghusl wajib hota ha or is ratobat se kapre napak to nai hote.

Answer: Wo rutubat jo kbhi kbhi shehwat ubharnay par mard k aala-e-tanasul sy kharij hoti hai usay mazi krhtay hain aur wo paak hai,us say gusal wajib nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32958
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: it is said that al-mutnijis-o is not nijis.plz explain the difference between nijis and mutnijis. what is condition by which 1st mutnijis make a paak thig 2nd mutnijis and 2nd make a paak((pure) thing 3rd mutnijis

Answer: If a Pak thing touches a najis thing and if either or both of them are so wet that the wetness of one reaches the other, the Pak thing will become najis(mutanajis). Similarly, if the wetness of the thing which has become najis, touches a third thing, that third thing will also become najis. It is commonly held by the scholars, that a thing which has become najis transmits its najasat, but indefinite number of transmissions is improbable. In fact, after certain stage it is Pak.
For example, if the right hand of a person becomes najis with urine, and then, while still wet, it touches his left hand, the left hand will also become najis. Now, if the left hand after having dried up, touches a wet cloth, that cloth will also become najis, but, if that cloth touches another wet thing, it cannot be said to be najis. In any case, if the wetness is so little, that it does not affect the other thing, then the Pak thing will not become najis, even if it had contacted the Najisul Ayn. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32981
Mujtahid:
Date:

Question: AOA, ajj kal mujha peshab karna ka thori dar bad peshab ka mamoli droop nikalta han shayad sardiyo ki waja sa..or underwear pa lag jata ha..to kia mare kapra pak hon ga ya napalk plz bataen me kia karo....???

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
33003
Mujtahid:
Date:

Question: mera question hai k jb main peshab krta hun to kuch dair tk drops girtay rehtay hain kafi arsa pehlay ye bhot zaida tha problem hr waqat girtay rehtay thay koi solution batayen plz plz plzzzzy

Answer: 1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69)
2)Agar peshab k qatray aanay ki beemari hai to ap k lie wazifa bhi bayan krtay hain, Surah e zumar surah # 39 ki ayat 67 likh kr qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pilain to qatra qatra pishaab ki bemari khtam ho jaegi. (Ref : book nawaey saleheen pg # 329)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33004
Mujtahid:
Ehtilam say bachnay k lye Date:

Question: sir mujha peshab ka thore dar bad peshab ka drop ate ha..or bar bar kapra napak ho jata ha,me kia karo???? or ya abhe sardiyo me ho raha ha...

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k upper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33080
Mujtahid:
Aya tullah Sistani Date:

Question: aoa....jo log Aima e Masomeen (a.s) ko nhi mante wo najis or kafir hen to kia un k sath khana peena jaiz hy?

Answer: Jo log 12 imamo me se kese aik ko bhi dushmani ki bina per gali de wo najis hai. aur najasat aur tarahat k tamam ahkam jari hon gay. (laikin jo log allah aur rasool, qayamat wo musalman hai aur pak hai agarche wo Aima e Masomeen (a.s) ko na manta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 107, 205) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
34727
Mujtahid:
anyone Date:

Question: jab jism say mani kharij huti ha..tu pent ya shalwar tu najis hu hi jati ha...kia banyan shirt najis huti ha agar usspay manni na kagi hu tu

Answer: Mani sai faqat wo cheez najis ho gi jis par mani lagi hai is k alawa koi aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
34813
Mujtahid:
Date:

Question: miane parha hai k agar koe gandi baat krne sy ya kisi gandey seen ko dykhne sy jo mazi k qatry niklte hain vo pak hain. 1 = ab kya jin kapro ko mazi lgi hue hai vo kaprey bhi pak hian ya nhe or unhi kapro ky sath namaz ho jy gi ?? 2 = agar gas harij ho jay to wazu krna pry ga??

Answer: 1)Jee han jo ratubat mard shehwat anghais tasaworaat k waqt insan apni sharamgah mai mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. yani agar pehlay sai wazoo tha to osi wazoo k sath namaz ho jae gi aur kapray bhi pak rehain gai yani aap os kapray mai namaz bhi parh saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
2)Riyaah(gas) (yani maiday or aanto ki wo hawa jo pakhana k makam sai kharij hoti hay) kharij hone sai wazu batil hojata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
35521
Mujtahid:
ahl e sunat Date:

Question: kya hindu k sath khana khaya ja sahta hai?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Kafir najis hai laikin oski najasat doosri cheez ki taraf os waqt muntaqil ho gi jab donoo mai sai koi aik tar ho aur najasat , najis cheez sai pak cheez tak saraiat kar jae to wo cheez najis ho jae gi. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 34, pg # 57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
35755
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Mera sawal ye hai ke, agar kapron me mani (semen) lag jaye or wo khush (dry) hojaye to kya un kapron me Ibadat jaiz hai ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Faqat najasat k hatanay sai koi cheez pak nahi hoti hai. aur is ko pak krnay k lie zaroori hai k is par pani dala jae aur is ko nichorna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
36588
Mujtahid:
Date:

Question: kapron ko pak karne ka kai tareeqa hai agar particular jaga ka pata ho?aur agar napaak jaga ka ilm na hoo tu pir kaisay paak kya ja sakta hai?

Answer: Agar kisi najis cheez ko kurr pani (384 liters) ya jari pani me is tarah dibo diya jaye kay pani is chiz kay tamaam najis maqamaat tak pohonch jaye to wo cheez paak hojati hai aur libaas ko pak karnay ke liye isay nichorna bhi zarori nahi hai aur agar badan ya libaas pishaab say najis ho jaye to ehtiat-e-wajib ki bina par isay kur say 2 dafa dhona lazim hai albatta jari pani say 1 dafa dhona kafi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #153) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
37003
Mujtahid:
Date:

Question: As salam alikum.. Sb mujhay ya phuchna tha key aga diwar pay mani lagi ho or uspay agar kuch din bud chuna ya colour kar diya jaya to kay tamam diwar na pak ho jayagi? Plz mujhay bataya., bohut parayshan hu

Answer: Agar diwar par color krnay sai pehlay os color ko jo pehlay sai diwar par tha hata dia ho to koi problem nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80-225)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37212
Mujtahid:
Peshab kay doran Katroon ka ana Date:

Question: As Salam-o-Alikum. Dr sahab meri age 20 years hai..... Sir mera masla yeh hai kay main jub kisi garam cheez (sofa, Bed) pe bethta hunn to Chand katree nikal parte hain. aur jub Ghusal ker kay nikalta hun tab bhe chand katree nikal perte hain... is ka koi hall btain plzzzz. i am v worry....

Answer: 1)Agar mani niklnay ka yaqeen he to Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) 2)wo ratoobat jo khabi khabi shawat ubharnay per mard k ala e tanasul se kharij ho ose mazi kehtay hein, Aur wo pak hai ya wo ratubat jo peshab k baad niklti hai jisay wida kaha jata hai aur agar peshab is sai mila hua na ho k to pak hai. aur agar ye qatray peshab k baad nikltay hain to peshab k baad istebra kia jata hai jis sai peshab ki nali sai peshab nikl jata hai. os ka tareeqa ye hai k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
37464
Mujtahid:
Date:

Question: Sir kya Islam mein orat mani kha skti hy ..??? Plzzzz give me answer me waiting on my mail.. Plzzzz

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
38278
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: Salam Qibla agar Peshab krne k baad Mani k ek ya do ktray aajain to kya namaz k liye Ghusal Wajib ho jai ga....

Answer: Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38935
Mujtahid:
Date:

Question: Agr ek musalman islam chor kr koi r mazhab apna lay to kya islam main us ki saza mout hai ya usy kch nai kaha jay....

Answer: Saza ka taayun karna Islami Hokomat main Mujtahid ka kaam hai (ayse insane ko murtad e fitri kehte hen or agr islami hukoomat qaaim hoto to ayse shakhs ki saza qatal hai hatta k uski toba bhi qabool nahi ki jaye gi).(Ref ; Sistani.org , topic # qisaas , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
39069
Mujtahid:
Date:

Question: sir, meri umar 18 saal he, jb me subah neend se uttha ho our ghusal krleta ho to ghusal krne k baad b kayi ganto tk mere penis me 1 ya 2 qatre harkat krte he, our chand ganto bad 1 ya do qatre bila ekhteyar our bila lizzat nikl jate he, kia ye sab mardo ko hota he ya muj me koi bimari he, me kia karo?

Answer: ye mani nahi hai, paak hai, or na hi is se gusal wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #70).
Note is ke kamzori ki alamat hone ya na hone ke mutalliq Doctor ya Hakeem se maloom karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai

Print

Id:
39232
Mujtahid:
Date:

Question: assalmoalaikum mera ye sawal hai k jab insan koi sex ki baat kar raha ho ya sun raha ho to us ki penis main aik transparent sa liquid a jata hai thora sa kia wo napak hota hai hai?? aur agar kaprn pe lag jae to saaf karna lazim hai?? kia us tranparent liquid se gusal wajib ho jata hai???

Answer: Wssalam o alykum,G han ye pak or kapron pr lag jane ki surat men saaf krna zaruri nahi, or gusl bhi wajib nahi hoga(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
39235
Mujtahid:
Date:

Question: AOA muje ye pochana hai k fahash film daikhe ya fahash guftagu se aksar insan ki penis main transparent sa liquid a jata hai to k thora thora chipakane wala b hota hai .. kia wo liquid ane se gusal wajib ho jata hai ya insan k kapre napaak ho jate hain???

Answer: Wssalam o alykum, paak hai, or gusal wajib nahi, ager che fahaash filmoo ka deekhna or na-mehram se fahaash guftagu karna (ehtiyaat e wajib ke tor per) jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70) , (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34) , (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 550 , pg # 278 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
39657
Mujtahid:
Date:

Question: janab mre pishaab ki leakage ka msla hai kia ap mehbani kr k mri mada kr skty hain me bht preshan hn. is wja se me paak b ni reh pata

Answer: 1)Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79)
2)Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 311)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40134
Mujtahid:
yes Date:

Question: agar kapde pe peshab k baad mani lag jaye to jo kapde pe mani lagi hai usko badlna hoga ya poore kapde ?aur gushl b karnA HOga?

Answer: Jis kapray par mani or paishab laga hay usko badalna ya paak kerna hoga,aur ghusl e janabat bhi namaz or is jaisi doosri ibadaat k baja lanay k liay kerna zarori hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #786,344). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40135
Mujtahid:
yes Date:

Question: haiz k dauran pehne kapdo ko kitni martaba khngalna chahiye taki wo pak ho jae?

Answer: Khoon ki nijasat hatanay k baad qaleel pani se 1 martaba dhona hoga aur libaas ko nichoorhna bhi zarori hay lainki agar kurr pani se dhoya jay tu nichorhne ki bhi zarorat nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #156+ Jadeed Fiqhi masail, Maslah#44 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40146
Mujtahid:
Date:

Question: Sir Mai Istinja ka tariqa jan na chahta hun balke confirm kerna chahta hoon. Teen bar aalay (penis) ki right side ko dhona, Phir teen bar aaly ki left side ko dhona, phir teen bar bund ko dhoona, Phir aalay(penis) ko teen bar dhoona Left hand se kya ye tariqa sahi hai. My age is 24 aur mujhe sharam aati hai face to face kisi se. Kindly reply me.

Answer: Paishab ka makhraj paani ka alawa kisi cheez se paak nahi hota or osko 1 martaba dhoona kafi hay laikin afzal hay k 3 martaba dhoya jaey.Aur agar pakhanay ki jaga(anus) ko paani se dhoya jay tu zarori hay k pakhanay ka koe zarrah(spot) baqi nah rahay laikin agar colour ya smell baqi reh jaey tu koe haraj nahi hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #62,63). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note: oper biyaan kiay gay fatway ka khulasa ye hay k maqaam e paisah ko 1 baar dhona wajib hay or pakhanay k maqaam ko is terah dhoya jay k pakhanay ka koe zarra baqi nah rahay. Yani agar 1 baar pani daalnay se hi maqaam e pakhana saaf ho jay tu phir 2 ya 3 baar dhona lazim nahi hoga.

Print

Id:
40526
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal ye ha k agar raat ko soty wakt mani nikal jaye tou kya bister wagerah or dosri chezain jin par ham bethty han wo bhi napak hoti han ya nahi

Answer: Agar raat ko sotay huay mani kharij ho jae to wo mani jis jis jigha lagay gi wo jigha najis ho jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40624
Mujtahid:
istenja kab karna zaruri hai Date:

Question: wazu karne se pehle kya istenja karna zaruri hai matlab agar peshab pakhana na aaya ho to phir bhi aur kya peshab karne k baad pura istenja karna zaruri hai.

Answer: 1)Agar aaza e wazoo(wo body parts jis par wazoo kia jata hai) k alawa badan ka koi hissa najis ho to wazoo sahi hai laikin agar peshab ya pakana k maqam ko pak na kia gya ho to phir ehtiyat e mustahab ye hai k pehlay inhain pak karay phir wazoo karay.
2)Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez sai pak nahi hota hai aur osay aik martaba dhona kafi hai albetta ehtiyat e mustahab ye hai k 2 martaba dohain aur behtr ye hai k 3 martaba dohain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 276-62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40814
Mujtahid:
sisatni sb Date:

Question: Qno:1 kya masjid mn zanjeer zani jaiz he. Kya yeh masjid k behurmti nh he. Qno:2 kya curency notes pr zakat he Qno:3 kya agr non muslim magr ahl kitab k hath k paka howa khana, yah wo apke laye khana le kr ay uske hath wet hon to khana kha skte hn. aur agr wo bartan ko hath lagata he to kya wo napak ho jae ga

Answer: 1) Masjid ki zameen, andoroni or baironi chat or andoroni dewaar ko najis kerna haram hay or jis shaks ko pta chalay k in main se koe maqaam najis ho gaya hay tu zarori hay k oski nijasat ko fauri door karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 887)
2) Currency note par zakat nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1820)
3) Ahl e Kitab paak hain is lie un ka khana kha saktay hain(ghost k alawa) chahay unho nai geela hath lagaya ho ya na lagaya ho laikin hamain is baat ka yaqeen hona chaheay k is khanay mai sharab aur is jaisi doosri cheezain shamil nahi jin ka khana haram hai. Or agar khanay main gosht ho tu is baat ka yaqeen ho ye gosht musalman k ziba shuda janwar se hay.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 152, pg # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40940
Mujtahid:
ek sawaal Date:

Question: asalam-o-alaikum sir muje peeshab karne ke baad jab me ta,harat bhi kar leta hun us k bad kuch ( qatre ) ate hen kya ye na paaki he? kya esi halat k andar me namaz ada kar sakta hun?? plz tell me

Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he.Laihaza agar koe ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab he ya nahi tu wo ratubat paak hogi or agar ye aurat wuzu se ho tu iska wuzu or ghusl bhi is ratubat k kharij hone ki wajah se batil nahi hoga. (Ref:A.Sistani(d.b). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41010
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salam taharat ka bad agr hath pak kia ja rahai ho to jo hath pak kia ja rahai hai woh taharat ka hukum mai hi ai gai ya us ka lia alag hukum hai

Answer: Agar koe shaks kisi cheez ko pani se dhoay tu os cheez k paak honay per os shaks ka wo hath bhi paak ho jata hay jo os cheez k sath dhul gaya ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #212)

Note: Istinja k mukammal hotay hi aap ka wo hath jo istinja main istemaal hoa hay wo bhi paak hojaay ga.

Print

Id:
41686
Mujtahid:
Date:

Question: Istanja karna ka sahi tarika

Answer: Istinja o istibra ye hai ke insan peshaab karne ke baad koi bhi esa amal kare ke is ko itminaan ho jaae ke peshaab ki nail mian peshaab baqi nahi raha or phir pani se us maqaam ko paak kar le. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 69 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41963
Mujtahid:
Maulana muhamad taqi Date:

Question: Assalamualikum mera sawal ye hai ki agar mani apne jism ko lag gai toh sirf uss jagha ko pani se saaf karne se kya hum paak ho sakte hai aur namaz pad sakte hai aur kapde paak ho sakte kya ye swal hai mera allah hafiz

Answer: Wssalam o alykum,Agr ap mani kharij hone se insan mujnib hojaye to Namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal e janabat karain, or agr insan mujnib na ho lekin mani insane k jism ya libaas per lag jaye faqt najis maqaam ko paak karna kafi hai pure kapre o badan ko paak karna wajib nahi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 122 , 356 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).

Print

Id:
41979
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Asak...Agar peshaab se ya kisi Bhi cheez se najis jagah sookh jaye aur phir us par cream lage ya chiknaayi lage haath lag jaye to kya haath najis honge.

Answer: Ager haath itna ter ho ke is ki tari najis cheez tak ponhach jaae to haath najis ho jaae ga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 119 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
42848
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salam g kya tharat karny k bd jo qatry niklty hai wo nijas hai ya pak

Answer: 1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
2)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. aur agar istebra na kia ho aur yaqeen ho k jo ratubat nikli hai wo peshab hai to namaz parhnay k lie os jigha ko pak krnay k bad wazoo karna bhi zaroori hai.(ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
42867
Mujtahid:
Date:

Question: Sir pehshab ke baad peshad ke kuch qatre ate ae kia mea us ke bad Namz prh satka ho ya gusal wajab ho jata ae

Answer: 1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
2)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. aur agar istebra na kia ho aur yaqeen ho k jo ratubat nikli hai wo peshab hai to namaz parhnay k lie os jigha aur kapray ko pak krnay k bad wazoo karna bhi zaroori hai.(ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
42918
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hi k abi main nay urine pass kiya us k baad wazoo kiya phir namaz k lye khara ho gya tw jab main sajday main gya tw urine ka qatra nikal gya is surat main main namaz mukamal kar sakta houn ya tour doun. ye Office ki baat hai jab k or kapray b nahi hain.

Answer: 1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k paishaab ki naali may paishaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
3)Agar namaz k doran jo ratubat kharij hui hai wo paishab ho to namaz batil ho jae gi. aur pak ho kar dubara namaz parhni paray gi. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70,113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43075
Mujtahid:
Date:

Question: kya penis se chip chipa liquid nikalne se na pak ho jate hai,n nude picture ,videos dekha gunah hai?

Answer: Agr wo liquid mani nahi hai to pak hai, ager nude se nanggi (sexi) muraad hai to gee dekhna jaiz nahi. (Ref : Ayatull ah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70) , (Ref : nigaah o lebaas , baab # 2 , sawaal no # 56 , pg # 47 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai).

Print

Id:
43424
Mujtahid:
sunni Date:

Question: agar manni walay kapray dhoony ky ba-wajood dry hony ke bad manni ke nishaan hoon tu kya wo abi bi na-pak hai?

Answer: Jab tk najasat kisi najis cheez sai alag na ho wo paak nahi ho gi laikin agar smell ya najasat ka color is mai baqi reh jae to koi haraj nahi hai lehaza agr mani libas par sai hata di jae aur libas dho lia jae aur mani ka color libas par baqi reh jae to libas paak ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 164)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43426
Mujtahid:
Date:

Question: assalamo alekum sir mera masla ye hai k mian jub b pishab karne jata ho to mujhe asa lagta hai k istanja karne k bad mujhe qatray are ho pishab k mujhe ye maloom karna hai k ye mera weham hai ya beemari meri namaz asi waja se chut jati hai ap pleas mujhe koi hal batai k main kia karo or namaz kese paro

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak
hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
43718
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: salam qibla mera sawal hai ka namaz se pehly maine peshaab kya aur achi tarah istambra bhi kya aur us k baad bhi agar ek qatra peshaab ka kapron ko lag jai to kya us kapron main namaz ho sakti hai kya wo kaprey paak rahen gen plz reply urgent

Answer: Jis shakhs nai istebra kia ho aur is k bad koi ratubat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai, kapray bhi pak rehain gay aur namaz bhi sahi ho gi. laikin agar yaqeen ho k peshab hi nikla hai to phir kapray najis ho jain gai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43742
Mujtahid:
Aga e sistani s.b Date:

Question: Salam alykum:janab e aali mera sawal ye hai agar machchar badan par khoon pi raha ho aor usi waqt usko mar dya jaye,to kya uska khoon jo badan pe laga hua ho wo paak shumar hoga ya najis? Braye mehrbani jaldi jawab dijiega...khuda hafiz

Answer: Agar koi shakhs apnay badn par bethay huay machar ko mar day aur wo khoon jo machar nai choosa ho is k badn sai niklay to wo khoon pak hai. laikin ehtiyat e mustahab ye hai k is khoon sai is halat mai perhaiz karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 204)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43744
Mujtahid:
Date:

Question: .Kya non Muslim se bartan saf krwana jaiz hai

Answer: Kafir yani wo shakhs jo khuda k wajood ya khuda k aik honay ka iqrar na krta ho wo najis hai aur jo bartan wo dhoae ga wo bhi najis ho jain gai. Laikin ahl e kitab yani christen, yahoodi aur majoosi pak hain aur wo jo baran dhain gay wo bhi pak hon gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 103)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44178
Mujtahid:
Date:

Question: AOA. I want to about the hades of cleanliness. and why open defecation in open places is prohibited in Islam. give me detail reference of Quran and Hadees

Answer: 1)It is Mustahab that a person sitting for relieving himself, sits at a place where no one would see him.
2)It is Makrooh to face the sun, or the moon, while relieving oneself. But if a person manages to cover his private parts, it will not be Makrooh. Moreover, it is Makrooh to sit for urinating etc. facing the wind; or on the road side, or in lanes, or in front of a doors of a house or under the shade of the fruit-yielding tree. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 75-6)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44290
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Kutta (dog) na pak kun hai? Aqli aur sharahi dono jawab required hain. Thanks

Answer: Kutta najis hai hatta k os k baal, hadian, panjay, nakhun, aur ratubatain bhi najis hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 102) Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45512
Mujtahid:
Date:

Question: Mera question ye he ki jab me peshab kar ke ya nah ke (after bathing) namaz me jata hu to sajde me ya phir jab aise hi bethta hu to peshab ke bund nikal jate he apse request he plz jald se jald koi solution dijiyega

Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra na kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46446
Mujtahid:
Date:

Question: kya muslim khada ho kar pishab (urine) kar sakta hai.

Answer: Kheray ho ker paishab kerna makrooh hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #77). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46712
Mujtahid:
dont understand Date:

Question: mera sawal hai k islam ma aurat ko yeh hukam hai k khana pakatay howay sur pay dupatta rakhay aur yeh k bait ul hilah ma jatay howay bhi sir pay dupatta rakhay warna saitan zanna karta ha aurat k saath..............inn baaton ma kahan tuk sachai hai

Answer: Bathroom mai sar ka daphna mustahab hai aur khana pakatay huay agar koi na mehram dekh raha ho to pardah karna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 75, 2397-8)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print