Showing 100- 150 questions from 347 questions on this page.
Question: Salam un Alaikum molana sahib main ap se pochna chahta ho k jo cake hamein christian chrismis (25 decemeber) pe apni khushi se daitey hai kya wo hamarey liye khana jaiz hai ya nahi? please Sistani sb k fatwa k mutabiq jawab de kr mashkoor farmaen.
Answer: Yahodi, Esae or majosi paak shumaar kiay gay hain is liay musalman onka khana kha sakta hay , chahay onho ne khane ko gila haath lagaya ho, is shart k saath k hamain is baat ka yaqeen or itmenaan ho k is khane main sharab or is jaisi deegar cheezain shamil nahi jin ka khana haram hay. albatta ghost or cherbi(oil, ghee) or in se bani hoe chezo k makhsoos ehkaam hain. (Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah #152). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam-u-alikum! istanga karne ke baad asa mehsoos kota hai jese pishab ke qatre ate hain, leukoria bhi hai, aur istanga ke baad gilapan already hota hai, is liye faraq pata nahi chalta, na koi drop bahir ata hai, aur na kapron par lagta hai. us ki waja se bohat pareshan hon, shalwar par hath ya feet lagte hain tou napak lagte hain. confirm pata nahi hai... jaldi jawab de di jiye ga. Jazak Allah
Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he.Laihaza agar koe ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab he ya nahi tu wo ratubat paak hogi or agar ye aurat wuzu se ho tu iska wuzu or ghusl bhi is ratubat k kharij hone ki wajah se batil nahi hoga. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya muslim aur hindu eik glass mein pani p skte hain???
Answer: Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain.is liay is say perhaiz karain.or ye bhi yaad rahay k paak cheez agar najis cheez say milay(touch) jab k dono main say koe bhi cheez is qadar geeli(wet) ho k aik ki rutubat dosri ko pochan jaay tu paak cheez bhi najis hojati hay. (ref: Ayat ullah Khoie(d.b).Tauzee hul masail,maslah#107,108,126,2684, & Pg #304). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamualeakum,mera peshab ke baad khare hone par qatra aata hai ,namaz ke liye gusal aur wazu par masla aur ahtiyat plz jald bataye.
Answer:
Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he.Laihaza agar koe ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab he ya nahi tu wo ratubat paak hogi or agar ye aurat wuzu se ho tu iska wuzu or ghusl bhi is ratubat k kharij hone ki wajah se batil nahi hoga. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74).
Wazifa:
Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: hum ne yahi suna hy ke bache ka peshab kapro pe lage tu os se nimaz phari ja sakti hy wo bacha jo maa ka doud peeta hu laiken jis bache ka baap smoking karta hu os bache ke peshab se kapre ghande hu jaye tu os k sath nimaz nahi pari ja sakte rehnumai farmaye
Answer: Jo cheez aisay sheer-khaar bachay ya bachi k peshab se najis ho jay jis ne dhoodh k alawa koe ghiza khana shuru nah ki ho agar os par aik dafa is terah paani dala jay k tamaam najis maqamaat per pohanch jay tu wo cheez paak ho jay gi laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k mazeed aik baar os par paani dala jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 155). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: After peshab if I use toilet paper properly and do not take any water then completing my Ozu(with water) can I pray namaz? For more information few time in my penis I can see there is very little mozi and its make me disgusting.To clear this mozi with water is difficult to me in outside of house (like in office).In this situation I only use toilet paper properly and completing ozu with water I pray namaz. In my house time I take bath to wash mozi. Am I correct?
Answer:
1-The urinary organ cannot be made Pak without water. If one uses kurr or running water, then washing the organ once will suffice, after removal of essential najasat. But, if one uses under-kurr water, then recommended precaution is to wash it twice , better still, three times.
2- The moisture which is discharged by man during wooing and courtship, is called ,Mazi,. It is Pak, and so is the liquid which is seen after ejaculation. It is called ,Wazi,. Similarly, the liquid which at times comes out after urine, is called ,Wadi, and it is Pak if urine has not reached it. If a person performs Istibra after urinating, and then discharges liquid doubting whether it is urine, or one of the above mentioned three liquids, that liquid is Pak.
3- If a person doubts whether he has performed Istibra or not, and then discharges a liquid about which he is not sure whether it is Pak or not, that liquid is will be deemed najis, and if he has performed Wudhu it becomes void. However, if he doubts whe ther he performed the Istibra correctly or not, and a liquid is discharged about which he is not sure whether it is Pak or not, that liquid will be Pak, and it will not invalidate the Wudhu.(Ref: A.sistani(d.b), tauzeehul masa,il, maslah#62,70,71+ http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2123+http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2124+) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kafar hona ki kya nashanian hain
Answer: Her wo shaks jo Allah k wujood ya os ki wahdaniyat ka iqraar na karta hut u wo kafir or najis hay.,aur isi terah ghaali (jo imamo me say kisi ko Khuda kahain ya ye kahain k khuda, imam me holool kar gaya hay) aur kharji or naasbi ( jo imamo sae doshmani ka izhaar karain) bhi najis hain.Jo shaks 12 imamo main se kisi aik ko bhi dushmani ki bina per gali day, wo najis hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 103,107)
Question: Kia alkohal wali perfume use krna jaiz hai? Plz reply fast. Haq nawaz khaskheli.
Answer:
1-Jee haan alcohol wali perfume ka isatemaal jaiz hay.Q k sanati(Industrial) or tibbi(Medical) alcohol ki tamaam aqsaam paak hain.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 109)
2- Alcohol ki tamaam anwaa chahay onhain lakrhi se banaya gaya ho ya kisi or cheez se, paak hain. Is bina per wo tamaam dawa,en(medicine), itr(perfume), or khane wali chezain jin main alcohol shamil hay paak hain or in ki nijasat k hawalay se kisi ta,ammul k baghair aap inhain istemaal ker saktay hain or agar in main alcohol ki miqdaar bohot kam maslan 2 fisad(2%) hu tu inhain khaya bhi jasakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 37)
Question: salam sir agar kapro pay money lag jia aur pata ho kay kaha pay lagi hai to pani lagane se woh jaga pak hojiatai hai ya nahe?
Answer: Agar kapra Mani say najis ho jae to mani ko hatanay k baad aik dafa qalil pani is par dala jae jab wo pani beh jae to kapra pak ho jae ga albetta kapray ko nichorna zaroori hai ta k wo pani nikl jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Istbra kia hai?
Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: bathroom ma koi dua ya ayat pahi ja sakti ha ?
Answer:
Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein.
Yes, it is.(Ref: E-mail Rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated:13-04.12+ urwatul wusqa, part#1, before maslah#459 )
Translation: jee haan, ye (jaiz) he.
Question: mere ghar ki zameen khoon se najis ho gae thi mai ne use pak karne ke liye najasat uthane ke baad kaleel pani dala aur phir ye smajhte howe ke jaga pak ho gae hai pani nahi uthaya. ab mere liye kya hukum hai kya mera pura ghar najis ho jae ga kyu ke us jaga daily pocha lagta hai... plz help me.
Answer: Jab tak kisi cheez ki nijasat ka yaqeen na ho wo pak hai aur osi paak kiay baghair dobara istemaal kar sakte hain . (Ref. jadeed Ayatullah sistani(d.b), Jadeed fiqhi masa,il masla #.38) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: marai ofc mai aik hindu laraka hai us nai subha kitchen ma pani ki bottle bhari ur table pa rakh di ur woh bottle gili thi us ka bad table sa muslim larkai nai bottle uthai jis sa us ka hath gila hogaya tha ur us nai woh gila hath marai shirt pa lagay to mara shirt pak hai ya najis .namaz ho sakti hai ya nhai
Answer:
Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 104)
Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur donoo ya un me se aik is qadar tar ho k aik ki tari dosray tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi laikin agar waaste mutaadid ho jay to najis nahi ho gi . maslan agar daaya haat pishaab se najis ho aur ya haat ek new ratoobat k saath baaye haat ko lake to baaya haat najis ho jaay ga ap agar baaya haat khush hone k baad maslan tar lebaas se lge to wo lebaas bhi najis ho jaay gaa laikin agar ap wo lebaas kise doseri tar chees ko lak jaay to wo chees najis nahe hoge haa agar tari itni kam ho k dosery chees ko na lage to pak chees najis nahe ho ge . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119 ). ( Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mera sawal ye hai k are kise chader ko mani lag jae tu wo khushak (dry) ho jae tu pher agr kesi ka hath us chader ko lag jae tu kia haath napak ho jae ga ya nhi
Answer: Agar hath tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigha mani lagi thi to wo hath bhi najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Dear sir Asslamu alaikum Mera sawal e hai ke Kya aurat haiz ki hallat mein ho aur woh bimar ho us waqt uska shohar ki nappaki ki jagah ko pak karna jaiz hai kya
Answer:
1)Sohar aur biwi aik dosray ka poora badan(sharamgha bhi) dekh sakte hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2400)
2)Sohar ya biwi aik dosray ki nijasat ki jagah ko pak kar sakte hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam o alaikum mera sawal ye hey k mje paishab kerney k baad b katrey aty hain to kia agr wo katrey kapron per lag jaye to kaprey napak ho jayaingy kia?
Answer:
1)Agar aap nay peshab k baad istebra kia ho aur is k baad ratoobat kharij ho agar shak ho k ye ratoobat peshab hai ya koi aur to wo pak ho gi aur kapray bhi pak rahaiun gai.
2)Agar aap nay peshab k baad istebra kia ho aur is k baad ratoobat kharij agar is k baray mai yaqeen hai k ye peshab hai to wo najis ho gi aur kapray bhi najis ho jae gai.
3)Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 70-74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam aleykum mera sawal ye hai ki jab koi istinja karke inkle or fir se usko lage ki uska peshab kharij ho raha hai ya wo kahi ja raha ho or usko libas na badal sake or usmai peshaab ke katre lag jaye to namaz jayez hogi..
Answer:
1) Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab naali main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi hai. Pas agar kor ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab hay ya nahi tu wo ratubat paak hogi or is k wuzu or ghusl ko bhi batil nahi karay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69,74)
2)Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Agar koe shakhs halat e iktiyari mai najis libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aik 1 mahinaiy ka bacha jo top feed laita ho paishab karday to libas aur badan najis hai
Answer: Jo cheez aisay sheerkhaar lerkay ya lerki k paishab se najis ho jay jis ne dhoodh k alawa koe ghiza khana shuru nahi ki ho, agar os per aik dafa pani, agarchah kam ho, is terah dala jay k tamaam najis maqamaat per pohanch jay tu wo paal ho jay gi laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k mazeed 1 baar os per paani dala jay. Libaas, qaleen or dari waghaira ko nichoorhna bhi zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 155)+( ( Ref: Ayatullah Khoe(R.H),Tauzeehul masail, maslah # 162) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mujhe peshab karne ke kuch der baad katra aata he kya istanja karna zaroori he ya me ase hi namaz par sakta ho
Answer:
1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. is lie ko chahea k istebra karain.
2)Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
3)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ahtalam ya janabat k baad ghusal karliya jae, lekin raat ko sone k liye agar wohi kapre pehan kar so jaya jae jis par mani lagi ho to kya subah uth kar dobara ghusl wajib ho jata hai. Does contact of somebody who is pak to mani(semen) necessitates ghusl. kisi maslak men to semen\mani ko pak qarar diya hai or aise clothing jis par mani lagi ho, pehne huay prayer krna jab body ko ghusl kr k pak kr liya gya ho, ko correct qarar diya hai. hamare fiqh ki is pe kya ruling hai?
Answer: 1)jis kapry pe mani lagi ho us ko pehnny se dobara ghusl wajib nahi hota hai albetta agar os kapray par mani lag gae ho to namaz parhnay sai pehlay os ko pak kia jae ga pir hi namaz sahi shumar ho gi. 2)Mani najis chezon main se hai pak nahi hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #345,80 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar anday ki safadi aur zardi mai khoon ho to kia is sai anda najis ho jae ga aur is ka khana haram ho ga ya is mai koi hal moujood hai?
Answer: Anday mai jo khoon hota hai wo pak hota hai, lekin is ka khana haram hai. Agar chah ye khoon ziada ho jo puray anday mai ghul mil na gya hoto osay nikal kar baqi anda khaya ja sakta haiaur agar kam ho aur ghul mil gya ho to is ka niklna wajib nhi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 60, pg # 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Maqam e paeshab ya pakhana ko agar qaleel pani sai pak kia jae to jo pani is maqam sai gry ga wo najis ho gay a pak?
Answer: Agar chah ye pani najis hai, lakin jis jigha bhi wo pani gry ga wo nichay di gae in shrait k sath is maqam ko najis nhi karay ga. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 13, pg # 25) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia peep (zakham sai niklnay wala pila madah) najis hai?
Answer: Jee nhi, siway is k keh is peep mai khoon mila hua ho. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 26, pg # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: bili (Cat) is Najis and if cat died in a water tank more than size of Kur. water tank clean and after cleaning water is Pak or Najis
Answer: Agar billi (cat) ki lash ki wajah say pani ka rang(color) ya bo(smell) ya zaiqa(taste) tabdeel nahi hoa tu pani paak hai aur tank bhi paak hai aur agar in main say koe aik bhi cheez pani ki tabdeel hogae tu pani najis hai aur tank bhi najis hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #17,119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam Alaikum, Main aik student hoon aur mUjhe parhae karne k liye kafi waqt darkar hota hai tau aksar owkat jab main parhai karta hoon aur main peeshab karne k liye nahin jata tau kuch time k baed aisa mehsoos hota hai jaise k kuch katre gir gae hoon aur mujhe pareshani hoti k aya bagair kisi kaifiyat k mujh par ghusul-e-Janabat tau Wajib Nahin hogay aur issi ulgan main meri nimaz kaza hojati hai. Kya agar main istinja kar tau iss sorat main mujhe kiya karna chiye Kya istinja karna kafi hoga? aur bar-e-Mehrbani Mujhe Istanja karne ka sahi tareeqa bhi mausool kar dijiye . Shukriya.
Answer:
Agar kisi shaks k maqam-e-peshab say koe liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tu agar wo liquid shehwat k sath niklay,uchal ker niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tu wo mani hai laihaza wuzu toot jaega aur ghusl-e-janabat bhi kerna hoga,laikin agar ye alamaat nah hoon tu wo mani nahi hai,laihaza agar wo peshab hai tu wuzu toot jaega magar ghusl nahi kerna parega.is k alawa agr wo liquid jo kabhi kabhi shehwat ubharnay par merd k penis say nikalta hay, tu usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hay aur us say wuzu bhi nahi toot ta aur ghusl bhi nahi kerna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345).
Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ki bohat si tarkeebain hai aur jis terah bhi yaqeen ho jae k nali mai peshab baqi nahi raha hai albetta aik tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: MYRA SAWAL YEH HAI K AGER GUSAL KR K TALAM WALI SHALWAR KO HATH LAGAYA JAYE AOR TALAM HATH MAI PHR LAG JAYE TO KIA PHR GUSAL FARZ HO JAYE GA
Answer: Ghusl wajib nhi ho ga albetta agar wo shalwar najis ho aur shalwar ya aap k hath mai sai koi aik ya donoo is qadr tar(gilay) hon k aik ki tari doosray tk phonch jae to aap ka hath najis ho jae ga. Aur hath ko pak krnay k lie 2 dafa qaleel pani hath par dalain. To hath pak ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119-156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalam o alaikum mera sawal ye hai k mai jitni mrzi ehtiyat sy peshaab karu , meray jism pe peshaab ki thori c cheentain girti hi hain , ma bht pareshan hu qk maine suna hai k peshaab ki cheentain jism pe grnay sy qabr ma bht bhaari azaab hota hai , ab ap mjey btaein k jahan cheentain giri houn us jaggah ko dho0 lia jaye ya phr ghusal wajib hojata hai plz jawab zro0r dejeye ga
Answer: Agar jism par peshab k qatray gir jae to 2 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jae aur ghusl krna wajib nhi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 154) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mitti ka tanoor agar kafir nai banaya ho to kia osay istemal krna jaiz hai?
Answer: Agar is k bnanay sai tanoor ka najis hona sabit ho jae jaisay agar wo kafir is tanoor ko apnay hathoo sai bnaey aur wo ahl e kitab bhi na ho to phir aisay tanoor ko pak keay begair roti k lie istemal krna jaiz nhi. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 19, pg # 27)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam o alaikum.....sir main jab bara peshaab karta hoo to us k baad kuch white rang k qatrey nikal aatey hain kiya us k baaad ghusal farz hai
Answer: Wo ratubat jo baaz auqaat peshab k baad nikalti hay jisay wadi kaha jata hay, Agar peshab is se nah mila ho to pak hay.wadi k aanay se ghusl wajib nahi hota. (Ref : TauzeehulMasailAyatullah Sistani d.b. masla #70, 345 )
Question: MAEN NY AIK LARKI SAY SHADI KY HY,,OS NY KALMA BHI YAAD KIA,QURAN BHI KUCH PARHA,LAKIN LARKI MUKAMAL TOOR PER MUSALMAN NHN HOI..MERY NIKAH KY WAQT OS NY KAHA THA KEH WO MUSALMAN HO GAI HY,MAGAR USA JA KER WO BADAL GAI,MAGAR MJY UMEED HY MAEN USY SHIA MUSLIM KER LOON GA MUKAMAL.KIA OS LARKI SY MERI NIKAH AB BAQI HY??
Answer:
Agr koi gher_muslim orat shahadaten (yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi dede) to jb tk is khatoon se islam ki mukhalifat men koi baat ya koi kaam anjam na paye is per islam k ahkam nafiz hongen(yani use musalman samjha jayega).
(Ref : Jadeed Fiqhi Masaail, Masla # 452 , pg # 249, eidition 5)
Note : (Is bina pr agr us orat ne nikah se phele shadatain(yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi dede) to wo orat musalman hai or musalman orat se nikah karna jaiz hai. lekin agr usne nikah se shahadaten(kalma) (yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi) na di ho to chonke wo nikah k wqt musalman k hukm men nahi ayegi lehaza wo us wqt kafir shumar hogi or kafir se nikah krna musalman mrd k liye jaaiz nahi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,before maslah #2328 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera masla ya ha k raat ko sota waqat ehtelam ho gya tha to vo kapron par laga tha aur sath may mera bed(metres) par b laga tha vo jaga wet ho hai thi, main ya poucha na chata hon k is paak kasa kia jaya
Answer: Agar mani kisi paak cheez per lag jaay tu wo najis ho jaay gi or os ko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door kar k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak ho jati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichorna bhi zaroari hay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b) tauzeehul masail, maslah # 155). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam alaikum, Sir mera sawal ye hain ke main jab b peshap kar laitha hun tho kuch dair ke baad muje drops athe hain, is ke ilawa muje peshap b bohath jaldi jaldi athy hain, main tho haran ye hun ke main aap ne aap ko har ek ghalat cheez se dur rakka hain for exampl main sex vedio,pictures,larkio etc ko daiktha b nahi hun per b mere sath aisa hi hotha hain, main tho sirf ye chahtha hun ke main nimaz ache tareeky se ada karu our apne taleem ko jari rak saku. plz sir muje kuch aisa mashwara dy ke main is bemari se teek ho jaow Insallah
Answer:
Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: aap sorah e zamar ki ayat#67 ko likh kar kamar se bandhain or zaafran se likh kar os ko pee lein. Insha allah ifaqah hoga. (Ref : Kitab Naway e Salaheen pg #329 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: a.a kaya larki larky kay sperm pi sakti hai aur kaya larka bi kisi kay sperm pi sakta hai ?
Answer: Mard ki sperm(mani) najis hai. aur peena haram hai, aur aurat k jism sai jo ratubat shawat k sath niklay aur janabat ka sabab bnay to wo ratubat bhi mani ka hokum rakhti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 84)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salaam Alaiku Janab, Kabhi Kabhi jab mujko kabz(constipation)hota hai aur me zoor laga kar stool pass karta hu to pesaab ke saath kuch mani jaisa dikhane wala fluid pass ho jata hai. Mujko Please batae ki is halat me gusl wajib hai ya nahi.Iski wajah se mujko Namaz parne me and Imambargah jaane me bahut shak hota hai.
Answer: Wo ratoobat jo baaz awqat peshab k baad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to wo pak hai aur os ko wida kaha jata hai. wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam o Alaikum.. Sir mere 2 sawal hain. 1)istinja ka sahi tariqa kya hai? 2)agr main peshab k bad istinja kr leta hoon, or phir kuch dair bad wuzu krna ho to kya mujhe istinja b dobara krna parre ga? Aap ki bht mehrabani ho gi.. Or plz mujhe email id par sawal k jawab k bare mai zarur btayiye ga.. Jazak ALLAH
Answer: 1)Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se pak nahi hota aur osay aik martaba dhona kafi he. al’betta ehtiyat e mustahabb he k 2 martabah dohain aur behter ye he k 3 martabah dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62) 2)Agar maqad(maqam e pakhana) ko pani se dohaya jay to zarori he k pakhana ka koi zarrah bhi baqi na rahay al’betta agar rang ya boo baaqi reh jay to koi haraj nahi he. Aur agar pehli baar hi aisay dhul jay k pakhana k zarraat baqi na rahain tu doubara dhona lazim nahi he. 3)phatar, dhela kapra ya in hi jaisi doosri cheezain agar khusk aur pak hon to in sai maqad (maqam e phakana) ko pak kia ja sakta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62, 63, 64) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamu aleykum, mera sawal a hai k baitul khola (toilet) me bait kar khana pine se kya hukoom hia, haram hai , ya halal, ya makru plz answer den
Answer: Bathroom mai koi cheez khana makrooh hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #76)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 110....... I am waswasi person, I have few question as I asked You Before I know one Question is allowed But please, I asked a question to Imam Majid O IMAMBARGAH about my problem about purity he said that " the semen(mony) comes out through jerk or jumped out or a hot semen the Ghusal is wajib other wise not" so the problem is that last night after urination and before istibra i feel stain in urethra when wipped it with my hand a white liquid comes out like semen i think uirne mixed with it not sure when i rubbed this liquid with hands its like a foam and oily type after that i did istibra 3 times then took taharat ahen i stood up for wahing my hands in basin a same stain felt but i didnot pay attention to doubt after 20 min etc i saw on my underwear there were excretion and a very tiny whitish spot appears on it so is that Ghusal is wajib or not?
Answer:
1)Aam tor wo ratubat jo peshab k baad niklti hai agar peshab is sai mila hua na ho to wo pak hai. mazeed ye k jab kisi shakhs nai peshab k bad istebra kia ho aur is k bad ratubat kharij ho jis k baray mai shak ho k ye peshab hai ya koi aur to wo bhi pak hai.
2)Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya peshab ya koi aur cheeze, agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is k niklne k bad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai .laikin agar in teen alamat mai sai sari ki sari ya kuch mujood na ho to wo ratubat mani k hokum mai nahi aye gi laikin agar insan bemar ho to phir zarori nahi hai k wo ratubat uchal kar nikly aur is k niklne k waqt badan sust ho jay bal k agar sirf shewat k sat nikle to wo ratubat mani k hokum mai ho ge (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69, 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam Alikum, Mera Sawal ye hai k mujhe 5 saal se ye pareshani hai k Peshab karne k bad kuch qatre aa jate jis ka confrim bhi ho k waqae qatre aate hai jis wajah se mujhe pareshani hoti hai namaz padne me toh aap btaye k is masle me namaz or dusre ahkam me kiya kiya jae or ye mere sath kafi saalo se ho raha hai poochna ye hai kiya aisi halat me nimaaz parhne ki ijazat hai ya nimaaz chorni chahiye, masjid, imambargah me ja sakte hai k nai. me boht pareshan hoo plz iska jawab mere mail pe de jazakallah
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: slam shrab do tehai kam honay pr sirka ma tabdeel ho jati hai sawal yeh hai k jis bartan ma shrab sirka bananay k liay rakhi jay us bartan ka neechay wala hisa to pak ho jata ha ooper waley hisay k baray ma kia hukam hai
Answer: Bartan ki beroni jigha aur upper ka hissa agar is sharab sai aalooda ho jae to ehtiyat e wajib ye hai k sharab k sirka ho janay k bad is hissay sai perhaiz kia jae.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 209)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam o Alaikum main apsay ye pouchna chahta ho kay kabhi kabar mujhay peshab krnay k baad aisa feel hota hay kay kuch katray reh gaye hay then mujhay dobara bathroom jana parhta hay sooo ye kya masla hay plz mujhay bataye n ixka solution bhi bata day
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: hm shio ko log kaafir q kehty hen?
Answer:
Kafir wo shaks hota hay jo Allah k wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho.Isi terah Ghali(yani wo loog jo aimma main se kisi ko khuda kahain ya kahain k khuda, imam main holool ker gaya hay) or khaarji o naasbi(wo loog jo aimma a.s se bair o bughz k aazhaar karain) bhi kafir or najis hain.isi terah wo shaks jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, rasool saw ki takzeeb ka sabab banay kafir or najis hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #103 )
Note: Hum ne oper kafir ki mukammal wazahat ker di hay or Al-humdulillah shia hazraat kisi qism k kufr or shirk ka irtekaab nahi kertay.balkeh sab se behtareen muslim or momin hain.or balkeh tamaam muslim firqo k muqaablay sab se behtareen aqeeda rakhtay hain Or is k baad bhi agar shai ko koe shaks kafir kahay tu hum yehi kahain gay k kisi k faqat kehnay se koe kafir nahi ho jata, agar sachay ho tu sabot paish karo. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamualaikum sir mera swal ye hai k meri umr 26. Hai. mai jb peshab krta hn to pesb krny k bad mjhy asa mehsoos hota hai k kch qtry nklny wataly hain pr wo peshab nhi hota kch ratubat k qtry hoty hain to kia ye qtry ksi kmzori ki alamt hain kiq mjhy isy seriously lena chye
Answer: Is rotobat ko wadi kehty hain agar is k sath peeshab namila hoa ho to paak hai or is nikalne se wuzu bhi bati nahi hota.(Ref :Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #70 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: slam aksar question ap ko atay hain k kia mard apna penis apni wife ka mouth ma suck kera sakta hai ap ka answer hota hai ka jaiz hai mani to najas hai or mouth ma najas cheez ka jana kesay jaiz ho sakta hai beshak ratoobat halak ma na jay pls jawab zaroor dain?
Answer: Nijasat ka nigalna haram hai lekin mouth main aajana haram nahi hai jis tarh khoon (najis hota hai) mouth mai aajata hai, laikin os ko haluq k se neechay utaarna jaiz nahi hay. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part # 3, masla #910 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam a laikum mera sawal ye hai ke mard ka sperm girne ke baad agar uske kapre me lag gaya hai to kya mard napak ho gaya? agar napak ho gaya to agar mard wo kapra change karle aur gusul na kare to kya wo paak ho jaega ya nahi plz details me bataen?
Answer: Agr kaprho per mani lag jaay tu kaprhay najis ho jaen gay,or mani hatanay k baad is ko aik mertaba paak kerna hoga aur mani nikalnay k baad namaz or doosri ibdaat k liay ghusl kerna wajib hoga. or agar baghair ghuls kiay aap nay dosray paak kaprhay pehen liay jab k aap k badan per mani nah lagi ho tu paak kaprhay najis nahi honagy. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #80,343). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar pishap karne k baad mani kharij hoti ho to ye kis waja se hota hai or is problem ko kese thek kia ja sakta hain?
Answer: Mani ko pechan’nay ki 3 alamat hain 1:shehwat k sath niklay yani os k niklnay k waqt shehwat mehsos ho, 2: is k niklnay k bad badan sust ho jae, 3: uchal kar nikli ho. Agar is terah niklay to wo mani ka hokum rakhti hai yani namaz aur doosri abadat k lie ghusl e janabat krna zaroori ho ga. is k alawa Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-45, 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: vuzu k bad girnain vala pani pak hay ya ni.
Answer: Wazoo kartay waqt girnay wala pani pak hai laikin agar koi najasat os sai mil jae to najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mujy peshab key sath manii aney lag gae hai or kbi kbi mujy peshab ki jaga jalan bhi hoti hai please mujy is hal jald sey jald batye
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-70)Note : peshab k baad jo ratubat aati hai wo mani nahi hoti hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mujhay aksar peshab k bad qatre atay hyn jis ki waja se me namaz ba qaidgi se nhi parh skta is ka koi hal btaye or kiya is sy kapray napak ho jaty hyn ye be btaye or is bemari se kesy chutkara paya jaye
Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra na kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: some drops of mani(_nijasah)fell on floor.a wet cloth was used to remove manni, now there is no existence of manni on floor but cloth has become nijasah(first medium). if this wet cloth which is nijasah torches the pure(paak) thing such as whole floor on which there are dust particles. is this floor or dust on floor will be nijasah.which is 2nd medium of nijasah whle according to you nijasah can make a pure thing nijasah up to three mediums .if dust is also nijaas and it touches dry feet(third medium),the feet containing dust particles touches a wet pak(pure) cloth.is this cloth will nijasah.while dust particle contain so small effect of mani and I think that a very negligible quantity of mani can not penetrate in to wet cloth physically
Answer:
If a Pak thing touches a najis thing and if either or both of them are so wet that the wetness of one reaches the other, the Pak thing will become najis. Similarly, if the wetness of the thing which has become najis, touches a third thing, that third thing will also become najis. It is commonly held by the scholars, that a thing which has become najis transmits its najasat, but indefinite number of transmissions is improbable. In fact, after certain stage it is Pak.
For example, if the right hand of a person becomes najis with urine, and then, while still wet, it touches his left hand, the left hand will also become najis. Now, if the left hand after having dried up, touches a wet cloth, that cloth will also become najis, but, if that cloth touches another wet thing, it cannot be said to be najis. In any case, if the wetness is so little, that it does not affect the other thing, then the Pak thing will not become najis, even if it had contacted the Najisul Ayn.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya kisi ko istenja karne ke baad peshab ka katra kharij ho jay to use gusl karna zarori ho jata hai ki nhi
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla # 69-73, 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)