Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Taharat/Nijasat (314 Questions)


Showing 50- 100 questions from 314 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalamoalikom, Alhamduliah main 5 waqat ki namaz adaa karta hoon but mara sawal b peshab kay qatroon say related hay, Alhamdulilah main theeek aur healthy insaan hoon, but pata nai mujeh ko peshab kay baad kafee time lag jata hay main tissue use karta hoon aur kafee dair taak bhata rehta hoon tissue ko check karta hoon k koi qaatra baqi to nai rehgia pher mian istanga karta hoon plz guide me marey tharaan k bhoot say loog hay jo bilaaa wajja kay whaam mian hain.Jazaak Allah

Answer: 1) agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi reta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).
2) Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4304
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalaamm alaikum va rahmatullilah wabarkatuhu...mera sawaal yeh hai k jab surat(urine) karke aane k baad bhi ek khatra girjata hai to usse taharat toot jati hai ya nahi. allah hafiz

Answer: 1) Agar koi shakhs pehsab kay baad Istibraa karay aur us kay baad Rutoobat Kharij ho jis k baray main usay shak ho kay peshab hay ya koi aur paak rutoobat to wo rutoobat paak samjhi jaey ge, Albatta agar Yaqeen ho kay peshab hay to wo Najis hay.(Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.70 Pg.25).
2)istibra ka tareeqa : Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
4357
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam. English toilet use karte waqt pakhana karte waqt jo cheete ur te hain us main peshaab bhi shamil hota hai. Un jagho ko jahan cheete ure hain ek baar pak karna kafi?

Answer: Agar libaas aur badan peshab se najis ho jay tu os per qaleel ya kur pani 2 dafa bahana zurari he. albatta jaari paani(maslan chashma{ spring/fount}) main aik baar dhona kaafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 154). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4407
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Aslam-o-Alaikum,, Hamre ghar mein non muslim nokrani hai wo ghar ka kam kaj karti hai , khana waghira nahin pakati us se agar kapre dulwalien jaien t kia un kapro se namaz ho jai gi,,,Matlab Ghair muslim (Kafir)ke hath se dhulhe hue kapre use kar sakte haien ya nahien.

Answer: Kafir yani wo shakhs jo Allah k wajood ya us ki wah,da,niat ka iqrar na karta ho najis he. Aur Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur donoo ya un me se aik is qadar tar ho k aik ki tari dosray tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi. Al,betta Ahl e kitab (yahoodi , christens , majoosi) pak manay jain ge. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103 , 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4581
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar gusal ka baad be liqued kharaj hu to kiya wazoo toot jata hian.

Answer: Mani kharij honey ke bad insane ke lie peshb karna musthib he.aur agar peshab na karey aur ghusl ke bad is ke peshab ki nali se ratoobat (liquid) kharij ho jis ke baray me na janta ho ke mani he ya koi aur ratoobat to vo ratoobat mani ka hakum rakhti he.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 347)

Print

Id:
4792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salamun alaikum, Kia Agha Khani muslim shumaar honge? agar koi shakhs dusre mulk main kisi agha khani family ke sath aprtment share karta hai to kia unke sath rehne main aur same kitchen use karne main koi harj hai? Thanks

Answer: Agar koe shaks shahadatain kehay or on un usool per aqidah rakhta ho jo musalmano k nazdeek saabit hoon agarcha imamat k maslah main 12 imami shia say ikhtaylaaf rakhta ho wo musalman hay.(E-mail rcvd from A.Sistani Dated:15-11-10).
Ismaili hazraat per nijasat ka hokum nahi lagaya jasakta,yani ye paak hain.(Ref sistani(d.b), Mujtahid se pochay gay sawalaat, part#19).

Print

Id:
4811
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam o alaikum, sir mera sawal yeh hai k doran washroom meray kuch katray nikal jatay hai is soorat mai har namaz say pehlay nahana zarori hai ya mai aisay hi namaz parh sakta hu

Answer: Ans : vo ratubat (pani) jo baz auqat peshab ke bad niklti he aur jise wadi kaha jata he, agar peshab is se mila hua na ho to pak he. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 70)

Print

Id:
4815
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: istanja means peshab karne ke baad ka aamaal tozi mei jo likha hai buhaat garhi urdu mei hai please aasaan urdu mei ye aamaal bataeen male and female dono ke leye thanks

Answer: Ans :istanja alag amal ha shayad aap jo amal pounchna chah rehain hein woh istebra hain. Aur ye amal male kay lia ha. istebra islam ma mustahib amal ha. Istbra karnay kay bad ya itmanan ho jata ha ka kay pishab ki nali ma peshab baki nahin raha. Is ka tareeqa ya ha kay peshab say farig honay kay bad bayen(left) hath ki jo sab sa bari ungli ha us ko pakhana ke maqam ke end per rakh kar dabain aur uper testes tak ungli laein. ye amal 3 dafa karain phir usi bayen(left) hath ke anguta (thumb) ko peshab ki nali ke upper rakhain aur anguta ke bad wali ungli ko peshab ki nali ke necha rakhein phir dono (ungli aur anguta) ko daba kar khatna ke maqam tak le ayen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69)
Aurat ke lia peshab ke bad istebra nahin he. (ref: tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 74)

Print

Id:
4840
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mein na yeh poochna tha ka islam ma istanja kis hath sa karnay ka hukam diya gya ha? or agar larkiyan contiously discharge hoti rahen bay shak thori hi quantity ma to kya wo namaz contiue rakha sakti hen is halaat ma without taking bath? mera last sawal yeh ha ka islam ma pregnanat ourton kay rozay k baray ma kya rayait ha kya wo chorh sakti hen? agar chorh dein to kya kufara ho ga?

Answer: 1) dayen (right) hath se taharat karna makrooh ha. 2) : (agar ye blood haiz ka he to haiz wali aurton par chand chizain harama ho jati hain, in me se ek) namaz aur is jaisi degar ebidatein jinhein wazu , gusl ya tayamum ke sath ada karna zaruri he. Agar is niyat se anjam dein ke sahih amal anjam de rehai hoon, jaiz nehai he. (ref: tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani (d.b.) masla #76 & 448) 3):agar kisi bare nuqsan ka andesha na ho , is ki apni zaat ya bache ko koi jani khatra bhi na ho aur doctor ne mena bhi na kia ho to roza rakhne me koi haraj nahei he.Aur agar vo zarar is qism ka ho jo aam tor per berdasht na kia jata ho to roza rakhna sahei nahei he aur agar vo zarar mout ya is jaisi kisi cheez ka sabab bun reha ho to phir roza rakhna haram he.(ref : Mujhated se pouche gye sawalat part roza pg # 80)

Print

Id:
4908
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: islami tarike se under shaving kahan se le kr kahan tak krni cahiye?

Answer: 1)Rawayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he.2)Rawayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2)
3)ye tamam kam , Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198)

Print

Id:
5092
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: gusl farz hone ki sorat me pak kapre pehn sakte hain kia?agar gusl k baad phir se wohi kapre peh liye jain to koi harj hai kia?

Answer: Jo shakhs junub ho het’ta ke agar haram se bhi junub hua ho to is ka pasina pak he. 2)Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag gey aur donoo ya in me se aik is qadar tar(wetness) ho k aik ki tari dosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 114 , 119)

Print

Id:
5223
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: salam janab, mera sawal ye hai ke raat ko ahtelam,ya khooni matam kerne ki wajah se jo kapray pe daagh reh jatay unkay pak kerne ke bawajud tou kiya un kapron se namaz parhna jaiz hy??? jb ke dagh moujood hon? detail mein btayiye...

Answer: Jab tak aayn nijasat kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahi ho gi lakin agar boo(smell) ya nijasat ka rang is me baqi rah jaay to koe haraj nahi layheza agar khoon libaas per se heta dia jaay aur libaas dhooh lia jaay aur khoon ka rang libaas per baqi bhi reh jaay to libaas paak ho ga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 164)

Print

Id:
5231
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Istibra kese kiya jata hai?

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69)

Print

Id:
5288
Mujtahid:
Date:

Question: assalam valekum,agar hum safar gaye hain aur waha bathroom nahi hai aur pani bhi aur hum aise hi peshab bait aaye toh hum peshab se pakh kaise ho sakte hain aur uski dua kya hai?(dua zaroor bataiye pls.)?

Answer: Peshab ka makrajh(nali) paani k ilawa kisi cheez se paak nahi hota aur usay aik martabah dhona hota he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 62).

Print

Id:
5631
Mujtahid:
sistani sb Date:

Question: agar admi halat e janabat main ho magar us k kapro k sath najasat na lage ho to kia ghussal k bad wohe kapray dobara pehn sakta hay or kia wo pak he ho gain

Answer: Agar un kapron per mani na lagi ho to wo kapray pak hein aur dubara pehan sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullaha Sistani (d.b.) Masla # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5834
Mujtahid:
Date:

Question: salam qari sahib.mera aap se yeh swal hai k agar istanja karne k baad hath sirf pani se doyey jaen aur sabun use na kren to hath paak hojatey hain ya nahi?wasslaam

Answer: Istinja karnay k bad agar nijasat hathoon me reh jay aur wo nijasat peshab ho tu peshab door karnay k bad 2 dafa pani dalna zurari he. Aur agar wo pakhana ho to pakhana door karnay k bad aik dafa pani dalna zarori he. Albatta rang ya bu baqi reh jay tu koe haraj nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 63, 154-156).

Note: Sabun se haath dhona zarori nahi he, sirif paaani se hi dhone se najis cheez paak hojati hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5885
Mujtahid:
suni Date:

Question: Sir, i want to know that we can eat food (khana) with Cristen and Jesus.

Answer: Ahl e kitaab(yahodi, esa’e or majosi) paak hein aur un k sath khana kha sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103)

Print

Id:
5890
Mujtahid:
Ayat-ulah Sastani Date:

Question: salam mera sawal ye hai k, agar mani ratobat chadar , bistar, ya dusry kapro mei lag jaye to kiya wo bhi najis ho jaye gay, aur ye k mani nikal ne k bad gusul kiye baghair mani saaf kar k dusry kapry pehne to kiya wo kapre bhi najis ho jaye gay

Answer: 1)Agar mani kisi paak cheez per lag jaay tu wo najis ho jaay gi or os ko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door ker k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak hojati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichornah bhi zarori hay.(ref:Ayat Ullah Ayat Ullah Seestani(d.b), (d.b), Tauzee hul masail, maslah#155).
2)Agar badan k tamaam najis maqamaat (yani jahaan mani lgi thi) ko paak ker k dusray kaprhay pehen liay jain tu wo dosray kaprhay paak raheen gay. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119).

Print

Id:
5906
Mujtahid:
Date:

Question: sir mra que ha k mane kahn parha tha k ghusal kapron k uper se b hojata ha yni k agar mani kharij ho jae aur ap ghusal karnaa chahen to karpon k uper se b kar sktey hn?mje theek trah se yad to nae ha par thra bht concept is wqt ha is k mutalk jski wja se ma pareshan hn k ye sahi ha ya nae...so plz isk mutaliq thra bht bta den

Answer: Agar kapra ghusl k aazah tak pani pounchanay me rakawat banay to kapray ko door karna ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 289-297). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6086
Mujtahid:
Date:

Question: i wana ask how to perform istibtra??

Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab k qatre baqi nahi rahe. Iska tareeqa ye hay k peshaab se farigh hone k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerrh tak sontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neeche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jhatkein.
(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6314
Mujtahid:
agha sistani shaib Date:

Question: salam. mian .D.V.M. ka student hony. mera dog k sath aksar wasta pahrtha hay.humain dog ko uthana bhe pahrta hay.mean 8hrs aisa he hota hay. agha sistni k tozi main lahkha hay k dog najis hay us k hairs. bones. secerations etc. what should we do.

Answer: Dog najis he magar os ki najasat os waqt muntaqil(transfer) ho gi jab dog ya aap k haath is qadar tari ho k aik ki tari doosray ko muntaqil ho jaay to paak cheez najis ho jaay gi.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119)

Print

Id:
6349
Mujtahid:
Sistani Shab Date:

Question: Kia ALcholic perfume / body spray laganay kay namaz hojatee hay

Answer: Jee haan.alcholic perfume / body spray laga ker namaz perhi jasakti hay.
Sanati(industrial) aur tibbi(medical) alkuhal ki tamam aqsaam paak hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 109)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6399
Mujtahid:
Date:

Question: Salam. sir meri prob ye h k jb b wshroom krta hu to kbi kbar jb agr apni body pe zra zor dalta hu lyk khansta hu bhagta hu ya zor se bthta hu to 1 2 drops nkil jatey hein. mje ni pta ye peeshab k hein ya money k bt ye kiya he? is se napak hjatey hien? isvja se meri nmaz b choot gyi he.

Answer: 1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata he aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. 2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga.
4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6575
Mujtahid:
Date:

Question: ASALAMUALAIKUM K baad arz ha k mujhe plz ye bata dain k agar koi larka kisi aisi chez ko daikhe jis k baad uska zakar akar jae aur mani se pehle pani ki tarhan Garhi jo chez nikalti ha wo nikle to kiya ghusal wajib hoga aur us pani wali chez ko kiya kehte hain plz jaldi jawab dijiyega SHUKRIYA

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6644
Mujtahid:
Aghe Sistani Date:

Question: Assalamoalikum...MUjhy PESHAB K BADD BHE KUCH QATRAY ATTAY HAIN ...MAI ISTABRA BHE KARTA HON ABB MAI SHAK KI HALAT MAI REHTA HON k WO PAKK HAI YA NAHI ...LAKIN MAI USSI HALAT MAI NAMAZ ADDA KAR LAITA HON ...TU KIYA MERE NAMAZAIN SAHI HAI JO PARHIN HAI ...rEPLY ASAP

Answer: Wo ratubat jo baaz awqaat peshaab k bad nikalti he aur jisay wida kaha jata he, agar peshab is se mila hua na ho to pak he. Mazeed ye k jab kisi ne peshab k baad istibra kia ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koe aur ratubat to wo pak he or agar yaqeen ho k peshab hay tu ye qatray najis hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6676
Mujtahid:
Date:

Question: aslam-o-alikom mere peshaap keerne ke bad kuch katry kapron main gir jatay hain kiya main namaz parh sakta houn bohat kosish karta houn achi tara saff kar loun magaar aisa nahi kar sakta ka pake rah sakou hata ke nahane ke bad be aisa he hota hay

Answer: 1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata he aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he.
2) Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
3)agar wo ratubat k peshab honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-70 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6828
Mujtahid:
Date:

Question: salam mjhy pishab k bad ruk ruk k drops aty hn or jalan b hoti ha or bad me yh feel hota ha k jese choty se drops nklty hn or sath e yun feel hota ha jese soian chubh rai hon me smjh nai pati k kia drops ay h n ya nai aksr jb is trha ki soian chbti hn to me chk krti hn to meri vagina dry e hoti ha is k ilawa mjhy discharge b hota ha to mjhy us k gilapn se feel hota ha is me drops na ho pishab k btay me kia krn namaz paki se kese parhn?

Answer: Aurat k lie peshab k bad istibra nahi he to agar koe ratubat kharij ho aur shak ho k ye peshab he ya nahi to wo ratubat paak ho gi aur is se wuzu aur ghusl bhi batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 74).

Wazifa:
Sorah zumar ki ayat#67 ko likh ker kamar main baandh lain or zaafraan se likh ker pee lain tu qatra qatra peshaab aanay se nijaat hasil ho gi(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6874
Mujtahid:
imam Abu Hanifa Date:

Question: agar wife k sath hmbistri ki jay to us k bad kia cloth ka vohi hisa dhona chiye ya mukaml dhona chiye . agar vohi hisa dho lia jay to jaiz hay ya najaiz hay.

Answer: Is web site me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Kapray k jis hissay ko najasat lagi ho sirif wohi hissa najis hoga. Aur baqi hissa paak shumaar hota hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 122) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7354
Mujtahid:
Date:

Question: agr anus mein pasina aaye to kya pak hai or namaz ho gati hai

Answer: pasina khud pak hai laikin agar ye najasat sai mil jae to najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 80-114) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
7510
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamoalaikum agar istibra k bawujood baad me qatray aa jaatay hon to aisa banda Quran Majeed ko kaise hath lagaai?? Plz help me?? Allah Jaza de.

Answer: Jab kisi sakhs ne peshab karnay k baad istebra kia hua ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he k ya koi aur ratoobat to wo pak he aur quran majeed ko hath lagha sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7533
Mujtahid:
mazhab Date:

Question: kia shia imami ismaili muslims nahi h ote??and agr nahi hotay tou q??plx muje zarur batainn

Answer: Agar koe shaks shahadatain kehay or on un usool per aqidah rakhta ho jo musalmano k nazdeek saabit hoon agarcha imamat k maslah main 12 imami shia say ikhtaylaaf rakhta ho wo musalman hay.(E-mail rcvd from A.Sistani Dated:15-11-10). Ismaili hazraat per nijasat ka hokum nahi lagaya jasakta,yani ye paak hain.(Ref sistani(d.b), Mujtahid se pochay gay sawalaat, part#19). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7644
Mujtahid:
Date:

Question: Dear Sir, Agar Halte majboori mein agar aik taraf mard ho aur aik taraf aurat to kis ki taraf face kar key peshab karna chahei aurat ki taraf ya mard ki taraf.

Answer: 1)Insaan per wajib he k peshab aur pakhana kartay waqt aur doosray maoqay per apni sharamgahoon ko un logoon se jo mukallaf hoon chahay wo maa aur behen ki terah is k mehram hi Q na hoon. Aur isi terah deewano aur in bachoon se jo achay aur buray ki tameez rakhtay hoon chupa kar rakhay. Lakin sohar aur biwi ka aik doosray se chupana laazim nahi he.
2)Apni sharamgah ko kisi makhsoos cheez se chupana laazim nahi he, maslan agar haath se bhi chuppa lain to kaffi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 53,54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7959
Mujtahid:
Date:

Question: plz mujhe ye bata dijiye ke woh kapre jo saaf hon koi naapaki na ho to unko normally washing machine main dhoya ja skta hai ya phr un kapro ko bhi 3 bar dhona chahye.

Answer: Agar washing machine k ander ka hissa paak ho or aap k kaprhay bhi najis nah hoon tu phir kaprho ko paak kerna zarori nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 115). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7960
Mujtahid:
Date:

Question: asalam oalikum sir mujhe kuch din se namaz kay doran halka sa katra pishab araha hai please kuch bata dije shukriya

Answer: istibra islam ma mustahab amal hay. Istibra karnay k baad ya itminaan ho jata ha k pishaab ki nali ma peshaab baaki nehi reha. Is ka tarika yae hay k peshaab say farigh honay k baad baa’en(left) haath ki jo sab sa bari ungli hay us ko pakhana ka maqam ka aakhir per rakh kar dabaein aur oper peshaab ki nali tak ungli laein. ye amal 3 dafa karain phir usi baaen(left) haath ka angutha(thumb) ko peshaab ki nali ka opper rakhain aur angutha ka baad wali ungli ko peshaab ki nali ka neecha rakhein phir dono ungli aur angutha ko daba kar khatna k maqam tak lain phir 3 dafa jatakein. (Ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani pg # 25)

Print

Id:
8029
Mujtahid:
Date:

Question: bait ul khala ma jana ka kya tareeqa ha aur kis taranh bait khala k bad khud ko dhona chahiya

Answer: 1) Mustahab he k Bait ul khala me jatay waqt pehlay bayaan(left) poun(leg) ander rakhay aur nikaltay waqt pehlay dayaan(right) poun bahar rakhay. Aur ye bhi mustahab he k rafa e hajat kartay waqt sar dhak kar rakhaain. Aur badan ka bojh bayen poun per dalain.
2)peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se paak nahi hota he. aur ose aik martaba dhona kafi he albatta ethiyat e mustahab he k do martaba dohain aur behtr ye he k teen martaba dohain.
3)agar maqam e pakhana ko pani se paak kia jay to to zarori he k pakhanay ka koe zarra baqi na rehay albatta rung ya bo reh jay to koi haraj nahi aur agar pehli baar hi wo maqam is terah dhul jay k phakanay ka koe zarra baqi na rahay to dubara dhona lazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 75, 62, 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8214
Mujtahid:
khan Date:

Question: Assalam0alaikum. M0lvie sahab mera questi0n yeh hai ke mujhe hamesha yeh fikar,tenti0n,aur darr rehta hai ke mere kapde paleet h0gaye hain yar kuch hua hai kapdon ko.halanke mein roz naha kar kapde change karta h00n. Mein bATHr00m bhi ja kar darr darr kar peshab karta h00n magar mujhe bAhar aA Kar lagta hai ke mere kapdE Paleet h0gaye hain. Ramzan ka mahINa hai aur mein namaz 5 ki parna chahta h00n aur parhta bhi h00n. Magar is tenti0n se mujhe d00r farmaye. Plz plz jitna jaldi h0sake mujhe email kijiye mera answer plz.

Answer: Agar kisi paak cheez k baray me shak ho k najis ho gay he ya nahi to wo paak shumaar hongay.Aur agar is cheez k najis ya paak honay k baray me pata bhi chala sakhtay hoon to tehqeeq zarori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8992
Mujtahid:
Date:

Question: Shram Gah kya hay? merd aur aurat k reference say byan farmaiye. Allah Quran may kai jagha fermata hay k us kay pasnadidah banday wo hain jo nmaz parhtay hain, zkt dete hain aur apni sharam gahon ki hifazat kertay hain, to qibla yahan shram gahon ki hifazat say murad "ZINA SE BACHNA HAY" ya Shram Gah se murad kuch aur doosray jismani hissay bhi hain. Jwab detail se dain.

Answer: Orat or mard ka mqam peshab(penis/vegina) or mqam pakhana ` maqad`(anus) in ko sharmgah kaha jata hai, or tafaseer men in ayat k bare men jo likha hai wo yehi hai k wo log apni sharmagahon ko haram kamon men istamal nahi krte. Jese surah Moimneen ki ibtdai ayaat men bhi is ka zikr hai.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat-ullah sistani (d.b). part # 2, masla # 34)

Print

Id:
9010
Mujtahid:
Date:

Question: I have heard that it is a compulsory part of hygiene that a minor part of the left hand finger should be inserted in the anus while washing it after you used the toilet. It is true, If so then which finger should be inserted, how much should be inserted and should it be of left hand or not. Please answer soon.

Answer: Apne ghalt suan hia aysa koi tareeka taharat(pakizgi) ka nahi hai albatta ap k sawal se jo samjh men araha hai wo shayd ISTIBRA murad hai, asal men Istibra ek mutahib amal hai jo mard peshab krne k bad is waja se anjam deta hai ta ke itminan ho jaye k ab peshab naali men baqi nahi raha, is ki kai qismen hen Jin men se ek ye hai k peshab se farigh ho jane k bad agr maq`ad(pakhane ki jaga) najis ho gaya ho to use pak kre or phir 3 dafa baen(left) hath ki drmiyani hath ungli k sath maq`ad se lekr uzw-e-tanasul(mqam peshab) ki jarr tak sonte or us k bad angothe ko uzw-e-tanasul k upper or angothe k sath wali ungali ko us k neeche rakhe or 3 dafa supari tk sonte or phir 3 dafa supari ko jhatke.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #69)

Print

Id:
9047
Mujtahid:
Fika Hanfi Date:

Question: Assalam-o-Alaikum Mera sawal ye hai k agar shak ho k ehtalam k bad mani jo trouser ya shalwar ko lag jati hai, shayed trouser ka wo geela hissa bister ko touch ho gya hai lekin bister pe koi nishan nazar na aa raha ho to us soorat mein bistar pak ho ga ya napak. Agar trouser pe lagi hui mani dry ho chuki ho aur us trouser k sath koi aur kapra lag jaye jahan mani lagi hai wahan to kya wo kapra bhi napak ho ga.

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

1)Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur dono ya in may say aik is qadar tar(wet) ho k aik ki tari doosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jati hay.
Aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in k jis hissay ko najasat lagay gi wo najis ho jay ga or baqi hissa pak rahay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119-122) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9137
Mujtahid:
Janab Sistani Sahab Date:

Question: Mera sawal yeh hai ki kya peshab ke bad istanja tissue paper se kiya ja sakta hai ya nahin agar pani se karna mumkin na ho

Answer: Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se paak nahi hota he. aur ose pani se aik martaba dhona kafi he albatta ethiyaat e mustahab he k 2 martaba dohain aur behter ye he k 3 martaba dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9905
Mujtahid:
Date:

Question: mere sawal hai kay din mai kabhi bhi mere peshab ki jagah se kuch nikal ta hai kuch drop jaisa. Kya yah mani hai yah kuch or hai. Iski wajaih se namaz parhna mai mushkil ho ra hi hai.

Answer: Ager ap gusal e janabat se pehle pishaab karte hain or nikalne wali ratobat mani ki terhan na nikli ho or pishaab ke baad istibra bhi karte hain to wo ratobat paak hai, or wazo nahi totta, or na hi gusal wajib hota hai, pas is halat main namaaz phari jasakti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , 346 , 347 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
9925
Mujtahid:
Sitani saheb Date:

Question: Asalamwalequm sir kya ehtelam hone ke bad wo kapda bhi najis ho jata h jisme wo nejasat tuch nahi hot jaise paint me hi najasat rahti h ya shirit bhi najis ho jati h jab ki shirt me najasat nahi lagi h

Answer: Wssalam o alykum,jis se nijasat nahi milti wo najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10595
Mujtahid:
Yes Date:

Question: Assalamo Alaikum. mera sawal ye hai k kya mani (semen) khaarij honey se pehle jo chikna sa mada khaarij hota hai sharamgaah se us se Ghusal farz hota hai ya nai? Plz reply me soon

Answer: Wssalam o alykum, G nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10674
Mujtahid:
Date:

Question: agar raat me sotey waqt khwab me aitalam hogaya bistar per tho kya mujhe woh bistar per phir se soya tho kya hum pak rahte

Answer: Agar bister per bhi mani lagi ho tu agar osi jagha soya jay tu agar mani gilahat k sath kaprho per lag jay tu kaprhay najis ho jain gay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #119). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
10681
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam Alikum mera sawal ye he k kia maani teast karna haram he insan islam se kharej hojata he kia or insan apni maani teast kar sakta he kia plzzzzzzz answer jaldi digi ye ga ok plzzzzzzzzzzzzzz

Answer: Mani najis hai or nijasat ko khana haram hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #84, 135). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
10705
Mujtahid:
Date:

Question: mani se insan napak hota he

Answer: G han.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10706
Mujtahid:
Date:

Question: meri mani niakal jati he is halat main namaz parhni chaie

Answer: Namaaz se pehle gusal karna wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 356 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10731
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaykum main galti se ya janbojh kar aisi cheje dekh ya padh lu phir agar sirf mazi ke kuch katre jari ho jaye to kya wajibe namaz aur dore ahkam kar sakta hoon.

Answer: Wssalam o alykum, Han g anjam de sakte hen mazi se ghusl wajib nahi hota.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
11533
Mujtahid:
Date:

Question: sir main jb bhi peshab karta hn to us k bad aik do qatray gir jatay hain aur ager wesay meri penis karak ho jay ya kisi larki ko dekh k meri penis khari ho jay to meri penis se se kush pani ki tarhan les dar koi chez nekalta hi ...please is ka mujhay kuch elaj btay aur main is wajah se namaz bhi nahe perh pa raha ....plz mujhay is ka solution bta de ta k main namaz perh sakn....plz mujhay intyzar rahay ga ap k intyzar ka..

Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70)
Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11540
Mujtahid:
Date:

Question: salam, janab mujhy ye poochna hai k agar peeshaab k ealava he qatray kharij ho jain toh un k baray main kai hukam hai aur kai woh napak rutoobat tasawoor ki jay gi ya pak?? aur istabra ka tareeqa bhi bata deen.

Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70).
Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print