Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nikah (1310 Questions)


Showing 1300- 1310 questions from 1310 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
31971
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salamun Alaikum Agha........!!!!!!!! mera sawal ye hai ke kya shouhar apni biwi se wati bid dubr kar sakta hai? jawab ka talabgaar houn Agha

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32217
Mujtahid:
Date:

Question: biwi ki peechay se marna or us k moun may de ne say or biwi ki mo say karnay say nikkah totta hay ya nahi

Answer: Agar Biwi ki ijazat ho tu us k peechay intercourse kerna jaiz hai laikin shadeed makrooh hai aur agr biwi ijazat nah day tu ehtiyate wajib ki bina par jaiz nahi hai,laikin nikah nahi toot ta). Update on dated 12-12-2015. (Ref : Masail-e-muntakhaba Ayatullah Sistani d.b., masla#70) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay). (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
32223
Mujtahid:
relation Date:

Question: Mei aur meri dost akeley miltay they aur hum ne buray kaam kiye hain, zina nai kia magr usk kareeb sab kuch kia hai , kia humari shadi ho sakti hai ? Hum ne us wakt k baad aisa kuch nai kia na he kabi socha hai.

Answer: Gee haan, is sorat main shadi hoskti hay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32226
Mujtahid:
ahl e sunnat Date:

Question: AOA>.. mera sawal ye hy k ma ak ldky ko chahti the..lekin mry ghar walay nahin mantay thay..ham ne nikah kr lia lrkay k ghar waly sabhi razi thy or wo shamil b thy.. and now we have sexual relation as well. ab jab k ma ne apni mama ko btaya hy to wo man gae hn or hmari baqaida shadi kr ri hn mry step father ko hmary nikah ka nahin pta or na hi meri mama uny bta skti hn qk un k liye masla khda o jy ga to wo ab hmara sb ki mojudgi ma 2bara nikah krwana chahti hn kya y jaiz hy???? may father ki death o chuki hy or ma apny step father k sath rehti hun jinho ne kbi koi haqooq puray nahin kiye.. plz help me..

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.


Agar lerki kanwari ho tu nikah k liay baap ya dada ki ijazat lazmi hay or jis lerki k baap ya dada nah hoon tu phir os ko maan ya bhai se ijazat laina lazmi nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2341)

Note: Jaisa k aap ne biyaan kia k aap k sagay walid ka inteqaal hogaya hay , agar aap k dada zinda hoon tu nikah k liay on ki ijazat lazmi hogi, or agar wo bhi zinda nahi tu aap ka pehla nikah ki sahi hay or dosray ki zarorat nahi or agar sab k saamnay dikhnay k liay jhota nikah perhna ho tu is main bhi koe haraj nahi.

Print

Id:
32231
Mujtahid:
Date:

Question: mere nana ne do shadia ki thi tou main apni soteli khala se shadi karna chahta ho tou mjhe es ka jawab dain kia ho sakta hai kay main shadi kar lo apni soteli khala se

Answer: Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32235
Mujtahid:
Date:

Question: Kaya iehsai larki sy nikha jize hai k nhi larka muslim hai or ager kabhi baat ho tu kehta hai hum kuhd tu muslim ho jaein

Answer: Musalman yahodi or esae aurtoon se muta(temporary marriage) ker sakta hay laikin ehtiyaat lazim ki bina per on se daimi aqd(permanent marriage) nah kia jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362)

Print

Id:
32243
Mujtahid:
al hadis Date:

Question: kiya husband apni biwi ko pechy se kr sakhta hai !is se is ka nikaha tu nai tooota hai1

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai. Aur is sai nikah nahi toota hai. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32249
Mujtahid:
ayatullah sistaani Date:

Question: bivi ke sath 4 mahine me ek bar jima zaroor karna chahiye leki jo log bahr mulko me rahte hai vo kam se kam 1 sal ya 2 sal me apne ghar jate hai kya is soorat me nikah batil hai

Answer: Agar biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k lie hambistari tark karnay par razi ho to koi masla nhi hai albetta is sai nikah batil nahi hot hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382).Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32266
Mujtahid:
nikhah ka jayaz hona,aur khula ka jayaz hona Date:

Question: Assalaamwalaqum, Mera nikhah hua hai eak mard se. Usne apna naam aur abba ka naam aur jagah ka naam nikhah nama me galat likhaya. aur nikhah ke baad mere saath hum bistar hua 2 raat ke liye. uske baad na to eak call kiya aur eakdhum lapata ho gaya. mein ne usko zuban di uski halat ko mad-e-naraz rakhte hue ki mein aap ka mehar maaf karti huin. usne mere kafi rakam(rupiya) liye aur sona(gold) liya. aur meri halat jaane ke baad bhi usne mujhe payse nahi bheje aur dhoka diya. Uska already eak nikhah aur 2 bacche hai. aur uski biwi ko bataye bigar aur mujhe jhoot bhol kar ki uska nikhah nahi hai aur wo kawara hai, ussne nikhah kiya. Jab mein ne usse email ke zarye pucha ki mein aap ko chor ke jana chati huin usne email ke zarye jawab diya ki, aap ko lagta hai ki aap ko mujhe chod kar jana hai to aap ja sakti ho. usne mujhe kisi bhi tarah ka sukoon nahi diya.... samaji, jaheeni, aur jismani tor per usne mujhe mahfooz rakha. mera sawal ye hai ki mera nikhah usse jayaz hua? agar jayaz hua to kya humaha khula hua? Aur agar mera khula nahi hua to mein kis zariye se usse khula luin? jab ki pata hai ki wo mera phone jaanbooj kar nahi uthata hai, aur mera email nahi reply karta hai? Allah Hafiz

Answer: 1-Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379)
2-kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2333) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32269
Mujtahid:
? Date:

Question: Aslam o alaikum. Kya maa(mother) ke khala zad (cousin) sy shadee krna jaiz hy jo umar main brabar (age fellow) ho

Answer: Maa ki khala sai shadi karna haram hai laikin maa ki khala ki beti sai shadi karna sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print