Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (876 Questions)


Showing 0- 50 questions from 876 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: meri shadi meri aur meri wife ki marzi se hwi hai lekin hum donoo ek dosre se khush nahin hain lekin mein phir bhi saree umar us ke sath rehna chahta hoo lekin woh mere sath rahna pasand nahi karti woh kehti hai ke apne maa bap ko choor doo ya mujhe mujhe kya karna chahyee

Answer: Salam-un-alaikum
Yaha sirf fiqhi sawalat key jawabat diey jatey hian.

Print

Id:
293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: agar husaband wife ka nan-o-nafqa na de aur woh us ko talaq bhi na de laikin wife talaq chahti hai tuo kya kar sakte hain

Answer: Salam un alaikum,
Aap Aqai Sistani key kisee aisay vakil sey rujoo karein jin key paas talaq dainay kee ijazat ho.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
631
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-06-03

Question: ek bivi ka shoher lapatta hogeya hai aur iski bivi kaee saaloon se iska intazzar ker rahi hai,jabkeh iske 4 aur 5 saal ke bache bhi hain aur gher ki zimmadaria bhi hain . kia woh aurat doosari shadi ker sakti hai ya nahain? sharaee toar se woh kitne saal tak intazzar ker sakti hai

Answer: Jis aurat ka shohar lapata ho jaye agr wo dosra shohar karna chahe to zarori hai k mujtahid aadil se ruju kre take wo (halat ka jaiza lekr) is ke masle ko hal kare.(Ref: Ayatullah Sistani d.b,Tauzeehul masael ,Mafhoom e maslah # 2504). Update on dated 04-08-2015. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
724
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salamun alaikum, i want to know if it is allowed for a man to divorce a wife without her agreeing for the divorce.is such a divorce valid.?

Answer: Talaq denay main aurat ka raazi hona shart nahi hay lihaza ye talaq sahih hay.Ref:Minhaajus Saaliheen Part-3 Masala No.509.

Print

Id:
1215
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: igar husband&wife different merjay ki taqleed kartay hoo.aur wife talaq (qula) cjhati hoo. aur husband kay haqooq bi ada na karti hoo. to husband kay layia kia order haa.

Answer: Talaq nahi hogi,magar ye kay shohar talaq day ya shohar ka wakeel talaq day ya haakim-e-shara kay hukum say talaq ho.Ref:I-22

Print

Id:
1568
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: i got married in ths march im 20 yrs old my husband told me aftyer shadi tht he was not interested in me i remaind with him for 2 mnths during tht period he tried to intercorse for 2 or 3 times due to the pressure of family bt he could not do actualy and teased me as mch as he could.. now m getting divorce frm him shd i complete the period of iddat

Answer: Aap per iddat rakhni wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
1648
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Sawal ye tha k: (1)agar biwi khula lena chahe aur shohar bazid ho k wo usko talaq nahi de ga tu is maslay ka hal kistarha nikal sakta hai. biwi kisi keemat par apnay shohar ke saath nahi rehna chahti aur shohar talaq nahi de raha is soorat main aurat kis tarha fiqh-e-jafria ke mutabiq khula hasil kar sakti hai. (2) Doosray ye k agar shadi ke baad agar mian biwi main koi bhi rishta na bana ho aur shohar ne use chooa bhi na ho tu agar isi asna main talaq ho jaye tu kya aura per iddat wajib ho gi. shukria.

Answer: 1)-Fiqh jaffariya k mutabiq talaq ka haq shohar ko hasil hai, or agr wo talaq na de to talaq nahi hosakti,
2)-Jee nahi is surat men iddat nahi hogi or biwi faqt adhe mehr ki haqar hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
1779
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: should working girl pay for utilitiesand mortgageduring seperation and once the divorce is filed

Answer: bismehi taala, in talaqe rijaee nan-o-nafaqa is wajib on husband during eddah perioud. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2421)

Print

Id:
1780
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I want to know if talaq is valid after intercorse with your wife. Meaning that if you slept with your wife and then divorce her next morning is is a valid divorce?

Answer: bismehi taala, zaroori he k aurat talaq k waqt haiz ya nifas se pak ho aur us k shohar ne us paki k dawran us se ham-bistari na ki ho. (tef: tawzihul masail Aytulla Seestani (d.b.) masaala no. 2508)

Print

Id:
1781
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: should a girl pay for utilities and mortgage during seperation or once the divorce is filed in wstern courtand sigha is not prayd

Answer: bismehi taala, in talaqe rijaee nan-o-nafaqa is wajib on husband during eddah perioud. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2421)

Print

Id:
1934
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam My question is. Is the divorce valid where neither groom nor bride never wanted divorce but circumstances/ egos and unnecessary pressure made it happen.

Answer: w.s. agar aap ne talaq apne ekhteyar se di thi or us waqt aap ki niyat bhi thi or talaq ke silsile ki digar sharayet mojood thi to talaq sahih thi. (ref: tawzihul masail Aqai sistani (d.b.) masaala no. 2507 & 2508)

Print

Id:
1938
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Meri Behan ko khola Chahiya Us k Lia Kia Karna ho ga? 2nd is larka khola to day nay ko tayar hai mager vo sath main bacha hi mang raha hai jab hum us say talaq ka kehtay hain to vo mana kar deta hai kindly ya bhi sath main batain k sharah main bacha maan k pass kitni modat tak reh sakhta hai ? bachay ka baap USA main rehta hai is surath main vo bacha lay kar appni behan ko dena chahta hai kia kia jay abe ?

Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai, or olad jab tk 2 saal k na hojaen unka bap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liye k bachon ki negehdasht man or bap dono k zimme hai or ahwat or aola(behtr) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki man se juda nahi kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1991
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam Alaikum,mera masla yeh hai,ke Hamri shadi ko 5 saal hue.Aulad nhi hai.mai&meri biwi kuwait me hai.meri biwi job pr lagne ke bad us ke mijaz badal gye,ab wo mujh se khula mang rhi hai.mera khna hai tu india chal.tere ghar wale ke samne Talaq doga.wo khti hai kisi ki zaroorat nhi.&mai india nhi jaongi.6 mahine se sath rehte hue bhi baat nhi krti.khna alag bister alag kri hai.bina walidein ke bina qazi ke samne wokhula chahiti hai.kya mai usko 3 talaq de kar farig kar sakta ho.WASSALAM ALAIKUM>Jawab ka muntazir ho,

Answer: Talaq apk irade or ikhtiyar per moqoof hai, lehaza agr ap chahen to apni biwi ko talaq de sakte hen, albatta is tarah 3 mrtaba talak kehne se talaq nahi hogi balke talaq ki sari sharton ko lihaz kiya jayega.1) Mard Aaqil Baligh ho, 2) Talaq ka irada rakhta ho, 3) Talaq ka seegah parha jaye, 4) Do aadil gawah k mojud hon jo talaq k seeghe sunen, 4) Talaq k wqt orat Haiz or nifaas se paak ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 473-74-75-85-98-504, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam,mutah kei baad iddat hooti hai,toh kya yeh iddat boy n girl dono ko rakhni chahiye ya sirf girl ko? plz reply jald...kyuki boy nei muta ka iddat nahi rakhi thi..plz bohot urgent hai yeh..jald se jald jawab dei.

Answer: Jee han mutta ki iddat hoti , albatta iddat ka hukm islam men faqat orat k liay hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Q1 aurat khula leti hai court se wo dosri shadi kar sakti he? Q2 wo aurat muslim nahi he please answer me Q3 muslim hone k bad shadi kar sakti he?

Answer: Jab tak wo orat islam qabool nahi krti tab islami ahkamat us k liye be-faaida hen, or ksis musalman ka non-muslim orat se shadi krna bhi jaiz nahi hai, albatta agr wo islam qabool kre to phir islami ahkamat us k liye sabit honge or phir ksis musalman mard se shadi kr sakti hai. (Ref:Ayat Ullah khumeni(d.b), Tauzee hul masael # 2391,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2270
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawak ye hey k meri shadi k bad bhi meri biwi ne ger mard se najaiz taluk rakhe. ab mujhe kya karna chahiye

Answer: bismehi taala, agar shohardar aurat zina kare to ehtiyat ki bina par woh zani par hamesha ke liye haram ho jati he lekin shohar par haram nahin hoti aur agar tauba w istighfar na kare aur apne amal par baqi rahe (yaani zinakari tark na kare) to behtar yeh he k us ka shohar use talaq de de lekin shohar ko chahiye k us ka maher bhi de (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2412)

Print

Id:
2345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Salam Alaikum Could you please tell me the correct method of Divorcing a wife according to Fiqah Jafaria

Answer: w.s. 1) jo shakhs apni biwi ko talaq de raha he us k liye zaroori he k aqalmand aur baligh ho aur apne ikhteyar se talaq de 2) aurat b-waqate talaq Khoone haiz w nifas se pak ho aur us k shohar ne us ki pakizgi k zamane ya halate nifas ya haiz me jo us ki pakizagi k zamane se pehle tha us se hambistari na ki ho aur in do sharayet ki tafseel ayenda masail me bayan ki jayegi 3) talaq saheeh arabi sighe k sath padhi jaye aur do aadil mard use sunai (ref: tawzihul masail Aytullah Khumeni (r.a.) masaala # 2494, 2496 & 2504)

Print

Id:
2415
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: slam mufi sahab me ne apse ye pochna tha hamare rishte daro me se aik ne kagzi notes bej he talaq ka or us pr 3 dafa tlaq likha he lakin ab wo kahta he k me rajo krna chahta hon or ye jo me ne kagaz beje hen talaq ke aik dafa bejne se nhi hoti 3 dafa bejne se hoti he ap batae kia wo rajo ker sAkte hen

Answer: Fiqh e jaafriya(Shia) main talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti.
1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)

Print

Id:
2520
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: meri zoja aur us ka baap mujh sai khola liana cha rahai hai magar mai us ko khola daina nhy cha raha hon womujh per zoor dai rahai hai meri rehnumaie farmaeyai? aur yai bhi bataeyai kai wo kin shrait per mujh sai khola lai sakti hai?

Answer: Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day.mazeed ye keh talaq k liay zarori hay k merd apni merzi ya ikhtiyaar say day,ager os ko talaq per majboor kia gaya ho tu tu ye talaq batil hogi.(Ref: Aytullah Seestani (d.b.) tawzee hul masail maslah # 2492 & 2462).

Print

Id:
2524
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: meri zoja apnai walid kai kehnai per mujh sai khola laina cha rahe hai liakin mai us ko khola daina nhy cha raha hon aur yai chata hon kai wo merai sath rahai is maslai mai meri rehnumai karai agar wo khola liana cha rahi hai to wo kin shrait kai sath mujh sai khola lai sakti hai? jab kai mai us ko khola daina nhy cha raha ho.

Answer: Agr apki biwi apki taraf mail na ho or wo apse is qadr shadeed krti ho k apko wazeefa zojiyat ada na krne ki dhamki deti ho to agr wo apko mehar ya koi or maal bakhsh de take ap use talaq e khula deden to wo is bat ka haq rakhti hai k ap se talaq ka mutaliba kre albatta talaq apki marzi per moqoof hai, or jab tak ap apne irade or ikhtiyar se talaq na den tab tak talaq nahi hosakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462-2492). Update on dated 04-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2556
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Dear Maulana We did nikkah in Dec, 2008. Due to unavoidable reasons, we had to separate and divorced in March 2009. (No rukhsati took place during the era) During that three months, we did intercourse. a. Now after divorce, what is the period of iddat b. if during iddat, both husband and wife start talking each other, will it count Roojo and nikkah reinstated (both husband and wife are in contact even that divorce) c. Is there any need of nikkah again, if both contact each other with in Idda period. d. If girls father forced her to do nikkah with another guy, who wud be responsible for sin of Nikkah on Nikkah. e. What is the Islamic responsibility of both girl and boy. Whether they should disclose it to their family I know your time is too much precious, but if you provide detail answer, I would really appreciate. This way, both family may get united and all allegation and miscommunication can get rid of. Thanks

Answer: A: Aisi aurat jis k 2 haiz ka dermiyaani faaslah 3 mahinay say kam ho tu,jab os ka shohar os ko paaki(yani jab wo periods main nah ho) ki halat main talaq day tu jaisay hi os aurat ko teesri mertabah(third times) haiz aay os ki iddat khatam hojati hay.
B:shohar 2 tareeqo(methods) main say kisi bhi aik tariqay say aurat say ruju kersakta hay: i)aisi batain karay k pta chalay k os nay osay dobarah apni bivi bnaliya hay.Yaa phir ii)koe aisa kaam karay or is kaam say ruju ka iradah karay or hambistari /jima (intercourse) say ruju sabit hojaata hay chahay ruju ka iradah bhi nah ho.Ehtiyaate wajib hay k sirif bosa lainay(kissing) or lazzat k irday say haath laganay say ruju sabit nahi huta jab tak ye kaam ruju k iraday say nah hon.
C: agar addat k doraan oopar(above) btay hoay tareeqay k mutabiq ruju kia ho tu nikah ki koe zururat hi nahi.or agar iddat k doraan ruju nahi kia tu phir nikah kerna hoga,or is nikah main lerki k baap ki ijazat ki zururat nahi,kun k ab wo kawari lerki(virgin) nahi hay,jaisa k aap nay btaya hay k aap os k saath hambistari kerchukay hain.
D:jaisa k hum nay oopar bhi btaya hay k agar aap nay iddat main sahi tareqay say ruju ker liya tha,tu wo aap ki bivi hay or on ka nikah kisi or say nahi hosakta,dosri baat ye k agar aap nay sahi tareeqay say ruju nahi kia tha tu,ab larki ki apni merzi hay k wo aap say nikah karay ya kisi or say,laikin baap ko haq nahi pohanchta k wo is lerki ki merzi k baghair kisi say iska nikah kerday,Kun k nikah main lerki ki merzi laazmi hay werna nikah baatil hota hay. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b),maslah #2475 ,2488, 2342,2335,2491).
Mazeed ye k talaaq ki kaafi shaarit(conditions) hain on ko bhi perhlain jo k tazee hul masail main chepter “talaq k ehkaam” main maujood hain masalah #2462 to 2472).

Print

Id:
2589
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I got married 7 yrs ago and have two children. in our nikahnama he has given me the right of divorce (talaaq ka haq tafweez kiya)when we got married my husband told me he had alcoholic drinks a few times a few yrs ago i told him if he drinks again our talaaq will happen.he agreed to it. i just came to know he had drinks about 2 yrs ago when he was traveling abroad. my question is - are we divorced? is it counted as one divorce? -what if he had drank more than once? would it count as one divorce each in case he drank thrice? -what does it mean to have the right of divorce? -is the period of these 2 yrs we have been living as husband wife was living in sin? -is there a way of reconciliation or kuffara?

Answer: Is terah talaaq nahi hoti.wo aap k shohar hi rahain gay.or aap ko koe kaffarah nahi daina hay.kun k Fiqh e jaafriya(Shia) main talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Talaaq k waqt talaq ki niyat ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)

Print

Id:
2919
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: my father has died at 13 Nov. my mother is in eddat(that time woman spend in home when her husband died).she is 50 year old.how many days are mentioned for eddat in islam

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2935
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mara sawal yah hai. Mari wife ne Rokh sati se palhai hi Qula maag liya tha, kuch family problems ki waja se, abb wo mujh se phir contact kerna chahti hai aur mai bhi yahi Chahta hun. humari Qula ko Abbhi 3 months hone mai 9 Din baki hain. Please mujhy batain k abb kiya ho sakta hai?

Answer: Talaq e khula, talaq e Baain k aqsam men se hai, or talaq e baain wo talaq hai jis k bad mard apni biwi ki taraf ruju krne ka haq nahi rakhta , matlb bager nikah kiye dobarah use apni biwi nahi bna sakta , lehaza khula dene k bad shoahar apni apni biwi ki taraf ruju nahi kr sakta, albbat agr biwi talaqe khula ki iddat k doran shoahar se us ewaz (badle) ka mutaliba kre (ewaz men ruju kre) jo usne shohar ko dekr us se khuli li thi to ye talaq rijee (ruju wali) hojayegi or us k bad shohar iddat k darmiyan hi biwi se ruju kr sakta hai. lekin agr ewaz men ruju na kre to phir iddat ka wqt guzarne k bad wo dono dubara nikah kr sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3113
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mairy biwi nay mujh say talaq mangi may nay nahi di to us nay teen dafa khudkashi karnay ki koshish ki to main nay tung aa kar us ghusay main teen talaq aik hi waqt main day dein kia yeh hamary aik talaq hoiee ya teen kun kay mairy erada talaq daynay ka nahi tha sirf insaniat ki jan bachanay kay liaye kia.hidayat furmaiyee

Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).

Print

Id:
3118
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: meri shadi ko 12 saal ho gae hai mujhe mere shohar ne 2 months pehle nashe ki halat me jo ke woh aady hain teen dafa talaq de dy thee aur mai apne waldain ke ghar aa gaee thee ab mai janna chati hoon ke aaya talaq lago ho gaee ya dobara taloq ki gunjaish hai aur talaq ho gaee toh iddaa ka kya tareeqa hai

Answer: ye talaq batil hay Q keh: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).

Print

Id:
3184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: meri behn ki shadi ko ak sal or 4 mahine hogaye hen shadi k 4 mahine bad se meri bhen hamare sath reh rhi hai q k us k shur or sasural walon ka rawaiya us k sath shi nhi tha jb woh hamare sath reh rhi thi to us k bare men pocha tk nhi jb k woh pregnentthi.us ka ak beta bhi hai 8 mahine ka use bhi na to shur ne dekha na sasural walon ne.or ab ayen hen usay lejane ki bat krhe hen mgr ab nhi bhejna chate or chate hen k talaq lena chate hen meri bhen bhi razi he to kiya is trha talaq jaez hai

Answer: jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se pahle bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zarorat pesh aye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shohar per apni is biwi ka naan o nafaqqa wajib hay.jis ka nikah da’imee hoa ho or jin baato main shohar ki ita’at wajib hay in main wo iski ata’at guzaar ho.is bunyaad per shohar hay keh wo bivi k liay khana,libaas,aisa makan ferhaam karay jis main zarori wasaa’il maujood hoon.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 407 ).

Aap k liay talaq ka mutaalba kerna jaiz hay .(Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 428)

Print

Id:
3219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Aslam u Alikeum; In 2002;I got married with American woman in Lahore.In 2004;she went back to USA and after few months;we had disputes between us and she never came back to Lahore. But we remain in touch with each other on telephone and through emails.Now;we both want divorce.But She lives in USA and I live in Lahore.I can not go to the USA due to visa problem and She does not want to come here in Pakistan.So how can I give her a divorce? Also tell me that we did intercourse in 2003 and since then (6 years) we have not do intercourse with each other;so after divorce;what will be her iddet period? Guide me please; Allah Hafiz

Answer: 1) zarori he k talaq ka sigha sahi Arabi k saath perha jay laikin agar koi mard arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur vakil bhi na bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarie talaq de sakhta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur 2 aadil mard usay sun lain
2) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-65, 2472 ).


2 ) talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ).

Note: aap talaq ki mazeed sharait jaannay k liay is link par click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/40.htm ,
http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/41.htm)

Print

Id:
3302
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam, kia agr koi larki iddat ka waqt guzaar rahi ho, or doran-e-iddat agr wo IRAN ziaraton k ley jaana chahy, to us k ley kia hukum hai.? Ziaraten krny k ley IRAN ja skty hain ya nahi...... Please iska jawab jaldi chahey.. jitna jaldi hosky aap mujhy reply kren...

Answer: Jee han iddat chahay talaq ki ho ya wafaat ki ziyarat per jasakti hai balkeh kisi bhi kaam ghar se bahir nikal sakti hay or haram nahi hai. Albatta agr wo larki wafat ki iddat men ho to us k liye ranbaranga libas pehna, surma lagana or isi tarah dusre ayse kam kerna jo zeenat men shumar hote hon haram hen .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3344
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: hamare ak jane wale abi shadi hoi he larki phele 5 mah ki hamla thi ab neka b ho gya os ne ab bacha gera dia malom ye karna he os ka neka howa he k nai agr nai to phr kya karna ho ga dobara neka k lie

Answer: Agar ye aurat talaq ki iddat me thi to aur hamila thi to zurari he k waz e hamal tak iddat rakhay. Is iddat ko wafat ki iddat kahtay hein .
Aur agar wo aurat talaq ki iddat me thi tab bhi o ski iddat waz e hamal ya isqat e hamal tak he.
Aur iddat mukammal honay se pehlay nikah karna sahi nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2474-2485)
Agr aurat zina ki waja say hamala thi to ya nikah sahiah hay.
Agr aurat pehlay say shadi shuda ho to ya nika batl hay aur hemasha kay ley haram hay.
Agr auarat idat main ho aur ya talq rajai ki waja say ho to ya nika batl hay aur hemasha kay ley haram hay.
Agr auarat idat main ho aur ya talq rajai ki waja say na ho to ya nika batl hay aur idat Katham hony ky baad dobara nikah karsakta hay.(Ref. Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Minhaj us Salaheen v.3 pg. 61 to 62 masala 180 to 184)
Hamela aurat ki tallaq ki iddat bacha pada karny ya asky siqt sy pori hoti hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2478)
Hamela aurat ki Wafat ki iddat 4 month & 10 day aur bacha pada karny ya asky siqt main sya jo ziado ho(.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2481)
Zina ki koi iddat nahi hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b) minhaajus saliheen,part #3,maslah #566)
Bacha girana Haram hay aur bacha giranay waly par iski diat wajab hay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) mulahaqat Masla # 73) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3521
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main chati hon k meri divorce na ho or merey hsbnd mje khud aa kr merey maikey sey le jaen.hmara case court maun chal rha hey main chati hon k divorce na ho.meri ak bachi bhi hey jo 6th mnth ki hey abi apney walid k pass hey.meri male kahin show na krye ga bs meri id pe mera naswer male kr dain jld az jld plzzzzz

Answer: Wazeefa:
1)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker duain maangain. insha allah jald aap ki mushkilaat hal hojain gi.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).

2) kisi bhi maqsad or mushkilaat k hal k liay 3 mertabah salawaat per ker sachchahy dil or khuloos e niyat k saath naday ali ko 7 mertabah per ker phir 3 mertabah salawaat perhnay k baad 14 masomeen k wasilay say allah say dua ki jay tu zaroor qabool hogi. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 74-76).

Fiqh e jaafriya(Shia) main talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.in sharait ki rausni main court say talaq lain sahi nahi or aisi talaq ghalat or batil hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).

Print

Id:
3539
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: QUESTION: If a man had sexual intercourse with a woman during her pure period and divorces her during the same period, and then marries temporarily and again permanently her sister after only two pure periods but in the middle of her 3rd menses after the divorce, (and it transpires later that the woman was not pregnant at the time of divorce), is that divorce in order and the 2 marriages to the sister also in order? And if either the divorce or the marriages are void, what should be done next? FOR EXAMPLE: On the 3rd of February a man divorced his wife during her pure period in which they indeed had intercourse. She then had a menses from the 16th-23rd of February, became pure once, had a menses again from the 12th-19th of March, then became pure a second time. She then had her 3rd menses after the divorce from the 3rd-10th of April, during which the man married (temporary) his divorced wife’s sister on the 5th of April and then again married (permanent) (his divorced wife’s sister) on the 9th of April. Are the divorce and the two marriages to the divorced wife’s sister all in order? If not, what should be done next?

Answer: Your divorce is not valid. And your sister marriage also invalid. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2463,2355). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3703
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aoa, fiqh-e-jaafria me, kisi WOMEN k HUSBAND ki DEATH ki soorat , me wo WOMEN kitni dair ghar se bahir nhe nikal sakti? pls reply soon

Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3768
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: What is the period for Iddat after the divorce? Are there any restrictions on the movement of the woman while she is observing the period of iddat?

Answer: If a wife who has completed nine years of her age and is not in menopause, is divorced by her husband after sexual intercourse, it is necessary for her to observe the waiting period of divorce. The waiting period of a free woman is that after her husband divorces her during her Pak period, she should wait till she sees menses twice and becomes Pak. Thereafter, as soon as she sees menses for the third time, her waiting period will be over and she can marry again.there is no restriction on the movement of the woman while she is observing the period of iddat. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalam o Alaekum, mujhey ye sawal puchna hey ke shadi ke waqt jo zewar larki ko in laws ki janib se pinhaya ya sub kay samney diya jata he aya sepration ki surat mey us sey wapis liya jasaqta he jab ke umuman kha jata he ke ye larki ka haq he plz zarur agha kijeye

Answer: Agar aap ko zewar sirif pehennay k liay diay gay thay tu wo aap onki malik nahi hain or zewar dain walay aap say wapas maang saktay hain.laikin agar aap ko tuhfa(gift) diya that tu istemaal k baad aap say wapas nahi maang saktay or aap on zewar ki malik hain. (Ayat Ullah Seestani(d.b),Mujtahid say pochay gay sawalaat, part#2, sawaal#150)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3859
Mujtahid:
Ayatullah Behjat Date:

Question: Salam, mera sawal ye hy.k meri shadi ho chuki hy, lakin mujy apna shohar pasand nahi, meri aik beti b hy, mujy shadi se pehlay aik larhka pasand tha, ab mai chahti hu k wo mujy talak de ker farigh kr de...q k us ko meray baray mai sb pata chal gia hy or meri zindagi bahut kharab hy,,,aik rat larhye k time us ne kaha k ja deta hu talak mai ghar chorh k aye lakin bad mai us ne meray ghar walo se kaha k nai mai ne ghusay mai bahut kuch kaha tha...lakin meray 4 maah poray honay per meri talak waqia ho jayega..2 or hmaray bech 1 saal se kuch nai howa tu kia nikah toot gia hy...Ans me and advise me what to do

Answer: 1) Talaaq k sahih honay k chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
2) agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.
(Ref:Ayat Ullah behjat(d.b),Links: http://bahjat.org/fa/content/view/932/45/ & http://bahjat.org/fa/content/view/15/34/ )
Advice: agar aap ko jo talaq di gae hay wo ooper biyaan ki gae shara’it k mutabiq nahi tu aap ko chahiay k aap apnay shohar k saath apni zindagi guzarain.or dono apni maazi ki ghatiyo ko bhool ker aik nae khushgawaar zindagi ka agaaz karain.

Print

Id:
3895
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: maine apne shohor se qula liya hai. kya mujh pe iddat lazim hai? kya qula me iddat zaroori hai?

Answer: Jee haan.khula bhi talaaq ki hi aik qism hay.is main bhi iddat rakhna laazmi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2475,2498).

Print

Id:
3954
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salaam,molvi sahab may sunni hon...muhjau ye batein k agar sohar aik tallaq de phir ruju kar ley,phir 1.5 saal baad dosri talaq de or phir 48 ghanty k andar ruju kar lay.phir teesri talaaq de or country se bahar ho sohar to kia mera nikkal abhi b qaim hay,,,kia ruju karnay se talaq fasiq (khtam) ho jati hay ya nahi..please tafseel se jawab dein

Answer: Is web-site per fiqh e jaafriya(shia) k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Agar koe shaks apni biwi ko mukammal shara’it k mutabiq 2 mertabah talaq day ker in 2 talaqo main her aik talaq k baad oski taraf ruju kerlay ya osay 2 mertabah talaq day or her aik talaq k baad os say nikah karay ya aik talaq k baad ruju karay or dosri talaq k baad nikah karay tu teesri talaq k baad wo aurat os merd per haram hojaay gi.liakin agar aurat teesri talaaq k baad kisi dosray merd say nikah karay tu wo 5 shara’it k saath pehlay merd per halaal hogi yani wo merd os aurat say dobara nikah kersakay ga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2491).

Print

Id:
4042
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-O-Alykum Due to some family disputes, I wrote a "Talaq-e-Salasa" and some standard wording of Divorce on a Stamp Paper and sent it to the Union Council and to My Wife. However, after a month or so, I realized that I should take my wife back by reconciliation. But all my efforts failed. After expiry of four months, she along with her Lawyer, presented in the Civil Court and presented there the Divorce Paper and claimed that She has been Divorced and the Judge accepted too. My Question is, Whether she is really divorced as I never uttered the Words of Talaq in Arabic from My mouth in the presence of Two Just Persons and 12 days before writing divorce,we had intercourse too. My Question is whether she is still my wife and how divorce can be challanged in the court. Regards

Answer: ye talaq sahi nahi he q k zarori he k talaq ka sighah sahi Arabi main lafz “ taaliq” k saath perha jaay aur 2 aadil mard usay sun lain.Agar koe shaks apni b.v say chahay haiz ki halat main ho ya paak ho hambistari karay or phir osay talaq daina chahay tu zarori hay k sabr karay hatta k dobara haiz ajaay or phir wo paak hojaay .(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2468,2472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4063
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ma aik lerki ko pasand kerta houn 11 sal sai phir hamra nikah bhi ho gya lakin khnadani halat asay hoay ka mujhai talaq deni peri talaq dena ka bad mai buhat upset houn lakin ma talaq denai ka liay buhat majbor tha mai yeh chahta houn ka vo halala kur ka wapis ajay meri niat saf hai ma us sai dobara nikah kerna chahta houn dunia ma koi asa kam nai hai jo na ho sakai lakin jiss mazhub sa hum taluq rekhtai hain vo dean burhaq tou is cheaz k liay pehlai nikah ekrna perta ha yeh ha tou buhat muskil lakin ager insan sachai dil sa dua mangai tou her kam ho jata ha app mujhai is k liay koi wazaif bata dain

Answer: ye talaq sahi nahi he q k zarori he k talaq ka sighah sahi Arabi main lafz “ taaliq” k saath perha jaay aur 2 aadil mard usay sun lain.Agar koe shaks apni b.v say chahay haiz ki halat main ho ya paak ho hambistari karay or phir osay talaq daina chahay tu zarori hay k sabr karay hatta k dobara haiz ajaay or phir wo paak hojaay .(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2468,2472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4381
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam,janab mera sawal ye hai ke main nehait sharminda bohot zada nidamat aur sab se bahar ke Allah ka gunahgar samajhtay huay ap se ye araz hai ke mujh se Allah Tala ka sab se napasandida amal jo Allah ko apnay banday se napasand hai wo karwaiagaia hai mujh se meri wiwi ko talaq jaysa amal likhwaia gaya hai.mujh ko dhokay se bolaia aur kaha ke hum ap ke darmiyan jo ranjshain hain aur jo naiqtalafi hai us ko khatam karna chahtay hain jismay larki ke saray khandan ke loog mujud thay aur ek shakhs ne kaha ke ab tumhari biwi tumharay sath nahi rehna chahti hai aur ab us ko chordo us ko samnay bhi nahi lay aur na hi baath karwai saab ne pressure daal ke aur zabardasti ye gunay azeem mujh se kawadia. marnay ke baad main Allah ko kia mon dekhanoga.Allah Tala mujh ko maaf farmain aur main ne dil main bhi bohot duain mangani ke Allah meri niyat ye amal karnay ki qatan nahi hai.Bas ap ye farmain ke is halat main ab mujh par kia kafarah hota hai aur Allah Tala mujh ko maaf kis tarha karay ga.Allah Tala kesi dushman ko bhi esa waqt na dekhay Ameen.

Answer: 1)ye talaq sahi nahi he Q k Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ).
2) Talaq daina haram nahi hay balkeh aik makhrooh amal hay or kabhi talaq daina mustahab amal bhi hota hay.(Ref: Ayatullah sistani(d.b),Asaan masa,il, pg# 119-120, Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2367 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4426
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya neend mein di gai talaq ho jati hai?

Answer: Neend me de hoe talaq sahi nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4432
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Me and my wife both are shia and i have said that i am divorcing to my wife on several occasions,while i am always in fight with her.I say it in Arbi as written in Tuhfa tul awam,said many times but during one session,and always ruju her within few hours,never in the presence of any gawah.Since it has happened several times over few years,i want to know whether she still is my wife or not?If this talaq is valid,what options we might have to keep our marriage? Really appreciate your answer.

Answer: It is necessary that the formula of divorce is pronounced in correct Arabic using the word “Taliq”; and two just (Adil) persons should hear it. If there is no two adil people the divorce is not accured. It is also necessary that at the time of divorce, wife is Pak from Haidth and Nifas also. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2463 , 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4643
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: my husband said tallaq 3 times .he didnot say i m giving u talaq just say the word 3 times am i divorced

Answer: 1) Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2) agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).(agar in sharait k mutabiq talaq di gai ho to talaq sahih hogi magar yeh bhi ek talaq shumar hogi, ek sath tin talaqe nahin ho sakati).

Print

Id:
4765
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salamz, I got married with a girl who had a disease called epilepsy (Mirgi). I was unknown about it before marriage but her parents deceived me. Now I want to give talaaq to that girl. I live in Sharjah and the girl is in pakistan. What is the possible way to give talaq? Can I give talaq on telephone? please inform me the simplest way.

Answer: 1)Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464).

Print

Id:
4808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: iddat kitne period ki hoti hai? agar kisi ka shohar / husband pehle accident mei bed pe 2.5 months se ho and then who maar jae died aisi larki ko agar shadi karni ho tu aus ke leye kitne period ki iddat ho gi shohar / husband ke marne ke baad?

Answer: Jese hi shohar ki wafat hojaye usi wqt se lekar 4 mahine 10 din tak orat iddat rakhe yani shadi nah kare.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4873
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mai teen shadi kar chuki houn pehle talaq ke baad dusri aur dusre talaq ke baad tesri kya ye jayaz hai

Answer: 1)Jee haan lakin aurat aik sath 2 (do) merd k nikah me nahi aa sakhti jabke merd aik sath do kar sakhta he.
2)aurat dosri shadi apni iddat khatam honey k bad kar sakhti hein. Is me do cheezain hein aik talaq ki iddat hoti he aur aik wafat ki iddat hoti he. 1: wafat ki iddat : Agar koi aurat bewa ho jey aur agar wo hamila na ho to qamri 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe aur agar hamila ho to wazh e hamal tak iddat rakhe. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2481)
2 : talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
3) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ).

Print

Id:
4914
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: i want to know that i send written divorce three at one time but i send it through mail(post service) but it recieve her father and not yet shown to my wife whaether it is done or not please let me know

Answer: Ye talaq sahi nahi he q k zurari he k talaq ka sigha sahi Arabic k saath perha jaay aur 2 aadil mard usay sun lain.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472).

Print

Id:
5122
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main yah puchna chahti ho kah mara husband na mujhe 1 talaaq pehla behji thi aur phr 15 dinno baad hi teesri talaaq behj di kiya yah tallaq ho gayi ha kah abhi koi gunjaish baki ha kiya 1 month main 1 hi tallaq hoti ha

Answer: 1)Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
2)agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).

Print

Id:
5133
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mae sister ko husban na teen taalaq kha tu ye aik bar talaaq hoe ka wo roojoo karna sa pahle naya nikhaoor taalaq ka haq apna pas rakh saqte ha

Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).

Print