Showing 850- 876 questions from 876 questions on this page.
Question: Aslamoaliekum kesy hain ap? Mai shadi shuda hon shadi ko 5 sal hony waly hain mai apne shohar k ghr nai rehti wo mujy apne sath nai rakhta or 3 saal hone ko hain na bat krta hai na mery haqoq pora krta hai na mujy kharcha deta hai marta bhi tha ... or wo churs sharab mai apni zindagi barbad kr raha hai or meri bhi na talak deta hai na basata hai is halat mai kia krna chahiye? Kia talak leni chahiye ya nai ?
Answer:
Biwi shohar se sirf talaq ka mutalba karne ka huq rakhti hay. laikin Talaq sirf shohar hi de sakta he, or shohar per ye wajib nahin hay k biwi k mutaalba kerne per os ko talaq day. Agar shohar biwi ka kharcha na uthae or talaq bhi na de to Biwi Hakim e shara (mujtahid) se is masle ke hal k liye ruju kr sakti hai, or wo mujtahid halat ko madd e nazar rakhte hue talaq ko jari kr sakta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492, + Jadeed fiqhi masail, Mafhoom e maslah #428, Pg #214, Edition #5).
[Updated on 15-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikah hoea tha.rukhsati nih hoe te.or talaq-e-slasa de di gae.kea me apne is khawand c shadi mumkin he ?kea halalah k bad mumkin he ?ya or b koi sorat he ?
Answer:
Maktab e jafferia mai aik saath 3 talaaq dena durust nahi hai balke talaak dene k liyeh zaroori hai k do adil gawahon ki moujoodgi mai talaaq k seeghay sahi arabi mai adaa kiye jaayen.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 15-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shohar biwi ke samne talaqtalaq ki baatein kre dusro ki tu kya aurat ki talaq hojati ha
Answer:
Nahi is tarah sai talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 15-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere husband ny mujhe 2 bar talaq di dono bar foran ruju kr liya ab us ny mujhe 3rd talaaq di jab main pregnant thi to kya meri talaaq hogai hy ? ya abhi gunazish hy ku k main ny suna hy aurat hamla ho to talaaq nhi hoti
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Fiqh e jaffariya men talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima intercourse nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaay yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaay. 4. Talaq do adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaay. 5. Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460).
(Note: Jee Hamila aurat ko agar talaq di jaye to talaq ho sakti hai balkeh agar aurat haamla hai or haiz ki haalat mai hai tu bhi talaq ho jaey gi lekin upar bayan ki gayei sharait ke mutabiq talaq di jaye to hi talaq sahi shumar hogi).
[Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: My husband give me talak in very anger mood,but after few minutes we relised that we can't live without each other, plz give me some advice so that we can live together,
Answer:
Fiqh e jafferia mai ghussay ki haalat mai talaq nahi hoti or is k alawah bhi kuch sharaet hain jo is talaq main maujood nahi hain, is liay ye talaq batil .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 22-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalaam-u-alaikum, Meri shaadi hue 6months ho chuke hai aur talaaq hone wala hai kuch dino me. Hamare bich kisi bhi tarah ki humbistri nhi hui hai. Toh iss haal me Iddat karna wajib hai?
Answer:
1: Agar shadi k baad aur talaq se pehle hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai lekin Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi.
2: Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to is halat men mahr ka nisf half biwi ko dena hota hay agar pehly hi poora mahr day chuky hen to bivi ko chahiay k nisf mahr wapas day.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475. + Minhaj us Salaheen, part #3, mafhoom e maslah #309). dated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Orat ko iddat ma apny damad sy bat krna mna ha
Answer:
Saas k liay damad mehram hay. Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza mehram ya na-mehram afraad se baat kar sakti hai koi mana nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar husband msg pa talaq likh k bhj da laken bv tak msg na pohncha ho or us ko es msg k bary ma ilm b na ho yane bivi ki sim he off ho or shohar kse ko zikar kye bgair sula kr ly tu kya talaq ho jti ha ??
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. or fiqh e jafferiya ke mutabiq text msg par talaq dena sahi nahin hai or is tarah sai fiqh e jafferia mai talaaq nahi hoti Q k zaroori hai k talaq ka seegha arabi main parha jaey or do aadil mard isey sunain.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masail #2462,2472).
[Updated on 27-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alikum agr larki sunni larka shia ho or nikah b shia qazi ne perhaya ho tu talak k waqt konsa maslak follow kiya jaye ...rehnumai fermaye
Answer:
Talaq main shohar k mazhab ki shraet ka khayal rakha ajey ga. Talaq fiqh e jaffariya (shia mazhab) k mutabiq di jaye gi aur fiqh e jaffariya men talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima intercourse nah kia ho.
2. Talaq zabani di jaay yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaay.
4. Talaq do adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaay.
5. Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460).
[Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamo alikum mera swal yes hai k talaq e rajai ki idaad pori hony k baad larki kisi aur mard se nikah kar sakti hai ya k kisi aur se nikah krny k liye talaq e bayeen zarori hai.
Answer:
G han Talaq e rajai ki idaad pori hony k baad larki jis mard se chahay nikah kar sakti hai. (Ref: tuzi ul masahil Aga Sistani mafhoom e maslan#2487)
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum meri abhi nikkah howa ramzan mai aur rukhsathi nahi hoi abhi tak mera husband bat karta hai phone p aur hamarii larai hoi uss ny msg p 3 thalak bola toh kya yeh thalak hoi k nahi ???
Answer:
fiqhe jaferia ke mutabiq Ye talaq durust nahi, Q ke Talaq apk irade or ikhtiyar per moqoof hai, lehaza agr ap chahen to apni biwi ko talaq de sakte hen, albatta is tarah 3 mrtaba talak kehne se talaq nahi hogi balke talaq ki sari sharton ko lihaz kiya jayega.1) Mard Aaqil Baligh ho, 2) Talaq ka irada rakhta ho, 3) Talaq ka seegah parha jaye, 4) Do aadil gawah k mojud hon jo talaq k seeghe sunen, 4) Talaq k wqt orat Haiz or nifaas se paak ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 473-74-75-85-98-504).
[Updated on 17-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum sir please aik question ha us Ka reply day den. Agar husband and wife dono ne union council se khula Ka certificate lay liya ha to kiya tab bi halala k bager riju ho Sakta ha???
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aur fiqh e jafferia ke mutabiq Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho, apna mehr ya koi or maal osay bakhsh day taake wo usay talaq day day.
Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. aur dosri baat ye k fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. lehaza fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq agar tamaam sharaait ke sath talaaq khula na di jaae to talaq nahin hoti. or aap ka aap ke shohar se wife wala rishta qaaim hay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nasha ki halat mai talak hoongi kya nei
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Fiqh e jafferiya main is tarah se talaq nahin hoti, Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain. Talaq k liye 2 aadil gawahon ka samnay maujood hona zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho lihaza nashe ya mazaq ya ghuse ki halat talaq dena sahi nahin hai aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho, aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharaait hain jin ka talaq k waqt khayal rakhna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA. Me jaan’na chahti hun k agar larki shadi m rehna nahi chahti ho aur court ki tarf say khula ki decree b mil gai ho sign b ho gay hon. Toh maa baap ki khushi ki khatri es sab k bad na chahty ho b sath rehna jaiz hai? Allah bagar dil saaf kia ak insan k sath shadi m rehna munsib samjhta hai? Kyun k Mujhaay kaha gaya haah marzi k bagar b raho decree k bad b toh Allah sab theek kar day ga chahy apka dil saaf na ho.
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Pehli baat to ye ke Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna mehr ya koi or maal osay bakhsh day taake wo usay talaq day day.
2: Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
3: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 16-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shohar or biwi 6'7 mAh se ik Sath na rah rhy hn or is Doran shohar talaq bajh data he to Kia biwi pr Uday wajib ho gi?
Answer:
1: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aur Fiqh e jafferia ke mutabiq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti.
1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho.
2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey.
4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
2: Agar in sharait ke sath talaq di gayei hai to talaq ke bad iddat rakhna wajib hai chahe darmiyan me jitne faasle tak hi alag rahe hon.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472).
[Updated on 14-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: talaq k bad iddat se phele dono husband wife ban skty Hain?
Answer:
Jee han, ban sakte hain agar talaq, talaq e rejiye hai to iddat ke dauran ruju kar ke dubara biwi banaya ja sakta hai. aur agar talaq to riyie thi lekin talaq ke iddat mukamal ho gayei ho to iddat ke baad nikah ke zariye dubara biwi banaya ja sakta hai tab wo dono phir se miyan or biwi ho jayen gay, Aur agar talaq e baain hai to is men iddat ke baad dubara nikah ke zariye se biwi banaya ja sakta hai tab wo dono phir se miyan or biwi ho jayen gay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2486,2487,2488).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar talaq hojay or or aisi orat jic ko bacha ho he nhi sakta kia us ko bhi iddat pori krni hogi
Answer:
Agar shohar, aurat se jima karne se pehle use talaq dede to us k liye koi iddat nahin yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ne aurat se jma kiya ( chaae jima aurat ki aaghe wale sharamgha me kia ho ya piche wale sharamgha me kia ho ) ya shohar ki mani us aurat ki sharamgaah mein daakhil huyei ho to is soorat mein zaroori hai keh wo aurat Iddat rakhe. chahe aulad na bhi hoti ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar saas zul m kary or shohar bhi sath na dy to kiya khula ly sakty hai
Answer:
1: Pehli baat to ye ke saas ke zulm karne or shohar ke sath na dene ki buniyad par khula nahin le sakti hain Q ke Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna mehr ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haq mher larki ko mil gya h or ab larki ne khula le lia h ab kia larki ko haq mher wapis krna pare ga
Answer:
Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492).
[Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya husband apni wife ko aesy kahy ky "tum ny agr fallan kaam kia toh tmhyn talaq". Toh kia aesy talaq ho jaye ge
Answer:
Jee nahin, is tarah Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti.
1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho.
2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey.
4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472).
[Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I divorce my wife but my wife not seen my divorce text
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jee nahin, is tarah Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472).
[Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sawal... MERI shadi ko 9 mhine huye h lekin mere shohar se Mai khush nhi Hu, khula dena chahti hu me unko lekin wo raazi hi nhi h , wo kehre h ki me khula qubool nhi karta aur sign bhi nhi karunga, iss halat me Mera khula kaise hosakta hai..? Aur Bina shohar ki marzi se khula hojaye toh kitne din tak hamara nikah rehta h aur kab khatam hojata h
Answer:
Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
3: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai. Aap faqat darkhast kar sakti hain talaq daina ya nah daina shohar ki marzi hay. aur talaq ke bager shohar or biwi ke darmiyan judai nahin hogi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2475,2492).
[Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamwalekum mujhe ye janna h mere shohar ne subh mere sath humbistari ki ar phir divorce ke stamp paper pe subh sign kr diya bina to kya talaq ho gya unhone muh se bhi ada nhi kiya na he us waqt paki thi humbistari ke turant baad talaq paper pe sign kr diya to kya talaq ho gya
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jee nahin, is tarah Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Mera sawal yeh hai k mane apni bivi ko aik mnth k waqfe se talaq k 3 notes bhijwai hn pehle notes MN aik gawah mojod tha jb k baqi 2 notes MN aik bhi gawah mojod ni tha gawahan k signature bhi khud hi kiye uske ilawa use WhatsApp pe bhi talaq ka msg kiya to kia is tarah talaq ho gy ya nhi hui r agr nhi hui to dobara rajuh kese kiya ja skta ha
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq is tarah Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.
2: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
3: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2475,2492).
[Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa! Agar shohar nashy main ho ya ghusay main ho to kya talak ho jati hai. Aur kya talak bagir gawaho k ho jati hai?
Answer:
(Note: Is website per Fiqh e jafferia {shia mazhab} ke mutabiq jawabaat diay jatay hain).
Aur Fiqh e jafferia ke mutabiq Shadeed ghusse ya nashe ki halat men ya bager gawahobn ke talaq nahin hoti.
Is ke elawa Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 3. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 4. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 5. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoon ki maujoodgi main di jaay, 6. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #475,511. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2464 & pg #460).
[Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa! Agar shohar nashy main ho ya ghusay main ho to kya talak ho jati hai. Aur kya talak bagir gawaho k ho jati hai?
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]