Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (822 Questions)


Showing 800- 822 questions from 822 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
114721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Salam.. Mera Swal Hai k Mainy apni Biwi Ko Adaalti Talak Dedi thi or Hum Alehda Ho gay par lakin phir bhi Hamary Darmiyan Sex ho gaya

Answer: Shia mazhab men court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2492,2503).
(Note: Sharaei lihaz se Aap dono ka nikah baqi hai aur aap doon sharaei taur par miyan biwi hain ).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114740
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Agar koi Shadi shuda banda apni wife jo k 20 saal ki hai aur usko ko baghair bataye chor kar chala jata hai aur uska kuch aataa pata nahi to kab tak wife intizar kar sakti hai dosri Shadi k liye

Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaq na day talaq nahin hoti aur shohar ke youn chale jene se ya rabta na karne ki wajah se talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2492).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
114771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-17

Question: Agarr shohar k susral waly or us ki biwi blackmail karein tou Kya talaq waqeya hoti hai ya nae

Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaq na day talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2492).
[Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-26

Question: Aslam o Alaikum Kya bab apni beti ko zabardasti talak dilwa sakta h

Answer: bab apni beti ko zabardasti talak nahe dilwa saktai. Talaq ka haq faqat shohar ke pass hota hai, kisi aur ko talaq dene ka ikhtiyar nahin yani wo talaq nahin de saktay. Aur jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaq na day day talaq nahin hoti.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2472,2492).
[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-11

Question: mera sawal yeh hai..mere shohar mere saath pichele 2 saal se sath ni rehty.2saal sw woh ghar ni ayay..abh mujhy unhon nain talaq bhaij di h 2 saal baad..kiaa mujh p idat ho gii..

Answer: maktab e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai aap abhi bhi un k nikah mai baqi hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
Note:2 saal sai wo nahi aaye or naan o nafqa wagaira nahi de rahey to aap ko chahye k mujtahid ya us k wakeel sai raabta karein.

[Updated on 11-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-16

Question: Assalamu alaikum Agar kisi ki puri umar kiraye ke makaan me guzar gai or wahi khawind ka inteqaal ho jaye to or unki bewa aurat or bachhon ko apne ghar ja kar iddat kar sakti hai ya jaha shohar ka inteqaal hua wahi iddat puri karna zaruri hai.

Answer: waffaat ki iddat chaad ke hissab se 4 mahene ,10 din hote hai . aurat per wajib nahe hai ke wafaat ki iddat use ghar me guzaare ke jis ghar wo aurat apne sohar ki wafaat ke waqt apne sohar ke sath rehte thi or iddat ke duraain ghar se bahar nikalna bhi haraam nahe hai
(ref:sistani .org ,arabi,topic , aliddat filwafaat ,sawaal no:2, 7)
[Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115034
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: Assalamualaikum Mujhey talak k matter mein discuss krna hai. Meri biwi meray maa pr hath utha ri thy or wo ghussey mein apay sey bahr thy or apni maa ka khoon dekh kr mujh sey bardasht na hua. Or mein ney ghr ki mehfil mein usey 3 bar talak denay ka bola. Jb k mein uaey dhamka raha tha k yeah chup hojae or 1 talak denay k baad dubara mein usey remind kara raha tha k wo chu hojae. Mein islam k talaq k tarikay ko janta houn k its a process. Or hamaray 2 chotay bachay hain. Tou nein dubara rujooh karna chahta houn abhi 1 month hua hai. Help

Answer: Fiqh e jafferiyah main talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahin ho jati hai talaq k liye 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khaayl rakhna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472).
(Note: Aap dono ke dariyam talaq nahin hoi ).
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115035
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: I want to sort out an issue that of my Life, if a person send whatsapp message (I divorce You) to his wife, And really doesn’t have an intention to give divorce and without knowing the reality that it can take place through sms, No arguments and fights or any misunderstand happens between husband and wife, both of them knows that things like this won’t happen on sms. The Husband/Wife only knows that the divorce take place only when husband (By Speaking “Talaq” or by official court letter). He really had no idea about his act that it will consider, If the person know the fact that divorce like this actually took place he won’t do it, His intention was not give divorce and he swear to Allah and Quran that he does want to divorce. A month later, he started his 05 times prayers, Quran, and try to be a religious person as of Ramadan, Only then he came to know that he had done this act of stupidity in past which he does not want at all in the past or in future. He had done this without any knowledge and without knowing the circumstances. What will be the Final Answer as the person Swear to Allah & Quran as well.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
A man who divorces his wife must be of the age of legal responsibility (bāligh) and sane (ʿāqil). If a ten-year-old child divorces his wife, then observing precaution (iḥtiyāṭ) in this case must not be abandoned. A man must also divorce his wife of his own volition (ikhtiyār), and if he is compelled to divorce his wife, the divorce is invalid (bāṭil). Furthermore, he must have an intention (qaṣd) to divorce his wife; therefore, if, for example, a person says the divorce formula (ṣīghah) jokingly or while intoxicated, it is not valid.(Ref: https://www.sistani.org/english/book/48/2341/)

[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: hello Aslam.o.alaikum sir mera ak sawal ha meri bivi pragnent ha 8wa month lga hua ha meny usko ak bat talaq kah dia tha kya ma ussy dubara ruju kr skta ho foran nikah kiye bagair wo apni ami k gar ha wo wahan bachy ki padaish k liye gai thi lekin kal ki rat hamare bich chota sa jgra hogya or meny sms k zariye ak bar talaq kah dia mujhe kya karna hoga please btaiye ga

Answer: Maktab e jafferia mai sms par di hoi talaq motabar nahi hai lihazaa wo aap k abhi bhi nikah mai moujood hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115043
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: Assalamualaikum Recently my mamu passed away and my Mumani is going through her iddat days, my Mumani parents health is not good can she go n meet them. Your quick response will be much helpful.

Answer: wsalam.
wafat ki iddat mai aurat par laazim hai k zeenat na kary or doosri shadi na karey lekin wo ghar sai bahar nikal sakti hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481-2482).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115054
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-06

Question: Shadi ke baad maa baap kahe ke use chor do or main nhi chorna chati. Maa baap dhamka rhe ho ke ham mar de ge. Or shadi maa baap ne hi krwai ho us se pehle mere koi rabta nhi tha.

Answer: Aisay mamelat men maan, baap ki itaat wajib nahin hai aur talaq ke sisile men koi kisi ko majboor nahin kar sakta aur agar kisi ko majboor kar ke talaq de di jaye to talaq bhi durust nahin hoti.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462).
[Updated on 06-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115090
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-22

Question: Salam main ye poochna chahti hoon ky agar Larka shaadi karnay sy pehly hi ye soochle ky usny Talaq de ni hai larki kou aur sath rehty huay bi yhi sooch rkhy ky mujhy nai rehna talaq de ni hai tou kya issy bi Talaq hojaati hai? talaq ka tou sooch kr bi talaq hojaati hai aesa sub kehty hain? Aur agar Larka jhooty Paper dekhaye aur uss pe Sign usky hou aur larki ky kisi aur nay karay hou tou Tab bi Talaq hoti hai Ya nhi? Aesa sub kehty hain ky Talaq ka soochna iss tarah ky Talaq de ni hai tou ye bi talaq hai please mujhy jawab dedi jiyega apnay pehly b jawab nai diye

Answer: Faqat likhne ya sochne se ya urdu men talaaq bolne se talaaq nhi houti balke,
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti.
1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho.
2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main perha jaay.
4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
1) Talaq sirf shohar hi de sakta he, Bivi shohar se sirf talaq ka mutalba karne ka huq rakhti hay, lakin shohar per ye wajib nahi hay k bivi k mutaalba kerne per os ko talaq day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 40 maslah no 2492)
2) Agar shohar biwi ka kharcha na uthae or talaq bhi na de tou Biwi Hakim e shara (mujtahid) se is masle ka hal k liye ruju kr sakti hai, or wo mujtahid halat ko madd e nazar rakhte hue talaq ko jari kr sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 428, Pg # 214, Eidition# 5)shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
Talaq ki chand sharaet hen unke baghair talaq sahi nhin hoti.
1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho.
2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main perha jaay.
4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 22-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-16

Question: Aslam Walikum , Main 14 march 2020 kou pregnancy ki halat main apny susral say nikal gai us waqat main 2months ki hamla thi .. us kay bad 6 months pregnancy kay duran mera husband aa kay mujhy apny ghar laygia ..us kay bad 10 din kay ander meray baby ki death hogai or wo mujhy hospital hi chor kay chala gia .. tab say lay kar main apny walidain kay ghar main ho 22 march 2021 ko mery husband nay mujhy talaq bhaji de or us kay bad akhri talaq 22 ramzan ko 2021 ko de ab sighay honay hai mery to kia mari iddat banti hai ya nhi agar hai too kitna months ki hai hogi .. our main job karti ho tu kiya me iddat kay duran job karskti ho agar karskti hoto us ka kia triqa kar hoga bary mahrbani mujhy mery in sawalon ka jald az jald jawab bata dain shukariya

Answer: 1) Talaq sirf shohar hi de sakta he, Bivi shohar se sirf talaq ka mutalba karne ka huq rakhti hay, lakin shohar per ye wajib nahi hay k bivi k mutaalba kerne per os ko talaq day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 40 maslah no 2492)
2) Agar shohar biwi ka kharcha na uthae or talaq bhi na de tou Biwi Hakim e shara (mujtahid) se is masle ka hal k liye ruju kr sakti hai, or wo mujtahid halat ko madd e nazar rakhte hue talaq ko jari kr sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 428, Pg # 214, Eidition# 5)
1). Agar aurat pregnant ho to talaq ho jati hai laikin is ki iddat bacha paida honay ya zaya honay tk hoti hai. maslan agar talaq k aik ghantay baad bacha paida ho jae to is aurat ki iddat khatam ho jati hai aur agar bacha 5 mahinay k bad paida ho to jab iddat khatam ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2478)
2). Agar shohar ko maloom ho k b.v hamlah hay tu os ko talaq daina sahi hay chahay wo hamlah ho ya nah ho. Or agar shohar b.v ko haiz ki halat main talaq day day or baad main shohar ko pta chalay k oski b.v hamlah thi tu talaq batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2464).
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti.
1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho.
2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main perha jaay.
4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. <br />
6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).

Note: Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay.
1: shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho.
2: Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay.
3: Mard ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ).
Iddat e wafat:<br />
1. Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482)
Iddat e talaq e rajai:
1) Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508)
2. Agr ap k shohar ne apse hambistari nahi ki to ap per koi iddat nahi hai.lekin agr hambistari ki thi to is surat main aap itni muddat tak sabar karen k apko 2 baar haiz aye or phir pak hojaen or jese hi teesra haiz ayega to aap ki iddat khatam hojayegi phir dusra nikah agar kerna chahain to kar sakti hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475)
Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482)
[Updated on 16-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-23

Question: agr biwi ki sister ko koho ma tmari behan ko talaq deta hn to ho jaye gi

Answer: jee nahi maktab e jafferia mai is tarah talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115194
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-25

Question: Mene Apni Biwi Ke Bhai Ko Phone Pe Kaha ke me tumhari behan ko talaq de raha ho woh bhi 3 bar tu kia talaq ho jaye gi

Answer: Maktab e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 25-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115198
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-01

Question: Biwi ne zabardasti shohar se gusse me talaak k liye bola.aur biwi haiz k halat me nahi thi..do juma bhi guzar chuka tha....shohar talak nahi dena chahte the...pr Police aur sasuraal wale.saath mayke wale sab zabardasti bolne lage ki talak bolo takal bolo.to shohar ne teen baar talak bola.. Kya Isse talak ho jata hai?

Answer: Fiqh e jafferia mai is tareeqay sai talaak durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2462-2472).
[Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-28

Question: Talaaq aur khula mein kya farq hai?

Answer: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain.
Talaq ki 2 qismen hain: Pehli qisem Talaq e Baain hai ye wo talaq hai ke jis ke bad mard apni biwi ki taraf rujoo karne ka haq nahin rakhta yani ye ke bager nikah ke dobara use apni biwi nahin bana sakta aur is talaq ki chhe(6) qismen hain: Jin men se 1. Talaq e khula hai aur talaq e khula ye us aurat ki talaq hoti hai ke Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k biwi apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambisteri) ada nah kernay ki dhamki dai. 2. Talaq e Mubarat hai ye wo talaq hai ke shohar or biwi aik doosre ko na chahte hon or aik doosre se nafrat karte hon or aurat mard ko kuch maal is liye day taake wo ise talaq de de to ise talaq e mubarat kehtay hai. 3. Us aurat ko de gayei talaq jis ki umer abhi 9 saal ne hoei ho. 4. Us aurat ko di gayei talaq jo yaaisa ho. 5. Aurat ko di gayei teesri talaq. 6 Hakim e shara ka us aurat ko talaq dena jis ka shohar na us ke akhrajat bardashta karta ho na use talaq deta ho.
Talaq ki Dooseri Qisem. Talaq e Rajei hai ye talaq un chhe(6) qismon ke elawa hai jin ko upar bayan kiya gaya hai. is talaq ka ye matlab hai ke jab tak aurat iddat men ho shohar us se rujoo kar sakta hai yani ye ke nikah ke bager dobara us aurat ko apni biwi bana sakta hai. Aur jis shakhs ne apni aurat ko talaq rajee di ho is aurat ko us ghar se nikal dena Haram hai jis men wo talaq dene ke waqt rihaish pazeer thi. isi tarah ye bhi haram hai ke aurat ger zaroori kamon ke liye shohar ki ijazat ke bager us ghar se bahir jaye. aur Iddat ke doran aurat ke akhrajat shohar par wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2486,2492,2495).
[Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115202
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-28

Question: Salaam main ne rusay se apni biwi ko kia hai nahi rush to toor jaho kisi or kay pass hum ka nikka thot to nahi jaata hum kai pass mashallah 2 bachay to hum ko 10 saal ho gaya hai shaadi se

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliqun (طالِقٌ) k saath perha jaay. 4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5. zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464, & pg #460).
(Note: Mazhab e jafferiya main is tarah sai talaq durust nahi hoti. ye talaq batil hai ).
[Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115204
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-28

Question: Mere shohar ne ek paper per type kara ke mujhe 3 tallq di uipaper ko wakeel se attesed bhi kara liya to kya tallaq ho gai

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliqun (طالِقٌ) k saath perha jaay. 4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5. zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464, & pg #460).
(Note: Mazhab e jafferiya main is tarah sai talaq durust nahi hoti. ye talaq batil hai ).
[Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115220
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-30

Question: Assalamu alaikum Meri biwi bhut pyar karti h aur hum v usese karte h uske ghar wale jabran bol rahe khula lene ko kya imarat sariah mei mera byan liya jayega Hum dono sath rehna chahte

Answer: Shareiyat e Islam men talaq dene ka haq shohar ko hasil hai Aur Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahin hoti or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492).
[Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115264
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-01

Question: Mera yeh sawal hai k mai ek larky ko bht pasand krti hun woh bhi bht pasand krta hai agr shadi istekhare mai na ajaye tou kia koi kaffara hai. Please jaldi bta dein

Answer: Is ka koi kaffara nahin hai. (Ref: Mujtahid say poochay gaye sawalaat, Ayatullah Seestani(d.b), Part #3, sawal #114).
[Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-02

Question: Asalam.e.alaikum. Mera sawal ya ha ka kya larka ka ghar wala jabri talaq matlab ka gunpoint pa talaq laisakta han or agar asa howa ha to kya talaq hoge ya nhii.

Answer: Talaq ke sahi hone ki sharait men se aik shart ye hai k, zaroori hay k merd apne ikhteyaar se talaq day or agar osay apni biwi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. Is ke elawa aur bhi talaq ki sharait hain jin ka pabandi karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464).
[Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print