Showing 750- 800 questions from 876 questions on this page.
Question: Mera ak sawaal hae agr koi larki (wife) khula ka case karae oor uss mae kain jhotae ilzamat hon oor woh larka (husband) sulah kae leea court jae lakin larki (wife) thori daer kae leea elahda mae baat krnae kae leea court mae tayyar na ho, judge buss thori si bt poch kr larki (wife) kae haq mae faisla dae dee oor phr bd mae union council case send kr dae oor wahan pr larki (wife) razi nae ho, matlab larki koi baat krnae kae leea tayyar nae, larkae (husband) sae kisi ak jagan sign kara lain union council walae oor bayan aisae hae kae larki apni marzi sae khula lae rahi hae etc.... lakin larka ander sae tayyar nae hae ussae chornae kae leea oor dosri dafa jb ana ho union council larkae ki jaga koi relatve sign karae oor teasri baar bi issi tarah, asl chease yeh hae kae larka, larki ko kabi nae chorna chahta, buss ak tarah ki zabardasti samj lain, keea iss soorat mae divorce yah khula ho sakti hae? Oor ak oor chease Larki ki shadi ko kain saal hogae hon jiss mae woh st rahae hon ( i mean koi aisi baat nae hae kae shuru ki bt hae jb new shadi hoti hae).
Answer:
(Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diye jaate hain). Aur mazhab e shia main court sai khulaa nahin li jaa sakti us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai, isi tarah agar kisi ko talaq dene par majboor kiya jaye to bhi talaq saheeh nahin ho gi. aur wo aurat apne shohar k nikah mai hi rahay gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Eddition 42, maslah #2492,2366)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dosri BV sy gussa m nikkah talak Dy ya nahi
Answer:
(Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain).
Jee nahin, Jo talaq gussay ki halat men di jaye to waaqe nahin hoti. Q k talaq k liye zaroori hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasad or irada rakhta ho, lehaza gusse or irade k bager ya phir kisi or k kehne se talaq waaqe nahin hoti. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2507)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aoa sir mera sawal ye hay k meri wife nay mujy inform key bager khola lea tha gaalt address day k court main mujy 1 month bad pata chala to main nay wakel kar k appeel kar d us pay ab takreban 3 month r guzar choky hain tareeek par rai hain larki abi tak pesh nai ki us k gahr walo nay bayan k leay . so mera Q ye hay k usy court nay khla ki dgree d thi jis pay main nay apeel kar k stop krwa d is time main us k 90 days b guzar gai lakrki ko kisi ALAM sahib nay kaha a k ap ka khola ho choka a to ap dono na mehram ho ab .mera wakel kehta k court larki ko bulai g dobara bayann k leay r agr wo solah karna chay g to yahi nikah rehy ga ye khola cancel ho jai ga please mujy rehnumai karin kia sach a
Answer:
W/Salam. Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. Talaq ki chand sharait hain k talaq mard apnay ikhtiar sai deta hai na k aurat talaq court se le, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462,2472,2492)
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi aurat bewa hojaye to kiya iddat k doraan wo kisi mard ki awaz mn bayan ya tilawat wagaira sun sakti hai?
Answer:
Bewa k liay ye kaam jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani, jadid fiqhi masail, mafhoom e masla #2481).
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir! Agar koi mard apni biwi ko apne ghar mai nahi rakhta aor talaaq bhi nahi deta, aor wo mulk se baahir ho aor waapis aana hi nahi chahta to talaaq lene ka koi raasta hai.
Answer:
Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara( mujtahid) is k shohar ko husne sulooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : Ayatullah sistani(d.b), Jadeed Fiqhi Masail, 5th Edition, Maslaa # 413, pg # 237).
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri frnd k shoher ny onhy kaha k aap muj s milny nh aaen tou bcx onki ruksati nh hoi nikah hua h only .tou meri trf s apko 3 talak ...tou kia onki talak hogai????
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain. Jee nahi is tareeqe sai talaq durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam meine apny shohar se 6 mahiny door apny maa baap k gjr pe thi or mery husbnd intercous ni kr skty thy bht khoshish k bd ab talaq ka faisla hua to aqa sistani k hisb se iddat ka kia hukam gai
Answer:
Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
[Updated on 06-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia jahez ka saman jo beti or damaad ko aam riwayaat mai ek tauhfa hy os par talaq k baad shohar ka koi haq hy k nahi?
Answer:
Jaheez aik tohfa hay jis per baiti ka huq hay or shohar ka jahez per koe haq nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, Mafhoom e Maslah #150).
Talaq k baad faqat biwi faqat apni chizain lay jaa sakti hay, shohar k tohfe per shohar ka hi haq hay, ab shohar ki marzi hay keh wo biwi ko di hoe cheez wapas lay lay ya biwi ko lay janay day. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen, Part #2, edition 1439, Maslah #1320)
[Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar kai apni biwe se kaye ke agar tum ni ye kam kiya tu tom moj per talaq...or wo ye km kr bety tu talaq hy ya nahi
Answer:
Jee nahi, is tareeqe sai talaq durust nahi hai Q is main talaaq ki sharait moujood nahi hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alakum mere sawal hain agar sohar msgs per sab jgha likha main ne tmhain aone hosh o hawas main talaq di usky bad bolen k mai ne nahi likha kisi or se likhwya jab k biwi janti hain woh msgs sohar ne kia hain tou kya talaq hojae gi or 3 se ziyda dafa alfaz ada kr dya hain
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain.
Talaaq ki sharait mai sai hai k talaaq k seeghay do aadil gawaahon ki moujoodgi mai arabic mai adaa kiye jaayen lehaaza messages par talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine apna shohar s Court k zariya s khula la l ha. Lakin unhe pta nhi tha iss sbka ab pta chala ha tw wo mujha bht mnaa rha hain bachoo k kharcha poora nhi krta tha tw kiya m ab wapis ja skti hoon
Answer:
Fiqh e jafferia mai court sai talaq sahi nahi hoti, or aap log saath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41, Mafhoom e Maslah #2462 to 2472).
[Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein na Apni biwi ka samna kisi Aur ki Talaq ka zikar 3 dafa bola to miya Aur Biwi Mein talaq ho jayti ha kya
Answer:
Jee nahi, Is tarah ki talaq ki koi share haisiyat nahi hai aap dono ka nikah barqaraar hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 15-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ek saas k lia damad mehram hai? or agar saas iddat mein ho tou kya damad k samnay asakty hai?
Answer:
saas k liay damad mehram hay. Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza mehram ya namehram afraad se mulaqat kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482)
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum... Kya iddat me her mehran se bat ki na Sakti he Kam k silsile me?? Or get mehran Ka photo Dekh sakte he??
Answer:
1: Talaq ki iddat k doran sirf nikah karna haram hai. Is ke elawa koi cheez mana nahin hai. Aur wafat ki iddat k doran nikah karna, rang ba-ranga libaas pehnna, surma lagana aur isi tarah ke dusray aisay kaam karna jo zeenat mai shumaar hotay hon haram hain, Laikin Ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza iddat mai baat cheet karna jaiz hai. Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koi shehwat angaiz baat nah ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh-ul-masail, edition #42, maslah #2475,2481).
(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, ques #115, pg #57).
3: Agar lazzat kay qasd k bagair ho to un hisso par nazar dalna jinhe aam tor par mard nahin chupate masalan (chehra, sar, dono hath etc.....) to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pregnency m Biwi agr ghlti s shohar ko kahy k m ap ki biwi nhi hu 3 dfa kahy to kia aladgi hojti h ya nh
Answer:
Fiqh e jafferia mai is tarah sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa...sir meri sister kuch issues ki wja se 2 saal se apny maiky ma reh rhi hen or 2 saal se apny husband se kbhi mili b nhi or un k husband ny ab talaq bhej di ha ....ab meri sister ko iddat krni hogi ya nhi?
Answer:
Jee nahi, Is tarah ki talaq ki koi sharaei haisiyat nahi hai aap dono ka nikah barqaraar hai. jab tak shohar mukammal sharait ke sath talaq na de de tab tak talaq nahin hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr manses k doran shohar bivi ko talaq dy to wo ho jaye gi..2 bar ply di thi pht rujooh kr lya tha..ab 3sri dfa menses ki halat main di..to kya wo ho jaye gi..???
Answer:
Talaq k sahi honay ki khuch sharait hain: jin main say khuch ye hain. 1) Zarori hay k aurat talaq ke waqt haiz ya nifaas say paak ho or us ke shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dena sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Maaloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom na ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni biwi k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahin. Talaq ki mazeed sharait: zarori hay keh talaq ka sigah sahi Arabi k saath perha jay aur do aadil mard ose sunain lakin agar koe merd arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur wakeel bhi nah bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarye talaq de sakhta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur do aadil mard usay sun lain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #2463,2464,24635,2472)
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya khula ke baad aurat apne shohar ke ghar par rah sakti hai ?
Answer:
Fiqh e jafferia mai court sai talaq sahi nahi hoti, or aap log sath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai.
Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. Talaq ki chand sharait hain k talaq mard apnay ikhtiar sai deta hai na k aurat talaq court se le, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462,2472,2492).
Note: Talaq k baad shohar or biwi aik doosre k liay na-mehram hain. Agar talaq k baad bhi aik hi ghar main rehna cahain tu aurat parde main rahe.
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mje ye pochna ta mere husband ne bola agr bhar gyi to talaq ho jye gi lkin naam nai lia ta na tm bola ta or kitni talaq ho gi ye bi nai bola ta to kia talaq hui ya nai or agr hui to kitni talaq hui ?
Answer:
wsalam.
Fiqh e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mereSalam mje te pochna hai mere shohar ne bola agr bhar nikli to talaq ho jye gi unho ne tm ya naam nai lia ta na ye na bola ta 3 ho gi ya ek to is se talaq hui ya nai ir agr hui to kitni ?
Answer:
Fiqh e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, Agr kise behens k dauran koi apni bivi se ye kahay k " agr aapko sukoon nahi to theek hai mn aapko farig kerta hun phir aapko sukoon milayga" kya ye kehne se nikah khatam hojata hai?
Answer:
Jee nahin, Is tarah ke talaq ki koi sharaei haisiyat nahi hai aap dono ka nikah barqaraar hai. jab tak shohar mukammal sharait ke sath talaq na de de tab tak talaq nahin hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalam o alaikum mera apse swal hai k kia idat me aurat apne bety ka rishta leny ja skti hain lrki walon k ghr ? kindly mjhy yeh bta dein
Answer:
Iddat k doran Ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lehaza iddat ke doran baite ka rishta lene ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh-ul-masail, edition #42, maslah #2475,2481)
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar biwi pregnancy main ho or shohar kisi jghry main gussy sy keh dy k agar tum apny baap k ghar gai to bs main tmhy chor dunga r tum jao bs farigh ho tm meri trf sy aur baad m maafi mang ly to kia hukam ha un k rishty k baray main kindly answer zroor dijye
Answer:
Ye talaq batil hay. Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu Talaq nahi hoti.
In men se aik shart ye hai ke Merd talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lihaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahi hogi.
Is ke elawa aur bhi shartain hain, jaisa ke
1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2. Talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay.
4. Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5. Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #2462 to 2464 & pg #460)
[Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh hai k agr husband wife ny sex kia or usi tarha napaki ki halat main shohar apni bv ko talaq dy dy sex k foran bad to kya talaq ho jati hai???
Answer:
Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) k mutabiq jawabat diye jatay hain.
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi karna zaroori hai.
1, Talaq ka seegah saheeh arabi main lafz e “طالق” k saath parha jaye. or agar galat arbi men parha gaya ho to talaq saheeh nahin hogi.
2, Talaq do aadil mard gawahon ki maujoodgi main di jaye (jo zahiran gunahgar na hon or wajib kamon par amal kartay hon or haram kamon say bachtay hon). or agar do aadil mard gawah mujood na hon to talaq saheeh nahin hogi.
3, Zaroori hay k mard Talaq apnay ikhtiar or irade se dai. or agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jaye to talaq saheeh nahin hogi.
4, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day to talaq saheeh nahin hogi.
5, Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay os ki is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. or agar haiz ya nifaas ki halat men di jaye to talaq saheeh nahin hogi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2472).
(Note: Halat e janabat(napaki) men talaq ho sakti hai. lekin dekha jaye ga ke talaq ke waqt talaq ki sharaait bhi mujood then ya nahin. Agar talaq ke waqt talaq ki tamam sharait ka khayal rakha gaya tha to talaq saheeh hogi. Lekin agar in sharait ka khayal nahin rakha gaya tha to talaq saheeh nahin hogi ).
[Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mari hatam khany sy ya Mari bas hatam khany sy Talaq ho jati ha kya
Answer:
Jee nahin, is se talaq nahin hoti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2472).
[Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya iddat krna zaroori hai
Answer:
Jee han, Iddat guzarna zaroori hai chahe Iddat e Talaq ho ya Iddat e wafat.
Talaq ki Iddat:- Agar shohar nay hambistri(intercoursesex) k baad talaq di ho tu zarori hay k talaq k baad iddat rakhi jaay. Or aisi aurat ki iddat jis k 2 haiz ka dermiyani faasla 3 maah se kam ho, ye hay k jab oska shohar osay oski paaki ki halat main talaq day tu wo itni muddat sabar karay k osay do baar haiz aay or paak ho jaay or jonhi osay teesri dafa haiz aay tu oski iddat khatam ho jaay gi or wo doosra nikah ker sakti hay.
Wafat ki Iddat:- Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lehaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress), surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2474,2481,2482)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar mard se uski bivi ko talaq daine par majboor kia jaay tu talaq hojati hay? (Mard ki neyat na ho par majnooran 3 talaq dede)
Answer:
Maktab e jafferia mai jub tak mard apne ikhtiyaar sai talaaq na de talaaq durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikah ho Chuka ho lakn rushsati na howi ho lkn miya bewi my habistri hochuki ho usky bd fasakh e nikah hojaye to usky 15 din bd dosra nikah halal hy ya nahi
Answer: Aap ka sawal wazeh nahi hay, fasakh e nikah se kia murad hay kia aap ki murad talaq hay? 15 din baad kia osi mard se nikah kiya jara hay ya kisi or k sath nikah kia jaraha hay? [Updated on 05-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main ne apni bv ko 2 bar talaq zubani ti thi us k bhat me ne uc k through 2 talaq k notice bje the un ne 3 mahne k bhat talaq musar kar ti thi ab kia me apni bv se tubara ruju kar sakta hn k nhi
Answer:
Fiiqh e jafferia mai is tarah ki talaaq durust nahi hai wo abhi bhi aap k nikah mai hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 17-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi aurat 4 mahine pehle se hi apne mayeke me ho 4 haiz complete hojaye fir talaq ho to kya iddat krni hogi?
Answer:
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.Talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.Talaq ka seegha sahi arabi main (lafz e Taalikun) k saath perha jaay. 4.Talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni biwi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2462 to 2464 & pg #460).
(Note: Agar upar batayei gayei tamam sharait ko madd e nazar rekhtay hoye talaq di jaye to talaq shumar hogi aor iddat hogi, warna nahin).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kon se firke m hamla ourat ko talaq nahi hoti
Answer:
Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) k mutabiq jawabat diye jatay hain.
Jee hamila ko talaq di ja sakti hai balkeh agar haamila hai or haiz ki haalat mai hai tu bhi talaq ho jaey gi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2464).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikkah file me larki ko talak khood lene ka option dena chaiyah ya nahi
Answer:
Biwi ka shohar ki taraf se apne aap ko talaq men wakil banane ki shart rakahna jaiz hai.
(Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1439, maslah #334).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar sohar apni biwi ko talaq nahin dena chahta biwi shahar se talak lena chahti hai to fir ismein adalat ka kya rule hota hai
Answer:
Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain.
Shia mazhab men talaq dene ka haq aurat ko haasil nahin hai balke mard ko hasil hai. aur court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti.
Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
(Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492,2503).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA , Mera sawal ye hy ky kia shohar ko court sy koi notice na receive huwa ho or wo ni janta ho ky khula ka case chal rha hy or court degree de dy to is trah khula hoskti hy kia jabky shadi ky bad donu me koi rishta na ho ?? 2)) or is soorat me iddat hogi ya ni agr hogi to kitni ??
Answer:
Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain.
Shia mazhab men talaq dene ka haq aurat ko haasil nahin hai balke mard ko hasil hai. aur court say talaq nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.
(Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492,2503).
[Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar talak ky aek notice kay bad baki notice na ayai to kia talak hojati hay
Answer:
maktab e jafferia mai court sai talaak nahi hoti balke zaroori hai k do aadil gawahon ki moujoodgi mai shohar apne mukammal ikhtiyaar sai arabi zabaan mai seeghay ada karay. Likhi hoe talaq kafi nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ایک عورت کا شوہر اگر ولیمہ والے دن مر جائے بغیر عورت کو چھوئے تو کیا وہ عورت ایک ہفتے بعد اپنے مرے ہوئے شوہر کے بھائی سے نکاح کر سکتی ہے؟
Answer:
Agar koe aurat baywah ho jaay to qamri (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay. Chahe uske shohar ne us se Jima(Intercourse) kiya ho ya nah kiya ho dono sorton men Iddat e wafat rakhay gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
(Note: Us aurat ko 4 mahinay or 10 din ki iddat rakhni hogi aur is ke bad marhoom shohar ke bhai se nikah kar sakti hai ).
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam.o.Alaikum Sir G Puchna ye tha K Halala karna ho to KiYa sirf dukhool krne se Halala ho jaye ga ya 2no ka farig hona zaroori hai
Answer:
(Note: Is website par Fiqah-e-Jaffaria (Mazhab-e-Shia) kay mutabiq jawabat diye jatay hain.)
1: Fiqah-e-Jaffaria main Halala karnay ki zarorat us sorat men parhti hai jab teen talaqain hoi hon lehaza aik talaq ki wajah say halala ki zarorat nahin parhati hai is liay baghair kisi halala k nikah kiya jaasakta hai.
(Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Edition #1439, part #03, Mafhoom e Maslah #520).
2: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar oski taraf roju kar lai ya osay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar chothi bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hai. jin ki pabindi zaroori hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2491).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera Shohar julum kartha hai,wo Mujhey Talaq nhi detha hai,meri Shadi 2009meye huwi,mujhey Ek ladki hai,2014meye main alag rehthi houn,mera Shohar se Mujhey Talaq chahiye,main Shadi karna chahthi houn,mere husband Talaq, qhula bhi nhi detha hai, main Kya karoun?
Answer:
Agar shohar apni biwi ke huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara(mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara(mujtahid) is k shohar ko husne sulooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed ke mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara(mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed Fiqhi Masail, 5th Edition, Maslaa #413, pg #237).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O Alaikum. Agr nikkah k bad ladka bole k mai is nikkah ko ni manta tou kya wo toot jaega.??
Answer:
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti.
1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho.
2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main perha jaay.
4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mery khula k papers pr kisi or say thump lagwa diya tha or muhjy pata b ni tha muhjy kafi dair bad pata chala k kisi or nay meri jahga khula k papers pr apna thump lagaya ha tu kiya wo meri khula ho gai hai kiun k adalt nay khula phir accept kr li pr muhjy sirf ek paper pr sign krwaya thay wakalt namay pr or wo b fill ni tha kuch b ni likha tha jesy ek wakalt nama hota ha wesy hi diya os pr main nay sign kiye thy bus pr wo fill ni tha main bus itna jana chahti hu kiya khula ho gai ya ni hoi meri kiya main abi b nikkah may hu aony shohr k?
Answer:
Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Shia mazhab men court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492,2503).
(Note: Sharaei lihaz se Aap ka nikah baqi hai).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager mian bv mein 4 saal se koi hez na huva ho aur Usk baad woh tlak de de to kya edat wajib ho giii???
Answer:
Jee iddat wajib hai. Aur jis waqt talaq k seeghay jaari hoay thay os waqt se hi iddat shuru ho jaati hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2480).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam molvie sahab meri biwi ne gusa mein mujha kalama parh kr bhai pukara k tu aj sa mera bhai hy or uski neyat bhe talak ki e thi kia nikah toot gaya humara?
Answer:
Is tarah ke alfaz kehne se shohar aur biwi aik dosre ke bhai, behn nahin ban jate aur na hi in ke darmiyan koi talaq waqea hoti hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462-2472).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janab barae meharbani rehnumai farmaiyega ke fiqa jafriya ke nazdeeq kia ehkamat hain agar orat khula lay lay to talaq waqe ho jaegi ya miyan bivi agar chahain to dubara rujoo kar saktay hain or agar dubara rujoo kar saktay hain to kiya soorat hogi?
Answer:
Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day tab tak talaq waqea nahin hoti. or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahin hoti. or khula mai bhi talaaq mard hi daita hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492).
(Note: Jab court se li gayi talaq e khula saheeh nahin hoti to dobara rujoo karna to buhat door ki baat hai ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Miyan bivi kitany arsay door rahain to taalaq ho jati hy
Answer:
Is website mai fiqh e jafaria ( mazhab e shia ) k mutabiq jawabat diye jatay hain. Or fiqh e jaffriya mai talaq ki buhat sari sharait hain jin ki talaq ke waqt pabandi karna zaroori hai. Or Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462-2472).
(Note: Shohar or biwi chahe jitna bhi alag rahen lekin talaq tab tak nahin hogi jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day day ).
[Updated on 14-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mery shohar ny bagair gawao k mujhy Ek talak de ur phir 3 Sal bad Ek sath do sub k samne to kia Mein is k nikkah sy kharij hogaye ?
Answer:
Fiqh e jafferia mai is tareeqay sai talaak durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 16-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aurat 3 mrtba talaq keh dy to kya ho ga
Answer:
fiqhe jaferia ke mubatbiq ye talaq galat hay
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2491)
[Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere husband ny muje phone par talaq di aur humne abhi tak kisi ko nai bataya. Kia yeh talaq hogai hai agar han tou wapis nikkah ma kese asaktey hain
Answer:
Is WebSite par faqat Aihl-e-Tashayyu kay Fiqhi masail ka jawab diya jata hay lihaza is kay ilawa deegar firqoon say talluq rakhnay walay afraad apnay ulemaa say rujoo karain. ye talaq sahe nane hay or nikah baqi hai kyu ke
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti.
Note: Jis jagha talaq di jay os jagha 2 aadli ghawahoon ka aik sath hona bhi zarori hay jo talaq k seegho ko sunain. Jis aurat ko talaq di jay os ko talaq seeghay sunana zarori nahi hay. Laihaza agar talaq mobile per is terah di jay k 2 aadil ghawah kisi or jagha hoon tu aisi talaq sahi nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). (Ref: email rcvd).
[Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr sohar aese h bewi ko azad kh de lkin talqa ki neat n ho???
Answer:
fiqhe jaferia ke mutabiq Shohar ka aese h bewi ko azad kehnay say talaq nahin hoti,
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462 to 2472, pg #460).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me apny shohar se khula lena chahti hun wo Razi b hain mjhe koi gunah to nahi ho ga ....kion k mere shohar gussay k bht taiz hain logo ko Sarak pe chalty bura bhala kehty ...mere family me a ker attitude show kerty ...mjhe tension rehti k ab kch na ho jaye ab kuch na ho jaye .... Un k sath reh reh k mjhe khud ko depression ho gyaa. Lalchi b hain .. Or mjhe sexually satisfied b ni kerty me shadi k baad 1 and half months sath rahi un k or hardly 6-7 martaba wo mere qareeb aye wo b bht thori dair k liye ....intercourse b hamara proper ni huya
Answer:
Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.. Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na hoor as se nafrat karte ho apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day.mazeed ye keh talaq k liay zarori hay k merd apni merzi ya ikhtiyaar say day,ager os ko talaq per majboor kia gaya ho tu tu ye talaq batil hogi.(Ref: Aytullah Seestani (d.b.) tawzee hul masail maslah # 2492 & 2462).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera khula hua hai my dobara unse shadi karna chahti hoon mujhe wazifa batao wo mujhe phir se rakle
Answer:
Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Shia mazhab men court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492,2503).
(Note: Sharaei lihaz se Aap ka nikah baqi hai aur aap apne ki sharaei taur par biwi hain ).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]