Showing 700- 750 questions from 876 questions on this page.
Question: Sunni larki ki sharabi se shadi hwi... us ne usay haiz me talaq di.... kya wo iddat pori kr k shadi kr skti ha?
Answer:
Aap ki talaq nahin hoyei, Q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. un me se aik ye hai ke talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. is ke elawa aur bi sharait hain jese ke 1.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 2. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 3.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 4.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, Edition 39th, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gussy ki halat mn 3 talaqain ho jati hn
Answer:
Jee nahin, ye talaq nahi hui is liye k talaq k liye zaruri hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasd or irada rakhe, lehaza gusse or bager irade k ya phir kisi or k kehne k talaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya 3 talaq k bad mard aurat sy iddat k duran rujue kr sakta ha
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1- Shadeed ghusse ki halat main talaq nahi hoti. 2) Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen Part#3, Maslah #475,511)
Is ke elawa Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 3. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 4. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 5. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay, 6. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aik e bar biwi ko 3 talaq bol diye jaye to talaq ho jaye gi ya aik talaq e shumar ki jaye gi
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 3. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 4. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 5. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay, 6. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya 3 talaq k bad iddat k duran aurat apna rehny r khny peeny ka khrcha mard apny shohar sy ly gi jis ny use talaq dy di
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen Part#3, Maslah #511)
Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mard 3 talaq aik e bar bolny k bad apni biwi sy rujue kr sakta ha r kya aik e bar kehny sy talaq ho jaye gi ya nahi hogi written form mn abi nahi di just bola ha r 3 bar talaq bolny k bad shohhar dobara rujue krna chahta ha kya wo rujue kr sakta ha
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#475,511 )
Talaq ki shariat mai sai hai k talaq ka seegah sahi arabi main lafz e “طالق” k sath perha jay likhnay sai talaq sahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2472)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: talak k bad agar aurat idat na krna chahye ya kam se kam kitny dino ke idat krni chahye
Answer:
1: Aurat iddat k doran dursa nikah nahi kr sakti, is liye agrchhe talaq hochuki ho phir iddat k doran aurrat apne shohar ki sharaee biwi ki hesiyat rakhti hai, yahan tak k iddat ka period khatam hojaye.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2508).
2: Jis ladki ki umar qamri 9 saal ho chuki ho, aur isi tarah jo aurat yaesa nah ho chuki ho, os ka shauhar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke baad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar use paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh use dobar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle use talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ki mani us ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to us surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2475).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: talak k bad agr aurat idat na kary or foren shadi krly to kia hukum ha .
Answer:
Talaq ki iddat k doran nikah karna haram hai. agar koi aurat se nikah kare jo dosre ki iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya un me se koi aik janta ho keh aurat ki iddat khatam nahi hui aur yeh bhi jante ho keh iddat ke doran nikah karna haram hai to agar cheh mard ne nikah ke baad aurat se jima na bhi kia ho to woh aurat hamesha ke liay us par haram ho jayegi aur agar donon iddat ke doran hone ya iddat mein nikah ke haram hone se bekhabar ho to nikah batil hai, agar humbistri bhi ki hai to hamesha ke liay haram ho jayenge, agar humbistri na ki ho to haram nahi hain aur iddat ke khatam hone ke baad dobara nikah kar sakte hain. (Ref: Aayatullah Seestani, Tauzeehul Masail, Masala # 2365,2475).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sar m oil lgakae gusle janbat hosakta h?
Answer:
Sirf chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana zarori hoga. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat part 04, pg # 26).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya khula ka case dobara ho skta hai agr pehli dfa case file kia ho magr sulah krli jy or kya baby k kharchy ka b case dobara ho skta hai agr pehli dfa wapis ly lia jy to??? Kindly reply must
Answer:
Shia mazhab main court talaq say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 2492)
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoallaikum my question is kai aik Shia Syed Larkin ki shadi Sunni larkai sai hui baad mai Larki nai court sai Khoula lai lia tou Kia wo larkiki doosri shadi kisi Shia Mard sai kar sakti hai. Nikkah mai koi masla tou nahi ho ga
Answer:
Shia larki nasibyon ke elawa sunni larke se shadi kar sakti hai, lekin makrooh hai. albatta agar us shia larki ko apne deen se gumrah hone ka khoaf ho to phir ye shadi karna haram hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij).
Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day tab tak talaq sahi nahin hogi. or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti tu khula mai bhi talaaq mard hi daita hai.(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah sistani(d.b), edition 39th, maslah#2492).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum! Mujhe apka jwab mil gya. Lekin jwab bohat dair say mila hai. Main ne khula lay li hai husband say. Wo na mujhe khrcha detay thay or na 2 sal say mere pas aye thay. Kya ap bta saktay hain k main ne thek faisla kiya hai? Kya meri dosri shadi hogi ya pehla shohar wapis a Jaye ga. Koi wazeefa ya istakhara kr k btain. Shukriya.
Answer:
Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492)
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میرا سوال یہ ہے کہ میں نء اپنے خاوند کو مجبور کیا تھا کہ مجھے خلاء چاہیے تو میرے بہت زبردستی کرنے پر بغیر ارادے کے مجھے تین اکٹھی طلاقیں دی تو کیا یہ خلاء ہے کہ طلاق؟
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
(Note: Aap ki koi bhi talaq nahin hoi. aap abi bhi un ki sharae biwi hain )
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum agha jan Mera nikkah 2013 men howa tha jo ek sunni Molvi ne parhaya tha kya mera nikkah durust hay? Agha jan ager durust nahi to us larki se ab mujhe 4 bache hen or kya mene zina kiya?
Answer:
Agar nikah main seeghay shia fiqh ki sharaet k sath perhe gaey thay tu nikah durust hay. or agar nikah k seghay nahi perhe gaey thay tu nikah durust nahi hoa, laikin Q keh aap ko maloom nahi th keh ye nikah batil hay is liay hambistari ko zina shumaar nahi kia jaey ga laikin aap per wajib hoga keh aap apni bivi se alag ho jain or aap ki bivi apni wati bish shubbah ki 3 haiz iddat rakhe phir os k sath dobara shia tariqe se nikah kia jaey. (Ref: Minhaajus saliheen, ayatullah sistani, maslah#30, 567)
[Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Orat khawand ka address jantey howey court main ghalat address deti hey jis par adalat ki taraf sey notic janey k baad .adalat xparti khula deti hey jis ka khawand ko pata bi ni chalta . Tu puchna ye hey k esey khula ki islaam main or pakistan k qanoon main kya hesiyat hey . 2 esey khula k foran baad orat k nikah ki kya hesiyat hey
Answer:
Shia mazhab main court say talaq nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga aur wohi khulaa dai ga.
Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho ya os ko pasand na karti ho or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 2492,)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere husband ne mujh alag bar kaha talaq ab keh raha h mujh yad nh 2 3 bar boht jagra hwa Quran me kasam khae mujh yad nh bs ak yad h Baki aur koi yad nh me apni hosh aur hwas m nh tha kiya ye talaq waqie hojaegi
Answer:
maktab e jafferia mai aisi talaaq durust nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2462-2472).
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alikum. Mere nikah ko ik saal hua. Mere shohr alug country me rehty. Do br alug alug mokay pr guse me tallaq di. Lkn thori der bd sb tek hogya. Kia is surat me nikah dobara krna hota h? Yani meny suna hai k ruju krne k lye dobara nikah hota h.
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jee nahin is tarah se fiqh e jafferiya me talaq nahin hoti. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai apne sohar se talaq mang rahi hu or wo nhi de rha hai to kaise le talaq
Answer:
Talaq shohar ki marzi per moqoof hai. App faqat darkhast kar sakti hain talaq daina ya nah daina shohar ki marzi hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35th, Mafhoom e Maslah #2462)
[Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum. Sir hamarai shaadi huye 2 saal ho chuka hai. Aur hamari ek auliyaad b hai.. 8 months ki.. kuch mahino pehle mere showhar ne ek apne doston k saath sharaab pii li thii.. isliye mine apne valid aur valida ko bataya. Aur hamarae gharwalon k beech khoob jhagda hua.. toh abhi ham logon k gharon me khulla aur tallaq karwaane pe lage huye hsin.. hum dono ek doosre se bahut pyar karte hain.. abhi hum kya kar sakte hin.. aap mujhe batayen
Answer:
Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, un mene se aik ye hai ke Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. or fiqh e jaffriya main court se bhi talaq (khula) sahi nahi hoti.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2462 to 2464).
(Note: Aap dono apne apne ghar walon ko batain aur samjhain ke Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day tab tak talaq sahi nahin hogi.)
[Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar or biwi jaan buj kar physical relation nhi rakh rhe or usko ko ek saal ke upar ho gaya hai toh kya talaaq maana jaata hai?
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jee nahin is tarah se fiqh e jafferiya me talaq nahin hoti.
Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 14-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: may apnay khawand sy khula layna chati hu .mujy wo pasand na8 han 10 saal bad ab yeh faisla lay rahi hu .magr mayray walidain nai maan rahay wo kehtay han agr tum log gi tw hum sy taluq khatm.may us insaan k sath 2 lamhay nai guzar sakti .mujy khula chahaiy wo insaan khud b khula nai dayna chata.is surat may kya karun My zaheni tor pe bohat perayshan hu .
Answer:
Talaq e khula: Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492)
Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi karen k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh wo aap ko talaq day day. yehi iska qanoni or sharae hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e sharae puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day. (ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg #148)
[Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu Alaikum Miya biwi ke bich 4 saal se hambistari nahi huvi or 4 saal se saath me nahi reh rahai or 4 saal baad 3 talaq de di to us aurat ki iddat kya hai or vo aurat job karti ho abhi or study bhi karti job or study ni chor sakti to is surat me me iddat ka kya masail hai
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jee nahin is tarah se fiqh e jafferiya me talaq nahin hoti. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. What are the proper wording for divorce to pronounce divorce? Talaq ka arabic seegha ka hai? E.g wife name is nadia. Tu mujhy kasy khena hai k sahi divorce ho jye. Thanks.
Answer:
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliqun ( ٌطَالِق ) ke saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg #460).
(Note: Agar talaq ki sharait mukammal hon aur biwi bhi samne mojod ho aur gawah bhi mojod hon to aap apni biwi ko mukhatib ho ke yon kahen ( اَنْتِ طَالِقٌ ) ya agar biwi gair hazir ho to aap gawahon ke samne yon kahen ( زَوْجَتِی نَادِیۃُ طَالِقٌ ). Aur agar talaq ki sharait mukammal na hon talaq saheeh nahin hogi. )
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Baywah orat idat me bhir nikal sakti hai ya ni apny shohr ki qabar pe jana k lia
Answer:
Bewah aurat jo iddat mai hai us k liye ghar sai bahar nikalna jaaiz hai lehaza wo kahin bhi jaa sakti hai.
bus us par ye laazim hai k iddat k doraan zeenat na karay or doosra nikah na karay.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2481,2482).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir agar biwi kisi na mehram sai video chat karay or apnay pistano ki picture os sai share karay'. Or baad mai os kai shohar ku sab pata chat Jay, or biwi bahut sharminda hojay aor Sacha dill sai mafi mangay tu husband kia karay apnay andar ki gairat ku kIsay rokay
Answer:
(Note: Shohar ke liye apni biwi ko talaq dene ka haq mojod hai, aur talaq shohar ki marzi par moqof hai ke chahe to apni biwi ko talaq de, chahe to na de. Lekin Riwayat men hai k talaq shareeat k shadeed makroohat men se ek makrooh amal hai, aur jis qadr mumkin ho is se bacha jaye, lehaza koshish ki jaye k ayse kamon ko anjam diya jaye jis se dubara shohar aur biwi k drmiyan taluqat behtr hojaen. Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Ayatullah Sistani, edition 41, maslah no 2462 t 2464) and (Ref : kitab Naway-e- salaheen, pg # 404)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mery nikah ko 5 sal ho gay han me out of country tha jb pakistan gya to me or meri bv razi thy shadi k liy meri bivi k bhai me msly bnay or shadi mahi hony d jos ki wjha se mujhy majburan 2usri shadi krna pari or meri pehli bivi ne khula dire kr d or me court me bhi nahi gya na tlaq ka irada kia na d to kya os surat me court tlaq dy dy g?
Answer:
Fiqh e jaffriya mai court talaq sai nahi hoti. Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day day tab tak talaaq nahi hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatollah seestani edition 39 maslah #2492)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KIYA ORAT BEWA HONY K BAAD , IDDAT MAIN NAYA KAPRA NAYA DRESS PEHAN SAKTI HY//
Answer:
Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo hamila nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga(colour full dress) libaas pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me shohar k sath 7 months rahi , uske baad 2.5 saal me ussay alag rahi hmare beech intercourse nhi hwa is dohran r ab mjhe talaq aagai hai . Kya mjh per iddat ayegi ?
Answer:
Jis ladki ki umar qamri hisab se poore 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaesa na ho, agar os ka shohar os se hambistari kare aur ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke bad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose 2 bar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Ruhollah Khomeini, Tauzeehul masail, maslah #2507).
(Note: 7 months pehle jab aap apne shohar ke sath thin agar us waqt intercourse howa tha to aap ko iddat rakhni ho gi aur agar us waqt intercourse nahin howa tha aur baad men bhi nahin howa to aap ki iddat nahin hogi.)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri shadi k 7 months baad kuch maslay ki wajah se me wapis waldein k Ghar agai r uske baad hmare beech intercourse nhi hwa r 2.5 saal baad mjhe talaq agai . Kya mjh pr iddat hogi ? R agar hogi to kitne arsay Tak ?
Answer:
Jis ladki ki umar qamri hisab se poore 9 saal ho chuki aur jo aurat yaesa nah ho chuki ho, os ka shohar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke bad Iddat rakhe. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shohar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose 2 bar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa haiz aa jaey to os ki Iddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shohar ki mani os ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to os surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah #2475).
(Note: 7 months pehle jab aap apne shohar ke sath thin agar us waqt intercourse howa tha to aap ko iddat rakhni ho gi aur agar us waqt intercourse nahin howa tha aur baad men bhi nahin howa to aap ki iddat nahin hogi.)
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mn ny apny husband s court marriage ki te hum her sal mn 4-5 bar milty ty or intercourse b hota ta...ab mn apny shohar s khula lay li hay,,is par meri iddat ki muddat kitni hy or main job krti hun kia mn ofc jaa skti hun....khula s phly mjhy apny shohar s mily huy 4 maah ho chuky hen...
Answer:
(Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain).
Fiqh e jafferiya main court marriage kafi nahi hay ehtiyaat e lazim ki bina par balkeh nikah k alfaz zuban say ada karna zarori hen lekin wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah daimi mutah nahi ker sakti jab tak lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho wo ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay (ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah 2328 2341)
(Note: Jab court marriage sahi nahin hai, to talaq to ki zarorat hi nahi hai).
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum.. Mere Phoppi ki iddat khatm honay wali hai. and aik rasm hai hamaray khandan mein k kapray wagra dye jayengay phoopi ko. Mujhe yeh pochna hai Islam ya Sunnat kia kehte hai. and kiya dena chahye. Jazakallah
Answer:
Ye dunyavi rasam hay, Quran o hadees main is ka koe zikr maujood nahin hay.
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager aurat apne shohar ko pasand na kre or wo shaks usko satisfy b na kre toh kiya in surat mn khula le sakte hn, kiya shariyat mn hai k sohar na pasand ho or ap na rehna chahte ho?
Answer:
Talaq e khula: Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492)
(Note: Aap apne shohar ko talaq daine par razi karen k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay bakhsh dain taakeh wo aap ko talaq day day. yehi iska qanoni or sharae hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e sharae puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day. (Ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg #148)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager bivi ko shohar se nafrat ho jay to kya wo khulla le sakti hai
Answer:
1: Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai.
2: Mazhab e shia mai court sai khulaa nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahi wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri cousin ko 2 tlak muh s hui or ek notice aya or 4 mheeny guzr gy ? Kia ab b wo us mrd k nikah mn hai ya nahi?
Answer:
is tarah ki talaak maktab e jafferia mai durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 malsah no 2462)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa.Mere walid ka kisi or larki k sath taluq hy.Mai nai janti k wo lrki unke nikkah mai hy ya nai par wo baqaidgi sy haftay mai 2-3 baar us k pass jatay hain.Meri walida bht pareshan hain or roti rehti hain.mere walid ko is baat ka ilm nai k hum unke is taaluq k baray mai kuch jantay hain.Meri walida sy wo bht lartay hain.unho ny yeh tk keh diya k mai tmhe 3 ikathi talaaq deta hu.kya talaaq ho gai hy? Dono alag alag room mai sotay hain.kafi mahinay baat nai hoi unki.ab bs salaam hona shuru hoi hy.mai chahti hu k mere walid hum 3 bachon or meri walida sy pehle ki tarah pyar karain or us dusri aurat ko chor dein jo humara ghar tabah kr rai hy.koi azmuda wazifa bata dijiye jis sy mere walid dubara sy humare sath sincere rahain or us dusri aurat ko chor dein.
Answer:
(Note: Is website per fiqh e jafferiya(shia mazhab) k mutabiq jawabaat diay jaatay hain).
1: Aap ki walida ki talaq nahin hoye, Q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1, k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima intercourse nah kia ho. 2, talaq strong zabani dijaay yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliq k saath perha jaay. 4, talaaq do adil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5, zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6, merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi.(Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2462 to 2464 pg 460)
2: Mard par 4 shadi kerna jaiz hai, chahay uski biwi ijazat nah bhi day. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), minhajus saliheen, part #3, maslah #202).
3: Aik musalmaan biwi ko apne shohar ko dosri shadi karne se nahi rookna chahiye Q ke Riwayat ki roshni main mard ka aik se ziyada shadiyan karna Allah Taala ko pasand hai. (Ref : Nigah aur libas sawal #106 pg #69)
4: Miyan biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se dono me bemisal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)
5: Agar mian biwi me ikhtilaf ho gye ho to dano me se aik awal o aakhir 11 bar salawat kay sath ba-wazu qibla rukh musalay per baith kar 100 martaba darg zail kalimat ka wird karay to haftay bhar me hallat sazgar ho kar daimi mohabbat me tabdeel ho jain gay. (Bismillah hirrahmanir raheem bismillah hil waasiea jalla jalala hoo)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo Alaikum, Janaab ek maamla fasa hua hai, mamla ye hai ki ek nikah hua aur jis din nikaah hua us date ke 4 months Pahle ki likhayi gayi. Nikah nama shauhar ke pas hai aur ladki mayke me hai. Ladki Khula lena chahti hai par ladki ke paas na to Nikah nama hai aur nahi nikah ki likhai gyi date aur jis shahar me nikah hua qazi bhi waha ka nahi tha ladke ne kahi bahar se bulaya tha. Shauhar nato nikahnama ki copy derha na date bata rha na ye ki nikah ke liye kon se qazi ko bulaya aur kaha se. To ab ladki khula kaise apply Kare? Bara e meharbani bataiye
Answer:
(Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Talaq khula: Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liye day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai.
2: Mazhab e shia mai court sai khulaa nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu Alikum ...kya iddat main mere Ammi T.V Dekh sakte h ...???
Answer:
wsalam.
jee tv dekhne mai koi maslah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481,2482)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar mai aur mere shohar 4 mahinay saath nhi rahe kuch larai ki waja se ghar agyi mai apne aur unhon ne divorce papers bheje jis p aik martaba unhon ne sign kia aik martaba maine toh kia divorce hojati hai kyun k unhon ne samne bol k ya phone p bol k nae di srf paper p sign kar k bhijwa di aur mai 2 mahinay ki iddat bhi karchuki hun 1 mahinay ki idat rehti union walon ki taraf se abhi certificate bhi nae aya
Answer:
(Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Is tarah se talaq nahi hoti. Talaq ki kaafi sharaet hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, pg# #357).
Talaaq ki kuch sharait hai jin ka talaq k waqt hona zaroori hai jesey k 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq k seegho ka Arabic mai parhna zaroori hai. 4. is k ilawa do aadil gawah ka moujood hona zaroori hai. waghera waghera…..agar ye sharaet moujood nah ho to talaq durust nahi hai lehaza fiqh e jafferia mai court sai talaq sahi nahi hoti, or aap log saath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41, Mafhoom e Maslah #2462 to 2472).
[Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mara husband ny 3 alag alg moky pr mujy akaly ma gussy ma talak di ha to kya asa hmari talak ho gai hai or ak bar ma haiz sy bhi thi please bta dain
Answer:
maktab e jafferia mai shadeed ghussay ki haalat mai or baghair 2 adil gawahi ki baghair talaaq durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam.o.Alaikum mera sowal ye hai agar mard k sath ko bahir ka saya ho aur wo ghusse ki halat main talaq de de aur usko yad bhi na ho talaq ho jati hai
Answer:
wsalam.
Sahdeed ghussay ki haalat mai talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main or meri biwi ek sath khushi khushi zindagi guzar rhy hyen lekin meri biwi k ghar walo ny mere parents k jholi nein Quran rakh kr kaha hy k main apni biwi ko talaq de du taky wo uska rishta kahin or kr k waha se rishta le skyen jb k meri biwi mujh se talaq nahi chahti
Answer:
Aap k liay aisi baaton ko tasleem karna zaroori nahi hai, talaaq ka ikhtiyaar aap k paas hai, aap dain ya nah dein. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq k bath doobara usi ladki se nikah Kiya ja Sakta hai ??
Answer:
Jee bilkul iddat k doran ruju kia jaa sakta hai or agar iddat khatam hogayi ho tou dobaara nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2488).
[Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamialaikum, agar sohar talaq e khula k time pe us jagah pe na ho to aur dusri country me ho to kya biwi talaq e khula k liye uske maa bap ko maher de skti he?
Answer:
(Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Talaq khula: Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liye day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. 2: Mazhab e shia mai court sai khula nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai.
3. Phone py mard khula dy skta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slam. I am 35 year old shia muslim having a permanent and temporary wife. I am fulfilling the all rights of my permanent wife... She is asking me to discared muttah marriage. I do not want to discared because my temporary wife is converted from suunni fiqa to shia fiq and is 40 years old. She is not going to marry permanently with any one in future due to overage and because her family is sunni. So i want to support him as long possible. My permanent wife is threating me to discared otherwise i will go to wakeel of ayat ullah seestani to demand talaq e khulla. She said i hate u so much upon ur this act( u have a temporary wife) that i can demand divorce from wakeel of ayat ullah seestani. My question is that can she demand talaqe khulla due to this reason..? Will the wakeel of seestani sahib will spoke seegha of talaq for her..? I donot want to leave her and also do not want to discared mutah marriage.. I will never divorce him because i am fullfilling all basic and secondary rights of my permanent wife.pl ur kind guidance..
Answer:
No, that cannot she demand talaq khula due to this reason. And if the husband is fulfilling all his shariah rights, then no one can force him to divorce his wife. (Ref : Ayatullah sistani(d.b), Jadeed Fiqhi Masail, 5th Edition, Maslaa #413, pg #237) & (Ref: ehkaam e azdawaaj, Farasi kitaab, pg#148)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia kisi se nikah ka rishta torhna gunnah hai ? Agar wo ap ko pasand na hu .
Answer:
Jee nahin, Lekin Riwayat men hai k talaq shareeat k shadeed makroohat men se ek makrooh amal hai (yani ye amal hai k jis se parhaiz karna behtar hai) lehaza jis qadr mumkin ho is se bacha jaye, lehaza ap koshish karen k aise kamon ko anjam den jis se dubara biwi aur shohar k drmiyan taluqat behtr hojaen. Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (Ref: kitab Naway-e- salaheen, page #404)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu aalekum.mene sadi ke 4manth ho chuke hai or mete ye swal hai ki mene gusse me apni wife ko talaq dedi hai or uske baad bhi hum dono hi es talaq ko nhi mante hai to bhi talaq ho jati hai ya nhi
Answer:
(Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Jee nahin, ye talaq nahi hui is liye k talaq k liye zaroori hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasad or irada rakhe, lehaza gusse or bager irade k ya phir kisi or k kehne se talaq waaqe nahi hoti.
(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, 41st edition, maslah #2462 to 2472)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene apni wife se phone par baat karte huvaie or ek Saks ki call France par mojudgi par 3martaba talaq di hai lekin hum dono es talaq ko nhi mante hai or ek dusre ke sath hi rhena chate hai to kiya reh sakte hai ya nhi
Answer:
(Note: Is website per Fiqh e jaffariya(mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Shohar k aisy kehnay say talaq nahi hoti,. Talaq ki kaafi sharaet hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, pg# #357). Talaaq ki kuch sharait hai jin ka talaq k waqt hona zaroori hai jesey k 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.talaq k seegho ka Arabic mai parhna zaroori hai. 4.is k ilawa do aadil gawah ka moujood hona zaroori hai. 5.talaq ka qasad or irada ho wagera wagera...... agar ye sharaet moujood nah ho to talaq durust nahi hai lehaza aap log saath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41, Mafhoom e Maslah #2462 to 2472)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum sir. Shadi se pehle yaani mangni k dauran agr apni mangetr se sex kr lia jaye aur shadi k baad apki biwi apko taana de aur alag honay k mutalba kre k tum ne mujhse sachi mohobbat nahi ki shadi se pehle sex kia tumhe mera jism pasand tha main nahi. To kya uska alag honay ka mutalba darust hai? Shohar ko ko talaaq de deni chahye. Jab k shohar nahi chahta talaq dena.
Answer:
1: Mangetar dono aapas men na-mehram hote hain, nikah k baghair dono mian, biwi shumaar nahi hote. lehaza nikah se pehly mian, biwi wale taluqaat qaaim karna haram aur gunah e kabira hai. aur is gunah ki wajah dono par tauba karna wajib hai.
2: Aisa mutaliba karna durust nahin hai aur shohar k liye aisi baaton ko tasleem karna zaroori nahin hai, Q ke talaaq ka ikhtiyaar shohar k paas hai k chahe to shohar talaq day ya chahe to talaq na day.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus sliheen, Part #1, maslah #30).
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 42, maslah #2462-2472).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: , biwi Bar Bar jhagada Karen aur yah dhamki De Rakhna Hai Rakho Nahin Chhod Do To Kya Karen
Answer:
Shohar k liye aisi baaton ko tasleem karna zaroori nahin hai, Q ke talaaq ka ikhtiyaar shohar k paas hai k chahe to shohar talaq day ya na day.(Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition 42, maslah #2462-2472).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere shoher ki mujhse pehle qulah hoi thi lekin ab wo dono dubara sath aana chahte hai kya ye jayaz hai bina mere ijazat name ke
Answer:
(Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diye jaate hain). Aur mazhab e shia main court sai khulaa nahin li jaa sakti us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai, aur aap apne shohar k nikah mai hi rahain gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Eddition 42, maslah #2492,2366)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]