Showing 650- 700 questions from 876 questions on this page.
Question: I want to ask one question .if husband and wife don't live together after marriage and husband gives 3 divorce together and 4 month spend in which case wife can be marriage from that husband or she will be halala please tell me my answer.thanks a lot.
Answer:
Fiqh e jaaferiya k mutabiq ye talaaq durust nahi hai. ye dono abhi tak shohar or biwi hi hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi shakhs apni bv ko talaq samny keh kr to na dy mgr logo sy kahy k me to isy talaq dy Chuka hon to iska Kia hukam h bv jb sun ly logo sy ye bat?
Answer:
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh (notice)ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taliq“طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil gawahon ki maujoodgi main di jaay (jo zahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) . 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 2507 to 2518)(Note: Agar aap ne in sharait ko madde nazar rakhtay hoye talaq di thi to talaq ho jai gi lekin agar aap ne talaq dete waqt in sharait ko madde nazar nahin rakha to taalq nahi hogi.)
[Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum YA ALI A.S MADAD meri biwi ny mjhsy 7 din pehly khula lia h or ab wo wapis ana chahti h to us k liye kia proccedure lagoo hoga shariat k hisaab se
Answer:
1)Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab shohar biwi ko talaq dega tab hi talaq ho sakti hai.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/)
2)Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko kehtay hain, jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).(Note: Agar upar diye gaye fiqhi masale ke tehat aap ne apni biwi ko talaq nahin di thi to talaq nahin hogi aur aap bager nikah ke ruju kar saktay hain.)
[Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alaikum, Sir agar husband or wife ki lrai hoi ho or os ky bad husband out of country chala jay or vha ja kar wife se call par khy ky tm mjhy btao ky tmhre khandan valo ny hmari lrai ky bad mjhe kia kia bora bhala kha ha or agar aik aik bat nai btao ge to mere taraf se talaq ha tmhe to mera sawal ha ky yha agar wife aik aik bat na btay husband ko ya har bat na bta saky to kia talaq ho jate ha ya nai?
Answer:
wsalam. Fiqh e jafferia mai ye talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 01-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum meri shadi meri cousin sy hoi hai main usay pasand nahi krta or us sy mery pahly din sy izdawaji taluq nahi hai wo talaq b laina nahi chahti or nahi ya k Sath rehna nahi chahta islam is baary main kya kahta hai
Answer:
Nikah ki sharait men se hai k mard aur aurat dono shadi per razi hon lehaza mard aur aurat ki razamandi ke bager nikah sahi nahi hai.
Fiqhe jafira me talaq dene ka haq aurat ko haasil nahe hai balke mard ko haasil hai. yani mard chahe to talaq day chahe to na day.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335,2503 )
[Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikah 2015 me huwa 2016 me khula liya maine uske next week hum mil gai kya mera nikah h ya katam hogya..
Answer:
Talaq e khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti, is lihaz se aap abhi tak apne shohar ki zojiyat men hen or ap k liye koi iddat nahi hai (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492).
[Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikah 2015 me huwa 2016me maine khula liya khule k dusre hafte me hum mil gai kya mera nikah me hu ya nhy
Answer:
Talaq e khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti, is lihaz se aap abhi tak apne shohar ki zojiyat men hen or ap k liye koi iddat nahi hai (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492).
[Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Idat Ka time kB shuru hota he 1st talaq mlnay k bad Yan 3talaq mukamal honay k bad idat Ka time shuru hota he
Answer:
Jis waqt pehli talaq k seghay jaari hoay thay os waqt se hi iddat shuru ho jaati hay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2480).
[Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamwalaikum. Hamara sawaal ye hai ki agar biwi apne shohar se talaq lena chahe to shohar ko apni biwi ko mehar ada karna hoga ya nahi. Qki shohar kharcha nahi uthate maarte hai bahut zulm karte hai isliye talaq chahiye.
Answer:
Talaq e khula main aurat apne shohar ki taraf mael nahi hoti or os se nafrat karti ho, apna mehr ya koe or maal baksh day takkeh shohar os ko talaq day is taraah ki taalaq ko talaq khula kehte hain. App ki talaq min is talaq e khula ki sharaet maujood nahi hain, lehaza shohar per talaq daine ki sorat main meher wajib hoga. (Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2491+ minhajus saliheen, jild#3, maslah#308)
[Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shohar n mazak m kaha ho k "tmhein farigh krdunga zindagi sy" aur biwi ghalat samjhi ho k shohar n kaha hain farigh krdunga zindagi s apni aur phr shohar n puri baat waps repeat ki ho k "tmhein farigh krdunga zindagi s apni" misunderstanding door krny k lye to kya talaq hue?
Answer:
fiqhe jafferia ke mutabiq Shohar k aisy kehnay say talaq nahi hoti, haan agar aap ka shohar talaq daina chahay tu phir os ko talaq ki sharaet per amal kerte hoay talaq daina hogi. (Ref: Minhaj us saliheen, jld#3, masla#473).
[Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humbistri me agar larki or larky 2no ko feelings aae lekin puri trha discharge na hosky naturally hi to halala li shart puri hogai?? Haq e zojiyat ada hojaega??
Answer:
fiqhe jafferia ke mutabiq ,Halala karnay ki zarorat us sorat men parhti hai jab teen talaqain hoi hoon lehaza aik talaq ki wajah say halala ki zrorat nahi parhati hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #520)
[Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khula kitne din mn hojati hai
Answer:
Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hoti hai ke Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Lekin court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh e ul masail Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492).
[Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi ladki khula Lena cahti hai aur ghar wale mana karte hain to kya ye Sahi hai
Answer:
1)Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab shohar biwi ko talaq dega tab hi talaq ho sakti hai.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/)
2)Talaq e Khula: ye us aurat ki talaq ko kehtay hain, jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-O-Alaiqum ager aurut khula lay Kar Apnay ussi shohar hay saath rehsakti hay jis say khula Lee hay?
Answer:
Note: Is web par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain, Aur Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Jab tak shohar apnin marzi se talaq na dede tab tak talaq durust nahi howa karti. aur court ki talaq k baad bhi aurat apne shohar ki bivi hogi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia sober say Court may khula Leni wali aurut Apnay shohar Kay saath rehsakti hay
Answer:
Note: Is website par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain. Aur Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Jab tak shohar apni marzi se talaq na dede tab tak talaq durust nahi howa karti. aur court ki talaq k baad bhi aurat apne shohar ki biwi hi hogi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum.. me apni shadi k 4th day apny parents k ghar agae hun.. mry husband proper tariqay sy haq-e-zojiat nahi ada kar saky.. par mjhe andaza hai k thora bht intercourse howa hai ak bar.. but me 4th day he apny ghar agae or phr shadi k ak month bad he mne mutual divorce lay li hai.. jis time divorce k paper par sign howy .. me napaki ke halat me the.. ab mri iddat kia hogi?? me iddat k shumar mei os periods ko b count karu jo talaq k waqt thy ?? guide kejye plz
Answer:
Is web site per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein.
Ye talaq sahi nahi hai. kyu ke talaq ke sahe hone ki chand shartain hain agar wo nahe hoghe tu talaq sahe nahe hoghe :Talaq ki shriat hain k talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taliq (طالق) k saath perha jay, talaaq do adil gawahoo ki maujoodgi main di jay (ke jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon), zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. lihaza baqat divorce paper pe sign karne se talaq nahin ghoti. Aur jab talaq hi nahi hui hai is ka matlab hai k aap os ki biwi hain apnay shohar k ghar chali jain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462 to 2472)
[Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalaekum, meri khala iddat mein hain,kya iddat mein mamu zaad behan ke bete se parda hai. Wo mere shauhar bhi hain.
Answer:
Jo afrad iddat se pehle na--mehram thay wo iddat k doran bhi na-mehram hoon gay. iddat k doran na-mehram se baat karna haram nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2480-2484).
[Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: M ny apni bv sy kaha k tm apna hath mt katna wrna wrna hamara rishta khtm..kafi time bd usny apna hath kat liya. Kia hamara rishta ab khtm hugya??
Answer:
(Note: Is website par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain.) Aur Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Jab tak shohar apni marzi se talaq na dede tab tak talaq durust nahi howa karti.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Divorce k baad iddat itni hoti hai (iddat zaruri hoti hai ya nhi ?
Answer:
Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
[Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek sawal hy agr meri biwi sy ni bani aur kuch aesi cheazy dekhi me ny jo k boht na qabil e berdasht the jiski waja sy me roka b kafi dafa magr ab me os sy alada hona chahta hu kya Quran ki Rooh sy me talak dy skta hu ya mujh prr gunah hoga????please ans
Answer:
Jee han Aap usay talaq de saktay hain, Q keh talaq dene haq shohar ke pass hota hai, lekin talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti.
1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho.
2. Talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay.
4. Talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5. Zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6. Mard talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum sir mera question hy agr aik orat ko 3 talaq hu jaye or wo halala karey or jis din usky halala ka nikkah hu or raat ko usky halalay ka sohar mar jaye hambistari kiye bagher to kiya wo phaly sohar k liye halal hu jati hy ya nai??
Answer:
Is website par Fiqh e Jaffariya ke mutabiq jawabat diye jatay hain.
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA AGAR GUSSE HI HALAT MAIN EK BAR MSG MAIN TALAAQ LIKH KAR SEND KAR DIYA JAYE TO KYA TALAAQ HO JAYEGI.JABKI NIYAT TALAAQ DENE KI NHI HAI.
Answer:
Talaq sms k zarie nahi hoti hai aur na hi ghusy mein hoti hai q k talaq ki shriat hain: 1.Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum, Mera question hai ke agar mard ghusse main apni biwi ko talaq de aur phir ruju ker le aur talaq dete waqt gawah bhi mojood na hon aur aisa 3 baar mukhtalif auqaat main ho to kia talaq waqia ho jati hai? Ab 5 saal guzar gaye hain aur ghalati ka ahsaas bhi ho gya hai ke aisa hona nahi chaiye tha to kia biwi se ruju ker sakte hain? Jabke aik beta bhi hai jo 7 saal ka hone wala hai aur abhi tak dono mian biwi single hain. Is per koi mustanad hadees ya Quran ki roshni main jawab de dijiye please
Answer:
Is tarh se talaq nahin hoti, is liye k talaq ke liye zaruri hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasad or irada rakhe, 2 adil gawah maujood hoon, lehaza ghusse ki halat me talaq waqe nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472
[Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر شوہر بیوی کی غیر موجودگی میں طلاق دے تو کیا طلاق ہو جائے گی یا نہیں..؟؟؟
Answer:
Talaq ke waqt Biwi ka mojood hona zaroori nahin hain. Lekin biwi ki mojoodgi ke ilawa Talaaq ki chand aur shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke
no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
no.2 talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay.
no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
(Note: Agar aap nay uper biyaan ki gayi sharait k mutabiq Talaq di thi to aap ki talaq ho jaaigi. aur agar aik bhi shart kam ho tu talaq nahi hoti.)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام علیکم میرا سوال یہ ہیں کہ ہم نے کورٹ میرج کی تھی اور دس دن کے بعد لڑکی کے گھر والوں کی وجہ سے طلاق ہوگئی اس دوران میں نے لڑکی کو ہاتھ نہیں لگایا اور طلاق ہوگئی لیکن اب لڑکی کے گھر والوں کو احساس ہوا کہ ہم نے بہت بڑا گناہ کر دیا ہے اب اس گناہ کو ختم کرنے کے لیے ہماری دوبارہ شادی کروانا چاہتے ہیں کیا ھلالہ کیے بنا دوبارا نکاہ ہو سکتا ہے
Answer:
Court ka nikah durust nahin hai, Q ke Kunwari (virgin) larki us waqt tak nikah nahin ker sakti jab tak k larki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat deden, bs jis jagha aurat k liye baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat liye beghair nikah karen to us ka nikah batil hai. Lekin agar baab ya dada bad me ijazat de den to dobara nikah karna sahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr biwi kisi gair shaks se pyar karny lagy aur wo continous two years tak aik dosry se relation rakhy, is bech wo ghomty phirty bhi hon car mai, shoppoing bhi sath karty hon aur sex bhi kia ho (not intercourse but complete sex), tu is sorat main shohar ko kia karna chahye.
Answer:
shohordaar aurat ka is tarh se gair mard ke sath taluqaat rakhna jaiz nahin hai. laikin ye aurat apne shohar par haram nahi hoti (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#2367 ).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam in alaikum Mera sawaal yae hay Kay meri biwi meray sath hansi Khushi Zindagi guzaar rahi thi 1 chotha say jaghra hua phir Janey mujhey maaf bhi kardiya tha achacnak uskay Ghar waley aye or zabardasti usay lay Gaye or sub raabtey khatam Karwa diyae meray say phir uskey bhai nay Baar Baar mujhey gussa dilaya or Kaha Kay talaaq du or meray Ammi Abu ki toheen ki mein talaaq nhi dena Chahta unhun nay Kaha hay Kay hum court say talaaq leingay or haakim e Shara say seeghay parhwaien gay kya talaaq hujayegi is tarha mein talaaq nhi dena Chahta or apna Ghar bachana Chahta hun plz reply
Answer:
1-Jee nahi is tarah sai mazhab e jafferia mai talaq nahi hoti. Q keh Talaq detay waqt Zarori hay k mard apne ikhteyaar se talaq day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq nahin hoti hay. Is k alawa Talaq ki aur bhi chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 masail no 2462-2472)
2-Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahi hoti or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492).
[Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere sawal hain agar nikkah hua ho ruksati or husbnd wife ki larai main sohar sirf yeh keh de k hain mere irada hain.. tou kya talaq hojati ha? Plx ans me
Answer:
Is tarah se talaq nahi hoti. Talaq ki kaafi sharaet hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, pg# #357).
[Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: *السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَ بَرَكَاتُه* Please assist. Sir jee.. Mein south africa mein rehta hun. Actually Mere biwi holiday per gaye thi apni ammi ke ghar england december 2018 mein. Baad mein uss ne apna mind changed ker leya wapas nahy anay k leye . Mene uss ka 2020 september 1 tak wait keya. Phir mene usse darane ke leye mene south african community ke jamaat ke samne withness ke saath pehle (1st) Talaaq de di paper per likh ker (9 september2020) Abb muje ruju karna hain lekin larki tayaar nahy ho rahe ruju ke leye, keh rahe hain ke mene usse divorce dedi hain aur 3months bhi hogaye hain. Dosri baat larki kudh muje bata rahe hain ke jab mene usse first talaq di thi. She was On her periods. Can you please tell me. Mein keya karu ? Keya hamari talaq hogaye hain ? Mene usse first talaq ke baad bhi bohut manaya lekin woh mann nahy rahe.. we have 2kids too.. woh yahe bol rahe hain ke hamara talaq ho chuka hain . Pls guide me briefly if u can pls. جَزَاكَ اللهُ خَيْرًا
Answer:
Fiqh e jafferia main Is tarrh talaq nahin hoti. Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohr bv me narazgi ho( 10 year )sall tk 2no apna rishta age chalana na chahte ho to fr b talaq lena lazim he ya zyada arsa door rehne se talaq ho jati he ..kuch roshni ki request
Answer:
Ziyada arsa door rehne sai maktab e jafferia mai talaaq nahi hoti.(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir agr koe nikha kre r nikha k bad talaq Dy Bina ruksti k tu Kia PHR dobara usi lrki sy nikha kr skta h....thanhi m wo milen hn laken koe kilwat wagera na hue tu Kia usi lrki sy dobara nikha jaiz ha
Answer:
Talaq ki khuch sharait hen, agar aap aik talaq de chuke hen apni biwi ko to teesray haiz aanay se pehlay aap apni biwi se agar ruju kerna chahtay hain tu ker sakte hen bagher nikah k, albatta agar teesra haiz aa jaey tu phir ap dubara nikah ker saktay hain. (Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship qaaim kerna,) or ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai 1)shohor aisi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2) koe kam kare or us kaam se ruju kerne ka irada kare or jimaa (humbistary) kerne se ruju sabit hojata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 33rd edition,msla#2488).
[Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sewal ya h k agr shohar ne ghr say bahir ja k sirf baap ko kaha ho k telaq di tu ghr walon main say kesi ne na suni ho or biwi ne bhi ni suni ho tu kea telaq ho jayi h.?
Answer:
Fiqh e jafferia main Is tarah talaq nahin hoti. Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar ne bivi ko family k kehny pe talaq di ho, khsoosan walida to ye talaq jaiz hai? Rukhsati abi ni hue the, bs fone pe he baat hoti rahi the. Ab talaq k seeghay ho gy hain mgr online huey husband gwah k sath mojood ni thy. Ye talaq e bain hai to ruju mumkin hai? Dobara nikkah krna chahain to?
Answer:
Ye talaq sahi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum please btayen k ab mera husband muslman nhi rha mgr main aur hmare bche muslim hain to kia hum abhi bhi mian bivi ki trah ek ghar main rh skte hain?
Answer:
Agar koi mard shadi k baad murtad e fitri ho jaye to is ki biwi is par haraam hojati hai. Agar is ne biwi se hambistari ki ho aur aurat yaesa ya Umar mein choti nah ho to aurat ko chahiye ke iddat e wafaat ke barabar iddat rakhay jis ka zikar ehkaam talaq mein bayan hoga. balkay ehthyat e wajib ki bana par agar hambistari nah ki ho ya aurat yaesa ho ya kam Umar ho tab bhi iddat e wafaat ke barabar iddat guzaray. Agar iddat ke douran mard tauba karle aur dono akhatay zindagi guzaarna chahain to ehthyat e wajib ki bana par dobarah Aqad parheen aur agar judda hona chahain to talaq di jaye .
[Updated on 24-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Larka ne baap say kahha h k main ne telaq di tu biwi ne ni suni or puray haqooq say bhi ni bola k telqa di tu kea aisay telaq ho jati h?
Answer:
Fiqh e jafferia main Is tarah talaq nahin hoti. Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar sirf nikka hua ho or rukhste na hue ho or lrka contact na kre or na khula de tu Kia lrke ko court se khula Lena chahye ya Kia krna chahye ??
Answer:
Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 2492,)
[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Agr bina gawah k nikkah kiya jay r kis clash ki wja sy talaq dy di jay to dubara ussi lrki sy nikkah krny k liye halala zroori ho jata h?
Answer:
1: Nikah ki sharaet main sai hai k agar larki kunwari ho tu nikah larki k wali baap ya dada ki ijazat se ho or dono larki or larka khud bhi raazi hoon nikah k seeghay Sahi arabi mai adaa kiye jaaye or nikah main gawah ki zarorat nahi hoti waghera (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2335, 2341)
2: Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
3: Halala karnay ki zarorat us sorat men parhti hai jab teen talaqain hoi hoon lehaza aik talaq ki wajah say halala ki zarorat nahi parhati hai is liay baghair kisi halala k nikah kiya jaasakta hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #520 )
4: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar oski taraf roju kar lai ya osay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar choti bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hai. jin ki pabindi zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2491)
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Iddat mai apne hone wale damaad se mil sakte hai??
Answer:
Jaiz hai.(Ref: Ayatullah Khomeini, Tauzeeh ul masael, Mafhoom e Maslah # 2514).
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera question yeha ha k meri oor meri wife ki larai ho gae thi main nay kaha main nay es ko nahi rakhna lakin 4 month ttak main nay divorce nahi di.lakin wife nay notice bhijwa dea samaan k lea baad main hum jaj k samnay gay wife nay kaha k yeh mujay agir rakhta ha ttu teek nahi ttu mujay khula laay dain main nay kaha ok teek ha khula daay dain.hum donoo nay sign ka dea.abi 7 month baad aab dubara rihna chahtay hain ttu kay dubara nika kar k rih saktay hain
Answer:
Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahi hoti or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti. Lihaza aap ki talaq nahin hoi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alaikum kiya idatt men CCtv Camera sy ghar sy bahir manazir or ghar k khayal k k liye CCtv istamal kar sakti hen??
Answer:
1: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy.
2: Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress), surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam o alikum ma apni country se bhr hu likn ma ne voice msg pe apni biwi ky bhai ko talaq bej di hai us ne apni behan means meri biwi ko suna di hai kya talaq hu gai or ma ruju krna chahta hu kese kro ?? or ma ruju kro or meri biwi mana kr dy to kya kro.ma ??
Answer:
wsalam maktab e jafferia mai aisi talaqq durust nahi hai kyun k talaq mai shart hai do aadil gawahoon ki moujoodgi mai or deegar sharair k saath arbi mai talaaq k seeghay ada kiye jaayen.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 19-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mara husband na akala ma mujy gussy ma ak bar talak di or bad ma pachtawa hua or phr ak bar ma na kaha k ma ap sy khula chahti ho or unho ny mujy akala ma kaha ma khula ki ijazat data ho or phr usi rat ko hmari larai hui or gussy ma unho ny ak or talak da di tb bhi hm akalay thy koi gawah b mojod nahi thy or mara husband shadeed gussy ma thy to kya hmari talak ho gai... ?
Answer:
wsalam.maktabe jafferia mai is tareeqay ki talaaq durust nahi hai kyun k laazim hai k talaaq k seeghay apne ikhtiyar sai do aadil gawahon ki moujoodgi mai arbi mai adaa kiye jaayen.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41maslah no 2462-247).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a.... shohar agr gusy m khy k m tmhyn talaq dy doun ga..... r ak br dy b dy..... lkn mood thk hny pr wo sorry kr dy.... r aca ak do br hwa ho..... to es sy kea talaq ho jati...??? please guide...
Answer:
Maktab e jafferia mai is tarah ki talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam o alaikum. me ye poochna chahta hoon ke me ny apni maa ke samnay apni biwi ko aik baar talaq di . to kya wo talaq mani jae gi? aur kaha jata hy kke 2 gawah honay chahiyay to kya orat ki gwahi adhi nahi smjhi jati?
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: My wife under a western court order took over my house and transferred in her name. Is it not Gasb as she has no investment in it? She also took complete custody of my children and did not allow me to meet them and intentionally alienated from me. Though divorced by western court I have not yet islamically divorced her. What's fiqh ruling about it? Thanks
Answer:
Aap ki talaq bhi batil hay or bivi aap k ghar or maal ki malik nahi hay or aap ki wife ko huq nahi hay keh wo aap ko aap k bacho se milne se roke.(Ref: Tauzihul masael, maslah#2461, 2471).
[Updated on 22-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kay msg mai likh ki mai tumhe khula deta hu wo Bhi bina biwi nay khula na mang ga Ho kay khula ho jata h
Answer:
Jee nahi text msg par talaq dena sahi nahi hai Q k zaroori hai k talaq ka seegha arabi main parha jaey or do aadil mard isey sunain. (Ref:Tauzeeh ul masail Ayatollah Sistani(d.b), edition 39th, maslah # 2472).
Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri ek cnz hy us kay shuhar nhee nhee bataya ky wo pahly sy shadi shuda hy or us ki ek bati bhee hy hala kay eri cnz nhee kaha tha ky wo usy dori shadi ki izat nhee dy gi par ub wo us kay sath nhee rahna chati us larky ny qasam khai thee kay wo kawara hy.
Answer:
Agar shadi isi shart per ki gaey thi keh wo kunwara ho laikin shadi k baad maloom ho keh wo larka kunwara nahi hay tu aurat ko huq hay keh wo fauran is nikah ko faskh kar day, or is sorat main talaq ki bhi zarorat nahi hogi. Agar faskh karne main takheer ka sabab ye ho keh or aurat is k sshadi shuda hone ka ilm nahi rakhti thi ya os ko is faskh karne k huq ka ilm nahi tha tu jab os ko is ka ilm ho wo fauran is huq ko istemaal kar k nikah ko batil kar day.(Ref: Minhajus saliheen, jild#3, maslah#271, 284).
[Updated on 20-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O alikum mhn ny shadeed Gussy ki halat mein apni bv ko do bar talaq bol dia . Or jab mein ny apny alfaz py gor kia to mhn khamosh ho gya. mjhy bout shrmndgi or ndamat mehsos hui . to is sort e hal mein kia hamra nikkah slamat hai ?
Answer:
Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. un me se aik ye hai ke Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. is ke elawa aur bhi sharait hain jese ke 1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar mard ko demaghi masla ho jaisa k shizophrania Jo k 1 demghi bemari hai aur is halat me wo bv ko 3 dfa talk de dta hai to kia talaq ho jae gi??
Answer:
Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. no.1 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. no.2 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.3 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.4 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.5 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.6 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
(Note: Agar talaq ke waqt in sharait men se koi aik bhi shart nahin payi gaye to talaq nahin hogi.)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya talaq wali aurat iddat k time py ghr sy bahar nikal skti ha?
Answer:
Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo aurat nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]