Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (876 Questions)


Showing 600- 650 questions from 876 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
104597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-18

Question: Agar sharai nikkah kiya ho or shohar kuch arsa baad kahy k wo sath ni reh sakta ku k wo family k against ni ja sakta or bivi ki marzi na ho to kya talaq ho jati hai?

Answer: Fiqh e jafferia mai is tareqay sai talaq durust nahi hai. or isi tarah kunwari ghair mustaqil larki ka nikah os k baab ya dada ki ijazat k baghair jaiz nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107120
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalamualaikum! Kya biwi agr halat-e-haiz mn ho aur shohar msg py ghussy mn 3 talak likh dy, tou talak ho jae gi?

Answer: Ye talaq batil hay. Q ke Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
107627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Mamu ki 20 Din phle death hoi hai or Mami pregnant hai iddat poori hone sy phle nikkah kia ja skhta hai?

Answer: 1)G nahin nikah nahin kiya jasakta, Agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay doran e iddat shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai.
2)Aurat dosri shadi apni iddat khatam honey k bad kar sakhti hai, aur wafat ki iddat ye hai: Agar koi aurat bewa ho jey aur agar wo hamila na ho to qamri yani chand ke hisab se 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe aur agar hamila ho to wazh e hamal tak iddat rakhe. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482).
[Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kis age ki aurat ko idat kernay zaroori nahi

Answer: Jis larki ki umar pori no saal na hoi ho aur esi tarah jo aurat yaaisa (jis ko umar ki ziydati ki wajah se haiz aana band ho gaya ho) ho chuki ho us ki koi iddat nahin hoti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2474).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107815
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: 3 bar talaq day di usy raat pachatawa ho gya wo aik dosry ko chorna nae chahty to raju ho sakta hai ya nae?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
(Note: Agar in sharaait ki pabandi ki gayi he to talaq ho jaye gi lekin agar in sharaait ki pabandi nahin ki to talaq nahin hogi)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107857
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Assalam o Alaikum mere husband roz nasha krte hain Or aaj mujhe unho ne Talaq kaha maine poocha kia kaha phr dobara kaha talaq or phr 2 bar phr kia ye talaq hwe ya nh Mai boht pareshan hn plz mujhe juldi reply keein

Answer: (Note:) Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diye jatay hain. Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
[Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107929
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-25

Question: Salaam ye bata dein agar larka sunni ho or ossne shiaa tariqe se nikah krlia kro.. Mgr wo apni biwi ko talaq Dena xhata ho qk oski biwi osko bhttttt tang krti hai zindagi barbad krdi hai Tw kiaa wo larka apni biwi ko Sunni tariqe se talaq de sakhta hai aagr dedi ho tw kia wo talaq ho jyegi?

Answer: Agar ghair shia apni shia bivi ko apne suni mazhab k mutabiq talaq day day tu ye talaq durust shumaar hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, Jadeed masael maslah#49 pg#460).
[Updated on 25-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107956
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-21

Question: Asalamualikum agar nikkah hugya ho par ruksati na hui hu.or husband bahar mulk me hun or bt na kiye huwe 6 7 maah hu jaein to nikkah rahe ga? Or Narazgi ki waja time na dena hu or bt krne se mana be shohar ne kiya hu...

Answer: wsalam. Kaafi arse baat nah karne ki wajah sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2345)
[Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107957
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-21

Question: Asalamualikum agar nikkah hugya ho par ruksati na hui hu.or husband bahar mulk me hun or bt na kiye huwe 6 7 maah hu jaein to nikkah rahe ga? Or Narazgi ki waja time na dena hu or bt krne se mana be shohar ne kiya hu...

Answer: wsalam. Kaafi arse baat nah karne sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2345).
[Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108011
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: Salam mjhe ye puchna h k mere husband or meri separation ho chuki h divorce ni hoi or un hone mjhe bola h k tum meri taraf se azad ho. to aesi situation m kisi or se muhabbat krna jaiz h?

Answer: wsalam. Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain..(ref:book nigah aur libaas,pg#69,maslah#106).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108063
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-05

Question: Main Suni hu mera sawal ha many wife ko 3 talaq di or wife halaaf uthati ha osny aik talaq sunni is bare m plzz bata de ap?

Answer: is webssiite per fiqh e jafferia k mutabiq jawabaat diay jate hain.[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108218
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-14

Question: mera sawal apse ye hai ke mene guse me larai k doran biwi k 3 br talaq boldiya per me nhi chahata tha ke me biwi ko talakh do me bht payar lerta h apni biwi se plzx bataye ke kya talakh hogai ya ni meri biwi bb mjse payar kerti wo bh mje ni chorna chahti kindly plzz iska hal bataye....kuch mufti se pocha onho ne kaha ke talak hogai ha beshak guse m do ya mzk m kindly jawab de

Answer: Fiqh e jafferia main talaq ki chand sharaet hain jin k mutabiq aisi talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 14-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108258
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-12

Question: Mary husband NY 3 br mujhy talak bola or 5 min kha Hy ma NY Dil sy nhi kha tu kia talak hu jati hy??? Ma suni hu or husband Mary Shia Hy hmara nikkah fiqa jafferia kitrh hua Hy?

Answer: Jee nahi is tareekay ki talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-06-29

Question: "Asalum o alikum, ye meri dost ki kahani hai, iska husband isko har waqt kehta hai mujy tumhary sat nahi kehna ek din 3 dfa kaha bi mera khalas ho, khalas ho and khalas ho, us aurat ny ab ksy or sy chupky bekah kiya hai lekan apny shohar ky ghr hai halaky esky or usky shoot my bech main kuch nahi hai, sawal he hai k wo talaq howe hai ya nahi or ye nekah qabel qabol hai ya nahi?"

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Khoe(r.a),Tauzeehul masail, maslah # 2507)
[Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108365
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-16

Question: Assalam walekum Mera ek sawal hai aapse kya sohar ko koi tarah ka dabav dekhkar aur gusse ki halat mein sohar teen bar talaq Diya to kya talaq ho jaega

Answer: Fiqh e jafferia mai is tareeqay ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 16-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108445
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-06-20

Question: 10 saal phla aik talaq di uska hadiya da dia aik saal baad talaq di hadiya da dia ab dobara talaq di h to kya talaq ho gai? am ahle sunnat

Answer: Is website ppper fiqh e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaa tay hain.
[Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108831
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-07

Question: Mere husband na kl rat shaded larai k bad gussay main mere ami k samny mjhe talak talak talak kh diya kya ic sorat mh mjhe talak hougyi

Answer: jee nahi is tarah ki talaaq mazhab e jafferia mai durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 07-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Asslam O Alikum mara nikah Hua hai abi rukhsati ni hui pr hum mil cukhey hai dono ma or marey husband dono mes pr bt kr rahey they talaq k topic pr ma pouch rahi thi talaq kasey hoti to unho nay mj ko bata diya ab btyea kia asey talaq ho jati ma bht preshan hu bht piyer krtey aik dusrey se ab plz answer de do ma nay pehly b poucha koi and ni aya

Answer: Jee nahi Fiqh e jafferia mai is tarah sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108870
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-09

Question: Sir, meri sister ka husband 8 year sy bahar mulk me tha. Aur wahen uski heart attack sy death ho gye. Sawal ye hy meri sister kk idat krny hogi ya nhe.

Answer: ji bilkul wafat ki iddat karni hogi jo k 4 mahine 10 din hai
iddat sai muraad ye hai k wo doosri shaadi na karay ya aisay afaal anjaam na de jo zeenat shumaar hote hai jese (surma lagana, naya libaas pehenna wagaira) lekin ghar sai bahar nikal sakti hai.Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2481).
[Updated on 10-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108907
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-11

Question: Asalam o alaikum sir ager koi talaq da but dil ma uski niyat agle bande ko drane ki ho ke wo theak ho jae to talaq mani jae gi ya,nhi

Answer: Is tareeqay ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 masail no 2462-2472).
[Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108964
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-15

Question: Salamz MERI shadi hue Pasand sy mgr Woh log bhut kharab niklay aur khas tor Py mera husband .usne lalach ki wajah sy mujhse shadi ki.aur mujhpe hr thrah k zulum Tora,,bus in short ab merea aik sal k becha hai aur maene court mea khula k case dala hai. Plz MERI madad krea ,,merea naseeb sanwar Jaye,,mujhe asae wasifa bteain k MERI doseri jegah Kisi bhut ache insan sy shadi hojaye,,Jo mujhe aur merea betay dounou k qabool krlay

Answer: Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab aap k husband aap ko talaq dein gay tab hi aap doosri shaadi karsakti hain.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/).
[Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-17

Question: qanooni talaq k bawjood 3 saal bad kia 2 bara nikah ho sakta hai bagir halala k

Answer: Fiqh e jafferia mai qanooni talaq durust nahi hoti talaq k liay arabi main seegha parha jana zarori hay ooor degar sharaet zarori hain. lehaza aap ka nikah abhi tak baqi hai.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/)
[Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-28

Question: sir mery bhai ny apni bewi ko mai re ghar wali k samny gusy mai kaha h k ya mai re bat nhe manti or gali k alfaz dte hai mery maa baap ko or mjhy or mera bhai be gusy m usy galiyn de hai or jb hm log ae un ko smjhy to usy ny m ry or mai re bewi k samny kaha h k ak martba k ya farg hai mai re trf sy kia in ko talaq ho gae hai or ya alfaz any walden ko bhe kaha hai ak martba.

Answer: Jee nahi is tareeqay ki talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 28-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109568
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-06

Question: Assalam o elyqum Mera sawal ye hai k Meri wife ne by court mjhy notice bhjwaya k usy mery sath nai rhna usy khula chahiyea m apna ghr kharab ni karna chahta usy talak nai dena chahta court m 2 se 3 pashiyon k baad judge ne meri wife ko kaha k apko khula de di to kia is sorat m talak ho gai jab k mjh se kch ni pocha gya na kisi peper p sing liyea r m ne Talak b ni di to kia es sorat m talak ho gai.?Note. sorf judge ne kaha k apko khula de di..

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Ye talaq nahi hoe or wo aurat apne shohar se solah ker sakti hay. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/).
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109820
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: Assalam.o.Alakum. Muja ye maloom karna hai k biwi ghar chor k chali jay baghar permission k shohar ki or 4 month say zayda hojay to nikha raha ta hai k khtam hojata hai or baghar permission k jana kaisa amal hai islam main..

Answer: Is tarah Nikah nahi toota albatta shohar ki ijazat k bagahir ghar sai nikalna haram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2376).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110140
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Asalam o alaikum agha sahab mjhy talaq deni hai apni biwi ko talaq ke seeghy bta den aur ye seeghy khud parh sakty hain?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jese k 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
(Note : Agar in sharaait ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. aur shohar khud bhi talaq ka seega jaari kar sakta hai. aur aap is link pe Talaq ke mukammal ahkam aur sharait dekh saktay hain).
https://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110144
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalamu alaikum meri biwi ko galat fehmi ho gai h ki mera meri bhabi se galat talluk h jiski wajha se wo mujh se nafrat karne lagi h aur mere waldain se bhi nafrat karti bohot jayada . Ab talak tak ki nobat aa gai h . Apne ghar chali gai h aane ko mana karti h koi amal bataye jisse uski galat fehmi katam ho aur wapas as jaye . Uske ghar wale bhi usko sahi mante h

Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35th, Mafhoom e Maslah #2462)
Aap apni zojaa ko samjhaye or sharai masael sai agaah karain k jis aurat ka daaimi nikah ho jaaye us k liye haraam hai k shohar ki ijaazat k baghair ghar sai bahar nikle chahay us ka nikalna shohar k haq k manaafi nah bhi ho.(Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2376).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110155
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-29

Question: mare walda ko mare wife nahi pasnd ma jb b ghar aga hu rahri rahte ha mera pasnd ki shdi ki wja sa mare wife k waldan aus sa nahi milta mera ghr waly chaty ha k ma apni bv ko divorce dydo lakin ma asa nahi chata

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. un men se aik ye hai ke, Zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hai, yani talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110191
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-23

Question: aoa mere husband 21 sal sy schezopherenia and bipolar disorder k patient hain. ek din b dawae mis nhi kr skty. 4 sal phly hmari shadi hue. shadi s phly mjy maloom nhi tha k vo nafsiati medicine khaty hain. unko 2017,2018 m attack hua. mgr es bar jb unhy attack hua hai to unko apny ilfaz n amal p.control nhi hta. vo aisi batain krty hain jo phly kbi nhi ki. hr kisi ko dushmn smjhty hain. to es hallat m unho ny mjy kaha k "me talaq to tmhy dy chuka hun" phir next day apni walida k samny kaha k "ami m ny isy talaq dy di" ap isy kahain chli jaye . es k bad kehty rhy k m ny tmhy talaq dy deni h. vo ek din ghar s bagh gye. mere abu chachu s bdtmizi ki jin ka vo hmesha aihtram krty thy. r phir apni tind krva di. perso sb gr valo ko mara r kpry phar diye. r mjy kaha " Jao m ny tumhy talaq di" . yh sch hai k yh un p panic attack tha. mgr m bht preshan hun k talaq ho gyi ya nhi.

Answer: Fiqh e jafferia mai talaaq ki kuch sharait hai jin ka talaq k waqt hona zaroori hai jesey k talaq k seegho ka Arabic mai parhna is k ilawa do aadila gawah ka moujood hona waghera waghera…..agar ye sharaet moujood nah ho to talaq durust nahi hai. Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahi hoti .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492).
[Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-27

Question: Agar mufti ne khula jari kiye q ke shohar apne hukkuk adah nahi kar raha tha to kia tab bh biwi ko , shohar ko meher ki rakam return dena ho ga

Answer: 1)Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab aap k husband aap ko talaq dein gay tab hi aap doosri shaadi karsakti hain.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/)
2)Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492)
(Note:) aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo aap ko talaq day. yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)
[Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110248
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-16

Question: 1 year se husband wife saperat reh rahe hai to or khula ho gaya hai to ab wife ko idat karna padega ya nahi. Or agar idat hogi to kitne din ki hogi

Answer: Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab aap k husband aap ko sahe talaq dein gay tab hi aap iddat ke baad doosri shaadi karsakti hain. Srif shohar or biwi ka aik dosere se Juda hojaane se talaq nahe hote (Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/)
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110254
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-18

Question: Salam Maine apni bivi ko 2 sal pehle talaq talaq kaha tha or kuch der bad rujo kar liya or abhi 5 mah pehle kaha ke jao tumhen talaq di or uske mike chor aaya or men samajh raha tha he wo Jo do sal pehle Maine talaq talaq kaha tha wo talaq ni Hui q ke uska koi rizalt ni nikla na meri bivi ne kisi KO btaya or na maine or 5 mah pehle Maine apne 1dost ko bataya or usse kafi sari behes Hui or us behes ke bad main samajha ke wo 2 sal pehle wala jo talaq talaq kaha tha wo talaq ni hui or phir 1talaq bol diya to Ab main apni bivi ko wapas lena chahta hun

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 2 ya 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)
[Updated on 18-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110256
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-25

Question: Salam Sir mera name Bilal hai me 28 age ka hn Meri 2 betiyan aor 1 beta hai Kuch biwi ky shak ka shikar hn aor kafi dafa Apni bivi ko darny ky liye Mene Kai dafa us ko chorny ka kaha hai...Sach ye hai Mera dill aor zameer us ko chorny ky liye razi nahe...bataye plz ky Islam ky nazar se is ka kia nazria hai Aya ky talq ho gai ya mazeed Allah ny Kary kuch aor etc plz give ans 03134633324

Answer: faqat shak karne se talaq nahi hoti, Talaq sahi honay ki chand shrait hain talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)
[Updated on 25-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110275
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-09

Question: Sir mery husband ny larai k bad 3 bar talak talak talak bola kia aisy kehny se talak ho jati ha.

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)
[Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-10-21

Question: M ne apni biwi ko ek notice written bhejta hay divorce ka us k 17 din bad talaq ka msg Kia ab wapsi ho Sakti hay or kasy ho Sakti hay please

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Aap ki talaq nahi hoe or aap apni biwi se sulah ker sakte hain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/).
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-10

Question: اسلام عليكم ورحمة اللة وبركاته Jee molana shab aj sa 10 month phala biwi ko gusa ma 2 dafa talaak di or niyat ny the talak dana ke or phr 16 agust ko gusa ma aka divorce certificates paper bana ka Singn kar ka send kar diya kya es sa meri biwi mujh pa talaak ho gai han khuda janta han bs darana ka liya asa kiya talaak dana ke niyat ny the or an lardki kah rai han talak ho gai or ma khata hu ny hui plzzźzz eska jawab da da bhot prashan hu.

Answer: wsalam. mazhab e jafferia mai is tarah ki talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 10-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110405
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Assalamualaikum.... Mai merery shohar sey qula lena chahati hu wajah ye hai ki merey sasural waly mujhy bohath pareshan kerty hai yaha thak ki gali galoj kerty hai mujy aur merey ma bap ko.. Mera zevar bhi wo logo ne khichliya hai.. Jab mai ye sab bty shohar ko boli tho wo khty hai sabr kro mry gher waly achy hai.. Mai yatim hu mujhy rasta bataiyee please merey taraf koi nhi wo log ko sabak sikhany waly

Answer: 1)Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab aap k husband aap ko talaq dein gay tab hi aap talaq ho sakti hai.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/) 2)Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492) (Note:) aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo aap ko talaq day. yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110413
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-13

Question: Agr husband wife ek dusre ko talak dena chahte hen or kafi saalon tk ek dusre se bat nhi ki he or niyat b dono ki yehi he k talak chahye per baren unko roke hue hen k talak ya khula nh. To kia asi surat me kitne time tk talak ho jati he ?

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain sirf ziada muddat lataluqi karne sai aur door rehnwe sai talaq nahi hoti or nikah bhi khatam nahi hota, talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. Agar in sharait ka khayal na rakha jaye to Talaq nahin hoti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462,2472,2508)
[Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110423
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-15

Question: Khula ki idaat kitni hoti hai agar us ka shoher us se 6 months se dour ho tu

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 6 mahine door rehne sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)
[Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110434
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-16

Question: Kunware mard k leye talaq yafta larki se shadi krne khawale kuch rehnumai kren plz

Answer: Talaq yaafta aurat se shadi ki ja sakti hai, Aurat q k talaq yafta hai is lie us k wali yani baap ya dada sai ijazat ka masla bhi nahi hai magar is baat ka khayl rakhain k wo aurat talaq ki iddat mai na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342)
[Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110455
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-18

Question: Mene meri biwi ko kaha agr tune fala kam kiya to talaq dedunga lekin bad m us kam ki ijajat dedi to kya talaq ho gai

Answer: Jee nahin is tarah talaq nahin hoti q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
[Updated on 18-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110456
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-07

Question: Mene mere biwi ko talaq ka ikhtiyar likh k dediya usne usi samay mujhe likh k bheja m tumhe talakk deti hoon kya talaq ho gai

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq Ye talaq durust nahi hai q k talaq ki kuch sharaet hain jese talaq likh kar nahi di jaati balkeh us k seeghay ada karna zaroori hai or wo seeghay doo aadil gawah ki moujoodgi mai adaa karnay hai.....wagera.Fiqhe jafira me talaq dene ka haq aurat ko haasil nahe hai balke mard ko haasil hai. Albatta shohar apni biwi ko talaq dene ke lie Apne biwi ko vakeel banadakta hay ke wo biwi Apne shohar ki niyabat me talaq ki tamaam sharaait ko madenazar rakhte hoe Apne shohar ke taraf se Apne aap ko talaq dede.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462--2472,2503).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110460
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-08-17

Question: Sohar biwi ko talaq lene ka ikhtiyar de or biwi talakk dede to talaq ho jagi?

Answer: Asal islaam men orat ko talaq ka koi haq nahi hai albatta shohar apni marzi se orat ko tafweez de (matlb orat ko apna wakeel bnaye k tum meri taraf se meri wakeel bnakr talaq k seeghe jari kr sakte ho) to ye jaiz hai, albatta orat ka nikah k wqt ye shart krna k talaq ka haq mjhe diya jaye to ye bat shareet k munafi hia is surat men shart batil hai lekin hojane wala nikha sahi hoga, lekin baz suraton men orat shohar se nikah k wqt haq-e-tafweez (is ka matlb upr byan hogaya) talab krti hai to wo baz suraton men(jese shohar safar taweel per chala haye or na lote, ya shohar aysa jurm kre k qaid men chala jaye, ya apni biwi ko ek mahine tak nan-o-nafaqa na de, etc) to jaiz hai harj nhi hai ye shart or nikah sono sahi honge.(Ref : Ayat_ul_Sistani db, Minhaj-ul-saliheen Part#3,Masla # 331-334)
[Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-18

Question: Khula ki iddat ka time period kitna hy .

Answer: Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
[Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-08-12

Question: ourat ko apna husbnd nh acha lgta wo us sw kula le skti h

Answer: Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko kehtay hain, jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, Talaq e khula main zarore hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).
(Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq ( ya khula de) day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)
[Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110521
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-13

Question: Asllam u Alaikum. Ek shakhs ny apni wiko ko 1 talaq di raaat me phr ruju nh kia or usi din subha phr usny talaq bol dya ab ye kitni talaqen hui? Bager gawah k talaq hojati hai ya nahi? 3 talaq ek sath kahny se talaq hoti hai ya nah? Or agar husband ny wife se humbistri ki ho or usky baad use talaq de to talaq hogi ya nh? Iska jawab chahye according to Quran and hadees. Shukrya

Answer: Fiqh e jafferia mai Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e raliq“طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). (Note: Agar in sharaait ki pabandi nahin ki to talaq nahin hoti)
[Updated on 13-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110555
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-09-21

Question: Aoa Sir main bohat pareshan hon mera sawal ye hai maine aik saal pehle zubani divorced di thi aur us k bad rajoo ho gaya tha aik saal baad maine notice bejha talaqe awal ka mujhe yehi pta tha k talaqe awal pehli talaq ho gi aur meri niyat bhi yehi thi jo maine zubani talaq di hai usi ka notice bejha hai main halaf bhi de sakta hon ...aur us k bad dosra notice bejha dosri talaq ka kya meri talaq ho gayi hai ...

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh (notice)ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taliq“طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil gawahon ki maujoodgi main di jaay (jo zahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) . 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 2507 to 2518)(Note: Agar aap ne in sharait ko madde nazar rakhtay hoye talaq di thi to talaq ho jai gi lekin agar aap ne talaq dete waqt in sharait ko madde nazar nahin rakha to taalq nahi hogi.)
[Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110580
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-16

Question: Sir mera yah sawal hai k agr larki talaq mangy or larka dy b dy or 2months k andr andr dobra ruju karna chah rahy hon matlb dobra nikah main ana chahty hon to kya tareeka hai us ka

Answer: Iddat k time men ruju karnay say wapas wo biwi ban jaati hay talaq ka asar khatam ho jata hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah # 530).
[Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-09

Question: mian bv main larai ho rahi thi to mujhe se tujhe talaq dete hn alfaz nikal gay kya talaq ho gayi

Answer: fiqhe jaferia ke mutabiq Ye talaq durust nahi, Q ke talaq arabi zaban main daini zarori hay or 2 adil mardo ki maujoodgi main di jaey Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah khoe(r.a),Tauzeehul masail, maslah #2517).
[Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110635
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-30

Question: میری بیوی میری اجازت کے بغیر پچھلے پانچ سال سے اپنے والدینکے گھر مقیم ھے اور بار بار تاکید کے باوجود میرے گھر آ کر گھر آباد کرنے سے انکاری ھے۔ ایک سال پہلے میں اس کو کورٹ کے ذریعے طلاق دے چکا ھوں لیکن بیوی اور اس کے گھر والوں کے عدم تعاون کے باعث طلاق کے صیغے پڑھے نہ جا سکےالبتہ میں نے طلاق نامہ میں بیوی کے گھر والوں کو صیغہ کی ادائیگی کا حق تفویض کر دیا ھے کہ اس صورت میں مجھے اعتراض نہ ھو گا اور نہ ھی مستقبل میں میرا کوئی دعوی قابل قبول ھو گا۔ کورٹ سے طلاق موءثر ھو چکی ھے۔ کیا موجودہ صورتحال میں شرعی لحاظ سے بھی طلاق موءثر ھو گئی ھے؟

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh (notice)ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taliq“طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil gawahon ki maujoodgi main di jaay (jo zahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) . 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 2507 to 2518)(Note: Agar aap ne in sharait ko madde nazar rakhtay hoye talaq di thi to talaq ho jai gi lekin agar aap ne talaq dete waqt in sharait ko madde nazar nahin rakha to taalq nahi hogi.)
[Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print