Showing 550- 600 questions from 876 questions on this page.
Question: Mari taraf say tum pharag ho lakin muj ko neat ka nahi pata q kay hum pharag ka lafaz ruteen may bi use kertay ha kya yaa kahnay say biwi ko talaq ho jatti ha q kay pharag ka words hum apnay friends yaa family may ho tu phir bi use ker laytay ha Kabhi kabar Gussa may bi boll dytay ha Lakin eas ka matlab yaa tu nahi hum nay biwi ko taalq dy di
Answer:
Fiqh e jafaria me Is terah talaq nahi hoti hai, talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق†k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assallam u alikom . janab Mayra sawal ap say ye hy k kio mard apni bewi bachu ka agar khyal na rakta hu jaysay k buss sirf kana kilata hu our apni khwahish pore krta hu na bachu ka khyal rakta hu na un k kapru ka sub kuch un uss k maa bapp krty hy larki k leyay tu is halat may kya krna cheheyay kya larki uss mard ko chor sakti hy talak lay sakti hy k nhe iss ka baray m,ay zara clear karay plx
Answer:
aurat shohar se talaq ka mutalba(sawaal ) kar sakti hai, magar talaq khula me motabar(zarori ) ye hai keh aurat apne shohar se is qadar nafrat karti ho keh use wazifa e zaujiyat ada na karne ki dhamki de. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no #2492).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar wife sub se chup kr apny shoure ko khula k notice bhj day.or kise ko b pata na ho.even k shoure ko b pata na ho.or na he shoure ko notice mila ho.is sorat main khula waqe ho jye ge?
Answer:
Mazhab e shia mai court sai khulaa ya talaq nahi li jaa sakti, us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahi wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi. Talaq ki chand sharait hain, jin me 1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jay. 2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay. 3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay. 4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. 5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail, Maslah No 2492, 2462-72).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar biwi se kaha main tujhe chod diya
Answer:
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق†k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 22-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera talaq ho chuka h... Me iddat kis tarah Gujaru .?
Answer:
Jis aurat k saath us k shohar ne mujamiat ki thi or phir usay talaq day di ho tu aurat k liye zaroori hai k talaq k baad iddat rakhay. Talaq ki iddat ka doraniya 2 haiz hai or jaise hi teesra haiz aaye ga tou us ki iddat khatam ho jaaye gi talaq ki iddat main faqat nikah karna haram hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2475)
[Updated on 22-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera dicorce, shadi k 2 months bad hi ho gya tha... Lekin humare bich koi humbistari nhi hui h... Or talaq hue v 5-6 months ho chuke h... Kya mujhe iddat guzarni hogi, or kis trh guzarni hogi... Or dusra nikah kb kr skte h...
Answer:
Jee nahi, apko iddat guzarne ki zaroorat nahi Q keh jab shadi k baad shohar aurat se mujameat na kare to talaq ke baad iddat guzaarne ki zaroorat nahi hai, aur woh talaq ke baad foran shadi kar sakti hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 2520).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: narazgi ki surat me kitny arsy bad talak hu jati ha?
Answer:
Fiqhe Jafaria me is tarah talaq nahi hoti, Talaq ki chand sharait hain jinki pabandi na ki jaye to talaq waqye nahi hoti. Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq 3 ak sath mili hai aur 3 saal sy husband sy door hon tu iddat ho gi aur kitny months ?
Answer:
Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 1-Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
2- Agar koe shaks aurat ko haiz se paak samjhay or osay talaq day day or baad pata chalay k wo haiz ki halat main thi tu oski talaq batil hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2465).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Hm log rent k ghr pr rehty hain. Meri saas ki iddat is ghr se shuru hue hai. Lakin is ghr main kafi masail hain. To kch intehai majburi ki waja se hm ghr tabdeel krna chahty hain. Kya ye mumkin hai..? K wo apni baki idat us ghr main puri kr lain...
Answer:
Iddat main ghar se bahar jaana jaiz hay. (Ref: Minhajus saliheen jld#3, maslah#542).
[Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi larki ka nikah giwa ho or ruksati abhi baqi ho or meyan biwi k darmiyan hambistri b na hoe ho tou is surat ma larki khula lena chahy q k shohar ka oski traf rawaya acha na ho.. tou kia khula li ja sakti hy?
Answer:
is sorat main khula nahi hoti, haan aurat shohar se talaq ka mutalba kar sakti or shohar ko haq hay keh wo talaq day ya nah day, or talaq daine ki sorat main talaq k seegahy shohar ya os ka wakeel hi jaari karay ga.
NOTE: Fiqh e jafferia mai court sai talaq nahi li ja sakti.
(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#42, maslah#2492,2493).
[Updated on 27-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal Hy K Agar sohar khdne K Agar meai ny Fala kam Kya tumhare mere talaq hojye our wo kam sogaor kry Kya hojathe Hy plz Hadis Quran K roshni meai bathaye Mera Jana bohot xarori Hy
Answer:
Jee nahi Fiqh e jafferia mai is tareeqe se talaq durust nahi hoti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2472).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamoalicom sir kia biwi ko 3 baar talaq keh deny say talaq ho jati he? Or ager talaq ho gei to waps kesy laya ja skta he
Answer:
Mazhab e shia Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72).
[Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wife agr pyar se apnay husband ko My baby keh k bulaye to nikah batil to nhi hota ya husband my baby keh k bulaye apni wife ko
Answer:
Is say talaq waqie nahi hoti...(Ref: Toziulmasahil Ayatullah e Sistani db edd 2019 masla # 2471)
[Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir mjy ye pochna hy k biwi agr khula ki decree ly ly court se or union council se certificate na ly or dobara ruju krna chahy shohar sath to kia dobra nikah krna pre ga???? Khula ki decree b shohar ki mrzi se ni hui to kia dobra nikah krna pre ga uc ka fesla b ni lia abi tk????
Answer:
Fiqh e jaffriyah main court sai khulaa nahi li jaa sakti us mai bhi shohar ya os ka moayyan karda wakeel hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaet bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahi wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti.2492,2366).
Talaq ki chand sharait hain jinki pabandi na ki jaye to talaq waqye nahi hoti. Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz انت طالق k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72).
[Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maulana Sahb aik shaks ka nikah bgair ksi shart k shari taur py hua Lkn ab alehdgi ikhtyar krni hy Qanooni taur py Nikkah ka koi wjood ni aur dosra shaks talaq ni dena chah rha is soorat mein alehdgi ka kia tareeka hy?
Answer:
Jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462)
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi ka intekal 28 September 2019 ko (chand ki 28 muharram) his hue he to iddat kab khatm hogi
Answer:
Agar koi aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452)
(Note: wo aurat muharram k baad k 4 mahine iddat rakhne k sath sath muharram main jitne din iddat rakhi ho os k sath jamius sani se ittne din iddat rakhe k 10 din mukammal ho jain. phir is aurat ki iddat mukammal hogi.
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam , mai ne poochna hai k ager shoher ejaculation keray without penetration of penis k to Kia is Surat mai bhi aaat rukhni hogi.. becz un dono ne mutha kia tha kuch time k liye ....jis mai intercourse ki shert laikin ...intercourse ni sirf sirf mani kharij ki hai lerkay ne vagina pr intercourse kiye bgair.....to kia is Surat mai bhi lerki ko idaat rukhni hogi
Answer:
Agar bivi k sath jima(intercourse) nah hoa ho tu iddat rakhni wajib nahi hoti. laikin agar shohar ki mani is ki sharamgaah main dakhil hoe ho tu is sorat main zarori hay keh wo aurat iddat rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2474-5).
[Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam , mai ne poochna hai k ager shoher ejaculation keray without penetration of penis k to Kia is Surat mai bhi aurat ko idaat rukhni hogi.. becz un dono ne mutha kia tha kuch time k liye ....jis mai intercourse ki shert ni thi laikin ...intercourse ni kia sirf mani kharij ki hai lerkay ne vagina pr intercourse kiye bgair.....to kia is Surat mai bhi lerki ko idaat rukhni hogi??
Answer:
Agar bivi k sath jima(intercourse) nah hoa ho tu iddat rakhni wajib nahi hoti. laikin agar shohar ki mani is ki sharamgaah main dakhil hoe ho tu is sorat main zarori hay keh wo aurat iddat rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2474-5). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479)
[Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sirf nikah hua hai rukhsati ni hui - lekin hm m aik doosry ko chornay ki bat bht bar ho chuki hai -jse m n kha k m ni rehna chahti sath to wo khta thek ha na rho m bhi ni rhna chahit- to kia is bat s khula ho jati ha?
Answer:
Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492) (Note:) aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum mera swal ye ha me mera shohar Pakistan me rehty ha aur me Germany me.Mene unse getmany me khula le li par unho ne talaaq nahi di aur 7 year abhi tak guzar chuky ha!me Pakistan court nahi jasakti cuz jan ka khatra ha ab mera swal ye ha ke Germany court ke talaaqnama se dusri nikah karsakti hu ya nahi?
Answer:
1) Jee nahi ye talaq nahi hogi, Q ke Talaq ki chand sharaet hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti. un me se aik ye ke jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462 to 2464 & pg#460)
2) Is ke elawa Talaq ki chand sharaet aur bhi hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e انت طالق saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri cousin ki shadi k aik saal baad talaq ho gae lekin wo sirf aik mahina apne husband k sath rahi uss k baad wo dosrsy mulk chala gaya kya uss ki iddat ho gi
Answer:
talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 )
[Updated on 08-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meei bahoo ny court k through khula li hy case 30.09.2019 ko decree hoa tha usku fav.union council ko main ny khula ka 21.01.2020 ko inform kia hy ab kia union council mujhy 90 din bad khula ka certificate jari kry gi jab k usku iddat k 90 days b kb k guzer chuky hain kia larrkay ki union council sy certificate khula ka lena zaruri b hy.
Answer:
Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Ye talaq nahi hoe or wo aurat apne shohar se solah ker sakti hay. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam!mera sawal ye hay kay iddat complete ho jae to kya krna chahye jesay kay meri khala ki iddat pori honay ko hay to unko kis tarha mtlb koi khas qisam ka ghusal krna hota hay ya kya?
Answer:
W/Salam, Jee nahin iddat khatam hone ke bad kuch nahin karna hota aur iddat ke khatam hone ke bad koi gusl nahin hai. lekin agar aap ka sawal iddat e wafat silsilay me hai to agar koi aurat bewah ho jaye to us ke liay iddat ke doran shadi karna , aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana , aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se bahar nikalna haram nahi hai (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail edition 42, Masla no # 2481,2482).(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani topic wajib gusl edition 39 page # 62,).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi k shadi k baad kisi or se rishta bana hua tha shohar ko pta lagtey hi usne 1 talak de di Kya shohar ussey maaf kr k dobara nikah kr saktey hai
Answer:
Ye talaaq sahi nahi hai, or abhi bhi ap un ki zojiyat main hain. lihaza dobara nikah ki zaroorat nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633 to 2634
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mary khawnd ny mujy talaq di hai notice b bjwaya or voice msg k zreye b kaha.. Ab wo seeghy prhny k paisy maang ry hain toh kia seeghy prhny k bgair tlaq ho jati hai?..Rehnumai kryn
Answer:
1) Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2492, 2397)
2)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti ( yani nikah baqi rahta hai). 1.talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) na kia ho. 2.talaaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shoar yu kehe :zojati ( ------- ) طالق . brakit (----- ) me zoja ka naam le 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.,7) talaaq mualaq nahe hone chaie yaani kise chease per moukoof na ho (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152).
[Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir want the know that Agar shohar biwi ke sath zalimo Wala bartav Kare or use talaaq bhi na de to Kya biwi dusra nikah kar sakti hai
Answer:
Doosra nikah durust nahi hoga q k shohar daar aurat ka dobara nikah karna durust nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2341,2366).
1) Talaq ki chand sharaet hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti. un me se aik ye ke jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujtahid oa moulana sahb mjhe talak ka puchna tha mere shohar ne mjhe 2 notice bhijwaye thy talak k .or jab 3esra nitice bheja to usy apni razamandi se unho ne wapis krwa liya k receive mat krna .to na 3esra notice mjhe mila na mene receive kiya .aya k hmari talak ho gae h k nhi ?
Answer:
1) Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahi hoti chahe biwi ko maloom ho ya na ho or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492).
2) Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti ( yani nikah baqi rahta hai). 1.talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) na kia ho. 2.talaaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shoar yu kehe :zojati ( ------- ) طالق . brakit (----- ) me zoja ka naam le 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.,7) talaaq mualaq nahe hone chaie yaani kise chease per moukoof na ho (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA. Main ny apni wife ko 1 dfaa talaq di phr 3 month sy pehly hm donu ny 1 sath rehny ka fesla kia lekin us k parents ny mery sath ni byja meri wife ko, kia talaq ho gai? Please ans
Answer:
Talaq e raje main merd iddat k doran ruju ker sakta hay yani baghair nikah kiay osko wapas apni bivi bana sakta hay or agar iddat k doran ruju nah karay tu iddat k baad nikah k zerye apni bivi bana sakta hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486,2491)
[Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya talaq ke baad baat ker sakta hain thori bohot
Answer:
Talaq e rijee ki iddat k doran bivi zauja k liay mehram hoti hay or baat karna jaiz hoti hay, laikin Iddat kahtam hone k baad shohar, aurat k liay na-mehram ho jaata hay lehaaza,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq k baad agar dono fard aik arsa k baad kisi mahfil mai amne samne aa jaien to jaiz hai
Answer:
Talaq e rijee ki iddat k doran bivi zauja k liay mehram hoti hay or baat karna jaiz hoti hay, laikin Iddat kahtam hone k baad shohar, aurat k liay na-mehram ho jaata hay lehaaza,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)
[Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alikam main apni wife se larh raha tha bahut ghusay mein tha tu maine us ko talaq de di kiya ye talaq ho gai hai main sakht pareshan hon bahut loog ye kehtay hain k talaq ho gai hai kiu k is se pehle b 2 dafa kuch saal pehle esa ho chuka hai tu ab 3rd time esa huwa hai tu kiya koi rasta bacha hai baqi ya talaq ho chuki hai
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jafferia mai talaaq ki kuch sharait hai jin ka talaq k waqt hona zaroori hai Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر کسی شخص نے بیوی کو طلاق دی اب یہ یاد نہیں آرہا اس نےطلاق ٢ بار کہا ہے یا ٣بار کہا ہے تو کیا وہ بیوی کے ساتھ ریہنا چاہتا ہو تو کیا رہ ساکتا ہے
Answer:
Mazhab e shia Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz اَنتِ طَالِق‚ k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia janabat ki halat main talaq ho jati hai?
Answer:
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u alikum mery sohar ny mujhy phly 1 talaq bejhi osky 3 month ka bad 2osri aur 3sri b bejh di ha ek sth to kya mujhy talaq ho gai ha ya nai
Answer:
Mazhab e jafferia mai is tareekay ki talaak durust nahi hai balke talaq ki kuch sharait hai jese k talaq k seeghay do aadil gawaahon ki moujoodgi mai arbi mai parhein jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2472).
[Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alaikum m ne apny shohar 17 January 2020 ko alag hone ka faisla kr lia tha or m ghar chor kr agai thi qanooni tor py mje 5 march 2020 ko talaq mili h... Or is doran mje do bar haiz agaye hen to Meri idat kese ho g or idat m ksi na mahram k samne Jana gunah h plzz jwaab de dain...
Answer:
1,Agar to yah Court ki talaq hay to fiqh e jaffiya kay nazdiq yah talaq durust nahi hay..(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/)
2,Or agar sahi talaq hay to Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho (yani aisi aurat jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho), us ka sohar us se mujameat(hambistari) karey to agar wo usay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 )
3,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)
[Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u ailkum meri saas meri shadi k phely din sy bety ko kehti the talaq do aur bety ko apny pas sulati the k aulad na ho aur mujh per zulum krti the marti the aur sara din bhoka rakhti the kuch b khany ko nai deti the aur unhye 10 lakh ki b demand ki the jb k mery ghr waly wo nai puri kr skty thy to unki walda sy bt krny aye thy mujhy ghr sy nikal dia aur mery father k gareeban per hth dala unky bhi nay aur mujhy ghar sy nikal dia aur unki mother 3 din ghr chor k chali gai aur ghr wapis es shart per ai ka wo mujhy talaq da gye aur mujh sy kisi b tarha k rabta rakha ya mujhy apny sth rakha to unki mother aur behn bhi unko chor dye gye phr mujhy unho ny ek talaq bejhi aur 4 month k bad 2sri talaq aur 3sri talaq ek sth bejhi to kya talaq ho gai h ?aghr nai hwi to ap kuch btye prhny k lye jis sy wo mujhy alag ghr ma rakhye plzz ma bht preshn hoo plzz meri madad kr dye aur mujhy bta daye ka talaq hwi ha ya nai plzzz
Answer:
1. Talaq ki chand sharait hain jinki pabandi na ki jaye to talaq waqye nahi hoti. Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz انت طالق k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72).
2. Agar mian biwi me ikhtilaf ho gye ho to danoo me se aik awal o aakhir 11 bar salawat kay sath ba-wazu qibla rukh musalay per baith kar 100 martaba darg zail kalimat ka wird karay to haftay bhar me hallat saz gar ho kar daimi mohabbat me tabdeel ho jain gay. (Bismillah hirrahmanir raheem bismillah hil waasiea jalla jalala hoo)
3. Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se danoo me bemisal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404).
[Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u ailkum meri saas meri shadi k phely din sy bety ko kehti the talaq do aur bety ko apny pas sulati the k aulad na ho aur mujh per zulum krti the marti the aur sara din bhoka rakhti the kuch b khany ko nai deti the aur unhye 10 lakh ki b demand ki the jb k mery ghr waly wo nai puri kr skty thy to unki walda sy bt krny aye thy mujhy ghr sy nikal dia aur mery father k gareeban per hth dala unky bhi nay aur mujhy ghar sy nikal dia aur unki mother 3 din ghr chor k chali gai aur ghr wapis es shart per ai ka wo mujhy talaq da gye aur mujh sy kisi b tarha k rabta rakha ya mujhy apny sth rakha to unki mother aur behn bhi unko chor dye gye phr mujhy unho ny ek talaq bejhi aur 4 month k bad 2sri talaq aur 3sri talaq ek sth bejhi to kya talaq ho gai h ?aghr nai hwi to ap kuch btye prhny k lye jis sy wo mujhy alag ghr ma rakhye plzz ma bht preshn hoo plzz meri madad kr dye aur mujhy bta daye ka talaq hwi ha ya nai plzzz
Answer:
1) Talaq nahin hoi aur ab bhi wo ap ki zojiyat main hai, Talaq k sahi honay ki chand shariat hein. i) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. ii) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. iii) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. iv) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. v) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.lay haza agar faqat likh ker talqa di gae thi tu wo talaq sahi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).
2) Agar kisi khandan me kisi wajh se na itefaqi paida ho gay ho to Apas me ittefaq paida karnay k lie har namaz k bad rozana 11 martaba surah e infal ayat # 63 (wa al’la’fa baina. . . . . . . .. . hakeem) ko parhay. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 366)
3) Har qism k gham aur pareshani k lie surah anaam ayat 17 ko sehri (fajar sai pehlay) k waqt likh kar apnay pas rakhay. (Ref : Payam E Shifa pg # 185)
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Talaaq ka puchny sy bhi Talaaq hojati hy?
Answer:
Jee nahi mazhab e jafferia mai is tareekay sai talaق durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462).
[Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum. Meri 2 betian hain . Mery aur mery husbandk darmayn 1.5 year sy koi jinsi taluq nai hai. Aur mery shokar ny mujy 3 bar bola; main apny hosh o hawas main tmhn talaq deta hu". Aisi surat main meri iddat kitni hai? Mujy talaq k 2 weeks bad aik haiz b a chuka hai.talaq ki date10feb2020 hai.
Answer:
Mazhab e jafferia mai is tareekay ki talaak durust nahi hai balke talaq ki kuch sharait hai jese k talaq k seeghay do aadil gawaahon ki moujoodgi mai arbi mai parhein jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2472)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq e batil ka barye ma tafseeel sy bta dye aghr majboor krny per talaq di jaye to kya talaq ho jati ha ya nai es brye ma b meri rehnumai farma dyee
Answer:
Agar talaq apne ikhtiyaar sai or doosri sharait moujood hone k saath di hai tou talaaq durust hojaaye gi warna talaaq sahi nahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u alikum mera sawal ya ha ka aghr court sy 3 talaq ka notice aye hye aur un per 2 gawah ka b signature hwye hye aur phli talaq 6 october to ai the aur ab 2sri aur 3sri 27 feburary ko ai ha to jo 2 talaq ek sth ai hye to kya talaq ho gai ha ya abi b unky pas talaq ka ihtyar baki ha ya nai aur aghr talaq ki neyat na ho aur zabdasti signature krwye gye ho talaq namye ma to esi sorat ma kya ho skta ha nai plzz meri rehnumai kar dye
Answer:
Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahi hoti or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi Shohar apni bevi ko kahe k tum farigh ho to islam Kya kehta hai is bare mai
Answer:
Jee nahi is tarah sai mazhab e jafferia mai talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 masail no 2462-2472)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main ek shadishuda mard se pyar karti thi aur main unse nikah kar liya tha lekin unse Mera talaq Ho Gaya uske bad FIR main unki datt ki uske bad FIR main kisi se nikah Kiya aur FIR halala kar liya aur uske bad FIR jab main unse dobara nikah karne wali thi ek din vah mujhko mile aur humne sex kar liya aur uske bad main pregnant Ho Gai to ab Mera unse nikal jaaye hai delivery se pahle
Answer:
(Note: is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main ek shadishuda mard se pyar karti thi aur main unse nikah kar liya tha lekin unse Mera talaq Ho Gaya uske bad FIR main unki datt ki uske bad FIR main kisi se nikah Kiya aur FIR halala kar liya aur uske bad FIR jab main unse dobara nikah karne wali thi ek din vah mujhko mile aur humne sex kar liya aur uske bad main pregnant Ho Gai to ab Mera unse nikal jaaye hai delivery se pahle
Answer:
(Note: is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalmo alyikum kiya kisi ke uksane par 3 talaq jaban se nikal jai to kiya talaq hojaigi aur gawa mojud ho
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ya majbori ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam o alikum mera sawal ye he ki maine apni biwi ko gusse me yek hi din me 3 talaq de di magar me usse chodna nahi chata me naya musalim bana hu to mujhe iske bareme ilm nahi tha abb me kya karuiska koir rasta he me usse juda nahi hona chata
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA! Kiya larki talaq k baad apni jahez k sath sath shohar ki bhi banai howi ya li howi saman ly ja skti hai? Ya sirf apni jahez ka saman ly ja skti hai?
Answer:
Talaq k baad faqat biwi faqat apni chizain lay jaa sakti hay, shohar ki di hoe cheezo per shohar ka haqn hay, ab os ki marzi hay keh wo aap ko di hoe cheez wapas lay llllay ya aap ko layy janay day.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1320,eidition 1439 ).
[Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq k bad dosri jaga nikah ho gia ho lakin rukhsati se pehlay dobara talaq ho gae tu kia pehla shauhar se nikah ho sakta
Answer:
Aik talaq k baad Q keh halale ki zaroorat nahi hoti, is liay pehle shohar sai nikah jaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349)
[Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main sunni ho mainy shia larki sy shadi ki mainy 3baar talaaq keh diya usy kya talaaq hojaegi jabky nikkah shia howa tha hamara Or agar talaaq hogai hy to ham sunni nikkah karsakty hain kya
Answer:
Agar shia larki ko os ka sunni shohar sunni mazhab k mutabiq 3 talaq de day tu talaq baa,en ho jaati hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.), Jadeed masael, Masla # 49)
(Note: Aap ki talaq nahin hoye lihaza dobara nikah ki zaroorat nahin.)
[Updated on 30-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera shohar nai gussa mai mujha 3 baar talaq bol diy ,usa waqt ghar mai koi nahi th ,ky humra talaq hogy
Answer:
jee nahi mazhab e jafferia mai is tarah talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatllah seestani edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]