Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (816 Questions)


Showing 50- 100 questions from 816 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
5269
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: mai 18 months se apnay shohar se juda humujhay sweden ke qanun ke mutabiq talaq ho gai hai,magar mera x husband mujhay talaq nahi de raha hai aap ke pas is maslay ka koi haal hai?

Answer: 1)Ye talaq sahi nahi he q k zaruri he k talaq ka sighah sahi Arabic k saath perha jaay aur 2 aadil merd usay sun lain.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472).
2) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay.
i) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho.
ii) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay.
iii) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5399
Mujtahid:
agha seestani Date:

Question: agar aik shia mard , sunni aurat se shadi karta ha or us k ghar wale us ko talaq dilwana chahen or wo larki keh de k muje talaq chaye or wo larka inkar kar de phir wo larki khla la le to kia ya talaq ho gai, jab k unhon ne mard ki marzi k khlaf khula le or larke na sing kia sirf is lia k larki n likh kar de dia tha, dusre ya k unhon ne hand written paper de the us larki ka bayan bhi or mera iqrar nama bhi ilaqe k nazim se tasdeeq k lia , koi seeghe nah parahe , or koi mulvi nahi betha , sirf wo paper par larki ka statement likhwa kar lae the or phir aik paper par mera iqrar nama k ma khula deta hon or sign karwale the.

Answer: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2)agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
5581
Mujtahid:
Imam Sistani Date:

Question: a husband can give divorce if thay had no sexual relation between husband ad wife not even for one time.

Answer: It is valid to divorce a woman even if she is in Haidh even the husband has not had sexual intercourse with her wife after marriage.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5583
Mujtahid:
Sestani Date:

Question: meri shadi july 2010 may hui hay or mjhe kidney problem thi jis ki wajeh se may or mere husband ne humbistari na kerne ka faisla kia kch arse ke liay take may thik hojaun.laiken kch khandani masail ki wajeh se mjhe divorce leni per rahi hay kia is halat may may divorce le sakti hun. kynke may abhi virgin hun or mere husband ne mjhe chuwa bi nahi hay.

Answer: Talaq lena sahih he jabke talaq ki shariat puri hoon aur aap ke sath hambistri nahi hui he to aap haiz ki halat me bhi talaq le sakhti hein. Talaq ki shariat : 1)zurari he k talaq ka sigah sahi arabi me lafz “taliqun” k sath perha jay 2)zurari he k 2 adil mard usi sunein. 3)zurari he k mard balig aur aaqil ho (etc.)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5644
Mujtahid:
Date:

Question: Agar koi shakhs bina parhay talaq k legel documnets pe sign kar day to kia talaq ho jay gi? jab k us ne zaban se 1 dafa nai kaha? kia talaq legel paper per sign kar k ho jati ha ya zaban se kehna zaruri ha?plz mere swalaon k jawab jald az jald den.

Answer: (talaq sahih hone k liye chand sharayet ka hona zaroori he jase k) : 1)zurari he k talaq ka sigah sahih arabi me lafz “talequn” k sath perha jay 2)zurari he k 2 adil mard use sunein. 3)zurari he k mard balig aur aaqil ho. (etc.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5670
Mujtahid:
nil Date:

Question: kya nikah se pehly talaq ho sakti hai?

Answer: Talaq biwi ko di jati he aur jab tak koe nikah nah karay talaq bhi nahi ho sakhti. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5673
Mujtahid:
nil Date:

Question: kya nikah se pehle talalq ho sakti hai?jaldi jawab dein mein bht parishan hun

Answer: Talaq di hi jab jae gi jab koi shadi shuda ho agar shadi shuda nahi hai to talaq kaisay ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5674
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alikum, me aik lerki say pyar kerta ho or muj say. us k ghar walay us ki mere sath shadi nahi kerwana chahtay thay. aik din wo lerki apna ghar chor k mere pass a gai or nikah ker lia jis may us k baap nay shirkat ki. teen mahinay baad meri maa ne us k baap say kaha k ap us ko apne pass 2 saal k liay rakh lay ya is ki ruhasti day day logo k samnay lakin wo kisi b sorat may apni beti ko wapis apnay ghar rakhnay ko tayaar nahi thay siwaaye talaq k meri maa nay yeh is liay kaha tha k meri behan k risthay may masla ban raha tha lakin us k ghar walo or meri maa nay is ko apni anaa ka masla bana liya tha. jab us k baap nay kaha k talaq day do to le jata ho to meri maa nay kaha k theak hai ap talaq le lay. or us ka baap kuch log le k a gaya. mene koshish ki k baat ker k koi rasta nikal aye lakin wo talaq pe bazid thay. meri maa nay mujay b keh diya k is ko talaaq do jo me nahi chahta tha. unho nay pehlay tehriri tor pay talq likhi or baad ma kaha k isko perho jo mene perh dia. meri talaaq dene ki koi niyat nahi thi or na me chahta tha mene jo kia apne ghar walo k dabao me kia. or jis waqt yeh talaq hoi us waqt wo lerki halat e haiz me thi. braye mehbani mujay bataye k yeh talq waqia ho gai ya is may koi gunjaish baqi hai?

Answer: Talaq k sahi honay ki khuch shrait hain:jin main say khuch ye hain.
1) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Maaloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-65 ).
2)zarori hay keh talaq ka sigah sahi Arabi k saath perha jay aur do (2) aadil mard osi sunain lakin agar koe merd arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur vakeel bhi nah bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarye talaq de sakhta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur 2 aadil mard usay sun lain.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5703
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-alikum..... may ye maloom karna chahty hu k jab nikaah hota hay to baakaaida ikraar karwaya jata hay k tumhay faalaa wald fala say nikah kabool hay to kiya talaak dety huay bhee biwi ka naam or us ka waalid ka naam dohra kar talaak de jaaty hay ya sirf ye teen baar kahny say k may nay tumhay talaak de talak ho jaaty hay

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5719
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalam-o-alaikum .. mera sawal yeh hai k m apne shohar se khula lena chahti hoon m 1 saal se apne walid k ghar hon aur mera shohar kehta hai k woh mera kharcha afford nhi karsakta aur woh mjhe talaq b nhi deraha hai lekin mjhe uske sath nhi rehna hai mjhe khula lene k liye kya karna chaye ??

Answer: Is surat men Biwi Hakim e shara (mujtahid) se is masle ka hal k liye ruju kr sakti hai, or wo mujtahid halat ko madd e nazar rakhte hue talaq ko jari kr sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 428, Pg # 214, Eidition# 5). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5755
Mujtahid:
suni Date:

Question: ghsa mn talaq ho jati ha

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein.

1)Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464).

Print

Id:
5873
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal hai k khula sirf court say hi ho gi ya maslahti committee may bhi ho sakti hai or court k paper affidavit per title Khula likhey ya Talak bazarya khula likhey shukriya k saat jawab dey

Answer: Talaq sirf usi wqt hogi jab shohar khud apni riza-mandi se talaq de, albatta share`at e muqaddasa men court k nikah, talaq or papers ki koi ehmiyat nahi hia,(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
5935
Mujtahid:
Date:

Question: agar shohar biwiko aik talaaqe rajai de or phir us se ruju kare tu iska kaffara kia hoga or usko kitni talaaqo ka haq baqqi reh jai ga.

Answer: Is ka koe kaffara nahi hay or ab os k paas srif 2 talaq baqi reh jay gi.Q k Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq de kar os ki taraf rajhu kar le ya osay 2 dafa talaq de aur har talaq k bad os se nikah kar le ya aik talaq k bad rajhu karay aur doosri talaq k bad nikah karay to teesri talaq k bad wo is mard per haram ho jay gi.lakin agar aurat teesri talaq k bad kisi doosray mard se nikah karay to wo 5 shartoo k sath pehlay mard per halal ho jay gi. Yani dubara nikah kar sakhti he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2491) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5976
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o Alaikum,meri shadi ko 12 saal ho gaye hain aur koi aulat nahi hey,meray husband mamo key betay hain,hum dono hi job kartain hain,merey husband ki ye adat hey kay zara zara si batoun aur larai ki waja sey ghar chor kar apni ammi key ghar ja kar beth jatey hain,mujhey unn kar bharosa nahi hey.main unn sey khula laina chahati houn court sey,mujhay sharie tarika bata dain.

Answer: Talaq khula: Jab aurat apnay shohar ki taraf maa

Print

Id:
6022
Mujtahid:
ayet ula sistani Date:

Question: slam.meri shadi 3 sall phly jis sy hoi woo divorcy tha usny apny divoce k paper dikha kr shadi ki thee abb 3 sall baad usky bary main pta chla ha k wo still apni x-bv r bchy sy milta ha r mjsy musalsl jhoot bolta rha ha main ny sb sboot b dykhy hn.abb main usy talaq lyna chhti hoon woo nai dyta r mjy khula lyna ha plz mjy btain is mslay ka kya kroon

Answer: Talaq khula: Jab aurat apnay shohar ki taraf maa

Print

Id:
6176
Mujtahid:
Imam Jaffar (A.S) Date:

Question: i want to know about talaq.

Answer: Talaq k masayl k lie nickay diay hua link per click karain.
http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=76&MainTopc=89 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6243
Mujtahid:
Date:

Question: Mera Nikah hoa ha Rukhsati nahi Meri wife mujh sey Khula mang rahi ha kia mujhe Talaq k baad Haq maher dena parey ga k nahi as main ne us k sath hum bistari nahi ki

Answer: Jee han ap haq mehr ka adha hissa biwi ko denge, albatta agr ap chahen to orat se talaq e khula k badle kisi chiz ka mutaliba kar sakte hen jese haq e mehr ka wo hissa maaf krwa sakte ya phir is se zaaid raqam ka mutaliba bhi kr sakte hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 309, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6307
Mujtahid:
Date:

Question: mery abu ne meri ammi ko larai k duraan bhot dafa kaha hai k mein tum ko nai rakhta mein ne tm ko talaaq di hoi hai jab k mery abu ne 3 dafa mun se nai di talaaq...tu kia mery ammi abu ki talaaq ho gae hai plz mujhy es ka answer dena hamary gahar mein es bat se bhot tension bani hoi hai.

Answer: Ye talaq sahi nahi he.
Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain:
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6364
Mujtahid:
Date:

Question: AOA, Muala Sab Ko Salamat Rakhay. Meri Shadi 2005 may hui, shadi k baad meri biwi nay kabhi bhi Chadar nahi li jis k liay may nay usay Kai mertaba Roka, Danta, Baat kerni band ki and in Last haath bhi uthaya. 1 year and three months k baad meri biwi Lar k apne ghar chali gai, jis k baad aaj tak nahi aai. Is dermyan wo apnay ghar beemaar bhi hui jis ka Sara Expense may ne uthaya, aur us k ghar ata jata raha Aur Kai Martaba chaha k wo ajaye MAGAR us ki deman thi k Makaan us k naam keroo and wo makaan jo Meri MAA k naam hai. Al-Mukhtasar may nay sara Kharcha uthaya and Last November may demand ki k Ab ajao werna Tallaq dunga magar Biwi nahi aai Jis k Bad Tang a Ker may nay TALLAQ-e-SHARAI di. Now Mere Susral waloo ne court may case kia hai k May poray 5 Yrs ka kharcha du and jhota ilzam yeh bhi lagaya hai k Bemari per sara kharcha unhone kia hai jis per unhone Jhoti Rasedain bhi dikhain hain. Mera Sawal yeh hai k Kia Shariyat may aisi koi gunjaish hai k "Agar Biwi Apni Merzi se Ghar Chor ker jaati hai and Nahi Ati, And Koi Haq-e-Zojiaat bhi ada na keray" tu MARD us ka Khracha uthane ka paband hai ya nahi. Because May tang achuka hu , jhote ilzamat seh seh ker.. her mumkin koshish ki thi k wo ajaye and jab 5 years wait kr k wo nahi aai tu may nay majboran Tallaq di thi. Please guide and reply k Shariyat may aisa kuch hai k Agar Lerki Apni Merzi se Chali jaye Phir bhi Lerka 5 years ka khracha uthaye... Even may 1 lac Mehar and 03 Months ki iddat ka expense denay ko tayyar hu. PLEASE REPLY

Answer: 1)Agar koi aurat humbistari Aur jinsi lazzatoon k silsile me us ki khawaish puri na karey to roti kaprey aur makan ka wo zimadar nahi he agarche wo shohar k pas hi rahey aur agar wo kabhi kabhar apni un zimedarioon ko pura na karey to ehtiat e wajib k mutabiq roti , kaprey aur makan ka shohar per haq saqit nahi hota aur har surat me is ka mahar kaladam nahi hota. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullah Sistani (d.b.) Masla # 2377)
2)Agar talaq datay waqt talaq ki tamam shariat majood ho to hi talaq sahi mani jay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6445
Mujtahid:
Talaaq Date:

Question: Main apni biwi ko talaaq dene ke liye bilkul tayaar nahi tha. usne sirf ek chotti si baat ko lekar talaq lena chaha.pur maine inqaar kardiya bawajud ussne kafi pressure kiya aur mere sath rehne ke liye hargiz raji na thi. aakhir mujhe majboori main usse talaq dena pada, agar woh wapas mere paas aakar rehna chahe to kya raasta hain uske liye.

Answer: Talaq ki 2 aqsaam hain talaq e ba,in or talaq e raj,ee.
Talaq e ba,in wo talaq hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hay.
Or talaq e raj,ee wo talaq hay k hab tak aurat iddat main main ho tu shohor os se ruju ker sakta hay(yani baghair nikah k os se ruju ker sakta hay ).or iddat khatam honay k baa dos se nikah ker k os ko bivi bana sakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6469
Mujtahid:
Date:

Question: ma ny ghsuy mein apni wife ko talaq keh dia ha ek dafa ab kya krna chaye?

Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).
6) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay.
7) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho.
8) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay.
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6543
Mujtahid:
Ait ullah Sistani Date:

Question: mary aik cousin hain un ko 15 July ko un k shohar chor kar aur bacho ko apne sath lai kar chalay gaye they. 2 month baad unho ne talaq k documents bhaj diye. aur kaha k unho ne SIGHEY bhi parwa liye larki ki ghair mojoodgi main. kiya is tarah un ki talaq ho gai ? aur ab wo dobara rujo karna chah rahe hain. kiya ye wapis ja sakti hain? plz reply as soon as possible.

Answer: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho.
2) Talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) Zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
6) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay.
i. Sohar nay nikah k bad is say hambistri na ki ho.
ii. Maloom ho keh wo haamlah (pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay.
iii. mard gair hazri ya kisi bhi wajah say ye maloon na kar sakta ho k wo haiz ya nifas say pak hay ya nahi. Lakin is surat may ehtiat e wajib ki bina par zaroori hay k merd intezar karay ta k biwi say juda honay k bad kam az kam aik mahina ghuzr jay is k bad osay talaq day. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).


Talaq ki 2 aqsaam hain talaq e ba,in or talaq e raj,ee. Talaq e ba,in wo talaq hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hay. Or talaq e raj,ee wo talaq hay k hab tak aurat iddat main main ho tu shohor os se ruju ker sakta hay(yani baghair nikah k os se ruju ker sakta hay ).or iddat khatam honay k baa dos se nikah ker k os ko bivi bana sakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6544
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: Answer is urgently required. 1 lerki ka 12 saal pehly nikah hua tha leken rukhsati nai hoe thi. nikah k kuch arsay bad lerkay nay talaaq (divorce) day di.talaaq diye hoy 11 saal ho gay hen.3 notice bhejway thy lerkay nay. ab 11 saal bad lerki ki kahi or shadi kernay lagy hen. jb nikah ka wakt aya to maulana sb nay kaha k jis lerkay k sath pehly nikah hoa tha us nay seeghay ada nai keye sirf talaaq (divorce) k notice bhejway hen. is liye ab is ka nikah jaiz ni ha. ap say guzarish ha k shari hisab say is maslay ka kia hal ha jb k lerka ab seeghay ada ni kerta dushmani ki waja say. Q.1 Kia pehly wala nikah abi tak qaim ha Q.2 agar lerka talaaq k seeghay ada ni kerta to kia kerna chahye Q.3 Lerki ki shahi kahi or kerni ha is ka koi hal b btaye. shukria

Answer: Talaq k sahi honay ki chand shariat hein. i) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. ii) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. iii) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. iv) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. v) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.lay haza agar faqat likh ker talqa di gae thi tu wo talaq sahi nahi hay or aurat pehlay merd k hi nikah main hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6659
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alikum...meray husband nai mujhy ghussay mai kaha ke tum meri taraf se azad ho,,1 bar nahi kahi bar kaha,,,ab jab mai un se baat karna chahuu tu mujhy kehtay hain ke mera tum se rishta khatam hai,,,tum azad ho,,koi baat poochoo tu kehtay hain tum samjhti nahi hu mera tum se rishta khatm hai,,mai tumhay rakhna b nahi chahta,,ab mai kiya karoo.or es baray mai kiya hukam hai

Answer: Ye talaq nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).

Wazifa :
1. Agar mian biwi apas me naraz hoon to surah e muzzamil ko 3 bar sharbat per parh kar pila dein to aik dosray ke dost aur meharban ho jain ge. (ref : Kitab payam e shifa pg # 287)
2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e jumma ko sohar aur biwi k darmian it’ti’faq k lie 5 bar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6673
Mujtahid:
Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Date:

Question: pasand ki shadi main age larki khula galat fahmi ki wajha se krny ko tyar ho jye mgr wakeel sirf larky ko ik call per bolay k ejazat do ya nhi mgr khula ho jye gi to kya khula ho jati hai ? aur agr us k bad larki shauhar se bat khtm na kray aur iddat bhi na karay aur khud bhi chahti ho shuru se k us ki shadi khtm na hui ho to kya rishta jyes hai ? aur agr hai to nikah dubara krna ho ga ya khula nhi hui ??

Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).

talaq khula aisi talaq ko kehtay hain kl Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6685
Mujtahid:
Question Date:

Question: Dear Sir Main KHULA ke bare me jaana chatahu kiya KHULA ke bad ladki our shahor us alag ho jate hai kia ouse koi our shadi kar sak tahai ? plz mujhe iss ke bare me bataye A am really thanks to for giving a time my ?

Answer: 1)Jee haan talaq e khula k baad aurat shadi kar sakhtay hay laikin aurat os waqt tak shadi nahi kar sakhti he jab tak aurat ki talaq ki iddat puri na ho jay.
2) Talaq ki iddat : Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo osay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k 2 haiz ka darmiyani faasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar osay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujamiat karney se pahle usay talaq de to us k lie koe iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6714
Mujtahid:
Date:

Question: kiya khula k baad wapsi k liye halala zaruri hai pls es guneghar banday ki madad farmey

Answer: Talaq e khula talaq e baa,in main se hay.or talaq e baa,in wo talaq hoti hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hain.((Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514)

Teen qisim ki talaq e main iddat nahi hoti yani baghair iddat ki wo dosra nikah ker sakti hain.
1-jis lerki ki umar poray 9 saal(chand k layhaaz se) nah hoe ho.
2-wo aurat jo yaa,esa ho chuki ho (yani jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida honay ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho).
3-jis aurat ko hambistari se pehlay hi talaq day di gae ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6794
Mujtahid:
Date:

Question: mere nikah ko 2.5 saal ho gaye hain magar rukhsati nahi hui aur pechle ek saal main muje mere shohar ne 2 bar talaq 5 ya 6 mahine ke faraq se 2 bar talaq bhi di aur har bar rujhu kar liya,ab mere waldain ko pata chala to woh chahte hain ke woh muje talaq de dain magar woh kehte hain khula le lo ja ke,main nahi talaq donga,hum dono humbisatri bhi kar chuke hain 2 saal se magar yeh baat mere ghar wale nahi jante.unka etbar mere shohar par se uth chuka hai kyun ke woh humare nikah ke 6 mah bad ek aur nikah bhi kar chuke bagir bataye aur puche,main jana chahti hoon ke agar main khula leti hoon to kya muje haq mehar mile ga jo unhone muje aada nahi kia tha aur agar court main khula ho jati hai to iddat ke arse kya woh wapas raju kar sakte hain mujse ya nahi?

Answer: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) Talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) Zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).

talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6826
Mujtahid:
Date:

Question: agar husband bivi se ke me to bachon ko primary schools me parhaon ga .wife ne kaha ke me khud job kr k parha lon gi ache school me.to husband ne kaha k to phir to meri taraf se farigh hai.muthe aisa laga woh kah rahe hain k me phir tumein nahi poochon ga.husband ka kehna hai k meri talaq ki niyyat nahi thi me bachon ko kah raha tha k yeh phir meri taraf se farigh hain .muhje sunai dia k mujhe kaha ke to phir farigh hai.mujhe bhi laga k unki talaq ki niyyat nahi thi.lekin kia in alfaz se talaq hogi ya nahi.

Answer: jee nahi is terah talaq nahi hoti. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) Talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) Tarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6852
Mujtahid:
Date:

Question: Sir please Quran ke kisi verse ka hawala de kar batai ke ek burhi bewa(an old widow) ki iddat kya hai...? Jis ki umer zeyada ho ... pregnancy ka koi chance na ho...Aur na hi usse periods aate hoo

Answer: Wo aurat jo haamla nah ho, os ki Iddat e wafaat 4 mahine 10 din hoti hay. Quran main sorah baqra ki ayat#234 main is ka zikr hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
7431
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alikum . mje ye baty k mai apni ami k yha hu 8 maheeny se n me khula le rahi hua pny shohr se adalt mai bhi case hai mai ak dafa b nai gai apny shohr k ghr wapas many suna hai ak orat ne batya k agr orat 3 maheeny tk wapas na jae apny shohar k ghr to khula to khd ba khd shariyatan hojati hai kya ye thik hai and iddat bhi nahi rehti phir us per kya ye sahi hai plz mje baty jazakALLAH

Answer: Aisi Koe baat nahi he balkeh Aurat talaq e khula os waqt lay sakhte he jab aurat khud apne sohar ki taraf maail na ho aur us se nafrat karti ho balkeh talaq e khula me mautaber ye he k aurat apne sohar se is qadar nafrat karti ho k usay wazifa e zojiyat ada na karne ki dhamki de. Or khud ba khud talaq e khula nahi hoti.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah # 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7468
Mujtahid:
NA Date:

Question: Asslam-o-Alaikum, m apni wife ko mukhtalif aukaat mn teen defa talaq keh chuka hn,teneeo defa ghusay mn kaha he. do defa khnay k bd hamri sulah ho gaie thi, lakin tesri defa meri wife ko bht ghusa ayea, meri niyaat nhi thi ke m us ko talaq bolun , lakin us ne gher ki chezain torna shuru kr din, muj per phainkna aur marna shuru kr dn, jis ki result m meri zubaan se woh alfaaz ada ho gaye, yeh alfaaaz m ne urdu m kahay thay, meri niyyat nahi thi, koi gwah nhi thay, m ne usi raaat apni wife se hambistri ki thi, to please ap mujhay btaen k talaq hui he ya nan? mn ap ka bht shuker guzar hn ga.

Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7478
Mujtahid:
Date:

Question: main apni biwi ke saath sex karna chahta tha magar woh mana ker rahi thi,aur aksar woh sex ke liye mana karti thi,kehti hai ke tumhare maa roz naho to gussa karti hai,magar us raat mujhe gussa aa gaya aur maine use darane ki neeyat se do baar talak bol diya us waqt hum dono akele the aur mere bacche so rahete aur koi bhi nahi tha.to main ya janna chahata ho kya mera talak ho gaya ya nahi hya.

Answer: Ye talaq sahi nahi he Q k zarori he k talaq ka sigha sahi Arabi zaban main perha jay aur 2 aadil mard usay sun lain. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7547
Mujtahid:
kya talaq ho gai Date:

Question: Assalamualikum Mera Q Hai Ke Maine Gussey Ki Halat Main 5/6 Martaba Lafaz Talaq Doh Ra Diya, Main Apni Biwi Se Bahoot Paya Karta Hun or Wo Bhi Mujhse Payar karti Hai Hamara 3 Saal Ka ek Beta bhi hai Main Apni Biwi ko talak nahi dena chata tha main to sirf usko darane ki niyat se keh diya tha to kiya talak ho gai

Answer: Ye talaq sahi nahi he.
Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain:
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7558
Mujtahid:
Khula Date:

Question: As salam Alikum, mera sawal hai kai, agar larki ka nikha huwa ho or larka us ko passand na ho phir bhi ghar walon kai kehne pe nikha huwa to kya woh nikha ho gaya ? or larki nikha kai baad se 2 saal ho gaye woh tallaq mang rahi hai or larkay ne phone pe tallaq day di hai magar woh kehta hai kai 2 baar main nai tallaq kaha tha or 1 baar DALLAQ kaha tha to kya tallaq ho gayi.? larki us se shadidt nafrat bhi karti hai ... mujhe please is ka jawab bata dayn

Answer: Agr larka ya larki nikah per razi na hon or unhen majboor kiya jaye to hone wala nikah sahi nahi hoga, is surat men ksi talaq ki zarurt nahi rahegi, albatta agr zahiri tor per na-pasandeedgi ka izhar kren lekin dil se razi hon, ya phir nikah k bad wo koi aysa kaam anjam den jo unki razamandi per dalalat krta ho to nikah ko sahi mana jayega, Lekin mazkoora tareeke k mutabiq di gai talaq sahi nahi hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335—39-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
7559
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: i have been married in feb 2010, after rukhsati, my wife sadia was gone back after few days to her parents home accompanied by her father and sister as a tradition. she was very happy , getting some money for expenses and with out missunderstanding of any kind. she lived very happy,as well as a good sex relations.after few days her parents refused to back her and disconnects all the ways i.e mobiles/phones etc. after some days they launch a case in a civil court for dissolution of marraige with some false allegations and recovery of dowry items of more than 4 lacs. actually they did not give me single penny in form of dowry or else, the peoples at sight and Allha knows.they alleged that i m a low paid servant i.e seppoy. querrled and use to beaten her, and doing pilfridge with her dowry.it is again reminded that the allegation and claim of dowry were totally false.neither she or her parents called me for dissolution/talaq or demanded khula. now the court awarded the khula. the false case of dowry was settled by advocates by extra payment of rs 30000/ which i paid to my advocates .she also take the haq mahar fully. i did not give her divorce nor will give in future. i believe the right of divorce rests with husband. there is no any valid ground/reasons for dissolution .she lives with me very happy, she and her sister take all article of my jewellery and clothes etc with her with out intimation or permission .there is no question of my low rank job or financial position .her allegation was false and base less . i have a good job(officer rank) and sound financial position. i am confident this khula is not valid as per islamic teachings. what is ur opinion in the light of teaching of islam. thanks

Answer: Note : is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Fiqh e jaafriya(Shia) main talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.in sharait ki raushni main court say talaq lain sahi nahi or aisi talaq ghalat or batil hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).

Agar bivi apnay shohar se itni bayzaar ho jay keh bil-akhir apnay shohar k hoqooq ada kernay per qudrat nah rakh sakay or is baat per bhi raazi ho jay k apnay shohor ko khuch maal waghaira baksh day takeh wo osay talaq day ker azaad ker day laikin shohar is paishkash ko thukra raha ho or aurat ko talaaq nah day raha ho tab bhi haakim e shara(mujtahid) tak k liay talaq daina jaiz nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), mujtahid say pochay gay sawalaat part#2, Maslah#148 )

Note: jab aisi halat main haakim e shara(mujtahid) k liay talaq daina jaiz nahi hay tu adalat k liay talaq daina kaisay jaiz hoga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7707
Mujtahid:
Date:

Question: mai nay ghussay ki halat mai apni biwi ko 3 talaaqien aik sath day dien meray 2 betay hain aik 9 months ka hai aur bara 2 years ka baad mai mujh ko ehsas hoa k mai nay ghalat kia hai tu kia talaaq ho gae? Aksar log biyan kartay hai k hazart umar farooq r.a k dour mai unhon nay is ko 1 talaaq qarar dia tha plz koi hul bataien main buhut praishan hon

Answer: Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Talaaq k sahi honay ki chand shra’it hain.
1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462 to 2464) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7897
Mujtahid:
sunni Date:

Question: bewa aurat iddat k doran kab ghar sy nikal sakti ha suraj garoob hony sy pahly ya baad ma

Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9083
Mujtahid:
Date:

Question: Mere husband ne mje gusai ki halat mai 3 dafa talaq dai hai hum akhle tai koi gawa nhe tha aur hmre foran sula ho gai aur sex be kia to kya hmre talaq hui ya nhe?plz jalde jawab dai

Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye

Print

Id:
9108
Mujtahid:
Date:

Question: asslaam waalequm wa rehmtull janab mera masla thora alag hai to app se darkhawst hai ki tafsil se bayan farmai darasal mera nikah ke 10 deen baad kisi beemari ki bahane se mere sasoral waalo ne mujhe or meri biwi ko bulwa kar use apni beti ko rakh liya or mujhe apne waalden ko bhejne ko kaha gaya mujh par jhoote ilsamaat lagayi jo ilzamaat saabit nahi nahi jinka koi wazood nahi us din ke raat ko larki ke ghar se phone aya ki hame kuch galat fehmi ho gayi thi hamse galti ho gayi aap kal aakar beti ko le jaye agle din mere waalid or chaca jab waha pauchai to unhai jabar dasti beetha liya gaya or unse se ghar per phone kerway gaya ki ladke ko bulwo jab maine jaane se mana kiya to mere waalid ko marne ki dhamki di gayi is ke baad unka ek admi hamare ghar per ek haat se likha talaaq naama leker aaya or mujhe jaber dasti us tallaq namai per sing karna para ab mera sawaal ye hai ki kya ye talaaq hoga kuki mai talaaq nahi dena chata tha mai abhi bhi larki ko rakhne ko tayaar ho larki bhi apne maa baap ki baato me aa ker mujh se talaaq mang liya doosra wo log mujh per den moher ki rakam ka bhi dawa kar rahai hai app mujhai batai ki mai is ke kilaaf kuch kar sakta hu

Answer: Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain.
1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay.
4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9244
Mujtahid:
Talaq Magna Date:

Question: Meri Biwi muj se talaq ka matalba akele main kar rahi hai

Answer: Agr ap talaq dena chahen to ap talaq de sakte hen. or talaq men is ki tamam sharait ka khayal rakhna zaroori hai, jo ye hen.
1. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho.
2. Talaq zabani di jaye yani likh ker talaq dayna batil hai or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaye.
4. talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar na hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo se bachte hon) gawaho ki maujodgi men di jaye.
5. zarori hai k mard talaq apne ikhteyar se de or agr use apni bivi ko talaq dene pr majbur kia jaye to talaq batil hai.
6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaza agr wo maslan mazaq ya nashe ya ghusse ki halat men talaq de to,talaq sahi nahi hogi.

(Ref: Ayat-ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, masla # 345)

Print

Id:
9766
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ya ha ka ma na apni wife ko phone pa teen talaq de aak sat jaldi ma or gussay ma mari neeaiat talaq ke nahi the or na he wife na mangi mari 2 months ke beti ha kaya talaq ho gai ha ?plz jaldi batai

Answer: Ye talaq sahi nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9894
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum! Mera sawal ye hai ke Meri biwi Mujh se Khula laena chahti hain lkn mai sulah chahta hoon.kuch aisa den ke meri biwi Khula ka irada chor de aur wapas meray pass aajay meri aik beti bhi hai 3 month ki.

Answer: Aurat talaq e khula os waqt lay sakhti he jab aurat khud apne sohar ki taraf maail na ho aur us se nafrat karti ho balkeh talaq e khula me mautaber ye he k aurat apne sohar se is qadar nafrat karti ho k usay wazifa e zojiyat ada na karne ki dhamki de.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah # 2492).

Wazifa:
1. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e jumma ko sohar aur biwi k darmian it’ti’faq k lie 5 bar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9895
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum! Sawal kuch ye hai ke aaj se 10 saal pehle meray bahan aur behnoi ka jhagra hua. Aur meri bahan uss waqat Hamal se thee.Behnoi ne ghuse mai bahan ko bola ke mai ne tumhe dee, Mai ne tumhe dee,Mai ne tumhe dee.Aur ye baat us ki behnoi ki walda ne aur bahan ne sunni. Aur uss ke baad masla theek ho gaya dono aapas mai rehne lagay ab un ki 4 betain hain. kya uss waqat jo behnoi ne bola tu meri bahan ko Talaq ho gai ke nahi. agar ho gai hai tu woh 10 saal se saath reh rahe hain. aur un ki ab 4 betiyaan hain.Bohat parechan hoon. Agar aap ka koi mobile no. hai tu aap se direct caal kar ke bhi baat kar sakte hain. Shukriya!

Answer: Ye talaq sahi nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil merd(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10432
Mujtahid:
Date:

Question: us salam alay kum mera sawal :mere bhain kho us kay husband nay kai bar talaq de hai ek martaba jab who log haij may thay waha de or kai bar us nay apni ammi say samanay de or who nasha karta hai or who bada zalim hai mere bhain nay hamay kabhi kuch nahi bataya akhari baar jab hum ussay milnay gaya tho us kay husband nay us bhoot mara tha us ke ek eyes pay punch mardeya or belt say bhee bhoot mara jab hum ussay ghar lay a ya tho us nay bataya ke us kay husband nay us kai baar talaq de hai us kay maa kay samnay or ek baar haij kay doran abhi us kay huband kay ghar walay ya baat nahi maan rahai hai who kahata hai ke us nay tho kai baar talaq de hai lakin who nasha may tha or who log doctor say us kay pagal honay ka statement bhee layleya hai plese may aap say prove chahata hu ke mujha bataya ke may ya talaq sabit kar sakhu.. jazakallah-khair allah-hafiz please jaldi jawab talab kara khai dar na ho jaya...

Answer: 1) Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10588
Mujtahid:
Date:

Question: main nay apni wife ko ghussay main teen martaba kaha kay main nay tumhain talaaq di kya meri talaaq ho gae hai kya mujhay 3 mahinay kay baad doobara talaaq daini ho gi

Answer: Talak ki sharait ko made nazar rakhte hue ye talaq sahi nahi hai (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10755
Mujtahid:
khula Date:

Question: mere nikah ko 3 sal ho gay,mere shohar ne kabi muj se sahi bat nahi ki,or ye b ke dia k mujy intrest nahi n understanding hmari ho nahi sakti,mujy nafrat ho gai hai un se, or mai ne zubani khula mangi to nikah pe koi farq para??rukhsati nahi hui hum kabi mily b nahi, mai un k sath nahi rehna chahti ab,rehnumai karain,jaldi jawab dejye ga

Answer: G nahi Nikaah per koi farq nahi para, q k talaq ka haq faqt mard ko hai albatta apko haqe khula hasil hai agr wo razi hojaen to sahi wrna jaiz nahi hai.(Ref : Ayat_ul_Sistani db, Minhaj-ul-saliheen Part#3,Masla # 331-334)(Allah apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
10865
Mujtahid:
khula Date:

Question: mera nikah howa hai aur rukhsati nahi howe hai aur Hambistari b nahi howe hai .kuch ghalat fahmiyo ki waja say ab wo court k zarye khula lena chah rahi hai aur mai nahi day raha ho .ap batai k is ka kiya hall hai aur mai ye rishta nibhana chah raha ho

Answer: jab tak shohar razi ho ker talaq nahi de tab talaq durust nahi.court ki talaq k baad bhi wo aap ki bivi hen .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
10887
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date:

Question: Meri biwi khula mang rahi hai main nahi de raha...wo meri taraf mail nai horahi hai aur humbistri nai karne ki dhamki de rahi hai...wo mujhe dhamki de rahi hai ke nikkah ke paper main coloumn no 18 main court ne aurat ko ye haq diya hai ke wo mard se khula le sakti hai aur rishta nibhane ki bina par main ne sign kardiya...wo kehti hai main court se judge se khula le longi agar aap ne mujhe khula na dia to...is ka matlab mujh pe haq mehar ka qarza rahe ga... Kia main maqrooz ho aur kia main ne apni biwi ko apne aap ki wakil bane ki ijazat de di sign kar ke aur agar nahi to kia wo khula court ki jo judge sign kare ga sahi hai wo 2 shadi kar sakti hai court ke khula lene par aur kia wo jiaz shadi ho gi...kia mera khula dene ka haq khatam hogaya sign karne se...

Answer: Ager ap us ko Shari Taalaq e Khula dene ke liye tayyar ho jaain to Taalaq e Khula ke tehat ap us se haq mehar balke is ke ilawa raqm bhi – talaaq dene per razi hone ke liye – le sakte hain, or bayaan karda sorat main talaaq ka sahi hona apki marzi per moqoof hai lehaza jab tak shohar razi ho ker talaq nahi de tab talaq durust nahi.court ki talaq k baad bhi wo aap ki bivi hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2462 to 2472 , 2492 , Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10915
Mujtahid:
no Date:

Question: Assalam-0-Alikum janab main apni zidagi bhot parshan ho geya hun meri shadi zabardasti karwai geyi hai main pani shadi hone se 2 3 saal se mana kara tha apne waldin ko bola k mujhe india main shadi nahi karni hai mager aaj meri shadi ko ek saal ho geya mujhe apni biwi ko talaq dena to kya main ye kar sakta hun Q k maine phle se mana kar raha tha plz mujhe koi asa teriqa bayain k main use talaq de kar use india bej don or koi wazifa b batain jo wo khud bole main mujhe india jana hai hamesha ka liya plz jaldi jawab de ? Assala-0-Alikum Jazakala

Answer: Wssalam o alykum, Ager ap chahte hain ke Deen e Islaam per amal karain or Allah Taala is amal ko qabool karle, to Rasool Allah ki Hadees ke mutabiq apne bivi bacho ke sath acha salook karain or un ko kush rakhain.(Riwayat ki roshni men talaq ek aysa jaiz kaam hai jo Allah ko na-pasan hai)(Ref : tehzib ul islaam , baab # 4 , topic # hoqooq e zojain , pg # 142 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print