Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (876 Questions)


Showing 100- 150 questions from 876 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
11020
Mujtahid:
Date:

Question: If a wife had not had sexual intercourse with her husband for two months and the husband pronounce the third talaq while the wife is in haidh is the talaq valid?

Answer: 1) A man who divorces his wife must be adult and sane, but if a boy of ten years of age divorces his wife, precaution must be exercised. Similarly, a man should divorce of his own free will, therefore, if someone compels him to divorce his wife, that divorce will be void. It is also necessary that a man seriously intends to divorce; therefore, if he pronounces the formula of divorce jokingly, the divorce will not be valid.
2) It is necessary that at the time of divorce, wife is Pak from Haidth and Nifas, and that the husband should not have had sexual intercourse with her during that period.
3) It is necessary that the formula of divorce is pronounced in correct Arabic using the word “Taliq”; and two just (Adil) persons should hear it. If the husband wishes to pronounce the formula of divorce himself and his wifes name is, for example, Fatima, he should say: Zawjati Fatima taliq (i.e. my wife Fatima is divorced) and if he appoints another person as his Wakil to pronounce the formula of divorce, the Wakil should say: Zawjatu muwakkili Fatima taliq (Fatima, the wife of my client is divorced). And if the woman is identified, it is not necessary to mention her name. And if the husband cannot pronounce divorce in Arabic, or cannot find a Wakil to do so, he can divorce in any language using the words of the same meaning as in Arabic formula. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2462-73)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11338
Mujtahid:
syed ali hussaini seestani Date:

Question: i have question i live in usa MERREA nikha pakistan may howa hay RUKHSATi nahee howee aur may nay apnee wife kay sath tanhai may koee milaqat nahee howee sirf aik may nay apnay susral may raath ka khana khaya aur may usee raath usa aaygaya nikha ko 1 saal hogaya hay mere apnee wife say bilkul nahee buntee aur aisa kaee dufa howa hay larrai kay 30 din tuk na hee koee MESSAGE NAHEE HOTA AUR NAHEE KOEE PHONE PAY BAAT HOTEE HAY nikha kay baad may pakistan wapis nahee aya may abba taalak chata hao please mujhay detail answer day kia tareeka hoga may phone pay molana sahab say baat karna chaata hou koee number send karday ITRAT ZAIDI

Answer: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. 2) Talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) Zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 6) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho.
Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. i. Sohar nay nikah k bad is say hambistri na ki ho. ii. Maloom ho keh wo haamlah (pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. iii. mard gair hazri ya kisi bhi wajah say ye maloon na kar sakta ho k wo haiz ya nifas say pak hay ya nahi. Lakin is surat may ehtiat e wajib ki bina par zaroori hay k merd intezar karay ta k biwi say juda honay k bad kam az kam aik mahina ghuzr jay is k bad osay talaq day. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ).
Talaq ki 2 aqsaam hain talaq e ba,in or talaq e raj,ee. Talaq e ba,in wo talaq hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hay. Or talaq e raj,ee wo talaq hay k hab tak aurat iddat main main ho tu shohor os se ruju ker sakta hay(yani baghair nikah k os se ruju ker sakta hay ).or iddat khatam honay k baa dos se nikah ker k os ko bivi bana sakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Or Hujjatul Islam Maulana ali raza mehdavi wakeel e Ayatullah Sistani(d.b) se phone par baat kerne k liay aap subah 09:00 am se 01:00 pm Pakistan standard time k mutabiq baat ker saktay hain: or phone number ye hain: (0092-213) 2226948 – 2237207. Mazeed detail k liay aap hamari web site par visit ker saktay hain jis ka link ye hay:( http://www.qoitrat.org/about/). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
11343
Mujtahid:
f Date:

Question: kia aurat mard ko talaq da skti ha

Answer: Talaq dainay ka huq merd ko hay , laikin ye mumkin hay k merd apni bivi ko khud talaq nah day balkeh talaq k liay kisi shaks ko wakeel muqarrar karay or wo ye bhi ker sakta hay k apni biwi ko talaq dainay k liay khud os biwi hi ko wakeel muqarrar karay k wo talaq k seeghay jaari karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#473, 503 )
Aurat k liay ye jaiz hay k wo naikah k waqt shart rakhay k wo apnay shohor ki janib se khud ko talaq dainay ki wakeel hogi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#334 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12125
Mujtahid:
Mujtahid-e-Taqleed Date:

Question: asllam u alekum meri saadi huw 7 sal hu gye h sasural wale muj se talaq lena chate h me talaq nhi dena chata hu agar me talaq nhi duga to talaq nhi huga na or agar muj se jebar dasti talaq lege to talaq huga ya nhi metalaq nhi dena chata hu plz help

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12270
Mujtahid:
Date:

Question: khulla key bad bv shohar se shadi karna chaey to kiya hukum hai kiya halala zaroori hai jab k shohar ne muh se talak nahi di kagzi amal huwa ho

Answer: Talaq ki khuch shara,it hain jin main se ye shart bhi hay k talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay or 2 adil merd osay sunain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2472).
Note: aap ki talaq e khula durust nahi hay or aap ko apne shohar se shadi kerne ki koe zarorat nahi hay q k aap ki talaq hi nahi hoe or wo ab bhi aap k shohar hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12296
Mujtahid:
tallaq Date:

Question: Q. mere husband ne mujhe tallaq ke paper bhejdiye jis main 2 witness ke bhi sign hain likin mujhe zabani tallaq nahi di 2 beetiyan bhi hain meri kiya tallaq hogai

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) .
Note: Talaq k seeghay bivi k saamne perhna zarori nahi hain, yani bivi ki ghair maujodgi main bhi 2 adilo k saamne talaq k seeghay perhay jasktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12382
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaikum mai ye puchna chahta hu k 80saal ka budha aur 25 saal ki biwi kya wo ladki us shohar sey talak le sakti hai islam mey kya ye jayez hai

Answer: Jee haan biwi shohar ye talaq maang sakti hay, laikin shohar par wajib nahi k wo os ko talaq day jab k wo os ko naan o nafaqqa or dosri zaroriyaat e zindagi day raha ho. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#379,428 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12634
Mujtahid:
HANFIA Date:

Question: Agar koi aurat Hamla (Pregnent) ho tou kiya us ko talaq (Devorce) ho sakti hai ya nahi

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Agar shohar ko maloom ho k b.v hamlah hay tu os ko talaq daina sahi hay chahay wo hamlah ho ya nah ho. Or agar shohar b.v ko haiz ki halat main talaq day day or baad main shohar ko pta chalay k oski b.v hamlah thi tu talaq batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12982
Mujtahid:
Date:

Question: mera rishta ho chuka tha mere mangetar ne mujhse kaha ke agar nikah k baad tumhe tu se bolu to tumhe talaak ho jae mujhe yaad nahi unhone ye alfaaz kitni baar kahe ab mera unse nikah ho gaya he .. To wo ab mujhse tu se bolenge to kya talaak ho jaegi

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13082
Mujtahid:
Date:

Question: asal-o-alkum mera maslah yeh ha mere shohar ne ghuse main mujhe aik bar talaq de di ha me us waqt haiz se thi, kya mujhe aik talaq ho gai ha? jabke mere huband mujhe talaq dena nahi chahte, kya is ki iddat hoti ha jabke hamare darmian koi sexual relation ship nahi ha, hum sirf apni beti ki wajah se sath han or hamare darmian aisa mia biwi wala koi rishta nahi ha kya aik talaq kay bad bhi iddat zarori ha me job karti hon plz mujhe jald uz juld is ka jawab den

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13112
Mujtahid:
Date:

Question: Janab mere bivi naraz ho kar apne waldeen ke ghar main the or 7 din ke bad main ne apni bivi ko likh kar 3 matrtba aik he paper par talaq de, zaban se nahi kha or talaq ke gwahan par be khud farzi nam dal kar farzi sign kiy, kia is tarah mare talq ho gai he ya nahe. mujhe kia karna chahe.

Answer: Aap ki talaaq nahi hoe Q k talaq ki khuch sharait hain.
Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13146
Mujtahid:
Date:

Question: AOA, mera 1 saal pehle nikah hoa he lakin rukhsati nahi hoi, or mene apni biwi ko gusse main aa ker skype per likh dia lakin Moo se nahi bola k mene tumheen talaak di talaak talaak, to kia talak ho gai he? ager ho gai he to ab is ka hal kia he? plz jawaab jald dijiye ga,

Answer: Aap ki talaaq nahi hoe Q k talaq ki khuch sharait hain.
Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13165
Mujtahid:
iddat Date:

Question: asalam-o-alakum meneap se iddat kay bare mail bhi pocha tha kya aik talaq ki iddat hotti ha jabke mere shohar ne mujhse rojjo karliya ha

Answer: Agar apke shohar ne apko talaq rije di thi or iddat k doran hi rujoo kerliya tha to iddat khatam hojaye gi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13334
Mujtahid:
ayat ullah sistani Date:

Question: salam SITUATION YEH HE K agr aik baligh larka or larki ne sirf zubani nikkah kia ho chup ke,or mehr ada na hua ho or rukhsati bhy na hui ho jabkey un key darmiyan azdawaji talluq b qaim hua ho. 1.kuch sangeen wajuhaat ki bina pe larki is nikkah se alag hona chahe tau shariah me kia hukum he? wo kese alag hosakty he agr uska shohar usko tallaq dene pe razi na ho tao, jabkey wo uskey saath b nahy rehty he , na hi ussey mehr or naan nafqa talab kerty he? 2. kia wo hakim e sharia k pas jakey khula talab kerne ja sakty he? 3. kia khula k baad uspe iddat lazm hogy?? 4. agr wo QUran o Itrat se madad or rahnumayee lena chahe is condition me to kissey ruju kerey? PLZ sawal 1 2 3 or 4 ka hal jald se jald bataey. JAZAKALLAH

Answer:
Nikah ki shara,it:
Nikah ki chand shara,it hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 3- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2333) .
Agar nikah biyaan ki gae shara,it k mutabiq nah ho tu ye nikah hi batil hoga or kisi qism ki talaq or yaiddat ki koe zarorat hi nahi hogi.or bil farz agar ye nikah tamaam shara,it k mutabiq ho tu aap k sawalaat k jawabaat darj zail hain.
Ans:1-Agar bivi shohar se alag hona chahti ho tu wo shohar se talaq ka mutaalba ker sakti hay, jab k shohar par talaq daina wajib nahi hay.(Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 428).
Ans:2-Agar shohar bivi k azdawaji huqooq ki ada,igi se inkaar karay or talaq dainay per bhi aamada nah ho or hakim e shara(Mujtahid) ki taraf se in dono main se kisi aik ka paband banana y k bawajood shohar os par amal nah karay tu zauja, hakim e shara se talaq ka mutalba ker sakti hay jo iska seegha e talaq jari karay. Is k alawa in halaat main bhi yehi hokum nafiz hoga.
(i) jab shohar naan o nafaqqah or osay talaq dainay se inkaar karay or is sorat ka hokum bhi yehi hoga jab bivi ka naan o nafaqqa dainay ki isteta,at(taqat) nah rakhta ho or talaq dainay per bhi aamada nah ho.
(ii) Jab shohar bivi ko aziyat day, os per zulm karay or os se acha sulook nah karay, chunacha (Quram main) Khuda ne bhi yehi hokum diya hay.
(iii) Jab shohar bivi se kinara kash ho jay is terah k nah wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. Laikin jahaan shohar bivi ki jinsi khahish ko mukammal taur per pora nah kerta ho jis se os k gunah ka murtakib hone ka khatra ho, is sorat main agarchah ehtiyaat e wajib yehi hay k shohar bivi ki khahish pori karay ya os k talaq k mutaalbay ko ko pora karay. Laikin agar shohar aisa nah karay tu bivi ko sabr or intezaar kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 428).
Ans:3- Sirif 3 qisim ki talaq k baad iddat nahi hoti in k alawah baaqi tamaam talaqo k bnaad iddat rakhni wajib hoti hay. Wo 3 qisim ki talaq ye hain: 1- os lerki ki talaq jo 9 saal(chand k hisaab se) se kam ho. 2-wo aurat jo yaisa ho .{yaisa aisi aurat ko kehtay hain jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho} . 3- os aurat ki talaq jis k shahar ne nikah k baad os se hambistari nah ki ho.
Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).
Ans:4- Aap Madrasa Quran o Itrat Academy main subah 9:00 am se 1:00 pm tak phone ker k Ayatullah Sistani(d.b) vakeel Hujatul Islam wal muslimeen Aqae Maulana Ali Raza Mehdavi ker k apnay mislay ka hal talab ker saktay hain ya phir mulaqaat bhi ker saktay hain. Or Madrasa Quran o Itrat Academy ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hain.(Ref: http://qoitrat.org/about/). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13335
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: aoa mery nikah ko 3 hogay aur rukhsati ni hoi aur main apny shohar say khula layna chati hoo plz koi ka qanoni tariqa bata day jazak Allah

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).
Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)

Print

Id:
13504
Mujtahid:
__________ Date:

Question: asalamalykum . dear sir. MERA YE SAWAL HY KE AGAR KESI NE 3 TALAQEEN AIK SATH DEN TO KYA TALAQ WAQEE HOJAIEGI. JAB KE JIS NE TALAQ DI WO IS BAT PE PASHEMAN HY N USKA KHNA HY K US NE TALAQ JAN BOJH KE NAE DI ghusy ME TALAQ DI. TO KYA YE TALAQ WAQE HO JAE GI?

Answer: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13622
Mujtahid:
--- Date:

Question: salmun alykum sir jis ne talaq ghusyyy men di or 3no talaqeen aik hi sath de den to kya talaq waqe ho jae gi?? regards...

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13623
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa mera naam saleem hai mera sawal hai mere eak friend ny kuch month pehly apni wafi ko 1 talaq di thi aur kuch month baad 2 talaq eak sathh di magar us ka kehna hai main ny ny sirf 2 talq di hai magar us ki wife ka kehna hai k unho ny 1 talq pehly bhi de thi jo inhy yaad nahi ye kitne talq ho gi 2 ya 3.

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13665
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum.mje mery husband ne 5mah bad tallaq dy de koi khas haq e zojieat b ada ni kia mere iddat ki muddat kia hy?

Answer: Agr ap k shohar ne apse hambistari nahi ki to ap per koi iddat nahi hai.lekin agr hambistari ki thi to is surat main aap itni muddat tak sabar karen k apko 2 baar haiz aye or phir pak hojaen or jese hi teesra haiz ayega to aap ki iddat khatam hojayegi phir dusra nikah agar kerna chahain to kar sakti hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13851
Mujtahid:
Date:

Question: agr aurat gussey main teen baar talaaq keh de jab ke koi witness ya gawah na ho to kya tallaaq ho jati hai?

Answer: Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13872
Mujtahid:
Date:

Question: aik larki jiska nikah 3saal raha aur is doran mubasarat bhi hue to uske bad divorce hogae ab kya iddat kerni hogi ya nahin kerni hogi.

Answer: Jee iddat rakhna hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13908
Mujtahid:
systani Date:

Question: Salaam. Mujtahid sab mene pehle bhi 2 bar apko apni preshani batai thi k me apni zoja se buht preshan hun or usy chorna chahta hoon per apki taraf se ab tak koi jawab nahi aya kal hamari phir larai ho gai or bat buht barh gai mene gussy me akar us per hath utha liya to wo mere samne agai or jharoo lekar mujhse larne lagi phir me usy apne gharwalon k pas le gaya k mujhe ab iske sath nahi rehna meri jan churao.. uske gharwalon ko bulaya uske waalid suba aye magar wo unke sath nahi gai kiu k wo apni maa k ghar nahi jana chahti kiu wo apne bchon ko chorna nahi chahti uske ma bap kehte hein agar ghar chor kar ana hy to apne bchon ko chor kar ao.. mgar me kia karoon wo mere sath wasta na rakhtey hue sirf apne bchon ki khatir ajati he per larai jhagre khatam nahi hote... ab me usy talak dena chahta hoon per wo mere ghar se nahi jana chahti to essi situation me kia kar sakta hoon kiu k ab uske sath rehna thek nahi or na hi me rehna chahta hoon... plz sir meri preshani ko smjhne ki koshish karein or jald se jald mujhe iska hal bataein moula apko iska ajar dengay...

Answer: Wazifa: 1. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e jumma ko sohar aur biwi k darmian it’ti’faq k lie 5 bar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84)
2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se manqool he k surah e Mubarak e nissa ko sohar aur biwi k darmian mouafiqat hasil karnay k lie parha jay to maqsood hasil ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84)
3. Riyawat me he k agar sohar aur biwi k darmian ulfut o muhabbat barhani ho to is Mubarak ism ko (Al wa’dood) ko 1001 bar kisi mithi cheez per parh kar donoo ko khanay ko dia jay to inshallaha zaroor bahimi ulfut wo mubahat paida ho jay gi. aur ikhtilaf khatam ho jay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 83)
4. Agar mian biwi me ikhtilaf ho gye ho to danoo me se aik awal o aakhir 11 bar salawat kay sath ba’wazu qibla rukh musalay per baith kar 100 martaba darg zail kalimat ka wird karay to haftay bhar me hallat saz gar ho kar daimi mohabbat me tabdeel ho jain gay. (Bismillah hir’rah’ma’nir’ra’heem bismillah hil waa’si’ea jal’la’jala’la’hoo)


Fiqhi masa,il:
1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) .
2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain.
3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491).

Print

Id:
14011
Mujtahid:
Date:

Question: talaq ki addit main aurt pe kia kia pabandian hoti hain kia woh gahir se bahir nikal sakti ha

Answer: Talaq ki iddat k doran aurat k liay dosri shadi kerna jaiz nahi hay.or talaq e raj,e k doran aurat k liay ye bhi haram hay k aurat ghair zarori kamo k liay shohar ki ijzat k baghair os k ghar se bahar jaay. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2487). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14045
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: divorce dene ke baad kia dubara koi aisi surat hay ke usi larki se shadi ki ja sake, or dalaaq ke baad rujoo ka kia matlab hay

Answer: 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14101
Mujtahid:
Date:

Question: agar aurat khula le adalat k zareey or mard adalat main na aye or adalt us khula de de to talaq waiqa ho jati ha.or aut dosri shadi kr sakti ha.kia mard ka apny munh se talaq dena zururi hota ha plz tell me islam es main kia kehta ha

Answer: Jee nahi ye talaq nahi hogi, jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14102
Mujtahid:
Date:

Question: agar mard ek he din ek saat 3 talqain de de ta kia talaq waiqa ho jati ha ya ye ek talaq kehlay gi.es bare main qrqn kia kehta ha zara tafseel se batao

Answer: 1)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
2)Agar talaq sahi di jay to jis aurat ko 3 bar talaq di jay k in talaqoo k darmian 2 bar ruju ya aqad(nikah) hua ho to wo sohar par haram ho jati hai. Han agar in srait k sath jin ka zikr talaq k ahkam mai kia gya hai wo aurat doosray mard say shadi karay to doosray sohar ki mout ya os sai talaq ho janay k baad aur iddat ghuzr janay k baad is ka pehla sohar dubara os k sath nikah kar sakta hai.
(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460, 2375) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14151
Mujtahid:
Date:

Question: kia mard ek he din main 3 talaqen de de to kia woh ek talaq shumar ki jay gi ga talaq waqia ho jy gi hmera islam kia kehta ha plz urgent ha plz reply krna zurur

Answer: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbaic zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14263
Mujtahid:
khoie Date:

Question: AOA. Qibla e Mohtaram.. mein dusri baar puch raha hoon.. bat ye he k meri bari bhabi jo khayalat ki khuli thin unka zehan saf tha per shohar ki azadi ki waja se wo parda nahi karti thin or aksar light kpre pehnti thin ghar wale unki ghibat karte thy magar kbhi ksi ne unhe na hi toka or na hi smjhaya me is bat se buht tang agaya tha akhir mene himat kar k unhe ek kaghaz per likh kar bataya k ap aise kpre na pehne achi bat nahi har koi apke liye bura sochta hy. unko ye bat buht psand ai or hmare bich achi dosti hogai phir me aksar bhabi k sath bethne laga ghar walon ko ye bat buri lagne lagi or wo hmare bare me gandi soch rakhne lage chlte chlte hmara sath rehna itna gehra ho gaya k hum ek dusrey se door reh nahi pate thy me bhi office se sidha ghar ajata tha or bhabi ne bhi apne mayke jana kam kar diya.. ghar walo ne hmare taluqat ko najaiz qrar de diya k hum najaez taluq rakhtey hein phir janab ye bat barhte barhte yan tak punch gai k hum such me ek dusrey k qrib agaye mene unse shadi ki khwaish ki mgar bhabi ne kaha tmare ghar wale ye nahi hone dengy, phir humne bhagne ki planing ki mgar us se phele meri walida ne humen milte hue dekh liya shor shraba ho gaya ami ne mujhe bhi 2,3 chantey marey ussy bhi wo to burqa pehn kar ghar se nikal gai me phir office chala gaya ye soch kar k ab sham me bhai aengy to bat hogi uske ghar walo ko bhi bulaya jayega... per office me meri bhabi ka fon agaya wo buht darri hui thin aisi situation me humen kuch smajh nahi aya or hum bhag ne k liye chal pare.. bhabi ki ek cosin thatta me rehti hien unho ne us ke ghar chalne ko kaha to hum sidhe whan punche mgar unki cosin ne whan rukne se dara diya phir humen rat guzarne k liye ek hotel me thehrna para dusrey din suba hume police ne arrest kar liya.. akhir hmare ghrwale hume apne sath waps le gaye bhabi apne ghrwalo k sath chali gai.. bhai ne bhi unhe dobara apna liya.. phir me piche hat gaya kuch waqt me hi ghar walo ne meri shadi kardi me khush tha mere bhai or bhabi phir se hmare sath rehne lagay mgar meri wife ek jahil aurat he bachkana harktein karti hey usne shadi k 5th day se hi bdtmizi karna shru kardi uski in harkton se me buht prshan ho gaya talak dena chaha per khandan walo ne nahi hone di 3 bar esa hua akhir us se tang akar mere dil ne phir apni bhabi ki taraf ruju karne pr mjbur kar diya wo to mere intzar me bethi thi dil se mujhe bhula nahi pai thi mgar unho ne mujhe brdasht or sabr krne ka mshwara diya per me nahi kar paya hmare qissay phir uthne lagey hum ek bar phir door ho gaye.. ab uske 3 bache hein or mere 2 per ab ye Aalam he k ab wo mujhse door nahi reh sakti or me bhi ussy apnana chahta hoon.... Aap is rishtey per roshni dalein, kia hum ghalat hein????? Plz rply immediately....

Answer: Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se talaq lay lay or os shaks se aqd(nikah) ker lay tu talaq or nikah sahi hain.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah khoe(R.H), Tauzihul masail, Maslah# 2547).

Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14291
Mujtahid:
Date:

Question: iddat kise kehte hain kyun ki main jab tak is ka matlab nahi janta mujhe dosra kuch bhi nahin samajh ayega plz jald reply kijiye?

Answer: iddat us zamane ko kehte hen jis men orat k liye dusra nikah kerna jaiz nahi hota, or aysa waqt orat per 2 waja se aata hai ya to uska shohar us ko talaq dede,is ko iddat e talaq kehte hain or dusra ye k uska shohar wafaat pa jaey or is iddat ka maan iddate wafaat hay or is main shadi nah kerne k alawa kuch or kaamo se bhi perhain kerna perhta hay. , albatta iddat ka zamana guzar jane k baad agar orat dusra nikah kerna chahe to ker sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14442
Mujtahid:
Date:

Question: meray shohar nay 3 bar talaq likh kr di aur us k do teen din k bad hamari sulah ho gai hum dono sath soo gaye i mean intercourse ho gya kya hamara nikkah qaim hai ya talaq ho gai plz reply soon

Answer: Aap ko di gae talaq batil thi or ap ka nikah baaqi hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14508
Mujtahid:
sawal meri dewraani k ly Date:

Question: salam..meri shadi ma ik hafta tha tu mere dewar ka achanak intekaal hogya jiski wejhse shadi delay hogai...phir uneh ik mahine ma pata laga k meri dewraani umeed se then unki zid thi k jb tk wo farigh nh hojaten wo shadi nh krengy 2 mahine baad unka bacha gir gaya mje puchna hy k idat khatam hogai ya abi b 4 mahine 10 din hogi//

Answer: Agar 4 mahine 10 din guzarne se pehle bacha paida ho jaey tu zarori hay k shohar ki wafaat k baad se 4 mahine 10 din tak iddat rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14666
Mujtahid:
Talaq Date:

Question: Bhai Saheb, Maine bahut gusse me aa ker apni biwi ko apne bhai ke samne phone me sirf ek baar talak deya kaha hai, bahut meharbani hogi ager aap ye batane ki zahemat karege ke kya hamara talaq ho gaya...ager nahi to kaise nahi huwa...please detail me mughe bataiye...

Answer: Aap ko di gae talaq batil thi or ap ka nikah baaqi hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14679
Mujtahid:
nil Date:

Question: Asalamalaikum mera sawal ye hai k agar koi ye kahy k mein "apni hony wali biwi ko talaq deta hun "jab k usay ye nahi pata k uski hony wali biwi kon hai aur nikah b nahi hua.to kya talaq ho jaye gi???? mery zehan mein 16 saal ki age mein ye baat i thi aur muje yaqeen hai k mein ny dil mein socha tha lekn weham ho raha hai k kahin mein ny zuban sy na kaha ho.muje weham ki beemari hai. plzzzzzzzzzzzzzz meri madad farmaiye aur sawal ka jawab dijiye.

Answer: Jab tak nikah k zerye koe lerki aap ki bivi nah ban jay os waqt se pehlay talaq daina batil or fuzool cheez hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2462 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14724
Mujtahid:
Ayatullah Hussain Ali Sistani Date:

Question: A O A. main ek larki se ek ghanta muttah karna chahta hon agar doran sex condem use kron tb bhi us larki ka iddah zaroi hai.....

Answer: Jee haan, is sorat main bhi iddat rakhna hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2479). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15014
Mujtahid:
Date:

Question: mera swal ha k me is waqt 4 mah ki pregnant hun or mere khawind ne message pe likhne k doran mamoli jhagre pe mujhe message me 3 bar talaq ka likha hoa message send kr diya hai, kaya talaq ho gye ha ya nahi. Regards

Answer: Aap ko di gae talaq batil thi or ap ka nikah baaqi hay. Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15136
Mujtahid:
Date:

Question: ager shohar galigloch karta ho sakhat mazaj ho uss kimojudgi se aurat ko tention hoti ho nafrat b karti ho saxualy satisfied na hoti ho bachun ke salook b bura ho to aurat khula le to gunnagar to nahin ho gi

Answer: Jee nahi mazkoora surat men orat talaq e klhula ka mutalibba kar sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15372
Mujtahid:
Date:

Question: aurat apne husband ko talak keyo nahi de sakti

Answer: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15453
Mujtahid:
Ahlesunnat val jumat Date:

Question: Kya Auarat apny shohar ko 3 dafa talaq keh kar talaq lay saktee hay. Yani Bevi shohar ko kahy, talaq, talaq, talaq. Tu kya Talaq ho jaeyga, agar gupshup me hoo too.

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.


Talaq ka haq faqat shohar ka hota hai aurat talaq nahi de sakti. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part # , masla # 502-3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15558
Mujtahid:
Date:

Question: i wrote a messag on my cell phone to my wife "talaq talaq talaq".now i want to is talaq true.

Answer: Aap ko di gae talaq batil thi or ap ka nikah baaqi hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15603
Mujtahid:
Date:

Question: mayri biwi 22 din hi maray sath rayhi par haq-e-joziyat ada na keya. ab mujh say alg hay or talakh ka mutalba karti hay or ilzam lagati hay kay main mard hi nahi, jabkay main thora bohat kamzor hon laken youn nahi kay mard he nahi. tu kiya wo is sorat main talkh ya khola ki haq dar ho sakti hay.

Answer: Agr wo ilzam jo apki biwi apki taraf mansoob kr rahi hia agr wo sach hai to biwi k liye apse talaq lena bhi zaruri nahi hai, balke wo bger talaq k nikah ko khtm kr sakti hai or foran dusri shadi bhi kr sakti hai, lekin agr wo jhoota ilzam laga rahi hai to talaq apki marzi per moqoof hai or jab taka ap talaq nahi denge wo apki biwi rahegi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2346-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15896
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia aisi talaq nafiz ho gi jo 2 aadil gawahoo ki gair moujoodgi mai shrie tour par talaq k sighay k bagair di gae ho?

Answer: Talaq osi waqt nafiz ho gi jab sighay, gawahoo aur baqi shariet k sath ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 151, pg # 76) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16002
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b. Date:

Question: Agar sas bahoo k ikhtilafaat ki wajah sai maa apnay betay ko biwi ko talaq denay ka hokum dai to kia maa ki ataet wajib hai? Aur agar maa betay sai khay agar tum nai biwi ko talaq na di to tum meri taraf sai eaq ho gay to is ka kia hokum ho ga?

Answer: Is kaam mai maa ki ataet wajib nhi aur na eaq krnay sai mutaliq is ki dhamki ka koi asr ho ga. Albetta betay k lie zaroori hai k wo apnay qoul aur fail k zarie maa sai be-adabi sai ijtenab kray. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 348, pg # 213) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16155
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Jo aurat sohar ki wafat ki iddat mai ho os par kia wajib hai?

Answer: jo orat wafat ki iddat men ho us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16156
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia aisay 2 mardoo k samnay talaq dena sahi hai jis k baray mai, mai kuch nhi janta?

Answer: Ye kafi nhi jab tak k chahae zahiri tour par ba-kirdar honay ki wajah sai hi, in ki adalat zahir ho jae. Yani meashray mai in donoo ka kirdar aisa ho k wo kisi kaam ko anjam denay ya trk karnay mai shriet ki pabindi kartay hoon. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 152, pg # 76-77) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16184
Mujtahid:
Date:

Question: kia aurat ke talaq kahne se talaq ho jate hai?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16186
Mujtahid:
pls sir is ka answer serf mujy email ker Date:

Question: Jab husban ek dafa talaq de dane tu kya 2 years bad apni wife k pass a sakta hai Or mera 2nd question hai k ager ek dafa talaq day de or us k 4month bad us ki girlfriend us ki wife se khey k us nay devorice paper tayer hai or mere pass hai tu kya talaq ho jati hai competley

Answer: 1)Talaq e bayan wo talaq hai jis k baad mard apni aurat ki taraf rajoo krnay ka haq nhi rakhta yani begair nikah k dobara isay apni biwi nhi bna sakta. Is k alawa aik talaq hai wo talaq e rajei hai jis ka matlab ye hai k jab tk aurat iddat ai ho shohar is sai rajoo kr sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2486)
2)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16215
Mujtahid:
Talak Date:

Question: Kia SMS k Zarey Talak ho jati hain agar koi shaks ghusy main apny BV ko SMS kar dy k main tummy talak daita hon tu ho jay ge teen bar aik sath

Answer: Talaq sms k zarie nahi hoti hai aur na hi ghusy mein hoti hai q k talaq ki shriat hain: 1)Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16217
Mujtahid:
talak Date:

Question: mera nam shahwar meri ami ka nam sobia hy.mery mian se mery talukat thek nei hein.nobat talak tak aa gay hy.mey talak lena to nehi chahti magr halat esy hein.kia mera talak lena thek ho ga.mery husband ka nam kamran hy un ki ami ka nam tasleem kousar hy.

Answer: Rawayat men hai k talaq sharee`at k shadeed makroohat men se ek makrooh amal hai lehaza jis qadr mumkin ho is se bacha jaye, lehaza ap koshish kren k ayse kamon ko anjam den jis dubara ap k ap shohar k drmiyan taluqat behtr hojaen.
Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi.(Ref : kitab Naway-e- salaheen, pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16242
Mujtahid:
Date:

Question: maira question yeh hay k maira or mairi wife k darmian kuch batain hoi jo wife nay apni mother ko bata dain foran.. us ke mother nay foran ghar anay ko kaha or wo chali gaye.. ab wo talak ka mutalba kar rahay hain due to her azad khayali.... main daina nahi chahta. please help me main kia karun

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Note: Oper biyaan ki gae shara,it e talaq main se aik ehem shart jo zikr ki gae hay k shohar apnay ikhtiyaar or marzi se talaq day lahaza koe zabardasti is se talaq dilwa bhi day tu talaq sahi nahi hogi.agar aap talaq daina nahi chahtay tu aap ko is baat ka huq hay k aap talaq nah dain.

Print

Id:
16388
Mujtahid:
taleeq Date:

Question: my question is agr larki ko apne ghar walo taleeq na le dy aur hsband bhe na dy aur larki majboor ho kr aur apni jan ke hafazat k lie bahg kr daraulman chali jye aur court k zare sy tlaq ly aur use apni jan ka khatra ho apne ghar walo aur husband sy to kya larki iddeat pori kie bghar nakah kr skati hy ya nahi?

Answer: Ye talaq sahi hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti.or Jab tak shohr talaq na de tab tk na court ka talaq ki koi ehmiyat hai or na hi iddat rakhna faida mand ho sakta hai.
Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise shari jawaz k is per tashadud kare to biwi apna muaamla le kar hakim shara( mujtahid) ki taraf ruju kar sakte hai ta ke hakim shara( mujtahid) is k shoar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koi faida na ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agr is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai. agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai.
(Ref : aqa sistani ,Jadeed faqhi masail , masla # 413 , pg # 237, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print