Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (824 Questions)


Showing 150- 200 questions from 824 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
16397
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai ke maine apni bivi ko 3 talaq di hain call per nend ki halat main or ghusy main or usne mujhe bohat ghusa dilaya or bohat uksaya jis ki waja se aisa hua kya is tarah talaq hojati hai 2nd ye ke meri wife pragnent hai last month hai uska delivery ka shukriya

Answer: Ye talaq batil hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16432
Mujtahid:
Date:

Question: Khula ki suratein kiya hain aur khula ki surat mein jo kuch ladaki ko diya gaya hai uski wapasi ho sakat hai ke nahi

Answer: Agr biwi apne shohar se is qadar ziyada nafrat krti ho k use hambistry na krne ki dhamki deti ho, to is surat men wo apne shohar se talaq e khula ka mutaliba kr sakti hai, or qabool krna shohar k ikhtiyar men hai, isi tarah talaq e khula men jita maal chahe orat se talaq k ewaz mang sakta hai. agrchhe haq e mehar se ziyada hi q na ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2692-2499). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
16470
Mujtahid:
talaq *janab ye susar ka no hai. Date:

Question: janab mera ap se sawal ye hai k maine susral mian rehta tha. q k bohat se maslay thay susral or mere parents k.maine gussay ki halat main apni bv ko talaq di. saas ne mujhe mara or us ne apni beti ko talaq dene ko kaha.maine gussy ki halat kaha k main isay talaq deta hoon us waqt bv pas nahi thi or na hi maine ye alfaz arbi seegha k hisab se darust kahy.wife hamla thi 5th month tha aglay din maine court se teen talaq written likh kr bhej den.mujhe isk bad khuab main abi tak ishara ho raha hai k talaq nahi hui. ap batain kia talaq hui ya nahi.or sulah ki koi umeed mujhe nazar nahi a rahi waja mere parents hain ye chahatay thay k talaq ho.or mere liay dua karen. q k mere sath koi asaib b tha un dino jis ka abi ilaaj krwaya hai golra sharief se kisi ne bataya tha k mere sath koi asaib hai ye mujhe b pata tha but mera koi yaqeen nahi karta tha muje gaib ka ilm ho jata tha or jo kuch mere sath hua hai mujhe pata tha mujhe khuab main a jata tha is asaib k meri saas or wife ko b pata tha. mujhe os aseeb na tang kia tha jis ki waja se main ne gussy main us asaib se b lar raha tha or ye kam kia or wo main nahi wo asaib bola tha (k main nahi rakhta isko main nahi rakhta isko) q k main us waqt hosh main nahi tha or us waqt meri zaban se talaq k alfaz b sahi nahi niklay thay maine talaq ki bajaye yalaq kaha tha.janab mera ye sawal online na karen. or is # pe b bata den k talaq nahi hui. ap ki bohat meherbani ho gi is ka answer is no pe b bhej den.mere liay dua b kijiay ga.

Answer: Talaaq ki chand sharten hain jin ki pabandi na ki jaye to talaq nahi hoti.
1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima (intercourse) na kiya ho.
2. Talaq zabani di jaye yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay.
4. Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar na hon, or wajib kamon per amal kerte hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki mojudgi men di jaye.
5. Zaruri hai k mard talaq apne ikhtiyar se de or agar use apni bivi ko talaq dene par majboor kia jaye tu talaq batil hai.
6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaza agar wo maslan mazaaq ya nashe ya ghusse ki halat men talaq day tu, Talaq sahi nahi hogi.
(Ref : Ayat_Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16514
Mujtahid:
qurain o hadees Date:

Question: kia ak he bar 3 bar 3 tlakyn dyny se 3 talaqyn ho jate hyn?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain 1) talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho 2) Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
16523
Mujtahid:
Date:

Question: mainy apni wife ko nashay ki halat main talaq de lakin us nay talaq sunay say phelay he fone rakhdia tu kia talaq hoage

Answer: Talaaq sahi nai hai is ki kuch sharait hain jin ki pabandi nah ki jaye to talaaq sahi nai hoti 1) Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
16762
Mujtahid:
Date:

Question: AOE- MARAY FATHER INLAW KA INTAQL HAL HE MA HOW HA KEA MARI MOTHERINLAW APNA BAQE EDDAT APNE BATEE KA PASS DUBAI MA KAR SAKTEN HAN ? KEA WHO SAFAR KAR SAKTEN HAN ?

Answer: Jee han jaiz hay .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16843
Mujtahid:
ahl e sunna Date:

Question: i had been in saperation from about 17 months and now i got divorce fromthe court procedings(khula). what about my iddat. pl reply me soon

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1)talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.in sharait ki raushni main court say talaq lain sahi nahi or aisi talaq ghalat or batil hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). 2)Agar bivi apnay shohar se itni bayzaar ho jay keh bil-akhir apnay shohar k hoqooq ada kernay per qudrat nah rakh sakay or is baat per bhi raazi ho jay k apnay shohor ko khuch maal waghaira baksh day takeh wo osay talaq day ker azaad ker day laikin shohar is paishkash ko thukra raha ho or aurat ko talaaq nah day raha ho tab bhi haakim e shara(mujtahid) tak k liay talaq daina jaiz nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), mujtahid say pochay gay sawalaat part#2, Maslah#148 ) Note: jab aisi halat main haakim e shara(mujtahid) k liay talaq daina jaiz nahi hay tu adalat k liay talaq daina kaisay jaiz hoga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16845
Mujtahid:
talaq Date:

Question: janab meri bv hamla hai or meri saas mujse lari or main ne gussy main tallaq 3 se ziada martaba kaha q k muj pe aseeb hai or us waqt b mujhe hosh nahi tha han jahan tak mujhe yaad hai k mere mun se aik bar talaq nikla to saas ne mere mun pe hath rakh dia tha meri talaq ki niyat nahi thi q k main janta tha k meri bv hamla hai or hum theek reh rahay thay. bv ne mujse aik bat kahi k muje alaq rakho main ne kaha theek hai. jis waqt main ne talaq di mohallay wale b mojood thay jo ab keh ray hain k maine 15 bar talaq kaha tha. janab aseeb ki waja se main hosh main nahi tha or 1 talaq main manta o 2sri bar mere mun pe hath rakha sas ne wo talaq ka lafz mere mun se darust nahi nikla tha.us sy aglay din mere abu ne muje court le ja kar written3 talaq dilwa di jo k bv ko bhej di gai.ap jawab den jald se jald k main bv se ruju kesay kar sakta o ya nahi.mere walid jo k kai bar mujse bv ko talaq dilana chahaty thay unko moqa mila or unho ne faida uthaya ab wo bohat khush hain. ab bv b or main b q k bachay ka pata tha humain us ki khatir razi hona chahaty hain. answer den jald se jald q k abhi derh mah hua hai is talaq ko.

Answer: Ye talaq shi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16846
Mujtahid:
??????? Date:

Question: ASalam Walaum > agr nikah ho jaye or rukhsati na ho or Shohar Intakal kr jaye to kya Larki pr Iddat lazim hai ??????......

Answer: Jee han iddat rakhna phir bhi lazim hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2481). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16958
Mujtahid:
talaaq Date:

Question: agar nikah hua ho aur mard apnmi biwi ko yeh alfaz boly k 3 bartalaq deta hu to kia asi talaq ho jati hai jb k woh baqaida 3 dafa talaq nhi deta blky aik hi jumly ma bol deta hai k ma 3 bar tmha talaq deta hu to kia ac soorat ma talaq ho jati hai

Answer: Ye talaq shin hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16960
Mujtahid:
Date:

Question: admi ager 3bar telaq lekhay laken us ki biwi nay na pari ho to kia talaq ho jati hai thank

Answer: Ye talaq shin hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17147
Mujtahid:
sunat jamat Date:

Question: Nakli paper hon talaak k 3barr sign sa talaak ho jaye ge wo b maa bap kerwe zeberdasti

Answer: Jee ye talaq batil hai q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17185
Mujtahid:
One sideded khula Date:

Question: Assalamualikum warhamtullah he wabarakatuhu, Sir mera question ye ha k meree wife ny 2 years pehly kisi jhagry ki waja sy kaha tha k wo muj sy KHULA ly ly gee. os k bad hamari life normal rahee sirf phone per kion k main kuwait hota aur wo pakistan is lye hum nhi mil saky. aur jab main pakistan any laga to os ny kaha k os ny bohot baree galtee ke k oos ny khula ly lya ha 1year before aur court ny faisla os k haq main kya ha. is bat ka mujy bilkul nhi pata aur na hee meree wife k ghar walon ko. kuch baten wife ny wakeel k sath keen aur baqi waqeel ny jhotee baten bana kar onesided khula ly dia. mujy court ka koi letter nhi mila aur wakel ny galat address per letter bhijwa k faisla karwa dya ha. but meree wife ny kaha k gussy main galtee hoee but hum dono aisa nhi chahty hamary 2 bachy hain beta 7year aur betee 5year. please bata dain k kya khula ho gya? aur ab is ka hal kya ha? agar ghar walon sy koi bat karain to izzat ka bohot masla banta ha. please batain.

Answer: Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72)

Note: oper biyaan kiay gay fatway k mutabiq talaq batil hay.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17189
Mujtahid:
talaq Date:

Question: salam mulana sahib mere shohar na telephone per muji three times talaq di and us pehli intercouse bi kiya tha, ma na do dafa sunna jub ki third time telephone disconnect ho gaya, kaya ustara talaq ho jati ha please reply me

Answer: Talaq ki shri,at hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72)

Note: zirk kerda fatway k mutabiq aap ko talaq nahi hoe aap ab tak apnay shohar ki zaojiyat main hi hain.
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17198
Mujtahid:
Imam seestani Date:

Question: a.o.a plzzz mujhy btao dain k meri talak hui ya nae kb k nikah k seeghy pary he nae mn shia maslak sy hn par nikah suni maslak k mutabik hua par mn apny shohar sy khula chahti hn or wo fone py wakfy wakfy sy talaq bold chuka hy plzzzz mujhy jaldi ans btaye

Answer: Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 2- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335).
Note: aap ka nikah durust nahi hay, laihaza agar aap k shohar nay aap se ha,bitari bhi ko tu wati bishshubah(yani bivi samjh hambistari kerna) k liay iddat rakhain.or is ki iddat ki muddat iddat e talaq k baraber hay.(( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah #565,567 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17202
Mujtahid:
? Date:

Question: mujey mere shohar ne court k zzariye paper banwa kar talaq nama pe signature kar diye to kia meri law k lihas se talaq hogai hai? aur sharai tour pe bhi huie hai k nahi?

Answer: Ye talaq batil hai Q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17215
Mujtahid:
Iddat Date:

Question: agar larki waly larky sy talaq lein.kiya larka larki ka iddat ka kharcha dega ????

Answer: Jee haan iddat k doran biwi k akhrajaat uske shohar per wajib hen lekin iski shart hai k wo orat nashza(yani hambistari or jinsi lazzato main shohar ka sath nah dainay wali) nah ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2508). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17942
Mujtahid:
Date:

Question: mera jis larki se nikha howa hai wo mujh se phele kisi aur larke ke sath atach thi lekin us larke ka family background theek nahi tha iss liye rishte se inkar kar deya tha aur phir larki ke walidan ne us ka nikha mere sath kar deya tha iss nikha ko 8 maah ho gaye hain lekin rukhsati abi nahi hoi hai nikha ke wqat larki ne bakeda gowahon ki mojodgi main zuban se 3 baar iqrar bhi keya hai aur nikha name par sagnature bhi kiye hain iss doran larki par koi zabardasti nahi ki gi thi nikha se phele larki ke walidan ne larki ko samjhaya tha ke jis larke se tum shadi karna chahti ho wo larka aur us ki family theek nahi hai . ab masla yeh hai ke larki khod apne ghir se bhaag kar us larke ke pass chali gi hai aur cort main ja kar yeh beyan deya hai mera nikha zabardasti howa hai ab wo kehti hai hum ne cort marige kar li hai to kiya iss tara se aurat ka nikha par nikha ho jata hai jab ke husband ne us ko talaq nahi de aur na larki ne khula mangi hai isslam main us cort marige ki keya hasiyat hai aur phele wala nikha qayam hai ya khatum go gaya hai mehbani farma kar tufseel se jowab dain .

Answer: Nikah ki chand shara,it hain k: 1. ehtiyat wajib he ke segha sahih arabi me parha jae. 2. ye ke mard aur orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat moiyan hon(maloom hon) 5.mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379)note : Agar in shariat par jo upper zikr ki gae hain pehla nikah ho gya tha to phir ye aurat doosra nikah nahi kar sakti hai aur q k ye aurat pehlay sai sohardar thi is lie bagair talaq k doosra nikah jaiz nahi hai aur zaroori hai k doosray mard sai juda ho jae aur bad mai bhi os sai shadi nahi karni chahaey. Aur fiqah e jaffaria mai court k nikah ki koi ahmiat nahi hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17971
Mujtahid:
Date:

Question: my cousins husband want to give divorce to her but she wants to be with him. if he still gives divorce is this valid

Answer: 1)A man who divorces his wife must be adult and sane Similarly, a man should divorce of his own free will, therefore, if someone compels him to divorce his wife, that divorce will be void. It is also necessary that a man seriously intends to divorce; therefore, if he pronounces the formula of divorce jokingly, the divorce will not be valid.
2)If a man want to give divorce to his wife must follow the rules which are applied before divorce then divorce becomes valid. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18196
Mujtahid:
sistani shaib Date:

Question: i am 9 years old my question is ham taqlid kis liay karte ha

Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka nam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2)Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or mamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
18499
Mujtahid:
pir syed naseer ud deen naseer Date:

Question: salam mufti sahib.mera aap se yeh swal hai k agar husband ghusey mein aakar apni wife ko yeh keh day k tum meri taraf se farigh ho tumhara mera koi rishta nahi hai tum meri bivi nahi ho tum mar gayi ho mere liye.to kia yeh sub kehne se mian bivi ka rishta toot jata hai mean k divorce hojati hai?halan k niyat na ho yeh sub kehne ki sirf ghusey mein aakar aisa kaha ho.wasslam

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
20175
Mujtahid:
talaq Date:

Question: mere husband apne ghar walo ke kahne par hamse ab alag ho rahe hain mera sath nahi dena chahte hain 2saal se zyada ho gaya hai ham ek sath nahi hue hain. kya phone par talaq diya ja sakta hai aur uska kya tariqa hai uska seegha kya hai kya aisa mumkin hai ki sirf phone pe talq ho jaye?

Answer: Talaq sahi nhi ho gi q k agar mard ko apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil ho gi. Jaisay k aap k sohar ko os k ghar walay talaq denay ka keh rahay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Jahan tk phone par talaq danay ki baat hai to talaq denay mai talaq k sighay ko sahi arabi zaban mai 2 aadil gawahoo ki moujoodgi mai kehna chaheay.aur talaq k sighay aurat ko sunana zaroori nhi hai. Aur is k alawa aur bhi shrait moujood honi jo tauzeeh ul masail kai darj hain.

Print

Id:
25048
Mujtahid:
Date:

Question: Aslamoalikum Meri bv k sath understanding na hony ki wajh sy ma ny usy divorce dy di ha Or wo b mujsy divorce chahti thi Ma ny divorc apni behen or abu k majudgi ma di ha Kya yeh talaq si hoi Is bat ko 6 mah ho gay Or hum alyda b ho gay Khuch roshni daliy

Answer: Talaq ki shriat hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil mard(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zaroori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zaroori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
25174
Mujtahid:
Date:

Question: salam mufti sahib.mera aap se yeh swal hai k agar husband ghusey mein aakar apni wife ko yeh keh day k tum meri taraf se farigh ho tumhara mera koi rishta nahi hai tum meri bivi nahi ho tum mar gayi ho mere liye to kia yeh sub kehne se mian bivi ka rishta toot jata hai mean k divorce hojati hai?halan k niyat na ho yeh sub kehne ki sirf ghusey mein aakar aisa kaha ho.wasslam

Answer: Nikah sahi hai q k Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifas say pak ho or is paki k doran mard nai jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijay yani likh kar talaq dena batil hai or talaq nahi kehlay gi. 3. Talaq ka segha sahi arabi main lafz e “طالق” k sath parha jae. 4.talaq do adil(jo zahiran gunahgar nah hon, or wajib kamo par amal kartay hon or haram kamo sai bachtay hon) gawaho ki maujoodgi main di jay. 5.zarori hai k mard talaq apny ikhteyar sai dai or agar osay apni biwi ko talaq dainay par majboor kia jay tu talaq batil hay. 6.Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2464 & pg # 460)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
25599
Mujtahid:
Date:

Question: mera question yeh hai k mera nikha huwa hai or hum ak dosary ko bohat passand bhi karty hai meri bewi ka baap yani mera susur us k sath mera jagra ho gaya hai or ab who keh raha hai k meh apni beti ki talaq chata hun likin meh nahi dena chata hun kia who log adlat meh se talaq ley sakty hai meri razamandi k bagir

Answer: Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai deta hai na k aurat ya susar talaq court se le, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
26100
Mujtahid:
bashir hussain najfi Date:

Question: Aoa!aik larki k shohar homosexual ho ar wo apni biwi k koi haqoq ada na kare including intercourse tu kia aik bar sigae talaq parhne k bad wo apni biwi se dobara rajo kr sakta hai ar agar han tu kitne arse main ar kia aise shakhs pe aitbar kar laina chahiae?

Answer: Is surat mai dekhna paray ga k talaq kon si di hai talaq e bayan di hai ya talaq e rijei di hai. agar talaq e bayan di hai to mard apni aurat ki taraf roju karnay ka haq nahi rakhta yani ye k bagair nikah dubara osay apni biwi nahi bna sakta. Aur agar talaq e rijei di hai to aurat jab tak iddat mai hoti hai sohar is sai bagair nikah k roju kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
31040
Mujtahid:
khula Date:

Question: khula ka mujhay pata hai k kiss soorat mi khola jaiz hai...ye batain ap k agar biwi ne kula lena ho tu kon husban ya un k ghar walo se baat karay ga or agar wo na dain tab kiya ho ga or zor zbardast shohar hambistri karay biwi razi na ho ye gunah hai k nahi?

Answer: Biwi k liye zaruri hai k shohar jab bhi jinsi lazzat hasil krna chahe to uski khwahish puri kre or sharaee uzar k bager shoahr ko hambistry se na roke, Albatta agr biwi apne shohar se is had tak nafrat krti ho k use wazeefa zojiyat ada na krne ki shamki deti ho to wo apne shohar se talaq e khuka le sakti hai, lekin shohar is bat ko qabool na kre to talaq e khula nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376-2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32019
Mujtahid:
bashir hussain najfi Date:

Question: Aoa?sir kia talaqe bain k bad wapsi k lie halala zarori hai?

Answer: 1-Talaaq e baain ka matlab ye hay k talaq k baad merd ye haq nahi rakhta k apni aurat ki taraf ruju karay yani baghair nikah k dobara osay apni bivi bnalay or is ki 5 aqsaam hain.(Ref : TauzeehulMasail Ayatullah Basher Najafi masla # 2524)
2-Agar koe shaks apni biwi ko mukammal shara’it k mutabiq 2 mertabah talaq day ker in 2 talaqo main her aik talaq k baad oski taraf ruju kerlay ya osay 2 mertabah talaq day or her aik talaq k baad os say nikah karay ya aik talaq k baad ruju karay or dosri talaq k baad nikah karay tu teesri talaq k baad wo aurat os merd per haram hojaay gi.liakin agar aurat teesri talaaq k baad kisi dosray merd say nikah karay tu wo 5 shara’it k saath pehlay merd per halaal hogi yani wo merd os aurat say dobara nikah kersakay ga.(yani halalay k baad shadi ker sakay ga).( Ref : TauzeehulMasail Ayatullah Basher Najafi d.b. masla # 2529)

Note: Talaq e baain ki 5 aqsaam ki hain jin main se faqat aik qisim ki talaq e baain aisi hoti hay jis main halala kerna perhta hay.jaisa k hum ne 2 maslay main biyaan kia hay.



Print

Id:
32495
Mujtahid:
Date:

Question: (1)mera sawal hai. main ENGLAND mein rahti hon aur mera husband pakistan mein hain. Main un sey talaq lena chahti hon lakin wo muje talaq nahin dey rahe.ab wo PAKISTAN mein hain aur main ENGLAND to kis tarha un sey talaq ley sakti hon. (2)main ney ENGLAND sey SHIRYA CONCIL mein KHULA k liye apply kia. jis k baad SHIRIYA CONCIL ney muje KHULA ka ak CERTIFICATE diya.jab mein dusri shaadi karney lagi to MOLVI ney CERTIFICATE accept nahin kia MOLVI ney kaha is CERTIFICATE per mere HUSBAND k sign nahin hain aur is liye woh is CERTIFICATE ko accept nahin kar saktey.

Answer: Wssalam o alykum, Talaq dene ka haq aap k shohar ko hai ap apne tor per talaq na de sakti hen na le sakti hen or jab tak ap k shohar apko talaq nah den tab tak ap unki biwi hi rahengi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472 2367 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32573
Mujtahid:
Date:

Question: Meri biwi mere se khula Lena Chati h woh Kehti h me uss galian Bohat deta ho aur bar bar chorne ko Kenya h uss ka baat bi Mehta h meri beti ko talaq do an woh log court me chale gaye h khula lene me pani biwi ko chorne nhi Chahta abi rukhsti nhi hoi kya asi sorta me court uss khula de de ga

Answer: Jab tak ap razi nahi hote or talaq nahi dete tab tk court ki talaaq ke baad bhi wo apki zoja hen q k share`at e muqaddasa men court k nikah, talaq or papers ki koi ehmiyat nahi hia,lehaza agr apki biwi court ki talaq ki bina per agr dusra nikah kre to wo jaiz nahi hoga. .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
32705
Mujtahid:
khulaa Date:

Question: aslam.o.alaikum: janab mene apni wife ko gusse men aa k call pay teen bar tallaq di or call band krdi meri taraf say mere maa or baap nay suni.uski bht si wajohaat thi shadi say 2 sal pehle say hum sath thay or shadi 1 month pehle mere han beti huwi hy karachi men men wahan say ho k aya hun wife wahin hn..wo hamesha mujh say larti jhagrti thi galian deti thi mene 1 sal or kuch mahinay huwe hain hamari shadi ko mene bht koshish ki par wo nhi sahi huwi shaid use mujhe chorna tha uska mind bna huwa tha har choti bat par uske ghar walon ki call ati thi or wo usko karachi bula lete thay..mukhtasar ye k bht si batain thin men bardasht kar raha tha abhi wo karachi men thi men yahan aya to wo call pay ksi say bat krti thi mene call history dekhi or gusse men aa k usko call ki apne walid k no say mene kaha btao kis say bat krti ho ye no ksi ristedar ka hy to bta do warna men tumhain chor raha hun wo nhi bta rahi thi ulta mujhe kaha men nhi krti bat or call kat di mene dubara ki or usse gusse main pocha usne kaha mujhe nhi pata to mene gusse men aa k call pay 3 bar tallaq di.. kiya meri tallaq hogayi or meri beti abhi huwi hy wo 1 month ki hy..koi acha mashwara dain plz..ALLAH APKO ISKA AJAR DEGA

Answer: ye talaq batil hai q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32711
Mujtahid:
muslim Date:

Question: agar ladki bazid ho k main talaq khula laina chahti hoon aur woh court se lana chahti ha jab ka khwand nahain dena chahta ha tu kia court tanseekh e nikah ker sakti ha

Answer: Gee Nahi talaq ka ikhtiyar Mard k Hath men hai, talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti un men se ek ye b hai k zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay or ye b zaruri hai k Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472)

Print

Id:
32714
Mujtahid:
Islam(QURAN) Date:

Question: mene apni biwi se kaha ke ajj se tum meray liye haram ho meri taraf se aazad ho magar talaq ka lafz istimall nhn kiya..Kiya iss mein talaq hogi ya nhain

Answer: Gee nahi ye talaq shumar nahi hogi q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jay to talaaq nahi hoti, un men se ye b hai k Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
32716
Mujtahid:
Date:

Question: maira aik dost kehta ha ko wo apni bivi ko piar sy maan bi kehta rehta ha bivi ko piar sy maan kehna jaiz ha k nai aor agar jaiz nai tu us ka kafara kia hota ha

Answer: agar koe shohar bolan manzilat, taazeem, bare umar ki waje se ya kise aur jaiz irade se apne biwi ko mah kahe to ye haram nahe hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 637,634,4theidition ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32741
Mujtahid:
Date:

Question: salam mera sawal h k mene apne shohar se khula li h lekn ab hum dobara nika krna chate h ase m ky krna hoga plz btaden

Answer: Agr iddat khatam ho chuki ho tu aap dobara on se nikah ker sakti hain..(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2498). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32747
Mujtahid:
Date:

Question: Saalam O Alaikum, Mera sawal ye hai ke keya prgnent woment khula le sakti waladat se pahel? Aap ke jawab ka muntazir hu..........

Answer: Agar shohar bivi ko halat e haiz main talaq de or baad main pata chale k bivi hamla thi tu is sorat main talaq batil hay baqi tamaam sorto main hamila aurat talaq ko talaq di jasakti hay..(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2478). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32754
Mujtahid:
zulum Date:

Question: salam mulana sahib jazakallah , mulana sahib mere husband na muji last moth telephone pir yahi word dobara duhrayee thi balaqari birehmi sa ka ma tum ko talaq ditha three times wo kehtha tha sub ko ma subal ko dobara talaq donga mulana sahib us na shadi muj sa sirf america paisa ka liya ki thi wo aak lalichi insan tha uski dil allah ka zara khoop nahi tha, 3-16-2011 ko ghar sa bag gaya muji mere masoom bati ko choor kar beemar bachi ko choor kar, us ki family ko patha tha ka wo kaha ha muji nahi bataya hamara koi jagra bi nahi howa tha pir aak week ki bad muji call kiya telephone per muji three times ti talaq di, muji quran o sunnah ki roshni yah baat bataya ka aak neek aurat per jo five times pray parthi ho quran aak dafa ma finished karthi ho month ma, muj per zana ka shaq karna muj per elzam lagana kaya kehtha Allah ki rasool us bari ma, mulana sahib mere shoahar aak beraram insan ha, us na sub ko bola tha ka agar talaq nahi bi howi ha ma dobara donga, same he did it ma na us ko bola wafas ajoo, hamara aak bacha ha us na kaha muji sunno dobara three times us na bola ma sumbal ko talaq ditha ho sumbal ko talaq ditha ho, mere zindagi barbad ki mere bachi ki america doller ki kahtir please tell me islam ma mard ko yah eejazat ha bela waja aurat ko talaq do jub america mil jayee,kaya yah zulum nahi ha ka poorani batoo ko yaad karki

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
32777
Mujtahid:
Date:

Question: molana sahib mayray shohar ne mujhay phone pe i baar talaaq di hai jayse hi os ne ak baar talaaq kaha meany phone kaat diya .or os k foran baad hi mayray shohar ne mujhay call ki mgr meany darr se call receve nahi kiya k kahen wo 2 baar or talaaq na kah day ye 11 november 2012 ko hoa jab mean dubai main thi mujhay batain k ky atalaaq ho gai

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32798
Mujtahid:
talak Date:

Question: asalamualycum hajrat mera talak jor jabdasti hua he mere sohar pe ghar walo ki jabardasti talak dilwaya he sab ne muje aur mere sohar ko dhamki di aur dara ke hamara talak hua he me aur mere sohar ye talak nai chahte the but sab logo ne talak karwaya to kya hamara talak ho gaya kya? aur talak ki iddat me kya kya ker sakte he pls muje describe kijiye kya ham kisi male se phone pe bat kersakte he . ? aur kya iddat me aasman dekh sakte hai? aur iddat ki sawab kya hota hai kahte he ke iddat wali aur ka darza allah ki bargah me bahut accha hota he kya he sach hai? aur kya iddat me kin chizo se gunah ho sakta he pls bataiye dua me yad khudahafiz

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifas say pak ho or is paki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k sath perha jaay. 4.talaq do adil(jo zahiran gunahgar nah hon, or wajib kamo per amal kertay hon or haram kamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyar se day or agar osay apni biwi ko talaq daine par majoboor kia jay tu talaq batil hay. 6.Merd talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya ghusay ki halat main talaq day tu, talaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32799
Mujtahid:
masla e talak Date:

Question: Asalamualaycum , hajrat please please mere sawal ka jawab email se dena please answer dena i m worryied. jaldi ans dena Mera nam zaheda banu he from gujrat india, mera masla ye hai ke mera nikah meri marji se hua tha mere sohar ka nam mohameed irfan he ham ne apni marji se nikah kiya tha hajrat mere sohar ke parents mere ghar mera rista lekar aaye the mere sohar ke paents 1 garib ghar se he aur me 1 acche ghar se belong kerti hu ..mere papa ne unki beizzati ker ke aur bahut bura keh ke riste se mana kerdiya tha . fir ham ne shadi ka fasla kiya tha .to papa ne naraj hoker hamari shadi to karvadi par mujse sare riste tod diye mumy chup ke se mere contact me the 1 din mumy ki tabiyat bahut kharab hogai aur meri bat hui thi mumy se to ammijan ne kaha ke agar tu apne sohar ko chod ke aana chahti he to aaja aur ammi ki halat soch ke mene phone pe hi ha bol diya muje darr beth gaya ke me apni ammi ko kho na du.kahi aur mene apne sohar se bat ki muje ammi se milna he unki halat bahut kharab he. unhone kaha ke tuje jana ho to ja.fir mene ammi se milne ka fasla kiya me aur mere sohar ke bich me mashaallah bahut mohabat thi aur papa ne apne ghamand me muje lene apne sasural aaye sarural me ramjan ke bahane se kaha aur muje hamesha ke liye lekar chale aaye ye bat muje malum thi but me apni ammi ki jan na chali jaye mujse judai ke gam me ye sochke ke mere aur mere sohar ke riste ki hifazat mere allah karege ye soch ke ammi ke ghar aagai ..mere sohar phone kerte to muje abba phone nai dete the aur abbaa ne muje kaha ke agar tu jana chahti he to wapas chalija na magar meri ammi , bhai aur abba ke zanaza se jana aur mere aur mere sasural ke bich me galat fahmi paida ker ke hamara rista tudva diya meri mere sohar se internet se bat hoti thi vo mana kerte the ke wapas aaja aur muje bi jana tha apne sasural but abba ne bahut imotional kiya aur abba mere sasural walo ko bahut nichi zat ka samaj te hai. aur 1 din mere sohar ki family ko 1 jagah bulwaya jane se pahle mere sohar ki aur meri bat hui thi wo bi mana kerarhe the ke me talak nai duga unhone bola tu mera sath dena mene unka sath dene ka fasla kiya tha but waha jane se pahle mene abba ke samne roi muje ye rista nai todna tha abba ne kaha ke tu waha rista todne ko mana nai karegi to hame mardal me kya kerti hajrat me waha kuch nai boli aur waha mere sohar pe jabardasti hui thi ke talak dede unki jamat walone kaha aur unpe mere papa ka jorr-jabardasti thi hajrat mere sohar ne muje pahle2 bar talak kaha aur fir kisi ke kahne par 2 bar aur hajrat mera dill ye talakmanne ko taiyar nai he aur muje yakin he ke mere sohar bi ye talak ko nai mante hajrat mere papane ye rista isliye tudwaya ke unka damad 1 aam insan tha aur unhe 1 dolat mand damad chahiye jise unki izzat aur rutba badhe hajrat aap meri madad kijiye ke abba ke dill badal jaye aur mere sohar irfan ko wapas apna ke hamara nikah wapas kara de plese hajrat me aap ke mail ka wait karugi aur muje allah pe yakin he ke mere aur mere sohar ke sath insaaf allah karege.

Answer: talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
32878
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamualy cum janab me abi iddat me hu mere sohar ne muje talak dya he aap muje talak e iddat ke hukuk aur is iddat ke farz aur wajibat bata sakte he ?

Answer: Jab tk orat talaq ki iddat men ho wo dusri shadi nahi kr sakti hai, q k iddat men bhi wo usi ki biwi shumar hogi or sare ahkamat wohi honge jo taklaq se pehle the.albatta iidat khtm hote hi wo ek dusre k liye na-mehram hojaen gay. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474-2487). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32907
Mujtahid:
tallaq Date:

Question: mri biwi ny mujh larai k doraan 7 martaba tallaq kaha hy yani us ny apni taraf sy mujh tallaq dy di hy us k bad wo mujh khti hy k tum bh mujh talaq do magr m us ko khta hoon k kal subah wazoo kr k doon ga or baat tall di ap mujh batain k kya biwi k tallaq dyny sy kya tallaq ho jati hy (phr jb us ka gussa khatam huwa tuwo mujh sy mafi mangny lagi or roony lagi mri biwi k pass deni or dunyawi taleem nahi hy yani wo bilkul pari likhi nahi hy or gussa m pagal ho jati hy us ghr waly waly khty hn k es pr kisi cheez ka saya hy es ly es ko gussa k waqat kuch pata nahi lagta ab ap batyn es ka kya hal hy or m kya karon es ka ansr mujy jetni jaldi ho saky send karn kyun k m bohat takleef m hoon k talaaq tu nahi ho gi hy

Answer: Talaq dena mard ka haq hai aurat ki di gae talaq ki koi hasiat nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32920
Mujtahid:
Tallak Date:

Question: Aoa!! my question iz...agr meri biwi ny mjay kaha ho k ap mjay talaq dy rhay ho aur menay ghusay mein aakay usay kaha ho k han mein tumhay talaq day rha hu phr biwi ny hastay howay kaha k esay nhi hoti teen bar kehnay say hoti hy,menay usay teen bar tallaq nhi talaq bola ho aik sans mein toh kya wo ho jati hy? mjay pta b nah ho k esay kehnay say waqe ho jti hy + biwi ko abhe periods anay wlay ho pr ay nhi ho abhe

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32983
Mujtahid:
khulla Date:

Question: meri biwi muj se khula lene cahti hai magar main nahe dena cahta.kya aisi surat main khula ho jae ge

Answer: Jee nahi is surat men talaq e khula nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462) . Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
33017
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamualycum me abi talak ki iddat me hu kya aap muje iddat ke wajibat aur farz bata sakte he ? kya isme kisi male se phone se bat ya MEssage se bat kersakte he ?

Answer: Orat iddat k doran dursa nikah nahi kr sakti, is liye agrchhe talaq hochuki ho phir iddat k doran orat apne shohar ki sharaee biwi ki hesiyat rakhti hai, yahan tak k iddat ka period khatam hojaye.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2508). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
33020
Mujtahid:
talak Date:

Question: Asalamualaycum mera name Irfan he meri shadi meri wife aur meri marji se hui thi but meri wife ki family wale agins the to mere sasural walone meri wife ko dara dhamka ke use majboor ker ke kaha ke talak mang aur muje bi daraya aur majboor kiya talakh dene ko is talakh se meri wife aur me khush nai he hame janbuj ker alag kiya gaya he kya hamara talakh hua kya ? ham dono 1 dusre se bahut mohabaat kerte he aur kya dhamkiyo se hua talakh talakh mana jayega ???? hamara dil nai maan raha he iss talakh ko plsssssss muje ans jaldi dena......

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33067
Mujtahid:
Talaq ki mutaliq Date:

Question: Salam mulana sahib, ma aak bohut problem ka shkar ho, ma america ma rahti ho ma U S citizen ho mere shadi pakistan ma howi thi aak larki sa ma us sa apni dil o jaan sa muhabat karthi thi but wo loog bohut lalichi thi ma na us ko america bolaya pir wo muj sa hide and seek kartha us ki account also muj per kisi baat ka etbaar nahi tha, hamara jagra hotha tha muji kehtha pakistan jao ma yaha rahonga ma us ki bena nahi rahsakti thi, wo muj per mere bachi ka kabi spend nahi kartha tha, mulana sahib ma kabi ghusa ma kar us ko bolthi muji talaq dido, please mulana sahib please read very carefully my question hamara jagra howa tha us na muji bola tum kisi aur mardo sa milthi ho muj per zana ka elzaam lagaya ma bohut hi pakeeza ho muji aaj tak kabi kisi mard na touch nahi kiya bagheer mere husband ki, ma na us ko bola muji talaq dido agar tum muj sa itni nafrat ha koi hum saat ma rahi, mulana sahib pir us ki bad ma na toba ki us sa mapi mang li and hamesha ka liya toba ki mapi mangi thi, likan hamara jagra nahi howa tha us na muji chora aak week later pir telephone per bola ma tum ko talaq ditha ho ma na bari ezaat sa baat ki us aak dum sa yah kehdiya ma tum ko talaq ditha ho three times, mulana sahib please tell me that he divorced also we had no fighting he was missing for week, muj sa shadi us na america ka liya ki thi, mulana sahib ma na tu us sa talaq nahi manga tha also hamere sulah bi ho chuki thi pir qasoor kis ka ha, because allah saying in quran talaq ka liya pir bahna mat dondo, ma tu us ka liya apni jaan deeni ka liya tayaar thi pir qasoor kis ka tha,pir ma na bola talaq nahi chuki ha because us na muj sa intercourse bi kiya tha us na kaha ka agar nahi bi howa ha dobara donga, please tell me us tara us na muj sa muj sa pida honiwali bachi sa inkar kiya, mere zindagi ko barbad kiya hamesha hamesha ka liya, Allah insan ko map kartha ha likan us na baat ko dil ma rak kar muji map nahi kiya infcat allah knows intention, i am very religious pray five times read quran, but why he did this

Answer: Apko di gae talaq galat hai q k Talaq ki sharait hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
33103
Mujtahid:
MAMOOLAT Date:

Question: Aslamo u alikum mera swaal hai ke mere shohe dafr apni doosri wife ko ghuse mein 2 dafa 3 bar talaq de ke hain aur us ke bad b woh us ke pass pakistan jatay hain aur shadi walay rilation hain . ab kaya hoga.aur iss ka kaya mutlub hai.

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
34845
Mujtahid:
Date:

Question: AOA MERA SAWAAL HY K AGAR LARKI KHULAA LATI HY OR 2ND DAY SHADI KARTI HY TU YAH HALAAL HY IC SE KOI BORA ASAR TU NAI HO GA LARKY YA OS K BACHOO PAR YA OS K ROZGAAR PAR OR AGAR LARKI OR LARKE KI LARAI HO JAHE OR SAAL TAK KOI RABTA NA HO TU TALAAK HO JATI HY THANKX

Answer: 1 ) Jab aik aurat apnay shohar sai khula leti hai to usk liye zaroori hai k talaq wali iddat mukammal karnay k baad dosra nikah karay. Iddat sai pehlay kisi doosray mard sai nikah nahi kar sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475)
2) Jee nahi faqt rabta khtm hone se talaq nahi hoti balk jab tk shohar talaq k seeghe ada na kre tab tk talaq nahi hoti.Albatta agar shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziyada muddat k liye hambistry krna chore de to ye amal haram or gunah hai albatta is se bhi nikah khtm nahi hota.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2382-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
34975
Mujtahid:
nikaha Date:

Question: asslamalecum,kya esi koi surat hai jisme biwi apne showhar ko talaq de sakti hai

Answer: Talaq ka haq sohar ka hota hai aur biwi osay talaq nahi dai sakti hai albetta agar sohar apni biwi ko apna vakil bna lai to wo talaq k sigay jari kar sakti hai magar phir bhi talaq ki tamam shrait ka khayl rakhna ho ga. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 503)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print