Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (825 Questions)


Showing 200- 250 questions from 825 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
36824
Mujtahid:
tree talaq Date:

Question: assalamu alaikum main apni biwi ko phone par ek saans main talaq talaq talaq kha kar phone band kar diya tha kiya ye talaq ho gai hai.baat karte karte 3se 4 martba sirf talaq ka lafz use kiya aur phone band kar diya.

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37408
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alekum janab mujhe ye maloom karna tha kay ek sath 3 talaq khene se talaq waqy ho jati hain agar biwi pregnet ho jab bhi talaq ho jaegi please jald az jald jawab de

Answer: Ye talaq shi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
39167
Mujtahid:
Aqa-e-Seestani Date:

Question: Main kai maheeno say apny shohar say alehda zindagi guar rahi hoon bawajood iss k mery sath meri 8.5 sal ki awlad bhee hay... jo sirf mery sath zindagi guzarna chahti hay... buhat takleef utha kar main akely rehti hoon awr khud job bhee karti hoon... zindagi k kisi more per bhee main wapis uss shakhs k sath nahi rehna chahti... buhat bar seestani sahib ko email kar chuki hoon awr unn k wakeel say bhee contact kya magar wo sara haq mard ko dainy ka kehny hain jabke mard kisi soorat chorny ko tayyar nahi,,,, kya main sari zindagi akely hi guzaroon ya koii meri faryad sunny wala hay.........

Answer: Ap Mujtahid ke kisi wakeel ke paas ja kar kud apna masala bayaan karian, is ka hal is hi main hai take wo apki or apk shohar dono k masle ko sune us k bad feslaa kre, q k ek tarafa bat sun kr fesla nahi kiya jaskata.(Ref : aqa sistani ,Jadeed faqhi masail , masla # 413 , pg # 237, eidition 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
39245
Mujtahid:
Date:

Question: Aslaam-o-aleikum ... Meine aik larki se court mein ja k islamic aur legally nikah kar lia tha aur apne gher walon ko manane ki har mumkin koshish ki par gher wale agree nahin hoye aur meri walida ne mujhey majboor kia ke mein us larrki ko talaq de doo. Mein janata hu k wo larrki character wise aur religious wise bohat nek aur tahajud guzar hai . 5 wakat namazi hai aur tahajud guzar hai, mujhey us larrki mein koi esa nakas nazar nahin atta jis ki base pe mein us larrki ko divorce de doo lekin meri family specially meri walida mujhey force kar rahi hain k mein us larrki ko divorce de doon. Mein apni walida k haq mein bhi gunahgar nahin hona chahta aur larrki k saath bhi zulm nahin karna chahta. Mein bohat pareshan hoon please kindly islam ki rooh se mere liya kia hukam hai kion k mere gher wale yeh base use karte hain k maa agar hukam kare to islam mein hukam hai k talaq de deni chaiye ... Ab mein kia karoon ? Islam ki rooh se mujhey kia karna chahiye ... Tafseeli jawab dein. Shukaria

Answer: Wssalam o alykum,Sb se pehli bat to yehi hai k ager wo nikah jo apne court men kiya islam men uski koi value nahi hai, lekin agr apka agrchhe court men nikah hua hia lekin agr tamaam islami sharait (wo tmam sharait jo nikah k liye zaruri hen islam men) ke sath howa tha to ap ko apni zoja ka sath dena chahiye, Sharee`at e Muqaddasa ke etibaar se is sorat main maa ki itaat wajib nahi hai, or talaq kisi k kehne per nahi hoti, lehaza apki walida koi koi haq nahi hain k wo apko talaq k liye majboor kre. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 348 , pg # 278 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
39280
Mujtahid:
Date:

Question: 3 talqen aur hilala roju means t

Answer: Ager shohar apni bivi ko talaaq ki tamaam sharait ke sath talaaq de phir iddat main ruju kar le ya iddat ke baad nikah kar le, or phir dubara talaaq dene ke baad iddat main ya iddat ke baad ruju ya nikah kar ke us ko le aae, ab ager wo us ko 3rd talaaq de ga to orat us ke uper haraam ho gaae gi or wo na iddat main ruju kar sakta hai or na hi iddat ke baad nikah kar sakta hai.
Lekin ager orat 3rd talaaq ke baad ager kisi balig shaks se nikah e daaemi kare, or wo us ke sath aage wali sharamgaah main jima kare, or phir wo shakhs ya to mar jaae ya us ko talaaq de de to jab orat is dosre shohar ki talaaq ki iddat ya wafaat ki iddat mukammal kare gi to us waqt ye 1st shohar se shadi kar sakti hai. or is amal ko

Print

Id:
39406
Mujtahid:
Date:

Question: Asallam o Alaikum mufti sahab! mujhy ap se ye pochna tha k talaq dene waly or qula lene waly ka kya gunah hay

Answer: Wssalam o alykum, koi guhnaah nahi hai. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , 2367, 2492 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
39463
Mujtahid:
shia Date:

Question: meri biwi ko mene ek dosre bande se baat karti hy,aur woh mili bhi hai us se,akele mein,aur usne yeh kabool bhi kia hai ,,mera beta bhi hai ,,,ager mein tallaq don apni biwi ko to kia mera beta mere paas rahega ?? kun k yeh ek sharam naak harkat hy

Answer: Ager wo toba karain or apne is amal ko dubara na duhraain to ap un ko muaaf kar dian. Or ager is amal per baqi rehain to behtar hai ke un ko talaaq de dain, or ager ap ke bete ki umar 2 saal ho chuki hai to ap us ko apne paas rakh sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2367 , 2422 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
39549
Mujtahid:
khulla Date:

Question: meri biwi ne zabardasti court se khulla liya hai.mere sign k bagair ab mein kiya karon kiya shariat ke hisab se bhi talaq hogai

Answer: Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai deta hai na k aurat talaq court se le, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39567
Mujtahid:
Date:

Question: merey apse 2 sawal hen.pehla ye k agr shohar apni biwi ko paper divorce dede accept his sign or us k bad upni biwi ko ruju(sex) bhi karle again to kia talaq hojaegi.?or dusra sawal k agr talaq hojae to usko sudharne k leay kia tareka karna chaye...?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likh kar talaq nahi hoti hai. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39938
Mujtahid:
Aqa e sistani Date:

Question: Mulana Sahib, agar kisi larki ko online written main teen dafa talak dee jayee or phir wo admi 3 saal tak wapis na aye na he us say koi rabta ho to kia larki dobara nikah ker sakti hai kisi or say. yeh bi batati chalon k ye aik court marriage thee or molvi sahib nay bhi wahan court main he perha tha.

Answer: 1) Ye talaaq sahi nahi Q k talaq ki khuch shriat hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil mard(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zaroori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zaroori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-72)
2) Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342)
3) Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2379). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40069
Mujtahid:
Date:

Question: merha sawal hy kay shuher uger ghusa ki halat main 3 baar talak bolta hy. 2 time sitting position main boly .uur ik baar stand ho kar boly . tu kiya woo talak wajab ho jay ge. uur is main bivi ka koi kasoor na ho. uur bivi ko patta bhi na ho. uur achanik bivi ya baat sony.uur pher us kay baad shuher 10 mint main mafi mang lyta hy uur kafarha dyta hy uur nafal tubha kar parta hy. uur bivi say ruju kar leyta hy. uur pher apas main rahna shuron kar dyty hain. tu kiya islam main ya talak hoi hy ya nahin. uur is baat ko 8 month ho chokky hain. laken us kay baad y NOBAT NAHIN AY. SATH MAIN RAH RAHY HAIN. KALEN HAM JANNA CHAHTY HAIN KAY ASI WASI KOI BAAT NAHIN HOI NA. SHUHER LAILM THA US TIME US KO PATTA NAHIN THA KAY ASA BOLNAY SAY BOHAT KHUCH HO JATA HY. MAHEZ BIVI KO DRANY KI KHATER UUR SHADEED GHUSA KI HALAT MAIN YA BOLHA THA.PLEASE JAWAB ISLAM KI NAZER MAIN DAIN KAY YA TALAK HOI HY YA NAHIN. LAKEN HAM AB TAK SATH MAIN HAIN UUR IS BAAT KO 8 MONTH HO GY HAIN

Answer: Ye talaaq sahi nahi Q k talaq ki khuch shriat hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil mard(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zaroori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zaroori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-72). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40109
Mujtahid:
i dont no Date:

Question: agar shohar bevi ki choti si galati ki wajse gusse me ek sath teen bar talaq boolde aur bevi apni maan ke ghar jakar rhne lage mehar eddat ki raqam dedi gayi ho to kya talq hojaay ga ya nahi aagar nahi hoga aur shohar ne bevi ko chordiya to uske sar par goonha rahega jab ki uski bevi galati ki mafi mang rahiho in sab ke doran agar talaq nahi hota hai in dono ke darmiyan 6 mahine ka waqfa guzar cuka hai to milne ki koi surat hai

Answer: Ye talaaq sahi nahi Q k talaq ki khuch shriat hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil mard(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zaroori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zaroori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-72). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40144
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-Alaikum sir mera aap se sawal ye hai meri bivi ke sat jhagta hova o us ke ma bap ke pas hai ham lane gyaye the jhagta karri or talk mang ri hai maye kya karo

Answer: Aap k liay talaq daina wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40145
Mujtahid:
sunni muslim Date:

Question: assalualaikum.. meri shadi mere parents ne meri marzi khilaf karwa di thi. maine us shadi ko apne taraf se nibhane ki koshish bhi ki. mere shauhar ko pata tha ke ye shadi zabardasti hui hai isliye wo hamesha mujh par shak karte. jhagde hote rehte....akhir tang akar main unse alag rehne lagi... maine unse khula manga to unhone jawab diya tujhe sadaunga.latkake rakhunga. .take tu kisi se nikah na kar sake.. unhone khud dusri shadi kar li hai. pichle 7-8 yrs. se na hum ek hi city men rehte hain. na ek dusre se baat karte hain. na paise dete hain. AB Main agar kisi aur se nikah karna chahoon to mere liye koi rasta hai.

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Print

Id:
40187
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Sir mera sawal ye hai ke 3 saal pehle meri shaadi hui. Meri wife ki ghair mard se baat kerti thi tou ek din maine phone pe apni bv se baat kerte hue kaha agar tum ne ainda phir us larke se baat ki to mai tumhe 3-bar talaq de dunga kaha. Jab ke mera aisa koi irada nahi tha. Phir hum ek imam-e-masjid ke pass gaye to us ne kaha ke talaq nahi hoti aisay agar tumhari wife us larke se future me baat keregi to usi waqt tum dono ki talaq hojayegi. Hum ne 60 gharibo ko Imam-e-masjid ke kehne pe khana khelaya. 2 saal baad mera bv ke saath jagra hogaya us ne ghusay me aaker us larke ko phone kiya. Ab me father ban gaya hon. Kya Hum dono ka rishta jaiz hai? Humari talaq to nahi hui?. Plz Plz Plz guide me.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Ye talaq shi nhi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40483
Mujtahid:
Talaq(sunni) Date:

Question: mai ye puchna chata hn k kuch arsa pehle meri shadi hui. mai pichlay 5 saal se ghar walo ko keh raha tha k mai yaha shadi nai krna chata lakn larki k abu ne meray ami abu ko bht tang kia hua tha. meraay abu aur larki k abu bhai thay jis waja se meray maa baap majbur thay. yaha tk k larki k abu beemar huay aur marnay se kuch din pehle tak meri tarf isharay krtay rahay k is se shadi karao. mai us time ghar mai 1 baar bataya k in k marnay k baad mai isay talaaq de dn ga. lakn kisi ne nai sunni, ab un k marnay k baad mujay dobara majbur kia gaya aur zabardasti shadi kara di gai lakn mai khush nai is shadi se aur ghar mai sb ko bata dia hai k mai usay talaaq de raha hn. mai abi out of country hn isliay sb ne usay phone uthanay se b mana kia k talaq applicable na ho jae. kia talaaq ho jati hai aisay. ghar mai sb chacha, phupho aur daadi wagaira ko b pata chaal chuka hai. mai abi b us k saath nai rehna chata. agar nai hui talaq tu kaisay ho gi?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1)Zauja ko zaujiat sai kharij kr denay ka nam talaq hai. q k talaq aik bara sakth moamla hai lehaza nehayat achi terah aur thanday dimag sai soch kar talaq ka iqdam kia jae. Pak daman aurat ki talaq par arsh e ilahi kanp uthta hai aur khuda k nazdeek halal umoor mai talaq sai ziada na gawar koi cheez nahi hai.
2)Talaq ki chand shrait hain jin ki pabindi krna zaroori hai warna talaq nahi hoti hai 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40542
Mujtahid:
ahle hadis Date:

Question: sir Mera sawaal ye hay k mera husbend mujy bohat maarta hay or mujy kafi dafa apny mou say talaq day chuka hay par mera koi bhi aziz meri is baat ko sun kay mujy apnay ghar nahi rakhta kio kay mera husbend unsay larta hay wo meri jan bhi nahi chorta.mujy kehta hay kay maine tumain chorna bhi nahi or rakhna bhi nahi.main tumain isis tarha zalil karo ga.maine adalat main case file kia hay talaq kay liay mere husbend ko nahi pata sirf itna pata hay kay main adalat main gai thi case ko 4 mahinay ho gaiy hain mera case yaktarfa digree honay wala hay.lakin uskay baad mera koi aziz mujay nahi rakhay ga is liay main foran shadi karna chahti ho.pla mujay btaiy kay main kaisay shadi karo.wesy ye masla 2 saal say chala aa raha hay.or 2 saal say maine apnay husbend kay sath koi main bv wala kaam nahi kia kio kay main usay apna husbend samjhti hi nahi kio kay wo mujay kitni dafa talaaq day chuka hay par mujay kahi janay bhi nahi deta.plz mujay btaien main kya karo.main foran dosri shadi karna chahti ho.or aesa hul bataaen kay wo mujay or mere husbend ko koi nuqsaan na pohnchaiy or na hi mere dosray husbend kay khilaf koi kanoni karwai kar sakay

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Islam mai talaq ka haq sirf sohar ko hasil hai aur court sai li gae talaq bhi batil hai. aap koshish karain k apnay sohar ko khush rakh sakain aur is k lie aap wazifay bhi parh sakti hain.
Mian biwi ki aik doosray say mohabbat o ulfat may izafay k lye har namaz k baad surah e mumtahinah suarh # 60 ki ayat no 7 ko 7 martaba parha karay to donoo may be-shumar muhabbat qaim ho jay gi. (Ref : Naway e Salaheen pg # 350)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41038
Mujtahid:
Date:

Question: a.o.a mari shadi shuda admi se shadi hui pasand ki mai unki scnd wife hun hum ne chori unki family se shadi ki kuch logon ne paiso ke lalch main aa kar unki family ko sab bata diya ke unho ne mujse scnd shadi ki unki family nai mare husband ko ghar band kr ke rakha 3 4din wo hathon se mazoor hy n 30 40 log thy wo akele un se zabardsti talak papper sign krwaye jab ke wo nahi thy krte tu unki family dhamkaya unko wo mujhy chorna nahi thy chahty kabhi bhi mai safe nahi thi safty dena chahty thy abi tak bhi papper sign krwa ke unki family ne ghar beje papper mane nahi rakhe na sign kiye kya zabardsti ki talak ho jati ke nahi plzzzz zaror reply kariye ga mai bht tens hun n abi mare husband mare pas aate hain lakin jismani talok nahi rakhty hum kya rakhna chahiye plzz ap bata dijiye mai nahi kahi or shadi krna chahti mai bht pyar krti apne husband se

Answer: Talaq main zarori hay k merd apnay ikhtiyaar se talaq day, or agar osay apni bivi ko talaq daynay per majboor kia jay tu talaq batil hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2462). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41185
Mujtahid:
Imam Abu Haneefa Date:

Question: طلا ق کا مسلہ کیا فرماتے مفتیان ِکرام اس مسلہ میں کہ میں نے اپنی بیوی (دوسری بیوی پہلی بیوی کے انتِقال کی وجہ سے دوسری شادی کی)کو انتہائی غصہ کی حالت میں طلاق دی وہ اسطرح کہ میرا بیٹا جس کی عمر تقریبا 11 سال ہےسے کچھ نو ک جھوک ہوئی میں نے دونوں کی بات سن کی مسلہ کو رفع دفع کر دیا اس کے بعد وہ خوب روئی ۔اس کے بعد میں اپنے بیٹےکو بلوایا کہ دیکھوں امی رو رہی ہیں ان کو خاموش کراو اور جب تک وہ خوش نہیں ہوتی تم سو نہیں سکتے تقریبا ایک کھنٹے تک میں اور میرے چاروں بچے ان کو مناتے رہے مگر جوں جوں ہم مناتے اِن کا غصہ بڑھتا ہی گیا اور نوبت خودکشی تک آگئی اور انھوں نے کہا کہ میں خودکشی کرلونگی جس کی وجہ سے وہ باہر کی جانب بھاگنے لگی تو میں نے اِن کے پیر پکڑ لیے کچھ دیر کے بعد ہاتھ پکڑ لئے بھائی کو بلوایا دیکھو یہ کیا کررہی ہیں بھائی نے کہا کہ چھوڑ دو جیسے ہی میں ان کو چھوڑا وہ گھر سے باہر چلی گئی ( جس کی وجہ سے میرا غصہ آسمان پر چلا گیا ےیعنی اتنا غصہ کہ پہلے کبھی نہ آیا اس غصے کی حالت میں میں کپکپا رہا) ایسی حالت پہلے کبھی میری نہیں ہوئی پھر ان کو پکڑ کر لائے میں نے ان کو دھکے مار کر گھر میں داخل کیا اور اس کے بعد دو چار تھپڑ بھی رسید کئے حالنکہ بھائی نے مھجے بہت روکنے کی کوشش کی نہیں کرو آپ یقین کرو غصہ اتنا شدید کہ بس آواز آرہی ہے اور کوئی مجھے طاقت سے پکڑا ہوا ہے مگر مجھے بھائی کی شکل نظر نہیں آرہی سوائے ایک کے جس پر غصہ آرہا ہے۔( اس سے پہلے میں نے کبھی بھی عورت پر ہاتھ نہیں اُٹھایا) اس کے بعد بھی میرا غصہ ٹھنڈا نہ ہوا اور دو مرتبہ یہ جملہ دہرایا ۔میں نے آپ کو 3 طلاقیں دیں۔ میرے منہ سے جب یہ جملے ادا ہوئے تو میرا رادہ اور نیت بھی طلاق دینے کی بھی نہیں تھی۔اور آج تک سوچتا ہوں کہ وہ جملہ میرے منہ سے کیسے ادا ہوگیا ۔ مجھے آج بھی ایسا لگتا ہے کہ کسی نے میرا منہ استعمال کیا ہےان جملوں کو ادا کرنے کے لئے ۔کیوں کہ میرا ذہن سن سا ہو گیا تھا۔ اب مجھے اس ضمن میں بتائیں کہ۔ کیا یہ طلاق واقع ہو گئی۔جب میرے منہ سے یہ جملے ادا ہو گئے تو میں نے کچھ دیر بعد کہا کہ یہ کیا ہو گیا۔۔۔۔میرا تعلق بھی دینی ماحول سے ہے۔ مجھے یہ بس یہ معلوم تھا کہ اس طرح کے جملے سے طلاق واقع ہو جاتی ہے۔مگر یہ معلوم نہیں تھا کہ شدید غصے کی حالت میں نرمی ہے۔ مفتی صاحب میں آللہ کو حاضر ناضر جان کر یہ بات کہ رہا ہوں کہ بس یہ جملے میں نے ادا کیے ضرور ہیں مگر غصہ اتنا شدید تھا کہ مجھے اپنی زبان اور ذہن پر مکمل کنٹرول نہیں تھا۔ کیونکہ یہ جملہ ایک مرتبہ نیت کے ساتھ کہا جاے تو طلاق واقع ہوجاتی ہےمیری معلومات کے حساب سے۔ مگر جب یہ جملہ ادا کیا تو میں غصے کی وجہ سے کپکپا رہا تھا اور پھرخود بہ خود یہ جملے ادا گئے اور پھر خور بہ خود یہ جملہ دوبارہ ادا ہو گیا اور نہ ہی میں نے پہلی مرتبہ ارادتاً یا نیتتا یہ جملہ ادا کیا تھا اور نہ دوسری مرتبہ۔ میں یہ بھی بتانا ضروری سمجھتا ہوں کہ مجھے چالیس سال میں کبھی بھی اتنا تیز غصہ نہیں اآ یا کہ جیسا اُ س وقت آ یا تھا۔اور میں آج میں سوچتا ہو تو میں اس نتیجے میں پہنچا کہ جو شخص بھی کسی کی عزت سے کیھلتا ہے تو شاہد ایسا ہو جاتا ہے جبھی تو غیرت کے نام پر قتل بھی ہوجاتے ہیں۔ میں اللہ تعالیٰ کا شکر ادا کرتا ہوں کہ میرے ہاتھ میں کوئی ہتھیار نہیں تھا۔ پتہ نہیں ورنہ کیا ہوجاتا۔ اس سوال کو مفتی صاحب کو دیکھانے کے بعد ایک صاحب نے مشورہ دیا کہ کسی ڈاکٹر سےبھی رجوع کرو وہ کیا کہتے ہیں۔ جب میں نے اپنے فیملی ڈاکٹر(جنرل فزیشن) سے رجوع کیا اور انھوں نے اوپر والا پورا پیج پڑھا اور کچھ بنیادی سوال کرنے کے بعد انھوں نے اپنی رائے دی کہ یہ ڈپریشن کا کیس ہے۔اس پر میں نے کہا کہ میں نے تو کبھی بھی اس کا علاج نہیں کروایا اس کے جواب میں ڈاکٹر صاحب نے کہا کہ علاج کرواتے تو یہ مسلہ نہ ہوتا جو ہوگیا ہے ۔ اور اگر اس کا علاج کروانا ہے تو کسی نفسیات کے ڈاکٹر سے رجوع کرو۔ وہ آ پ کو صحیح مشورہ دیں گے۔اسکے بعد میں نفسیات کے ڈاکٹر سے رجوع کیا انھوں نے اپنی پوری کاروائی کرنے کے بعد اپنی رپورٹ مجھے زبانی بتائی کیونکہ ان کے ہسپتال کے اصول کے مطابق کسی کو بھی کچھ لکھ کر نہیں دیا جاتا۔بس زبانی ان کو رپوٹ اور اس کا علاج بتادیا جاتا ہے۔ڈاکٹر کی رپورٹ کے مطابق آپ کو ڈپریشن کی ایک قسم کا پرابلم ہے ڈپریشن بزاتِ خود کوئی بیماری نہیں یہ حالات و واقعات اندرونی اور بیرونی ٹینشن کی وجہ سے ڈپریشن ہوجاتا ہے۔جس کی وجہ سے آدمی پھٹ پڑتا ہے کچھ ایسا ہی آپ کے ساتھ بھی ہے آپ کی ہسٹری کو دیکھتے ہوئے یعنی پہلی شادی سے ایک ہفتے پہلے والدہ کا انتقال اور شادی کے آٹھ سال بعد بیوی کو کینسر کا ڈائگنوز ہونا ، تین سال مسلسل علاج کے بعد 2010 میں انتقال کرجانا ، چھوٹے چھوٹے بچوں کی کفالت کا مسلہ ، دو سال بعد دوسری شادی اور صرف 9 مہینے میں اوپر وال سلسلہ ہوا ہر ہفتے کی نوک جھوک ، ان عوامل کی وجہ سے بھی ڈپریشن ہوجاتا ہے۔اب اس کے بعد ڈاکٹر صاحب نے علاج کے طور تھراپی کے لئے کہا ہے جس کی وجہ سے آپ کا مسلہ حل ہو سکتا ہے ورنہ آپ کا یہ مسلہ مزید بڑھ سکتاہےاور آگے مزید پرابل ہوسکتی ہیں ۔ اس پوری رپورٹ کی آڈیوں رکارڈنگ موجود ہے جس کو بوقتِ ضرورت حاضر کیا جاسکتا ہے۔ یا سنوایا جاسکتا ہے۔ =========================================== اس سوال کا جواب مفتی عبدالقیو صاحب نے بھی دیا ہے جو کہ نیچے درج ہے۔اس سوال کا جواب دارُل افتاح دعوتِ اسلامی سے جواب لیا انھوں نے کہا کہ آپ کو یاد ہے کہ آپ نے کیا کہا اس وجہ سے طلاق ہوگی۔اور شدید غصہ کی حالت میں بھی طلاق واقع ہو جاتی ہے ۔ کیونکہ غصہ تو انتہا کا تھع مگر جب غصہ ختم ہو ا تو آپ کو یاد تھا کہ میں نے کیا کہا ہے اس وجہ سے طلاق ہو گی ہے ۔ اور یہ بات صحیح ہے کہ مجھے یاد تھا۔ جبکہ مفتی صاحب کا جواب اس کے برعکس ہے۔ سوال پوچھنے والے کا نام: محمد شفیق مقام: کراچی سوال نمبر 2401: السلام علیکم مفتی عبدالقیوم ہزاروی صاحب نے یہ فتویٰ جاری کیا ہے جس کا ایڈریس یہ ہے۔ http://www.thefatwa.com/urdu/questionID/2334- اس مسلہ میں مفتی صاحب نے ساری کی ساری زمہ داری سائل پر ڈال دی ہے کہ اگر سائل کا غصہ ایسا ہے تو طلاق واقع نہ ہو گی۔مفتی صاحب سے گزارش ہے کہ اس مسلے کو واضع فرمادیں کہ طلاق واقع ہوئی ےیا نہیں۔میں اپنی بیوی کو دوبارہ لاسکتا ہوں یا نہیں۔اور میری بیوی دوبارہ نکاح کرسکتی ہے اپنی مرضی سے کہی بھی نہیں۔مفتی صاحب میں بہت پریشان ہوں اس کا ایسا حل بتادیں کہ کچھ سوچنے کی ضرورت نہ پڑیں۔اللہ آپ کو اس کی جزایں خیر عنایت فرمائیں گا۔ شکریہ جواب: ہم نے تو بتا دیا ہے کہ غصہ کی جو حالت آپ نے بتائی ہے ایسی صورت میں طلاق نہیں ہوتی "اگر" اس لیے لگایا جاتا ہے کہ جو صورت لکھی گئی ہے وہی ہے تو پھر طلاق نہیں ہوئی۔ جھوٹ بولا تو ذمہ دار خود ہونگے ہم جوابدہ نہیں ہونگے۔ محترم مفتی عبد القیوم خان ہزاروی صاحب 03334566197 اسسٹنٹ مفتی محترم شبیر صاحب 03338485787 03137809977 واللہ و رسولہ اعلم بالصواب۔ آپ کی دعاوں کا طالب

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41230
Mujtahid:
asam Date:

Question: i want to know about talaq mere shohar ne mujhe 3 dafa talaq di ek sath me hez se thi tou kia talaq wakia hogaee me sunni hoon

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

1-Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

2- Agar koe shaks aurat ko haiz se paak samjhay or osay talaq day day or baad ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #) pata chalay k wo haiz ki halat main thi tu oski talaq batil hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2465). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41367
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: main aik syed zadi hun naqvi mainay aik gher sunni say court marraige karli thy kal hamari divorce hugai mainay majbori main divorce di kya wo divorce jaiz hai or main us larkay say pyar karti hun main mar jaon gy uskay bagair plzzz mari madad karay mainay ghr walo ki khatir aesa kia wo bi ro para tha muj say alag hu kar plz koi salution day?

Answer: Ager ap ne us se sirf court marriage ki thi to ap us ki biwi hi nahi ban pai thi ke us se talaaq ke sahi ya galat hone ki baat aaye q k hamare mazhab men ehtiyat wajib ki bin pr court ka nikah ya nikah nama shadi k liye kaafi nahi hai,
Or ager court marriage ke ilawa nikah ki tamaam sharait pori thi to bhi ager ap ke walid is nikah se razi na the to bhi wo nikah sahi nahi tha.
Or ager nikah ki tamaam sharait mojood thi

Print

Id:
41402
Mujtahid:
Deoband Date:

Question: Assalam o aalikum. Sir eak Larki sa ma 5 6 Bar zina kar chuka hon uss ki baad ma Shadi ho gaye aur uss ka Shohar na talaaq da di kia main uss sa Shadi kar sakta hon.

Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain.
Talaq ki iddat khatam honay k baad aap shadi ker sakte hain magr ehtiyate wajib ki bina par toba se pehlay shadi nahi ho sakti. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364,2365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41541
Mujtahid:
Talak Date:

Question: Ass - Salam - 0 - Aly - kum! Masha Allah hamne bahut se knowledgeable articles padhe apke website per. Please keep it up. Except to - aurat ka paak hona, mard ko nashe, gussee ya mazak etc se talak nahi hota hai. hum nay pada aur pata hai, Thank you so much for info. Mera sawal hai - "kya phone per talak de sakte hain? aur kya ye jayez hoga?"

Answer: Wssalam o alykum, ager talaaq ki or baqi sharait mojood hon to phone per talaaq ho jati hai. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41651
Mujtahid:
Date:

Question: meri shadi ke 10 saal huey meri beebi uske chacha se najayaz sambhand ko dekha bahut baar aur usko milne se roka meri beebi talaaq deneku khata hun to o kahti hai bachon ko maar kar o bi marjayegi, magar mere susral wale mere hi khilaaf hai my unke ghar ko jana band kardiya magar my job ke liye saudi jata hun meri beebi ko susral bhejdeta hun kion ke chote 2 bache hain mere koi ghar wale nahee wahaan wo dono ki mulaakaat hoti hai .kya mera nikha is aurat se zayaz hai nahee pl batao .

Answer: nikah sahi hai. or ager ap ki bivi apne is amal se toba na kare or tark na kare to behtar hai ke ap apne bachoo ko apne sath rakh kar us ko talaaq de dain, or us ka mehar bhi us ko ada karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 2367 , 2462 to 2472 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
41978
Mujtahid:
Date:

Question: Assalaamualaikum, mai ek shadi shuda hun mere mere bacche hai aur mai mere shohar ko har kushi deti hun phir b vo dusri shadi kiye hai aur mai aur mai uske khilaaf hogai aur abi mujhe vo pasand nhe aarahe hai aur mai mere shohar se qula lena chahti hun phir b vo mujhe qula nhe dete hai aur unke sath mai sohbath b nhe karti hun kya mai aaise unhe apni tarafse qula dekar dusri shadi kar sakti hun,plz aap batain....

Answer: Wssalam o alykum, Talaaq e khula dene ka haq ap k shohar ko hai ap apne tor per khula na de sakti hen na le sakti hen or jab tak ap k shohar apko khula na den tab tak ap unki biwi hi rahengi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2462 to 2472 2367 2492) Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
42004
Mujtahid:
Date:

Question: 13 saal shadi rahi , akhri 2 saal biwi se hambistari nahi ki pher 3 talak aik baar de di aourat 2 shadi ktni mudat k baad kar sakti hai

Answer: 4 mahine se ziyada hambistry na krne ki waja se shohar gunahgar hoga magr nikah nahi toota, or ye talaq bhi sahi nahi hai q k talaq is tarah nahi hoti balke talaq ki sharait hen jab tak won a pai jaen tab tak talaq nahi hoti.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 2462 to 2382 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
43066
Mujtahid:
sistani Date:

Question: a.o.a mn bht martba sawal poch chuki hn par mujy jawab nahi dia gya hy mujh sy ek guna azeem hua hy jis ki mn bht mafi mangi hy or dil sy mafi mangi hy mn ny ek larky k sth nikah k seeghy par liye par mujhy bilkul b andaza nhi tha k such mn aisy nikah ho jta phr kch halaat aisy huy k mn apny cuz ko pasand krti thi mera us sy contact ho gya dobara or mn us larky bary bhol gae or apny cuz sth nikah kr lia wo b just nikah namy py sign kr k us k bad physical relation b huy mujh mn or mery cuz k beech mn seeghun k bary mn mutmayen thi bcoz mn molvi sy pocha tha to he said aisy nikah nhi tha but thirty arsy bad mn is website py sawal pary jin mn seeghun bary likha tha ab meri ye galat hy k mn sakoon chahti hn par nhi mil rha mera cuz b mujhy chor chuka hy or jisk sth seeghy pary thy wo b mujhy bht zaleel krta hy ab jb k wi he mera husband hy plzzz meri mushkil hal ki jye jaldi az jaldi jawab dia jye mera usk sth ab guzara nhi or wo mujhy divorce b nhi deta na mujh sy seedhy mun bat krta hy plzzzz mujhy koi hal btyen k wo mujhy khud talak dy de apka bht bht ehsaan ho ga or ye b k kyaallah pak mujhy maf kr dain gy mujhy such mn ilam nhi tha jo b hua

Answer: Pehle shakes se ap ka nikah nahi howa, kun ke sirf seeghe pharne se nikah nahi hota, balke apka shadi per razi hona zarori hai or ap keh rahi hain ke ap ko isterhan nikah hone ke bare main nahi pata tha yani ap razi nahi thi to us se talaaq lene ka koi sawaal hi nahi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335).
Or ager cuz ke sath shadi ke waqt sirf court marriage hoi hai to ye shadi bhi sahi nahi hai.
Ager ap ki shadi main (chahe 1st ya 2nd ) niche bataae gaae sharaait mojood thi to pehli shadi o nikah sahi hai or juda hone ke liye talaaq ki zarorat hai,or ager un sharaait main se 1 shart bhi na ho to shadi sahi nahi to talaaq ki zarorat bhi nahi hai.dusri shadi to dono suraton men galat hogi.
Nikah ki sharaait 1- ehtiyaat e wajib ki bina per nikha ka siga arabi main para jaae 2

Print

Id:
43712
Mujtahid:
Date:

Question: kya pregnancy k dauran talaq ho jata hai?

Answer: Agar aurat pregnant ho to talaq ho jati hai laikin is ki iddat bacha paida honay ya zaya honay tk hoti hai. maslan agar talaq k aik ghantay baad bacha paida ho jae to is aurat ki iddat khatam ho jati hai aur agar bacha 5 mahinay k bad paida ho to jab iddat khatam ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2478)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43714
Mujtahid:
suni Date:

Question: asalam-u-alaikum sir meri shadi ko 4 sal ho chuky hn or 2 bachy b hn beta 1 sal ka or beti 2 sal ki 8 mah pehlemere shohar or mere ghar walo ki takrar hogai thi jis ki waja se unho ne muje kaha k tm mujse talak lelo mn tume talak hi dydyta ho or wo phr guse mn ghar se chale gay or dosre din mn b unki bhabi k sath chali gai or phr ham khushi se unke ghar rehne lagy kuch dino bad unke aba ne ham dono ko larai k doran ghar se nikal dia or phr mn apni ami k ghar akar rehne lagi bacho k sath hamari phn pai bat hoti rehti thi or kbi kbi larai b hojati thi 1 din unhone phn kia or mn ne dair se uthaya to unho ne behad guse mn kaha k mn tume abi or isi waqt itna sunty hi mn ne phn kan se hata k nichy rakh dia or phr wo phn krty rahy laikn mne nai uthaya phr wo 2sre din khud hi ghar pai agay or rone lagy kehne lagy k mn ne tme wo lafz keh dia hai or agr hamari hogai hai to mn kia karo or halala kese krty hn or phr apne bhai k pass gay unse b yehi kaha k mn ne use talak dydi hai ab mn kia karo mn bht sharminda ho muje koi rasta batao plz ap bataye k hamari kitni talak wakia ho chuki hn or koi rasta hai k ham sath reh sakn plz jawab jadi dijiyega

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Ye talaq shin hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti.
1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ ﻄﺎﻟﻖ ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon)
gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44477
Mujtahid:
Date:

Question: assalam walekum wo rahematullahi wo barkatahu,mera sirf ek hi sawal hey k mein ne apni biwi ko ghusse me 3 bar tallaq tallaq tallaq kahe diya hey us waqt meri biwi haez me nahi thi kyun k wo hamela hey kya mera tallaq ho chuka mujhe zaldi jawab dijiye 2din howa bol k use mein na wo mere bagaer rahe sakti hey na mein us k bager rahe sakta hon, mere dost ko sunaya mein ayesa bola meri biwi ko to wo bole tallaq nahi howag, tallaq bola use to wo o roi kuch karle k mar jae gi boli to mein manaya use rat me bistar bhi kara us k sath,

Answer: Ye talaq batil hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
44521
Mujtahid:
Ayatullah Khumaini Date:

Question: Assalam-o-Alaikum, Mera sawal yeh hay kay Islam main husband ki death kay baad Shariat-e-Masoomeen (AS) main iddat kitnay din karni chahiay aur iddat kay doran Aurat kahan jasakti hay? Kya Imam Bargah ja sakti hay? Kyunkay hamari dadi aur phoopo hamari ek rishtay dar ko yeh kaha kay iddat kay doran Imam Bargah jaya ja sakta hai. Barah-e-Meharbani Shariat-e-Masoomeen (AS) ki roshni main bilkul sahi jawab dain takay main apni dadi aur phoopo ko dekha sakoon. Thanks,

Answer: Wafaat ki iddat 4 mahine or 10 din hai, Or jo orat wafat ki iddat men ho us k liye us k liye rangbaranga libaas pehnna , surma lagana or isi tarah doosre ayse kaam karna jo zeenat shumar hote hen haram hen, lekin ghar se bahir nikalna haram nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah khumeni(d.b), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah # 2510-11). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44800
Mujtahid:
sunni Date: 2018-09-08

Question: A.O.A mera sawal ye hai k agr ruksati se pehlay talak ho jaye shohar ghusay mae ho aur sms kar k talaq de alag alag waqton mae 2 weeks k waqfay se tu kia talaq ho jati hai agr ho jati hai tu kia idat hogi hamaray beech koi sexual relation nai hai kia ham dobara nikah kar saktay hain bghair halalay k ya halala zarori hai.. reply me asap

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45160
Mujtahid:
sunni Date:

Question: i got married 2 years ago and after 5 months my husband sent me to my parents now after i have spent 1.5 years at my parents house with no contact with my husband he has sent me talaq-e-rajee. does iddat apply on me? if so kndly tell me the duration. and also does this count as full talaq or first talaq if i dont go back to him

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.


1-Agar shohar nay hambistri(intercourse\sex) k baad talaq di ho tu zarori hay k talaq k baad iddat rakhi jaay. Or aisi aurat ki iddat jis k 2 haiz ka dermiyani faasla 3 maah se kam ho, ye hay k jab oska shohar osay oski paaki ki halat main talaq day tu wo itni muddat sabar karay k osay do baar haiz aay or paak ho jaay or jonhi osay teesri dafa haiz aay tu oski iddat khatam ho jaay gi or wo doosra nikah ker sakti hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2474)
2- Talaq e raje main merd iddat k doran ruju ker sakta hay yani baghair nikah kiay osko wapas apni bivi bana sakta hay or agar iddat k doran ruju nah karay tu iddat k baad nikah k zerye apni bivi bana sakta hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45333
Mujtahid:
Sistani sahib Date:

Question: Assalam-o-Alaikum. mere 2 sawal hain pehle yeh k kya muttah k baad iddat zarori hai? aur us k kya sharaait hain matlab k iddat kese puri ki jaye aur agar iddat puri nahi karsakti ho larki kisi masail ki wajah se to kya tareeqa hoga dosra? aur dosra sawal yeh hai k muttah k waqt jo haq mehar tay kara gaya ho woh kya larki khud say maang sakti hai?

Answer: 1)Jee han muttah ki iddat rakhna orat per lazmi hai. Iddat main shadi nahi ki jasakti.
2)shoahr se apne mehr ka mutaliba ker sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475-2395). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45640
Mujtahid:
talak Date:

Question: asalam walekum sir. Mai or mere shor is waqt bahut taklif me bet hai kal rat hum dono me ladai hui aur vo ladai gusse me tabdil hui hum dono aag babhula ho gaye aur dekhte hi dekhte mere shor k mu se 3 bar talak nikal gaya jab uno ne muje talak bola mere pero tale zamin hut gayi aur mere shor ne gusse talak bol tho diya lekin fhoran unko hos aya aur vo bole k yhe maine kya kiya mai tumko talak nai dena chata hu mai tumare begar mar jaunga mai tumko talak nai diya mere mu se kaise nikal gaya mai

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45897
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi mard ki bv us ki baat na manti ho yani agar husband kisi baat se manna krey k falan kaam ya baat nahin krna aur bv jan bhhoj kr vo kam krey. phir agr husband majboor ho kr bv se ye kahey k agr tm ne falan kam kiya to tm mj pr talaq ho ya hamara nikah haram hey, phr us k bad bv jan bhooj kr vo kaam krey to ye kis ki ghalti ho gi, bv ki ya husband ki, aur us ka shari faisla kia ho ga....

Answer: Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)
2)Biwi ko sohar ki baat 2 maqamaat par manna wajib hai 1.jinsi lazzat k silsilay mai 2. Pouchay bagair os k ghar sai bahir janay mai. Is k alawa biwi ka akhlaqi farz hai k osay iziyat na pouchae. Aur shariat ki hudood mai rehtay huay shohar ki baatoo ko manay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45913
Mujtahid:
Date:

Question: assalmoalekum mera sawal ye hai ki mere shohar se mera jhagda tha isliye me maike aa gyi thi..isliye unhone gusse me 3 baar mobile par message kiya TALAAQ TALAAQ TALAAQ aur baad me kehne lage gusse me likh diya,kya talaaq ho gyi..plz tafseel se jawab dijiye.apki bahut meharbani hogi..

Answer: Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46074
Mujtahid:
Date:

Question: ASALAM U ALIKUM SIR MAIN JANNA CHAH RAHI HOON K AGAR SHOHAR 1 talak dede aur 3mahinay tak Fuji na KARE to talak ho jati hy

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq 2(do) adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46307
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: maire susar ne talaaq ka taqaza kia n saaly ne bhi maine apne kaano se ni suna tha k meri biwi ne bhi talaaq mangi haan jub talaaq ho rahi thi to us ne mujhe roka nahe tha n samaan ka taqaza bhi kia tha laikin main dil se raazi nahe tha per maine writetten aur 3 martaba yun kaha k maine (name) ko talaak di , talaak di , talaak di aik he saans main kaha kia yeh talaaq waqeya hue?

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Print

Id:
46428
Mujtahid:
Sistani d.b. Date:

Question: Kia aurat iddat mai shadi kar sakti hai?

Answer: Jee nahi orat iddat men shadi nahi kar sakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46467
Mujtahid:
SHAFI Date:

Question: MERI BAHEN NE APNE SHOHAR SE KISI DUSRE ADMI K BEHKAWE ME AAKE KHULA LIYA HAI R AB US ABMI KA FAREB SAB K SAMNE AYA HAR R AB MERI BAHEN APNE PEHLE SHOHAR K SATH NIKAH KARNA CHAHTI HAI TO KYA TARIKA HAI

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Print

Id:
46599
Mujtahid:
Date:

Question: ar kya insaan khus hokar talaq deta h , agr gusse mai ni hoti talaq toh jo aise bolte ho, aur nikah b toh zyadatar written mai he hota h aamne saamne toh kam he hote hai ki miya bole aur biwi sune , toh talaq ku ni , kya bs public ka bewaquoof bna rhe ho?????????????///

Answer: jis terhan se talaaq ki sharaait hain is hi terah nikha k sahi hone ki bhi chand sharaait hain.
Talaaq ke sahi hone ki sharaait : 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Print

Id:
46793
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamualakum. janab ajj sy 3sal pahley mary waldin ka choty sy jaggry mai mari maa ny bap sy kha k [day mujy talak 3bar r mary bap ny kha han data hun agr tum gar sy jati ho tu) janab wo gar k upper waly portion mai rahny lagi mari 2 bahno ko lay kr r hum ny is mamly ko zyada tul ni dya phair 7 mahny bad mari maa ny kha k mai ny pta kraya hy hamari talak ho gi hy r hum 5 bahn bi hairan ho gy k ye kya ho gya hy abb humy yad b ni tha k hamary abu ny kitni bar kaha tha k (han mai ny di)janb is bary mai rahnumi farmi sukriya.

Answer: Is terah talaq nahi hoti hai Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46885
Mujtahid:
Date:

Question: Agr shohar ko threat diya jaye k biwi ko talaq do wrna jail main bnd kra dain gy n Shohar jail se bchny k liye divorce paper sign krdy to kya divorce hojati hy..? Jb k wo talaq nhe dyna chahta tha..sirf sign kiye hyn paper py words boly nhe hyn..plz answer.

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai dai, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46932
Mujtahid:
sunna Date:

Question: mera sawal yi hai ki kiya phone per talaq ho jati hi,,iss ki limititions kiya hain,please muji jaldi iss sawal ka javab chaiyi kisi ki ghar ki bait hai

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat phone par talaq denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46941
Mujtahid:
Date:

Question: Salamoalaikum if kissi lady ka husband kehe apne past k bare mein Such batao kitne mardon se tumhara tahaluq raha aur ilzamat b ligay Teen talaq daal kar Ke agar tum ne kuch b jhot bola to talaq ho jay gi Quran pe b bohat time hath rakhwa k poch chuka ho Kya es tarha talaq ho jay gi ??

Answer: 1)Is terah talaq nahi hoti hai q k talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72)
2)Is k alawa jhoot bolna ghunah e kabira mai shumar kia gya hai albetta aap is maqam par tawriah karna mumkin ho to karain yani alfaaz k zaheri mafhoom ko choor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha he? Aur is ne us shakhs ko aik minute qalal dekha ho to wo kahay ke mein ne use nahei dekha aur qasad (irada) ye karay ke us waqt se 5 minute pehlay me ne use nahei dekha. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2638).

Print

Id:
47031
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa Mera swal ye hy k 3 months pehly shadi hoe meri..aek din mery husband ny mjy mara jis se meri bone fracture hogai..mery ghr walon ny ghusay main usay jail bhejwaya..n bad main hm ny zmanat py reha krwa k usy bola k divorce do wrna zmanat kharij kra dain gy n again jail jao gy..wo divorce dyna nhe chahta tha usny sulah ki boht koshish ki mgr hm nhe maany..akhir jail se bchny k liye usny divorce paper sign krdiye..lekin words nhe boly talaq k..ab wo kehta hy zbardasti talaq li hy meri mrzi shamil na thi..mjhe pochna ye hy k kya talaq hogai ya nhe??or agr nhe hoe to kya ab rajoo kiya ja skta hy?? Plz answer according to shriat..thanks

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai dai, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Aur jab talaq hi nahi hui hai is ka matlab hai k aap os ki biwi hain apnay shohar k ghar chali jain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47057
Mujtahid:
Date:

Question: AOA sir mara sawal ye hy k . hum 5 bahan bi hn.aaj sy 3sal pehly mary waldin ka aik choti si bat pr jagra ho gya maa mari gusay mai apy sy bahar ho jati hn tu maa mari ny baap say kha k dy mujy talq 3 bar kha mary abu ny 2 bar kha han mai ny di agr tum gar sy chali jao tu .maa mari gaar k upper waly portion mai ja k rahny lagi r 8 ya 9 maheny bad kha k hamari talaq ho gi hy halan k hamary mind sy uss lari ka khaka sa rahy gya tha .hum sub bahn bi waha mujud thy lakin hum mai sy kisi ko b yad ni k hamary baap ny kitni bar kha k han mai ny di . ple sir is mamly mai rahnumi farmiye hum bahan bahi boht parishan hn kuch mufti hazrat ny kha k shak ki bunyd pr dubara nika ho sakta hy ples mujy zrur jawab di hum muntazir rahy gy.

Answer: Ye talaaq sahi nahi hai, or wo dono ab tak husband o wife hain kun ke talaaq ki chand shartain hain jin main se chand ye hain ke talaaq ka siga arabi main phara gaae or 2 aadil gahwaah seegha pharte waqt mojood hon.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
47179
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alikum mra sawal yh ha k manay apni bv ko kaha tha k tm mujy quran py hath rkh k sach bata do k falan kam q kya to ma b quran py hath rkhta hu k tmhy sach suny k bad talaq dy du ga aur many dy di thi sb sun k baad kya talaq ho jati ha koi gawha ni tha humary bech ma

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47398
Mujtahid:
Date:

Question: mere husband ne mobile pr ye kaha k tum hamesha talaq talaq krti rehti ho to kya hmara talaq ho gaya?

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat phone par talaq denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print